• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Parivaar aur Pyaar

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,532
244
" खुद को कभी माफ नही करूंगी " के बदले माहिरा यदि " खुद को फांसी पर लटकाकर अपनी जान दे दूंगी " कहती तो कहीं ज्यादा अच्छा लगता मुझे । :D
मुझे इस लड़की से कुछ खास ही प्रेम हो गया है। ये हर बार मेरी सोच के विपरीत सोच रखती है या व्यवहार करती है। :banghead:

खैर , यह मालूम हुआ कि माहिरा को राकेश के चंगुल से छुड़ाते वक्त असल मे क्या हुआ था ।
राकेश के फादर की गलती का परिणाम था राकेश का चरित्र और उसका अंजाम। अच्छा हुआ कि वो भी अपने पुत्र के साथ ही इस संसार से विदा हो गए। बेटा लाख नालायक और अधर्मी हो , उसकी मौत बाप के लिए सबसे बड़ा दुखद घटना होता है।

शायद बेनाम लड़के की पहचान जगजाहिर होने का वक्त आ गया है और साथ मे आर्यन की हकीकत भी।

बहुत ही खूबसूरत अपडेट था जगुआर भाई।
आउटस्टैंडिंग अपडेट।
Thank you

Bechari Mahira. Ab main kyaa hi kahi iss baare mein.

Benaam ladke ke baare mein aage bahot se raaz saamne aayenge.
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,532
244
jaguar भाई बहुत खूब
माहिरा के अपहरण और उसकी बचाव उसके बाद राकेश और उसके पिता का खात्मा
पर इस दौरान आर्यन को माहिरा को बचाने के प्रयास में गोली लगना
माहिरा का पश्चाताप
शायद यहीँ से उसके मन में प्रेम अंकुरित होगी
प्रेम प्रसंग के लिए बहुत अच्छा प्लॉट उतारा है आपने
अब लगता है आर्यन का असली परिचय उजागर होने का समय आ गया है
बहुत ही सुंदर एवं ज़बरदस्त
Thank you

Prem prasange start hoga yaa nhi yeh toh waqt hi batayega.
 
  • Like
Reactions: parkas

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,532
244
Update 34
Idher operation theater ke bahar sablog khade Aryan ke liye prarthana kar rahe the. Police bhi waha pe aachuki thi aur apni formalities puri kar rahi thi.

Thodi der mein doctor bahar aata hai toh sab usse gherr lete hai aur sawaalon ki baarish kardete hai.

Shalini – Doctor kaisa hai mera beta. Woh thik toh hai naa. Usse kuch hua toh nhi hai naa.

Shekhar – Boliye naa doctor. Kaisa hai Aryan. Woh thik hai naa.

Doctor – Aaplog shant hojaaiye. Abhi hum kuch nhi keh sakte. Operation abhi bhi pura nhi hua hai. Goli patient ke dil ke bahot hi kareeb lagi hai. Goli nikalne mein patient ki jaan ko khatra bhi hai. Hum bhi puri koshish kar rahe hai. Humne senior doctor ko bula liya hai. Woh aate hi hum phir se operation ki taiyaari start karenge.

Doctor ki baat sunte hi sablogo ki halat kharab hojaati hai. Shalini toh wahi girr jaati hai. Apne pairon mein khade rehne ki shakti hi khoo deti hai woh.

Shekhar – Doctor aap kuch bhi kijiye par humare bete ko bacha lijiye. Bade se bade doctor ko bulaiye par usse bacha lijiye.

Doctor – Hum apni puri koshish karengee. Aaplog tab tak khoon ka intezaam kardijiye. Patient ka khoon bahot beh chuka hai.

Vicky – Doctor aap mera khoon le lijiye. Mera O positive hai. Universal donor hu main. Aap mera khoon le lijiye.

Shekhar – Haa aap mera bhi le sakte hai. Mera bhi O positive hi hai.

Doctor – I am sorry. But hum yeh khoon nhi le sakte. Patient ka blood group B negative hai.

Shekhar – B Negative. Yeh group toh ghar ke kisi member ka bhi nhi hai.

Doctor – Hospital mein bhi yeh group available nhi hai. Aaplog jald se jald blood ka intezaam kar dijiye. Humlog Operation ki taiyaari karte hai.

