• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

How is the Story....?

  • Mind-blowing

    Votes: 186 82.7%
  • Best

    Votes: 19 8.4%
  • Bad

    Votes: 12 5.3%
  • Mind-blowing

    Votes: 8 3.6%

  • Total voters
    225
Status
Not open for further replies.

SmartyAsif

Well-Known Member
2,816
10,978
143
Index :

Update 01 "kismat"
Update 02 "Pyar ka Ehsaas"
Update 03 "Pyar aur Apnapan"
Update 04 "Pyar ki Shuruwaat 1"
Update 05 "Pyar ki Shuruwaat 2"
Update 06 "Pyar ki Shuruwaat 3"
Update 07 "Ek Naya Rishta 1"
Update 08 "Ek Naya Rishta 2"
Update 09 "Ek Nayi Udaan 1"
Update 10 "Ek Nayi Udaan 2"
Update 11 "Ek Nayi Udaan 3"
Update 12 "Ehsaas 1"
Update 13 "Ehsaas 2"
Update 14 "Ehsaas 3"
Update 15 "Ehsaas 4"
Update 16 "Ehsaas 5"
Update 17 "Ehsaas 6"
Update 18 "Chakravyuh 1"
Update 19 "Chakravyuh 2"
Update 20 "Chakravyuh 3"
Update 21 "Dillagi 1"
Update 22 "Dillagi 2"
Update 23 "Naye Rishte ki Shuruwaat 1"
Update 24 "Naye Rishte ki Shuruwaat 2"
Update 25 "Apnepan ka Ehsaas 1"
Update 26 "Apnepan ka Ehsaas 2"
Update 27 "Raaz.... Nafrat ya phir Diwaangi"
Update 28 "Ek Nayi Raah 1"
Update 29 "Ek Nayi Raah 2"
Update 30 "Ek Nayi Raah 3"
Update 31 "Dhamaal 1"
Update 32 "Dhamaal 2"
Update 33 "Dhamaal 3"
Update 34 "Jaane Anjaane 1"
Update 35 "Jaane Anjaane 2"
Update 36 "Apnepan ka Ehsaas 1"
Update 37 "Apnepan ka Ehsaas 2"
Update 38 "Shadi aur Flashback"
Update 39 "Apne Paraye"
Update 40 "Wapsi 1"
Update 41 "Wapsi 2"
Update 42 "Wapsi 3"
Update 43 "Ehsaas"
Update 44 "Anokha Pyar 1"
Update 45 "Anokha Pyar 2"
Update 46 "Mazedaar Shopping aur College"
Update 47 "kahi Unkahi Baaten 1"
Update 48 "kahi Unkahi Baaten 2"
Update 49 "kahi Unkahi Baaten 3"
Update 50 "Sex aur Takraar"
Update 51 "Takraar 1"
Update 52 "Takraar 2"
Update 53 "Takraar 3"
Update 54 "Seduction"
Update 55 "Dhamaka 1"
Update 56 "Dhamaka 2"
Update 57 "Dhamaka 3"
Update 58 "Dhamaka 4"
Update 59
Update 60
Update 61
Update 62
Update 63
Update 64
Update 65
Update 66 "Sexy Dhamaal 1"
Update 67 "Sexy Dhamaal 2"
Update 68
Update 69
Update 70
Update 71
Update 72
Update 73 "Adventure 1"
Update 74 "Adventure 2"
Update 75 "Adventure 3"
Update 76 "Madhur Ehsaas"
Update 77 "Ilaaj ya Maza 1"
Update 78 "ilaaj ya Maza 2"
Update 79 "ilaaj ya Maza 3"
Update 80 "Ek Naya Rishta 1"
Update 81 "Ek Naya Rishta 2"
Update 82 "Ajeeb Surprise 1"
Update 83 "Ajeeb Surprise 2"
Update 84 "Ajeeb Surprise 3"
Update 85 "Gehri Chaal 1"
Update 86 "Gehri Chaal 2"
Update 87 "Gehri Chaal 3"
Update 88 "Sach kadwa ya Meetha"
Update 89 "Sach kadwa ya Meetha 2"

Update 90 "Sahi ya Galat 1"
Update 91 "Sahi ya Galat 2"
Update 92 "Sahi Ya Galat 3"
Update 93 "Ek Naya Rishta"
Update 94 "Ek Naya Rishta 2"

Update 95 "Ek Naya Rishta 3"
Update 96 "Saaya"
Update 97 "Saaya 2"
Update 98 "Diwaangi"
Update 99 "Saazish"
Update 100 "Saazish 2"
Update 101 "Saazish 3"

Update 102 "kadwa Sach"

Update 103 "kadwa Sach 2"
Update 104 "Mystery 1"
Update 105 "Mystery 2"
Update 106 "Mystery 3" (New)
 
Last edited:
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

SmartyAsif

Well-Known Member
2,816
10,978
143
Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)

Update 13

"Ehsaas 2"

Sohni Sultaan ke kareeb jaa ke use dawa de ke kehti hai....

Sohni : Ye lo hajme ki goli kha lo is se tumhe araam mil jaayega....

Sultaan : Yaar tum sab ne mil ke mujhe itna thoos thoos ke khila diya hai ki ab agar maine ye goli khayi to kahin mera pet hi na phat jaaye....

Sohni : Pet nahi phat ta is se... Basharte ye tumhe araam zaroor degi.... Lo ise kha lo....

Sultaan goli khane ke baad Sohni ko dekh ke us se jo sawaal karta hai use sun ke Sohni ki hansi nikal jaati hai....

Sultaan : Yaar kya tum sab isi tarha sab ko thoos thoos ke khilate ho....

Sohni : Ji nahi.... Hum thoos thoos ke nahi balki pyar se khilate hain wo bhi sirf usko jo sab se khaas ho jaise ki tum....

Sultaan : Yaar agar tum sab ka pyar aisa hai to phir jaane gussa kaisa hoga....

Sohni : Tum pe gussa karna to mumkin hi nahi....

Mehek : Sahi kaha Sohni tumne ye itna pyara hai ki is pe sirf pyar aata hai....

Sultaan : Achha ji....

Mehek Sultaan ko aankh maar kehti hai...

Mehek : Haan ji....

