Update 62
Harry- master ye sab kyu hua aur Kon h insab k piche ???
Raj - ye to ab hamare samne hi h bs dekhna aur samjhna hai…..phir bi apko bata deta hu ki insab k piche koi aur ni Almida country k king Arthur Philips h..…
Ye sunkar Harry ko jhatka lagta h … aisa ni tha ki aisa ho ni sakta tha par vishwash karna mushkil tha ki koi ek kaise itna kch kar sakta h... Piichle 10+ saalo s puri duniya m uthal puthal machi hui thi aur ab ye jaan Kar ki insab k piche Almida country h , ye vishwash Kar pana mushkil tha….
Iske baad Raj Harry ko sav batana shuru krte h..
Raj- Prince , apne aaj tak rajneeti ka ek pehlu hi dekha h par iska dusra pehlu bi h Jo bahut darwana hai…. Ye kehna to mushkil h ki king Arthur n ye sab karna kab shuru kia tha par aisa karne k liye samay k sath sath sayyam ( time n patience ) chahiye Jo shayad King Arthur m bahut h isliye aaj itne varso baad wo apne maqsad m kamyaab hua h….
Harry- par baba mere samajh ni aaraha ki King Arthur karna kya chahta tha aur aisa Kya kia h usne jisse wo kamyaab hogaya hai…?
Raj ( lambi saans chodte hue )- hum jo aaj dekh rahe h iski shuruat shayad 12-13 saal pehle ya usse bi pehle Hui hogi .. Jaisa hum sab jante h ki pehle 7 great countries thi jinme kaafi saalo s hamari 3 countries kafi close thi ( asiana , Melromac , Kandhar ) wahi Isla ki wajah s Sabrina k bi ache sambdand the Asiana s… Dusri taraf Almida aur Correa bi kafi time s alliance m the…. Baharin sabse vyaparik rishte hi rakhta tha par aaj k samay m wo almida k sath alliance m hai……
Harry- yes master ..ye to hum sabhi jante h par iska aaj Jo halat h usse kya samband h..
Raj- prince ithihas ( history ) hi hamare aaj aur Kal ka Nirman karti hai..…sadiyo s Almida bahut hi mahatvkanchi ( ambitious) raha hai ... Purane samay m wo hamesa yuddh karte rehte the aur apne desh ki seemao ko badhate rehte the aur isi wajah s jo desh ek samay m Isla s bi chotha tha wo badhte badhte duniya ka sabse bada desh ban gaya par wo yahi par ni ruke.... unhone uske baad bi apne aaspaas k desho p hamle jaari rakhe even unhone Isla par bi hamla kiya tha par tab Isla k temple priests n unki Puri Sena ko Hara Kar wapas Jane ko majbur kardia tha..uske baad jab unhe pata Chala ki Isla Asiana ki suraksha m hai to unhone dobara koshish ni kari hamla karne ki ..unke liye to jaise yuddh karna unka shok tha ya kahe sabse pasandita khel..
Harry - hmmm..par master agar Almida hamesa s yuddh Niti hi apnata aaya tha to usko ye sab karne ki Kya jarurat padi…
Raj- ye to hame bi samajh ni aaraha ki Almida achanak s badal kaise gaya.... pehle to wo kisi s dosti bi Ni rakhta tha bs jo pasand aaya uspe kabja karlia par pichle kch dasako s kafi badlao aaya h unki nitiyo m aur isi k tehat unhone desho ko batne ya todne ka bi kaam kia hai...
Harry- par master ..aisa krke alimda ko Kya fayda hua....Ulta isse to usko nuksaan hi hua hai ki ab uska hi desh Jo sabse bada hua karta tha. Aaj wo ghat k chotha s rah gaya hai…
Raj- yahi to shadyantr racha h Almida n..
Harry- mtlb …?
Raj - prince...agar main kahu ki jitne bi naye desh bane h wo sab Almida k banaye hue h aur ye new kings bi unki katputli ki tarah hai too..
