Rima office mai kam karte wakt achanak se sarr dard karne laga ...... jaise tese karke kaam khatam karke rima office se ghar ahha rahi thi ... ghar par pahunch kar rima thakan se sofe par lait jati hai ..... laite hue apni sarr ko jor jor se dabane lagti hai ..... kuch der baad priti school ahaa jati hai ..... apni maa ko sofa par laite hue dek kar puchti hai " maa kya hua tujhe "..... Rima kehti hai " thoda sa sarr dard kar raha hai " .... priti kehti hai " dabai lau ? "... rima kehti hai " nahi , rehne de kuch der baad thik ho jayega " .....
yeh sun kar priti apni room me jakar change hoti hai tution jane ke liye .... jate hue usne apni maa ko bolkar jati hai .... rima bhi kehti hai " khatam hote hi jaldi aajana " ..... fir darwaja band karke apni room par jaa lar dress change kar ke kitchen me jati hai khana banane ke liye ..... khana banate hue usee joro se chik nikal ti hai ....khud ko sambhal te hue rasoi banati hai... khatam hone ke baad sofa par rest karte hue apni pati se baat karne lagti hai.... kuch der baad jab priti ahaati hai to rima apni phone ko priti ko deti hai baat karne ke liye ...... baatcheet khatam hone ke baad rima aur priti khana khane lagte hai ..... khate wakt rima ko kuch taste nahi lag rahi thi.... jaise taise karke khana khatam karne ke baad dono apne room mai jaa kar sone chale gaye ....
mangalwaar ko priti jaldi uth jati hai subeh .... fresh hokar jab bahar nikal ti hai to dekti hai ki uski maa (rima ) nind mai thi .... apni maa ko uthai to rima uth kar kehti hai " kya hua " ..... priti kehti hai " time dekhiye " .... fir rima jab time dekti hai to tansion mai pad jati hai... fir jaldi se bed se uth kar brush hone lagti hai .... brush karte hue rima ke naak se pani behne lagti hai .... priti dekti hai ki maa ko sardi hui hai ... us din rima nahati nahi hai ... fir priti ko kehti hai ki " sun aaj tu bahar se puri sabji khaa lena aur tiffin me upma le lena ".... bolte hue usse paisa de deti hai ... priti paisa lete hue apni maa ke halat ko dek apne room se dabai la kar maa ke room par rakh deti hai ....
fir ready ho kar waha se school ke liye jane lagti hai ......beti ke jane ke baad rima bhi redy hone lagti hai... fir apne bag mai priti ke diye hue dabai ko bhi rakh deti hai .... ghar ko lock karte hue office ke aur jane lagti hai....
office pahunch kar apne kaam par lag jati hai ... kuch der kaam karne ke baad use dikkat mehsus hone lagti hai ... upar se office mai A/C lagne ke wajah se ache se saans le nahi paa rahi thi .....bich bich mai apni roomal nikal kar naak pochne lati hai ....
lunch ke time hota hai ... junaid jab apne cabin se nikal ta hai wo rima ke paas ahaa ta hai... rima se puchta hai " rima , ajj kya lunch nahi karna ? "... rima kehti hai " aaj mera tabiyat kharab hai to maine aaj khana nahi bana payi ".... uske halat ko dek kar junaid kehta hai " to tum aaj chutti kyu nahi li " ..... rima is sabal ka answer nahi de pai ... fir junaid ne kaha " thik hai abhi off lelo aur ghar pe ja kar rest karlo , mai tumhe ghar drop kardeti hu " .... rima bhi cha rahithi off lene ka, usne apni kaam ko band karke junaid ke saath car mai baith kar ghar ke aur jane lagti hai .....jate hue car mai junaid puchta hai " kal party me aha paogi ? ".... rima kehti hai " ha jarur aha jaungi "..... fir rima kehti hai ' bache ko bhi sath le aha sakti hu ? " .... fir junaid kehta hai " lane mai koi problem nahi , par wo bore hojayegi , meri beti ahha ti to acha hota par wo bhi nahi ahaa rahi ".... yeh sun kar rima kehti hai " fir apni beti ko rath mai akele kaise rehne dungi " ..... junaid kehta hai " aap apni beti ko mere ghar par chod dena , party khatam hone ke baad le ana " ..... yeh sun kar rima ko thik lagti hai, fir kehti hai " thik hai fir " .... juanid kehta hai " abhi ke liye tum rest karo ....
ghar pauhanch kar rima junaid se kehta hai " thank you junaid ji " fir andar chali jati hai ...... usi halat mai wo apni room par jaa kar soo jati hai .....