• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Pishachini

AnkurKumar3456

AKA Mintu the Storyteller
941
1,384
124
Bhaag 17

"Yyyyeeh ttu KYA KAR RAHI HAI???"

Badri ke hosh ud gaye, jab Alka honton se khoon saaf kiye, ab apni agla waar uske jabre par kiye, jahaan se thode bahut maas ko voh apni daanton se cheed deti hain. Is baar Badri aur dard se bilbilate huye cheekhne laga, lekin Alka us maas ke tukde ko daanton se nichodke, phir se honton pe se khoon ko saaf kiye purn anand lene lagi. Jab voh dekhti hain ke Badri apne krodh ko darsha raha tha, tab Alka apni aankhen munde phir se khol leti hain, aur is baar uski gutliyan vapas vahi safed si ho gayi thi, jise dekh Badri ghabra jaata hain.

"Aaye saaaali! Ttterii aaankhon kko kkya ho gaya???" Par isse pehle voh aur kuch keh pata, Alka ek ajeeb si swar mein "Haraamzaade!!!!" kehti hain aur apni haathon ko upar le jaati hain waar karne ke pose mein aur unhe ek jhatke mein niche Badri ke seene mein dhass leti hain, aur chaati ko kisi jaanwar bhanti kharochne lag jaati hain. Badri dard mein sisakta gaya lekin Alka chaati par waar karne lag gayi.

Dekhte dekhte chaati se lahoo behne laga aur Badri kuch pal ke liye behosh ho jaata hain. Isse natija yeh hota hain ke uska lund sikudne lag gaya aur is baat se Alka ghusse mein uske upar se uth jaati hain aur bistar ki rod ko kass ke pakde apni bhayankar aankhon se Badri ki aur dekhne lagti hain. Ghanghor chudai ko beech raha me chodti hui, voh krodh se aag babula ho rahi thi, lekin phir voh bhi Badri ke baju mein let jaati hain.

Achanak Alka ko zor ki peshab lagti hain aur voh ek ubasi leti hui washroom jaane lagti hain. Kuch pal ke baad, halka hoke jaise hi Alka basin mein apni mooh dhoke upar aine me dekhti hain aur dekhte hi dang reh jaati hain, ek ajeeb drishya ka saamna karti hain Alka. Aine me voh ajeeb dhang se muskura rahi thi aur apni dono haathon ko apni khoobsurat chehre par laake, achanak naram chamre par khujane lagti hain, aur dhire dhire vaha se chamre ke ek ek hisse ko ukhaadne lag jaati hain.

"Yeeehhh kyyyaaaa ho rahi haii????" Hairan hoke Alka apni durdarsha dekhne lagi aine me, jahaan uski pratibimb khud ke chehre ko haathon se noch noch ke chamre ko hata rahi thi aur pura chehra khoon se latpat lag rahi thi. Jab saare chamri hat jaati hain, tab Alka ki pratibimb ek bhayanak roop dharan karti hain, jahaan voh budhi aur daravni lag rahi thi. Aankhen safed aur peele peele dant liye muskura rahi thi.

"Nnnnaaahhhiii!!!" Alka ki cheekh nikal pari apni hi bhayank pratibimb dekhke aine mein. Lekin phir palke jhapak te hi Alka ne gaur kiya ke uski shakal vapas normal ho gayi thi aine me. Use samajh hi nahi aayi ke kya hua tha abhi abhi. Lekin tabhi kuch ajeeb hua, Alka apne aap muskurane lagi aur uski gutliyan phir se safed ho gayi thi aur hansi bhi bhayanak hone lagi.

Badri neend me itna magan tha ke, use hansi sunayi hi nahi diya aur dekhte dekhte Alka ki hansi badti gayi aur ahista ahista raat ka andhera itni ghani ho gayi ke chaand bhi maano jaise badlon mein kahin dhak gayi ho.

.......

Kuch pal beet jaate hain aur raat ke khamoshi ab apne charam seema pe thi aur is vakt kareeb saare teen baj rahe the. Ahista ahista Badri ab hosh me aa raha tha aur apni aankhen khol raha tha. Chaati, kaan aur jabre se behta lahoo bhi kuch had tak sookh gaya tha, lekin dard ka ehsaas abhi bhi thoda bahut tha. Phir bhi hosh me aate Badri apne baju dekhne laga aur use Alka nazar aati hain, jo uski aur peeth karke so rahi thi aur Badri ko uske zulfon ke alava kuch nazar nahi aaya, jiske lambai nitamb tak aaye huye the.

Lekin ek baat Badri ko khatak raha tha, aur voh yeh tha ke use aisa lagne laga jaise Alka ki lambi baal puri tarah se kaali nahi thi, balki kaale safed ki mishran thi, jisme adhik rangat safedi ki thi. Hairan hoke Badri apne dhadakte dil liye haath aage karke jaise hi kandhe me rakha, achanak tabhi Alka ki jism mein ek hilchul hui, lekin voh mudi nahin. Kuch pal ke liye zoron se dhadakte dil vapas dheeme ho jaata hain aur Badri vaapas apne haath ko Alka ki kandhe par thame, hilane lagta hain.

"Are ab is sasuri ko kya hua?? Bahut hi gehri neend mein malum hoti hain saali!".

Badri mann mein shankha liye aur kuch pal tak kandhe ko hilane lag jaata hain aur tabhi ekdam se Alka uske aur mud jaati hain, lekin is vakt uski shakal dekhte hi Badri bistar se hilte huye ekdam se piche sarakte huye cheekh padta hain "NAAHIII!!! KKKKAAAUUN HO TUM???"

Is vakt Alka ki shakal ekdam budhi aurat jaisi lag rahi thi aur chehre pe bahut si jhudiya eksaath dikh rahe the. Par usse bhi bhayankar jo baat thi voh thi uski aankhon ki safed gutliyan aur peele peele daant, jo is vakt ek shaitani muskaan me samete huye the. Alka ki yeh hashar dekhke Badri bistar se sadak jaata hain aur jaise hi kamre se nikalne vala tha, foran darwaja uske mooh pe hi apne aap band ho jaata hain.

'DHARAM!' darwaza ke band hote hi Badri aur pareshani mein aajata hain aur kahin aur se bhagne ki koshish karta hain lekin, tabtak uske aasthin ko kass ke jakad leti hain Alka ki budhi roop aur use ekdam se farsh par se mehaz apne bazuo ke taqat se upar uthane lagti hain, jo Badri ko aur khauff mein laa raha tha.

Alka : (ajeeb si awaaz me) kyon??? Pasand nahi aayi meri shakal??? Hehehehe!

Badri : jjjjaaaannne ddoo mmmujhe! Are .... yyyeehhh kya ho gayaaa achanak tere ko???? Jjjane do mujhe!

Alka : Haramzaada kahin ka! Meri pyaas bhi thik se nahi bujha paaya????? AB MARH!

Pura mahol mein ek deshat si aachuki thi achanak aur Badri laakh churane ki koshish ki khudki, lekin Alka ki yeh vibhatasya roop ne uske aasthin ko haath ke giraft se jaane hi nahi diya aur apni thulthuli honton par zubaan pherte huye, ekdam se Badri ke naak par apni peele daanton se akraman karne lagti hain aur uspe aise daanton ko dhass deti hain, jaise ki koi khaane ki vastu ho.

"SAAAALI YEHHHH TUU AAAAAAAHHHHHH!"

