• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Priyaarush_A Love Story_Romantically Erotica

kingsr89

Member
185
485
64
Update??
 

Hotanya

New Member
8
11
3
UPDATE 87



Agle din subah Aarush school chala jaata hai……udhar dusri taraf Aarush ne raat ko jin do ladkon ki pitayi ki thi woh dono hospital mein admit hote hain……tabhi unka teesra saathi jo bhaag gaya tha woh wahaan par Inspector Khan ko lekar aata hai........Inspector Khan unse puchhta hai……



Insp. Khan – ab mere aadmiyon ko bhi koi pit kar jaane laga........kaun tha tum teeno mein se koi jaanta hai use.......



Unmein se ek ladka bolta hai……



Ladka – pata nahi saab…….kaun tha…..akela tha…..shakal nahi dekhi uski…..helmet laga rakha tha usne……..buri tarah pita hai hamein aur hamaare haath bhi tod diye…….



Insp. Khan – us din tum log ek ladki se pit kar aa gaye the……aaj tum ek ladke se apne haath tudwa kar yahaan lete ho…….



Ladka – saab woh to aapne hi bheja tha us ladki ko uthaakar laane ko…….hamein kya pata tha ke woh pit degi……..



Insp. Khan – dhire bolo……yahaan par yeh sab baat mat karo……kisi ko pata nahi lagna chaahiye ke tum mere liye kaam karte ho……agar kisi ko pata laga to tum teeno ko jaan se maar dunga……samjhe…….



Ladka – nahi bataayenge saab…….magar aap us ladke ko dhoondh kar uski khoob kutaayi karo…….



Insp. Khan – yeh sab hua kaise mujhe poori baat batao…….phir main dhoondta hoon us saale ko…….



Kyunki unhone to raat ko sharaab pi hui thi jis wajah se unhe sahi se to kuch pata nahi tha lekin phir bhi un dono ko jitna bhi yaad tha woh sab bata dete hain Inspector Khan ko…… unse jaruri information lekar Inspector Khan chala jaata hai wahaan se…….woh wahaan se sidhe us jagah par jaata hai jahaan par yeh sab hua tha…….lekin wahaan use kuch nahi milta……..phir woh us BAR mein jaata hai aur wahaan ke CCTV ko check karta hai lekin use usmein se bhi kuch haath nahi lagta………..phir woh kuch sochkar wahaan se nikalkar raaste mein lage sabhi CCTV check karne ke liye control room pahunchta hai aur wahaan par jab woh check karta hai to use un ladkon ki bike ka pichha karte hue ek bike najar aati hai……lekin Inspector Khan ko bike chalaane waale ka chehra najar nahi aata kyunki usne helmet pehan rakha hota hai………….woh us bike ka number note kar leta hai aur uska address nikaalkar us address par pahunchta hai……wahaan pahunchkar woh gate knock karta hai to ander se ek aurat nikalkar baahar aati hai aur kehti hai…….



Aurat – kya ho gaya saab…..aap yahaan……



Insp. Khan – gaurav kahaan hai……..bulao use……..



Gaurav naam sunkar aurat rote hue kehti hai……..



Aurat – saab woh to do saal pehle marr gaya…….mera beta tha woh…..kya hua….



Uski baat sunkar Inspector Khan chounk jaata hai…….



Insp. Khan – kya kaha do saal pehle marr gaya…….



Aurat – ji saab……



Insp. Khan use bike ka number dikhaate hue kehta hai……..



Insp. Khan – yeh bike kiski hai…….kahaan milegi…….



Aurat – haan saab yeh bike to uski hi thi lekin yeh to chori ho gayi thi uski mout se kuch time pehle…….kyun kya ho gaya saab………



Uski baat sunkar Inspector Khan phirse chounk jaata hai……



Insp. Khan – kya chori ho gayi thi……koi FIR ki copy bagaira hai tumhaare paas chori ki……



Aurat – ji saab……abhi lekar aayi……



Woh ander jaati hai aur FIR ki copy laakar Inspector Khan ko dikhaati hai…….FIR ki copy dekhne ke baad inspector khan usse Gaurav ke death certificate ki copy laane ko kehta…….woh aurat ander jaakar use woh bhi laakar dikha deti hai……death certificate ki copy dekhne ke baad Inspector Khan wahaan se chala jaata hai……..uske jaane ke baad woh aurat muskuraate hue ander chali jaati hai…….idhar Inspector Khan ko gussa aa raha hota hai kyunki uske haath kuch nahi laga tha ……..waapis police station jaakar woh baithkar sochta hai……



“chori ki bike use hui hai……hoga koi in teeno ki tarah chor saala……kisi ne aapsi ladai mein pita hai saalon ko…..”



