• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Naukar ke bete ke sath nikkah

Which character do u like the most

  • Aryan

    Votes: 25 78.1%
  • Sana

    Votes: 17 53.1%
  • Karn

    Votes: 5 15.6%

  • Total voters
    32
  • Poll closed .

ARTICUNO

Active Member
799
988
94
Update 52 part 2
Morning 11:AM

Sana abhi bhi apne room mein hi so rhi thi isliye neha apni maa ke kehne par neha ko uthan uske room mein jaati hai .

images-1

Neha- bhabhi ab uth jao dekho na kitna time ho gya hai .
Neha - uth jao bhabhi please nhi toh baad mein maa dante gi .

(Neha ke aise 2- 3 awazein lagane par bhi sana nhi uthti .sana ko bahut gehri nind ayi thi isliye woh abhi uthna nhi chahti thi sath mein nind ki wajah se usko aisa lag raha tha ki aryan usko utha Raha isliye nind mein hi jawab Dene lagti hai )

Sana- kya baby sone do na abhi raat ko hamne kitni baatien toh ki thi aur yeh tum ladkiyo ki awaazien kyu nikal rhe ho .

(Sana ki baat sunkar neha muskarane lagti hai )

Neha- bhabhi mein aryan nhi neha hun aur please utho ab bahut time ho gya hai tumko sote hue .
(Sana neha ki baat ka koi jawab nhi deti isliye neha usko uthane ke liye uski chadar ko hata deti hai aur sana ko sirf bra aur panty mein dekh kar chonk jaati hai )

(Neha ke aisa karne se sana nind se jaag jaati hai )

images
(Neha man mein soch rhi thi ki sach mein aryan ki qismat hai bahut sahi ki usko sana jaisi khubsurat biwi mili hai jo itni age mein bhi bilkul kisi hot model se kam nhi lagti )

Sana ki nind khulte hi uski nazar neha par padti hai jo usko dekh kar muskra rhi thi .

Sana- kya neha aise kyo has rhi ho .
Neha- kuch nhi bas aise hi
Sana- aise hi matlab.

(Sana ko tabhi yaad aata hai ki usne sirf bra aur panty pehni hui hai jis se woh sharm ke maare apni body ko neha ke samne apne hathon se cover karne lagti hai sath mein neha ke hathon se chadar lekar phir bed par let jaati hai)

images-3
Neha- are bhabhi tum toh aise sharma rhi ho jaise maine tumko aise pehli baar dekha hai yaad nhi jab suhagraat wale din maine hi toh tumhare room ki safai ki thi aur tumko tumhare undergarments bhi toh diye the

Sana- tumko sharam nhi aati neha mujhse aisi baatein karte hue .
(Neha abhi sana ke paas aakar baith jaati hai )
Neha - Kya bhabhi tum aise hi mujhe dant rhi ho waise yeh btao kal tumhare aur aryan ki bich kuch hua tha kya .
Sana- chup kar besharam.
Neha- aisa bhi kya sharma rhi ho btao na .
Sana- nhi hamare bich kuch bhi nhi hua kal aur agar hua bhi hoga toh mein tumhe kyu btao .
Neha- Kya bhabhi tumhari nanad hun itna toh mere jaanane ka haq banta hi hai .
Sana- nhi ji tumhara koi haq nhi Banta yeh sab jan ne mein .
Neha- acha thik hai nhi btana toh mat btao par yeh toh btao bhai ki performance kaisi hai bed par .

(Neha ki baat sunkar sana sharma jaati hai )
Neha- aisa bhi kya sharma rhi ho bhabhi
Sana- tu kya karegi yeh sab jaankar
Neha- are yaar kitna nakhra karti ho bhabhi please btao na .
Sana- acha baba btati hun.
Neha- bolo na phir
Sana- achha hai
Neha- sirf achha
(Neha ki baat sunkar sana ko aryan ke sath bitayi pehli raat aa jaati hai jab woh usko zabardasti god pe bithakar pyar kar rha thi jis karan woh bhi muskrane lagti hai )
Neha- Kya bhabhi kuch yaad aa gya kya .
Sana- chup kar neha dimag mat kha .
Neha- acha chup kar jaati hun par pehle btao aryan ke sath tum khush toh ho na .
Sana- han bahut khush hun aur tumhara bhai ki performance toh zabardast hai .
Neha- sach mein
Sana- bilkul aur han ab tumne Mera bahut dimag kharab liya ab jayo yahan se .
Neha- achha bhabhi chali jaati waise bhi mein tumko jagane ayi thi .
Sana- woh kyu
Neha- are tumne time nhi dekha kya kitna ho gya .