Badri ek zor ka cheekh nikaal deta hain jab Alka naak ke zyadaatar hisse ko uske chehre se ukhaadke apne daanton se chabake phenk deti hain farsh par, lekin usse jo khoon honton pe lage the, voh jeebh se chaatke saaf kar leti hain. Dard se bilbilate huye Badri ko Alka farsh par phenk deti hain aur dhire se uske aur jaane lagti hain. Badri bechara ghutno ke bal piche piche jaata gaya, lekin Alka apni thulthule haathon ko foran Badri ke aasthin ko pakadke apni aur kheench leti hain.

Badri saans thame sochta gaya ke agle ghadi me kya hoga aur bas agle hi pal Alka apni dono thulthule haathon ki lambi nakhuno ko uske chaati pe zor se dhass deti hain aur pagalo ki tarah chaati ko kharochne lag jaati hain haste haste. Badri chillata gaya aur uske chati se lahoo phut phut ke behne laga. Aakhirkar Alka ki haath lahoo lohan chaati ke ekdam andar ghuss jaati hain aur ek jhatke mein vaha se puri ke puri hriday ko nikaal deti hain, jiska natija yeh hua ke Badri ek aakhri lambi cheekh deke vahi ke vahi dher ho jaata hain.

Alka ki vibhatasya roop ek shaitani muskaan deti hain Badri ki laash ko dekhke aur haath mein jo hriday thi, use upar uthaye mooh ke kareeb laake masalne lagti hain. "Aaaaahh" ahista ahista Alka us masle huye hriday se behta ek ek lahoo apni mooh ke andar leti hain aur trupt hone lag jaati hain. Phir ahista ahista us hriday ke chaaro bhaago se saare ke saare khoon voh pee leti hain aur phir apni honton pe se baaki bache katron ko apne jeebh se saaf kar leti hain.

Saaf karte hi, Alka Chalke apni bahayank hulia dressing table ke aine me jaake dekhti hain aur drawyer me se voh kitaab nikalke, use honton tak laake choomne lagti hain.

Maze ki baat yeh thi ke aine ke pratibim me voh koi kitab nahi, balki ek kankaal ko choom rahi thi. Choomne ke baad Alka us kitaab / kankaal ko vapas drawyer me ghusa deti hain aur Badri ke laash ko apni shakishali bazuo se uthake baramde me chali jaati hain aur vaha se ek jhatke mein us laash ko niche phenk deti hain.

Badri ke laash niche dher hoke pada rehta hain aur is hadse ke saath saath dekhte hi dekhte raat bhi guzar jaati hain.
 
  • Like
Reactions: Amar kumar Mohanty

AnkurKumar3456

AKA Mintu the Storyteller
941
1,384
124
Bhaag 18

Agle subah Nikhilesh vapas haveli aajata hain aur aate hi ek behad bada sa bheed dekhke hairan reh jaata hain. Vaha bheed me Ramcharan khud bhi the aur baaki panchayat ke log bhi.

Nikhilesh : are aap log (gadi se utarte hi) kya baat hai Ramcharanji?

Ramcharan : (gambhir hoke) kya aap is baare mein kuch bata payenge?

Itna kehte hi voh baju mud jaata hain aur saath saath baaki ke log bhi. Unke hat jaate hi Nikhilesh ko Badri ki laash ka darshan hota hain, jise dekhke voh hairan aur pareshan ho jaata hain. "Badrinath??? Lekin inko kya ho...kisne kiya yeh sab?????". Nikhilesh ka hosh khone laga aur voh kuch keh nahi paya, bas Ramcharan aur baaki logo ko dekhne laga.

Ramcharan : Nikhilesh babu, kya main puch sakta hoon aapke patni kahaan hai?

Nikhilesh : kyon? Alka to yehi thi!

Darwaan : nahi sahabji! Maalkin andar hai hi naahi!

Nikhilesh : (hairan hoke) KYA? Alka nahin hai matlab??? Aur... Munnu?? Munnu kahan haaai???? (Ghabrake)

Darwaan : sahab! Aap fikar mat kijiye.. Munnu bitwa humare paas hain kal raat se, humare kutiya me so raha hai bitwa!

Nikhilesh kuch pal ke liye ek sukoon ka saans leta hain aur foran darwan ke cabin mein daudke jaane laga. Andar pahuchte hi uska nazar Munnu me aata hain, jo sukoon se takiye ko jakadte huye so raha tha. Use ek jhalak dekhte hi Nikhilesh sukoon mein khada raha aur phir bahaar aake darwan ka shurkiya ada karke, foran haveli ke andar jaane lagta hain aur niche dining room se leke, upar study room aur baaki ke saare room talash karne laga, lekin Alka ki koi naam o nishan tak nahi.

Mayus hoke Nikhilesh niche aaya aur use dekhke Ramcharan uske kandhe pe haath lagaye ek chintit bhav dikhane laga.

Ramcharan : Nikhilesh babu, aap maane ya na maane, yeh harkat aapke patni ki hi hai!

Nikhilesh : Ramcharanji??? Yehh aaap kya keh rahe hai?? Bhala voh Badrinath ka khoon kyon karegi? Voh bhi itni bhayank tarike se?

Ramcharan ka mitr : babu saheb! Aapke patni ne yeh kya anarth kiya!!!! Mai kasam! Ab to pura ganv khauff me hai! Kyon bhayio???

Vaha maujood baaki ganvwale bhi apne kalesh aur ghabrahat bayan karne ke liye "haaan" bolte gaye, lekin tabhi Ramcharan ne zor awaaz mein "SHANT HO JAO AAP LOG! TANIK SHAANT HO JAO!". Sab log shaant ho gaye or tab voh Nikhilesh ko leke those dusre baju chale jaate hain aur dhime se kehte hain "Nikhilesh babu, aap mere saath ayiye, mere ghar!".

.......

Ghar pahuchte hi Nikhilesh ka saamna Sushila se hota hain, jo karuna bhav se use dekhne lagti hain. Ramcharan use sofe pe bithake foran apne patni ko bula lete hain aur ek sehmi hui awaaz mein kehta hain...

"Girdhari! Maaf karna mujhe! Jis baat ka dil ke kone mein darr basa tha, voh ghatna phir se ghata!".

Girdhari : yeh aap....

Nikhilesh : Ramcharanji saaf saaf batayiye, baat kya hai??? Alka ka is tarah gayab hona! Uska phone bhi band aa rahi hai!! Mujhe kuch samajh nahi aa raha hai!!! (Pareshani me)

Ramcharan : Nikhilesh babu, mujhe aapko haveli ke ek khaas raaz ke baare mein batana chahiye tha! Dekha jaye to galti kahin na kahin mujhse ho gaya!

Nikhilesh : raaz??? Kaisa raaz??

Girdhari : beta, zara yaad karke batana ke kahin aisa to nahin ke Alka bitiya dusre manzil pe gayi ho??

Nikhilesh ko achanak yaad aata hain voh manzar jab voh Alka ko upar jaate huye pakad leta hain aur hairani me voh Girdhari ki aur dekhke kehta hain "shayad kautoholta mein voh upar jaa bhi sakti hain, lekin...iska matlab kya hai??".

Yeh sunte hi Girdhari aur Ramcharan, dono pareshan nazar aaane lagte hain aur tab Ramcharan faisla kar leta hain ke voh uparwale manzil ke ateet ke baare mein Nikhilesh ko bataye.

Kuch der tak shaant hoke Ramcharan apne kathan shuru karta hain...

"Nikhilesh babu, aap maane ya na maane, Lekin aapko ab sach batana mera dharam hai! Baat un dino ki hain jab mere dadaji Shri Gopalprasad yaha ke mukhya the! main keval 8 ya 9 saal ka tha......."

.........

