• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Naukar ke bete ke sath nikkah

Neerav

Active Member
1,456
2,164
144
Msst bhai
 

ARTICUNO

Active Member
628
812
94
Update 38
(Ab woh sabhi hina ke ghar ki taraf car se jaa rahe hote hai.koi bhi pure raste mein kuch nhi bolta sab chup chap hi baithe hote hai par aryan ki overthinking phir se chalu ho jaati hai .aryan ko apni harkaton par ab regret ho rha hota hai woh man mein khud se hi baatein kar rhi hota hai )
Aryan- kya yaar main bhi kitne din tak yeh natak karta rahunga.
Mujhe lgta hai ab mujhe sab sach sana ko bta hi Dena chahiye is roj ke jhuth se bhi bachunga par agar maina aisa kiya toh shayad woh mujhe chorr kar chali jaye gi toh phir mein kya karunga
(Ab sab hina ke ghar pahunch hi jaate hai )
Sana- chalo aryan ghar chale aur yeh tum ab kya udas sa chehra bna kar baith gye ho.
Aryan- kuch nhi bas Ghar Jane ka dil nhi kar rha .
Hina- ab kya ho gya is devdas ko jab dekho iska randi rona khatam ho nhi hota. Kyu be aryan tu pichle janam mein ladki tha kya .kya chotti si baat par udas ho gya hai .
(Sana ko aryan ki fikar ho rhi thi isliye woh aryan ke galon par apna hath rakhti hai aur usko console krti hai )
Sana- kya hua aryan itne dukhi kyu lag rhe ho .kya tumhe atul ki baat ka bura laga.
Aryan- nhi sana aisi koi baat nhi hai
Sana- toh phir andar kyu nhi ana chahte ho
Aryan- tum jao aur hina ji ko bhi sath le chalo mujhe karn bhai ke sath koi important discussion karni hai .
Hina- thik hai bhai tum karo apni discussions mere ko nind aa rhi hai main toh chalu sone.
Sana- thik hai jo baat karni hai karlo par time pe andar aa jana raat bahut ho gyi hai .
(Sana bhi hina ke sath andar ghar mein chali jaati hai aur ab karn aur aryan akele hote hai )
Karn- kya baat karni hai tere ko is waqt .
Aryan- bhai maine soch liya hai.
Karn- ab kya soch liya tune .
Aryan- ki main sana ko sab sach bta dunga .
Karn- kya bakwas kar rha hai tu pagal ho gya hai abhi toh ghadi track par ayi hai aur tu phir sab barbad kar dena chahta hai .
Aryan- nhi bhai ab mujhse aur jhuth nhi bola jayega main bhi ab sana ko jhuth bol bol kar thak chuka hun.
Karn- dekh bhai main teri baat ko samajhta hun par kuch hi din ki toh baat hai phir tum dono mein sab normal ho jayega.
Aryan- agar is jhuth se sab normal ho bhi gya toh kya hi fayda kyunki is kaaran mein hamesha guilty mein hi rahunga ki hamare pyar ki buniyad ek jhuth par tiki hai .
Karn- main bhi toh wohi bol rha hun ki yeh buniyad tik jayegi par agar tune usko sab sach bta diya toh woh tujhe chorr kar chali jayegi.
Aryan- is baat ka toh dar hai par mujhe dusra koi aur rasta nhi nazar aa rha hai
