Update 3 : A
☆ Chapter : Kuchh to hai ☆
Ab tak...............
.
.
.
.
Lekhak : Hello jagdish wo mai bol raha tha ki kahani ( story ) teyaar ho gyi hai.........
Lekhak : "AaAaaaaaaaa kon ho tum".......?
??? : "Mai Yakshini Teri Mout"
kuch der Lekhak or yakshini ki baate chalti hai par undone ki awaaj darwaaze ke bahar nahi aa rahi thi kuch der baad Lekhak ki ek jor se chikh sunai deti hai
"AaAaaaaaaaa"
Yah ek aesi chik thi jo dil ko dhala kar rakh de.....Agle hi pal darwaaze ke niche se Lekhak ka khoon Bah kar darwaaze ke bahar aane lag jata hai........
.
.
.
.
Ab Aage........
.
.
.
.
Ek Train jo ki tez raftar ke saath pattri par bhaagi jaa rahi thi thik us trh jis trf hamari zindagi bhaagte hai fark bas itna hai train station aane par rukti hai par hamari zindagi kbhi nhi rukti jab tak hamari saase naa ruk jaaye.........
Yug jiski umar 22 saal, gora rang, chek shirt black pant Phan kar khidki ( window ) ke pass betha hua tha or apne kaano mai head phone daal kar Audio story "Ansh ek Aag" sun raha tha story sunte huye hi yug khidki ke bahar dikh rahe Meghalay ke garo pahado ki hasin waadio ka maza le raha tha pahad ke Charo trf se safed badalo ne gher liya tha jinhe dekh kar aesa lag raha tha ki pahado ne badalo ki safed chadar hodd rakhi hui ho unhi baadlo ko dekhte dekhte yug ki aankhe lag jaati hai............
Abhi thodi der phle hi yug ki aankh lagi thi ki tbhi use ahshas hota hai koi uska haath chu raha tha koi baar - baar yug ka haath pakad kar hila raha tha.......
Yug bokhalahat ke saath uth jaata hai aur jab apni aankhe kholta hai to dekhta hai ki Uske chahre ke just saamne ek budhe ka chehra tha jo badi badi aankhe kar ke use khur raha tha us budhe ne safed matmeli si dhoti or kurta pahen rakhi hui thi or uske haath pair kapkapa rahe thye.......
Yug : ( man mai )
![Thinking face :thinking: 🤔](https://cdn.jsdelivr.net/joypixels/assets/7.0/png/unicode/64/1f914.png)
phle to Ye bhudha mere saamne nhi betha tha ye puri seat khaali thi achanak kaha se aagya....?
agle hi pal yug khud es sawal ka jawab dhund leta hai aur man hi man sochta hai.......
Yug : ( man mai )
![Thinking face :thinking: 🤔](https://cdn.jsdelivr.net/joypixels/assets/7.0/png/unicode/64/1f914.png)
lagta hai jab meri aankh lag gyi thi tabhi aakar beth gya hai
Yug : ( gussa karte huye ) ye kya harkat hai baba..?
Budha : ( khaste huye ) Khukhu maaf karna bituwa par kya karu tumse kuch kaam tha tumse isliye tumko uthana pada
Yug : kya kaha kaam tha aap ko mujhe kya kaam tha
Budha : wo beta mujhe janna tha ki wqkt kiya hua hai
Yah baat sun kar yug ka dimaag
![Face with rolling eyes :rolling_eyes: 🙄](https://cdn.jsdelivr.net/joypixels/assets/7.0/png/unicode/64/1f644.png)
ghumne lag jaata hai or wo gusse ke saath apni ghadi mai dekhte huye khata hai
Yug : 11 : p.m bajne waale hai
Budha : Acha mtlb 1 ghante baad mera station aajayega
Yug kuch jawab nahi deta or us budhe ko ghurne lagta hai
Budha : wese bituwa tum kaha jaa rahe ho
Yug : wo mai mendipthaar jaa raha hu
Budha : Matlb tum bhi mendipthaar jaa rahe ho
Yug : mtlab aap bhi
Budha : H bituwa , chalo ab safar aasan ho jaayega jab koi baat karne waala mil jata hai to safar jaldi kat jata hai.........tum mendipthaar mai kaha jaa rahe ho
Yug : mendipthaar se 5 km dur hi Banglamunda gao hai n wahi par jaa raha hu
Budha : Acha to Banglamunda tumhara gao hai
Yug : Nahi Banglamunda gao nhi hai mera gao Rongkamucha gao hai
Budha : Are ye kya baat hui beta, jab tumhara gao Rongkamucha hai to phir tum Banglamunda gao mai kiyu jaa rahe ho..?
