Lucky..
“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
- 6,666
- 25,377
- 204
niranjana ki Friend bhi darr rahi hai or is liye vo apne mama ke ghar chali gay or niranjana se dur rehne ki soch rahi hai shayad...UPDETE ____________ { 4}
niranjana raat bhar thik se nahi so payi thi niranjana ko apni badi maa ke liye dukh ho raha tha ki uski wajah se tappar padi badi maa ko
dekho aaj bhi meri pari beti so hi rahi hai chal beta ab uth bhi ja dekh ab subah hone wali hai mamta room main aane ke bad boli
apni badi maa ki aawaz sun kar niranjana ne apni chadar main hi aansu pochh liya our apni chehare par muskan lakar uth gayi maa main to aaj kab ki uth gayi thi bas aap ki aane ka wet kar rahi thi kab aati hai meri pyari badi maa uummaaa bolti hui niranjana ne mamta ji ke galon aur kiss kar diya
ohh meri ladali beti chalo tum jaldi se fresh ho jaao aaj ham dono mandir chalte hai mamta ji boli
aap bas thodi der rukiye main abhi aai bol kar niranjana bhag kar bathroom main chali gayi niranjana ke jate hi Mamta ji apne munh par hanth rakh kar rone lagi wah kutta mar jaye kahi jiski wajah se meri jaan se pyari beti ke aankhon main aansu aai mamta ji man main boli our apni aankhon main aai aansu pochh kar chali gayi
aaj niranjana sirf chup chap Nashta kar rahi thi kuch bol nahi rahi thi wahi mamta dekh kar mayush ho rahi thi magar kuch boli nahi
maa bhaiya bhabhi main chalti huin college ke liye niranjana bol kar Mamta ko kiss kiya our chali gayi
mammy ji kya hua hai aaj meri nanad rani ji kuch bhi bol nahi rahi thi suman ne niranjana ke jane ke baad mamta ji se kahi wahi amar bhi ha main ha mila diya suman ke q ki amar ko bhi achha nahi laga tha niranjana ko chup dekh kar
Mamta : mujhe lag raha hai aaj meri beti ka tabiyat thik nahi hai is liye kuch nahi boli
niranjana ghar se sidhe annu ke ghar gayi jo aaj annu pahle se taiyar thi jane ke liye tabhi niranjana pahunchi
are wahh aaj to pahle hi taiyar ho gayi kya baat hai niranjana pass jakar boli
Sorry niranjana main college nahi apne mama ke ghar ja rahi huin main tumeh phone karne hi jaa rahi thi annu boli
magar annu niranjana ko thik se dekh nahi rahi thi jaise annu ko niranjana se dar lag raha hai
oh phir to aaj mujhe akele hi college jana padega thik hai aaj main akeli chali jaungi waise tu kam aayegi apne mama ke ghar se niranjana boli
bas 2 se 3 din main aa jaungi annu ne kaha
ok main bhi college 3 dino ke liye nahi jaungi tere aane ke bad sath hi jaungi chalo main aaj hospital main jaungi apni badi maa ke pass niranjana ne kaha chali gayi
wahi niranjana ke jane ke baad annu chain ki shansh liya jaise niranjana ke samne annu ka dam ghunth raha tha
Niranjana jab hospital main jati hai our nars se apni badi maa ke bare main puchhti hai to nars uper jane ko bolti hai niranjana nars ko thanks bol kar nikal jati hai niranjana jab hospital ke sidhiya ke pass jati hai to niranjana ko sidhiya kuch lambi lagti hai to ek aurat se lift ke bare main puchhti hai jo aurat us taraf hai bata deti hai to niranjana usi taraf chali jati hai
mem niranjana medam kya bol rahi thi aap se wah aurat jab nars ke pass se gujar rahi to nars ne puchha
Achha wah ladki ha wah lift ke bare main puchh rahi thi nars jo maine bata diya aurat bol ke chali gayi
wahi aurat ke jate hi nars ne apni chehare par aai pasine ko puchhne lagi niranjana medam ko lift se jane ki kya Zarurat thi nars ne man main boli