Tabhi us Prashant ka call aata hai……



Prashant – kahaan ho Khan…..bade busy chal rahe ho…….koi phone nahi…..kuch nahi…..bhool gaye kya hamein……



Insp. Khan – arre nahi sir….kaisi baatien kar rahe ho aap…….aapko bhoolkar jaayenge kahaan……bas kal hi free hua hoon case se……..upar se order tha isliye jaruri ban gaya tha case………ab free hoon……kab aa rahe hain shehar…………



Prashant – kya karna hai tumhare shehar aakar…..tumne ab tak mera kaam to kiya nahi……



Insp. Khan – aapka kaam bhi ho jaayega…….ghabraate kyun hain……kahin bhaage thode jaa rahi hai woh………



Prashant – kya pata uska……har baar haath se nikal jaati hai……Ankur keh raha tha ke Priya ne divorce case file kar diya hai………



Insp. Khan – ghabraayiye nahi……main ab free hoon karta hoon kuch……..aap yeh bataayiye aa kab rahe hain……..



Prashant – is mahine to mushkil hai……kuch meetings hain meri……agle mahine dekhta hoon…..



Insp. Khan – theek hai……aap aayiye phir baithkar baat karenge…….



Prashant – theek hai……agle mahine milte hain…….



Yeh kehkar Prashant call cut kar deta hai aur Inspector Khan muskuraane lagta hai……



Idhar Priya aur Aarush school mein jab bhi mouka milta sabse najarien bachaakar aankhon hi aankhon mein ek dusre se baatein karne lagte………isi tarah pyar mohabbat ke saath ek mahina beet jaata hai…….kuch din baad ek din shaam ko jab maa beti ghar mein baithkar chai pee rahe hote hain tabhi Priya ki mom ke phone par call aata hai woh dekhti hai ke uske pati ka call hai……woh ignore kar deti hai……do teen baar jab baar baar phone bajta hai to Priya kehti hai……..



Priya – maa kiska phone hai…..utha lijiye……



PM – inka call hai…….baad mein baat kar lungi…….



Priya – arre maa…..utha lo na….kya pata koi jaruri baat karni ho unhe……..



Priya ki baat sunkar uski maa call pick kar leti hai……..



PM – kya hua……kyun baar baar call kar rahe ho…….



PF – woh….woh…..baat yeh hai ke Anu ko kuch log uthaakar le gaye hain……



Yeh sunkar Priya ki maa kehti hai……



PM – aapka dimaag to sahi hai……kya keh rahe hain aap……



PF – nahi……maine sabko phone karke puchh liya……kahin nahi hai woh……pata nahi kahaan gayi……



PM – aise kaise kahin bhi chali jaayegi……..aap jhooth to nahi bol rahe hain mujhse……



PF – arre main apni beti ke baare mein aisa jhooth kyun bolunga…….tum jaldi se ghar aa jaao…….



PM – theek hai…..main aati hoon……



Yeh kehkar Priya ki maa call cut karti hai aur Anu ke number par call karti hai…….lekin uska phone switch off aata hai…….yeh dekhkar uski maa ki chinta bhi bad jaati hai…….apni maa ko aise chinta mein dekhkar Priya kehti hai…..



Priya – kya hua maa……kya kaha papa ji ne…….



PM – sun beti….mujhe abhi gaon ke liye niklna hoga…….



Priya – hua kya…..yeh to batao….tum itni ghabraayi hui kyun ho…….



PM – Anu ghar nahi aayi hai college se abhi tak……



Priya – isme ghabraane ki kya baat hai……aa jaayegi…..kisi saheli ke chali gayi hogi……agar aapke paas uski kisi saheli ka number hai to aap use call karke puchh lo……

Uski maa yeh sunkar uski un sabhi saheliyon ko call karti hai jinke number uske paas the……lekin har jagah se use nirasha hi haath lagti hai…….phir woh rote hue kehti hai……




PM – nahi…..woh kisi ke yahaan nahi hai……..mujhe chinta ho rahi hai…….