Phir Daddu ke sath sath kumar Singh aur Samar Singh aa jaate hain Sultaan Gaon ki tarakki ko le ke discussion shuru kar deta hai.... aage kya aur kaise karna hai.... Kuch hi der me sab taye ho jaata hai....

Kumar Singh : Magar beta ji is sab me to kaafi paisa lagega....

Yahan Nanhe Sultaan ko neecha dikhane ke liye kehta hai....

Nanhe : Badi badi baaten karna bahut asaan hota hai magar use poora karna utna hi mushkil..... Logon ko yun jhoote sapne dikhana bahut galat baat hai jo kabhi poore nahi ho sakte.... tujhe pata bhi hai Redevelopment me kitna paisa lagega.... itna ki tune kabhi sapne me bhi nahi socha hoga.... Tujh jaisa ek mamooli mulazim kya jaane Crore rupye kya hote hain.... kabhi 1 Crore rupye bhi tu ne ek sath dekhe hain kya.... baat karta hai.... Redevelopment me kam se kam 50 Crore Rs lagenge.... Wo kahan se aayenge....? Teri haisiyat to itni bhi nahi ki yahan ke ek ghar ki marammat bhi karwa sake... Aur baaten to dekho poore Gaon ke Redevelopment ki kar raha hai.... Chai nashta tera ho chuka hai ab chup chaap nikal le yahan se.... Phir dobara kabhi yahan na aana.... Tere jaise jhoote logon ka yahan koi kaam nahi....

Nanhe ki baat sun ke Sab ko uspe behad gussa aane lagta hai.... is se pehle ki koi kuch kehta ek naukar aa ke kehta hai...

Naukar : Sahab ye File koi Sultaan sahab ke liye de gaya hai.... Sath hi ye bada sa Suitcase bhi.... Jaane kya hai bhara hai isme ye kaafi bhaari hai....

Ye keh ke wo wahan se chala jaata hai....

Sultaan Nanhe se : Jab insaan kisi ke liye achha nahi keh sakta to use bina saamne waale ke baare me jaane bura bhi nahi kehna chahiye.... Khair jaisi aapki soch hai waisi hi aapki baaten bhi hai.... Rahi baat Redevelopment ki to usme 50 Crore nahi balki kam se kam 300 Crore lagenge....poore gaon ka Redevelopment hona hai na ki aapke ghar sorry Ghar nahi ye to kothi hai na... Wo bhi poore 40 lakh ki.... Rahi baat paison ki to aap ko uski Fikr karne ki zaroorat nahi.... Wo sab Sk Group of Companies dekh legi...

Phir Pihu ke Baba ki taraf dekh ke kehta hai.....

Sultaan : Baba dono Gaon ke sab logon ko Jald se jald yahan aane ko kahiye taaki sab ko unki zaroorat ke samaan ke sath sath Anaaj aur Paise bhi baante jaa sake.... Aur ye rahe Redevelopment ke kaagaz jin pe gaon ke har ek bande ke Sign chahiye taaki ye kaam jald se jald shuru kiya jaa sake.... Ab tak to anaaj aur gaon ke logon ki zaroorat ke samaan ke Truck bhi aa chuke honge....

Pihu : Haan 5 Truck ghar ke bahar khade hain.... Anaaj aur samaan to aa gaya magar Paise....?

Sultaan saamne pade Suitcase ko khol ke kehta hai ye rahe Paise.... 5 Crore to kaafi honge na....

Suitcase me bhare paison ko dekh sath hi Sultaan ke muh se 5 Crore sun ke wahan maujood sab buri tarha se shock ho jaate hain....

Pihu khush hote hue : Itne saare Paise....? Is se to Gaon ke har ek shaks ki saari pareshaani dur ho jaayegi.... Wah Sultaan tumne to kamaal kar diya.... You are simply Great....

Mehek : Yes he is a Darling... Ise sab pata hai ki kise kya zaroorat hai aur us zaroorat ko kaise poora kiya jaaye ye bhi.....

Bas phir kya tha ek ek kar ke sab Sultaan ki tareef karne lag jaate hain jise sunke Nanhe jal bhun ke kawaab ho jaata hai....

Samar Singh aur Kumar Singh foran call kar ke sab ko jald se jald aane ko kehte hain....

Nanhe gusse me Sultaan ko ghoorte hue apne man me kehta hai....

Nanhe : Saale ud le jitna udna hai bas kuch der ki baat hai phir dekh kya hota hai tere sath.... Jab teri haddiyan tootengi tab jaa ke mere dil ko sukoon aayega.... Teri haddiyan todne ke liye kaafila nikal chuka hai.... Main to bas baith ke teri dhulayi ka maza lunga.... Hahahahahahaha....

Idhar ek behad hi Aalishaan Haveli numa ghar ke behad hi shaandaar kamre ke bed pe ek behad haseen ladki so rahi thi.... Uske Sar pe pyar se hath pherte hue uski bagal me uske baba baithe hue apni beti ke masoom aur Khoobsurat chehre ko jaane kab se nihaar rahe hain.....

Unki tantra unki Patni ki awaaz sun ke toot ti hai....

Ye kya ji aap ab tak yahin baithe hain Hospital nahi jaana kya....? Ye main kya dekh rahi hoon ji aapki aankhon ne nami....?

Thakur Gajendra Singh....
Rukmani Singh unki patni....
Rashi Singh unki Beti....

Thakur hua to kya mere seene me bhi dil hai jo apni masoom beti ko is haalat me dekh ke tadap raha hai.... Aaj poora 1 saal ho gaya ise is haalat me dekhte hue.... Jaane kab meri phool si bachhi ko poori tarha se hosh aayega.... Jaane kab wo phir se mujhe baba keh ke pukaregi.... Kab.... Kash uper waale ko mujh majboor baap pe rehem aa jaaye aur wo meri masoom beti ko theek kar de.... Iski aisi haalat ab aur mujhse dekhi nahi jaati....

Ye kehte kehte unki aankhon se aansu beh jaate hain.... Jise dekh ke Rukmani Singh ki anakhon me bhi aansu aa jaate hain....