wahi niranjana lift ke pass jakar khadi ho gayi kuch der khadi rahne ke baad lift uper se niche aaya our lift ka darwaza khola to niranjana ka dil dhdak gaya q ke uper se lift main koi nahi aaya tha lift bilkul khali tha jo niranjana lift se thodi dur hat gayi thi taki jo abhi lift se aaye hai wah ja sake magar lift se to koi nikala hi nahi jo niranjana dar gayi
lagta hai lift main koi aaya nahi hai soch kar niranjana lift main chali gayi our uper jane ka batan ko daba diya niranjana lift main khadi hokar mamta ji ko phone karne lagi
wahi niranjana ke thik pichhe koi khada hokar niranjana ke jisam ko sungh raha tha jaise hi niranjana ko laga niranjana ne darte hua pichhe dikhi to koi bhi nahi tha niranjana phir se phone karne lagi mamta ko ki tabhi niranjana ko apne balon par kisi ka hanth hone ka ahsas hua our niranjana chikh padi niranjana ki dhadkan bhi tezz chalne lagi koi nahi hai ye mera bharm hai koi nahi hai ye mera bharm hai maa aap kaha ho niranjana dar kar apni aankhen band kar ke bolti jaa rahi thi
wahi niranjana ke thik pichhe abhi do parchhai dikh rahi thi jo ek dusre se lad rahi thi jisse lift main huin huin huin huin ki aawaze aana suru ho gaya jab niranjana ko aawaze se sunai dene lagi to niranjana ki halat our kharab hone lagi niranjana aachanak palat gayi our parchhai dekh kar chikh padi our lift main hi gir padi
niranjana jaise hi pichhe palat kar dekhi to niranjana ko apne pichhe do parchhai dikhai diya jo ek parchhai niche thi our us parchhai par ek parchhai khadi thi pair rakh kar our chikh rahi thi jo dekhte hi niranjana chikh kar gir padi
niranjana ko jab hosh aaya to wah ghar par thi our niranjana ke pass main Mamta baithi thi
badi maa main ghar kaise aai main to hospital gayi thi aap se milne ke liye our lift se upar jaa rahi thi magar main to abhi lift main thi niranjana uthate hua boli
nahi gudiya tum to lift main be abhi our kuch bolti suman ki mamta ji ne aankhon se chup rahane ko ishara kar diya
nahi tum lift se nahi sidhiyon se uper aai thi our mere sath hi thi ghar aate hua tum so gayi thi to maine tumeh sone diya mamta niranjana ke sar ke bal ko thik karte hua boli
mamta ji nahi chahati thi ki niranjana ko phir se lift ki bat yaad aaye is liye suman ko bhi mana kar diya kuch batane se our khud bhi jhut bol diya ki niranjana lift se nahi sidhiyon se uper aai thi
Nars ko jiase hi pata chala ki niranjana medam lift se uper jaa rahi hai mamta ji ko phone kar diya nars ne our mamta ji ko jaise hi pata chala niranjana lift se uper aa rahi hai mamta ji bhagati hui lift ke pass gayi our lift jaise hi uper akar khula our mamta ji ne apni masoom beti ko behosh payi our phir usi waqt hi mamta niranjana ko ek baba ji ke pass lekar gayi jo baba ji ne dekh kar niranjana ko kuch nahi hua hai bole tab mamta ji niranjana ko ghar pe lekar aaya gayi
chalo ab uth bhi jaao raat hone wali hai chalo aaj main suman our tum teeno koi sath main khana banate hai niranjana phir se mamta ji ko pakad kar soni lagi to mamta ji boli
kya sach main aaj main kichen main jaa sakti huin niranjana khush hote hua boli kichen ke sun kar niranjana bahut khush ho gayi q ki niranjana ko kabhi mamta ji ne kichen main kuch karne nahi deti thi magar aaj khud bol rahi thi jo niranjana ko apni badi maa ki baat par yekin hi nahi hua our phir kuch puchhi bhi nahi hospital ke bare main
main abhi aai bol kar niranjana bathroom main chali gayi