FLASHBACK : Takreeban 55 saal pehle :

"Yeh aurat yaha nahi reh sakti!!!!!! Ise hatao!!! Yeh humare ganv ke mardo ko behka rahi hain aur unhe tabahi ke raah pe leke jaa rahi hai!!!!" Ek ganvwala panchayat mein zor se bolne laga aur tamam buzurg aur yaha tak aurte bhi haan mein haan milane lage.

Gopalprasad : shaant ho jao! Shaant ho jao!! Hume bina saboot ke faisla karna shobha nahi deta! Aur vaise bhi Ajanta Devi ek buzurg aurat hai! Voh kya kisi ka nuksaan karegi?

Ek aadmi : are maine!! Maine apne in dono aankhon se use jadoo tona karte dekha hai!!!! Voh ek daayan hai!!!

Doosra aadmi : mukhyaji, yeh thik keh raha hai! Yeh Ajanta Devi raat ko banjaran banke jungalo mein tehelne jaati hain aur mardo ko apne jawani ke jhoothi dhong me phasake, unka bali chadhati hai!!

"Haaan Haasan hatao us chudail ko!!!!!!"

"Hum use yaha is ganv mein nahi rehne denge!!!!!!!!!"

Aur is tarah mard aur aurat, sab shor karne lage, jise dekh Gopalprasad sach me pareshan ho gaya aur tabhi voh nirnay leta hain ke sab ke sab milke isi vakt Ajanta devi ke haveli jayenge aur ek natije pe pahuchnege.

"Thik hai! Aap log ayiye abhi mere saath! Haveli ki aur"

Gopalprasad ke piche piche saare log jane lage aur chalte chalte aakhirkar sab haveli ki chaukhat pe pahuch jaate hain. Gopalprasad khud darwaza khatkhate hain aur kuch hi palo darwaza khul jaata hain aur kholne wali ek aurat thi, kuch 70 ke aaspaas aur kaali saree aur kaale blouse pehni hui thi. Yeh thi haveli ki malkin Ajanta Devi.

Ajanta Devi : are aap log?? Is vakt? Mukhyaji, kya baat hai?

Gopalprasad : Ajanta Devi, ganvwalo ka kehna hai ke aap shaitani kaamo me shamil hai!

Ajanta Devi : kya keh rahe hai aap??? Aap jaante hain ke main kitne saal se is ganv mein hoon! Aur aap keh rahe hai ki...

"DUSHT AURAT YEH MUKHIYA THIK KEH RAHA HAI!"

Sab ke sab apne nazren phira lete hain ek tantrik ki aur, jo kaale gown pehne ghusse se Ajanta ki aur aaa raja tha.

Gopalprasad : (namaskar karke) aaap?

Taantrik : is budhi aurat ke dhong pe mat jaana! Iski bholi shakal ke piche shaitan chupa hai!

Ajanta Devi : KYA BAKWAAS HAI YEH?? mukhiyaji, aap log ab jaa sakte hain!

Tantrik : accha! Tere ghar pe is vakt koi hai????

Ajanta Devi : pura ganv jaanta hain ke main akeli rehti hoon, Tantrik!

Tantrik : JHOOTH! (krodhit hoke) mukhiya! Tujhe yakeen nahi hai to aa mere saath! (Gopalprasad ko dekhke)

Tantrik Ajanta ko zor se baju hatake, Gopalprasad aur baaki kuch ganvwalo ke saath andar ghus jaata hain aur seedhe dusre maale pe jaate hain, jahaan Ajanta rehti thi. Vaha pahuchte hi, tantrik ko ek khaas boo aata hain, jo soonghne me bilkul lahoo jaisa tha.

Tantrik : mukhiya! Aapko yakeen nahi hai, to jaake us kamre mein dekhiye kya haal hai!

Gopalprasad dil mein ghabrahat liye seedhe Ajanta ki bedroom me ghus jaata hain aur ghinn ke maare apne aap ko kabu mein rakhta hain. "Haye raam! Yeh sab...". Andar bistar pe ek nahi, balki do do mardo ka laash leta hua tha, aur dono ka halat ekdam battar! Kisi ke aankh gayab tha to dusre ke jeebh kate huye the. Tab jaake Gopalprasad ko ganvwalo pe yakeen hua aur pakde jaane pe Ajanta ghusse mein aag babula ho gayi.

"Are aisi aurat ko to duniya se bhaga deni chahiye!" Ek aurat ghusse mein Ajanta ke mooh ke upar thook ke kehti hain aur sab ko shor machata hua dekhke Gopalprasad ek nirnay leta hain aur aage ki natija tantrik pe chor deta hain.

"Baba! Ab aap hi kuch kijiye!"

"Fikar mat karo! Main jaisa kehta hoon, vaisa karo!" Tantrik gehri saans leke kehne laga.

Aakhir faisle ka ghadi aagaya aur Ajanta devi ko zinda jalane ka faisla kiya gaya.

"HARAMKHODO! EK BUHDI AURAT KO SATANA ACCHI BAAT NAHI HAI!!!! MUJHE BHI AISH KARNA KARNE KI HAQ HAI!!!!!!

MAIN ITNI JALDI JAANE WALI NAHI HOON! DEKH LENA, KOI MARD NAHI BACHEGA!"

Ajanta ki puri badan pe ek ek ganv ka banda petrol chirakne lagta hain aur tantrik khud mashaal leke uske paas jaati hain "Shaitan ke upasak! Is dharti pe teri hukumat nahi chalegi!" Itna kehke voh jism ko aag laga deta hain.

Ajanta devi cheekhti hui sab ke aankho ke saamne kankal me dher ho jaati hain. E

........

VARTAMAN :

Nikhilesh : to kya yeh haveli Ajanta Devi ki hi hain???

Ramcharan : jee haan! Yeh aurat bahut chalaak thi! Yeh mar to gayi, lekin apni manhus shaktiyan ek khaas kitab mein chaapke, use apni kamre mein chupake rakhti thi. Us din se na jaane kitne mehmaan aaye aur gaye, lekin voh manhus aatma har kisi aurat ko apne vash me kar leti thi! Yaha tak ke kuch videshi aurat bhi!

Nikhilesh ka hosh khone laga. Aisi vichitra hadsaa uske saath hoga, usne sapne me bhi nahi socha tha.

"Aap ne yeh bhayank raaz mujhse itne din chupaye rakhe??? Kyon Ramcharanji?????" Nikhilesh krodh aur pareshani me jhulas raha tha.

Ramcharan : main sharminda hoon Nikhilesh babu! Lekin sach to yeh hai ke...aap thehre ek kaabil aur parivarik aadmi, agar main aapko yeh kissa pehle hi bata deta to shayad aap yaha rukne ka faisla nahi karte! Humne haveli ko ek jhoothe shaan ke hasiyat se rakha, taaki mehaano ke nazron mein humara rutbaa badhe!

Nikhilesh ne gaur kiya ke Ramcharan bahut sharmindagi mehsoos kar rahe the.

Nikhilesh : lekin kya us kitab ka aaplog kuch kar nahi sake?

Girdhari : beta, voh kitab itni manhus hai ke, laakh koshish ke babajud hum use na jala paye aur na hi panno ko phaad sake! Jin logo ne bhi koshish ki, unhe us manus aatma ne vahi ke vahi ya to maar diya ya jala diya. Yahaan tak ke voh tantrik khud zakhmi ho gaya ek baar!

Nikhilesh : (sar pe haath rakhke) in sab ke chakkar me meri masoom biwi ab phass gayi hai! Bechari kahaan hogi is samay! Samajh nahi aa raha hai main Munnu se kya kahunga uske maa ke baare me!

Nikhilesh pareshan hoke sofe se uthke ghar se nikal jaata hain aur Girdhari aur Ramcharan, dono dukhi dikhte hain. "Na jaane iske mann mein kya beet raha hoga!".

......