(Sana ab ghadi ki taraf dekhti hai)
Sana- are baap re itna time ho gya neha mujhe tumko pehle utha dena chahiye tha .
Neha- chalo koi baat nhi waise bhi lagta hai tum kal raat ko kafi thak gyi thi mere bhai ki wajah se .
Sana- tu nhi sudharne wali na neha aur han ab jaa yahan se mein bhi taiyar hokar niche aari hun .

Neha - thik hai baba jaati hun par tum bhi jaldi niche aa jana nhi toh maa phir dant lagaye gi .
(Neha ab sana ke room se niche jaane lgti hai )

Sana- achha sun
Neha- Kya hai ab
Sana- yeh Kahan par gye hai .
Neha- aryan
Sana- han aryan ji .
Neha- pta nhi bhabhi Kahan par gya hai maa toh keh rhi thi ki subah subah hi kahi par chala gya .
Neha - waise ek baat kahu
Sana - kya
Neha- mujhe yeh baat sanajh nhi aati ki mein toh aryan se badi hun phir bhabhi tum mujhe aap keh kar nhi bulati aur is nikamme aryan ke piche ji laga rhi ho .
Sana- aisa isliye pagal ki woh mere sohar hai dusra tum unhe aise nikamma mat bola karo mujhe acha nhi lgta .
Neha - itna pyar kya baat hai bhabhi lagta hai yeh aryan bed par kuch zyada hi achha hai .
Sana- tu ruk tu aise nhi manegi besharam mein abhi tujhe btati hun.

Neha- rehne do bhabhi mere paas aane ki koi jarurat nhi waise bhi mein jaa rhi hun .

Neha ab niche chali Jaati hai aur sana bhi nahakar taiyar ho jaata hai .

e0a35a53dcaa1bed14e57557d8d6dca0

(Sana bhi ready hokar abhi niche aati hai jahan par suman kitchen mein kaam kar rhi hoti hai )
Neha- wah bhabhi yeh suit tum par bahut achha lag rha hai .
Sana- kya sach mein
Neha - or nhi toh kya tumko kya lagta hai mein tumhe jhuth bol rhi hun.
Sana - achha yeh sab baatien chorr bta maa ji kahan par hai .
Neha- woh kitchen mein kaam kar rhe hai .
(Sana ab apne kitchen ki taraf jaati hai )
Suman- are uth gyi tu beta .
Sana- ji maa aur aap yeh kaam kyu kar rhi hai layiye mein kar deti hun waise bhi aap subah se kaam kar rhi hai .
Suman- nhi beta koi baat nhi mujhe pta hai tu kal bahut thak gyi thi isliye itna der se uthi hai sath mein tu fikkar mat kar neha ne bhi meri help kar di hai.
Sana- koi baat nhi maa ji mein kar leti hun kaam aap baith jayiye .
Suman- dekho sana zyada zid mat karo nhi toh aryan ke jaise ek chanta jadte hai ek tumko bhi jad denge aur chalo chup kar ke bahar baith jao hum tumhare liye nashta lgate hai (Suman aisa pyar se bolti hai )
Sana- thik hai maa ji

(Sana ab bahar jaakar table par baith jaati hai jaha par ram lal bhi baithkar nashta kar rha tha jab sana usme paas aakar baith jaati hai toh woh uth kar dusri chair par baith jaata hai .jab woh aisa karta hai toh sana ko kafi ajeeb lgta hai par woh kuch nhi bolti )

