• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Nirjala { ek varshon se tadpati hui aatma } (Completed)

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,382
158
UPDATE ____________ { 21}

Shera ke baat ko kisi ne bhi nahi samjha akhir Shera kahna kya chahata hai magar Shera bol kar wahi ek jagah baith gaya our uske sathi bhi tambu lagane lage jaise jaise din dhal raha tha mahal se chikhane chillane ki aawaze aane suru ho gaye the haveli se aati aawazon ko sun kar un sabhi ko dar lagne laga magar Shera ko koi fark nahi pad raha tha wah bas aankhen band kar ke baitha tha

ye kya ho raha hai yaar haveli se aawaze q aa rahi hai lagata hai haveli main koi hai chalo dekhte hai kaun hai ek sathi ne kaha

baith jaa suna nahi boss ne kya kaha tha is ghere se abhi bahar nahi nikalna ka raka ne kaha jab

raat hui to haveli ke get par dekhne se lag raha tha koi hai jo sabhi dekh rahe the wah koi ladki thi our uske ball aage ki taraf gira hua tha wah bahut tezz chilla chilla kar ro rahi thi

haveli bahar ladki ko dekh kar wah sabhi darne lage our ek dusre ko dekhne lage un sab ki aankhon main dar saf dikhane laga phir kutte ki bhokhne ki aawaze aane lagi aayese lagne laga unke pass main hi wah ladki aa gayi hai wah log itana darne lage ki dar ki wajah se apni aankhen band kar ke ek dusre se chipkne lage tabhi uneh ghera ke bahar se huin

huin huin huin huin huin huin ki aawaze aane lagi jaise koi bahut gusse main hai

kisi ko nahi chhodungi chale jaao mere gaon se ek aawaz gunj padi aawaz itani darawani thi ke ek to paint main mutne laga uske jisam ekdam thanda pad kar wahi hall sabhi ka tha un sab ko apni maut samne nazer aane lagi ghera ke bahar bahut darawani aawaze aane lagi thi our ayesa lag raha tha ke jayesa koi bahar ghum raha hai chikhate chillate hua

main tujhe is duniyan se muft kar dunga Shera aankhen kholte hua bola

tum sab bahar ki taraf dhyan mat do our ye ruyi sabhi apne kano main laga lo taki uski aawaze tum logo ko sunai na de Shera rui raka ko dete hua bola

raka ne rui lekar sabhi ko diya to sabhi ne rui apne kano main laga liya aawaze to phir bhi sunai de rahi thi magar kisi tarah sabhi sone ki koshish karne lage wahi Shera phir se apni aankhen band kar liya
___________________________
wahi sahar ke ek bade hotal main mitting chal raha tha our koi 6 se 7 log the

are Shera ke gaye hua itane din ho gaya abhi tak uska koi pata nahi chala mujhe to nahi lagata wah hamhara kaam kar payega un sabhi main ek ne kaha

haaa hameh bhi yehi lag raha hai Shera ke bas ki baat nahi hai hameh our koi upaye karna hoga kisi bhi tarah us gaon ko apne kabze main lena hi hoga ek our bola our uske sath our sab bhi bolne lage

chup ho jaon tum log mujhe pura yekin hai Shera hamhara kaam zarur karega maine baat kar liya hai wah gaon hamahara kabze main hai bas us bhutni se Shera hameh chutkara dilwa de phir ham sabhi mala mal ho jayenge samne baitha hua Aadmi ne kaha

wah bhutni bahut khatarnak hai ab tak kitne log ko maar chuki hai hamahara ab to koi jane ke liye bhi taiyar nahi hota us gaon main ab bas Shera par hi bharosa hai unme se ek ne kaha

mat bhul ke Shera ab pahle wala Shera nahi raha maine khud dekha hai Shera ke pass kitni sakti hai mujhe pura yekin hai Shera hamhara kaam zarur karega magar tum sab ko yaad rahe Shera ko pata nahi chalna chahiye hamhara maksad kya hai Shera ko yehi lagna chahiye hameh bas us murti ke sath wah haveli ko hasil karna hai mujhe yekin hai jo maine Shera ko bataya hai Shera ne mere baton par yekin kar liya hai tum log bas Shera ka aane ka intezar karo samjh gaye tum log warna mujhse bura koi nahi hoga agar kuch bhi Shera ko pata chala to samne baitha Aadmi ne sabhi ko chetawanu dete hua bola jo sabhi ne haa main sar hila diya
__________________________
Niranjana ki achanak nind khul gayi jab gadi ruki to wahi saare students bhi uth gaye