mammy ji batane q nahi diya mujhe phir ham gudiya se puchh bhi lete kya hua tha lift main Kichen main aate hua suman boli apni sas mamta se
tu pagal to nahi ho gayi agar soch phir se use yaad aa gaya to meri beti to dar hi jayegi ye to achha hua meri beti ko kuch yaad nahi hai our kya janna hai tujhe to pahle se pata hai lift ke bara main our tujhe our janna hai to kal tu khud chali jana mamta ji thodi gusse main boli
ohh sorry mammy ji main bas yahi bol gayi mujhe manf kar dijiye main to soch bhi nahi sakti us lift main jane ke bara main suman kuch soch kar boli
________________________________
America main
Abhi jeams apne room main baith kar kuch ek photo dekh kar soch raha tha ki use apni maa ki aane ka ahsas hota hai to jeams photo ko chupa leta hai
are ye main kya dekh rahi huin mera beta to aaj ghar par hai jasmeen jeams ke pass jakar boli our jeams ke mathe par kiss kar diya
maa aap ne kabhi nahi bataya ki papa kya karte the our wah abhi kaha hai wah ghar q nahi aate jeams ne puchha
maine tumeh kai bar bataya hai beta tumhare papa kaha hai mujhe bhi nahi pata wah ham dono ko chhode kar pata nahi kaha chale gaye jo ab tak ghar nahi aaye jasmeen jeams ke bed par se kapade uthate hua boli
jeams kuch our bhi puchhna to chahata tha magar apni maa ke chehare par aai udasi dekh kar puchh na saka
dekhna jab papa ghar aayenge to main uneh bahut marunga meri maa ko akele chhode kar chale gaye jeams muskurate hua bola
kya bol raha hai koi bhala apne papa ko marta hai wah mujhe chhode kar chale gaye to kya hua mere pass tu to hai na jasmeen boli
oh oh oh dekho to maa kaise sharma rahi hai our apne pati ko bachha rahi hai jeams haste hua bola our apni maa jasmeen ko gudgudi karne laga
beta ab chhode bhi de mujhe khana bhi banna hai our phir kapde bhi pack karna hai chal zara tu bhi meri madad karde main khana banati huin tab kat tu kapde pack karde main abhi khana bana kar aati huin bol kar jasmeen chali gayi
jasmeen Kichen main jakar rone lagi
wahi jeams bhi phir se kuch sochte hua kapde pack karne laga papa aap kaha hai main aap ko dhundh kar hi rahunga jeams man main socha
kuch waqt ke baad jasmeen ne khana bana kar jeams ko aawaz diya jo dono maa bete khana sath khane lage our phir sone chale gaye aaj jasmeen sone se pahle haar ko bag main rakh di
Next morning
Jeams abhi taiyar hokar room se nikala to samne nitis ko dekha jo jasmeen ke sath bate karte hua khana kha raha tha
oye aaj subah subah hi khane aa gaya thik hai beta aaj jih bhar ke khale phir kabhi mile ki nahi pata nahi jeams pass jakar kar bola nitis se
kya matlab hai tera mujhe to har din aunty ke hanth ka khana milega is liye to aunty ne mujhe apne sath india jane ke liye boli hai nitis khate hua bola
kya tu bhi hamhara sath india jayega maa aap ne ise q bataya ise bas feree main khana chahiye jeams jasmeen se bola
nitis ko bhi jane de beta iska hamhara siva kaun hai main ise bhi apne doston se milwa dungi please mera achha beta na jasmeen nitis ko aankh marte hua boli
jo nitis ke sath jeams ne bhi dekh liya thik hai aap kahti hai to ise bhi sath le lete hai magar ise bol dijiye sara bag ye lakar jayega jeams ne kaha
phir jeams bhi nashta karne baith gaya nashta karne ke bad hi jeams jasmeen our nitis ghar se nikal gaye india jane ke liye
vo do parchay kiski thi..jise dekh kar naranjana behos ho gay...
Awesome update
Last edited: