- 168
- 1,484
- 139
UPDATE 76
Udhar apne papa ki baat sunkar Priya pareshaan ho jaati aur sochne lagti hai ke use kya karna chaahiye…….
“ab main kya karoon……..papa ki baat agar main nahi maanungi to main jaanti hoon ke mujhe kabhi bhi maa se milne nahi denge……..maa ke bina to main apni jindagi ki kalpana bhi nahi kar sakti………lekin agar main unki baat maanti hoon to mujhe phir se Ankur ke ghar jaana padega aur wahaan jaakar rehna padega…….jo ke main nahi chaahti……samjh hi nahi aa raha hai ke main kya karoon……kya main is baare mein maa se baat karoon….lekin papa ne maa se kuch bhi kehne se mana kiya hai…….yeh to sach hai ke main apni maa ke bina nahi reh sakti……to kya mujhe apne papa ki baat maankar Ankur ke ghar chale jaana chaahiye……..hey mere bhagwaan…..meri to kuch samjh mein nahi aa raha hai ke mujhe kya karna chaahiye……main beech manjhdhaar mein phans gayi hoon……kuch samjh nahi aa raha mujhe kya karna chaahiye……..aapne hamesha mujhe har mushkil se ubaara hai isliye aap hi aaj bhi koi raasta dikhao mere bhagwaan…….meri madad karo mere prabhu”
Kaafi der tak woh isi baare mein sochti rehti hai…….isi tension mein raat ko khana bhi nahi khaati……subah hone par woh school mein phone karke bata deti hai ke use kuch urgent kaam hai jis wajah se woh do din tak school nahi aa paayegi…….phir woh Aarush ko call karti hai aur usse kehti hai……..
Priya – Aarush main abhi kuch der baad gaon ke liye nikal rahi hoon……
Aarush – sab theek to hai…..ek dum achaanak…….kya hua bataayiye mujhe…..aapke papa bhi hain saath mein……..
Priya – nahi woh raat ko hi nikal gaye the Ankur ke ghar se………keh rahe the……..
Aarush – phir aap akele kaise jaayengi……..main bhi chaloon aapke saath……….
Priya – nahi uski jarurat nahi hai……tum school jaakar apni padai par dhyaan do……main wahaan pahunchkar tumhe sab bataati hoon……….mujhe abhi nikalna hoga…..
Baat karte karte Aarush kin ajar ghadi par padti hai……ghadi mein time dekhkar woh kehta hai………
Aarush – abhi aapko koi bus nahi milegi apne gaon ke liye……aap kuch der rukiye…..main gaadi bhejta hoon…..
Priya – nahi Aarush main chali jaaungi………tum chinta mat karo…….beech mein bus badal kar chali jaaungi……
Aarush - My Love Jaan……maine kaha na koi problem nahi hai……main gaadi bhej raha hoon……sirf aadhe ghante mein aapke paas pahunch jaayegi………just wait……..
Priya – suno to sahi……….
Jab tak Priya yeh kehti hai Aarush call cut kar chuka hota hai……kareeb 20 min baad Priya ke phone par Aarush ka call aata hai aur woh call pick karti hai……..
Aarush – My Love aapke liye gaadi niche khadi hai……….aap driver ko saath le jaayiye……..
Priya – iski koi jarurat nahi thi Aarush…..main chali jaati….chhotti bachchi thodi na hoon jo gum ho jaaungi…….
Aarush – chhotti bachchi na sahi meri jaan to hain na aap……aur main jaanta hoon abhi aap kisi baat ko lekar tense hain isliye achanak se jaa rahi hain……aur main bas apni jaan ka khayaal rakh raha hoon…..isliye aap gaadi drive nahi karengi….driver aapko le jaayega…….
Priya uski baat sunkar muskura deti hai……kuch der ke liye uske dimaag se tension gayab ho jaati hai Aarush ki apne liye itni care aur pyar dekhkar……..woh muskuraate hue kehti hai……..
Priya – I Love You mere budhdu……mere pyaare Aarush……achha ab main chalti hoon…..aap chinta mat kijiye…….
Aarush use gaadi ka number bata deta hai……..Priya niche jaati hai aur gaadi ka number dekhti hai…….Priya ko gaadi ki taraf aata dekh driver gaadi se nikalkar baahar aata hai aur Priya ko salaam karte hue kehta hai……….