Es sawal ko sunkar yug khamosh ho jata hai aesa lag raha tha jese Us budhe ne yug ki dukhti nabj ( nas ) par haath rakh diya tha , kuch aesa puch liya ho jiska jawab wo sayad apne aap ko bhi nhi dena chahta tha.........
Budha apni baat ko Aage jaari rakhte huye kahata hai
Budha : chalo nhi batana to mat batao , Banglamunda mai kaha par rukne waale ho...?
Yug : Banglamunda gao ke bahar jo Garewyaad kothi padti hai n us mai hi rukne waala hu
Budha : Kya kha wo Angrejo ke jamane ki kothi jise kabistan par banaya gya tha
Yug : H wahi Graveyaad kothi
Budha : par wo to pichale 12 saalo se band hai n
Yug : H band hai par ab nhi rahega , mai Aaj raat hi us kothi ko khol dunga
Budha : Nhi bituwa aesa mat karan , tumhe us Garevyaad kothi ke baare mai nhi pata kya...?
Yug : kya nhi pata aap saaf saaf kahenge kahna kya chahte hai..?
Budha : Agr tum bacchpan mai us gao mai rahe ho to Yah to pata hi hoga ki yakshini kishnoi nadi ke pass bhatka karti thi......
Yug us budhe ki baat ka kuch jawab nhi beta hai wo gur se uski baate sun raha tha.....
Budha : tumhe pata hai us yakshini ke ek nhi Do thikane thye , phala kishnoi nadi aur dusra Graveyaad kothi
Yug : ( shock hote huye ) kya kaha Graveyaad kothi
Budha : H Garevyaad kothi, gao ke logo ne kai baar yakshini ko Garevyaad kothi ke pass bhi bhatakte dekha tha yakshini har purnima aur amawsaya ki raat mardo ke saath sambhog karke unke dil ka khoon chus kar unhe maar diya karti thi
Yug : eska matlb papa nai Bachpan mai jo kahani mujhe sunai thi wo koi kahani nhi balki hakikt thi
Budha : Bituwa kis kahani ki baat kar rahai ho tum..?
Budhe ki baat sunkar yug apne atit ki yaado mai kho jaata hai usko yaad aata hai wah pal jab wo Aath saal ( 8 years ) ka tha aur apne papa se baate kar raha tha........
Yug : papa-papa kya kar rahe ho Aap
Yug father : kuch nhi beta kahani likh raha hu
yug ke papa mai typewriter par kahani type karte huye kaha
yug : kya kaha papa kahani kunsi kahani likh rahe hai papa aap
yug father : Yakshiniki kahanibeta
yug : papa mujhe bhi yakshini ki kahani sunaayi na
Yug: father : Nhi beta tum abhi chote ho tum dar jaaoge jab tum bade ho jaaoge tab sunna thik hai
yug : please papa sunaayi naa mai nahi darunga promise aur aap hi kahate hai n ki ab to mai bada ho gya hu or bade bache darte nhi balki darate hai to please papa mujhe yakshini ki kahani sunaayi na
Yug jid karne lag jaata hai or uske jid ke aage uske papa haar man jaate hai or use yakshini ki kahani sunane lag jaate hai
Yug father : kahte hai ye jo yakshini hoti hai ye janglo mai yaa paani waali jagho ke pass rahti hai, har purnima aur amawsaya ki din aane-jaane waale musafiro ko jo raat mai nadi paar kiya karte thye unhe ye lubhati thi aur apne roop jaal mai fasakar apna sikaar banaya karti thi kahte hai yakshini ko kamal or chameli ke phool bahot pasand hote hai wo hamesa use apne pass rakha karti thi
thodi kahani sunne ke baad yug bich mai bolta hai
yug : par wo aesa kiyu karti thi papa kya wo buri aurat thi
yug father : Nahi beta, yakshini buri aurat nhi thi balki wo to bahot acchi aurat thi dusre lok se aai hui ek apsara ki trh thi
Yug : to phir papa wo aadmio ke saath, wo kya bola tha aap ne S.....S h yaad aaya sambhog karke kiyu maar deti thi
Yug father : "Abhishap" ke karan beta
Yug : Kesa Abhishap papa
yug father : beta wo Abhishap Yah tha ki.......