Priya khud ko majboot karte hue kehti hai……



Priya – ghabrao mat maa……hum abhi nikalte hain kuch der mein…….



Yeh kehkar Priya room mein jaati hai aur bag teyaar karne lagti hai…….phir woh apni school ki collegue ko call karke bol deti hai ke woh kuch din school nahi aayegi kisi emergency ki wajah se……phir dono maa beti bus karke gaon ke liye nikal jaate hain…….



Agle din school mein Priya ke period ke time jab dusri teacher aati hai to sabhi bachche hairaan hote hain aur ek bachcha usse puchhta hai…….



Student – arre maam aap…….yeh to Priya maam ka period hai……



Teacher – haan kuch din main hi aungi is period mein bhi……Priya maam ke ghar par koi problem ho gayi hai isliye woh apne gaon gayi hain raat ko aur usi wajah se woh kuch din school nahi aayengi……..



Teacher ki baat sunkar Aarush ko Priya ki chinta hone lagti hai…….woh school ki chhutti hone ka intejaar karne lagta hai……udhar dusri taraf jab Priya aur uski maa apne ghar pahunchti hain tab tak dopahar hone ko thi……jab woh dono ghar ke ander jaane lagti hain to Priya ka baap baahar aa jaata hai……dono maa beti uski taraf dekhne lagte hain…….. uske chehre par chot ke nishaan ke dekhkar dono hairaan reh jaate hain…….un chot ke nishaanon ko dekhkar yeh pata lagta hai ke uski kisi ne pitaayi ki hai……uski chot dekhkar Priya ghabraakar puchhti hai…….



Priya – papa ji yeh aapko kya hua……aapki yeh haalat kaise hui……



Uski baat sunkar uske papa uski maa se bolte hain……..



PF – yeh yahaan kya lene aayi hai……isne to apni manmaani kar li hai…..yeh ander nahi aa sakti…….sab iski wajah se hi ho raha hai…….



Uski baat sunkar dono maa beti hairaan reh jaati hain…….Priya ki maa gusse mein kehti hai…….



PM – yeh aap kya keh rahe hain……hosh mein to hain aap……hua kya hai……yeh bataayiye…..aur chaliye ander chalkar baat karte hain…….



PF – nahi……yeh ladki mere ghar mein nahi aa sakti…….sabki iski wajah se hua hai……



Yeh sunkar Priya ko rona aa jaata hai…….lekin uski maa kehti hai…….



PM – suniye……ander chalkar baat karte hain……agar gate par yeh sab baatein karoge aap to gaon waalon ko pata lag jaayega ke Anu ghar par nahi hai……ab aap kya apni beti ki badnaami karwana chaahte ho poore gaon mein…….



Apni beti ki badnaami ki baat sunkar Priya ke papa kehte hain…….



PF – theek hai…..chalo ander chalkar baat karte hain…….



Yeh kehkar woh ghar ke ander chala jaata hai aur uske pichhe pichhe Priya aur uski maa bhi ghar ke ander chale jaate hain…….ander jaakar Priya ki maa kehti hai……



PM – suniye…..Anu sach mein ghar mein nahi hai……ya aap phir kahin Priya ko pareshaan to nahi kar rahe ho…….



PF – marr chuki hai mere liye yeh…….aur mujhe sach mein nahi pata ke Anu kahaan hai…….jo bhi hua hai uski jimedaar yeh teri beti hai…….ise dekhkar meri beti bhi bigad gayi hai……pata nahi kahaan chali gayi hai……agar use kuch hua to main teri is ladki ko jaan se maar dunga…….



Yeh sunkar Priya rote hue kehti hai…….



Priya – kuch nahi hoga meri behan ko……woh theek hogi…….main laaungi use dhoondh kar waapis kahin se bhi…..kaise bhi karke…….



PF – tu yeh naatak karna band kar……pata nahi kya patti padaayi hai tune meri beti ko jo woh chali gayi kahin……..



PM – aap thoda soch samjhkar boliye……woh Anu ko apni jaan se jyada pyar karti hai……woh use galat baat kyun sikhaayegi…….



PF (gusse mein) –rehne de tu……tu to iska saath hi degi…….teri beti jo hai…….