kya hua kavita mem gadi q ruk gayi kya ham pahuncha gaye unme se ek student ne puchha

abhi ham log nahi pahunche hai lagata hai gadi ka tair panchar ho gaya hai kavita boli jab dekhi ke saare students utarne lage to tab tak kuch student gadi se utar gaye

niranjana ki nazar jab bahar gai to niranjana ko wah jagah bahut achhi lagi niranjana bhi gadi se niche utar gai ab jeams bhi niranjana ke pichhe utar gaya charon tarf santta chhaya hua tha

didi lagata hai waha par koi basti hai jeams basti ki tarf dekhte hua kavita se bola

kavita mem lagata hai waha par ek mahal hai chaliye na waha ghum kar aate hai ek student ne kavita se kaha

kavita pahle driver ke pass gai our puchha kitana waqt lagega to driver ne 1 ghante bola to kavita ne socha ghum hi lete hai to wah students ko chalne ke liye boli jo sabhi student khush hokar haveli ki tarf bhagane lage

niranjana bahut dhire dhire chal rahi thi our kuch yaad karne ki koshish kar rahi thi jaise niranjana is jagah par pahle bhi aa chuki hai

niranjana charon tarf badi hairani se dekh kar chal rahi thi jeams ne kai bar niranjana se bola bhi magar niranjana koi jawab nahi de rahi thi jeams ke baat ka jaise niranjana ko kuch sunai hi nahi de raha hai

kya soch rahi ho kahi tumeh apni badi maa yaad to nahi aa rahi hai niranjana kavita ne niranjana ko pakad kar boli tab niranjana hadbada kar kavita ko dekh kar thodi der wahi khadi ho gayi

jeams kab se dekh raha tha ke niranjana kisi yaad main khoi hai jeams ne kavita se puchhne ko kaha jab jeams ke baat par niranjana ne koi jawab nahi diya to

kavita mem ayesa lag raha hai main yeha pahle bhi aa chuki huin kab our kiske sath aai huin yaad nahi aa raha hai niranjana yaad karte hua boli magar yaad nahi aa raha tha

niranjana tum kya bol rahi ho tum bhala yeha kaise aa sakti ho tum akeli kahi jati bhi nahi ho agar tum kabhi apni badi maa ke sath aai hogi to wah bata sakti hai kavita boli

yehi yaad nahi aa rahi hai mem niranjana chalte hua boli phir niranjana chalne lagi magar niranjana jaise jaise haveli ki tarf badh rahi thi use rasta bhi jana pahchana lag raha tha ek jagah jakar niranjana ruk gayi

ye ye to mere sapne main aane wala mahal hai niranjana haveli ke get par jakar khadi hokar badi hi hairani se boli our apni sar paked liya
Awesome update
 
  • Love
Reactions: SultanTipu40

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,382
158
UPDETE ____________ { 23}

aachank hi waha charon taraf andhera sa hone laga our badi hi tezz hawa bhi chalne laga jo ab lagne laga tha barish bhi jald hone wali hai

shera mujhe baat karna hai raka niranjana ko dekhte hua bola

q ke raka ko samjh nahi aaya ke shera ne ladki ko akhir pakda q hai our us ladki ke gale main wahi haar hai jo abhi usne shera ke chitar main dekha hai to baat karna hi sahi samjha raka ke bolne par shera uske sath tambu main chala gaya

haa bol kya baat karni hai tujhe shera tambu main jane ke baad bola

ye sab kya our tumne ladki ko q pakdne ke liye bola hai wah ek college main padhne wali ladki hai agar use kuch hua to hamare sath bahut bura hoga q ke us ladki ke sath pura college ke students hai ye haar jo abhi maine chitar main dekha hai yehi haar us ladki ke gale main bhi hai ye kaise ho sakta hai mujhe kuch samjh main nahi aa raha hai raka chitar ko shera ke tarf badhate hua bola

shera kuch der chup raha phir bolna suru kiya

raka main us ladki ke sath kuch nahi karne wala mujhe bas us aatama ko mukt karna hai jo ye ladki hi kar sakti hai jo maine apne guru se wada kiya hai shera ne kaha

kya main kuch samjh nahi kya matlab hai tumhara our tumeh kaise pata ye ladki hi kar sakti hai us bhutani ko mukt raka haurani se kaha