Sana- papa agar apko kuch chahiye hoga toh mujhe bta dijiyega mein apke liye le aaungi.
Ram lal - koi baat nhi beta tum fikkar mat karo mein khud le lunga jo mujhe chahiye hoga .
(Ram lal ko sana ke sath aise baith kar bahut wierd sa lag rha tha kyunki uske liye sana abhi bhi uske boss ki ex wife zyada thi aryan ki biwi se zyada )
(Suman ab sana ko uska nashta deti hai )
Sana- maa ji yeh nashta kar ke gye the kya .
Suman - nhi beta nashta toh nhi kar ke gya .
Sana- waise kya yeh bta kar gye the ki kahan par jaa rhe hai .
Suman - kahan jayega beta aise hi kisi dost ke ghar par chala gya hoga tu iski bewajah fikkar mat kar aa jayega jab ghar aana hoga .
Sana- thik hai maa ji .
Suman yeh bolkar phir kitchen mein chali jaati hai .
Sana- papa ek baat puchu apse .Ram lal- kya puchna hai tumhe beta.
Sana- kya aap aaj bhi apni malkin samajhte apni bahu nhi .
Ram Lal - nhi beta aisi koi baat nhi .
Sana- toh phir mere se aap ghairo jaisa bartaw kya kar rhe hai .
Ram lal- nhi beta aisi koi baat nhi hai
Sana- dekhiye agar aisi koi baat nhi hai toh jab mein yahan par baithi thi toh aap dusri chair par jaakar kyu baith gye .
Ram lal- nhi beta woh toh aise hi .
Sana- dekhiye papa mein ab apke bete ki patni hu apki koi malkin isliye mujhe apni hi beti maniye .
Ram lal- tum sahi ho beta par mein jab bhi tumhari tarf dekhta hun toh mujhe tumhari aur meri hasiyat ke bich ka farak dikhne lgta hai .
Sana- papa aap bhi kaisi baat kar rhe ho ab mein is ghar ki bahu hun aur apki Jo hasiyat hai woh to mujhse jyada hi hai kyo ki aap mere abbu jaise ho
(Ram lal ko sana ki baaton ko sunkar thoda pachtawa hota hai )
Ram lal- sach mein beta tum itne bade Ghar ke hone bawjud bahut sanskari aur samajhdar ho aur tum bilkul sahi ho beta mujhe tumhare sath aisa bartaw nhi karna chahiye tha .
Ram lal- mujhe maaf kar do beta aaj ke baad mein tumhe apni beti hi manunga aur tum aryan ki bhi chinta nhi karne koi zarurat nhi jab tak mein Zinda hun beta .
Sana- papa kaisi baat karte ho aap mein toh kehti hun ab aap aram kariye na ki koi kaam

kyunki ab ghar ko sambhalne ki zimmedari aryan ji ki hai apki nhi.
Ram lal- tumhari baat toh thik hai beta par tumhe yeh galatfehmi hai ki yeh nalayak koi kaam karne wala .
Sana- nhi papa inhone mujhe vaada kiya hai ki yeh jaldi hi koi part time job karna shuru kar denge .
Ram lal- beta tumhari shadi ko abhi kuch din hi hue hai isliye yeh mat socho ki tum is aryan ko ache tarike se janti ho mein uska baap hun mujhe pta hai ki woh koi kaam nhi karne wala .

(Sana ram lal ki baat sunkar thoda nirash ho jaati hai aur use bhi lagne lgta hai ki ram lal sahi hi bol rha hai ki aryan sirf sana ke aage bahane hi bna rha hai kyunki agar woh serious hota toh koi na koi sana ke sath kaam ke baarien mein koi baat toh karta )

(Ram lal ab apna nashta khatam kar chuka hota hai aur 3-4 din ke liye guzrat jaane ke liye nikal rha hota hai kapdo ki market ka pta karne ke liye kyuki woh kapda ka naya business karne ki soch rha tha )
Suman- aap jaa rhe ho
Ram lal- han bas nikalne wala hun 3-4 din tak wapas aa jaunga.
Suman- aap befikar hokar jayiye aur koi bewajah ki tension mat lijiye dekhiye ga sab sahi hoga .

(Ab ram lal suman ke sath thodi baat chit kar ghar se chala jaata hai )
(Sana ab thodi der baad aryan ko call karti hai par aryan sana ka call kaat deta hai kyunki woh koi zaruri kaam kar rha tha )

(Sana ke baar baar phone karne ki wajah se aryan apna phone silent par kar deta hai aur apne kaam ki taraf dhyan deta hai par dusri taraf sana ko aryan ke aisa karne se gussa aane lgta hai )
Mast update hai bhai 🎊🎊..

Dono nanad bha hi ka beech thora hasi majak chala aur ab ramlal ko apna keya Gaye galti par pachtawa hua aur ab woh bhi Sana ko apni beti Nan leeya hai ...

Idhar Aryan ka baar baar phone cut kar dena par aana gussa ho rhi hoti hai ... Lekin sayad isna misunderstanding dono taraf sa ... Aryan ko ek call ye message kar Dena chaiye tha apna family mai sa kisi ko ... Taki koi chinta na kare ... Aur ab Sana ko jab ye baat pta chlegi ki Aryan ek job par laga hai atoh woh bahut khus ho jayegi ...