Apne papa ki baat sunkar Priya uthati hai aur kehti hai…….



Priya – maa main police station jaa rahi hoon…….Anu ki missing complaint likhaane……



Yeh sunkar uske papa kehte hain…….



PF – dekha……maine kaha tha ke yeh meri beti se jalti hai…….dekho kaise police station jaane ki baat kar rahi hai…….taaki police station jaane se sabko pata chal jaaye ke meri beti ghar mein nahi hai……kahin bhaag gayi hai…….



Priya – papa ji……yeh aap kya keh rahe hain Anu ke baare mein…….aapko sharm nahi aati……. (thoda gusse mein)



PF – tu to chup hi reh……badi aayi sharm ki baat karne waali…….apne pati ko chhodkar alag reh rahi hai…….tab tujhe to koi sharm nahi aati……..mujhe sharm sikhaayegi……koi jarurat nahi hai police station jaane ki…….main nahi chaahta ke meri beti ki badnaami ho……



PM – to kya badnaami ke darr se hum apni beti ko dhoondhe bhi nahi……aapka to dimaag kharaab ho gaya hai…….chal beti main bhi chalti hoon tere saath…….



Yeh kehkar Priya ki maa bhi uthati hai aur dono maa beti police station ke liye nikal jaati hain…….police station gaon se thodi doori par tha…….wahaan pahunchkar Priya ander jaakar constable se kehti hai…….



Priya – suniye mujhe ek complaint likhaani hai……



Contable – abhi lunch time ho gaya hai…..1 ½ ghante baad aana……jao ab yahaan se….. (akad ke saath)



Apni behan Anu ko lekar Priya thodi tension mein thi isliye woh bhi gusse mein bolti hai…….



Priya – aap pehle complaint likhiye……phir lunch kar lijiyega……yahaan kisi ki jaan par bani hai aur aapko lunch sujh raha hai…….. (gusse mein)



Constable – o maadam…….jyada garami mat dikhao yahaan par……..yahaan par kaam hisaab se hoga……jao ab yahaan se……baad mein aana……..



Yeh kehkar constable apni seat se uthakar chala jaata hai…….Priya ki maa kehti hai……



PM – beti…….baahar intejaar karte hain……inke jyada munh lagna theek nahi…….



Apni maa ki baat Priya ko bhi sahi lagti hai……woh dono baahar aakar baith jaati hain……tabhi Priya ke phone par Aarush ka call aata hai…….Priya uski call pick nahi karti……do teen baar call aata hai lekin Priya use pareshaan nahi karna chaahti thi isliye uski call pick nahi karti…….tabhi Priya ki maa ke phone par Aarush ka call aata hai…..Priya apni maa ki tarafa dekhkar call pick na karne ka ishara karti hai……uski maa kehti hai……



PM – tum isliye uska call pick nahi kar rahi ho kyunki tum use pareshaan nahi karna chaahti lekin agar hum call pick nahi karenge to woh jyada pareshaan hoga……baat ko samjho beti……..



Priya ka jawab sune bina uski maa call pick karti hai aur kehti hai……



PM – haan Aarush beta……kaho kya baat hai…….



Aarush – aunty ji kya hua…..sab theek to hai……aisi kya emergency pad gayi jo aap log raat ko hi gaon ke liye nikal gaye…….kum se kum mujhe to bata dete…….aur Maam meri call pick kyun nahi kar rahi hain…..woh theek to hain……unhe kuch hua to nahi……



Uski baatein sunkar Priya ki maa ke chehre par muskaan aa jaati hai……



PM – woh theek hai…..tum chinta mat karo……kuch emergency pad gayi thi isliye gaon aana pada……



Unki awaaz mein chhupi chinta ko bhaanp kar Aarush kehta hai…..



Aarush – aunty ji sach bataayiye…..kya baat hai…….aapko meri kasam…..jhooth mat boliyega agar mujhe sach mein beta maanti hain to……..



Ab Priya ki maa ke paas koi raasta nahi tha sach bataane ke alawa kyunki Aarush ne baat hi aisi keh di thi…….isliye woh Aarush ko sab bata deti hain……..unki baatein sunkar Aarush kehta hai……



Aarush – uncle ne theek kaha hai…….aap dono bina complaint likhaaye waapis ghar chale jaayiye…..