Yeh bol Doctor waha se chala jaata hai.

Shalini – Shekhar jaldi se kuch karo. Kahi se bhi khoon ka intezaam karo.

Shekhar – Main kuch karta hu bhabhi. Kuch nhi hoga Aryan ko. Main kuch bhi karke khoon ka intezaam kardunga.

Phir Shekhar apna phone nikal ke apne jaan pehchan waale sabhi ko call lagata hai aur khoon ka intezaam karne lagta hai. Woh kuch hospitals mein bhi call karta hai par usse khoon kahi nhi milta.

Shalini – Shekhar mujhe lagta hai ab humare paas ek hi raasta hai. Humhe usse bulana padega. Kyoki usi ke paas iss blood group ka khoon hai.

Shekhar – Nhi bhabhi. Abhi humare itne bhi bure din nhi aaye hai jo humhe uski madad leni pade. Main kuch bhi karke khoon ka intezaam kardunga par uski madad nhi lunga. Kabhi bhi nhi.

Shalini – Shekhar humare paas waqt bahot kam hai. Agar khoon ka intezaam nhi hua toh Operation start nhi hogaa.

Ishita – Khoon ka intezaam hogya hai Mummy.

Ishita ki baat sunke sab uski taraf dekhne lagte hai. Jo kisi ladke ke saath waha khadi thi.

Shekhar – Khoon ka intezaam hogya. Kaise beta. Kaha mila tumhe khoon.

Ishita – Chacha ji. Yeh mera dost hai. Iska blood group aur bhai ka blood group same hai. Jab doctor ne bola toh maine sang sang isse call kiya. Aur yeh khoon donate karne ke liye taiyaar hogya hai.

Shekhar uss ladke ke paas aata hai aur usse gaur se dekhne lagta hai.

Shekhar – Maine tumhe kahi dekha hai. Kaun ho tum.

Ladka – Sir main aapki company mein Junior HR hu. Mera naam Abhimanyu hai. Abhimanyu Agarwal.

Shekhar – Haa haa. Yaad aaya. Tumhara bahot bahot shuktiya beta. Tum iss musibat ke time mein madad ke liye aage aaye.

Abhimanyu – Yeh toh mera farz hai Sir.

Phir Shekhar Abhimanyu ko leke sidha doctor ke paas jaata hai jaha doctor Abhimanyu ka blood ek baar phir se test karke Aryan ke nikalne lagta hai.

Idher Mahira ko jab Aryan ki halat ke baare mein pata chala toh uski halat aur jyaada kharab hogyi thi. Woh baar baar ek hi baat bol rahi thi uski maut Aryan ne apne naam karli.

Udher Ajay aur uska parivaar Aryan ke sang aaye ladke ko dekhe jaa rahe the.

Ajay – Kaun hai yeh ladka. Jisne Aryan ki itni madad ki.

Maya – Haa. Isi ladke ki wajah se Aryan waqt rehte hospital aagaya.

Arjun – Vicky bol raha tha dost hai uska. Isne Mahira ko bachane mein bhi madad ki hai aur isine gaadi mein Aryan ko yaha pahonchya hai.

Arjun ki baat sunke Ajay uss ladke ke paas jaake baith jaata hai aur usse baat karne lagta hai.

Ajay – Tum Aryan ke kyaa lagte ho.

Woh ladka ekbaar Ajay ki taraf dekhta hai phir bolta hai dost hai woh mera.

Ajay – Ooo. Jarur Mumbai mein hi dosti hui hogi tumhari.

Ladka – Haaa.

Ajay – Tumne bahot madad ki hai Rajput parivaar ki. Agar kabhi bhi kisi bhi chiz ki jarurat ho toh be zhizhak ke maang lena.

Ladka – Aapko aisa kyo laga ke maine jo kuch bhi kiya hai woh kisi lalach mein kiya hai.

Ajay – Tum galat samaj rahe ho. Mere kehne ka yeh matlab nhi thaa. Main toh yeh keh raha hu kabhi bhi apne aap ko akela mat samjhna. Rajput parivaar humesha tumhare saath hai.

Ladka – Mujhe samaj aagaya hai aapke kehne ka matlab. Thank you. Yeh bol woh ladka waha se uth ke chala jaata hai.