Shaam ko haveli pe :

"Pappa! Pappa...mummy kahaan chali gayi????" Ek mayus Munnu apne pitah se sawal karne laga, jiska jawab hi nahi tha.

Nikhilesh apne bete ko jawab mein apne paas bitha deta hain aur uske maathe ko sehlane laga "pata nahin beta! Aapke mummy kahaan gayi! Pata nahi....."

Pura shaam mayusi me beetne laga aur sawal aisa tha jiska jawab hi nahi thi! Tabhi achanak Nikhilesh ko na jaane kya soojha, voh Munnu ko bagiche me khelne ke liye bhej deta hain aur ahista ahista upar jaane lagta hain seediyon se. Chalte chalte chalte aakhirkar Nikhilesh dusre manzil ke kareeb pahuch jaata hain, jahaan use kahin mahilao ke painting dikhayi diya. Sab ke sab normal bhav prakash kar rahe the chehre par, sivay ek tasveer ke, jise dejhke Nikhilesh ka hosh ud jaata hain.

"NAAAHII.....yyyyeeh kyaaa....'". Kehne ke liye Nikhilesh ke paas shabdo ki kami hone laga, kyonki voh painting thi Alka ki, jiske chehre par bahut hi dukh aur kalesh thi.
 

AnkurKumar3456

AKA Mintu the Storyteller
941
1,384
124
Bhaag 19

"Paintings??? Dusre manzil ke raaste par?? Ramcharanji hairan reh gaye aur soch me pad gaye. Nikhilesh bechain dikhne laga aur phir keh utha "kahin na kahin in paintings ke saath us kitab ka zaroor koi sambandh hai!".

Ramcharan : haan Nikhilesh babu, aap ka anuman sahi hai, kyonki bachpan me aksar bahiche pe Ajanta devi ko painting banate huye maine kahin baar dekha tha!

Nikhilesh : (Ramcharan ke haath apne haath me liye) kuch kijiye Ramcharanji! Alka ko bacha lijiye! Munnu apne maa ki judai zyada din bardasht nahi kar payega!

Ramcharan : kaash main kuch kar paata! Na to vo tantrik raha aur na hi koi sadhu sant is samasya ka upay kar pay........

"Sahab!" Ek aadmi ke awaaz se dono Ramcharan aur Nikhilesh darwaze ke aur mud jaate hain. Voh aadmi tha haveli ke darwan, jo bahut utsukhta se un dono ko dekh raha tha.

Ramcharan : are, tum? Kya ho gaya?

Darwan : sahab! Chota muh badi baat, is dehshat se main hi nahin, balki pitaji bhi vaakif the! Lekin sahab! Ek shaks hai jo shayad aapka madat kar sakta hain enginner babu!

Ramcharan : kya tum jaante ho use?

Nikhilesh : saaf saaf batao! Kaun hai voh aadmi? Kahaan rehta hain?

Darwan : babu! Voh ek aghori sadhu hai. Bas Vasantinagar se kuch doori pe ek sunsaan se van me tapasya karta hai!

Ramcharan : thik hain! Nikhilesh babu, main bhi jaunga aapke saath!

Darwan : mukhyaji! Is kaam ke liye sahab ko akela hi jaana chahiye! Kyonki yeh unki akele ke samasya hai! ...bura mat maniye, par yeh us aghori ki sharton me se ek hain.

Girdhari : beta Nikhilesh, tumhe akela jaane dene ka mann bilkul nahi ho raha hai, kyon ji?

Ramcharan: bhagyavan! Bas uparwale pe bharosa rakho! (Nikhilesh ke kandhe pe haath rakhke) jao! apne Lakshmi ko vapas pavitra raah pe le ao!

Nikhilesh jawab me bas apna sar hilane laga. Ek ajeeb si ghadi ayi hui thi uske jeevan me aur samadhan bhi usi ko karna tha.

........

Dekhte dekhte raat ho jaata hain aur haveli se kuch doori pe, ganv ke chote se andheri nagri se ek aadmi daru peeke lalkhada ke chal raha tha. Apne aap hi kuch biribira raha tha aur tabhi use payal ki runchun sunayi deta hain.

*Chan chan.... chan chan*

Sharabi : oyeeee chip chipke kya thumak rahi hai, bahaar aaaaaa!

Tabhi ek ped ke piche se ek banjaran ke poshak me ek khoobsurat si ladki bahaar aati hain. Chehre pe muskaan thi aur aankhen sharabi. Voh ladki thi Alka! jo is balty ekdam jawan lag rahi thi.

Alka : lo agayi main! Chalna hai kya? (Aankh marti hui)

Sharabi : saali, kya gazab maal dikh rahi hai! (Dhime se khud ko kehke)

Alka : are! Bas apne se hi baatein karoge ya kareeb bhi aaoge!

Alka ki machalti harkaton ko dekhke sharabi bahut utsukh ho gaya aur uske kareeb jaane laga. Voh seedhe apne haath ko Alka ke choli me dhake nitamb par rakh deta hain aur dono ke dono thumakkar ekdam jungle jaise mahol me chale jaate hain, jahaan keval ghane ped paudhe the bas.

Ahista ahista dono prem alaap me pad jaate hain aur Alka us aadmi ke saath haule haule vastraheen ho jaati hain. Ekdam nagn ubhre stan aur lassedar yoni ko dekhke voh sharabi pagal hone laga aur turant dono apne nagn avastha me ek dusre me tut padte hain. Kabhi Alka use choomne lagti aur kabhi sharabi use. Patli kamar ki lachak ko barkakar rakhke Alka uske lund pe chadh jaati hain aur uchal kud karne lag jaati hain, jiske jawab me voh sharabi bhi aankhe munde maza lene lagta hain.

Jungle ke in veerano me, ganv ke hariyali se door dono ke dono pagal premiyon ke tarah bartav kar rahe the. Kuch pal beet jaate hain aur voh sharabi chudai kar karke ekdam se dher ho jaata hain, jise dekh Alka krodh se babula ho jaati hain aur apni vahi daravni roop bhudi roop dharan kar leti hain palke jhapak te hi. Alka ki jhurhuri chehre pe safed bade bade gutliya dekhke voh sharabi sahem jaata hain

"Kkkkaaauun ho tummm??

"Nakarak aadmi!! Meri pyaas bujhane se pehle hi tu dher ho gaya!!! Teri yeh himmat!".

Itna kehke Alka us aadmi ke mooh ke andar haath ghusedke uska zubaan kheech leti hain, voh bhi itni zor se ke puri jeebh mooh se ek jhatke me hi nikala jaata hain, jisse us aadmi ke mooh se zor ka cheekh nikal jaata hain, lekin jeebh na hone ke vajah se kuch keh nahi paata. Alka phir jeebh ko phenke, us sharabi ke honton ke ird gird khoon ko chaat leti hain aur andhi ke bhanti vaha se gayab ho jaati hain.

.......

Dusre aur Nikhilesh Munnu ko darwan ke saath chorke, foran us jagah ke talaash me jaane lagte hain, jahaan voh aghori rehta tha. Kaccha rasta tha isliye voh paidal hi chalne lage, kyonki raasta ajeeb hone ke karan koi bhi Jan vahak ka milna mushkil tha.

Aaj ek pati ka apne patni ke pran bachane ka imtihan tha, jise Nikhilesh har haal me pass karna chahta tha. Doori itni thi ke, ek paas ke ganv me use puri raat guzarni padi. Uske haal ko dekhke pure ganv ko taras aata hain aur kuch log niswarth hoke uska khayal bhi rakh lete hain.