PM – yeh tum kya keh rahe ho beta…..complaint bina likhaaye lout jaayein……



Apni maa ki baat sunkar Priya unse phone le leti hai aur apne kaan par kar lagaakar kehti hai……



Priya – kya kaha tumne……hum Anu ki missing complaint nahi likhayein…..phir use dhoondhega kaun…….



Aarush – hum sab milkar dhoondh lenge……aap chinta mat kijiye…..main kal subah tak wahaan pahunch jaaunga……phir baat karte hain……



Priya – nahi…..tum yahaan nahi aaoge tumhe meri kasam…….main apni family problem mein tumhe pareshaani mein nahi daalna chaahti……tum wahaan rehkar chupchaap school jaaoge aur apni padai par dhyaan doge……



Aarush – aap meri family ho…..aap yeh jaante ho…..aur is hisaab se Anu ji meri family ka hissa hain……to aapko kya lagta hai ke aap nahi chaahengi to kya main kuch nahi karunga unhe dhoondhne le liye…..kya aapko mujhpar bharosa nahi……agar nahi to aap complaint likha dijiye……. aur agar apne Aarush par bharosa hai to main jo keh raha hoon abhi aap wo kijiye……Anu ji mil jaayengi…….trust me once…….



Aarush ki baat sunkar Priya ka dimaag aur dil dono ek hi baat kehte hain…….



“tum jaanti ho ke tumhe uspar khud se jyada bharosa hai…..to uski baat maan kyun nahi leti……tumse jyada samjhdaar hai woh in baaton ko lekar……kitni baat tumse dur hokar bhi usne tumhe Prashant se bachaya hai…….”



Priya confuse ho jaati hai aur kehti hai…….



Priya – suno 5 mins mein call karti hoon……



Yeh kehkar woh call cut kar deti hai……uski maa kehti hai…….



PM – kya hua beti……kya kaha usne……



Priya – keh raha hai ke mujhpar bharosa rakho……complaint mat likhao……hum milkar dhoondh lenge……



PM – to tumne kya socha…..kya tumhe uspar bharosa nahi hai……



Priya – hai maa hai……khud se jyada bharosa hai uspar mujhe……..lekin agar main Aarush ki baat maanti hoon to yahaan baat sirf meri chhotti behan ki safety ki nahi reh jaayegi balki Aarush ki safety ki bhi hogi……..aur main dono mein se kisi ko bhi nahi kho sakti……..agar dono mein se kisi ko bhi kuch hua to main khud ko kabhi maaf nahi kar paungi……… (rote hue)



PM – tumhe aisa kyun lagta hai kuch galat hoga……



Priya – kyunki jo bhi ho maa……Aarush abhi chhotta hai…….is situation mein use daalkar use kyun apne saath problem mein daalna hai……main yehi soch rahi hoon……



PM – main ismein kuch nahi bolungi beti…..yeh tujhe faisla karna hai ke kya karna hai agay…….



Priya – yeh tum kya bol rahi ho maa…..Anu tumhaari beti hai…..aap kyun nahi bolengi…..bataayiye mujhe…..aapko kya lagta hai…….



PM – jitna maine Aarush ko samjha hai……itna keh sakti hoon……agar woh keh raha hai ke hum milkar dhoondh lenge to usne jarur kuch socha hoga…….bahut tej dimaag hai uska…….agar hum police mein jaayenge to unke liye yeh baaki cases ki tarah sirf ek case hoga……woh kuch karenge ya nahi….kab karenge kuch nahi pata……na hum unhe kuch bol paayenge…….dusri taraf Aarush theek keh raha hai hum sab agar milkar dhoondhenge to shayad hum Anu ko jaldi dhoondh lenge……isliye mujhe lagta hai ke hamien Aarush ki baat maan leni chaahiye……lekin phir bhi tum soch lo ke kya karna hai…..yeh mera sirf ek mashvara hai tumhe…….



Yeh bolkar Priya ki maa chup ho jaati hai……Priya bhi chupchaap baithkar sochne lagti hai……..phir kuch der achhi tarah sochne ke baad Priya apna phone nikaalti hai aur apni maa se kuch dur jaakar Aarush ko call karti hai…….jaise hi Aarush call pick karta hai…….



