• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143

Update # 8



Karan ka sir Vaidya ji ki baaton se ghoom raha tha par uska dimaag baar baar Pagla baba ka naam dohra raha tha . Karan ne Rohan ko dekha to bukhaar se uska shareer laal pada hua tha . Karan ne haath aage badha kar Rohan ke sir par fera aur aisa karte hi use 1000 vlt ka jhatka laga .jhatka itna teevra tha ki Karan kuchh palon ke liye hawa me uchhal gaya par achambhe ki baat ye thi ki wo jameen par girne ki jagah wapas apne pahle wali jagah par baith gaya . Karan ka poora haath jhanna utha tha aur saath me dimaag bhi lekin sabse bada jhatka ye tha ki raat se behosh Rohan uth kar baith gaya jaise use kabhi kuchh hua hi nahi tha .


Rohan - Karan tu jinda hai na .

Rohan ne ye baat behad kamjor awaaj me magar behad pakki dosti ke liye kahi thi .


Karan - hhaan mere bhai mai theek hoon aur dekh Rohan ttttuuuu bhi theek ho gaya .

Karan ne Rohan ko gale lagate huye kahi ye baat . Waise gale lagate samay darr bhi raha tha ki kahi ek aur jhatka na lag jaye .


Rohan - Karan wo Raat me tree house ke paas wo bhayanak sa aadmi kaun tha ? Kyu marne aaya tha tujhe aur ... aur wo .. wo kisne tujhe dhaank liya tha ?

Rohan ki awaaj me bahut jyada haklaahat thi aur chehre se saaf pata chal raha tha ki wo dara hua hai .


Karan - kya bol raha hai tu ? Saaf saaf bol ?


Rohan - uss raat jab mai utha to tu tree house ke bahar khada tha . tere samne ek bahut bada sa koi rakshas type creature khada tha . Wo teri ore badha aur tabhi jor se roshni huyi aur tere upar kuchh neele dupatte sa gira tha .



Karan - kkyaa bol raha hai tu yaar ?



Rohan - haan aur uske girte hi sab kuchh gayab ho gaya aur uske baad shayad mai behosh ho gaya tha .


Karan - neele dupatte ki bakwas ke alaawa sab yaad hai mujhe .


Rohan - bakwas nahi hai . Maine khud dekha tha . Ok tu hi bata tu gayab kaise hua tha ? Kisne kiya tha tujhe gayab ?


Karan - mujhe sach me kuchh pata nahi hai .


Rohan - mere papa ko bula de bhai mujhe unko sab batana hai . Mujhe aise lag raha hai jaise koi hamare aas paas hai .


Karan - mujhe bhi aise hi lag raha hai .

Karan bahar ki taraf jane ke liye palta hi tha ki wapas Rohan ki awaaj aayi .


Rohan - abb kahan ja raha hai tu ?


Karan - are abhi tune hi to bola papa ko bulane ke liye .


Rohan - maine kab bola ? Tu mere paas baith aur bata ki kahan gayab hua tha tu ?

Rohan achanak hi sab kuchh bhool gaya tha aur ye baat Karan ke liye naya sadma thi . Upar se Karan ko kisi ke apne bilkul paas hone ka ehsaas abb bhi ho raha tha par dikh koi nahi raha tha. Karan ko darr ke sath sath abb gussa bhi aane lagi . Rohan ke maa - papa bhi andar aa gaye aur Rohan ko normal dekh kar khusi se shor machane lage . Vaidya ji bhi andar aa gaye . Sab khush the par Vaidya ji Karan ko ajeeb aankhon se ghoor rahe the . Karan ke liye rukna muskil ho gaya to wo tree house ki taraf chal diya . Kisi ke saath hone ka ehsaas use lagataar ho raha tha .


Tree house ke paas pahunch kar Karan uss jagah gaya jahan raat wala hadsa hua tha . Karan ka dil joron se dhadal raha tha lekin usne wahan par kuchh khojna shuru kiya . Kuchh bhi aisa nahi dikh raha tha jis par shaq kiya jata . Wo uss jhadi ore badh gaya jidhar se wo badbudar jaanwar aaya tha . Jis jagah wo jhadi khatm hui uske aage ghane jungle ka rasta tha . Wahi jungle jis ore jane ki sakht manahi thi . Ek to Karan ko kuchh bhi samjh nahi aa raha tha kya kare doisre use darr bhi bahut lag raha tha . Karan kuchh faisla kar hi pata ki tabhi use spashth ehsaas hua jaise koi uska haath pakad kar use wapas le jaa raha hai .Karan chah kar bhi mana nahi kar paya aur wapas chal diya lekin wo apne sath chalte huye ek chandi jaisi chamkili akriti ko dekh paa raha tha jiske lambe baal hawa me lahra rahe the .