Tumeh yaad hai jab mere pichhe pulice lagi thi our main bhag raha tha tab mujhe 2 se 3 goli bhi lagi thi phir bhi main bhag raha tha main bhagte bhagte ek din jangal ke ek gufa main chhip gaya mera halat bahut kharab tha main bas marne hi wala tha main us gufa main jakar gir gaya mujhe jab hosh aaya to mujhe apne sarir par thoda bahut dard mahsus hua magar main thik tha main uthne ki koshish kiya tabhi mujhe kisi ke bolne ki aawaz sunai diya jo main thodi der ke liye dar gaya tabhi gufa ke bahar se ek aadmi andar aaya jo bahut darawna lag raha tha jab samne aaya to maine dekha wah aadmi nahi ek aghori tha jo kabhi buddha ho gaya tha

aap kaun ho kya kiya hai mere sath tumne maine us aghori se kaha

beta wahi kiya jo mujhe sahi laga our tum abhi jivit ho aghori ne kaha

our mujhe ek shisa diya dekhne ko jab maine apni sarir par thik se dekha to mere pith par har jagah kata hua tha jaise lakir khincha ho

ye kya kiya hai mere sarir ke ye kitna darwana lag raha hai main buddhe se kaha

beta lag bhag tum mar hi gaye the lekin mere shaktiyo ke karn tum bach gaye magar maine tumeh ek maksad ke liye bachaya hai agar tumne mere kaam kar diya to ye sare lakir apne aap mit jayenge aghori ne kaha us aghori ke baat sun kar main samjh gaya zarur koi badi baat hogi tabhi aghori ne mujhe bachaya hai aghori ke baat se main mar gaya tha lekin usne mujhe bachaya maine bahut se pap kiya tha to socha agar aghori ke kaam karne se mera kuch pap kam ho jaye to achha hai is liye maine aghori ko haa bol diya

tab us aghori ne mujhe is gaon ke bare main bataya ke kaise ek rani ko kitne berahmi se un charon ne jaan se maar diya our sath main us rani ke bachche ko bhi phir shera ne puri kahani raka ko suna diya

ye to bahut bura hua hai rani ke sath magar abhi bhi bahut sawal hai wah aghori ko kaise pata rani ke bare main our phir rani ne kya sambhu ko mara ki nahi ye nahi bataya tumne our ye mujhe bilkul bhi samjh nahi aaya aatama our is ladki ka kya rista hai raka ne kaha

Maine aghori se pucha to usne bataya barso pahle kisi aghori ne ye chitar banaya tha jo in aghoriyon main se ek tha usne sari baat likhi hai isme our ye bhi ke wah aatama ko tabhi mukti milegi jab aatama ki vansaj main koi ladki paida hogi our us murti ko mandir main rakhegi jo ek din wah aatama khud us ladki ko apne pass lekar aa jayegi our mujhe pura yekin hai ye ladki us aatama ki vansaj hai jiske liye us aatma ne barso se intzar kiya hai

to tumeh us ladki ko pakdne ki kya zarurat thi wah khud hi us ladki se murti rakhwa sakti hai raka ne kaha

haa mujhe pata hai magar ye mujhe abhi tak samjh main nahi aaya ki agar aatama ko ladki se matlab hai to phir wah yeha aane wale logon ko maar q rahi hai yehi mujhe janna hai jo is ladki ke wajah se ho sakta hai shera ne kaha our phir tambu ke bahar aa gaya jo ab bahar sabhi students ko sath lekar kavita our jeams bhi khade the wahi niranjana zameen par padi ro rahi thi

kavita kya kare kuch samjh main nahi aaya to kavita ne mamta ji ko phone kar diya

hello kavita tum log kaha par ho idhar mamta ji phone utha kar bol padi

aunty yeha par kuch gundon ne niranjana ko pakad liya hai please aap police ko lekar yeha hathama gaon main aap aa jaiye mujhe bahut dar lag raha hai kavita darti hui boli

