Update- 36
To me nimra baji se baat karne ke baad kaafi der tak sochta raha ki akhir simra baji ne aisa kyu bola or ye sochte sochte meri kab aankh lag gayi pata nahi chala.
Khair subha meri aankh khuli or uthkar fresh hua or niche aaya haal me papa or chacha baithe hue news dekh rahe the tea peete hue.
Mujhe dekhkar papa bole.
Papa - Aao beta aao or bushra ko awaaz dekar bolne lage (Bushra tera bhai bhi agaya h iske liye bhi chay lekar aao).
Bushra - Ji papa abhi layi.
To papa or chacha apas me baat karne me lage hue the itne me bushra bhi chay lekar agayi.
Bushra - Lijiye bhai chay or kuch khane ke liye lekar aao kya?
Me - Nahi bas abhi to chay hi peeni h.
Itne me simra baji peeche se aati h or akar piche se meri gardan par halke se markar mere bagal me sofe par baith jaati h or bolti h.
Simra Baji - Papa fahad ab bada ho gaya h.
Me baji ke munh se ye bat sunkar confuse ho gaya ki akhir baaji aisa kyu bol rahi h kahi nimra or mere beech hui bat to pata nahi chal gayi phir mene socha wo baat to inhe pata chalegi nahi.
Papa - Arre ha isme kya ye to sach h mera beta ab ek zimmedari or samajhdar insan ban gaya h or gabru jawan bhi.
Simra Baji - Ha wo to he lekin ab ye bade bade kand karne lage h wo bhi kisi ko bina btaye.
Papa- Arre aisa to ho hi nahi sakta fahad koi kaam kare or tujhse na pooche.
Me - Ha baaji mene aisa kya kar diya.
Simra baji - Achha kya kar diya abhi batati hu.
Papa- Ha kya kiya isne .
Simra baji - Ye janab kal bade papa ke ghar gaye the or waha wo to thik h bade papa sone chale gaye the jo ye bina pite wapas agaye .
Papa - Kya beta tum gaye the kya waha .
Me - Ha papa aapko btaya to tha ki me jaonga bade papa ke ghar .
Papa- Ha par ye nahi pata tha tum itni jaldi chale jaoge.
Me - Kya ho gaya papa wo bhi mera hi ghar h or doosri baat galti meri hi h mujhe itne din ho gaye aaye hue lekin me bade papa ko salam karne tak nahi gaya or na behno se milne gaya.
Papa- Ha beta lekin wo khud nahi milna chahte to ham kya kare.
Me - Papa lekin aapko pata h bade papa ka koi beta nahi h or Gahzala baji mujhse kitna pyar krti he or Shumaila baji kitni achhi trah se rahti thi simra or nimra baji ke sath. Lekin fardeen thodi nakchadi he or wo to bachpan se hi aisi h or mujhse jhagadti rahti thi pahle bhi.
Papa - Beta ha wo bhi teeno teri behne he jese simra or afsha lekin bade bhai sahib ka mijaz sahi nahi h .
Me - Papa ab unka mijaz kesa bhi ho mera bhi farz banta h wo meri behne h ab chahe bade papa kuch bhi bole ya kare mujhe unse milne se koi nahi rok sakta.
Simra Baji - Fahad bohat kadwi zabaan ke h bade papa agar kuch bole ya pitayi bhi kare to unhe jawab na dena Warna ghar par hi thik ho.
Me - Ji baji mujhe pata h or ha baji mujhe jana h thodi der me bade papa ke ghar us se pahle mujhe aapse baat karni h kuch zaroori baat h.
Simra Baji - Achha zada zaroori h to abhi kar lete h.
Me - Hmmm baaji bohat zada zaroori h lekin bad aapse karni h.
Simra Baji - Achha to chalo upar chat par aram se baithkar baat krte h.
Me - Hmm chaliye .
Simra Baji - Chalo tum me apni chay lekar aayi.
Me - Hmm baji jaldi aana or ek cup chay mujhe bhi lete aana.
Simra Baji - Chal thik h tu chal.
Me - Okay
or me upar chat par agaya lekin mujhe abhi tak nimra baji nahi dikhayi di shayad abhi tak so rahi thi khair thodi der me waha charpai par baith gaya itne me baji mujhe chai ki tray lekar aati hui nazar aayi.
To mene jaldi se baji ke hath se tray lekar waha table par rakhi or baji ke dono hath pakad kar charpai par bithaya or me baji ke samne baith gaya table par.
Simra Baji - Arre kya ho gaya aise kyu utawla ho raha h upar wala khair kare mujhe teri harkatein sahi nahi lag rahi.
Me - Mene baji ke ghutno par hath rakhkar baji se bola baji aisa kuch nahi h bas aaj aapse kuch mangne aaya hu.
Simra Baji - Tu sidhe sidhe bol na kya chahiye mujhe teri aisi harkatein pareshan kar rahi h sab kuch tera hi to h jaldi bata kya baat h.
Me - Pahle ye btao baji mana to nahi karogi.
Simra Baji - Dekh tu mujhse Maar khayega jaldi bata kya chahiye.
Me - Baji mujhe Nimra Baji se shadi karni h me unke bina nahi rah sakta .
Simra Baji meri ye baat sundar ek dam chaunk gayi or uthkar khadi ho gayi or kuch na boli .
Me - Baji kya hua mene kuch zada mang liya kya.
Simra Baji - Fahad tu pagal h kya ye kya mazak h.
Me - Baji please samjhne ki koshish karo me unke bina nahi rah sakta me unhe Bachpan se pasand karta hu or ha baji please kya aap nimra baji ko mere liye mana logi.