Bas inn dono ka beech aisa hi pyaar bane rahe aur ye dono hamesha ek saath rahe ... Ek dusra ki care kare ... Pyaar kare ... Romance kare .... Aur ek pyaar bhari zindagi jeeya 🥂🎊
 
Aar am

Well-Known Member
2,297
1,123
144

Sahi bol rhe ho bhai Waiting for next
 
Sushil@10

Active Member
577
552
93

Amazing update
 
Aar am

Well-Known Member
2,297
1,123
144
Waiting for next update
 
vijay19884verma

New Member
79
22
8
Super update bro aryan sana ki love story keep going
 
krish1152

Well-Known Member
5,648
16,422
188
nice update
 
niteshdev

New Member
36
13
8
Bhaiya please aage ka update do please request you
 
nktubhg

New Member
96
1,541
114
Update 52 part 3

Suman- kya hua beta yeh Phone nhi utha Raha kya.
Sana- ji maa
Suman - toh rehne de baar baar phone mat kar usko.
Sana- par maa ji yeh inki kitni galat baat hai ki mein idhar itne phone chuki hun par inhone mere liye ek message bhi nhi diya ki yeh phone kyu nhi utha rhe hai .

(Suman sana ki baatien sunkar man mein muska rhi thi ki kaise sana aryan ke liye bacho ki tarah chinta kar rhi hai )
Suman- tu chinta mat kar beti aa jayega ghar par sham tak mat kar usko phone agar nhi utha rha hai woh.
Sana- maa baat yeh nhi hai ki yeh sham tak aayenge ya nhi baat yeh ki jab marzi ghar par aye par gharwalon ko bta kar jaye kahan jaa rhe hai .
Suman - baat toh tumhari sahi hai meri bachi aur sath mein yeh chahe jitna marzi laparwah ho par phone toh utha hi leta hai tu ek kaam kar tu iske dost karn ko phone kar shayad usko pta ho ki aryan kahan par hai .
Sana- ji maa

(Sana ab karn ko phone lagati hai )
Sana- hello bhaiya
Karn ki maa- hello sana beta mein karn ki maa bol rhi hun karn toh abhi Ghar par nhi hai .kya baat hai koi kaam tha kya .
Sana- nhi maa ji aisa bhi koi zaroori kaam nhi tha bas jab karn bhaiya ghar par aye toh ye bta dijiyega ki mera phone aaya tha .
Karn ki maa- thik hai beta acha ab mein phone rakhti hun .

(Sana ab nirash hokar kursi par baith jaati hai aur udas si shakal bna kar baith jaati hai )

af0e5bbd78e5777706e230e3f6a54164

Suman- beta tu aise udas hokar kya baith gyi hai chinta mat kar sham tak wapis aa jayega .
Sana- thik hai maa ji jaisa aap kahe .
Suman - ek kaam kar tu neha ke sath thoda bahar ghum aa mein utni der dopehar ke lunch ki taiyari karti hun .
Sana- nhi maa ji aap subah se kaam hi toh kar rhi hai ab aap thodi rest kar lijiye mein lunch bnati hun .
Suman - kuch nhi hota beta itna bhi kaam nhi hai jaa tu bahar ho aa neha ke sath .
Sana- nhi maa ji aap baithiye mein apke liye garma garm chai bnati hun aur lunch bhi taiyar kar deti hun

