UPDATE 85
Raat ke kareeb 2 baje Aarush ghar aata hai……jab woh ghar ke ander enter hota hai to dekhta hai ke Amma jaag rahi hain……woh unse puchhta hai……
Aarush – Amma…..aap soye nahi…..maine kaha to tha aapko ke main late ho jaunga aane mein……
Amma – haan…..bas tumhara intejaar kar rahi thi……
Aarush – mera intejaar…..kya baat hai……sab theek to hai ghar mein……papa kahaan hain……
Amma – woh apne room mein hain…..tera intejaar kar rahe hain……bade gusse mein hain jab se office se aaye hain……tumne kuch kiya hai kya……….
Aarush – nahi Amma……maine to aisa kuch bhi nahi kiya hai jiski wajah se papa gussa ho jaayein……
Amma – achha theek hai…..tum ander jaakar unse mil lo……lekin dhyaan rahe unki koi bhi baat sunkar gussa mat ho jaana…….samjhdaari se aur pyar se baat karna unse……
Aarush agay badkar Amma ko gale lagaate hue kehta hai……
Aarush – aapko lagta hai ke main papa par gussa ho sakta hoon……aapne mujhe aise sanskaar nahi diye hain……main aapki kahi baaton ka dhyaan rakhunga aur unse pyar se hi baat karunga…….meri pyari Amma…… I Love both of You……and you know that (gaal par kiss karte hue)
Amma – Yes, I know……ab jao woh tumhara intejaar kar rahe hain……maine kaha bhi unse ki subah baat kar lena……lekin woh maane hi nahi…….
Aarush – koi baat nahi Amma…….main abhi baat karke aata hoon……aap tab tak apne room mein aaraam kijiye……..
Yeh kehkar Aarush apne papa ke room ke gate par jaakar knock karta hai…….
AF – ander aa jao Aarush…..
Aarush room ke ander jaata hai aur jaakar apne papa ko hug karte hue kehta hai……
Aarush – I Love You Papa……
Ab tak Aarush ke papa ka gussa thoda shaant ho gaya tha……
AF – I Love You too my son…….
Aarush – Amma keh rahi thi ke aapko mujhse kuch jaruri baat karni hai…….aur shayad aap mujhse gussa bhi hain…….kya baat hai…….kya hua……..kya mujhse koi galti hui hai……..
AF – haan…..main tumse naraaz hoon……..aur gussa bhi hoon…….
Aarush – agar mujhse koi galti hui to aap mujhe uske liye saza de sakte hain…….jo bhi saza denge mujhe manjoor hogi……lekin meri galti kya hai yeh to bataayiye……..
AF – tum Priyambada ko kaise jaante ho……..
Aarush apne papa ka sawaal sunkar pehle to chounk jaata hai……lekin jawab to dena isliye…….
Aarush – woh meri teacher hain…….kyun kya hua……aap mile to ho unse…….
AF – main jaanta hoon ke woh tumhari teacher hai…….lekin tum uske ghar delivery boy bankar kyun jaate ho…….hai koi jawab tumhaare paas…….. (thoda gusse se)
Aarush – isme gussa hone wali kaun si baat hai papa……agar main unke ghar samaan dene chala jaata hoon to…....aapko koi problem hai isme…….. (muskuraate hue)
AF – haan mujhe problem hai……
Aarush – theek hai….lekin kya main jaan sakta hoon aapko kya problem hai mere unke ghar jaane se……aur unki help karne se……..
Uski baat sunkar Aarush ke papa gusse mein aakar jitna bhi unhe pata tha woh sab use bol dete hain aur uske baad use kaafi kuch keh dete hain……apne papa se sab sunkar Aarush chounkta to hai lekin phir bhi woh chupchaap sab sunta rehta hai……..unki baatein sunane ke baad Aarush bhi apna clarification deta hai…….sab baatien karne ke baad…….