Rukmani : Uper waala itna nirdayi nahi ho sakta dekh lena ji wo jald hi meri phool si bachhi ko theek kar dega.... Khud ko sambhaaliye agar aap is tarha toot jaayenge to hum maa beti ko kaun sambhalega....?

Thakur : Bas isi ummeed pe to aaj tak zinda hoon warna apni laadli beti ki aisi haalat dekh ke main roz hazaar maut marta hoon.... Bas ab to sirf uper waale ka hi sahara hai wo jald hi meri nanhi si jaan ko bilkul pehle jaisa kar de....

Rukmani : Wo zaroor meri bachhi ko theek kar dega..... Mujhe is baat ka poora yakeen hai... Chaliye ab jaldi se taiyaar ho jaaiye.... Aaj Rashi ko Dr ko dikhane ke liye Hospital le jaana hai.... Uthiye....

Thakur : Dr ko dikha dikha ke thak gaya hoon.... Samajh nahi aa raha hai ki koi bhi Dr iska ilaaj kyun nahi kar pa raha hai.....

Rukmani : Rukhsaar ne mujhe bataya tha ki Aaj jis Dr se appointment hai wo Special Dr hai... Mujhe poori ummeed hai ki wo zaroor meri Beti ka koi na koi ilaaj dhoond hi legi.... Aap bas jaldi se ise wahan le jaaiye....

Apni biwi ke muh se Rukhsaar ka naam sun ke Thakur Sahab ko kuch yaad aa jaata hai jis wajah se unke chehre pe gusse ki lakeer aa jaati hai.... Wo apni Patni ko taiyaar hone ka keh apne room ki taraf chal dete hain.... Wahan pahunch ke wo apne khaas aadmi Magan ko kuch baat samjha ke use jald se jald kaam poora karne ko kehke taiyaar hone chal dete hain....

Magan apne sath kuch pehelwaan type logon ko hathiyaar ke sath le ke jeep me baith ke chal deta hai....

Yahan Sultaan anaaj se bhare Truck ke paas khade Kumar Singh se baaten kar hi raha hota hai ki tabhi 2 Jeep tezi se uski taraf aa ke rukti hai.... Usme se 25 se 30 pehelwaan type mushtande utar ke Sultaan ko gher lete hain....

Magan Kumar Singh ko Sultaan se dur hata ke kehta hai....

Magan : Maalik ab aap sab ko fikr karne ki koi zaroorat nahi hai.... Hum aa gaye hain.... ( Sultaan ki taraf ishara kar ke) Ab iski ek nahi chalne denge.... Maar maar ke iski haalat kharaab kar denge....

Magan ki baat sun ke sab ke sath sath Sultaan bhi buri tarha se chonk jaata hai.... Wahin Nanhe ke chehre pe zehreeli muskaan aa jaati hai....

Nanhe : Saale bahut udd raha tha na.... Ab dekh Magan aur uske Pehelwaan kaise tere hath pair todte hain.... Teri dhulayi dekh ke aaj sach me bada maza aane waala hai....

Sultaan : Baba Ye kaun hai aur kya bakwaas kar raha hai....? Kya aap jaante hain ise....?

Is se pehle ki Sarpanch kumar Singh kuch kehte....

Magan : Maalik se kya poochta hai main batata tujhe ki main kaun hoon.... Main Thakur Sahab ka khaas aadmi Magan hoon.... Jo aaj yahan teri jam ke dhulayi karne aaya hai....

Sultaan : Abe kaun Thakur Sahab...? Aur kaun Magan.....? Na main Thakur Sahab ko jaanta hoon na hi tujhe.... Bekaar me mujhse mat ulaj... Warna mera to kuch nahi bigdega ulte tere sath sath teri ye pehelwaano ki tooli ke hath pair zaroor toot jaayenge... Abhi bhi waqt hai chup chaap apne logon ko sath le ke chala jaa yahan se.... Sultaan ek Sher hai koi bakri bachha nahi jo koi bhi aira gaira Sultaan pe hath saaf karne chala aaye....

Sultaan aur Magan ki baaten sun ke wahan maujood sabhi ko behad ghabrahat si hone lagti hai....

Kumar Singh : Bade Chachu (Daddu) Sultaan ko rokiye.... Wo galat logon se bhid raha hai.... Is poore ilaake me aisa koi nahi jo Magan se bhid sake.... Yahan to uske sath poori fauj khadi hai.... Agar Magan ko gussa aa gaya to Sultaan ki khair nahi....

Daddu muskurate hue Kumar Singh ki baat ka jawaab dete hain....

Daddu : Khair to Magan ke sath sath uske Pehelwaano ki nahi hai.... Wo galat insaan se bhid rahe hain....

Kumar Singh : Lagta hai aap maujooda halaat ko samajh nahi rahe hain.... Yahan Sultaan ke saamne koi mamooli ladke nahi balki Magan aur uske Pehelwaan hain... Jo pal bhar me Sultaan ki haalat kharaab kar denge.....

Daddu : Samajh tum nahi paa rahe ho.... Sultaan nahi balki ye sab kuch hi der me Hospital ki bed pe nazar aayenge.... Lo khud dekh lo....

Yahan Magan apne sath aaye Pehelwaano ko Sultaan pe humla karne ka ishara kar deta hai.... Uska ishara paate hi sab se aage khada Pehelwaan aage badh ke Sultaan pe ek zordaar Punch maarta hai.... Sultaan uska wo hath beech me hi rok ke use ek tez jhatka deta.... Kataak ki awaaz ke sath uske kandhe ki haddi chatak jaati hai.... Phir Sultaan ek punch uske pet pe maarta hai... 130 kilo ka wo pehelwaan Sultaan ka Punch khate hi hawa me udta hua dur jaa girta hai....

Uske muh se khoon nikalne lagta hai sath hi wo zameen pe gir ke dard se tadapne lagta hai....

Ye sab itni jaldi hua ki kisi ko kuch samajh nahi aaya.... Sab hairat se kabhi Sultaan ko to kabhi zameen pe gire dard se tadapte us pehelwaan ko dekh rahe hain....

Daddu muskurate hue : Dekha Kumar maine kaha tha na.... Ye Sultaan hai... Sultaan... Abhi to bas shuruwaat hai aage aage dekhte jaao ye baaki sab ka kya haal karta hai....