####


Raftaar aur Chandrika betahasha bhagte huye Karoon ke kaksh ke paas pahunche . Karoon is wakt apne niji kaksh me tha jahan jane ki kisi ko ijajat nahi thi . Uske kaksh ke bahar do khoonkhaar jungli aurtein bhala lekar khadi pahra de rahi thi .


Chandrika - pita ji andar hain ?


Jungli aurat - ji raja Karoon andar hi hain par wo abhi kisi se milenge nahi .


Chandrika - jitna poonchhon utna hi bol samjhi .

Chandrika ki gusse me laal aankhein dekh wo aurtein peechhe hat gayi . Chandrika gusse se bhari wahi se chilla kar Karoon ko bulati hai aur Karoon ke bahar aane ka intjaar kiye bina hi andar ghus jati hai . Sath me raftaar bhi hota hai .


Dono peeth kar ke khade ho jate hain aur Karoon ko sanket ke baare me batate hain . Karoon uchhal padta hai aur hadbda kar poonchhta hai ....



Karoon - aisa kaise ho sakta hai abhi to 6 mahine baki hain ?


chandrika - pita ji do sanket sath me hi mil gaye . Mujhe dar hai ki kahi aaj ke aaj sare sanket na aa jayein . Ham logo ko to samhlne ka mauka bhi nahi milega .


Raftaar - Chandrika sahi kah rahi hai hame turant kuchh karna hoga .



Karoon - Chandrika tum taiyaari karo Halaaku ko bulwana hai aaj hi aur Raftaar tum sare ladaakon ko taiyaar karo aur sabhi kabeele waalon ko bol do taiyaari kar le chhipne ki .

Chandrika aur Raftaar teji se apne kaam ke liye nikal jaate hain jabki Raja karoon ek lakdi ka baksa nikalta hai . Uske andar ek bada sa patthar tha jo doodh jaise safed sangmarmar ka bana tha . Karoon us chhote lakdi ke bakse ko lekar bahar ki ore chal deta hai .
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
32,798
79,345
304
That night when that monster came in front of Karan, he was saved by some unknown person, I think this is the work of our beloved angel. From that night onwards, Karan realizes that there is someone around him, and because of this Karan is scared and upset, but today I am sure that our beloved fairy is protecting Karan. All the people of the clan are very afraid that it looks like some big problem is going to happen.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story. Thank You...:heart::heart::heart:
 
  • Like
Reactions: Notebook

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Update # 8



Karan ka sir Vaidya ji ki baaton se ghoom raha tha par uska dimaag baar baar Pagla baba ka naam dohra raha tha . Karan ne Rohan ko dekha to bukhaar se uska shareer laal pada hua tha . Karan ne haath aage badha kar Rohan ke sir par fera aur aisa karte hi use 1000 vlt ka jhatka laga .jhatka itna teevra tha ki Karan kuchh palon ke liye hawa me uchhal gaya par achambhe ki baat ye thi ki wo jameen par girne ki jagah wapas apne pahle wali jagah par baith gaya . Karan ka poora haath jhanna utha tha aur saath me dimaag bhi lekin sabse bada jhatka ye tha ki raat se behosh Rohan uth kar baith gaya jaise use kabhi kuchh hua hi nahi tha .


Rohan - Karan tu jinda hai na .

Rohan ne ye baat behad kamjor awaaj me magar behad pakki dosti ke liye kahi thi .


Karan - hhaan mere bhai mai theek hoon aur dekh Rohan ttttuuuu bhi theek ho gaya .

Karan ne Rohan ko gale lagate huye kahi ye baat . Waise gale lagate samay darr bhi raha tha ki kahi ek aur jhatka na lag jaye .


Rohan - Karan wo Raat me tree house ke paas wo bhayanak sa aadmi kaun tha ? Kyu marne aaya tha tujhe aur ... aur wo .. wo kisne tujhe dhaank liya tha ?

Rohan ki awaaj me bahut jyada haklaahat thi aur chehre se saaf pata chal raha tha ki wo dara hua hai .


Karan - kya bol raha hai tu ? Saaf saaf bol ?


Rohan - uss raat jab mai utha to tu tree house ke bahar khada tha . tere samne ek bahut bada sa koi rakshas type creature khada tha . Wo teri ore badha aur tabhi jor se roshni huyi aur tere upar kuchh neele dupatte sa gira tha .



Karan - kkyaa bol raha hai tu yaar ?



Rohan - haan aur uske girte hi sab kuchh gayab ho gaya aur uske baad shayad mai behosh ho gaya tha .