Aarush – aapko ek baahar wale ne aakar kuch keh diya aapke bête ke baare mein aur aap apne bête par bharosa rakhne ke bajaaye uski baaton mein aa gaye……agar aapko apne bête par bharosa nahi tha to koi baat nahi……kum se kum Amma ne jaise aapke bête ki parvish ki hai aur jaise achhe sanskaar unhone diye hain……un par hi bharosa kar liya hota……. (shaant hokar yeh sab kehta hai)
Uski baat sunkar aur uska shaant behavior dekhkar Aarush ke papa hairaan reh jaate hain……woh sochte hain…..
“ise kya hua…..itna shaant to yeh kabhi nahi tha mere saamne…….kuch mahine pehle tak to hamesha mujhse gussa hota tha…..ladta tha mujhse……jab bhi isse baat karne ki koshish karta tha…….aur aaj main gussa bhi kar raha hoon to itni shaanti se kaise baat kar raha hai…….itna kaise badal gaya yeh……kiska asar hai ispar…..kahin yeh Priyambada se……nahi nahi aisa nahi ho sakta…..lekin agar aisa hua to…..agar aisa hua to mujhe kuch karna padega…..”
Tabhi Aarush ki awaaz sunkar woh apni soch se baahar aate hain……
Aarush – kya hua papa…..aap kya soch rahe hain…….
AF- aan…..kuch nahi beta…….bas aise hi……..tumhari kahi baaton ke baare mein soch raha hoon…….. (khud ko sambhaalte hue aur shaant rakhte hue)
Aarush – main aapse last mein bas itna kehna chaahta hoon ke main aisa koi kaam nahi karunga jisse aapko duniya ke saamne sharminda hona pade………
AF – mujhe tum par poora bharosa hai beta………. (muskuraate hue)
Aarush – thanks mujhpar trust karne ke liye……main jaane se pehle ek baat jarur kahunga aapse…….jo bhi aap karien soch samjhkar kariyega…….I Love You Papa…….
Yeh kehkar Aarush apne papa ko gale se lagata hai aur uske baad woh apne papa ke room se nikalkar apne room mein chala jaata hai…….apne room mein jaakar woh kaafi der tak apne papa ki kahi baaton ke baare mein sochta rehta hai……sochte sochte kab use neend aa jaati hai yeh use bhi pata nahi chalta………
Agle din subah Aarush school chala jaata hai……Aarush ke papa bhi teyaar hokar niche apne kamre se nikalte hain…….tabhi Amma kehti hain…..
Amma – Good Morning Bhai Saahab……aayiye naashta kar lijiye……main aapka hi wait kar rahi thi…….
Unki baat sunkar Aarush ke papa aakar khana khaane baith jaate hain…….khaana khaate hue dono idhar udhar ki baatein karne lagte hain…….khaana khaane ke baad Aarush ke papa kehte hain…….
AF – behan ji……mujhe aapse kuch baat karni thi Aarush ke baare mein……aur aapse kuch puchhna bhi tha…….
Amma – kahiye bhai saahab…..kya baat hai……
AF- aap Priyambada Sharma ko jaanti hain……
Amma (muskuraate hue) – haan…..jaanti hoon……Aarush ki teacher hai……uske school mein padaati hai…….kyun kya hua…….
AF – aur Priyambada ki maa ko bhi aap jaanti hain…….aapne bataya nahi ke uski maa aapki puraani dost hain…….jahaan tak mujhe pata hai main aapki jo bhi ek do dost hain…..unhe main achhi tarah se jaanta hoon…….phir yeh Priyambada ki maa se aapne pehle kabhi nahi milaya…….
Amma – maine aapse aisa kab kaha ke Priya ki maa meri puraani dost hai…….aur agar maine aisa nahi kaha to aapko yeh kisne kaha……kya main jaan sakti hoon pehle……
AF – nahi aapne to aisa kuch nahi kaha…….lekin……
Amma – lekin aapko kisine kuch kaha aur aapne maan liya……
AF – aisa nahi hai behan ji…….agar aisa hota to main aapse kyun puchhta is baare mein…….mujhe aap par bharosa hai isliye puchh raha hoon……yeh sab majra kya hai……mujhe bataayiye to sahi ke baat kya hai……..