wahi mamta ji gadi main chikh padi our phone bhi mamta ji ki hanth se gir gaya

aaaaaa meri gudiya meri gudiya ko kkk kuch kiya to nahi hai na un gundon ne kya chahiye uneh bolo unse meri bachhi ke sath kuch na kare wah jo bolenge main uneh de dungi main bas kuch der main waha pahunchne wali huin mamta ji jaldi se phone utha kar boli aunty

wahi mahima gadi slow kar ke chalane lagi mamta ji ko pareshan dekh kar madhu to rone hi lagi thi q ke madhu ne puri baat sun liya tha

didi kaun log hai meri gudiya ko q pakda hai kahi gudiya ke sath kuch karenge to nahi didi aap gadi zara tezz chalaiye na madhu roti hui boli

mahima ji gadi our tezi main chalane lagi madhu ko rote hua sun kar
_____________________________
tum apne sare aadmiyon ko sath chalne ko bolo main bhi nikal raha huin our kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye phone par ek aadmi ne kaha

boss hameh sab ko bata dena chahiye warna wah sab hamare sath kabhi nahi denge dusre ne phone par kaha

wah log kuch nahi karenge bas aaj shera us aatama ko khatam karde phir ham waha jald hi apna kaam suru kar denge our phir ham mala mal ho jayenge waha se tell nikal kar aadmi ne kaha

ok boss aap ko jo thik lage main apne aadmiyon ke sath sara saman lekar nikal raha huin ham jald hi waha khudai chalu kar denge aadmi ne kaha our phone rakh diya

Main kab se is din ka intzar kar raha tha Ab jakar pura hua Ab main sabse aamir aadmi ban jaunga waha bahut sara tell hai hhhhhhhhhhhhhh haste hua aadmi ne kaha
Fantastic update
 
  • Love
Reactions: SultanTipu40

SultanTipu40

🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬
Prime
14,797
19,685
229
UPDETE ____________ {25}

Magar wah murti kaha hai jo abhi tak tune bataya nahi wah murti jab tak nahi milega tujhe mukti bhi nahi milne wali ye baat tu achhe se janti hai magar mujhe ab lag raha hai tu abhi murti kaha hai nahi batane wali hai akhir tu chahti kya hai logo ko isi tarah marna main ye kabhi ab nahi hone dunga bata de murti kaha hai main tujhe mukti dila dunga shera ne kaha

nahi main jab tak use nahi marungi main nahi batane wali murti kaha hai agar kisi ne dhundhne ki kosis bhi ki to main use jaan se maar dungi nirjala badi gusse main boli

wahi shera phir se mantr padhne laga shera ke mantr padhte hi waha phir se hawaye bhi chalne lagi achanak Niranjana
wahi par gir padi to madhu bhag kar Niranjana pakad kar uthai

Ab kya hoga unhone ne murti ke bare main kuch bhi nahi bataya vikarm singh bol pade

aap log chinta mat kijiye ab murti ko bas ek hi dhundh sakti hai our wah hai aap ki beti kisi our ne us murti ko dhundhne ki kosis kiya to wah sach main use maar degi wah bahut sakti sali hai main bhi uska kuch nahi bigad sakta huin jab tak wah murti us mandir main nahi rakhi jayegi use mukti nahi milegi to kisi bhi tarah us murti ko aap ki beti ko dhundhna hoga q ki wah bas aap ki beti ko hi kuch nahi kar sakti hai shera waha se uthte hua kaha

phir sabhi haveli se bahar nikal gaye abhi niranjana bhi hosh main nahi thi jo mahima our madh niranjana ko pakad kar haveli ke bahar lekar aa gayi

didi wah kahani nahi wah hamare purkhon ka bita hua kal tha jo ham use bas ek jhuthi kahani samjh rahi thi mahima mamta se boli

