Update 33 part2
Sana ne sara ghar ka kaam kar liya hota hai aur dinner bhi ready tha aur tabhi unke ghar ki doorbell bajti hai .
Sana- karan bhaiya aa gye aap .
Karn- ji bhabhi aap ne itne pyar se bulaya hai toh main aaunga hi .
Sana- bhaiya aap abhi bhi bahar kyu khade hai andar ayiye.
Karn- waise kehna padega Ghar bahut khubsurat hai aap ka .
Sana- ji shukriya.
Karn- aryan kaha pe hai .
Sana- ji woh apne room mein hai .
Sana- aap baithiye mein abhi usko lekar ati hun.
Karn- bhabhi aap chinta mat karo aap ek kaam karo utni deriaap dinner serve karne ki taiyari karo mein usko khud le ayunga .
Sana- ji thik hai .
(Karn aryan ke room mein usko lene jata hai )
Karn- kyu be saale kaisi chal rhi hai teri jhuti zindagi.
Aryan- ek dum bakwas .
Karn- par sana toh aa gyi naa teri baton mein.
Aryan- han .
Karn- toh phir ab kya problem hai .
Aryan- problem yeh hai ki aur kitni der tak yeh natak chalega .mera toh dil kar rha hai apne pairo pe chalne ka par main kuch nhi kar paa rha hun .
Karn- dekh bhai agar sana ko pana hai toh itna toh phir karna hi padega.
Aryan- problem yeh nhi hai bhai.
Karn- toh phir problem kya hai .
Aryan- baat yeh hai ki mujhe ab yeh ehsas hua ki jo bhi hum kar rhe hai woh galat hai aur is se humein sirf future mein dukh hi hoga . Bhai apko pta hai woh kitni sahi bandi hai mere liye woh kitna kuch kar rhi hai aur mein abhi bhi yeh dhong kar raha hun.
Karn- dekh aryan hamare pas aur koi rasta nhi hai aur agar tumne usko sach bola to bhul jana ki woh kabhi wapis ayegi tere paas .
Aryan- bhai ek baat kahu .
Karn- bol .
Aryan-mujhe lagta hai main sana ko bilkul bhi deserve nhi karta . Sana bahut achi hai aur mein ek no ka nikkama aur jhuta insaan hun.
Aryan - woh bechari mera do din se khyal rakh rhi hai aur main chutiya usko yeh bhi nhi bta sakta ki yeh sab ek drama chal rha hai aur mere ko andar hi andar yeh baat khaye ja rahi .maine soch liya hai main usko sab sach bta dunga.
Karn- nhi bhai aisa bilkul bhi mat karna sari mehnat par paani fir jayega .
Aryan- par bhai mein sana se ab pyar karta hun aur mujhe lagta ki jab 2 life partner ek sath rehne lagte hai tabhi woh dono kuch na kuch ek dusre ke liye efforts karte .ek dusre ka khyal rakhte hai aur mein toh jab se woh is ghar mein ayi hai usko takleef de raha hun .
Karn- dekh bhai Teri baat mein samajh sakta hun par abhi is natak ko chodkar hum kuch kar nhi sakte .
Aryan- thik hai bhai jaisa tum kaho .
Karn- chal ab aa tere ko mein dinning table tak chod du sana bhi hamara wait kar rhi hogi .
(Karn ab aryan ko sahara de kar dinning table tak le ata hai )
Sana- kya baatien kar rhe the kafi time lga diya aap dono ne .
Karn- kuch nhi bas aise hi (ghabrate hue )
Aryan- waise dinner mein bnaya kya hai .
Sana- dinner mein aaj bnaye hai rajma chawal aur mix veg .
(Sana ab dono ko dinner serve karti hai aur sabhi dinner karna shuru karte hai )
Karn- bhabhi lagta hai aapke hatho mein toh jaadu kya khana bnaya hai apne .
Sana- thanks bhaiya aur han sath mein sorry bhi us din thoda rudely baat karne ke liye.
Karn- Kya bhabhi koi baat nhi itna toh chalta hai aur waise bhi aryan mera bhai hai aur agar bhai ki biwi ne thoda dant bhi diya toh kya hi ho gya .
Aryan- karn bhai waise tumhari tution kaise chal rahi hai .
Karn- abhi toh kuch nhi chal raha .
Aryan- kyu .
Karn- kuch nhi bas ek mahina ka break liya hai .bacho ke exam abhi 2 hafte pehle khatam huye hai aur woh bhi 1 month ka break mang rhe the toh main socha kyu na break hi liya jaye .
Aryan- sahi hai .
Sana- waise bhaiya agar apka break hi chal rha hai toh aap mere aur aryan ke sath delhi chalenge.
Aryan- par sana tumne toh mujhe yeh btaya nhi ki tumhara mujhe delhi le jane ka koi plan hai .
Sana- woh aryan darasal baat yeh hai ki delhi mein ek kaafi ache doctor hai aur hina bhi unke sath hi kaam krti hai .hina ki mujhse tumhari injury ko lekar baat huyi thi aur usne bola ki tumhe turant delhi lekar aa jau taki tumhara yeh jo paer fracture hua hai jaldi thik ho jaye .
