PW-3
Naman Sinha dinning table ki chair pr baitha shanti se hath bandhey saamne table pr rakhi plate main padey Poha ko dekh raha tha. Ek hee chammach khaya tha, swad ki shikayat ki thi bibi se uske baad to jaise ghar main randi-rona mach gaya tha. Maharajin 3 din se chutti pr thi to bibi ko khana banana padd raha tha, jisko kitchen ka kya koi bhi kaam karna pasand nahi tha. Naman k shikayat karna k baad to jaise bibi ka hee nahi sabka gussa uspr fut pada tha
Bibi Maya 'itna kharab hai aur accha khane ka shauk hai to khud bana lo, jaise khud sab kaam bahut acche se karte ho, aaj tak koi kaam theek se kiya hai?'
Inder 'koi kaam? Kaam he kya kiya hai? Jo hai vo bhi dada ka diya hai, khud to banaya nahi, aur to aur mujhe bhi uss dukan main naukar bana rahe they'
Naman chup baitha raha, usko pasand nahi aya ki uske badey bete ne uske baap ko 'dada' bola dadaji nahi, pr usko pata tha ki bolne ya tokne ka koi fayeda nahi, uska ghamand abhi har cheez se bada tha, vo mann main hasa ki jitni salary vo pata hai usse jada to uski dukaan k junior managers paatey hain
Varun 'mujhe to iss ghar main hee nahi rahna tha jo manga vo to kabhi mila nahi, upr se inki ulti seedhi shart jab bhi kuch manga to, ye karo to ye milega, number acche lao to ye milega, ye course matt karo tumhare bass ka nahi, jaise ye class main topper they, mai to kabhi vapas yahan ata he nahi ek baar jata to, mera pura future puri plannig kharab kr diye'
Naman ka mann kr raha tha ki chilla k jawab de pr shant raha, jo course karne ko varun bol raha tha vo 12th main uss subject main 40% laya tha, bahar ja kr padhna chahta tha pr uski awaragardi ko dekh k Naman ne mana kr diya tha jispr Mala kaafi naraz hui thi ,pr Naman apne faisle pr data raha
Harish 'itna bada department-store pr kamayi kya 1 se 1.25 lakh rupaye, sab cheez discount main hee bechni hai inko, aur koi hota haveli bana leta, pr humari kismat hee kharab thi, papa ne galat faisla kiya didi ki shaadi apse kr k....'
Maya 'abhi Inder ki shaadi ki baat chal rahi hai nayi bahu aayegi tab bhi ye aadmi isi tarah jhagda karta rahega har kisi se'
Inder 'yahi sab chalta raha to mai yahan nahi rahunga'
Maya 'tu chinta mat kr beta mai hun na'
Harish 'tera mama bhi hai teri maa k sath khada hai'
'......'
'......'
Sab badbad kiye jaa rahe they inse alag Naman chupchap utha ,aur ek plastic ka disposable box liye jisme khana pack kr k diya jata hai, box uthaya Poha usme palta aur apne bag main rakh k bahar nikal gaya, piche log kya kisko kitna bol rahe they usne sunne ki kosis nahi ki, ghar se bahar aakr apni 22 saal purani Bike nikali, baithte time mirror main apne 3 manzile ghar k dekh k ek thandi saans chori aur bike start kr k aage badh gaya. Usko yaad aya jitni mehnat ghar banane main nahi lagi thi usse kayi guna mehnat bike kharidne main lagi thi. Unn dino loan aasani se nahi milta tha to adha paisa jutaya tha baki market se jada byaz pr karz uthaya tha, ghar k time to dukaan acchi chal padi thi to loan mil gaya tha jiski 1.5 lakh EMI abhi bhi jaati thi pr gharwaalon ko uski koi ginti nahi thi ,vo to Naman ko panauti maante they
Raaste main Poha kutte ko khila diya khud ek sandwich kha kr aur coffee pee kr apne store pahucha. 5500 square feet main bana uska 3 manzila department-store sahar main top 10 main ata tha. Usne ander aa kr roz ki tarah thoda ghum kr inspection kiya aur fir apne cabin ki or badhne laga to store ka ek naya junior manager uske pass aya. Vo dress main nahi tha to Naman muskura k bola
'Fir chhuti chahiye tujhe'
Jr manager (Samsher) 'yes sir 4 din k liye'
Naman 'itni chhuti lega to salary kya bachegi teri? seriously kaam karna start kr chorey'
Samsher 'thanks Sir, pr uski chinta nahi, pata hai meri jimmedariyan pr meri bhi life hai, kal ko pata nahi mauka mile na mile, sirf dusron k liye nahi kamana mujhe, kal ko mere kaam ki aur dusron k liye jo bhi karunga, uski koi value nahi rahegi agr help ya support ya bheek dena band kr dunga, to isiliye jimmedaari nibha raha hun, sirf sabko khush rakh kr apni life ka maza nahi kharab karna mujhe'
Naman 'theek hai jaisi teri marzi' apne cabin main ghuste time Naman soch raha tha ki uski adhi umr k chokre main itni akal hai ki usko apni life k sath kya karna hai
Naman ko yaad aya jaise kal kee hee baat ho, truck ulat jaane se kaanch ka aur kuch sajawat ka mehenga saman barbad ho gaya tha. Uske pita ne usme lagbhag pura paisa jo uss time unke pass tha laga diya tha, nuksaan ki vajah se market ka time se paisa nahi de paaye to dhandha kareeb band ho gaya tha. Naman uss time high school pass kr k masti kr raha tha ki usne ek din maa baap ko baat karte sunn liya, agle din pita k dukaan pahuch kr naukaron se saari baat pata kr lee aur pita ko bola ki garmi ki chuttiyon main dukaan pr kaam sikhega
Paisa na de paane k kaaran kayi staff bhag gaye they to uske pita chah kr bhi mana nahi kr sakey. Pita pehle to halke main liya, phir kadayi se sakhti se kaam karaya, mann main lagan thi to bahut jaldi kaam seekh liya