Harry ( shock hote hue )- kyaa…par kaise aur kyu…. ..Kya ye sare new Kings Sach m Almida Kings k katputliya hai….??
Raj - fialahl dekhne s to yahi lag raha h warna aap khud sochiye ki Jo pehle desh apas m Ladd rahe the ab achanak s dost kaise ban gae..
Harry ( sochte hue )- aap sahi kah rahe hai master ye to mere Mann m bi aaya tha...par sawal ab bi wahi h ki Almida king ko itna bada kadam uthane ki Kya avasykta thi…
Raj- prince ..ye bahut hi Sochi samjhi chaal hai .. mujhe to shak hota h ki Kya Sach m Almida king khud s aisa kch Soch sakta h…
Harry- par master ...baat Jo bi ho ...aaj k samay m apne hi desh k 6 tukde karke aakhir karna Kya chahta hai Almida ….
Raj - Iska jawab hamare samne h aur behad asaan h bs dhyan dene ki jarurat h…
Harry kch na samjhte hue ..
Raj - Almida hamesa s duniya par raaj karna chahta tha par jab usse laga ki sirf yuddh karke wo aisa ni Kar sakta to usne ye sab kia.. jab 7 great countries sahi tarike s establish hogai tb League of Nations ka ghathan kia gaya tha Jisme saato desh member the par inme s 4 desh ek taraf the ( Asiana , melormac , Kandhar , Sabrina bi kch hadd tk ) aur Almida Correa ek taraf , Baharain ko Jahan fayda dikhta uss taraf hojata tha.. L.O.N m hamesa s chairman wahi hta tha jisko majority s chuna jae isliye mostly chairman hamare alliance m s hi koi ek hota tha aur wahi decision bi leta.. waise to chairman kisi k sath bi bhedbhao ni rakhte the par Almida ko ye bardash ni tha...
Raj- isi wajah s Almida n L.O.N m sabse pehle members badhane ka socha aur iske liye jaruri tha ki Naye desh banaye jaye Jo uske isharo p chale ...aur phir usne aisi situations bana di ki pehle har jagah revolt hone shuru hue , jiske baad new independent countries banane ki maang shuru Hui aur jab aisa har jagah hone laga to usko pata tha ki L.O.N m iske baare m charcha jarur hoga aur hua bi.. 10 saal pehle ki Sabha m badi chalaki s Almida n baharain k sath milkar apni chaal ko kamyaab karalia jiske baad Naye desh banne lage…
Usko ye bi pata tha ki ek samay baad jab ye kaam hoajega to L.O.N m insabhi new countries ko members bananya jaega warna phir s halat bigad jaenge kyuki Naye desh bi apna hakk pane k liye ladenge …
Raj- bss phir yahi Soch k alimda n ye sab kia.. aaj uske paas khud ko milakar 18 desh h , hamare taraf 10 aur 3 other countries hai.. aaj jab in sabhi new countries ko official kardia gaya h to ek tarah s dekha Jaye to aaj s ALMIDA ka padla L.O.N m hamesa k liye bhari hogaya hai …..upar s ye kehna bi mushkil h ki hamare alliance country ( melormac , Kandhar ) s tut kar Jo Naye desh bane h wo asal m kisko support karenge bhavishy m kyuki agar wo bi bakio ki tarah Almida k support m rahe to hamare upar hamesa khatra bana rahega ..
Ye sab bolkar Raj chup hojate h wahi Harry ka to jaise fuse hi udd chuka tha.. usko idea bi ni tha ki iss tarah ka bi kch ho sakta h Rajneeti m..
Harry- master...itna kuch ho Raha tha aur kisi ko kuch dikha ni.. aisa kaise ho sakta ..