(Yeh baat sunkar Aryan aur karn puri tarah ghabra jate hai aur dono ko kuch samajh nhi aa rha hota )
Aryan- par sana delhi jane ki kya jarurat hai yaha bhi toh ache doctors hai .
Sana- nhi aryan tum samajh nhi re .agar jaldi thik ho jayoge toh tumhare liya hi acha hoga aur sath mein mujhe is shehar ke doctors par bharosa nhi hai .
Karn- par bhabhi aap delhi jaise expensive shehar mein rahoge kaise .
Sana- Bhaiya rehne ki chinta nhi hai maine paiso ke baare mein papa se baat kar li hai aur sath agar paiso ki itni hi koi baat hogi toh hum hina ke ghar mein ruk sakte hai woh waise bhi akele hi rehti hai .
(Aryan aur karn ab ek dusre ki shakal dekh rahe hote hai )
Karn- nhi bhabhi aap samajh nhi Rahi ho is waqt aryan ko ghar mein hi acha lagega apni family ke sath . family ke sath ki wajah se woh jyada jaldi recovery hoga .
Sana- dekhiye bhaiya bura mat maniye ga par mujhe lagta hai ki mein aryan ka khyal ache se rakh lungi akele hi aur sath mein jaha tak family support ki baat hai toh kya mein iske parivaar ka hissa nhi hun .
Aryan- nhi sana aisi koi baat nhi hai par .
Sana- par var ko chodo yeh btao kya tumhe bhi yeh lgta hai ki mein akele tumhara khyal nhi rakh paungi .
Aryan- nhi sana aisi koi baat nhi hai mujhe pta hai ki tum meri care ache se kar logi.
Sana- toh phir ho gya faisla mein aur tum kal mummy ji ke ane ke baad delhi ke liye rawan honge .
Karn- par sana aryan waise bhi thik nhi hai aur sham ke time pe train se isko lekar Jana mujhe nhi lagta sahi hoga .
Sana- bhaiya is baat ki tension mat lijiye.maine pehale hi delhi tak jane ke liye car book karali hai papa ko keh kar bas aap yeh btaiye ki kya aap bhi sath chaloge .agar aap bhi sath ayoge toh aryan ko hi acha lagega.
Aryan- haa bhaiya chaliye naa sath mein.
(Karn aryan ki taraf gusse se dekhta hai )
Aryan- acha sana woh mera man kar rha tha thoda bahar jaane ko toh kya mein karn bhai ke sath 10 min bahar Jaa sakta hun unki bike par ek round ki baat hai bas .
Sana- bilkul bhi nahi .
Aryan- ek round ki baat hai sana please mujhe jaane do naa .
Sana- thik hai bhaiya par isko 10 min ke andar ghar par chod dena .
Aryan- toh chale karn bhai .
Karn- haa kyu nhi .
(Ab karn aryan ko apni bike pe bithata hai aur done round marne ke liye nikal padte hai par dono sana ki baat sunkar tension mein aa gye the )
Aryan- karn bhai meri tang sach mein Tod do yaar nhi toh bura fasenge .
Karn- bura fasenge nhi balki hum toh fas gye beta ab toh upar wala hi bachaye .
Aryan- are apka toh phir bhi thik hai mujhe toh woh ab pakka chod ke chali jayegi.
Karn- koi baat nhi bas ab tu yeh man le ki tum dono ka sath ab yahi tak tha aur jakar usko sab sach bta de.
Aryan- nhi bta sakta.
Karn-nhi bta sakta par sale pehle toh bol rha tha ki sab sach bta dunga .
Aryan- woh toh aise hi .bhai kuch karo na mujhe toh bahut dar lag rha hai .
Karn- abe mein kya karu mujhe khud teri biwi se dar lagta hai upar se uska baap bhi koi bada admi lagta hai .
Aryan- phir ab kya karenge.
Karn- kuch nhi bas tum delhi jao aur ane do sare sach ko bahar .
Aryan- nhi bhai koi toh rasta hoga .
Karn- ek tarika hai .
Aryan- kya
karn- agar uski saheli bhi hamare plan ka hissa ban jaye toh .
Aryan- par woh hamare plan ka hissa kyo banegi .
Karn- woh banegi ya nhi yeh toh us se baat kar ke hi pta lagega tu ek kaam kar tu emotional ho kar us se baat kar kya pta maan jaye.
Aryan- aur agar nhi mani toh .
Karn- toh phir jo hoga dekha Jayega .
Aryan- thik hai bhai agar woh nahi mani toh mein khud sana ko sab sach bta dunga aur haan ab mere ko ghar drop kar do .
(Karn aryan ko uske ghar chod kar chala jaata hai )
Sana- toh kaisa laga bahar ghum kar .
Aryan- bas thoda sa acha lag raha hai.
Sana- tumhari medicine room mein rakh di hai aur bas mein bhi 10 min mein change kar ke tumhare paas hi aa rhi hun.
Aryan- nhi sana woh mein keh raha tha ki aaj mere thodi pain jyada hai toh mein akela hi so jaunga tum bhi apne room mein jaa kar aram se so jao .
Sana- thik hai jaisa tum kaho .
Aryan- bye good night.
Sana- good night par han medicine yaad se le Lena .
Aryan- thik hai tum chinta mat karo mein medicine kha lunga.
(Ab sana apne room mein sone chali jaati hai aur idhar aryan hina ko call lagata hai )