haa aaj pata chala sasu maa ham dono par itana gussa q karti thi jab hameh ladki paida nahi karti thi jo uneh bhi pata tha ladka our ladki ko janam dena hamare bas main nahi tha ab mujhe sab samjh main aa raha hai jo bhi sasu maa ne mere our tere sath kiya yekinn unke sath bhi yehi hua hoga tabhi wah ladki nahi hone par dukhi hokar ham pe gussa karti thi mamta un lamhon ko yaad kar ke bol rahi thi jab pahli bar maa bani thi our amar ko janam diya tha jaha mamta bahut khush thi ladka hone se magar ghar jate hi mamta ki sas ne mamta se milne bhi nahi aai uske room main our bahar se hi kuch na kuch bolti rahati thi mamta ko magar mamta koi jawab nahi deti thi apni sas ko magar sochti zarur thi ke sabhi nati hone par khushi manati hai our apni bahu ko apni sar par baitha leti hai magar meri sas mere bachhe ko dekhne bhi nahi aai mamta soch soch kar rone bhi lagati thi wahi aaj bhi mamta ki aankho se aansu nikal raha tha magar ye aansu khushi ka tha

madhu meri bahan tu bahut kismat wali hai jo tune niranjana ko janam diya our ham sab ko ek gudiya diya agar aaj sasu maa zinda hoti to wah aaj ye din dekh kar bahut khush hoti mamta ji rote hua madhu ke samne hanth judte huwe

didi ye aap kya kar rahi hai aap mujhe sarminda mat kijiye aap meri badi bahan jaisi nahi maa jaisi bhi hai aap ne kabhi bhi mujhe us ghar main akeli mahsus nahi hone diya mujhse kabhi galti bhi ho jati thi to aap sasu maa se jhut bol deti thi ke wah saman aap ki wajah se ho gaya taki sasu maa mujhe kuch na bole our badle main aap khud mere kiye hua galti ki khud sasu maa ki gusse ko sah leti thi jo ek maa hi kar sakti aap please hanth mat judiye mujhe madhu bhi roti hui boli

tabhi niranjana kahrte hua uthne lagi to mamta mahima our madhu apni aankho se bahte hua aansu pochh liya

maa kya wah kahani sach main hamare hi purkhon ki hai kya sach main wah hamari kahani hai niranjana uthte hua boli

haa meri bachhi wah kahani hamari hi purkhon ki hai our wah ladki tum ho jisse hamari nirjala maa kab se intazar kar rahi hai madhu niranjana ko chumte hua boli

wahi niranjana ne jab suna ke wah kahani sach hai our wah ladki khud niranjana hai to wah our bhi khush ho gayi our apni maa se lipat gayi

maa kya unhone ne sambhu ko jaan se maar di thi unhonne ne bataya ki nahi nirnjana utsukta se boli

aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa

maa mere jisam bahut dard kar raha hai nirnjana jab uthne lagi to use dard hua apni jism main to boli

chalo pari beti tum abhi aaram karo subah main baat karte hai mamta ji nirnjana ko apni god main leti hui boli wahi madhu our mahima niranjana ki jism ko dhire dhire dabane lagi jo kuch hi der main niranjana nind ki aagosh main chali gayi
_______________________________
idhar sadak par kai gadiya chal rahi thi raat ke andhere main

bhima main tujhse bolna bhul gaya tha kya tumne us videshi ko jaan se mar diya ya abhi bhi use bandh kar rakha hi hai ab hameh uski koi zarurat nahi hai gadi main ek ne kaha jo wahi boss tha

nahi boss wah abhi zinda hai q ke aap ne kaha hi nahi bideshi ko marne ke liya main to use kab ke mar chuka hota magar aap phikar mat kijiye main abhi apne bando ko bol deta huin wah log use thikane laga denge bhima ne kaha our apne bando ko phone laga diya magar uske koi bhi aadmi phone nahi utha raha tha bhima ne kai bar phone kiya magar ek bar bhi kisi ne phone nahi uthaya

boss lagta hai sale sab pikar so gaye hai jo phone nahi utha rahe hai aap phikar mat kijiye subah main phone kar ke main bol dunga un sab ko us videshi ko thikane lagane ke liya bhima ne kaha

wahi jaha bhima phone kar raha tha wah ek godam tha jo har tarf gun barood se bhara hua tha magar abhi wah jagah aag main jal raha tha our bhima ke aadmi sabhi mare pade the phone to baj raha tha magar waha koi zinda hi nahi tha to phone kaun uthayega

bhima ka gadi tezi se chal raha tha wah subah tak kisi bhi halt main hathama gaon main jana chahte tha