Aise ek din aur beet jaate hain aur dekhte dekhte raat bhi hone laga aur is baar ek nahi do nahi, kahin aadmi Alka ki shikaar hui aur apne jaan gavah bethe. Alka apni insaniyat kho chali thi puri tarah se is baar aur bina khoon ko halak se nighale, chain nahi paa rahi thi. Aise me dusre aur Nikhilesh thaka haara us jagah pahuch jaata hain jahaan voh aghori basera kar raha tha. Puri badan me bhabhut lagaya hua tha aur aankhon mein ek tez bhav tha.

Nikhilesh ke aahat aate hi, voh aghori aankhen khol leta hain aur use gaur se dekhne lagta hain.

Aghori : main jaanta hoon tu kyon aya hai!

Nikhilesh : baba! Bade umeed ke saath yaha aya hoon! Kuch kijiye..meri patni..

Aghori : TERI PATNI NAHI HAI VOH! Aur nahi voh daayan ya chudail hai!

Nikhilesh : kya matlab aapka?

Aghori : Jab ek pret bhookhi hoti hain to voh daayan ya chudail keh laati hain, lekin jab bhookh ki koi seema nahi hoti! To us pret ko hum ek Pishachini kehte hain! EK PISHACHINI! (aag me kuch bhasm deta hua) teri patni bhi ek pishachini ban gayi hai!

Nikhilesh ka to jaise hosh khone laga ho. Voh soch bhi nahi paa raha tha ke kaisa duvidha uske vivahit jeevan me aagaya tha. Ek gehra saans liye voh us aghori ke pairon ke paas gir jaata hain "kuch kijiye baba! Mujhe kuch samajh nahi aa raha hai!".

Aghori : teri patni ne ek bahut hi shaitan pret ko mukt kar diya hai! Voh zaalim aatma yehi chahti hai tu ke teri patni bhi usi ke jaisa ban jaye! Aur yehi hya hai teti patni ke saath! Ab ahista ahista uski bhookh ek janwar se bhi battar hoti jayegi!

Nikhilesh : NAHI!! aisa nahi ho sakta! Yeeh..

Ek bebas pati ko dekhke aghori ka dil bhi thoda thoda pighalne laga aur voh uske sar pe haath pher leta hain.

Aghori : bas ek tarika hai! Lekin...main pehle hi bata raha hoon tujhe! Isse teri patni ki jaan bhi dav me lag jayega! Isliye soch ke bata mujhe! (Aag me kuch bhasm deta hua)

Nikhilesh : maine soch liya hai baba! Meri patni keval patni nahi, ek bacche ki maa bhi hai! Use bachana mera kartavya hai! Phir chahe....(ruk jaata hain)

Aghori : thik hai! To gaur se sun meri baat!!!!! Lekin pehle....kuch lamhe ruko aur intezar karo!

Itna kehke voh Aghori kuch matra padta hain aur jhulasti aag me apna ek hatheli ghusa deta hain aur kuch pal tak haath ko gehre aag ke andar rakhke bas kuch mantra birnirane laga. Nikhilesh hairan reh gaya ke aag ke andar haath hote huye bhi Aghori ke chehre ka bhav me koi badlav nahi aaya. Yeh silsila kuch pal tak chalta gaya aur kuch lamho ke baad aghori khud chilla utha

"JAI BHOLENATH! JAI KAAL BHAIRAVA! JAAAI KAPALIKA!"

Itna kehne ke baad voh aghori aag me se ek chaude se khanjar ko nikalta hain aur use Nikhilesh ko dene ke liye aage haath kar deta hain. Nikhilesh ek nazar khanjar ko dekha aur phir aghori ko.

Aghori : kehte hain ek pishachini ki shakti uski rhid ki haddi me rehta hain! Agar is khanjar se tum apne patni ke peeth ke bilkul beecho beech war karoge to uski saari shaitani shaktiyan uski jism se mukt ho sakti hain, LEKIN! yeh waar se shayad voh mar bhi sakti hai! LE ISE AUR APNE MANZIL KI AUR NIKAL JAA!.

Nikhilesh kaampte haath se voh ajeeb si bada aur chauda sa khanjar leta hain aur ek baar phir us aghori ko dekhta hain.

"YAAD RAKH! khanjar uski rhid ki haddi pe waar karni chahiye, aur kahin nahi! JAI KAPALIKA!" Itna kehke voh aghori aankhen munde phir tapasya me lag jaata hain. Sakht dil rakhke Nikhilesh khanjar ko ek thaili me liye, ek gehri saans leta hain aur vaha se vapas chal deta hain.

Vasantinagar pahuchne me kareeb do din lagne wala tha Nikhilesh ko aur is do raaten dauran Alka puri ganv mein dehshat phaila deti hain. Ek ek naujawan uski sheekar hoti gayi aur is tarah uski pyaas bhi badti gayi khoon ke liye. Voh darindo ke tarah ped ke upar chupi rahi aur jaise hi shikaar dikhi, voh apni jawani ka jaal phailake us shaks ko khatam kar deti thi.

.....

Vaha darwan ke cabin me Munnu khidki se bahaar aasmaan ke taaro ko dekhne laga. Use achanak apne maa Alka ki kuch yaadein aane laga.

Flashback :

Alka : Munnu, malum hai voh taare ikhatte kyon rehte hai!

Munnu : kyon Mummmy?

Alka : kyonki voh apas me khelte rehte hai (gaal pe puppy deti hui)

....

Vartaman :

Munnu in taaro ko dekhke apne maa ko bahut miss karne laga. Voh masoom soch bhi nahi paa raha tha ke uski maa kitni khatarnaak jaal me phass chuki thi. Khair foran darwan kuch khaana laata hain aur Munnu ko dene laga.

Yeh raat bhi beet jaata hai aur thaka pasine me latpat hoke Nikhilesh vapas Vasantinagar pahuch jaata hain. Ab uska samse pramukh kaam bas ek hi tha..

Aur voh tha..

paas me jitne bhi van the, vaha jaake Alka ki talaash karna!
 
  • Wow
Reactions: Logan(Wolverine)

AnkurKumar3456

AKA Mintu the Storyteller
941
1,384
124
Doston! Kahani ka agla aur aakhri bhaag ke liye saath jude rahiye.
 

AnkurKumar3456

AKA Mintu the Storyteller
941
1,384
124
Aakhri Bhaag

"Alka?????? ALKA????" Saamne ao!"

Ganv ke veerano me ek ajeeb si sunsaan jungle me jaake Nikhilesh haath me mashal liye chillane laga. Aaj faisle ki ek ehm ghadi thi aur voh ladne ke liye tayyar tha. Jungle me ek ajeeb si veeran maahol tha aur aas paas usse bhi ajeeb sanatta. Raat ke kareeb 2 baje huye the aur aas paas koi bhi vyakti ka naam o nishan tak nahi tha.

"Alka kahaan ho??? Saamne aao!" Nikhilesh mashaal ko idhar udhar le jaake chillane laga aur jungle ke ird gird moina karne lag gaya. Saamp aur ullu dono hairani se is pareshan aadmi ko dekhte gaye aur dusre aur Nikhilesh bina parvah kiye aage aage jaata gaya.

Tabhi chalte chalte Nikhilesh ke pair kisi vastu se takda jaata hain aur voh bas girne hi wala tha ke, foran khud ko sambhalke, niche dekha hain. Niche dekhte hi uske aankhe chaude ho jaate hain. Voh koi sadharan vastu nahi tha, balki ek aadki ka laash tha, jiska chehra pura bigad gaya tha noche jaane se aur hriday bhi seene se gayab tha. Is bhayankar manzar ko dekhke Nikhilesh sehmi jaata hain. Laash ekdam taaza tha, isliye use dekhke Nikhilesh ko kamsekam yeh ehsaas ho jaata hain ke shayad Alka aas paas hi hogi.