Driver – Good Morning Maam……mujhe Aarush baba ne bheja hai……laayiye main samaan rakh deta hoon…..aap gaadi mein baithiye……..
Priya – Good Morning Bhaiya……aap to us din bhi aaye the mujhe chhodne haina……
Driver – ji maam…. aapko yaad hai……
Priya – haan…..yaad hai bhaiya…
Priya ki baat sunkar woh muskuraate hue gaadi ka gate khol deta hai aur woh bhi muskuraakar use dekhte hue gaadi mein baith jaati hai….phir driver gate band karta hai aur samaan uthaakar pichhe rakh deta hai…….phir woh gaadi mein baithkar kehta hai…..
Driver – chalein Maam……
Priya – haan bhaiya chaliye…….
Priya ki sehmati milte hi driver gaadi agay bada deta hai…….poora din ka safar karke shaam ko jab gaadi Priya ke ghar ke saamne rukti hai tab sab log baahar baithkar chai pi rahe the…….sab dekhte hain ke unke ghar ke aagey itni badi aur mehangi gaadi kyun ruki hai…..sabke mann mein sawaal aata hai ke kaun aaya hoga…….tabhi driver gaadi mein se nikalkar gaadi ka pichhla gate kholta hai……usmein se Priya ko utarta dekhkar sab hairaan reh jaate hain………Priya ke papa ki to ek baar ko aankhien phati reh jaati hain use itni aalishaan gaadi se utarte dekhkar…….phir driver pichhe se saamaan nikaalkar Priya ke pichhe chalne lagta hai………Priya ki maa aur behan use dekhkar jaldi se uthkar uski taraf doude aate hain aur dono baari baari se uske gale lag jaate hain……….
Phir Priya ki maa aur behan use lekar ander chale jaate hain………Priya ke papa driver ko rok kar usse puchhte hain……..
PF – yeh itni mehangi aur aalishaan gaadi kiski hai……aur yeh Priya isme kaise…….
Yeh sawaal sunkar Priya ekdum se palatkar driver ko dekhne lagti hai ke pata nahi driver ab kya jawaab dega………tabhi driver Priya ki taraf dekhkar kehta hai……….
Driver – ji main to naukar aadmi hoon……. mujhe to meri maalkin ne kaha tha ke mujhe inke saath jaana hai to main inhe lekar aa gaya………ab yeh unhe kaise jaanti hain yeh to mujhe bhi nahi pata saab ji……aap unhi se puchh lijiyega…….
PF – theek hai….theek hai…..
Drive ka jawaab sunkar Priya muskuraane lagti hai…….. Priya ko muskuraata dekhkar uski maa bhi muskraane lagti hai…….phir chaaron ghar ke ander aa jaate hain……..
Priya phir ghar ke saamne dusri taraf bane rooms mein se ek room mein driver ke rehne ka intejaam kar deti hai…….uske baad Priya normal tarike se apni maa se milti hai aur unmein normal baatchit hoti hai…….woh din aise hi nikal jaata hai……agle din subah Anu college chali jaati hai…….Priya kitchen mein jaakar apni maa ki help karti hai aur apne papa ko khana khilaati hai……uske papa use dekhte hain lekin kehte kuch nahi…….in sab kaamon se free hone ke baad Priya ki maa kehti hai……
PM – Priya main jara pados mein jaa rahi hoon kuch kaam hai……kuch der mein aa jaungi……
Priya – theek hai maa…..
Priya ki maa chali jaati hai……Priya ke papa ne yeh sun liya tha……Priya ki maa ke baahar jaate hi woh aate hain aur kehte hain……..
PF – phir kya socha tumne……
Priya – kis baare mein papa ji…….
Priya ke papa uske munh se yeh sunkar hairaan reh jaate hain……
PF – kya kis baare mein…….yehi ke tu Ankur ke paas waapis jaayegi ya nahi……
Priya – is baare mein main aapko pehle hi bata chuki hoon ke mera ab uske saath koi rishta nahi hai…….na hi kabhi hoga……main use divorce dene waali hoon…….