(Sana ab kitchen mein jaa kar suman ke liye chai bnane chali jaati hai tabhi uske phone par karn ka phone aata hai )
Karn- hell bhabhi boliye kya baat hai .
Sana- hello bhaiya mujhe apse yeh puchna thi ki aryan kahan par subah subah hi ghar se bahar chala gya upar se mera phone bhi nhi utha Raha hai .
Karn- are bhabhi kyu chinta kar rhi ho jahan par bhi hai thik hai aur han raat ko ghar par aa jayega .
Sana- dekho karn bhaiya aap fir baith kar drinks toh nhi kar rahe na sath mein mujhe saaf saaf btao dijiye ki aryan hai kahan par .
Karn- sorry sana bhabhi woh toh mein nhi bta sakta usne mujhe mana kiya hai
Sana- thik hai aap mat btaiye mein ek kaam karti hun jaakar maa ji ko bta deti hun ki mere pyare sohar drink karte hai aur apne hi pehli baar usko alcohol pilayi thi
Karn- are bhabhi kaisi baat kar rhi ho dekho aisa kuch mat karna .
Sana- thik hai nhi Btaungi par pehle yeh btao ki aryan kahan par hai .
Karn- Kya bhabhi kyu sara surprise khrab kar rhi ho .
(Karn ko pta tha ki aryan sana ko surprise dena chahta tha isliye sana ko aryan ki naukri ke baare mein kuch btana nhi chahta tha par sana ki dhamki ki wajah se usko ab sana ko pehle hi iske baare mein btana padega )
Sana- kaisa surprise
Karn- kuch nhi bas apko aryan surprise dena chah rha tha .
Sana- han woh hi toh apse puch rhi hun na kaisa surprise (sana bahut excited hokar aisa bol rhi thi )
Karn- kya bhabhi kyu sara maza khrab karna chahti ho jab woh raat ko ayega toh apko pta chal hi jayega.
Sana- btao na bhaiya dekho apko hina ki kasam .
Karn- kya bhabhi yeh bacho jaise behave kar rhi ho .
Sana- chaliye thik hai mein ab phone rakhti hun mujhe maa se na koi zaruri baat karni hai .
Karn- acha rukiye kisi ko kuch Btane koi zarurat nhi hai mein btata hun darasal btata hun surprise kya hai .
Sana- yeh hui naa baat chal ab bolo bhi
Karn- aryan ko naukri mil gyi hai.
Sana- kya
Karn- han usko naukri mil gyi hai woh bhi part time .
Sana- sach mein bhaiya dekho aap jhuth toh nhi bol rhe .
Karn- are mein kyu jhuth bolunga woh bhi tumse .
Sana- kya baat hai bhaiya kya khabar sunayi hai apne mujhe toh yeh sunkar bahut khushi ho rhi hai .
Karn- achha rehta na bhabhi ki yeh baat apko aryan khud btata toh apki Khushi dungi ho jaati .
Sana- waise bhaiya baat toh sahi hai apki .
Karn- mein toh bol hi Raha tha par apko bas yeh janana tha ki aryan kaha par hai bechara subah subah mere ghar par aya tha ki mein usko kahi naukri par lga du taki aaj hi woh apko surprise de sake par apne toh sara majha hi khrab kar diya .
Sana- chaliye koi baat nhi woh surprise nhi de saka toh hum surprise de denge .
Karn- woh kaise
(Sana ab karn ko surprise ke baare mein btati hai jo woh aryan ko dena chahti hai )
Karn- bhabhi surprise jo aap dena chahti hai woh toh sahi hai par apko pta hai na isme kitne paise Lagenge.
Sana- bhaiya aap paiso ki chinta mat kijiye uska intejam mein kar dungi bas aap jayiye or woh surprise gift uske liye le ayiye .
Karn- thik hai bhabhi apka kaam ho jayega .

(Sana ab sidha phone rakh kar suman ko yeh Btane jaati hai ki aryan ko naukri mil gyi hai )

Suman- kya baat kar rhi ho yeh aryan kaam par lag gya .
Sana- ji maa
Suman- mujhe toh yakeen hi nhi ho rha tumhari baat sunkar
Sana- nhi maa ji sach mein inhe naukri mil gyi hai or shayad kaam par hi busy honge isliye phone nhi utha rhe the .
Suman- sach mein beti mujhe toh aisa lagta hai ki jab se tu is ghar mein aati hai hamari khushiya toh double ho gyi hai .
(Sana ko aaj bahut khushi ho rhi thi isliye woh suman ko apne gale lga leti hai )
Suman- kya baat hai beta inti si baat sunkar itni khushi ho rhi tumhe .
Sana- kya btau maa ji apko mein kitni khush kyunki ab toh koi inhe tanah toh nhi marega na ki yeh muft ki rotiya todte hai jab bhi koi aisa bolta tha na maa ji toh mujhe bahut taklif hoti thi

(Sana ki yeh baat sunkar suman ko yeh realise hota hai ki sana sach mein aryan ko bahut pyar karti hai )
Suman- chal ab mujhe chorr bhi de kab tak aise pakad kar rakhegi .
(Sana ab suman ko chorr deti hai )
Sana- maa ji mein kya kehti hun aaj raat ko inke liye inki favourite dish bnati hun .
Suman- thik hai beta par tujhe iski pasand pta bhi hai .
Sana- ji bilkul maa ji inhe dal makhni bahut pasand sath mein mithe mein inke liye gajar ka halwa bnate hai .
Suman- thik hai beta toh hum dono market chalte hai gajar ka halwa bnane ka saman lene ke liye.
Sana- chaliye maa ji sath mein mahine ka ration bhi khatam ho gya hai woh bhi le ayenge .
Suman- thik hai beta .