Next morning
shera subah main uthta hai to gaon ki tarf aate hua kai gadi ko dekhta hai jo shera ko thodi hairani hoti hai magar gadi jab shera ke samne akar rukti hai to shera jaan jata hai kaun log hai ye shera wahi khada rahta hai

wahi kai gadiyon ki aawaz sun kar tambu main so rahe sabhi dhire dhire uth jate hai our apne apne tambu se bahar nikal jate hai samne dekhte hai to bahut sari gadiyan khadi hoti hai jinme 2 se 3 gadi zameen khodane wali hoti hai jo sabhi ko hairani hoti hai ke yeha zameen khodane ki masin q aayi hai

Wahi gadi se ek aadmi nikalta hai jise shera achhe se pahchan jata hai wah chal kar shera ke pass aata hai

to shera kya tumne tumne us aatama ko mukt kar diya n haa mujhe pata hai tumne kar diya hoga shera main tumeh mala mal kar dunga wah aadmi shera ke pass akar bolta hai ye

Ye gadiyan yeha kya kar rahi hai shera us aadmi se bolta hai

shera tumhara kaam ho gaya hai ab tum yeha se jaa sakte ho baki sab main dekh lunga yeha our ye lo tumhara inam wah aadmi ek baig shera ko dete hua bolta hai

rameshwar singh tum yeha kuch bhi nahi kar sakte jab tak is jagah ke malik tumeh kuch bhi karne ki izaazat nahi deta samjhe yeha sari zameen ka malik vikram singh hai shera bolta hai

kya bak raha hai tu is zameen ka malik koi nahi hai yeha kai barso se koi nahi rahta hai our kisi ko nahi pata is zameen ka malik kaun hai to ye sari zameen sarkar ke hantho main jati hai our maine pahle hi baat kar liye hai tum to jante hi ho meri kaha tak pahunch hai to tum ye paise lo our niklo yeha se samjhe rameshwar singh bolta hai

rameshwar singh pahle is zameen ka malik koi nahi tha magar ab hai mujhe khud us aatama ne batai hai wah vikram singh ka zameen hai q ki vikram singh us aatama ka vinsaj hai to ye sari zameen bhi unki hui tumhara nahi shera ne kaha

jab rameshwar singh ne shera ki baat suna to gusse main shera par gun taan diya to us aatama ne tumeh bataya hai to main vikram singh ke sabhi pariwar ko hi maar dunga our ye sari zameen meri ho jayegi

bhima jo shera ke sath apna aadmi hai usse puchh kar vikarm singh our uske pariwar ko pakad lo abhi rameshwar singh bola

tabhi waha ek banda bhima ke samne aaya jo tambu ke bahar hi khada tha our vikram singh ke pure pariwar ke tarf ungli utha diya jo bhima ke sabhi aadmi vikram ke pariwar walon par gun taan diye

rameshwar singh tu ye achha nahi kar raha hai meri baat ko maan our yeha se bhag jaa warna jab wah aa gayi to bhagne ki bhi mokka nahi degi shera ek kamina muskan ke sath bola

jo rameshwar singh shera ko dekhne laga ke shera kisi baat kar raha hai tabhi use dhayan aata hai

kya abhi tak tune use mukt nahi kiya rameshwar singh thoda darte hua kaha

wahi shera ek muskan ke sath na main sar hila deta hai phir
Shera ki ek chikh hawaon main gunj padti hai
 
Last edited:
15,671
32,171
259
romanchak update ..nirjala ko abhi mukti nahi chahiye ,wo kisi ko maarna chahti hai .
bhima ke saathiyo ko kisne mara abhi pata nahi chal paya .
main villain rameshwar singh hai aisa lagta hai jo hathma gaon ki jameen par kabja karke waha se oil nikalna chahta hai .
lagta hai shera ko maar diya rameshwar ne 🤔.. par ab uski bhi halat kharab ho gayi hai ye jaankar ki nirjala ko mukti nahi mili .
 