PF – tera dimaag to nahi kharaab ho gaya hai……tu jaanti bhi hai tu kya keh rahi hai…….kitna samjhdar aur honhaar ladka hai….kitna khayaal rakhta hai tera…….kitna pyar karta hai tujhse…….yahaan tak ke tere ko apne saath kaam mein partner bhi banana chaahta hai…..aur kya chaahiye tujhe……
Priya – mujhse usse kuch bhi nahi chaahiye…….aur is baare mein baar baar baat karne se main apna faisla nahi badalne waali……..
Priya ke papa uski baatein sunkar jhatka lagta hai…….woh gusse mein kehta hai……
PF – kya kaha tune……tu meri baat nahi maanegi…….tu to kabhi meri baat ko mana nahi karti thi…….sab baatein maanti thi meri…….ab aisa kya ho gaya jo tu meri baat nahi maanegi……kya tere dil mein mere liye jara bhi pyar nahi hai……
Priya – main aapse bahut pyar karti hoon lekin iska matlab yeh nahi ke main aapki kahi hui galat baat bhi maan loon…….mujhe maaf kijiye papa main aapki aisi koi baat nahi man sakti jo mujhe galat lagti ho……
Priya ka baap yeh sunte hi uske gaal par ek tamacha maar deta hai…….tabhi Priya ki maa aa jaati hai…….woh Priya ko pichhe karte hue kehti hai…….
PM – yeh aap kya kar rahe hain…..apni jawaan ladki par koi haath uthata hai kya…….
PF – tum nahi jaanti yeh kya keh rahi hai…….tumhe pata bhi ke yeh shehar mein kya kya gul khila rahi hai…….
PM – kya matlab hai aapka…..aise kaise baat kar sakte hain aap apni beti ke baare mein……
PF – main theek keh raha hoon……tujhe pata hai ke teri yeh laadli beti Ankur ka ghar chhodkar alag reh rahi hai pichhle kuch mahino se…….aur jab main ise keh raha hoon ke ise Ankur ke saath rehna chaahiye…….itna pyar karne wala aur khyal rakhne wala ladka kahaan milta hai aajkal…….jo mujhse jubaan lada rahi hai teri laadli…….keh rahi hai ke ise Ankur se talaaq chaahiye…….
PM – agar aisi baat hai aur agar yeh aisa keh rahi hai to koi to wajah hogi……..hamaari beti samjhdaar hai……koi bhi faisla usne liya hai to uski koi wajah hogi…….
PF – tu paagal to nahi ho gayi hai……kaisi maa hai tu…….arre itne amir ladke se shaadi karaayi hai iski taaki yeh khush rahe…….ise kabhi paise ki koi kami na aaye……upar se iska pati ise itna pyar karta hai…….
PM – aapko pata bhi hai ke baat kya hai…….kyun yeh usse talaaq lena chaahti hai……iski baat to sun lete hain pehle……..
PF – yeh kya bataayegi…….koi ulta siddha iljaam hi lagaayegi bechaare Ankur par……Ankur ne mujhe sab bata diya hai……..
PM – kya bataya hai usne………
PF – woh apni company khadi karna chaahta hai……aur usmein woh chaahta hai ke Priya yeh do takke ki naukri chhodkar uski company khadi karne mein uska saath de…….uski help kare…….woh keh raha tha ke din raat dono milkar mehnat karenge to uski company khadi ho jaayegi……..lekin yeh hai ke apne pati ki tarakki hi nahi chaahti…….kaisi patni hai yeh……..
PM – aap rehne dijiye…..aap nahi samjhenge……
PF – mujhe samjhna bhi nahi hai…….ise bolo chupchaap jaakar Ankur ke saath rahe……..mujhe koi problem nahi chaahiye…….kal ko Anu ki bhi shaadi karni hai……main nahi chaahta ke uski shaadi mein koi dikkat aaye iski wajah se……….
PM – lekin agar yeh uske saath nahi rehna chaahti to hum isse jabardasti kaise kar sakte hain……..
PF – kyun agar yeh apni manmaani karegi to kya hum ise rok bhi nahi sakte……aur kaisi maa hai tu tujhe ise samjhana chaahiye…….tu jaanti hai ke Ankur kitna pyar karta hai ise……arre ise aur kya chaahiye woh apne business mein ise apne saath lekar chalna chaahta hai……ise baraabar ka partner banana chaahta hai…….business chalega to iska bhi to fayda hai……kitni amir ho jaayegi yeh……….