Yug ke papa ne itna hi kaha tha ki bahar ke kamre se yug ki maa ki awaaj sunai deti hai
yug mom: yug bet aao yug beta, chalo khana kha lo khana ban gya hai
Yug : nhi maa mujhe abhi khana nhi khana hai mai abhi papa se kahani sun raha hu
Yug mom : kya kaha kahani sun rahe ho, tumhare papa ko kahani likhne or sunne ke siwaye aur kuch aata bhi hai jab dekho din bhar kahani likhte rahte hai, khud to bigde huye hai hi tume bhi bigaadne par tule huye hai chalo jaldi aao khana khane maine khane ki thali bana li hai
yug : Nhi maa mai nhi aarha, kahani khatam hone ke baad hi aaunga
yug mom : kya kaha nhi aa rahe lagta hai mujhe hi aana padega ruko abhi belan lekar aati hu tabhi tum maanoge
kuch hi der mai yug ki maa haatho mai belan lekar kamre mai aajati hai yug ka kaan pakdte huye kahti hai
yug mom : to kya kah rahe thye beta tum ki tumhe khana nhi kahan jara ek or baar bolna
yug : Aah are maa kaan choddiye Dard ho raha hai kaan chodiye maa Aaahh kaan to choddiye maa Aahh maa.......
Maa,maa,maa kahte huye yug apni yatit ki yaado mai se bahar aajata hai jab yug apni aankhe kholta hai to dekhta hai us budhe ne uska haath pakda hua tha aur use hila hial kar puch raha tha
Budha : Are O bituwa tum thik to ho n tum or ye maa maa kiyu bol rahe ho......re tum
Yug : kuch nhi baba thik hu mai
Budha : mai to dar hi gya tha
Yug budhe ki aankho mai dekhte huye kahata hai
Yug : Baba ek baat puchni thi aapse kya wo yakshini abhi bhi mardo ko apna Shikar banaya karti hai..?
Budha : Nhi bituwa yakshini ab mardo ko apna sikar nhi banati
Yug : kiyu baba kya yakshini yaha se chali gyi hai jo ab wo apna mardo ko sikar nhi banati hai
Budha : wo gyi nhi hai shaant ho gyi hai
Yug : shaant ho gyi hai Matlb..?
Budha : Matlb yah ki aaj se 12 saal pahle us Graveyaad kothi mai ek Lekhak babu rahte thye un Lekhak babu ko hi us yakshini ne apna aakhiri sikaar banaya tha
Budha : tumhe pata hai Lekhak babu ki kisi ko laash tak nhi mili thi par unka kamra pura khoon se sana hua tha , har jagh khoon hi khoon tha diwaaro par , kitaabo par , table par , har jagh ek kona aesa nhi bacha tha jaha par khoon naa ho
Yah baat sunkar yug dara nhi balki udas ho gya achank se uski aankho mai nami aa gyi thi Budha es baat ko bhaap leta hai aur yug ke khandho par haath rakhte huye puchta hai
Budha : kiya hua beta , Lekhak babu ke baare mai sunkar tumhara chehra kiyu utar gya....?
Yug apne dil par patthar rakhte huye kahta hai......
Yug : kiyu ki aao jis Lekhak babu ki baat kar rahai hai wo aur koi nhi balki mere pita thye
Budha : kyaaaa iska mtlb Yah ki tum wo Lekhak babu ke bete ho
Yug : H mai unhi ka beta hu yug
Budha : Gao waalo ka kahan tha ki us yakshini nai hi Lekhak babu ko mara tha , usi din us Garevyaad kothi ko band kar diya gya aur kothi ke band hone ke saath hi Amawsaya aur purnima ki raat mardo ke sikaar hone bhi band ho gye kuch gao waalo ka to Yah tak kahana hai ki sayad Lekhak babu ke saath sambhog karke us yakshini ki hawas mit gyi isiliye wo shaant ho gyi
Yug kuch sochte huye kahta hai........
Yug : par jab hawas mit gyi thi to us yakshini nai mere papa ko kiyu mara aur aapne kaha tha ki sambhog karne ke baad yakshini apne sikaar ke sarir se khoon chus leti hai
Yug : to phir mere papa ka khoon kamre mai har jagh kese faila tha , yakshini nai unka khoon kiyu nhi piya...?