Amma – theek hai…..to suniye…….Priya ki maa abhi kuch din pehle hi meri dost bani hain……ya yun kahiye ke maine unhe apna dost banaya hai…….
AF – waise kya aapko yeh pata hai ke Aarush Priyambada ke ghar bhi jaata hai……aur uske saare kaam bhi karta hai…….delivery boy bankar……..
Amma – haan jaanti hoon……waise aapko yeh sab kisne bataya…….
AF – hai koi…..aap use nahi jaanti…….
Amma – ho sakta hai main use nahi jaanti hoon…..lekin yeh aapko sochna hai ke woh jo bhi hai aapko aisi baatein kyun bata raha hai…….use is sabse kya matlab ho sakta hai…….uska irada sahi hai ya galat yeh bhi aapko janana chaahiye……
AF – aap sahi keh rahi hain…….
Amma – kisi teesre ki baat par bharosa karne ki bajaaye aapko apnon par bharosa rakhna chaahiye……..main aapko vishwas dilaati hoon ke aapka beta koi bhi galat kaam nahi karega……….
AF – jaanta hoon behan ji…….aapke diye hue sanskaar galat nahi ho sakte…….
Yeh kehkar Aarush ke papa office ke liye nikal jaate hain…….office mein jaakar woh ek shaks ko apne cabin mein bulaate hain aur usse kuch baat karke use bhej dete hain…….
Dusri taraf Prashant bahut khush tha apne plan ko lekar…….woh Sonia ko kehta hai…….
Prashant – thank you Sonia darling……tumhari wajah se ab Priya ko paana asaan ho gaya hai mere liye…….
Sonia – woh kaise……..
Prashant – dekhti jao…..agle kuch dino mein woh mere is bistar par hogi…….ha…..ha…..ha…….
Sonia – lagta hai tumhaare dimaag mein koi plan chal raha hai……
Prashant – tum khud dekh lena…….
Do din baad Priya jab subah ghar se school ke liye nikalti hai to raaste mein uski auto ko teen ladke rok lete hain aur auto wale ko wahaan se maar kar bhaga dete hain……auto wale ko bhagaane ke baad ek ladka usse kehta hai…….
Ladka – arre kahaan jaa rahi ho Priya maam……hamein bhi kuch pada do aaj……waise ek baat to bata itna chikna badan kahaan se paaya tune……..
Priya uski baat sunkar gusse se kehti hai……
Priya – is badtamiji ka matlab kya hai…….tum log ho kaun….aur aise mera raasta kyun roka hai…….hato saamne se mujhe school ke liye late ho raha hai……..
Yeh kehkar Priya agay badti hai……tabhi woh ladka phir se kehta hai……
Gunda – sun chikni……tu aaj school nahi hamaare saath chalegi……samjhi…. (chaku nikalkar dikhaate hue)
Priya – kya matlab…..tumhare saath chalun……tumhara dimaag to kharaab nahi hai….. (bina darre)
Gunda – abhi tak to nahi tha lekin tere is chikne badan ko dekhkar jarur kharaab ho jayega…….waise tujhe dekhkar lagta hai teri maa bhi bahut garam maal hogi……
Apni maa ke baare mein galat baat sunkar Priya ko gussa to aata hai lekin woh khud ko sambhaalkar kehti hai……
Priya – apni jubaan sambhaal kar bol…..agar dobara kuch aisa kaha meri maa ke baare mein to teri jubaan khinch lungi……..
Gunda – jyada gussa mat kar rani……hum to tujhe lene aaye hain…..tu chupchap hamaare saath chal……
Priya – tumhare saath…..kisliye……
Gunda – kyunki hamaare boss ko teri class leni hai aaj…….isliye…….