PM – mujhe nahi lagta ke mujhe ise kuch samjhaane ki jarurat hai…….yeh mujhse aur hum sab mein sabse jyada samjhdaar hai……. (Priya ke sir par haath ferte hue)
PF – tera dimaag to kharaab nahi ho gaya hai na……agar yeh Ankur ke paas nahi gayi aur uski baat isne nahi maani to aaj ke baad isko is ghar mein aane ki koi jarurat nahi hai…….aur tum bhi kaan khol ke sun le aaj ke baad iska aur is ghar ke kisi bhi member ka isse koi rishta nahi………..yeh jiye ya mare hamaari bala se……..aaj ka din deta hoon ise achhe se soch le…..nahi to kal suraj ugne ke saath hi iska mujhse tumse aur Anu se koi rishta nahi rahega…….aur tum bhi isse na hi milogi na hi koi phone karogi……aur agar mujhe pata chala ke tumne isse baat ki hai ya isse mili ho to dekh lena tumhaari chamdi udhed dunga main………tu mera gussa jaanti hi ho………
PM – aap yeh kya keh rahe hain……yeh hamaare bagair kaise rahegi…….aap jaante hain ke yeh hum sab se kitna pyar karti hai…….
PF – to is manhoos ko bol Ankur se shaadi na tode aur jaakar apna patni dharm nibhaaye ………jaise ke tu nibhaati hai……..samjha dena ise……aur agar phir bhi na maani to kal subah dafa ho jaaye yahaan se………aur phir kabhi mudkar waapis na dekhe is taraf……….manhoos kahin ki……sabki jindagi kharaab karne par tuli hai………
Yeh kehkar Priya ke papa wahaan se chale jaate hain…… Priya yeh sab sunkar tootne lagti hai aur jameen par baithkar jor jor se rone lagti hai………. Uski maa jaldi se baithkar use pakadkar apne seene se laga leti hai…….
PM – mat ro meri bachchi……tu kyun ro rahi hai…….
Priya – maa kya main sach mein itni buri hoon…….itni manhoos hoon ke jiski bhi jindagi mein jaati hoon uski jindagi barbaad ho jaati hai……..
PM – nahi meri bachchi…….tu yeh sab kya sochne lagi……..arre tu to ek pari hai jo jiski bhi jindagi mein jaati hai uski jindagi mein khushiyaan bhar deti hai……..
Priya (rote hue) – nahi maa……tum to meri maa ho tu tumhe nahi lagta hoga aisa…….maa ka dil jo hai…….lekin main yeh samjh gayi hoon ke papa theek kehte hain……main hi manhoos hoon…….hamesha kuch aisa kar baithti hoon jisse sab kharaab ho jaata hai……..
Priya ki maa ko uski baat sunkar gussa aa jaata hai aur woh jindagi mein pehli baar Priya ke upar haath utha deti hai aur use ek jor ka thappad maar deti hai…….
PM – khabardar jo kuch bhi ulta siddha shocha tune to……thujhe aur logon ki baaton par bharosa hai lekin apni maa ki baat par nahi jisne tujhe janam diya hai……..
Priya – maa lekin……
PM – lekin vekin kuch nahi…….jo log tujhe sach mein pyar karte hain tu unki baaton ko kaise bhool sakti hai……..tu un logon par vishwas karne ke bajaaye un logon par kaise vishwas kar sakti hai jo tujhe jaante nahi, chaahte nahi……..
Priya – lekin agar maine papa ki baat nahi maani to woh mujhe aapse alag kar denge……mujhe aapse milne nahi denge…….aur main aapke bina nahi reh sakti…….
