Ek jaruri soochna
Atcha atcha normal request maan lo dosto. ?
Bahut se log chintit hai aur ye un sab ka judaav he hai aur pyaar bhi lekin main fir ek baar spasht kar deta hu ki main isko poora likhunga beshak zindagi ek saral rekha jaisi nahi toh utaar chadhaav aate rehte hai.
Meri sabse pehli koshish yahi rehti hai ke is kahani ko prasaar karna aur fir har kirdaar ko waise he likhna jaise wo maine banaya hai. Isme lekhak sirf vyaktitva se nyaye kar sakta hai vyakti se nahi. Samay lag jata hai kabhi kabhi.
Dusri baat hai ke yaha aur bhi bandhuvar hai jo behtareen likhte hai ya meri tarah shuruaat karte hai likhne ki, aap sabhi unko protsahit kijiye aur agar aisa na kar sake toh unka manobal matt giraye. Unki soch ko wo badi mehnat se ek roop dete hai beshak sabhi ka alag tarika hota hai ya khoobi par mehnat toh mehnat hai. Bas yahi nivedan hai ki mujhe aap pyaar karte hai ye dekh kar main bhi khush rehta hu ki 100 log hai meri parwah karne wale lekin un sabhi lekhako ke sath jarur nyaye kijiye.
Yaha kuch log ho sakte hai jo kataksh karte ho ya apshabd kehte ho lekin ho sake toh unka jikar matt kijiye. XF ko hum galat kaise keh sakte hai jab yahi woh stage hai jaha hum ek hai?
Dosto mujhe moderators ya staff ne kabhi pareshan nahi kiya. Kahani me kuch galtiya hone par unhone margdarshan kiya jis se kahani ban na ho aur Siraj bhai ho ye Trinity, unhone vyast samay bhi mujhe sujhaav diye hai. Website par bahot traffic hai aur yahi moderators isko sambhalte hai.
Dekhiye aap sabhi mujhse pyaar karte hai aur mere liye bhi ye jagah ek pariwar hai. Behichak apni dil ki kahiye, kahani par baat kariye aur dil kare toh mere sath vyaktigat baatein bhi karo. Main hamesha aap logo ke beech hu.
Aaj ek bhai ne kaha ke is hafte 6 update dijiye Uphaar swaroop toh agle ravivar tak 6 update aapko milengi chahe fir ek din me 2-2 update du. Bas aap log thoda sa chhoti moti baatein najar andaaj kijiye. Apne adde pe mehfil lagate hai, beedi sulgaate hai aur duniya gayi teil lene. Adda hai bhai apna wo aur ye apni kahani. Aap sabhi ki kahani.
Dher sara pyaar aur shubhkamnaye
Regards
Enigma