(Aryan is waqt medical store par bills bna Raha tha usne sara kaam pehle hi din achhi tarah samajh liya tha tabhi mukesh aryan ke paas aata hai)

Mukesh - are subah se laga hua hai ab jaa chai pile sahab ne sab ke liya chai mangwai hai utni der mein yeh kaam kar leta hun
Aryan - shukriya bhai
Mukesh - koi baat nhi tu jaakar pile .

(Aryan ab vijay ke paas jakar baith jaata hai aur sab ke sath milkar chai pine lgta hai .wahan par vijay ka bhatija bhi aya hua tha jo use bahut tang kar rha tha)

(Aryan ab dekhta hai ki sana ke kafi missed call ayi Hui hai isliye woh sana ko back call karta hai par koi jawab nhi aata kyunki sana apna mobile ghar par hi chorr gyi thi )

Vijay- are baat sun aryan
Aryan - ji bhai
Vijay - tere phone mein koi free fire naam ka game dekh na yeh batijha mera dimag kharab gya .
Aryan - koi baat nhi bhai aap mera phone isko de dijiye mere phone mein haj yeh game .
Vijay - shukriya bhai la idhar de apna phone aur sidha jakar kaam par lag jaa chai pine ke baad .
(Aryan ab usko apna phone de deta hai aur apna kaam karne chala jaata hai )

(Police station)
Pratap ab sidha suleman ka kaam karne ke liye police station par pahunch jaata hai aur sidha mohan singh ke chamber mein chala jaata jisko dekh kar mohan aur divya dono hairan ho jaate hai aur usko salute karte hai )

Mohan- jai hind sir
Pratap - jai hind par tum dono mujhe aise dekh kar chonk kyo gye .
Divya- bas sir humne apke yaha par aane ki koi umeed nhi ki thi
Pratap - ab divya ji hume maaf kar dijiye mein apki ummid par khada nhi utra .
Divya - ji sir mere yeh matlab nhi tha
Pratap - mujhe pta hai divya ji mein toh bas Yun hi mazak kar rha tha .
Mohan - sir waise aap yahan achanak lagta hai pakka koi important kaam ke silsale aap mujhse milne aaye hai .
Pratap - han aisa hi kuch samjho
Mohan- toh btaiye na sir kya kaam tha
Pratap - mein tumse minister wale case ke progress ke baare mein puchne aya tha kahan tak pahuncha woh case kuch mila bhi ya nhi .
Mohan- nhi sir humko abhi tak toh us admi ka pta nhi chala hai jisme mantri ji ke yahan par chori ki kyunki sir hamara main focus is case par nhi par dusre rangha sangha wale case ki taraf hai .
Pratap - kya baat kar rhe ho woh toh sidha sa case hai usme itna deep jaane ki zarurat nhi woh toh saale apas mein hi ladkar mar gye honge tum ek kaam karo is case ko close kar do .
Divya- par sir
Pratap - par var chorro tum log rehne do mein yeh rangha sangha wala case dusre office ko de raha hun tum log yeh minister wale case par focus karo .agar tumne yeh case solve kar diya toh mein tumhara promotion karwa dunga mohan.

(Mohan promotion ka naam sunkar thoda lalach mein aa jata hai par abhi bhi pratap ki baat se convince nhi hota par uske thoda is baat par zor dene par uski baat maan jaata hai or case se hatne ko taiyar ho jata hai)

(Aryan bhi apna saara Kaam khatam kar chuka tha aur apna phone vijay se lekar Ghar ki taraf nikalta hai )

(Aryan ko bahut tension ho rhi thi kyunki uske phone switched off ho chuka tha upar se raat ke 9 baj gye the usko lag rha tha ki uske ghar wale uske liye kafi pareshan ho rhe honge )

(Aryan jaldi se apne ghar pahunchta hai aur dekhta hai ki sana gate ke bahar hi khadi hokar uska intezar kar rhi hai aur kafi gusse mein lag rhi hai )
 
Aar am

Well-Known Member
2,297
1,123
144
Nice waiting for next
 
prasha_tam

Well-Known Member
3,801
5,355
143
Bhaut Hee Mazedar aur Shandar Update Diyaa Hee 🔥👄 🫦 🫀💗
Keep It Up ✍️👌👍🤟🙋‍♂️
 
Top