PM – yeh faisla main karungi ke mujhe kya karna hai woh nahi……aur tu ab rona band kar……..kamjor log rote hain aur tu kamjor nahi hai…….samjhi tu……
Apni maa ke baatien sunane ke baad Priya rona band karke khud ko sambhaalti hai aur baaki ka din aise hi gujar jaata hai……..shaam ko college se Anu waapis aati hai to dono behanien apne bachapan ki baatien karke khoob hansti hain……….unki maa bhi dono behanon ka pyar dekhkar muskura deti hai……….raat ko sab khana khane ke baad sone chale jaate hain………
Agli subah Anu ke college chali jaati hai…….uske college jaane ke baad Priya ke papa……
PF – Priya…..kahaan hai…..idhar aa……
Apne papa ki baat sunkar Priya baahar hall mein aa jaati hai…….Priya ke papa usse puchhte hain……
PF – kya socha tune……
Tabhi Priya ki maa bhi wahaan aa jaati hai……Priya apni maa ki taraf dekhti hai aur kehti hai………
Priya – mera faisla aaj bhi wohi hai jo kal tha……..
PF – iska matlab tu Ankur ko talaaq degi……uske saath nahi rahegi…….uski koi baat nahi manegi…….
Priya – uska meri jindagi mein koi wajood nahi hai……kal tak woh hissa tha kyunki usse meri shaadi hui thi lekin aaj uska koi astitava nahi hai meri jindagi mein…….main uske saath kabhi nahi rahungi……
Uski baat sunkar woh Priya ki maa ki taraf dekhkar kehta hai…….
PF – tune ise samjhaya nahi ke jo yeh karne ki soch rahi hai woh galat hai…….sadak par aa jaayegi yeh……aur Anu ki shaadi mein problem aayegi iski is nich harkat ki wajah se……aur samaaj mein hamaare pariwar ki jo ijjat hai woh bhi mitti mein mil jaayegi……
PM – isme samjhana kya hai……agar yeh galat hoti to main ise samjhaati lekin yeh jo kar rahi hai woh sahi hai isliye mujhe nahi laga ke mujhe ise samjhana chaahiye……aur waise bhi yeh ab badi ho gayi hai…….isne ek faisla liya hai…….apne achhe bure ki samjh ise hai……
Apni patni ki baat sunkar Priya ke papa ko gussa aa jaata hai……
PF – kaisi maa hai tu…..paagal to nahi ho gayi hai…….kyun apni ladki ki jindagi barbaad karne par tuli hai tu…….aur kum se kum Anu ke baare mein sochkar hi samjha deti ise……
PM – Anu ki kismat mein jo hoga wohi hoga……isme na to yeh kuch kar sakti hai na hi main aur aap………
PF – Priya kya yeh tera aakhri faisla hai…….achhe se soch le jawaab dene se pehle…..
Priya - haan……main jo faisla kar chuki hoon woh meri najar mein sahi hai…..isliye main apne faisle ko nahi badal sakti……..aap mujhe maaf kar dijiye papa ji……
PF – tera baap marr chukka hai…….main tera baap nahi hoon tu yeh jaanti hai…….pata nahi kis gandi naali ke kide ki aulaad hai tu…….mujhse apna rishta mat jod samjhi tu……..
Apne pati ki baat sunkar Priya ki maa ko gussa aa jaata hai…..
PM – jubaan sambhaal ke baat kijiye aap…….khabardaar jo meri beti ke baare mien kuch bhi ulta siddha kaha to…….
PF – kya kar leti tu……..teri itni himmat ke tu mujhse jubaan ladaaye……abhi batata hoon tujhe…….isne tujhe bhi apne pati ke khilaaf kar diya…..
Yeh kehkar woh paas mein rakha danda utha leta hai aur Priya ki maa ko maarne lagta hai………lekin Priya beech mein hi apne papa ka haath pakad leti hai…….
PM – papa yeh aap kya kar rahe hain…….aise kaise kar sakte hain aap apni patni ke saath…….
Priya ke papa gusse mein……..
PF – meri biwi hai woh…….main jo chaahe woh kar sakta hoon uske saath……..aur har biwi ka farz hota hai ke apne pati ki har baat maane…….aaj main ise bataunga ke apne pati se jubaan ladaane ki aur unchi awaaz mein baat karne ki kya saza hoti hai…….
Yeh kehkar woh Priya ke haathon se danda chhinane ki koshish karta hai…….yeh dekhkar Priya ek jhatke mein hi apne papa se danda chin leti hai aur use apne pair par maarkar tod deti hai……..Priya ko yun itna mota danda todte dekhkar uske papa aur mummy dono hairan reh jaate hain……..