Karn- dekh bhai jo bhi kuch dinner par hua us se saaf pta chalta hai ki woh tujhse bahut pyar karti hai par agar tune usko sab sach bol diya toh woh phir pehle ki tarah Tut jayegi bechari aur tub ab kitna dukh dega usko.mujhe nhi pta ki woh tere sath reh bhi kaise rhi hai agar koi dusri hoti toh tujhe chorr ke jaati toh jaati par domestic violence aur 10 naye case lga kar jaati tere upar.
Aryan- bhi bhai ab aap galat bol rhe ho agar woh mujhse pyar karti hai toh kaise bhi kar ke mere sath reh legi aur agar nhi karti toh kya hi farak padta hai (aryan aisa bolkar car mein baitha baitha hi rona chalu kar deta hai )
Karn - dekh bhai mujhe nhi pta ki tere dimag mein kya chal rha hai par agar tune usko sab sach bta diya toh phir sana ka toh pta nhi par yeh bul jaana ki tera koi karn bhai tha.
Aryan- bhai yeh aap kya bol rhe ho.
Karn- sach bol rha hun .
(Aryan ab toh puri tarah fas chuka tha usko samajh nhi aa rha tha ki woh ab kya kare )
Karn- ab ho gyi tumhari baat khatam.
Aryan- han .
Karn- toh chale ab ghar mein .
Aryan- ji chale .
(Karn aur aryan ab ghar mein enter krte hai .Sana aur hina sofe par baith kar hi baatein kar rhi hoti hai )
Sana- aryan ab kaha Jaa rhe ho idhar aakar baitho na.
Aryan- nhi mujhe nind ayi hai main sone Jaa rha hun .
(Ab karn aryan ko uske room mein chorr kar hina ke paas aakar baith jaata hai )
Sana- karn bhaiya apka bahut dhanyawad.
Karn- par kis bat ke liye .
Sana- agar aap yahan nhi hote toh mein shayad aryan ka itna ache se dhyan nhi rakh pati .
Karn- itni si baat.
Sana- yeh itni si baat nhi hai bhai kon aaj kal is tarah dosti nibhana janta hai .
Karn- are aisi koi baat nhi aryan ne bhi mere bahut help ki hui hai .
Sana- mujhe toh lgta hai ki aaj us atul ke ghar jaan hi nhi chahiye tha .
Karn- main bhi yeh hi soch rha tha .
Sana- waise aryan aapse kya baat kar rha tha ki itni der lag gyi .
Karn- kuch nhi bas thoda tension mein tha .
Sana- kaisi tension.
Karn- woh hi kaam ko lekar bol rha tha ki pta nhi kab thik hoga .kab usko kaam milega kab woh paise kamayega taki log tumhein tane marna band kare .
Sana- yeh sab us manhoos atul ki wajah se hua hai .
Sana- aryan bhai ek baat bolu mera koi bhai nhi hai par mujhe lgta ki agar mera koi asli bhai hota toh aap jaisa hi hota .maine apko kitna galat bola par phir bhi apne koi ulta jawab nhi Diya .
Karn-yeh kaisi baat karti ho agar bhai manti ho toh kya hi fark padta hai ki tumne mujhe kya bola ya nhi .
Sana- karn bhaiya ek aur request thi .
Karn- kya bolo na
Sana- dekhiye bura mat maniyega par kya aaj aap sofe par so skte hai mera dil kar rha hai ki mein aaj aryan ke paas jakar hi so jau.
Karn- tumhe jahan sona hai so jayo meri chinta mat karo main so jaunga sofe par hi .
Sana- thanks bhaiya.
Karn- are ab bas bhi karo kitni baar thanks bologi .
(Sana ka mood ab thoda sa pehle se thik hota aur woh apne room mein jakar change karti hai aur aryan ke room mein chali Jaat hai )
Mast update hai bhai ... Ab dono ka pyaar aisa hi bhadta rahe aur dono ek nayi zindagi ki shuruwat kare .... 🥂🎊
 