Ghar ke baaki sab logon ke sath sath Nanhe bhi hairat se Sultaan ko dekhe jaa raha hai.... wahin apne sathi ki aisi haalat dekh ke Magan gusse se jalbala jaata hai...

Sultaan : Abhi bhi waqt hai meri baat maano to apne sathi ko le ke yahan se chale jaao.... Kahin aisa na ho ki iske sath sath tum sab bhi hospital ki bed pe letne ke liye majboor ho jaao....

Sultaan ki baat sun ke Magan gusse se kehta hai....

Magan : Ek ko maar ke khud ko bada tees maar khan samajh raha hai... Dekh ab hum teri kya haalat karte hain.... Aur tum sab kis baat ka intezaar kar rahe ho.... Maaro is kameene ko....

Magan ki baat sun ke uske sathi Sultaan ko maarne ke liye uspe toot padte hain.... Magar koi bhi Sultaan ko chu bhi nahi paa raha hai... Balki khud Sultaan ki maar kha kha ke uske hathon apni haddiyan tudwa rahe hain.... Sultaan un ko aise maar raha hai jaise wo Pehelwaan na ho ke gali ke kamzor ladke ho.... Fiza me is waqt 2 hi awaaz sunayi de rahi hai.... Pehli un Pehelwaano ke haddiyon ke tootne ki aur dusri uski Cheekhon ki awaaz....

Jahan sab hairat se ye nazara dekh rahe hain wahin Mehek aur Pihu taaliyaan baja baja ke Sultaan ko cheer kar rahi hain...

Wah Sultaan maza aa gaya... Aise hi maaro.... Thoda aur zor se.... Ye waala punch thoda naram tha.... Agla Punch thoda zordaar maarna.... Wo peche use reverse kick maaro....

Dono ki baat sun ke Sultaan chid ke kehta hai....

Sultaan : Yaar yahan is zabardasti ki fight se mera dimaag kharaab bana hua hai aur tum dono ho ki mere maze le rahi ho... Aao tum dono hi lad lo... Aao na....

Mehek : Neki aur pooch pooch... Ruk abhi aati hoon....

Ye keh ke Mehek aage badi hi thi ki tabhi Dadi use rok ke kehti hain....

Dadi : Tu kahan chal di ladne.... Chup chaap yahan khadi reh ke Fight ka maza le.... Dekh Mera Pota Sultaan kaise jam ke in sab ki dhulayi kar raha hai... Waah Sultaan maza aa gaya.... Aur zor se Sultaan... Haan aise hi....

Dadi ki baat sun ke Sultaan apna sar peet leta hai....

Sultaan : Dadi ye dono kya kam thi jo aap bhi Shuru ho gayi....

Dadi : Bhuvan ke baad aaj pehli baar maine kisi ko itni Achhi Fight karte dekha to raha nahi gaya.... Waise kya mast fight hai teri.... Kasam se dekh ke bada maza aa raha hai....

Mehek aur Pihu ko sath sath Dadi ki baat sun ke Magan ko behad hairaani ho rahi hai.... use samajh nahi aa raha hai ki ye log Sultaan ka sath kyun de rahe hain jabki Sultaan ne to....

Abhi Magan itna hi soch paaya tha ki tabhi Thakur Sahab ki car speed se aa ke anaaj se bhare Truck ke bagal me rukti hai.... Thakur Sahab Car se bahar nikalte hain.... Saamne ka nazara dekh ke gusse ke maare unka dimaag phatne lagta hai...

Thakur Sahab ko achanak se yahan aaya dekh sab ko badi hairaani hoti hai... Us se bhi zyada hairaani unhe car me baithi Thakur Sahab ki Beti Rashi ko dekh ke hoti hai.... Is se pehle ki koi kuch kehta.... Thakur Sahab behad gusse me aage badh ke Magan ki Jeep me rakhi Bandook utha ke Sultaan pe goli chala dete hain.... Theek waqt pe Sohni Thakur Sahab ke hath ko dusri taraf ghuma deti hai... Jis se unka nishana chook jaata hai....

Goli ki awaaz ke sath sath fiza me Sultaan ka naam bhi goonj uthta hai....

Wahan maujood Sabhi Sultaaaaaaaaan.. keh ke cheekh uthte hain....

Sohni : Bade Chachu.... Ye aapne kya kiya....? Aap ko pata hai jispe aapne Goli chalayi hai wo kaun hai....?

Thakur : Haan achhe se pata hai mujhe ye wo kameena hai jisne kal teri izzat lootne ki koshish ki thi meri bachhi... Aur aaj ye Gaon ke masoom logon ko Redevelopment ka jhaansa de ke inki zameeno ko apne naam karane aaya hai.... Tere Baba ne mujhe sab bata diya hai.... Tujhe ghabrane ki zaroorat hai aur na hi Gaon waalon ko... Mere rehte aisa kabhi nahi hoga.... Bas dekhti jaa main is kameene ka kya haal karta hoon.... Iske har gunaah ki saza main khud ise dunga... Iski himmat kaise hui meri masoom bachhi pe gandi nigaah daal ke uski izzat lootne ki koshish karne ki.... Wo to tere baba ne kal ise zinda jaane diya unki jagah agar main hota to kal hi ise maut ke ghaat utaar deta.... Jo kal nahi hua wo aaj hoga.... Aaj ye yahan se zinda wapis laut ke nahi jaa paayega..... Yahan se ab iski lash hi waapas jaayegi....

Ye keh ke Wo Sultaan pe ek aur Goli chala dete hain.... Magar ek baar phir se Sohni unka hath dusri taraf ghuma ke Sultaan ko goli lagne se rok leti hai.... Is baar Goli Sultaan ke peeche khade anaaj se bhare Truck ke Tyre pe lagti hai jis se wo phat jaata hai jis wajah se Truck disbalance ho ke bagal me khadi unki Car pe girte hue use apne neeche buri tarha se kuchalne lagta hai.... Ye dekhte hi Thakur Sahab ke muh se dard bhari cheekh nikal jaati hai.... Wo apni masoom Jaan se pyari beti ka naam le zor se cheekh uthte hain....

Thakur Gajendra Singh : Raaassshhhiiiii....