Simra Baji meri baate sunkar apna sir pakad kar phirse charpai par baith gayi.
Me - Baji kuch to bolo.
To baji ne ek dam apni ankho ko upar ki traf krke meri traf dekha or boli.
Simra Baji - Tera dimag khrab h kya wo mere sath ki h or tu use Bachpan se baji baji kahta aaya h ye kya pagal pan h.
Me - Baji me kuch nahi janta mujhe bas nimra baji se shadi karni h or kisi se nahi or ha agar aap mana karogi to me unse shadi nahi karunga kyuki me aisa koi kam nahi kr sakta jisme aapki marzi na ho.
Simra Baji - Shukar he ha fahad meri marzi nahi h ki tu nimra se shadi kare wo mere sath ki h or tu mujhse 5 saal chota h thank you bhai.
Me - Thik h baji ha lekin me kabhi kisi or se shadi nahi kar sakta unke alawa.
Simra Baji - Fahad kya tu pagal ho gaya h jo tu aisi bachho jesi bate kar raha h.
Me - Baji Bachpan se pasand krta hu me unhe mujhe ye nahi pata ki wo mujhe krti h pasand ya nahi lekin me unke bina nahi rah sakta.
Simra Baji - Fahad koi or rasta nahi h.
Me - Nahi baji koi rasta nahi h.
Simra Baji - Fahad tune mujhe bohat mushkil me daal diya.
Me - Baji aap pareshan na ho agar aapko nimra baji se koi personal problem h to koi bat nahi me bina aapki marzi ke kuch nahi krunga aap pareshan na ho.
Simra Baji - Nahi aisa kuch nahi h mujhe koi us se personal problem h wo to meri sabse achhi freind he usi se me apni baate share krti hu.
Me - To baji aapko kya problem h.
Simra Baji - Kuch nahi bas mujhe age ka jo farq h bas us se problem h.
Me - Baji lekin kisi ko pata bhi nhi chalega ki wo mujhse badi h agar koi anjan ham dono ko ek sath dekhega or baji mujhe aap jesi ladki se shadi krni h jo aapke baad hamare ghar ko aapki trah sambhal sake or wo to har trah se aap jesi h.
Simra Baji - Thik b fahad kya mujhe thoda wakht de sakta h sochne ke liye.
Me - Sorry Baji nahi aapko abhi faisla karna padega ki aap nimra baji ko mujhse shadi krne ke liye manaogi ya nahi.
Simra Baji - Fahad me sochi thi ki tu bada ho gaya lekin tu abhi bhi ziddi h.
Me - Nahi baji koi zidd nahi krunga aapse bas jawab abhi de diye.
Simra Baji - To kya me papa se baat karu.
Me - Nahi papa se ya kisi or se koi bat nahi karengi aap us se pahle nimra baji ki razamandi pata karengi . aap unhe raazi karogi phir baad me papa se bat karenge.
Simra Baji - Thik h me baat krti hu nimra se .
Me - Thank you baaji or mene baji ko gale laga liya or baji ko charo traf ghuma diya.
Simra Baji - Utar mujhe girayega kya mujhe .
Me - Thank you baji.
Simra baji - Zada khush mat ho agar usne mujhse mana kar diya to .
Me - Baji ab wo aapki problem h unhe manane ki.
Simra Baji - Hmm thik h .
Me -Baji kab baat krogi.
Simra Baji - Tu ja bade papa ke ghar me bas thodi der me baat krti hu.
Me - Thik h baji me jata hu.
To me or baji niche aane lage to mujhe afsha dikhayi di hall me wo mujhe dekhte hi kha Jane wali nazron se dekhne lagi.
Me - Ohh jangli billi bhi agayi.
Afsha - Munh band kar zada mat hass .
Me - Baji kal isne galti se ek naag pakad liya to bechari aise dar ke bhagi jese ise wo das leta .
Baji - Kya afsha ne saanp pakad liya.
Afsha - Ha baji or wo naag aap ke piche wale darwaze me bhi ghusse ki koshish kar raha h usne aapka piche wala darwaza dekh liya.
me afsha ki baat sundar nazre niche krte hue use chup rahne ka ishara krne laga .
Simra Baji - Kya yaha kaha se saanp asakta kya mere room ke paas dekha tumne .
Me - Hahahah baji wo balcony me iska hath pipe par rakh gaya to ye sanp samjh kar dar gayi or bhag kar akar boli bahar sanp h.
Baji - Tu bhi pagal h bilkul afsha.
Afsha - Baji wo mujhe laga ki usne aapka piche ka darwaza dekh liya h kahi wo ghusse na jaye is liye ise btaya.
Me - Chal chupkar or ye bata bade papa ke ghar chalegi mere sath me ja raha hu.
Afsha - Hehehehhe mujhe nahi jana din me to bade papa milenge.
Me - Tujhse kuch nahi bolenge chal na Achha lagega unsabko bhi.
Afsha - Achha wo dekh nimra baji agayi unhe le ja apne sath .
Nimra Baji - Kanha jana ho raha h.
Simra Baji - Arre wo bade papa ke ghar ja raha h.
Nimra Baji - Nahi bhaiya bade mama to mummy se bhi naraz h aap log jao.
Simra baji - Ha or wese bhi afsha mujhe nimra se kuch kam h tum dono chale jao.
Afsha - Thik h baji chal beta fahad aaj bade papa danda lekar baithe honge.
Me - Chal bakwas na kar.
To phir me or afsha gahr se paidal hi jane lage or me raste me afsha ko kal se ab tak ki sari kahani batane laga chalte chalte.
continue...