Is vishwas ke saath Nikhilesh aage badta gaya aur kuch kadam chalta gaya, chalta gaya...lekin koi bhi aur door door tak nazar nahi aaya. Tabhi ek ped aajata hain, jis ke nikat voh thakavat ke karan kuch pal vahi ruk jaata hain. Haafte huye Nikhilesh khud se kehne laga...

"Alka, tumhari tabahi main hone nahi dunga! Agar kismat me hamara saath nahi likha hai, phir bhi main tumhe shaitani saya me nahi rehne dunga!". Ittefaq se voh ped ek bargad ki bade chaude vale ped tha, aur kahin daaliyon ke upar latak rahi thi Alka! jo apne pati ki baaton ko sun leti hain aur mann me kehti hain..

"Nahi Nikhilesh! Main vapas nahi aaungi! Tum mera kuch nahi bigaad sakte! Ab yehi mera naya jeevan hai" khud se itna kehke voh paas ke daali me se ek sar kate saamp ke laash me se khoon ke katre liye apne ungliyon se chusne lagti hain. Aise karne se, Alka ko khabar nahi hui ke khoon ke kuch katre uske ungliyon se niche tapakne laga aur seedha Nikhilesh ke gaal pe girne lagta hain.

Gaal pe do, teen chinte girte hi Nikhilesh ko kuch ehsaas hota hain aur apne gaal ke aur dekhke, foran ek ungli se ek katre ko jaanchne lag jaata hain. "Yyeh khoon....." Hairan hoke voh foran upar dekhne laga aur tab jaake uske nazren ek budhi daayan jaisi aurat se mil jaata hain, jo khud Alka thi!

Pati se nazren milte hi Alka daali par se kud padta hain aur use dekhke Nikhilesh ko pal bhar me ehsaas hota hain ke voh Alka hi thi.

"ALKA!!!!!!! RUK JAOOO!" Nikhilesh bhaagne hi wala tha uske piche lekin, pal bhar me Alka gayab ho jaati hain.

Pareshan hoke Nikhilesh mashal liye us disha ki aur jaata hain, jahaan Alka bhaagi thi.

...........

Vaha sheher me :

Saigal sahb apne ghar pe so rahe the ke tabhi unka mobile baj uthta hai. Lamp ko jalake "itni raat ko kaun call kar sakta hai?" sochte huye, apne phone utha leta hain.

Saigal : hello?

Dusre aur se : jee, Saigal sahab! Main police station se baat kar raha hoon!

Saigal : kya baat hai inspector?

Inspector : Dekhiye ek bahut dukhad ghatna ghat gaya hai! Aapke karmchari Malhotra jail se bhaag gaya hai!

Saigal : oh my god! Yeh kaise ho gaya?? Aap logo ke hote huye bhi..yeh sab??

Inspector : aap befikar rahiye, main aapke ghar me police protection bhej raha hoon! Aap bas chaukanna rahiye!

Saigal "thank you" kehke phone ko ghabrake cut kar deta hain aur mann hi mann kehne laga "mujhe khud se zyada Nikhilesh ka fikar hai, pata nahi yeh Malhotra ka iraada kya hoga!". Itna sochte hi voh foran Nikhilesh ko ek phone lagata hain, lekin number sampark shetra se bahaar sunayi de padta hain. Bechain aur pareshan hoke voh phone ko bistar pe patak deta hain aur bas dil ko thaame bistar par betha raha aur sochta gaya...

"Damnit! Yeh Nikhilesh ka phone out of reach kyon aa raha hai?? Kahaan hai voh is vaqt?"

.....

Dusre aur, Nikhilesh mashaal liye aage aage jaata gaya, lekin Alka kahin bhi nazar nahi aayi. Pareshaan hoke voh yaha se vaha aur vaha se yaha ghoomne lag gaya aur abhi bhi mann me aas tha ke shayad use Alka mil jaye. Kuch aur pedo ke doori se ek ped pe Alka ek daali se latakkar apne pati ko dekh rahi thi yaha vaha jaate aur mann hi mann uspe ghussa kar rahi thi ke kaash voh vapas chala jaye. Alka ab is kadar pishachini bane jaa rahi thi ke ab use insano ke darmiyan rehna bhi gavara nahi thi aur ganv ya sheher me rehna to door ki baat thi.

"Alkaaaa?????? Please bahaaar aajaaoo!!!! ALKA???????"

Nikhilesh chillake kuch aur aage badh jaata hai, bina is baat ke ehsaas ke, Alka kuch hi doori pe, ek ped pe se use dekh rahi thi aur khud se keh rahi thi "Chale jao Nikhilesh! Mujhe paane ki ummeed chod do!" Alka is mukaam pe aagayi thi, jahaan use apni purani zindagi raas nahi aa rahi thi. Nikhilesh ko door jaaate dekh, voh sukoon se apne daali pe latki rahi.

Kuch aur doori pe chalke Nikhilesh thak jaata hain aur rukke bas ek ya do gehra saans liya hua tha ke tabhi kuch aisi ghatna ghati, jiska use koi andaza hi nahi tha.

Kuch doori se ek tez raftar se goli aake Nikhilesh ke kandhe se lag jaata hain aur "aaaaaaaah" karke voh kandhe se khoon ko rokte huye, apne mashaal ko niche gira deta hain, yaha vaha dekhte huye. Tabhi kuch doori me se ek mujrim ke poshak ke upar kaala jacket pehna hua muatanda uske kareeb aane lagta hain. Use dekhke Nikhilesh pehchaan jaata hain aur hairani se uska mooh khul jaata hai "MALHOTRA???".

Shaq yakeen me badal jaata hain, kyonki vohh aadmi aur koi nahi balki khud Malhotra hi tha.

Malhotra : haramzaada! Tujhe dhoondhte dhoondhte, mujhe is veeran jungle tak aana pada! Ab tujhe zinda nahi chorunga! (Gun ko uske aur nishana karte huye)

Nikhilesh : Bastard! Jail jaaake bhi teri makkari nahi gaya! Uhhh (kandhe pe haath rakhe) aakhir kyon mujhe raaste se hatana chahte ho?????

Malhotra : bewakoof! Tu ek bada sa project leke mujhse upar uth jayega aur main chup chaap dekhta rahunga?? (Gun ko saamne ke aur atal rakhke) aaj tere laash ko yehi jungle me dafnake, is factory ke kaam ko hamesha ke liye rok dunga! (Haste huye)

Phir hasna band karke, Malhotra goli chalane hi wala tha ke Nikhilesh vaha se hat jaata hain aur goli ko chakhma deta hain. Malhotra ke nazron se bachke, voh apni ek ped ke piche chup jaata hain aur Malhotra gun liye aage jaata gaya aur kuch pal tak Malhotra use yaha se vaha dhoodhne ke baad, ek gehri saans liye kehta hain...

"Nikhilesh! Saanne aajao varna tum jaante nahi main kitna kamina kisam ka aadmi hoon!" aur phir piche mudke zor se "AYE US PILLE KO LEKE AO!" pukarta hai.

Tabhi kuch doori se do aadmi saamne aaya aur unme se ek ke god me Munnu tha, jiska haath, pair mooh aur aankhen, dono pe plastar badha hua tha kass ke. Door ped ke piche se yeh drishya Nikhilesh dekh leta hain aur ghabrake Malhotra ke saamne aa jaata hain "NAHI! mmere bete ko kuch mat karna Malhotra! Tumhari dushmani mujhse hai!"

Malhotra : (muskurake) agaya bacchu line pe! Ab shayad mere kaminapan ka aur koi sabut nahi chahiye tujhe!