Budha : pata nhi usne Lekhak babu ka khoon kiyu nhi piya , ye raaj unki maut ke saath hi Garevyaad kothi mai Dafan ho gya tha yakshini har sikaar ke saath sambhog karne ke baad sidhe use maut ke ghat utaarti thi isliye hawas khatam hone ke baad bhi usne Lekhak babu ko bhi maar diya hoga par kuch gao waalo ka kahana tha ki Lekhak babu kai saalo se khoj bin puchtach karke yakshini par koi kitab likh rahe thye iski bhank use lag gyi thi ek Yah bhi karan ho sakta hai aur phir amawsaya aate hi yakshini nai Lekhak babu ko maar diya hoga
Yug : kya wo kitaab mujhe mil sakti hai...?
Budha : Nhi wo kitaab to khi nhi hai , suna hai parkashit ( published ) hi nhi ho paayi , sayad Garevyaad kothi mai ho
Yug : kya kaha aap ne Garevyaad kothi mai
Budha : H Garevyaad kothi mai par mai tumhe ek salah deta hu wo yakshini shaant ho chuki hai to behtar hai use shaant hi rahne do , uske andar ki wasana ko phir naa jagao warna pata nhi aur kitne mardo ki jaan lele
Yug : Aap mujhe dara kiyu rahe hai..?
Budha : mai Dara nhi raha hu bs tumhe aagaah kar rah hu bituwa, maut ke aane se pahle chetawni deni padti hai
Yug: Matlb...?
Budha : Tum sahar ke log matlabi bahot hote ho bituwa har baat mai matlab dhundhte ho , matlab kuch nhi
Yug : wese aap bahot kuch jaante hai us Garevyaad kothi ke baare mai Aakhir kese...?
Budha : "Jaanuga kese nahi mera purana rishta jo hai"
Yug us budhe ko ghorte huye puchta hai
Yug : kya kaha purana rishta hai......kya rishta hai aapka Garevyaad kothi se....?
Budha apni badi badi aankhe karte huye kahta....
Budha : Mendipthaar
Yug : Mendipthaar matlab...?
Budha : Matlb yah bituwa ki mendipthaar station aa gya hai , chalo jaldi uatr jaao train yaha jayada der nahi rukti
Train mendipthaar station par aakar ruk gyi thi yug or wah budha apna apna saman lekar train se niche utar jaate hai station jayada bada nahi tha or pura sunsaan pada hua tha station purane jamane ka tha light bhi ek,do hi jal rahi thi jo baar-baar band chalu ho rahi thi........
Train abhi station se nikali hi thi ki tabhi yug ki "Nazar" budhe ke haatho mai jo jhola tha us par padti hai aur wo dekhta hai ki Uske andar kai saare kamal ke phool rakhe huye thye yug sochne lag jata hai......
Yug : ( man mai ) ye budha itne saare phoolo ka kya karne wala hai...?
Jese hi budha station par utra tha jaldi-jaldi kadam badhane lag gya tha , jese use kahi jaane Mai der ho rahi ho Yug ke man mai kamal ke phoolo waali baat khatakti jaa rahi thi usse raha nhi jaata or wo budhe se puch hi leta hai
Yug : wese baba aap itne saare kamal ke phoolo ka kya krene waale hai..?
Budha apne chahre par muskaan lagte huye kahta hai........
Budha : to tumhari "Nazar" chali hi gyi en par badi tej "Nazar" hai.......
.
.
.
.
Ab Aage..........
.
.
.
.
☆ Chapter : Kuchh to hai
.
.
.
.
Yug soch hi raha tha ki wo kya kare kese es jangal se nikale tbhi use kisi ke kadamo ki aahat sunai deti hai kadmo ki aahat sunkar yug dar jaata hai or sochne lag jata hai.........
yug : ( man mai ) itni raat mai es jungle mai kon hoga kahi Yakshini to nhi..........
.
.
.
.
Kya kar raha hai jungle mai yug or wo kiski aahat hai jaanne ke liye pahdte ( read ) rahiye "NAZAR"
.
.
.
.
2492 words complete to Like
![Thumbs up :thumbsup: 👍](https://cdn.jsdelivr.net/joypixels/assets/7.0/png/unicode/64/1f44d.png)
& comments 🗣 karna naa bhule...........
.
.
.
.
Keep supporting...........
![Smiling face with sunglasses :sunglasses: 😎](https://cdn.jsdelivr.net/joypixels/assets/7.0/png/unicode/64/1f60e.png)