  • Love
Reactions: SultanTipu40

SultanTipu40

🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬
Prime
14,797
19,685
229
romanchak update ..nirjala ko abhi mukti nahi chahiye ,wo kisi ko maarna chahti hai .
bhima ke saathiyo ko kisne mara abhi pata nahi chal paya .
main villain rameshwar singh hai aisa lagta hai jo hathma gaon ki jameen par kabja karke waha se oil nikalna chahta hai .
lagta hai shera ko maar diya rameshwar ne 🤔.. par ab uski bhi halat kharab ho gayi hai ye jaankar ki nirjala ko mukti nahi mili .
:thankyou: Leon bhai

Next Update main dekhte hai bhima ke aadmiyon ko kisne mara hai

our shera ke sath kya hua jo chikh pada hai
 
  • Like
Reactions: KEKIUS MAXIMUS

SultanTipu40

🐬🐬🐬🐬🐬🐬🐬
Prime
14,797
19,685
229
UPDETE _____________{26}

Shera abhi bol kar hass hi Raha tha ke Rameshwar singh Shera par apne gun se Shida Fair kar deta hai jo goli shera ke kandhe par lagti hai our shera chikh ke gir padta hai

bhima jitna jaldi ho sake tum vikram singh ke pariwar ko dhundh kar yeha lekar aao hameh jaldi hi is jaha se abhi niklna hoga rameshwar singh bolta hai to bhima apne sathiyon ko bolta hai our wah shera ke sathi ko lekar chale jate hai vikarm our uske pariwar ko pakdne ke liye

gun ki aawaz Ko sun kar sabhi tambu ke andar dar jate hai our bhag kar tambu se bahar aate hai to dekhte hii bahar kai sari gadiyan lagi hai our bahut se gundey hai jo sabhi ke hanth main gun hai jo sabhi students dar jate hai

wahi tambu main abhi mamta ji nirnjana ke bagal main baith kar niranjana ko pyar se dekh kar muskurate hua nirnjana ki gaal par hanth fer rahi thi tabhi tambu main 3 se4 gundey ghus jate hai our gun taan dete hai kaun ho

tum log our yeha kya kar rahe ho jaao yeha se mamta ji bolti hai

magar wah gundey mahima ji our madhu ko pakad lete hai our mamta ji par gun taan dete hai

tum sabhi abhi ke abhi tambu ke bahar chalo hamare sath ek gunda bolta hai

magar mamta ji niranjana ke aage khadi ho gayi our phir se uneh bahar jane ko bolti hai

tabhi ek gunda mahima ji ko bahar ki taraf dhakka de deta hai jo mahima chilla ke bahar jakar gir padti hai

madhu didi kahte hua mahima ke pass bhagti hai our mahima ko uthati hai wahi mahima ki chillane ki aawaz ko sun kar niranjana bhi uth kar Baith jati hai our apni badi maa se lipat jati hai

badi maa ye kaun log hai darti hui niranjana bolti hai

tum bhi mere sath chalo nahi to tumeh bhi isi tarah dhakka dekar lekar jayenge ham gunda bolta hai

to mamta ji niranjana ko pakde hua tambu se bahar nikalti hai our samne dekhti hai to shera dard se chikh raha tha wahi pe mamta ji ke pati our devar bhi khade hai our un par bhi gun taan kar gundey khade hai

rameshwar singh ko shera ke sathi bata deta hai vikramsingh our uske pariwar ke bare main jo asal main wah shera ka nahi rameshwar singh ka hi aadmi tha to rameshwar singh vikram our uske pariwar walon ko ek jagah kar deta hai

tum ho kaun our hameh is tarh pakdne ka kya matlab hai main to tumeh janta bhi nahi huin vikram singh kahta hai

haa tum sahi kah rahe ho naahi tum mujhko jante ho our nahi main tumeh janta huin is liye main tumse bas ek bat bol raha huin kuch hi waqt main yeha par ek pepar aane wala hai bas tumeh uspe apna signature kar dena hai phir tum apne parivar ko lekar ja sakte ho rameshwar singh bolta hai

kaun si pepar our signature ki baat kar rahe ho tum vikram singh phir se bolta hai

nahi aap signature mat kijiyega gaa shera chikh kar bolta hai

tabhi shera ke kandhe par jaha goli lagi thi Wahi rameshwar singh apna pair rakh deta hai jo shera chikh kar rah jata hai