nktubhg

New Member
60
889
84
Update 39
Sana aryan ke room mein enter karti aur aryan abhi bhi jaga hua hota hai .


images-4
Sana- kya baat hai abhi tak soye nhi .
Aryan- bas nind naha aa rhi hai .
Sana- par bahar toh keh rahe the ki sone Jana hai .
Aryan- pta nhi thodi si thakawat thi tabhi isliye aisa lag raha tha .
Sana- waise aaj kafi ache dikh rhe the tum .
Aryan- acha par kya fayda tumhe toh meri shakal toh pasand nhi hai .
Sana- aisi baat nhi hai baby woh toh bas mein gusse mein bol deti hun aur tumni itni si baat ka bura man gye .tumhe pta bhi hai logon ki biwiya aaj kal apne sohar ke sath kitna bura karti hai tum apne rab ka shukar karo ki mujh jaisi wife mili hai tumhe.
Aryan- acha .
Sana- bilkul.
Aryan- waise aryan baat toh tumhari sahi hai tum ho toh bahut achi aur sath mein kafi Sundar bhi ho .
Sana- shukriya janab par mein aaj yeh puch sakti hun ki in kanton mein se aaj khushboo kaise aa rhi hai .
Aryan- bas aise hi aaj socha tumhari jhuthi tarif hi krdu .
Sana- dekha mujhe pta tha tum nhi sudarne wale mujhe lag hi rha tha ki ab tak janab ne koi ulta jawab nhi diya.
Aryan- aur tum jo abhi kanton se compare kar rhi thi uska kya.
Sana- acha thik hai tumko phir mujhse ladna hai toh mein yahan se chali jati hun.
Aryan- are ruko toh sahi kahan jaa rhi ho .
(Aryan ab sana ko apni bahon mein pakad leta hai )
Sana- ab kyu rok rhe hai.
Aryan- tumhe isliye roka kyunki tumse koi important baat karni thi.
Sana- kal kar lenge aaj mein thak gayi aur us bewkuf atul ki wajah se mera sara sar dard kar rha hai .
Aryan- nhi sana please aaj baat sun lo us din bhi tumne meri baat ko bich mein hi kat diya tha .
Sana- thik hai karo kya important baat karni hai tumko.
Aryan- sana yeh baat jo mein tumhe bta rha hun shayad iske baad tum mera chehra bhi na dekhna chaho.
Sana- kyu tumne phir se koi galti kardi kya baby koi baat nhi ho gyi hai toh mat btao tum yeh samajh lo ki maine tumhe maaf kar diya.
(Sana aisa bolkar aryan ko ek kiss karti hai )


kiss-kissing
Aryan- nhi sana yeh baat btaye bina mujhe ab shanti nhi milegi.
Sana- toh phir bta do kya baat hai.
Aryan- ek baat ka jawab do.
Sana- kya
Aryan- tumhhei nhi lagta ki tum agar atul ka proposal accept kar leti toh jyada acha rehta
Sana- ab tumne yeh kya bakwas kar rhe ho
Aryan- baat ka jawab do sana
Sana- bilkul bhi nhi mein tumse pyar karti hun toh uske paas kyu jaungi .
Aryan- kya sach much tum mujhe itna pyar karti ho.
Sana- tumhe koi shak hai
(Sana ab aryan ko fir ek kiss karti hai aur aryan bahut dukhi ho jaata hai jis karan uski ankhon se ansu behne lagte hai)
Aryan-sana tum kitni perfect ho aur mein nalayak tumhare bilkul bhi layak nhi hun.
Sana- kya baat hai aryan yeh tum ro kyo rhe ho .kya us atul ki baat ka bura lga hai tumko.
Aryan- uski baat ka bura nhi lga par main apni karni par khud pachta rha hun
Sana- aryan baat kya hai saaf saaf btao na .
Aryan- wohi toh dar hai sana agar tumko bta di toh mujhe chorr kar chali jayogi kyunki maine galti hi aisi ki hai.
Sana- nhi aryan ab kuch bhi ho jaye main ab tumse or jhagda nhi karna chahti kya baat hai bta do main kuch nhi kahungi aur tumhe abhi lgta hai ki itna sab kuch hone ke baad bhi mein tumhe kabhi chorr kar ja sakti hun.
Aryan- mujhe bhi yahi lagta hai ki agar tum mujhko pyar karti ho toh kahi nhi jayogi aur agar nhi karti toh phir mein tumhe rok ke kar bhi kya lunga
Sana- dekho baat kya hai aryan yeh btao pehle hi tum bahut idhar ki udhar ki baatien kar chuke ho.
Aryan- darasal baat hai ke maine tumhe manane ke liye jhuth bola.
(Sana aryan ki chest par apna sar rakh deti hai )
Sana- toh phir kya hua mujhe manane ke liye hi bola na waise jhuth kya tha.
Aryan- sana darasal sach baat yeh hai ki mera koi paer nhi tuta main bilkul thik hun ham sab ne tumhe manane ke liye sirf itna bada drama Kiya tha .
Sana- kya (sana ab puri tarah shock mein thi usko apne kano par vishwas nhi aa rha tha ki aryan ne itni galtiyo ke baad bhi sana ko phir dhokha diya hai )
Sana- yeh tum kya bol rhe ho kya yeh sach hai .
Aryan- han sana par ek baat kahu yeh bas akhri baar tha aage se mein aisa
(Sana aryan ki baat ko pura hi nhi hone deti aur aryan ko ek thapad lgati hai .Sana ke emotions is waqt puri tarah high ho chuke the)
Sana- toh iska matlab tum sab ghar wale milkar mere sath yeh naatak kar rhe the aur mein idhar guilt mein ji rhi thi ki mere sath jhagda karne ki wajah se tumhara accident ho gya aur tum itni chot lag gyi hai .
Aryan- sana meri baat toh suno
Sana- nhi mujhe ab tumhari koi baat nhi sunani bahut khel liya tumne meri feelings ke sath ab aur kuch jhuth nhi sunana chahti.(Sana aryan se baat karte karte rone lgti hai)