Nikhilesh : (haath upar kiye) Malhotra! Main factory ka kaam hamesha ke liye chor dunga! Bas..mere bete ko jaane do!! Us masoom ne kya bigara hai???? (Pareshan hoke)

Malhotra : Ab yeh kehne se koi faida nahi Nikhilesh! Tere bete ko ab teri maut dikhane laya hoon! Aur phir is pille ka kya karna hai! Voh baad me dekh lunga! Are haan! langda banake bheekh bhi mangwa sakta hoon! Hahahaha!

Nikhilesh : BASTARD! Munnu ko ek kharoch bhi aya, to bahut bura hoga!

Malhotra : (muskurake) kamal hai! zakhki hoke bhi itni himmat? Chalo, thoda aur himmat badha lete hain!

Itna kehke Malhotra ne ek dusri goli chalayi, jo jaake seedhe Nikhilesh ke ghutne pe lagta hain aur voh dard me cheekh ke niche ghutno ke bal gir jaata hain "uuhhhhhh uhh". Is baar dard use dugna hone laga, kyonki ghutno ke saath saath pehle se kandha bhi zakhmi tha. Tabhi kuch aisa hua ke Munnu ko pakde huye gunde ka jodidaar ke mooh pe ek bhayankar naukila haath aake tham jaati hain aur use ek jhatke me ped ke piche leke jaati hain. Apne jodidaar ke gair maujudgi ko dekhke dusra aadmi Munnu ko niche rakhke, apne saathi ko dhoondhe ke liye piche jaata hain. Munnu vahi zameen pe haath pair baandhe khada raha.

Malhotra : Haveli ka darwan to mere haathon maara gaya! Ab haveli ke mehmaan ko bhi khatam kar dunga (kareeb jaake Nikhilesh ke aur apne gun ko thaame)

Nikhilesh tez dard hone ke vajah se bhaag bhi nahi paya aur ghutno ke bal se upar uthne ki bas koshish karta gaya, aur Malhotra uska khilli udate huye uske maathe pe gun ko thamaye trigger dabane hi wala tha ke tabhi use "Aaaaaaaaghhhhh" sunayi diya door se. Awaaz sunte Malhotra Nikhilesh se nazre hataye piche mudke dekhta hain ke Munnu akela tha aur aju baju uske dono aadmi ke naam o nishan tak nahi the.

"Yeh dono haramkhoro kahan chale gaye????"

Ghusse se Malhotra yaha vaha dekhne laga aur tabhi voh faisla kar leta hain ke Munnu ko voh khud hi khatam kar dega. Aankho me krodh liye voh gun ko kasske haath me thame, us masoom se bacche ke paas jaane laga ke tabhi ek parchai Munnu ko gher leta hain aur Malhotra hairani se upar nazre kiye ek aurat ko dekhta hain, jiske safed baal the aur kaala neela chehra liye bade bade safed gutliyon wale aankhon se uske aur dekhe jaa rahi thi. Chehre pe aseemit krodh thi aur voh koi aur nahi balki khud Alka thi!

Ek kaali saree aur blouse pehne aur apni vibhatasya roop liye voh Munnu ko apne piche ke aur karke, dhire dhire Malhotra ke paas jaane lagi. Bas Alka ko dekhke hi Malhotra ghabrake uspe kamse kam 6 se 8 goliya chala deta hain, lekin goli khaake bhi Alka ko kuch bhi nahi hua, bas vahi gati se aage aage aati gayi.

"Kkkkaaun hhaaiiii tttuu???? Ghabrake Malhotra piche piche jaata gaya aur ghutno ke bal Nikhilesh hairan hoke use apne patni ka saamna karte huye dekhne laga.

Alka : mere pati aur bacche ko satane ki himmat kaise ki tune???? (Apni khudre haathon ko aage karke dhire dhire aage aati gayi)

Is vakya se Nikhilesh ko ehsaas hua ke bhale hi Alka roop aur dimaag se pishachini ban gayi thi lekin uska dil badal nahi payi thi. Aankhon me aaans liye voh aage aage dekhta gaya. Alka ki maujudgi se ghabrake Malhotra bhaagne hi wala tha ke tabhi Alka ek chalang lagaye vetaal ki tarah uspe kud padti hain aur uspe peeth par chipak jaati hain.

Malhotra : jaaaane de mujheeee!!!!! Saali chudail jaaane deeeeeee!!! AAAAAAHHHHH!"

Alka apni sakht lambe lambe nakhuno ko Malhotra ke seene me dhass deti hain aur dekhte dekhte apni dono haatheliyon ko puri andar ghusa deti hain, jisse Malhotra ke haath se gun to choot hi jaata hain, saath saath uske mooh se ek lamba dardnaak cheekh bhi nikal aata hain aur jab Alka uski hriday ko uske seene ke andar hi dabochne lagi tab Malhotra kamzor hoke ghutno ke bal girte hi, dard ki siskariyan dene laga.

Seene ke andar ka hriday bahut buri tarah dabocha jaata hain aur seene me se ek ke baad ek tez lahoo ki pichkaari maarke Malhotra apni jaan se haath dhoke zameen par dher ho jaata hain. Alka uske jism se khud ko mukt karke, ek nazar Munnu ke aur dekhti hain aur uska dil beth jaati hain. Munnu ki mooh aur aankh bandh thi, isliye voh apni maa ke is bahayanak roop ko dekh nahi paa raha tha aur Alka ko is baat ki tasalli thi.

Ab voh chupchaap vaha se jaane lagti hain ke tabhi "ALKA NAHI! RUK JAO!" Nikhilesh zor se ghutno ke bal se ab ek ped ke sahare upar uthke cheekhte huye kehne laga. Alka bina use dekhe, bas uske aur peeth kiye sakht awaaz me kehne laga..

"Mujhe bhool jao!!!! Apne bacche ko leke chale jao yaha se!!! Main ab tumhare duniya ki nahi hoon! CHALE JAO YAHA SE!!".

Itna kehke Alka dheeme gati se vaha se jaane lagi aur Nikhilesh ne tab gaur kiya ke uski patni ki peeth uske aur tha. Usne aankhe munde us aghori ki kahin baaton ko yaad karne laga aur phir apne shirt ke andar se voh khaas Khanjar ko nikaalta hain aur zakhki hone k chehre bavajud apni puri zor lagake Alka ki peeth ki aur nishana deke zor se phenkta hain aur sanjog se voh khanjar ka naukhila dhar seedhe jaake Alka ki peeth ke beecho beech ghuss jaata hain, jisse ek ke baad ek tez siskiyan uske mooh me se nikal jaata hain aur uski aankh badi aur chaudi ho jaati hai dard ke maare.


"Aaaaaaahhhhhhhh ssssssssssss aahhhhhhhhh"

Nikhilesh ahista ahista uthke gaur karta hain ke Alka ki jism hilne lag jaati hain aur voh dard se kuch pal tak aur birbirati hui vahi zameen par hosh khoke gir jaati hain. Uske niche girte hi, uski khopdi ke kone me se safed baalon ke darmiyan ek safed dhundla saaya ek jhatke me nikalke seedhe upar assmaan me kahin taaron ke kareeb jaake ekdam se ek taara me ya to badal jaata hain, yaa kahin aasman me hi gayab ho jaata hain.

Voh safed se saaye se mukt hoke behosh Alka ki roop apne aap hi vapas normal hone lag jaati hain. Baal safef se vapas kaale aur ghane aur chehra vapas vahi, jo pehle se Alka ki thi, jab voh nayi nayi ganv me aayi thi. Use zameen par behosh pade dekhke Nikhilesh ke jism me apneaap ek phurti si aajata hain aur voh ab tez gati liye Alka ke nazdeek aake apne ghutno ke bal bethe apne patni ko apne god me utha leta hain.

