update - 7
pichale update me aapne padha ki divit ko lake kinare shenzu milte hai..aur wahi room me ziyan ka hangover sab dekh rahe the.
ab aage.
mahiyavanshi house..
dushyant mahiyavanshi..gujarat me shayad hi koi aisa hoga jo is naam ko nahi janta ho. number 1 shipping company ke malik hai. aur sath me dimond company ke bhi. jab se business sambhala tha. tab se is position ko hold kiye hue the. aur bhi kai business me partnership hai kai me investment hai. morning time mahiyavanshi house me sab apne breakfast me busy the.
aaj dhishwa aa raha hai. itna sunte hi sabka dhyan dushyant ke taraf tha.
abhiraj - kab aa raha hai.
dushyant - raat tak pahuchega. hum charo ko nikalna hai afternoon tak jinte bhi kaam hai niptalo fir niklenge.
abhiraj - ok. aur baaki sab bhi aa rahe hai.
dushyant - yep..
rana palace rudragarh...is time pura palace jagmaga raha tha. kyonki best buddies kafi time baad ek dusre se mil rahe the. waise to ye palace rana family ka main residence nahi hai. soumit rana ke grandfather ne ye palace banwaya tha.
dheere dheere andhera bhi hone laga tha. rana palace ki jagmagaht palace ko aur bhi khubsurat bana diya tha. wahi humare sab buddies bhi aa gaye the.
sudrega nahi haramkhor aate hi peena shuru abe dhang se raat to ho jaane de.
ye bolne wala dushyant tha.
bhai pee nahi raha tha. check kar raha tha ki drinks perfect hai ya nahi. kyonki tujhe to pata hai agar dhishwa ko kuch bhi imperfect laga to sau bate sunayega.
ruk main bhi dekhta hoon. isi ke sath soumit aur dushyant preprations dekhne lage.
ye tum dono kar kya rahe ho.
soumit and dushyant - final checking.. hello devyani looking pretty.
devyani - sudhar jao kameeno.
matlab tarif karo to dikkat na karo to dikkat had hai yar.
Raat ka time chand apne shawab par tha. chat par lagi mahfil me sab apne apne group me baithe the. jaha ladies ka apna ek group tha. wahi gents ka apna alag group. jaam ka daur chal raha tha. sab the sivya dhishwa singh rathore ko chhodhkar.
maan - dhishwa kaha rah gaya..sab to aa gaye even indra, parinee, sanghmitra aur veer bhi aa gaye but jisne ye get to gether rakkha wo hi gayab hai. kyon veer kaha hai dhishwa.
veer - iska jawab indra bhaiya se pucho.
kyon indra dhishwa kaha rah gaya.
Indra - kyon dushyant kitne baje ka time diya tha.
dushyant - 9:15 ka kaha tha. aane ka
soumit - matlab abhi aane me 1 minut hai.
maya - main nahi manti college time ki baat alag thi. jab mr. perfect time ke punctual the. ab wo baat nahi
dushyant - lagi shart...agar time se aaya to tu gana gayegi.
inka shor sunkar mahila mandal bhi idhar aa gaya aur fir count down shuru aur theek 9:15 pe ek ke baad kuch gadiya andar enter hui. aur usme se utra dhishwa singh rathore. ek hath jeb me ek hath me scotch.
6'6" ki height perfect physic chehre par ek gurur sharp eyes koi kahega nahi. Ki ye insaan apne fifties me hai.
dushyant - time dekh moti correct 9:15 hue hai. ab taiyar ho jaa.
maya - seriously sanghmitra tera pati aaj bhi nahi badla.
sanghmitra - jo badal jaaye wo dhishwa singh rathore nahi.
maan - ye aaj bhi aisa he hai. pahle jeb me hipflask rahta tha. ab uski jagah hath me glass.
mitra isne to chhodh diya tha na.
sanghmitra - chhodh diya tha. par jab se divit ghar se gaya hai tab se wapas pahle jaise ho gaya hai. itna kahne ke baad apni aankho se nami saaf kar leti hai.
divit ka jikra sunte hi ek baar sabki aankho me nami aa jati hai. udhar dhishwa bhi ye dekh leta hai. par jaise usko aadat thi. aansoo rokne ki ya fir usne apne aasu sukha liye the.
hi hello karne ke baad sab wapas baith kar baate karne lagte hai...
wahi in sab ke beech maan jo ek tak dhishwa ko dekh raha tha.
dhishwa usko dekhta pakar bolta hai..mujhe pata hai tu kya kahne wala hai aur yaha sab ke man me kya chal raha hai.
maan - jab pata hai to kab tak aisa chalega tu khud bhi ghut ghut kar jee raha hai. aur humari halat bhi kuch alag nahi hai.
dhishwa - main chah kar bhi kuch nahi kar sakta akhir dad ne vachan jo diya hai chahcha ko.
soumit - to wo kaun sa tera saga chacha hai.
indra - wo baat nahi hai tumhe pata hai papa ka hisab ek baar jo kah diya wo kah diya.
dushyant - tabki chacha ye jante hai ki wo kitne neech log hai..sala muh se gali nikal kar muh ko ganda karna.
sarthak - kisne socha tha. chacha jisko sabse jyada pyar karenge usko hi apne se door karna padega. waise us din hua kya tha.
kyon veer tumhe to pata hai.
veer - pata ho ya na ho par main divit ki kasam se bandha hoon. aur uski kasam mere liye dad se bhi badh kar hai.
rohit - hum sab ne pata karne ki kitni koshish kari par jaise sab kuch regisitan me jasb ho gaya ho. uske baad se hi tauji ne wo jagah aur palace choodh diya aur aaj itne time baad bhi waha nahi gaye. lekin aaj bhi wo manjar bhulaye nahi bhulta kaise us umra me divit ne kya khoon bahaya tha. charo taraf sirf lasho ke dher the. aur unke beech khoon me nahaya khada hua apna divit.
fir inki mahfil yuhi chalti rahti hai. der raat tak jaagne ke baad sab apne room me jaa kar so jate hai.
Continued...