bfcc137be0906f66e7f9c2af50af5183
Sana- bas karo aryan koi explanation dene ki zarurat nhi hai .tumhe pta kitni taklif hoti hai jab apko koi baar baar hurt karta hai par phir bhi aap usko ek mauka dete hai us pura vishwas karke par phir woh insan wohi karta hai jiska dar hota hai .
Aryan- sana mein kya karta.mein bhi majboor tha tumko khone ke dar se mujhko yeh natak karna pada.
Sana- tumhe pta hai mujhe is baat se itni taklif nhi hui ki tumhare ghar walo ne ya hina ne bhi mujhko jhuth bola par tumhare yeh natak ki wajah se mujhe bahut hurt ho rha hai pta hai kyu kyunki mein tumse mohabbat karne lgi thi par fir hua jo har baar mere sath hota aa rha hai .
Aryan- sana please rona band karo mere se tumhari yeh haalat dekho nhi jaa rhi .
Sana- wah janab pehle khud rulate ho aur phir baad mein thik se rone bhi nhi dete .tumko pta hai main tumko delhi lekar ayi tumhari itni seva ki par mujhe kya mila dhokha .
Aryan- sana please ek baari meri baat sun lo
Sana- mere ko tumhari koi baat nhi sunani bas mujhko yeh btao ki yeh plan bnaya kisne tha .
Aryan- darasal baat yeh hai ki
Sana- maine tumse koi baat nhi puchi sirf naam bta do .
Aryan- karn bhai (aryan thoda hichkichata hai par naam bta hi deta )
(Sana karn ka naam sunte hi room se bahar jaati hai jahan par karn aur hina baatein kar rhe the aur wahan jate hi karn ko ek thapad marti hai )
Hina- kya hua hina tumne is bechare ko thapad kyu maara pehle toh bada iski bhai bhai bula rhi thi.
Sana- jyada bano mat hina aryan ne uske fracture ke baare mein sab kuch bta diya hai .
Sana- kyu karn mere ko tum behan mante the na toh kya yeh tumhare ghar walo ne sikhaya tha ki behan ko hamesha dhokhe mein hi rakhte hai aur kya ek baar bhi tumne yeh nhi socha ki sana ko mein sab sach bta du .
Sana- ab mein aryan ko bhi kya kahu yeh sab tum logon ki galti hai ki woh aisa hai aur tum logo ne kabhi usko apni galti ka ehsaas bhi nhi hone diya.
Sana- hina tum toh meri saheli thi na tum mujhe sab sachai bta deti par tumne bhi mere sath wahi Kiya .
(Karna aur hina dono ab apna muh niche kar lete hai sharam ke maare aur sana virhande mein hi baith kar rone lgti hai )
 

niteshdev

New Member
12
9
3
Pls Sana ko Aryan ke upar ykeen ho jaye please Sona Aryan ke bich sab sahi kr dijiye please 🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏 na pls sir
 

mohit1996

New Member
45
57
18
Waiting
 

Aar am

Active Member
1,928
984
114
Aryan ab sana ko ek ache pati ki tarah pyar de
 

akkamonster

7ft akka monster
4
0
1
Bhai story sana aryan ke Bich hi rehne do love romance struggle

Bich me aur koi mat lana

Puru story kharab hogi

Best story hai ❤️
 
Top