Raj- aisa bilkul ni tha par us waqt hamara ye mat ( decision ) tha ki desh ko tutne s roke kyuki jitna ek desh tutega utna hi usse sambhalna mushkil hoga aur janta ko bi pareshani hogi.. . hamne bahut koshisho k baad Kam s Kam aisa hone ki koshish kari jiske chalte Melromac & Kandhar , dono n bs 2-2 naye desh hi banne diye warna maang to aur bi log Kar rahe the par tab apke dada ji ( Asiana king ) n sabse apne nagriko ko samjhane aur halat sudharne ko kaha .. waise apke dadaji chahte to Asiana k tukde kabi na hote par kch Soch k unhone Pearl state ko independent kardia aur Isla ko bi naya desh bana dia…
Harry- master.. itna kch hone k baad ab alimda king Kya shant hojaega ya aage bi kuch karega. ..
Raj- hmmmmm ye to kehna mushkil h kyuki abtk Jo hua h wo unki nitiyo s bilkul alag tha , mujhe ni lagta ki alimda king kabi bi apni purani aadato ko badal paenge.. abhi to unhone L.O.N p apna sinkanja kasa h par mujhe darr h ki kahi unka next traget L.O.W na ho kyuki agar aisa hogaya tb sach m alimda ka ek tarah s Puri duniya par raaj hojaega ..
Iske baad Harry apni Soch m ghum hojata h wahi Raj wapas s Sabha m dekhne lagta h Jahan Sabha chal rahi thi aur abi 3rd agende par baat ho rahi thi jisse King August n uthaya tha...
Isse pehle King August n 2nd agenda m sabhi desho ( new /old both ) s agrah kia ki pichle 10 saalo m bighde halato ko chalte jitne bi nagriko n apni janambhumi s palayan ( migration) kia h , unhe wo wapas apne desh m bulaye aur jahan abhi bi aisa ho raha h unhe wo rokne ki koshish kare.. ..
Chuki ye mamla kafi sare desho s hai aur nagriko k mul- aadhikaro s bi juda h isliye L.O.N is par aage nazar rakhegi….
( Ye sunkar kuch desho ko acha ni laga kyuki kahi na kahi unki hi galti thi wahi Alimda , aur Baharain Kings bi kch na bol paye kyuki ultimately ye sab unka kia dhara tha )
2nd agenda p thoda aur discussion hua tha aur ye wahi waqt tha jab Master Raj Harry ko sari baatein bi Bata rahe the…
Iske baad King August n 3rd agenda k bare m baat ki.. unhone sabha m bataya ki kch din pehle unhe ek secret group k bare m pata Chala h Jo aane wale samay m duniya k liye threat ho sakta hai aur is khatre ka naam h DARK SHADOW LEAGUE
((( League of villains ka name change karke DSL rakhdia h )))
Ye sunkar sab apas m baat karne lage kyuki sab pehli baar iska naam sunrahe the.. wahi Harry bi phir s Raj ki taraf dekhne laga kyuki agar uske pita ko is bare m jankari h to Master ko bi hogi isliye wo Raj s is bare m puchta h to Raj bi wahi sab Bata dete h Jo King August n Kurt k aane par prof. Albus and Master Raj ko bataya tha…
Ab sabha m bi is bare n charcha hone lagti h ki D.S.L Kya h , kon iska chief hai , ye kahan s operate Kar Raha h , Inka maqsad Kya h , abtk inke bare m kya Kya information mili h aur ye Threat kaise h kyuki abtk kisi n iske bare m ni suna tha …
King August bi sabko jawab dete h aur pakde gae qaidio k bare m bi batate h.. sath m unhone bataya ki bhale hi D.S.L n abtk bade sthar par aisa koi kaam ni kia h par iss tarah k secret org ko nazarandaj karna bi sahi ni h….
Iss pure discussion m king August k sath sath Harry aur Master Raj ka dhyan Almida king par hi tha kyuki unhe laga tha ki agar D.S.L k piche Almida ka hath hoga to wo thoda to react jarur karenge par aisa kuch Ni hua balki king Arthur bi bakio ki tarah surprise hi lage…. Upar s King Arthur n iss baat ko support kia aur sare desho s iss cheez ko seriously lene ko kaha….
