Update 29 part b
Morning 9:30
Sana kal Aryan ka intezar karne ke karan late soyi thi isliye late uthti hai aur aryan ko phone lgati hai par aryan uska phone nhi uthata ab sana karn ko phone krti hai .
Karn- ji boliye bhabhi.
Sana- aryan kha hai .
Karn- woh toh subah 8 bje nikal gya tha rohan ke ghar jane ke liye.
Sana- maine kha tha ki jab wo uthe meri uske sath baat karana phone par.
Karn- woh darasal woh jab ja rha tha tab mein soya hua tha.
Sana- han ab uske nikamme ke dosto se umeed bhi kya rakh skte hai ( karn man mein sochta hai ki kitni gusse wali hai .yeh aryan iske sath rehta kaise hai )
(Sana ab uska phone kaat deti hai aur nahane chali jaati hai)
Morning 10:30AM
Sana ko karn ka phone ata hai .
Karn- bhabhi kha ho jaldi se mere ghar par aao aunty ko lekar.
Sana- kyu kya hua.( Thoda dar jaati hai)
Karn- bhabhi woh aryan ka accident ho gya.
Sana- kya kaise. haye alllah yeh ladka bhi na.( Ab puri ghabra jati hai )
Sana- usko jada chot to nhi lagi.
Karn- nhi bhabhi kafi chot ayi hai uski laat tang Tut gyi hai aur kafi chot bhi lagi hai sath mein bike toh puri tarah Tut gyi hai.
(Sana ke chehre par aryan ke liye fikar saaf nazar aa rhi thi aur uski ankhon mein halke halke ansu the)
Sana- par bewkuf tu usko ghar kyu lekar aya tere mein itni akal nhi hai mote dimag ke insan ki tujhe usko hospital lekar jaana chahiye tha.karn tere mein thoda sa bhi dimag hai ya phir toh koi saste nashe krta hai akal ke andhe (sana ab usko halki aawaz mein gali nikalti hai)
sana- (chutiya khi ka )ja usko hospital lekar ja.
Karn- are bhabi puri baat toh sunlo pehle hi bolna chalu kar rhi ho aap .mein usko hospital hi lekar gya tha doctor ne uski maram patti krdi hai aur uski laat par plaster lga hai.maine medicine bhi leli hai aur hospital se discharge lekar aa gya hun . doctor toh keh rha tha ki usko pure parivar ke pass rkho isliye mein usko ghar le aya.
Sana- toh idhar lekar ana tha bewkuf apne ghar mein kyu lekar gya.
Karn- bhabhi meine usko bola tha par woh maan hi nhi rha tha Sath mein wo medicine bhi nhi le rha hai bol rha hai kush nhi khayega .
Sana- meri baat krao uske sath.
Karn- mein abhi baat nhi kra skta .mein ghar se bahar hun abhi .
Sana- tum koi kaam thik se kar bhi skte ho bewkuf.
Karn- dekho bhabhi ab bahut ho gya aap ka . Ghar ayiye aur le jaiye isko waise bhi mera iske pishe 5000 ka kharcha ho gya aur mein toh thak chuka hun iske drami baji se.
Sana- jyada paise ki baat mat karo abhi mein tumhare account mein paise transfer krti hun aur haa rhi hun mein aryan ko ghar le jane .
Karn- le jaiye is musibat ko yaha se .
Sana ab karn ka call rakhti hai aur niche ja ke aryan ke bare mein ghar walo ko bta deti hai ab aryan ki maa aur sana karn ke ghar ki taraf ate hai .
Karn- sun aryan agar yeh teri biwi na hoti toh mein isko tamiz sikhata.
Aryan- kya hua bhai .
Karn- gali di mujhe or kya .
Aryan- bhai apko gali ki pari hai .mere ko toh tension ho rhi hai ki khi meri sana ya maa ke samne hasi na nikal jaye .
