• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery PREM

itsprem4u

New Member
2
2
3
Namaskar dosto ye meri pehli kahani hai jo kafi years se ek silent reader hone ke baad likhne ka socha. Mai koi professional writer nhi hu to galtiya hone ki kafi chances hain jisme aapka sath aur margdarshan ki bhumika mahatwapurna hai. ye purna rup se kalpnik kahani hai jiska kisi se koi lena dena nhi hai...mai week me 2-3 update dunga . Dhanyabad
 
  • Like
Reactions: Smith_15

itsprem4u

New Member
2
2
3
Update-1

Raat ke 1 bje ek ghar ke chhat par koi baitha tha.. shayd kisi gehre soch me tha kon hai ye….ye to ek ladka hai jiski umar lagbhag 18 saal ki hogi aur ye koi aur nhi balki PREM hai jo kuchh soch rha hai…kya soch rha hai ye jante hai….(prem ke hi nazariye se) kyu bhej rhe papa mujhe wahan ,yahan v to achhi college hai upper se hostel me v nhi RK uncle ke yahan bhej rhe.Ye sab us moti mehak ke karan use to main nhi chhodunga tabhi achanak uske papa ki awaj sunai deti hai jo pta nhi kb chat per aake uske pichhe se use dekh rhe the phir wo bolte hai.

Papa- yahan itni raat me kya kr rhe ho beta..nind ni aa rhi kya?

Main- ni papa wo bas aise hi nind ni aa rhi thi to ghumne aa gya.

Papa-koi baat hai jo tumhe staye ja rhi hai?

Main- papa kya main yahan aap sab ke sath reh kar nhi padh skta?wahan jana jruri hai?

Papa- dekho beta har mata pita ki chahat hoti hai ki uski aulad achhi tarah se pdh kar future me achhi naam kmaye jiske liye aapko bahar to jana hi padega na.aur wahan tumhare RK uncle hain, aunty hain jo tumhe kitna pyar krte hain…aur tumhri akku bhi to hai wahan jisse tum kitna pyar krte ho ye to batana nhi pdega mujhe

Main- but mile hue 5 saal ho gye papa pta nhi wo log mujhe phle jaisa pyar krenge bhi ya nhi…aur akku to bhul v gyi hogi tab wo sirf 11 saal kit hi.

Papa-aisa nhi hai meri baat hoti rehti hai unse wo sb kaafi excited hain. Achha chlo ab so jao kafi raat ho gyi hai kl tumhe jana v hai

Main- ji papa good night!

Papa-good night beta!

Phir dono aake apne apne room me so jate hain

Chaliye is kahani ke kuchh logon se mil liya jaye—

BK SINGH- ye hain hero ke papa jo ki ek IAS officer hain. Bahut hi imandar aur nek dil insaan 6 ft ki height personality aisi ki kya kehna 43 yrs ki age well built body.

PREMA SINGH- ek bahut hi khoobsurat mahila ye bhi apne pati ki tarah hi nek dil aur sbki madad me sbse aage rhne wale

PREM SINGH- in dono ka eklouta beta jo ki 18 yrs ka hai. Apne maa baap se birasat me milli sundarta hai iske pass 6 ft ki height nili aankhen gora chehra aur apne pita ki badoulat kam umar se hi exercise ke karan well toned 8 pack body. Ye phle bahut hi chanchal aur khushmizaz ladka tha lekin pichhle kchh salo se ekdum shant rhne lga jahan jrurt hoti hai tb hi bolna pasnd krta hai jise dekhte hue BK singh ne ise kai tarah ke martial arts aur commando training me supar trained kra diya. Iske trainers to ye tk kehte the ki ye bina kisi weapon ke 500 weapon walo ko akele hra skta hai.

Iske dada ji ka manana tha ki ye hmare purwajo ka Prasad hai jo hme mila hai jiska karan ye tha ki iska immune system average logo se 10 gunna jyada tha jiske karan ye bimar hota hi nhi tha sath hi iske ghav bhi bahut tezi se thik hota tha, dimag itna tez ki isne class 7 me hi IAS ka pura syllabus complete krke apne papa ko test diya jisme BK ka kehna tha ki ye easly top 10 rank me aayga.

Ab kuchh aur patra hain—

RK singh-desh ke jane mane business man aur BK singh ke bachpan ke yaar inme itna pyar hai ki utna kisi sage bhai me bhi ni hota . ye bhi 44 saal ke hain. Dekhne se hi kisi badi personality hone ka abhas hota hai.

REKHA singh- ye RK singh ki wife hain dekhne me bahut hi sundar hain aur ye bhi ek home maker hain

Inki 2 betiyan hain—

Mehak singh- sunehri aankho wali ye bahut khubsoorat si ldki hai iski height 5ft 6inch hai iski jaan apne prem me basti hai jiske karan ye uspe haq jtate rhti hai use tang krte rhti hai jisse wo isse chidhta rehta hai.

MEHAK aur PREM dono ka birthday ek hi din aur ek hi saal ko 9th sep ko hua tha.

Akshita singh- ye hain RK singh ki dusri beti jo av 16 saal ki hai dekhne ye bhi bahut sundar hai 5’5 ki height perfect body av av 11th me gyi hai. Ye bahut hi natkhat aur chanchal hai . ye sbse jyada prem se pyar krti hai.

Aur bhi kcuhh log hain jinke bare me hum unke ghr jakar agle update me janenge.

Aaj ke liye itna hi …

Jai hind.
 
  • Like
Reactions: Smith_15
Top