Thakur ki cheekh sun ke Sultaan palat ke unki taraf dekhta hai... Unhe Truck ke neeche dabi Car ki taraf dekh ke cheekhte hue paata hai to use ye samajhte der nahi lagti ki zaroor car me koi hai jiski wajah se Thakur Sahab cheekh rahe hain.... Truck ka bhaar Car sambhaal nahi paa rahi hai.... wo truck ke wazan se neeche buri tarha se kuchalti jaa rahi hai.... Agar jald hi kuch na kiya gaya to Car ke sath sath Rashi bhi Truck ke neeche dab ke mar jaayegi....

Thakur daur ke Car ke paas jaate hain aur Truck ko car pe girne se rokne ke liye usko apne dono hathon se rokne ki koshish karte hain.... Truck anaaj ki boriyon se lada hua hai.... Usme is waqt itna bhaar hai ki use kisi insaan ka apni taqat se hatana to dur use hila bhi paana namumkin hai... Thakur ka sath dene ke liye Kumar Singh aur Samar Singh ke sath sath aur bhi kuch gaon waale aa jaate hain.... Magar phir bhi wo log chah ke bhi Truck ke neeche Car ko kuchalne se nahi rok paa rahe hain..... Truck ke wazan se car buri tarha se dab ke chakna choor hoti jaa rahi hai sath hi har guzarte pal ke sath Rashi maut ke muh me jaa rahi hai.... Ye dekh Thakur Sahab ke sath sath wahan maujood sabhi ki aankhen nam ho jaati hain.... Sath hi dar ke maare unki haalat buri bani hui hai.... Thakur sahab chah ke bhi apni Jaan se pyari beti ko maut ke muh me jaane se nahi rok paa rahe hain.... Wo uper waale se dua karne lagte hain.... Kisi tarha unki beti bach jaaye....

Saamne ka nazara dekh ke Sultaan foran car ki taraf jaata hai.... Wo car ka darwaza kholne ki koshish karta hai magar Darwaza jam ho gaya hai wo khul hi nahi raha.... Sultaan darwaze ko mazbooti se pakad ke ukhaad deta hai.... Phir under leti Rashi ko dekh ke Chonk jaata hai....

Sultaan : Ye to Rashi hai....? Ye yahan is haal me kya kar rahi hai....?

Wo foran Rashi ko bahar nikaalne ki koshish karta hai magar uske jism pe lagi Seat belt sath hi stearing wheel aur Gear ki wajah se uska jism buri tarha se car ke under phansa hua hai.... Sultaan use awaaz deta hai magar Rashi ko jaise kuch sunayi hi nahi de raha hai wo lachaar si besudh car ki seat pe padi hui hai.... Use is baat ki khabar hi nahi ki is waqt wo kis mushkil me hai.... Uski jaan kisi bhi pal jaa sakti hai.... Sultaan jab dekhta hai ki Rashi uski baat nahi sun rahi tab wo Stearing wheel ko pakad ke ek taraf ghuma ke use uthaad ke bahar phenkta hai phir Rashi ko hila ke bahar nikalne ko kehta hai.... Rashi abhi bhi bas usi haal me baithi hui hai Sultaan ke hilane ka bhi us pe koi asar nahi ho raha hai.... Idhar Truck har guzarte pal ke sath Car ke uper girte hue use apne neeche kuchalta jaa raha hai.... Ek pal ki bhi deri Rashi ki jaan lene ke liye kaafi hai.... Sultaan seat ko dono hathon se pakad ke poora zor laga ke use Rashi samet Car se bahar kheench leta hai.... Agle hi pal Truck poori tarha se Car ke uper gir ke use apne neeche buri tarha se kuchal deti hai.... Ye dekhte hi Thakur sahab ke muh se dard bhari cheekh nikal jaati hai....

Raaassshhhhhhhhiiii....

Unka dil tadap jaata hai... Sath hi unki aankhon se betahasha aansu behne lagte hain.....

Thakur ko is tarha rote dekh Sohni se raha nahi jaata....

Sohni : Bade Chachu.... Rashi theek hai....

Thakur Sahab : kya kaha tu ne abhi ek baar phir se to bol...

Sohni : Rashi theek hai Bade Chachu.... use kuch nahi hua... Wo dekhiye....

Sohni ki baat sun ke Jab Thakur Sahab palat ke dekhte hain to apni beti ko sahi salamat dekh ke unhe jitni khushi hoti hai utna hi Gussa unhe apni beti ko Sultaan ki baahon me dekh ke aata hai... Wo gusse me Sultaan ke kareeb jaa uske thappad raseed kar dete hain.... Magar is se pehle ki wo thappad Sultaan ko lagta Thakur Sahab ka hath beech me hi ruk jaata hai....

Rashi foran apne Baba Thakur Sahab ka hath pakad leti hai.... Phir wo jo kehne ke sath sath karti hai use dekh ke wahan Maujood sabhi ko badi hairaani si hoti hai....

Rashi : Baba.... S....S.... Sultaaaaaaaan.... Sultaaaaaaaan... Baba....

Ye keh ke wo Sultaan ke seene se kas ke lipat jaati hai.... Uski aankhon se khushi ke aansu behne lagte hain.... Wo Sultaan ke chehre ko apne hathon me le ke uske poore chehre pe kisses ki jhadi laga deti hai....

Thakur Sahab aage badh ke Rashi ko Sultaan se alag kar ke behad gusse se kehte hain....

Thakur Sahab : Khabardaar kameene dur reh meri beti se warna main teri jaan le lunga....

Rashi hairat se apne baba ko dekhte hue kehti hai.....

Rashi : Baba ye Sultaan hai Sultaan.... Koi raah chalta awaara nahi jo aap iske sath is tarha baat kar rahe hain....

Thakur Sahab : Beta tu badi masoom hai tu nahi jaanti ise ye kitna bada kameena hai....

Rashi : Ye kya hai ye mujhse behtar shayad hi koi jaanta hoga.... Ye hai to main hoon warna aaj aapki ye laadli beti bhi zinda na hoti.... Us raat bhi isne mujhe bachaya tha aur aaj bhi....

Thakur Sahab : Ye tu kya keh rahi hai...? Ye kameena achha kaise ho gaya.... Aur ye tu kis din ki aur kya baat kar rahi hai... Bata mujhe....