Karn- tu tension mat le sab plan ke hisab se hoga.
Aryan- thik hai bhai tum kho ge toh sahi hi hoga.
Idea aacha hai... Kaam lagta hai ban jayega... But Jiss tarah se cheezen ghat rahi hain... Mujhe yeh sahi nahi lag raha... Aapki Theory Lagta hai wohi hai... ( Jiss jhoot se kisi ka ghar base woh jhoot - jhoot nahi hota )
Ab suppose karo... Sab kuch plan ke according ho raha ho last mai Sana ko kahi se pata chal jaye ki jo kuch bhi hua sab natak tha.... Uske dil par kya beetegi... Jab yeh pta chalega... Suman jo use beti maanti hai usne bhi jhoot mai aaryan ka sath diya... Aise mai Lagta hai sab cheezen theek ho payegi.. jhoot kitna hi safayi se bol lo sach akhir mai saamne aayega hi... Sana ke liye kafi bura lag raha hai... Iss scene se uske dil ke saath khela Jaa raha hai...
Story preview...
Sana ka prospective...
Pehle gharwalo ne shaadi karwa di... Woh bhi sirf 21 ki umr me... Jisse use kaafi suffer karna pada... Na use sasural me pyaar Mila na pati se saath usne bhi apna business ke liye divorce de diya... Aur Ghar ke Naukar ke bete ke saath uska Halala ( Nikaah ) krwa diya... Woh ab Tak sambhal bhi nahi payi thi ki ek ke baad ek dukh usko milta Jaa raha hai... Usko Aaryan se lagaav hua qyunki usne usme khud ko dekha uska nikaah bhi 21 ki umar mai hua tha... But Aaryan sirf use Kiya apne matlab ke liye Sex ko bhookh mitane ke liye... Jabardasti karna uske baad ro kar dikhana ki mai pyaar karta hoon... Nahi toh mar jaunga sach mai immature behaviour dikhata hai... Abhi Ek Aur khel khela Jaa raha hai Sana ke saath... Agar iss cheez ki bhanak Sana ko ho gayi toh I don't know Uspar kya beetegi...
Suggestion... Regarding situation...
Sana ko Aaryan ka pyaar ghar jaane se roke toh maja aayega padhne me... Jisme koi jhoot na ho... Jisse Sana ke dil ko thess na phunche abhi iss situation mai usko imotional blackmail Kiya Ja raha hai... Abhi Sana hi care kar rahi hai aaryan ki / Situation Flip hoti Aaryan Sana ki care krta usko chalne me madat karta usko dawa khilata tab shayad kahani me jo cheez missing hai romance woh dekhne ko mill jata hope soo... Abhi kuch bhi nahi hua hai... Abhi 19 din hai Sana ghar me... Dekhte hai aage kya hota hai...
Writer's Review...
Story kaafi badhiya hai aapki... Update regularly time pe aa rahe hai... Padhne mai bhi maja aa raha hai... New writer ke hisaab se samjh sakte hai.. kaafi kamiyan hai story me but regular updates bhut bada plus point hai abhi tak mere liye....
Kaafi nibba nibbi waala game chal raha hai abhi... Koi naraj hai usko manane ke liye.. khud ka accident krwa dena jhoot ka... Iss just like ( tum mujhe nahi mili toh mai nass kaat lunga.. ) 2025 ke hisaab se thoda upgrade karenge kaafi interested ho jayegi story padhne mai... Baaki aapki marji...
And Sorry mera review dekh aapko Aisa lag sakta h ki negetive hai... Mai bhi khud ko rokta hoon kisi ki story par gyaan dene se... But kabhi kabhi nikal jata hai... Kya karun... Maaf kar dena koi baat galat lagi ho toh... Mera koi intention nahi baaki best of luck apko... Mera story par first and last comment bhi ho sakta h... According to aapko kaisa laga padhkar...
Baaki congratulations

for story and best of luck...