Alka bhale hi behosh thi, lekin uski swabhavik chehre ko dekhke Nikhilesh ek rahat ka saans leta hain aur foran use apne kandhe pe latkaye seedhe Munnu ke paas jaane laga. Is ghane raat mein jungle ke darmiyan ek parivar phir se pura ho gaya tha, lekin Nikhilesh ko ab Alka ki jaan ki fikar thi. Voh apne patni ko leke ganv ka jo ek hi pramukh hospital tha, vaha bharti karne ka faisla karta hain.

........

Kuch ghante baad :

Subah ke 6 baj jaate hain aur is vakt hospital ke OT ke bahaar keval Nikhilesh hi nahi, balki uske saath Sushila aur Ramcharan bhi the, aur yahaan tak ke Saigal sahb khud aye huye the, yeh sab milke use hosla dila rahe the. Nikhilesh OT ke khidki se docotro ke team ko Alka ki ilaj karte dekhne laga aur dusre aur Meena khud Munnu ke haath ko apne haath me thame, use dilasa de rahi thi. Beti ke is swabhav ko dekhke Sushila khush hoke, dono baccho ke sar pe haath phirati hain.

Saigal khud Nikhilesh ke kandhe pe haath rakhke kehta gaya "Nikhilesh don't worry! Bharosa rakho uparwale pe!". Nikhilesh mann shant kiye intezar karne laga
aur dekhte dekhte ek ghanta takreeban aur beet jaata hain. Agle hi pal OT ka bulb off hua aur ek doctor haathon se glove nikale, chehre pe hairani liye nikal aata hain.

Use dekh Nikhilesh se raha nahi gaya "doctor!...meri patni......."

Doctor : (lambi saans liye) aap ise miracle keh sakte hain! Alkaji ki jaan bach gayi hain aur voh ekdam thik hai ab! Bas kuch kamzori hai, lekin kuch hafto me door ho jayegi! (Muskurake)

Nikhilesh jaise apne aju baju roshni hi roshni mehsoos karne lag gaya aur uske saath saath sabhi maujud vaha khush hone lage. "Thank you Doctor!!! Shurkiya aapka!!!!" Khushi ke ansoo uske aankh se jaa hi nahi rahe the aur voh andar jaake Alka ko dekhne lagi. Haaan, chehre pe vapas vahi chote mote jhudiya aa gayi thi, lekin yeh sab zindagi se badhkar koi keemat nahi rakhti thi!

Alka ki haath ko Nikhilesh apne haath me leleta hain aur hatheli ke ird gird chumne lagta hain, jiske ehsaas se Alka bhi apni munde huye palke kholne lagti hain aur Nikhilesh ko dekhne lagi, aur nazre niche karke Munnu ko bhi dekhne lagi, jo ek masoom sa ruasi chehra liye use dekhe jaa raha tha. Apne bete ke gaal par haath phirake phir ek halka sa muskurahat liye apne pati ko dekhne lagi.

Is chote se parivar ko vapas ikhatta dekhke Ramcharan aur vaha majud sabhi khushi se phule nahin sama paye.

........

Alka teen hafte tak Sushila ki dekhbhaal me rahi aur vaha site pe Nikhilesh factory ka kaam bhi is dauran pura kar leta hain. Factory ke udghatan Saigal sahb se kiya gaya tha. Pura ganv khushi se jhoom utha aur chauthe hafte me aakhir Alka ekdam se swasth mehsoos karne lagi.

Factory ko sthapit karke Nikhilesh aur Alka haveli laut jaate hain apna saaman pack karne ke liye aur tabhi un dono ko doosre maale ke raste pe lage deewaro ke paintings nazar aaye. Dono ke dono hairan the yeh dekhke ke paintings me majud sabhi aurto ke chehro pe ek sukoon ke muskaan the, jo pehle kabhi nahi tha.

"Lagta hai in tamam aurto ke aatmao ko bhi shaanti mil gayi hain!" Muskurake Nikhilesh apne patni ke kandhe pe haath malke kehne laga. Alka muskurai bhi aur chehre pe ek prayaschit ke bhav bhi thi aur voh foran apne pati ko kass ke gale laga deti hain "Nikhilesh! Ho sake to mujhe maaf kar dena!".

"Jo bhi hua bhool jao use Alka!" Itna kehke Nikhilesh apne hont ko pyar se patni ke hont se jod deta hain aur tabhi...

*PEEEEP PEEEP" "MUMMY!!! PAPPA AAo NA JALDI!"

Gadi ke horn ke saath saath, Munnu ke masoom awaaz dono ko is chumban se bahaar nikal dete hain aur dono aam ke ped pe se aam chori karte baccho ki tarah sharma uthe. "Chalo Alka!" Haath pe haath thamaye aur samaan samet dono gaadi me beth jaate hain aur gaadi sheher ke aur nikal jaata hain.

.............

Kareeb do hafte baad :

*DING DONG*

Nikhilesh office ke liye tayyar ho raha tha aur tie ko bandhte huye pukaarne laga "Are Alka! Dekho to kaun hai!".

"Thik hai! Main dekhti hoon jake!" Munnu ko school ke liye tayyar karti hui Alka kamre se bahaar nikalti hain aur darwaza kholke hairan reh jaati hain. Bahaar koi bhi shaks nahi tha ya thi. Tabhi Alka andar jaake darwaza band hi karne wali thi ke use niche farsh par ek patli si parcel jaise kuch dikhi.

"Yeh parcel...kaun bhej sakta hai?" Mann me sawal liye Alka us parcel ko liye vahi darwaze ke chaukhat pe khadi rahi aur kholne lagi. Andar ek magazine thi jiska title thi "Beauty Journal" aur ek sundar jawan ladki ki tasveer ke saath saath yeh tagline bhi likha hua tha 'Baniye 7 din me jawaan aur akarshit!".

Alka us magazine ko ek nazar dekhti hain aur agle hi pal us magazine ko phaarne lagti hain aur kareeb teen se chaar tukdo me phaarke use bahaar kachre ke dher me phenk deti hain aur darwaza band kar deti hain.

"Are kaun tha Alka?" Suit pehnta hua Nikhilesh poochhe laga.

"Ek Beauty magazine tha! Khoonsurti aur jawan banane ka dava kar raha tha!" itna kehke Alka ruk jaati hain aur apne pati ke gale lagke aage kehti hain "Maine us magazine ko phaarke phenk di! Vaise umar kuch bhi ho! Logon ko dil se jawan rehna chahiye!". Itna kehke voh apne pati ko gaur se dekhne lagi.

Kuch pal ke khamoshi ke baad Alka aur Nikhilesh dono hans pade aur phir ek dusre ke aankho me aankhen dale dono ek baar phir ek dusre ke hont chumne lage.

Hamesha ki tarah maa baap ko is tarah dekhke masoom Munnu apne aankkon ko haath se dhak leta hain aur phir Nikhilesh chumban se azaad hoke pyar se Alka ko kehta hain " I love you Alka!".

Jawab me Alka khushi khushi apne pati ke gale lag jaati hain aur ek behad pyari si muskaan ke saath kehti hai...

"Love you too!".


*************SAMAPT************
 

AnkurKumar3456

AKA Mintu the Storyteller
941
1,384
124
Doston! Ummeed karta hoon main apake manoranjan karne me thoda bahut kamyab ho paya hoon!

Mera kalaam hamesha horror kahaniyon me uljha rahega aur jald lautunga phir ek baar ek nayi kahani liye!

Is manch ke liye phir se Xforum ko dil se shurkiya!
 
Top