Rashi : Wo sab baad me pehle Aap mujhe ye bataiye ki aisa kya ho gaya jo aap is Nek Farishte ko jaan se maarne pe tule hue hain....

Thakur Sahab : Farishta aur ye.... Agar ise Farishta kaha jaaye to Shaitaan kise kahenge.... Tujhe pata bhi hai isne kya kiya hai.... Kal isne Masoom Sohni ki izzat lootne ki koshish ki aur aaj ye Redevelopment ke naam pe Gaon waalon ki zameen hadapne aaya hai....

Rashi : Ye kya bakwaas hai.... Jaisa aapne kaha waisa Sultaan hargiz nahi kar sakta.... Ye mumkin hi nahi....

Thakur Sahab : Is baat ka poora saboot hai mere paas.... Kal mujhe Kumar Singh ne khud call karke ye baat batayi thi aur aaj subah bhi uska Call aaya tha ye batane ke liye ki Sultaan yahan aa ke sab ko behla phusla ke Gaon waalon ki zameen apne naam kar raha hai....

Thakur Sahab ki baat sun ke Sab hairat se Kumar Singh ki taraf dekhne lagte hain....

Kumar Singh : Ye aap kya keh rahe hain bhai Sahab..... Maine aap ko kab call kiya.... Humari aakhri baar 3 mahine pehle baat hui thi wo bhi Collector Sahiba ke Office me.... Uske baad main aapse aaj mil raha hoon.... Aur jo bhi abhi aap ne Sultaan ke baare me kaha wo sab jhoot hai.... Sultaan ne Sohni ki izzat lootne ki koshish nahi ki balki Vijay Singh ke kameene bete Lallu ne ki thi.... Agar kal Sultaan ne Lallu ke sath sath uske bhai aur baap ko maar ke Sohni ko nahi bachaya hota to na meri masoom bachi ki izzat salamat rehti na hi uski jaan.... Rahi baat Redevelopment ke sath sath Gaon waalon ki madat karne ki to ye jo yahan 5 anaaj se bhare Truck aap dekh rahe hain wo Sultaan laaya hai taaki Gaon waalon ki takleef ko kuch had tak dur kiya jaa sake.... Ye kya in sab ki zameeno ko lootega ye to khud Apne sath 5 Crore rupaye yahan ke logon ko baatne sath laaya hai.... Wo sab chor dijiye aaj ki baat le lijiye... Aap aur aap ke aadmi sach jaane bagair is Farishte ko jaan se maarne chale aaye aap ne ispe ek nahi balki 2 baar goli chala ke iski jaan lene tak ki koshish ki... Ye chahta to is ka jawaab aap ke saare aadmiyon ko jaan se maar ke de sakta tha..... magar is ne aisa nahi kiya balki apni jaan ki parwaah na karte hue Aapki beti Rashi ki jaan bachayi.... Aap hain ki is Farishte ko seene se laga ke iska ehsaan maan ne ke bajaye ulta ispe ilzaam laga rahe hain....

Kumar Singh ki baat sun ke Thakur Sahab ko ek jhatka sa lagta hai.... Uhne samajh nahi aa raha hai ki aakhir sach kya hai wo jo Abhi Kumar Singh ne kaha ya wo jo unhe pata hai....

Thakur Sahab ko kuch na kehte dekh Kumar Singh unse poochne pe majboor ho jaate hain....

Kumar Singh : Kya hua bhai Sahab aap khamosh kyun hain....? Kya aap ko meri baat pe yakeen nahi hai....?

Thakur Sahab : Samajh nahi aa raha hai kis baat pe yakeen karun jo abhi tumne abhi kaha ya phir kal aur aaj dono din jo meri tumse phone pe baat hui thi uspe....

Kumar Singh : Maine aap ko koi call nahi kiya na kal na hi aaj....

Thakur Sahab : Achha agar tumne mujhe call nahi kiya to phir meri Call details me Tumhara number kaise hai.... Is ke hisaab se tumne kal bhi mujhe call kiya tha aur aaj bhi.... Aur to aur meri Mobile me humare beech jo baat hui thi uski Recording bhi hai....

Ye keh ke Thakur Sahab wo call recording play kar dete hain jise sunte hi Nanhe ke hath paon thande ho jaate hain.... Wo foran wahan se nikal leta hai... Is se pehle ki baat uspe aaye aur sab ko ye pata chale ki ye call Kumar Singh ne nahi balki usne kiya tha....

Kumar Singh : Ye awaaz to meri nahi hai balki....

Abhi unhone itna hi kaha tha ki tabhi Rukhsaar ki baat sun ke wahan maujood sabhi ko behad gussa aa jaata hai....

Rukhsaar : Ye awaaz to Nanhe Chachu ki hai.... Matlab unhone Bade Chachu ko call karke unhe Sultaan ke khilaaf bhadkaya tha....

Poori baat sun ne aur samajhne ke baad jahan Thakur Sahab ka sar sharmindagi se jhuka jaa raha hai wahin Daddu gusse se kehte hain....

Daddu : Nanhe to kameena hai hi magar Gajendra Singh mujhe tumse is baat ki ummeed nahi thi.... Bina sach jaane tumne ek masoom Farishte ko Shaitaan samajh liya.... Yahan tak ki use jaan se maarne ke liye apne gunde bhi bheje... us se jab tumhara dil nahi bhara to tumne uspe Ek nahi balki 2 baar Goli bhi chalayi... Tum aisa kaise kar sakte ho.... Kam se kam tumhe pehle ye to pata karna chahiye tha ki aakhir sach kya hai.... Bas ek call ko tumne sach maan liya....

Thakur Sahab jo sharmindagi se apna sar jhukaye khade the unhe Daddu ki baat sun ke kuch yaad aata hai.... Aur wo gusse se palat ke ek taraf dekh ke behad gusse se kehte hain....

Thakur Sahab behad gusse me : Magan....

Thakur Sahab ko itne gusse me dekh ke Magan daurte hue unke paas aa ke apne hath jod ke ghuno pe baith ke darte hue kehta hai....

