- 151
- 470
- 64
Sahi ja rahe ho bhai story mai jab adventure ata hai to aur mazedar ho jata haiThank U
sab golden stone ka kamal hai.
jungle janwaron ki fauj ka bhi ek mazedar twist ha. aise hi bohut se anokhe scene kahani ka hissa hain
Nice update--- 7
jungle bohut bade area par phela hua tha. neha thakur apne bhaiyon aur papa ke sath ghatna sthal par pohch chuki thi.
ghatna sthal jahan veer ne do gangs ke beech khooni jung chhidwa di thi. fir koi bhi zinda nahi bacha tha. ek ek ko jaan se kar maar dia tha.
wahan lashon ke tukde pade hue the. junglee darindo aur dusre jawaron ne lashon ki halat bigaad di thi. veer pahle hi lashon ke aneko tukde uda chuka tha.
wahan aaye kai helicopter aur force ke darjano guards lashon ki sankhya aur halat dekh ultiyan karne lage the. halat veer ke parivar ki bhi achhi nahi thi. females mein only neha thakur thi. ek baar to uski halat bhi kharab hoi thi.
par fir woh ye soch kar, ye sab veer ne kia ha. usne apna dil mazbut kar lia tha. warna uska bhai surya thakur, dusra bhai karan thakur aur papa aman thakur sab ke sab itni lashon ko dekh kar tharra uthe the.
surya: didi aap chali jaao. hum veer bhai ko talash kar lenge.
neha: nahi bhai.. veer sivaye mere kisi aur ke sath nahi jaaayega. abhi shaam hone wali hai. tum aisa karo, karan aur papa se kah kar kuch fasle par camp lagawo do. hum raat yahi stay karenge. kal din ki roshni mein dekhenge. veer kis disha ki orr gaya hoga. koi to clue milega.
neha thakur ke kahne par door ek safe jagah camp laga dia gaya. veer ke nana parivar wale bhi aaye hue the. woh bhi neha family ke karib hi camp laga gaye
veer ke apne parivar wale neha aur veer ki nana family ko dekh dukh se dekhte rahe the. par dono alag hi rahe the. karib nahi aaye the. neha thakur and family ne to ek nazar unhe dekhne ke bad firse nahi dekha tha.
ye dekh veer ke parivarik mard sir jhuka gaye the..
woh neha thakur ke opposite disha camp laga gaye.
***************************
veer rambha aur zegu ke sath chalta hua aage badh raha tha. basti ke log veer ko dekhte ja rahe the. hairan the, koi veer ke karib nahi aya.
rambha: koi bhi hamare karib nahi aa raha hai
veer: mujhe bhi sakht hairat hai. khair chalte hain. basti ke beech kar kisi se baat karke dekhte hain
veer rambha aur zegu basti ke center mein ja pohnche. wahan pohnch rambha cheekhti hui veer se lipat gai. rambha thar thar kanpne lagi
veer basti ke chaurahe par ek sath kai dhanche latakte dekh hairan hua. fir veer dilchaspi se dekhne laga. dhanchon ko dekh kar andaza hota tha, mahino saalon se latke hue hon.
ab basti ke log door ghere ki surar khade hokar veer ko dekh rahe the. rambha veer se chipki buri tarah larz rahi thi.
veer sakht lahje mein bola: mujhe zaleel mat karo rambha. mere hote hue bhi darr rahi ha
rambha veer se alag hui aur boli: aisa khaufnak manzar maine apni zindagi mein kabhi nahi dekha
veer: galat kah rahi ho. tumhari basti ke jo do kutte tumhari izzat lootne ki koshish kar rahe the. woh nazara kahin badhkar khaufnak tha. zegu aur dusre junglee darindon ko kabu mein karna, fir unke sath rahna. ab bhi tumhare dil mein darr hai. darogi to mujhe chhodna pad jaayega
rambha ne veer ki ankhon mein dekha. aru fir sir jhuka kar boli: shama chahti hon. aap devta aur mai ek aam si larki hon
veer: mere sath ho. fir bhi khud ko aam kah rahi ho rambha. shabdo se tum mujhe zaleel nahi kar rahi ho
rambha veer ke pairon mein gir lipat gai
rambha: dobara se aisi galati nahi hogi
tabhi ek side se ghodon ki awazen sunaai di. aur basti wale jo pahle shant khade the. cheekhte hue, khauf mein aate hue idhar udhar hone lage
ab veer ne ghor se dekha. to andaza hua, basti wale kyun door door rahe usse. puri basti darri hui thi. dahshat ke mahual mein ji rahi ho jaise. yahan ki rani larki zarur koi jallad fitrat larki hogi.
veer ghod sawaron ko dekhne laga. jo ab uske karib pohnch ruk chuke the. ghod sawar 50 ke karib the. sabke hathun mein talvaren thi. kuch hathun mein guns thi
ek jo dikhne mein senior dikhai de raha tha. veer aur rambha ko ghoorne laga. tabhi uski nazar zegu cheeteh par padi aur woh chaunk gaya.
senior: kon ho tum.. aur hamari basti mein kis liye aaye ho. aa to gaye ho, par ab laut kar nahi jaa sakoge.
veer: kyaa tum apne mahmanon se aisi hi bhasha ka paryog karte ho?.
senoir: mahman??..
fir woh veer ko ghoor apne sathiyon ko dekh zor zor se hasne laga. sab zor se hasne lage
senior ab rambha ko ghor se dekhne laga. andhera tha, sahi se dikhai nahi dia. par rambha thi to ek larki
aur senior rambha ko hawasi nazaron se dekhne laga. rambha ko andaza hua, uski dekhni normal nahi hai.