Karan - neele dupatte ki bakwas ke alaawa sab yaad hai mujhe .


Rohan - bakwas nahi hai . Maine khud dekha tha . Ok tu hi bata tu gayab kaise hua tha ? Kisne kiya tha tujhe gayab ?


Karan - mujhe sach me kuchh pata nahi hai .


Rohan - mere papa ko bula de bhai mujhe unko sab batana hai . Mujhe aise lag raha hai jaise koi hamare aas paas hai .


Karan - mujhe bhi aise hi lag raha hai .

Karan bahar ki taraf jane ke liye palta hi tha ki wapas Rohan ki awaaj aayi .


Rohan - abb kahan ja raha hai tu ?


Karan - are abhi tune hi to bola papa ko bulane ke liye .


Rohan - maine kab bola ? Tu mere paas baith aur bata ki kahan gayab hua tha tu ?

Rohan achanak hi sab kuchh bhool gaya tha aur ye baat Karan ke liye naya sadma thi . Upar se Karan ko kisi ke apne bilkul paas hone ka ehsaas abb bhi ho raha tha par dikh koi nahi raha tha. Karan ko darr ke sath sath abb gussa bhi aane lagi . Rohan ke maa - papa bhi andar aa gaye aur Rohan ko normal dekh kar khusi se shor machane lage . Vaidya ji bhi andar aa gaye . Sab khush the par Vaidya ji Karan ko ajeeb aankhon se ghoor rahe the . Karan ke liye rukna muskil ho gaya to wo tree house ki taraf chal diya . Kisi ke saath hone ka ehsaas use lagataar ho raha tha .


Tree house ke paas pahunch kar Karan uss jagah gaya jahan raat wala hadsa hua tha . Karan ka dil joron se dhadal raha tha lekin usne wahan par kuchh khojna shuru kiya . Kuchh bhi aisa nahi dikh raha tha jis par shaq kiya jata . Wo uss jhadi ore badh gaya jidhar se wo badbudar jaanwar aaya tha . Jis jagah wo jhadi khatm hui uske aage ghane jungle ka rasta tha . Wahi jungle jis ore jane ki sakht manahi thi . Ek to Karan ko kuchh bhi samjh nahi aa raha tha kya kare doisre use darr bhi bahut lag raha tha . Karan kuchh faisla kar hi pata ki tabhi use spashth ehsaas hua jaise koi uska haath pakad kar use wapas le jaa raha hai .Karan chah kar bhi mana nahi kar paya aur wapas chal diya lekin wo apne sath chalte huye ek chandi jaisi chamkili akriti ko dekh paa raha tha jiske lambe baal hawa me lahra rahe the .



####


Raftaar aur Chandrika betahasha bhagte huye Karoon ke kaksh ke paas pahunche . Karoon is wakt apne niji kaksh me tha jahan jane ki kisi ko ijajat nahi thi . Uske kaksh ke bahar do khoonkhaar jungli aurtein bhala lekar khadi pahra de rahi thi .


Chandrika - pita ji andar hain ?


Jungli aurat - ji raja Karoon andar hi hain par wo abhi kisi se milenge nahi .


Chandrika - jitna poonchhon utna hi bol samjhi .

Chandrika ki gusse me laal aankhein dekh wo aurtein peechhe hat gayi . Chandrika gusse se bhari wahi se chilla kar Karoon ko bulati hai aur Karoon ke bahar aane ka intjaar kiye bina hi andar ghus jati hai . Sath me raftaar bhi hota hai .


Dono peeth kar ke khade ho jate hain aur Karoon ko sanket ke baare me batate hain . Karoon uchhal padta hai aur hadbda kar poonchhta hai ....



Karoon - aisa kaise ho sakta hai abhi to 6 mahine baki hain ?


chandrika - pita ji do sanket sath me hi mil gaye . Mujhe dar hai ki kahi aaj ke aaj sare sanket na aa jayein . Ham logo ko to samhlne ka mauka bhi nahi milega .


Raftaar - Chandrika sahi kah rahi hai hame turant kuchh karna hoga .



Karoon - Chandrika tum taiyaari karo Halaaku ko bulwana hai aaj hi aur Raftaar tum sare ladaakon ko taiyaar karo aur sabhi kabeele waalon ko bol do taiyaari kar le chhipne ki .

Chandrika aur Raftaar teji se apne kaam ke liye nikal jaate hain jabki Raja karoon ek lakdi ka baksa nikalta hai . Uske andar ek bada sa patthar tha jo doodh jaise safed sangmarmar ka bana tha . Karoon us chhote lakdi ke bakse ko lekar bahar ki ore chal deta hai .
Fantastic update sir
Lgta kuchh dangerous hone wala hai
 
Top