Iske baad kch naye desh ( mainly Baharain aur Almida wale) n milkar ek common agenda (4th agenda ) sabke samne rakha ….unka kehna tha ki unhe L.O.W ki karyasheli ( working method ) samajh ni aatii isliye wo chahte h ki L.O.W apne kaam Karne k tarike ko aur jyada pardarshi ( transparent) kare taki sabko samajh m aaye .. iske alawa kch Kings ka ye bi kehna tha ki L.O.W jaise international org ko is tarah s independent rakhna sahi ni h isliye L.O.W ko sabhi desho k liye uttardayi ( answerable ) hona chahiye jisse jab bi kisi desh ko L.O.W s koi sawal ho ya koi problem ho to wo direct L.O.W s baat Kar sake aur L.o.w unka jawab bi de sath m jab bi koi king L.O.W ko summon Kare to wo aaye … iske baad to najane Kya hua ki 1-1 karke sab L.O.W ki khamiya ginnane lage sath m apas m charcha bi Karne lage ...
Ye scene dekh kar ek taraf king August k sath sath Melromac king , Kandhar king , Harry k chehre par pareshani ki lakire aagai wahi Almida. Baharain , Correa kings bilkul calm dikh rahe the ..
Ye to acha tha ki Thomas pehle hi ja chuka tha warna shayad mahol kvh aur hota par phir king August apne chair s khade hogae aur sabke samne aagae jise dekh Kar sab shant hogae
King August - Mera sabse anurodh k ki kripya shant hojae aur Meri baat sune…. Dekhiye ye hum sab jante h ki L.O.W ka hamare duniya m Kya role h aur uska ghathan kyu hua tha .. unhone kabi kisi bi desh k internal & political situation m interfere ni kia h bas hamesa apne kaam s kaam rakha h .. usko independent organisation banane k piche ka maqsad bi yahi tha ki wo sirf apne dayre m kaam karenge jaisa wo abtk karte aaye hai..unhone aaj tk apne kiye gae kisi bi vaade ko bi ni toda h ...iske alawa unhone mushkil waqt m bi har desh ki sahayta hi ki h aur apni jimmedario ko bi ache s nibhaya h.. isliye mujhe ni lagta ki hum unko is baat k liye criticize Kare .. aur agar baat unke karyasheli ki h to ye unka antrik mamla h...jis tarah s koi dusra desh hamare karyasheli p ungli ni utha sakta kyuki ye uska haq h wiasa hi haq L.O.W k paas bi h … isliye main aur mere sathi is baat ka kada virodh karte h ki L.O.W ko kisi bi desh k aadhin banaya jaye par phir bi agar hamare kisi member country ko iski jarurat nazar aati h to hum L.O.W ko L.O.N s future m jyada cooperate karne ka kah sakte h jisse unki bi independence unke paas rahegi aur hamari samasya ka samadhan bi..
Iske baad King August n aur bi kch favourable baatein kahi L.O.W k bare m jo Sach bi thi jiske baad kisi n bi dobara kuch Ni bola ya ye kehna jyada sahi samjha ki unhe ishare s Mana kardia gaya jisko 2nd floor p bhaithe Raj n notice karlia tha…
Harry-master jaisa apne bola tha wahi ho raha hai.. Almida ka next target L.O.W hi h… Kya hum is baar kch ni Kar sakte L.o.w ko Almida k hatho m Jane s
Raj ( muskurate hue ) - prince.. apko is baare m chinta karne ki jarurat ni h..
Harry- par kyu master …?
Raj - kyuki jabtk present chairman L.O.W m h .. tabtk uska koi kch ni bigad sakta phir chahe almida ho ya pura L.O.N
Harry- Sach...Kya L.O.W Sach m itna powerful organization hai..