veer: mujhe aitraz nahi hai. tum apni bahan ko jitni der chahe dekh sakte ho
aur senior gussse se pagal hone laga
senior: zubaan sambhal kar baat kar moorkh. janta nahi hai hum kon hain.
veer shant mann se bola: mahmano ki izzat karna nahi janta. in sab kutton ka tu senior dikhta hai. zarur tum kutton ka leader hoga
aur senior chilla utha: is gustakh ko kaat dalo. rani manorma ko main khud sambhaa lunga. larki ko kuch nahi hona chahiye
veer ne rambha ko dekha aur rambha ne veer ko
veer: ab bhi tumhari ankhon mein khauf
rambha sharmindgi se boli: shama chahti hon. aam insaan hon. dil janta aur manta hai, aap ke hote hue mujhe koi haani nahi pohncha sakta. fir bhi dil ki dhadkan aur darr par bekabu hone lagte hain
veer ko zegu ko kuch kahne ki zarurat nahi padi. wo khud hi hamla karne ke liye tayar tha
senior ke order par sab veer aur zegu par hamla karna hi chahte the. ek aur ghod sawar wahan aaya aur zor se cheekha
aane wala: ruk jaaaao
sab awaz sunkar ruk gaye. aane wale ko dekhne lage. veer bhi dekhne laga. aane wala 50 saal ke karib ki umar ka ek bhari shareer wala vyakti tha. uske chahre par beard thi. par veer ko wo suljha hua banda laga
veer usay dekh bola: ek tum hi mujhe is basti mein kaam ke bande dikhai dete ho. mujhe tumse baat karke khushi milegi. tum na aate to ye sab ke sab mere hathun se maare jaate
aur aane wala veer ki baat sun veer ko neeche se upar tak, upar se neeche tak dekhne laga.
fir karib aaya aur veer ko dekhne laga
zegu shant khada tha. aane wala zegu ko dekh ek baar to ruka. zegu ko dekh uska moh hairat se khul gaya tha.
fir wo senior ko dekh bola: maha moorkh ho tum. ankhon se hi nahi aqal se bhi andhe ho tum. chaal dhaal se rakh rakhao se manushy ki pahchan karna bhi nahi jaante. isi liye tujhe rakhwalun ka sardar banaya tha. ab se tum nahi lalit tumhari jagah rakhwalun ka sardar ha.
wahi ek ghode par sawar lalit naami ek chust jawan umar larka ghode se utraa aur aane wale ke aage jhuk gaya
lalit: lalit aap ke ek shabd par hamesha sir katwane ko tayar rahega.
aane wala: jaanta hon. tum isi layak the lalit. manoj ko apne control mein lo lalit.
aur senior manoj jo pahle sab rakhwalun ka leader tha. duhaai dene laga. apni wafadari ke aneko waake sunane laga. par uski nahi suni gai. usay rassiyon se bandh dia gaya
aane wala jo 50 saal ka suljha hua banda laga tha veer ko. wo veer ke karib aaya aur ghode se utar kar zegu ko dekh bola
aane wala: mera laal kundanlal hai. mai yahan ki rani manorma ka right hon. mentor bhi hon aur ustad bhi. uska bazurg bhi hon aur sab kuch bhi. manoj ki orr se main tumse shama mangta hon.
veer: main jungle vasi hon. yahan se guzar raha tha. ye basti dekhi to chala aaya. socha kuch din yahan guzar kar aage badh jaaunga
kundanlal: kuch din kyaaa, jab tak dil chahe yahin raho. mahmano ki seva ka riwaj nahi hai yahan. par mahmano ke liye hamare dilon mein bohut jagah bhi hai aur prem bhi. aaao mere sath
*********************
veer rambha zegu aur kundanlal ke sath ek badi amarat ke saamne ja pohncha. basti ke hisab se woh sabse badhkar alishan amarat thi.
kundanlal: ye hamari rani manorma ka mahal hai.
aur veer mann mein "mahal" shabd par hasne laga. ye mahal to kahin se nahi dikhta tha.. veer kundanlal ke sath ek bade kamre mein ja pohncha
zegu bhi uske sath. kundanlal bar bar zegu ko dekh hairan hua ja raha tha
wo bol pada: is cheeteh ko dekh mai hairan hon.
veer: isme hairani ki kyaa baat hai.
kundanlal: nahi koi hairat ki baat nahi hai. shayad tum nahi jante. hamari rani ke pass har darinda ha. yahan puri fauf rakhi hui hai rani manorma mein. hamari rani aam rani nahi hai. bhagwan ki khas kripya hai unpar.
veer: bhagwan ki ya shaitan ki
kundanlal ki ankhon surkh ho gai: kyaa matlab hai tumhara??. hamari rani ki shan mein gustakhi hum sahn nahi kar sakte.
veer beparwahi se bola: basti ke chaurahe par jo dhanche latke hue han. wo dekh kar to koi bhi kah sakta hai. basti ki rani jallad fitrat--
aur kundanlal adhik gusse se kanpta hua uth khada hua: mahmaan ho. mahman bankar raho. tum kuch bhi nahi jante ho larke. rani mahaan hi nahi devi bhi hain. basti ke chaurahe par jo kuch dekha hai tumne. wo zulm nahi tha. badla lia hai rani manorma ne apne parivar ki maut ka. dhanchun mein badal jaane wale sab ke sab woh the jo---
kundanlal ekdum se chup kar gaya. fir veer ko ghoorta hua bola: ab rani manorna hi tumse baat karegi.
kundanlal paon patakhta hua wahan se jaane laga. aur veer usay jaate dekh hasne laga. rambha sir jhukaye shaant bethi thi. veer zegu par hath rakh ferne laga.
Nice update bro--- 7