Priya – bahut hua papa……agar ab aapne kuch bhi meri maa ke baare mien kaha to aapke liye achha nahi hoga…….main aapke haath jodti hoon aap is baat ko yahin khatam kijiye…..galti to meri hai phir aap maa ko beech mein kyun ghasit rahe hain is baat ke…..waise bhi main jaa rahi hoon…..aap log araam se rahiye……
PF – woh tu jaayegi hi yahaan se…….aur tune apni beti se baat karne ki koshish ki to teri taange aur munh dono tod dunga…..aaj se yeh hamare liye marr gayi……
PM – meri beti hai woh main usse baat bina nahi reh sakti………ise akela nahi chhod sakti………main iske saath jaa rahi hoon…….
Priya – nahi maa……aap meri chinta mat karo……main theek hoon……aapki jarurat yahaan jyada hai…….papa ko aur Anu ko aapki jarurat hai…….
PM – tu chup kar……tu mujhe nahi bataayegi ke mujhe kya karna hai…….main teri maa hoon tu meri maa nahi……….tu chup baith…..yeh pati patni ke beech ki baat hai……
Priya – lekin maa…..
PM – tujhe kaha na maine ke tu chup reh…… (gusse mein)
Apni maa ki baat sunkar Priya chup ho jaati hai…… lekin use bura lagta hai ke uski wajah se uske mummy papa ke ladai ho rahi hai…….
PF- kya kaha tune tu iske saath jaayegi…….teri itni himmat……tujhe pata bhi hai ke tu kya bol rahi hai…….
PM - main bol nahi hoon aapko bata rahi hoon……ke main Priya ke saath kuch dino ke liye jaa rahi hoon…….
Priya ke papa apni patni ki baat sunkar uski taraf dekhte hi reh jaate hain…….
PM – chal Priya jaane ki teyaari karte hain…….
Yeh kehkar Priya ki maa uska haath pakadkar use wahaan se lekar apne kamre mein chali jaati hai…….kamre mein jaane ke baad Priya apni maa ki taraf dekhti hai aur kehti hai……
Priya – maa yeh sab kya bachpana hai…….aap aisa kaise kar sakti hain…….agar aap mere saath chalengi to papa ko bura lagega aur Anu ko kya kahengi……aur aapke aisa karne se aapke aur papa ke rishte mein bhi kadwaahat aa jaayegi…..maan jao maa please aap yahin raho…….
PM – tu chup karegi…….main jaanti hoon main kya kar rahi hoon……tujhe unhone itni badi baat bol di aur tune palat kar kuch kaha nahi unhe…….kyun…….aur ab bhi tujhe unki fikar hai…….
Priya – maa to kya ho gaya agar unhone gusse mein mujhe kuch keh diya…….agar woh mujhe apni beti nahi maante to koi baat nahi lekin main to unhe apna pita maanti hoon……to main kaise unhe jawaab de deti…….
PM – unhone tere papa ko gaali di hai……mere pati ko gaali di hai…..arre unki mout nahi hoti to tu jaanti ke kitne achhe the woh……tujhme unki jhalak dikhti hai mujhe……..tujhe kuch to kehna chahiye tha…….mujhe teri chupi buri lagi…….
Priya – achha maa mujhe maaf kar do…….lekin kabhi kabhi rishton ko bachaane ke liye chupi saadhni padti hai…….main sirf isliye chup rahi us waqt……
PM – achha chhod yeh sab……jaldi se teyaari kar jaane ki…….
Priya – aap nahi maanengi…….
PM – kyun tu mujhe apne saath nahi rakh sakti kuch din…….ya main tere aur tere aarush ke beech kabaab mein haddi na banoo isliye nahi le jaana chaahti mujhe……..
Aarush ke baare mein sunkar Priya sharmaa jaati hai……
Priya – aisi koi baat nahi hai maa…….bas mujhe darr hai ke kahin papa aapke saath gussa na ho jaayein……..bas yehi baat hai……..
PM – tu uski chinta mat kar…….is sach aur haq ki ladai mein hamein ho sakta hai ke kuch khona bhi pade…..iska matlab yeh nahi hai ke hum kamjor pad jaayein ya darr jaayein……samjh rahi hai na main kya kehna chaahti hoon…….