Ajay usko jaate hue dekhne lagta hai.

Ladka – Mann mein. Yehi chiz darshaati hai iss aadmi ka mann kitna chotta hai. Yeh sabko apni tarah hi samajta hai. Jaise yeh sabse apne faiyde aur lalach ke liye juda hai yeh baakisab ko bhi waisa hi samajta hai.

Thodi der mein Shekhar aur Abhimanyu khoon donate karke bahar aajate hai. Shekhar Abhimanyu ko bahar ek bench mein baitha deta hai.

Khoon dene ki wajah se Abhimanyu ko thodi kamzori aagayi thi.

Shalini – Vicky jaldi jaa aur Abhimanyu ke liye juice leke aa. Isse iski kamzori durr hojaayegi.

Abhimanyu – Aree ma’am iski koi jarurat nhi hai. Main thik hu.

Shalini – Bilkul jarurat hai. Tumne humare liye jo kiya hai woh toh apne apno ke liye nhi karte. Tum toh paraye hokar bhi humare liye itna kuch kargaye.

Abhimanyu – Yeh toh mera farz thaa ma’am. Aur Aryan Sir mere boss hai saath hi Ishita ke bhai hai unke liye yeh kuch bhi nhi.

Vidya – Tum dono ekdusre ko kaise jaante ho.

Vidya ke sawaal pe Ishita aur Abhimanyu ek dusre ko dekhne lagte hai. Dono kyaa jawaab de unhe samaj nhi aaraha tha. Dono isharo mein hi ekdusre ko puch rahe thee aur yeh chiz saamne khada woh ladka saaf dekh raha thaa.

Ishita – Woh Chachi Abhi meri ek friend ka bhai hai. Toh usike jariye mujhe iske baare mein pata chala.

Shalini – Abhiiii???

Ishita – Ghabrate hue. Mera matlab hai Abhimanyu.

Shekhar – Chalo achha hi hua ke tum iski friend ke bhai ho aur iss musibat ki ghadi mein humari itni badi madad ki. Iske liye tumhara dil se bahot bahot shukriya.

Abhimanyu – Aap aise Thank You naa bole. Waise Ishita ne bataya tha Mahira ji ka kidnap hogya tha. Mera matlab hai meri didi ko bataya tha unhone mujhe bataya. Kyaa ab woh thik hai.

Shekhar – Haa ab woh thik hai. Thodi tabiyat kharab hai isiliye yehi admit bhi hai. Usiko bachane ke chakar mein Aryan ko goli lagi.

Abhimanyu – Toh woh yaha Hospital mein kaise aaye.

Vidya – Unhe hospital laane wala tumhare saamne hi khada hai. Agar yeh naa hota toh pata nhi aaj kyaa hojaata.

Shalini – Ab bas bhagwan Aryan ko jaldi se achha karde.

Abhimanyu – Aaplog chinta mat kijiye. Sir jaldi thik hojaayenge. Achha ab main chalta hu. Mujhe office bhi jaana hai.

Shekhar – Tum aaj sidha ghar jaoge. Aaj tumhari office se chutti.

Abhimanyu – Par Sir. Office mein aaj bahot kaam hai. Vijay sir ko meri jarurat padegi.

Shekhar – Kam apne time pe hojaayega. Tum sidha ghar jaoge. That’s an order.

Abhimanyu – Thik hai Sir. Jaisa aap kahe.

Shalini – Tum yaha aaye kaise the.

Abhimanyu – Ma’am bike se.

Shalini – Veer.

Veer – Yes Ma’am.

Shalini – Apne aadmi ko bolo gaadi se isse ghar chorr de aur iski bike bhi ghar pahoncha de.

Veer – Yes Ma’am.

Abhimanyu – Aree Ma’am iski koi jarurat nhi hai. Main chala jaunga.

Shalini – Veer tumne sunna maine kyaa kaha.

Veer – Ji Ma’am hojaayega.

Phir Abhimanyu Veer ke saath waha se chala jaata hai. Par jaate hue woh baar baar Ishita ko pichhe palat ke dekh raha tha aur Ishita bhi usse jaate hue dekh rahi thi jo saamne khada ladka saaf dekh raha tha.
 
Top