If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
UPDATE 1
dard kayi tarah ke hote hain
gareeb hone ka dard
ameer hote hue bhi khushi na milne ka dard
aapke saamne aapki maa ko aapka pita maarta ho
anath hone ka dard
jisse aap pyar karte hain uske na milne ka dard
poora parivaar hone ke baad bhi akyale rehne ka dard
bachpan mein aapke ghar se aapko agwa kar liya gaya ho
aur 10 saal tak mein rehne ka dard
aur bhi bahut se dard hain
lekin sabse bada dard hai
aapke saamne aapki maa dum tod de
aur aap kuchh bhi na kar paao
bahut dard hota hai
yahi hua avinash ke sath
avinash jab 10 saal ka tha
tab use kidnap kar liya gaya
aur aaj 10 saal baad use azaad kar diya gaya
jab Avinash ki aankh khuli toh woh ek maidan mein pada hua tha
aaj itne saalo baad usne khula asmaan dekha tha
uske chehre pe khushi thi
aur aankho mein aansu the
avinash ke jism pe naye kapde the
usne apna jeb check kiya toh jeb mein kuchh nahi tha
kuchh der baad avinash wahan pahuncha
paise the nahi uske paas
Chalke hi woh apne ghar pahuncha
woh bahut khush tha
kyunki aaj woh apne mata pita se milne waala tha
woh andar ghusta tabhi security guard ne use rok diya
kahan andar chala jaa raha hai
tere baap ka ghar hai
avinash ne uski baato pe dhyan nahi diya
aur andar jaane laga
guard uske saamne aagaya
maar khaani hai kya
chala jaa yahan se
uski baat sunke avinash ne uski taraf dekha
mera ghar hai yeh
main avinash Singh Rathore hoon
yeh sunke guard ne Avinash ko ghurke dekha
aur phir use dhakka de diya
aakhri baar keh raha hoon
chala jaa yahan se
warna maa chod dunga teri
bas itna hi kaha tha ki guard ke munh se khoon nikalne laga
avinash ne ek mukka guard ki pasliyo pe maar diya tha
uski pasli toot gayi thi
woh wohin apna pet pakadke baith gaya
yeh dekhke baaki guards avinah ki taraf lapke
avinash ka ek vaar hi jaanlewa tha
uske baad
avinash ghar ke andar ghusta chala gaya
tabhi usne dekha ki ek ladki farsh ki safayi kar rahi thi
us ladki ke kapde itne gande the
ki koi bhi dekhta toh apna munh fer leta
us ladki ke jism ka rang gora tha
lekin uski khubsurti jaise gayab ho gayi thi
kya kar rahi hai sahi se kaam kar
warna aaj tujhe khana nahi milega
kitchen se bahar nikalti ek 45 saal ki aurat boli
aurat ki 45 saal ki jarur thi
lekin koi bhi use dekhta
toh aahein jarur bharta
woh aurat aur koi nahi thi
avinash ki chachi sapna thi
sapna ki baat sunke woh ladki phirse apna kaam karne lagi
tabhi sapna ki najar avinash pe.padi
kaun ho tum aur andar kaise aaye
tabhi kitchen se ek behad khubsurat ladki nikli
woh Ankit ki biwi sandhya thi
koi ek baar dekh le toh dil.machal jaaye uska
kuchh aur bhi machal jaaye
Sandhya ko jab pehli baar ankit ne dekha tha
toh uski khubsurti mein kho hi gaya tha
Sandhya thi hi itni sunder
school se leke college tak pata nahi kitne ladko ne use proposed maara tha
lekin usne kisi ko ghaas tak nahi daala tha
usne apni virginity apne pati ankit ko hi di thi
isi wajah se ankit uspe apni jaan luta ta tha
kaun hai yeh maa jee
Sandhya ne sapna se puchha
pata nahi
bolte kyun nahi kaun ho tum
tabhi alag alag room se do mard bahar nikle
ek the avinash ke chacha raghuveer singh
aur dusra raghuveer ka beta ankit
Sandhya ka pati
main avinash hoon chachi
avinash ki baatein sunke sabke chehre ka rang udd gaya
bomb fata tha bomb
kisi ko ummid nahi thi
aur sabse bada bomb fata tha raghuveer ke upar
kya bakwas kar rahe ho
raghuveer tilmilate hue bola
main avinash hi hoon chacha jee
tabhi us ladki ne kaam karna band kar diya
aur avinash ki taraf dekhne lagi
uska chehra aansu se bhar gaya tha
avinash ne us ladki ko dhyan se dekha
avinash apni yaado mein khota chala gaya
kaise uski didi bachpan mein use har waqt maarti rehti thi
uski didi meera ko yeh lagta tha
ki mummy papa avinash ko jyada pyar karte hain
use bas ek hi cheez chahiye thi
avinash kaise bhi karke kahin chala jaaye
phir woh apni mummy papa ke sath khush rahegi
avinash ne apni badi behen meera ko pehchan liya tha
meera ko is haalat mein dekhke avinash ki aankho mein aansu aagaye
uski didi rajkumari thi
aur aaj use dekhke yahi lag raha tha
ki woh koi bheekaaran hai
kapde huliya
meera apna chehra apne hatho se chhipake fut fut ke ro rahi thi
avinash ne apne chacha ki taraf dekha
apni aankho mein aansu liye
uske chacha ko toh kuchh samajh nahi araaha tha
kya hua didi apne bhai ki yaad aarahi hai
koi baat nahi didi hota hai kabhi kabhi
lekin kya fayda
jaise aapke mom dad is duniya se chale gaye
waise hi samajh lo ki aapka bhai is duniya se jaa chuka hai
ek ladki seedhiyo se neeche aati hui boli
yeh thi nidhi raghuveer ki ek lauti beti
avinash daudte hue meera ke paas pahuncha
aur ghutno ke bal baith ke meera ke kandho ko pakad liya
kahan hai mom dad
meera avinash ke seene pe sar rakh di
aur roti rahi
security guard kahan mar gaya
ankit gusse mein bola
aap ko kya hua bhai
nidhi ankit ke paas pahunch chuki thi
raghuveer ne apne aapko sambhala
aur apna phone nikaalke uspe ek number dial kiya
apni didi ko is tarah rota dekh
avinash ka dil baith gaya
kahan hain mom dad
aap batati kyun nahi
meera bas roti rahi
kuchh hi der baad hall ke andar kayi security guards aachuke the
utha ke bahar fenk do is kutte ko
Ankit ne Avinash ko ghurte hue bola
ek guard ne avinash ke kandhe ko pakda
avinash ne us guard ki taraf dekha
aur phir khada ho gaya
meera abhi bhi ro rahi thi
avinash ne us guard ki gardan pakad li
aur ek hath se hi use hawa mein utha diya
woh chhatpatane laga
aur phir avinash ne us guard ko zameen mein de maara
guard ki cheekh bhi nahi nikli
lekin baakiyo ki cheekh nikal gayi
yeh mera ghar hai
mere baap ka ghar
agar mujhe kisi ne hath lagaya
toh main use woh maut dunga
ki yamraaj bhi kaanp jaaye
avinash ne meera ka hath pakada
lekin meera uth nahi rahi thi
avinash ne meera ko apni goad mein uthaya aur apne room ki taraf badh gaya.....