Priya – haan maa samjh rahi hoon…….
Iske baad dono baatein karte hue jaane ki teyaari karti hain……shaam ko Anu bhi college se aa jaati hai aur Priya use subah jaane ke baare mein bata deti hai……..phir dono behanein raat ko ek saath soti hain aur khoob baatien karti hai………agli subah jaane ke waqt……
Anu – Didi mat jao na…….aapke bina dil nahi lagega mera…….maa aap bhi jaa rahe ho…..mujhe bhi le chalo saath………main bhi aap dono ke saath aaungi…….. (rote hue)
Priya – agar tum bhi hamaare saath aaogi to teri jagah college kaun jaayega……tera bhoot……aur papa ka khyaal kaun rakhega……bata mujhe……
Anu – lekin maa……main kaise yahaan rahungi aap dono ke bina……
Priya – tu chinta mat kar…..maa kuch din mere saath rehne ke baad waapis aa jaayegi……jab tere college ki chhuttiyaan hongi tab main tujhe le jaungi apne saath…..theek hai…….
Anu – pakka na didi…..dekho mukar mat jaana apni baat se…….
Priya – haan pakka……meri chhutki…….pakka le jaungi…….tujhe apni behan par bharosa nahi hai kya……
Anu – kaisi baat karti ho didi……..aap par to aankh band karke bharosa karti hoon main……aapke liye to kuch bhi…..
Priya – achha ji…..itna pyar……haan………
Anu – haan to jab aapki jaise badi behan ho to pyaar to hoga hi na…….aap badi behan kum aur meri maa jyada ho……meri chhotti maa……….I Love You Chhotti Maa…..
Priya ki aankhon mein aansoo aa jaate hain apni chhotti behan ka apne liye pyar dekhkar……tabhi Priya ki maa bolti hai…..
PM – yeh kya keh rahi hai tu……arre yeh to teri souteli behan hai…..phir tu isse pyar kaise kar sakti hai……..
Anu ko yeh sunkar gussa aa jaata hai woh chilaate hue bolti hai……..
Anu – yeh aap kya bol rahi hain…..aapne yeh kaha kaise…….yeh meri badi behan hain matlab hain……mujhe koi fark nahi padta…..bachpan se lekar aaj tak kabhi maine aisa sapne bhi nahi socha……aur aapne aaj itni badi baat bol di meri didi ke baare mein……
PM – lekin yeh to sach hai na…….main kya jhooth bola……….
Anu – nahi yeh sach nahi hai……sach yeh ke hum dono ki maa aap ho…..aur hum dono ne aapki kokh se janam liya hai…….phir yeh souteli behan kaise ho sakti hai……..yeh to meri badi behan aur chhotti maa hain…..aur hamesha rahengi…….mere se inhe koi alag nahi kar sakta…..samjhi aap……koi bhi nahi………
Unki baat sunkar Priya ki maa muskuraakar Priya ki taraf dekhti hai aur kehti hai……
PM – dekha yeh hai sachha pyar…….ab shayad tum samjh gayi hogi ke tum hum dono maa beti ke liye kya ho Priya……….
Priya – jaanti hoon maa……achhe se jaanti hoon…….tum dono ke pyar par to mujhe kabhi koi shaq raha hi nahi hai………
Anu – haan didi…..tum kisi ki baat mat manana……sirf ek sach hai mere aur aapke rishte ka jo maine abhi kaha thodi der pehle ke aap meri badi didi aur maa dono ho…….aur is sach ko koi nahi badal sakta…….hamaari maa bhi nahi……..
Priya uski baat sunkar use gale se laga leti hai……….
Priya – main jaanti hoon…..Anu……achhe se jaanti hoon…….tujhe kuch bhi kehne ki jarurat nahi hai………..
PM – ab chalein……late ho rahe hain…..aur Anu tu apne papa ka khyaal rakhna……..
Anu phir dono ke gale lagkar rote hue……
Anu – ab aap dono jao……nahi shaam yahin ho jaayegi……phir kal subah ka wait karna padega……..aur gaon mein baad aa jaayegi hum teeno ke aansuon se………
Uski baat sunkar teeno hansne lagte hain………aur phir Priya aur uski maa shehar ke liye nikal jaate hain………