Priya – mujhe tum par khud se jyada bharosa hai Mere Aarush……hum complaint likhaaye bina waapis jaa rahe hain…..maine tumhari baat maani hai ab tum meri baat maanoge aur yahaan nahi aaoge……..agay kya karna hai sochkar phone par hi bata dena…….main aur maa milkar kar lengi………umeed karti hoon ke hum milkar Anu ko dhoondh lenge…….



Aarush – mujhpar bharosa karne ke liye aapka shukriya my love jaan……hum dhoondh lenge Anu ji ko…… achha ab main phone rakhta hoon……mujhe kuch jaruri phone calls karne hain……



Phir Aarush call cut karta hai aur jaldi se ek number par call karta hai………..teen chaar ring ke baad call pick hoti hai aur…….



Aarush – hello bhaiya…..kaise ho aap……..



Person – main theek hoon….tum batao kya hua…..



Phir Aarush aur us shakhs mein kuch serious baatein hoti hain aur uske baad Aarush call cut kar deta hai…..idhar jaise hi dono maa beti ghar mein enter hote hain Priya ke papa…….



PF – aa gaye…….khandaan ki naak katwa kar…….tere kaleje ko to thandak pad gayi hogi meri beti ki gumshudagi ki complaint kara kar……ab woh poore gaon mein badnaam ho jaayegi…..yehi to chaahti thi tu…….haina……. (gusse se Priya ki taraf dekhte hue )



Priya – nahi papa ji……humne complaint nahi ki…..aapki baat sahi thi…….hum khud hi Anu ko dhoondhne ki koshish karte hain……….



Uski baat sunkar Priya ke papa ko raahat milti hai…….phir Priya aur uski maa Anu ki chinta karte hue apne kamre mein chale jaate hain……room mein jaane ke baad dono maa beti Anu ki chinta karte hue aapas mein baat karne lagti hain……shaam ko Priya ka phone bajne lagta hai…….Priya phone uthaakar dekhti hai ke kiski call hai….. woh call receive karti hai……….



Priya – bolo Aarush kya baat hai……police mein jaane se tumne hamein rok diya aur bataya nahi agay kya karna hai……mujhe Anu ki bahut chinta ho rahi hai……kahin use kuch ho na jaaye…….



Aarush – pehle to aap ghabraayiye mat…….ek dum shaant ho jaayiye…….shaant hokar sochengi to sab theek hoga……jaldbaazi mein galti ho sakti hai…….



Phir dono mein kuch der baat hoti hai……..Aarush use apni baaton se thoda normal karta hai…….kuch der baat karne ke baad Priya phone rakh deti hai aur apni maa ko sab bata deti hai…….dusri taraf Priya ke papa ko apni beti Anu ki bahut chinta ho rahi thi kyunki woh unki sagi beti thi……lekin woh uske liye kuch kar nahi paa rahe the……. Isi tarah Anu ki chinta karte hue aadhi raat ho jaati hai lekin neend kisiko nahi aati……..raat ko kareeb 2:30 a.m. par ghar ke main gate par knock hota hai……. Priya uthkar baahar aati hai aur gate kholti hai…… jaise hi woh gate kholti hai saamne ek ajnabi ko dekhkar woh hairaan ho jaati hai aur thoda darr bhi jaati hai……woh darte hue us insaan se puchhti hain……



Priya – aap kaun…..kis se milna hai aapko……….



Priya ki baat sunkar woh insaan muskuraata hai aur bina kuch kahe ghar ke ander aa jaata hai…….uski yeh harqat dekhkar Priya aur darr jaati hai……tabhi ek dum se uske dimaag mein khayaal aata hai…….



“kahin yeh Anu ka kidnapper to nahi”
Ab kahani ko bahut khinch rahi hai...
 

kingsr89

Member
185
485
64
Update dedo bhai...aur priya aur aarush ki chudai karao... Bhai...
 

parkas

Well-Known Member
28,422
62,730
303
komalkh ji next update kab tak aayega?
 

kas1709

Well-Known Member
10,096
10,642
213
waiting for the next update...
 

Pappu roy

Active Member
653
871
108
Last updated 12 October mein diya hai
Waiting next updated
 

Aftabh

New Member
12
12
3
Writer ji kahan gayeb ho gaye?
 
  • Love
Reactions: simapatel
Top