• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parijaat : A Romantic Fantasy

Notebook

Active Member
1,511
3,033
143
Update # 1

Gupp andheri Kaali raat aur sab kuchh jama dene ki haisiyat rakhne wali barfeeli hawaaon ki wajah se gaon me yun marghati sanaata faila tha jaise sadiyon se yahan jeewan tatwa maujood hi nahi raha ho . Beech - beech me ruk - ruk kar aane wali Jhingooron ki tez jhayein - jhayein ki awaajein aur hawa ki sarsarahat mahaul ko aur bhi khaufnaak bana rahi thi .

Raat ke lagbhag teesre pahar me achanak hi aasmaan se lekar zameen tak sarwaswa ek tez neeli roshni me naha utha . Roshni huyi to kuchh hi palon ke liye thi lekin jisne bhi dekha hoga wo shayad hi jeewan paryant iss roshni ko bhool sakega . Poora vatavaran pal bhar ke liye roshani me naha gaya tha par itne kam samay me aankhein sirf chundhiya sakti thi kuchh dekh nahi sakti thi .

Yah ghatna Bharat ke ek doorwarti aur durgam pahadi gaon me ghatit huyi thi . Gaon wakai kafi door sthit tha jahan par pahunch pana thoda kathin tha . Iss gaon ki hariyali prakriti ki naisargik sundarta ka abhootpurva varnan thi to yahan ki unchi nichi pahadiyan gaon ki shobha thi . Yahan par Saal me 10 mahine jada ( thand) padta tha aur baki ke do mahine me jam kar barish hoti thi . Yahan ke log garmi ke mausam se to lagbhag poori tarah anjaan hi the . Din narm gungune aur raat itni sard hoti thi jo haad ko galaane ki takat rakhti thi .

Ye khoobsurat Gaon niwasiyon ke aadhar par do bhagon me banta hua tha , ek bhag unchai par basi basti thi jisme me thode padhe likhe aur sambhrant log rahte the jinka wyawsay fruits aur nuts ki kheti karna aur use bench kar aajiwika chalana tha aur doosra bhag ghana jangal tha jisme nang - dhadang aadam khor jangli log rahte the jinka bahri duniya se koi sarokaar nahi tha . Un jungliyon ke apne alag riti rivaj aur jeevan shaili thi . Wo log kabila bana kar rahte the aur unki kafi kuchh rahasyamay gatividhiyan bhi thi .

Jangal itna Ghana tha ki uske bheetar ke kayi sthano par kabhi bhi surya ki roshni nahi pahunch paati thi jis wajah se wahan din ke samay me bhi ghana andhera pasara rahta tha . jangal har prakar ke ped - paudhon aur Jangli jaanwaron aur kuchh upari shaktiyon se bhara pada tha .

Is gaon ke liye prasiddh tha ki yahan Pariyon ki aamad hoti rahti thi . Waise to kisi ko is baat par yakeen nahi hota tha par saal me ek baar sabhi ki aankhon ke saamne kuchh na kuchh aisi ghatna ghatit hoti thi ki logon ka vishwas pari kathaon par aur bhi gahra ho jata tha . Is din ka intjaar gaon waalon ke saath saath Tantrik aur Rakshas bhi karte the aur us din ke kayi din pahle se hi gaon me chamtkarik ghatnayein hone lagti thi .

Gaon waalon ke anusaar jis wakt pariyan dikhti thi uss wakt kuchh bada pariwartan hota tha par uss pariwartan ko dekhne wala ya to marr jata tha ya gayab ho jata tha ya maar diya jata tha . Aisi manyata thi ki agar pariyan na aati to Rakshas kab ka gaon ka naash kar chuke hote . Kuchh log to yahan tak kahte the ki kabile wale rakshson ka saath dete the aur isi liye basti aur kabile walon me bair tha .

Gaon ka naam door door tak prasiddh tha un logon ke liye jo ya to scientist the ya phir puratatwa wale the . Baki jan samanya to kabhi kabhi yahan ki ghatnaon par vishwash karte to kabhi afwaah maan lete the . Kabhi koi ghatna ya jhalak har samay us gaon me hone wale chamtkar ko bhi ingit karti thi .

Gaon ke shant mahaul me uss wakt afara tafari mach gayi jab gaon ka bhala chahne wale ek matra vaigyanik Arun Kishor raat me achanak gayab ho gaye the . Subah unke ghar ke bahar kohram mach gaya . Dheere dheere sara gaon jama ho gaya unke ghar ke bahar .

Arun kishor ka ghar gaon ke ek chhor par thoda ekant me padta tha . Wo apni bhalmansahat ke karan gaon me khasa lokpriya the aur pichhle 15 saalon se yahan ke logon ke kalyaan ke liye kaam kar rahe the . Arun kishor ki biwi aur unke do bachche Karan aur Kavya ( twins) sadme se ubar hi nahi pa rahe the .

Gaon ke sarpanch apne bete Rohan ke sath sabse pahle Arun Kishor ke ghar aa gaye the kyu ki Rohan aur Karan ki Kafi gahri dosti thi to sabse pahle ye soochna Karan ke dwara un tak hi pahunchi . Dheere Dheere ye khabar jungle ki aag ki tarah poore gaon me fail gayi . Sabhi log behad pareshan the aur sawaalon ki bauchhar kar rahe the .

Sarpanch - Karan beta theek theek batao hua kya tha ?

Karan -- mujhe bhi kuchh bhi pata nahi hai uncle kyu ki mai to jaga hi maa ki cheekh se tha . Pata nahi kab se gayab hain papa . Maa ko bhi nahi confirm hai kyu ki papa der raat tak koi kaam karne me busy the .

Karan ne rote huye reply kiya .

Rohan - Karan ye ghaseete jane wale nishan to sadak tak jakar gayab ho gaye hain . Na kisi gadi ke nishan na hi kisi ke kadmo ke to akhirkar gaye kahan uncle . Yun lagta hai jaise wahan pahunch kar gayab ho gaye , yahi nahi jisne ghaseeta hoga uske pairon ke bhi koi nishan nahi hain .

Karan - mujhe bahut dar lag raha hai . Pata nahi kya hua hai papa ke saath . Pata nahi wo kahan honge .

Karan bebsi se tadap raha tha lekin kisi ke paas use dhadhas bandhane ke alawa koi bhi chara nahi tha . Sarpanch aur gaon wale chal diye Arun kishor ko khojne jabki Rohan wahi ruk gaya . Karan ki maa ka haal kafi bura tha par unko samjhane ke siwa kisi ke paas koi rasta nahi tha . Karan aur Rohan ki ek aur dost thi Saloni jiski dadi filhal Karan ki maa ko samjha rahi thi jabki Kavya apni maa se chipki ro rahi thi .
 
Hellohoney

Well-Known Member
3,420
8,249
159
Fentastik update bro ye karan sayad story ka hiro he waiting for next update
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228

Fantastic update sir
Karan ke papa ko pariyo ne gayab kiya kya?
Waiting for next update
 
Top