yehi ki tum yeha ki sari zameen mere naam kar rahe ho wah bhi apni marzi se jo yehi sahi bhi rahega tumhare liye samjhe rameshwar singh haste hua bolta hai

main kabhi bhi signature nahi karne wala ye zameen mere bujurgo ki hai jo mujhe aaj hi pata chala hai wah main nahi jane dunga tum mujhe ye meri pariwar ko kuch nahi kar sakte kuch hi der main yeha police aane wali hai samjhe vikram singh bhi gusse main bolta hai

tabhi rameshwar singh apne hanth vikram singh ke pariwar ki tarf kar deta hai our gun bhi taan deta hai

to phir tum sab ko marne ke alawa mere pass ko rasta nahi hai rameshwar singh bolte hua gun chala deta hai mamta ji ki taraf vikram Singh chikh padta hai

wahi rameshwar singh jaise hi goli chlata hai jeams bhag kar mamta ji ko lekar gir padta hai our goli rameshwar singh ke ek aadmi par lagati hai jo wahi par gir padta hai rameshwar singh phir goli chalane jata hai tabhi piche se uski gadi main ek zor se dhamaka hota hai our wah gadi ud padti hai rameshwar singh ghum kar pichhe ki tarf gir padta hai

idhar kavita apne sare students ko lekar apni gadi ki tarf bhagti hai wahi jeams niranjana our uski maa badi maa ko haveli ki taraf lekar bhagta hai hai sath main haveli main vikram singh bhi apne dono bhaiyon ko sath lekar bhagta hai haveli ke andar jakar sabhi ek sath main ho jate hai sabhi dare hua ek dusre ko dekhte hai magar vikram singh sabhi ko sant rahne ko bolta hai our uneh haveli ke bilkul ander lekar jata hai

wahi haveli ke bahar rameshvar singh jab uthta hai to dekhta hai uske ek ek gadi main aag lag rahi hai our udati jaa rahi hai

Bhima ye kya ho raha hai kaun hamare gadiyon ko uda raha hai rameshwar singh gusse se kahata hai

pata nahi boss kaun hai aap yehi rahiye main dekhta huin bhima bolta hai

kuch aadmiyon ko haveli main jane ko bolo our sabhi ko maar do koi bhi zinda nahi bachana chahiye rameshwar singh bolta hai

bhima apne sathiyon ko sath chalne ko bolta hai our haveli main jane lagate hai tabhi ek goli akar bhima ke ek aadmi par lagta hai our wahi par maar jata hai

haveli ke chhat se goli chalte hua dekh kar bhima apne sathiyon ko bahar hi rukne ko bolta hai

tabhi bhima ki nazer chhat par padta hai ye ye yeha kaise aa gaya bhima uper chhat par khade hua aadmi ko dekhta hai jo nishana lagaye khada hota hai to bhima ko bahuy hairani hoti hai

boss pata nahi kaise magar wah videshi yeha tak aa gaya hai our haveli ke chhat se hampe gun chala raha hai bhima kahata hai

tu yu kya bak raha hai videshi yeha kaise aa sakta hai kya tune waha kisi ko bataya tha tu kaha jaa raha hai rameshwar bhima ko ghumte hua bolta hai

Ha boss maine apne ek sathi ko bataya tha bhima bolta hai sale bahan chod tujhe batane ki kya zarurat thi ye videshi un sabhi ko maar kar yeha aa gaya hai magar mujhe samjh main nahi aa raha agar videshi bach gaya tha to apne desh bhag jata yeha q aaya hai rameshwar bol padta hai

wahi raka bhi shera ko utha kar sare students ke sath bhag gaya tha our gadi main ghus kar gadi ke draivar ke sar par gun taan kar khada tha our draivar ko gadi tezz chalne ko bol raha tha taki apne boss shera ko bachha sake
 
romanchak update ...shera ko jyada kuch nahi hua ye achchi baat hai .
sabko maarnewala hi tha ki wo videshi banda aa gaya aur rameshwar ki gaadiyo ko uda diya .
jeams ne sahi samay pe mamta ji ko bacha liya .
raka to bhag nikla shera ko leke 🤣.. ab rameshwar ke aadmiyo se kaise mukbala karte hai niranjana ki family aur videshi aadmi dekhte hai .
 
  • Love
Reactions: SultanTipu40
Top