Magan : Maafi huzoor maafi... Magar isme meri koi galti nahi hai.... Aap ke kehne pe kal hi yahan aa ke maine pata kiya tha tab Nanhe Sahab ke sath khade baaki logon ne bhi mujhe yahi bataya tha ki Sultaan sahab achhe insaan nahi hain.... Unhone Sohni bitya ki izzat lootne ki koshish ki aur unki nazar Gaon waalon ki zameen pe hai jise wo hathiyana chahte hain.... Jo maine unse pata kiya wo aapko bata diya ab aap hi bataiye is me meri kya galti hai.... (Magan poore Vishwaas se kehta hai) Magar phir bhi aap ko aisa lagta hai ki is me meri galti hai to ye lijiye talwaar aur meri gardan uda dijiye kasam hai mujhe apni Imaandaari ki main uff tak nahi karunga....

Ye keh ke Magan Thakur Sahab ki taraf apni talwaar badha ke apna sir jhuka leta hai..... Gusse me Thakur Sahab uske hath se talwaar le ke Magan pe waar karne hi waale hote hain ki tabhi Sultaan aage badh ke talwaar ke us waar ko apne hath se rok leta hai.....

Talwaar ki tez dhaar se uska hath cut jaata hai sath hi usme se khoon nikalne lagta hai.... Sultaan ke hath se behte khoon ko dekh ke Mehek ke sath sath Rashi ki bhi cheekh nikal jaati hai....

Sultaaaaaaaaaaaan....

Thakur Sahab bhi foran talwaar ko chor dete hain.... Neeche baitha Magan cheekh sun ke uper dekhta hai.... Saamne ka nazara dekh ke use ye samajhte der nahi lagti ki jo waar uspe hone waala tha use Sultaan ne apne uper le liya jis wajah se Sultaan ka hath Cut gaya aur usme se khoon beh raha hai.... Ye dekh Magan abhi kuch der pehle ke us pal ko yaad karta hai jab Thakur Sahab ke kehne pe Magan ne Sultaan ki jaan lene ke liye uspe isi talwaar se waar kiya tha.... Is waqt yahan log bhi wo hi hain aur hathiyaar bhi wohi magar halaat juda hain.... Is waqt Magan ki jaan jaane waali thi jise Sultaan ne apna khoon baha ke rok liya.... Ye dekh magan ka dil use under hi under kachotne lagta hai... Dhikkarne lagta hai....

Dekh Magan gaur se dekh is insaan ko jiski jaan le ne ke liye tu ne bina soche samjhe uspe waar kiya usi ne apna khoon baha ke teri jaan bachayi.... Itna hi nahi balki teri Imaandaari ki khaatir Thakur Sahab se lad bhi raha hai... Kitna gira hua insaan hai tu jo ek Nek Dil Farishte ko jaan se maarne chala tha....

Sultaan : Thakur Sahab ek galti aap pehle hi kar chuke hain main nahi chahta ki apne Sab se Imaandaar Sewak ko maar kar aap dusri galti bhi karen.... Jahan zara si baat pe log pal me badal jaate hain wahin is matlabi duniya me Magan Jaise kuch Imaandaar insaan aaj bhi hain jo Apne maalik ki khaatir kisi ki jaan lene aur apni jaan dene ko bhi taiyaar ho jaate hain... Aise log badi mushkil se milte hain... Inhe sambhaal ke rakhna chahiye na ki kisi aur ki galti ki saza inhe dete hue inki jaan leni chahiye....

Phir Magan ko utha ke kehta hai....

Sultaan : Is sab me na tumhari galti hai na hi Thakur Sahab ki galti hai.... Unhone jo kiya wo Sohni aur Gaon ke liye unke dil jo pyar aur apnapan hai uski khatir kiya.... Unhe galat baat is tarha batayi gayi thi jo unhe sach lagi warna jitna main unhe samajh paaya hoon wo jaan ke kabhi aisa nahi karte.... Galti sab se ho jaati hai tabhi to ise galti kehte hain aur Galti ki koi saza nahi hoti.... Use bhool jaan hi sahi hota hai... To abhi yahan jo bhi kuch hua use bhool ke Gaon ki bhalayi ka kaam kiya jaaye to zyada behtar hoga.... Kyun Daddu maine theek kaha na....

Ye keh ke Sultaan Daddu ki taraf muda hi tha ki tabhi Madan uske pair pakad ke us se maafi maangte hue kehta hai....

Magan : Maine aapki jaan leni chahi badle me aapne meri hi jaan bacha ke mujhe ek nayi zindagi de di.... Meri jaan bacha kar jo ehsaan aapne mujhpe kiya hai use main chah ke bhi nahi utaar sakta.... Aaj se Magan umar bhar ke liye aap ka Gulaam ho gaya.... Aaj ke baad se aap pe uthne waale har hath ko Magan tod dega har aankh ko Magan noch lega lekin mere Maalik aap pe aap ka ye Gulaam ek kharoch tak nahi aane dega.... ye waada hai mera aap se....

Sultaan use pyar se utha ke kehta hai....

Sultaan : Mujhe Gulaam nahi dost chahiye.... kya kehte ho banoge mere dost....?

Ye keh ke Sultaan Magan ki taraf apna hath badha deta hai....

Sultaan ki baat sun ke Magan ki aankhon me aansu aa jaate hain....

Magan : Meri itni aukaad nahi Mere Maalik ki main aap jaise Nek Farishte ka dost ban sakun.... Aap ne itna kaha ye hi mere liye bahut badi baat hai.... Mujhe apna Gulaam hi rehne dijiye....

Sultaan : Yaar main koi Raja nahi ki logon se Gulami karwaaun.... Na hi koi Farishta main aap sab jaisa hi ek insaan hoon.... Naam hai Sultaan.... Ya to meri Dosti qubool karo ya phir jaane do....

Ye keh ke Sultaan jaane laga hi tha ki Magan uska hath thaam ke kehta hai.... mujhe manzoor hai mere Maalik... Aap ki har baat mujhe manzoor hai....

Sultaan : Theek hai magar maalik nahi Sultaan.... Mera naam Sultaan hai....

Magan : Main aapka naam loon na itni aukaad hai meri aur na hi meri jurrat.... Kyun ki gulaam bhale hi Maalik ka dost ban jaaye magar apne Maalik ko naam se bhi pukare ye mumkin nahi.... Bas meri itni si baat maan lijiye....