Raj - hmmm aisa kah bi sakte hai aur nahi bi.. kher filahal to ye hona namumkin h par phir bi aane wale samay m dekhte h Kya hota hai..
Harry- agar aap aisa kah rahe hai to Sach hi hoga.. main to bs yahi chahta hu ki duniya m phir s Ashanti ka mahol na bane aur sab sukh Shanti s rahe..
Raj ( muskurate hue) - vichar ache hai apke prince…..
Uske baad dono wapas Sabha par dhyan dene lagte hai...
Sabha m phr kch aur chothe mote agendas par baat hoti h aur phir sare agenda k khathm hone k baad King August next Sabha k bare m batate hai jo ki abse 1 saal baad honi thi sath m unhone ye bi bataya ki next meeting m hi L.O.N k new chairman ka bi election hoga… End m king August n sabhi members ko Royal Party m invite kia jo ki evening m 5 baje honi thi ….
Isii k sath hi Mahasabha khathm hojati h aur sab apne apne Guest room ki taraf nikal Padte h sham ki party m lag jate h.. waise to sabko hi iss bare m pata tha but phir bi king August n sabko ek ache host ki tarah dobara invite kia…..
Mahasabha khthm hone k baad jab sab wapas Jane lage to Harry wapas niche aajata h aur pehle apne pitaji s milkta h aur phir jab wo Geroge ki taraf jata h to dekhta h ki Geroge ka dhyan kahi aur h aur jab wo uski nazar ka picha karta h to pata h ki Geroge ki nazar Rosa ki taraf thi aur jab Harry ki nazar Rosa ki taraf padti h to wo apne pita k sath ja rahi hoti h par jate jate achanak wo palat kar Harry-George ki taraf dekhti h phir Chali jati h…
Harry as usual jyada dhyan ni deta aur Geroge k paas pahuch jata hai aur usse chedte hue bolta h
Harry- hmmmn to hamare Geroge Bhai ko aakhir koi pasand aa hi gai.. acha hai…
George ( kch na samjhte hue )- Kyaaaa…. main samjha ni ..Kon kisko pasand aagya ??
Harry- aur kise.. tumko…
George- mujhe… wah .. mujhe koi pasand bi aagai aur mujhe hi ni pata
Harry- acha...aisa h to Princess Rosario ko is tarah kyu dekh rahe the hmmmm???
George - Kya tum bi….. main aur Rosa huh… dekhne m bhale hi wo achi hogi par Dil to kala hi h
Harry- hmmm ye to hai… aakhir wahi to hai jisne bahia k logo k sath itna atyachar kia hai..
Geroge - wahi too.. hame laga to koi khadus king hoga Rosario ka raja par ye to ek ladki h wo bi itni young
Harry- jitni young h utne hi bade karname h madam k hahaha
George - sahi kaha… I hope ki aaj ki Sabha k baad Bahia logo ki tarah jitne log the , unke sath aisa dobara na ho..
Harry- let's see.. kher ye to kch bi ni h ...aane wale waqt m to hame bahut sare challenges face karne hai..
George - kaise challenges ..?
Harry- Chalo.. tumko bi batate h…
Phir Harry Geroge k sath wapas palace ki taraf chal padta h aur raste m Master Raj k sath Hui baato ko Geroge ko batane lagta h .. George bi Harry ki tarah shock hojata h aur pareshan bi kyuki Asiana to phir bi kch hadd tk surakshit tha kyuki ek taraf Isla tha aur Asiana s tut Kar banne Wala Pearl country puri tarah Asiana k under hi tha ya ye kahe ki Asiana king n apni Marzi s new country banaya tha par same case Melromac & Kandhar m ni tha ...unse tut Kar banne wale desho k Kings abhi full support m ni dikh rahe the Isliye Geroge ki tension thodi jyada thi par ye tension sirf uski ni balki teeno ki thi….
Next PARTY…