Yeh kehkar woh gunda agay badkar Priya ka haath pakad leta hai……..jaise hi woh Priya ka haath pakadta hai Priya ek hi jhatke mein usse apna haath chhuda leti hai aur uske munh par ek jordar punch maarti hai…….punch padte hi woh gunda apna munh pakadkar baith jaata hai……uske baad baaki ke do gunde agay badte hain lekin Priya unko bhi buri tarah se pit deti hai……ek ladki se in gundo ne aise koi umeed nahi ki thi isliye woh ghabraakar wahaan se bhaag jaate hain……..
Unke wahaan se jaane ke baad Priya bhi dusra auto pakadkar school ke liye nikal jaati hai…… school pahunchkar Priya apni lab mein jaati hai aur sabse pehle apne haath saaf karti hai jo ke is ladai mein thode jhakhmi ho gaye the……..phir Priya ek student ko bulaakar first aid box mangawaati hai aur us mein se patti lekar apne jakhmi haath par baandhwa leti hai………
Uske baad jab woh class lene ke liye Aarush ki class mein jaati hai to Aarush uske haath par patti bandhi dekhkar ishaare se usse is baare mein puchhta hai……..Priya bhi muskuraate hue use ishaare se yeh bata deti hai ke sab theek hai……tabhi class mein se ek bachcha yehi sawaal puchh leta hai…….
Bachcha – Maama……aapke haath mein yeh chot kaise lag gayi…….
Priya ko ab kuch to jawab dena tha isliye woh muskuraate hue kehti hai…….
Priya – kuch nahi aise hi thodi kharonch lag gayi hai haath mein…….chinta ki koi baat nahi hai…….. (Aarush ki taraf dekhkar)
Phir Priya apna period lekar lab mein chali jaati hai……..jab school ki chhutti ke baad Priya auto se ghar jaa rahi hoti hai tab uska phone bajne lagta hai………woh purse mein se phone nikaalkar dekhti hai ke Aarush ka phone hai…….woh muskuraate hue call pick karti hai…….
Priya – I Love You My Love……..
Aarush – I Love You too My Love Jaan……aapko chot kaise lagi…….
Priya – woh aise hi chaku se haath mein cut lag gaya tha subah……
Aarush – lekin class mein to aapne kaha tha ke thodi si kharonch hai……ab aap keh rahe ho ke cut lag gaya……sach bataayiye aapko meri kasam……. (thodi chinta karte hue)
Aarush ki baat sunkar Priya ko subah jo uske saath hua woh chhupana sahi nahi lagta hai…..isliye woh Aarush ko sab sach sach bata deti hai……..uski baat sunkar…….
Aarush – lekin woh log the kaun……
Priya – pata nahi……keh rahe the ke hamaare boss ne tumhe lekar aane ko kaha hai……
Aarush –koi baat nahi……aap apna khayaal rakhiyega……ghabraayiyega nahi……
Priya – jab tumhaara pyar mere saath hai to main kyun ghabraongi…….tum chinta mat karo main apna khayaal rakhungi…….ab phone rakho ghar aa gaya hai……
Aarush – theek hai my love jaan……I Love You…….bye…..
Yeh kehkar Aarush call cut kar deta hai aur sochta hai…….
“yeh harqat kisne ki hogi…..pehle to kabhi aisa nahi hua…..mujhe jald hi is baare mein pata lagana hoga……”
Yeh sochkar Aarush apne bharosemand Raju ko call karta hai……
Raju – hello saab…..
Aarush – hello raju…..suno ek kaam hai…..
Raju – kahiye saab…..kya karna hai……aapke liye to kuch bhi…..
Aarush phir use sab samjhaakar kehta hai……
Aarush – kitna time lagega is kaam ko……
Raju – saab….kal shaam tak bataata hoon aapko…..pakka……
Aarush – theek hai……main kal call karta hoon shaam ko……apna khayaal rakhna…….
Raju – theek hai saab……
Phir Aarush call cut kar deta hai aur apne ghar chala jaata hai……