Sultaan muskura ke uski peeth thapthapa ke Daddu ki taraf badha hi thi ki tabhi Thakur Sahab ki awaaz sun ke uske kadam wahin ruk gaye....

Thakur Sahab : Mujhe maaf nahi karoge Sultaan....

Sultaan : Thakur Sahab aap bade hai... Bade maafi nahi maanga karte balki Aashirwaad diya karte hain.... Aur abhi kuch der pehle jo bhi kuch hua wo sab ek Galatfehmi thi... Use bhool jaaiye... Aaiye sath mil ke Gaon waalon ki bhalayi ka kaam shuru karte hain....

Abhi Sultaan ne itna kaha hi tha ki tabhi kisi ki awaaz sun ke wo chonk jaata hai....

Ye aur koi nahi Mehek hai....

Mehek : Kahin nahi jaa rahe tum... Chup chaap apna hath idhar laao dekho kitna khoon beh raha hai tumhare hathon se....

Rashi : Sahi kaha Mehek tu ne.... Hath se khoon beh raha hai aur ye hai ki apne bajaye ise Gaon bhar ki firkar hai.... Us din bhi...

Rashi ne itna hi kaha tha ki tabhi Sultaan use beech me hi rok deta hai....

Sultaan : Rashi tum bhi na kahan purani baaton ko le ke baith gayi.... Ye lo rumaal ise mere hath pe baandh do... Halka sa cut hai ek do din me bhar jaayega.... Waise tum to pehle kaafi healthy aur Khoobsurat hua karti thi...

Rashi : Hua karti thi se kya matlab hai tumhara.... Kya ab main Khoobsurat nahi hoon....? Haan batao mujhe....

Sultaan : Maine aisa kab kaha main to ye keh raha tha ki....

Rashi : Kya keh rahe the tum haan batao batao....

Sultaan : Are meri maa main....

Rashi : Main tumhari Maa nahi hoon....

Sultaan : Maa nahi Rashi.... Meri Cute si Sweet si Rashi main ye keh raha tha ki tum pehle se kaafi Khoobsurat ho gayi ho.... Bas tumhara rang pehle se thoda kam ho gaya hai aur Body bhi kaafi utar gayi hai.... Magar phir bhi Is waqt tum kisi Pari se kam nahi lag rahi....

Sultaan ke muh se apni tareef sun ke Rashi khush ho jaati hai magar use jhoota gussa dikhate hue use pareshaan kar ne lagti hai.... Sultaan ko pareshaan karne me use bahut maza aata hai....

Sultaan : Ab bas bhi kar de yaar kya bachhe ki jaan legi... Chal ab... Aur aap sab bhi chaliye.... Aao Mehek....

Ye keh ke Sultaan sab ke sath Gaon ke logon ki taraf badh jaata hai....

Sultaan ko yun hansi mazaak karte dekh Thakur Sahab hairaani se Daddu se poochte hain....

Thakur Sahab : Itni badi baat ko isne kitni asaani se bas ek galti keh ke taal diya.... Aur to aur uski maafi bhi maangne na di.... Ye wakayi me insaan nahi balki Farishta hai.... Waise ye hai kaun....? Jahan tak mujhe pata hai aapka to koi pota nahi hai... Phir ye aap ko Daddu keh ke kyun bula raha hai....?

Daddu : Ye wakayi me kisi Farishte se kam nahi hai.... Aur ye baat bhi sach hai ki mera koi Pota nahi tha.... Shayad pichle janam me maine koi Punya ka kaam zaroor kiya hoga tab jaa ke mujhe ye mila hai.... Isne mere aur mere Parivaar ke liye kya kya kiya hai ye batane ka abhi waqt nahi hai... Filhaal ke liye bas itna samajh lo ki ye mera Pota hai aur main iska Daddu.... Humara rishta khoon ka nahi balki dil ka jazbaaton ka hai.... Hum ek dusre se is tarha jud chuke hain ki ab to bas maut hi hum ko alag kar sakti hai.... Magar mere Pote ke rehte maut ki bhi kahan majaal ki wo mujhe chu sake....

Thakur Sahab : Bilkul sahi kaha Chacha ji aapne.... Sultaan me wo taaqat hai ki ye maut ka rukh bhi mod de.... Meri beti ko itna khush maine pehle kabhi nahi dekha.... Jitna khush use main aaj Sultaan ke sath dekh raha hoon.... Pichle 1 Saal se wo Koma jaisi haalat me thi Sultaan ke use chu bhar lene se meri beti me jaan wapis laut aayi is se ye saaf pata chalta hai ki Sultaan uske liye kya maayne rakhta hai.... Isme koi khaas baat zaroor hai.... Jo dekhte hi dekhte ye sab ko apna bana leta hai....

Daddu : Sahi kaha tumne Gajendra.... Rahi baat us khaas cheez ki to wo hai Sultaan ke pyar ka jaadu.... Ek baar jo use mehsus kar le wo Sultaan ka ho jaata hai....

Sultaan : Daddu aap sab aayenge ya bas wahan khade baaten hi karte rahenge....

Daddu : Aa rahe hain bhai.... Bas tu naraaz na hua kar....

Phir kuch soch ke....

Daddu : Us kameene Nanhe ki khabar main baad me apne tareeke se lunga.... Filhaal jis kaam ke liye yahan aaye hain use poora kiya jaaye....

Ye keh ke wo sab ko sath le ke Sultaan ki taraf badh jaate hain....

Thakur Sahab : Uski Band to main bhi bajaunga wo bhi apne Style se....
 
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kalyansurya

Well-Known Member
8,889
57,722
173
Smarty bhai mind blowing update
Nanhe ne aag to acchi tarha soch kar lagai the par bechare ki kismat he kharab nikali jo uska banda plan pura hone se phele he fut gaya our apni hand bacha kar bag nikala but kab tak bachta hai dhekhte hai
Rashi our Sultan ka kya rista hai our ye dono ek dusre ko kaise our kab se jante hai

..next update ka intjaar rhega.....
 
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,411
28,444
218

Jabardast update?
 
xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Status
Not open for further replies.
Top