Main ghar aa gya nani ko rota chhod kar kyu ki na mujhe ehsaas ho raha tha ki kya hai ye aur na sayad nani ko.
Sham tak ghar aa gya party hue aur jab sone ke liye jane laga toh maa mere room main aai
Main
Kuch kaam tha kya maa
Maa
Haan par agar meri baat manega toh nahi toh rehne de.
Main
Pehle baat toh batao
Maa
Tere birthday par mang rahi hoon Kabir mana mat karna
Main
Ok maa manne wali hogi toh jarur manunga
Maa
Tu jis ladki se pyar kar raha hai aur usse jitna time de raha hai kya apni maa ko utna time de sakta hai .
Main
Maa kya bol rahi ho aisa kuch nahi hai
Maa
Main maa hoon teri tu mere baap nahi hai
Itne dino se dekh rahi hoon ki din bhar phone par laga rehta hai aj bhi subah se gayab tha
Jab uski itni care kar sakta hai toh apni maa ke liye tere pass time nahi hai .
Tere papa bhi toh mahine main 15 din out of station hote hai teri maa bhi tou akele hoti hai par tere pass apni maa ke liye waqt nahi hai par kal ki aai ladki ke liye tu itna pagal ho rakha hai
Ye sun kar main ek dum apne ap par gussa ho gya ki maine nani ke dil ki baat toh sun li samjh li ki nana unhe time nahi dete par meri maa ka bhi wahi haal hai maa ne such he toh kaha hai ki papa 15 din out of station hote hai tab maa bilkul akeli hoti hai kyu ki main apne dosto main busy rehta hoon aur maa ghar par akeli
Wo bhi toh zindagi gujar rahi hai main nani ke liye unke ghar chala gya par apni maa ke sath bitane ke liye ek ghanta bhi nahi hai mere pass .
Maa
Kya soch raha hai yahi ki maa ke pass papa hai uske pass kaun hai
Chal thik hai uske sath he time spend kar kisi ko toh Tera waqt aur sath mil raha hai aur maa uth kar chal di
Ab unhe kya batau ki main kisi ladki se nahi unki maa se baat karta hoon wo bhi ap ki tarah akeli hai unhe mera sath chahiye par haan ap ko bhi meri sath chahiye.
Toh maine maa ko awaz di aur
Sorry maa main ap ki feelings ko itne salo se samajh nahi saka par promise ap ko bhi utna he time dunga jitna us ko deta hoon.
Ye sun kar Maa ne mujhe dekha unki aankho main ansu the par promise ki khushi bhi thi
Maa
Main intzar karungi Kabir kafi saal se akeli hoon agar meri beti bhi hoti toh time pass ho jata par tere papa ke baad tu he hai.
Aur room se chali gai aur main apne ap se ki aurte kitni akeli hoti hai hum matlab pati aur baccho ke sath he unki khushi aur gum hote hai nahi toh unki zindagi main kuch nahi hota.