• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,051
218
Update 160
Naya Roop 2B


"Chachi, aap kitna jaanti hai apne pariwar ko? Mera matlab hai Vinod chacha, dono bua aur chote dada ji aur daadi ko?", Is waqt ghar me jyada log nahi the. Rameshwar ji bahar the Col sahab aur Malhotra ji ke sath toh Lalita ji bhi saamne wale ghar gayi hui thi, Saroj ki saas se milne. Baaki sabhi log market gaye the aur Anamika ne khudse he ghar rehne ka kaha tha apni badi saas se. Is waqt Arjun ko doodh aur uski khaas khuraak dene ke sath khud bhi chai pee rahi thi yaha Tara wale kamre-hall me. Navjaat beta araam se baggi me soya hua tha.

"Main toh hamesha ghar pe he rahi hu Arjun aur tumhare chacha ka kuch pata nahi mujhe jyada. Haan itna jaanti hu ke wo bilkul waise nahi hai jaisi pariwar ki pratishtha hai. Shayad uska kaaran bhi bade papa hai. Waha ghar me toh main rasoi aur kamre me he rehti hu jyadatar. Bahar aangan me toh ghoonghat chehre se bada hota hai. Waise tum kabhi kyu nahi aaye hamare waha?", Anamika baat kehte hue jhijhak bhi rahi thi aur shayad wo Arjun se wo sab nahi keh paa rahi thi jo wo sehti thi waha.

"Jaanti hai agar ghar ka koyi chhota sadasya galat karta hai toh iski wajah hoti hai galat parwarish. Mujhe nahi lagta ki chhote dada aise honge par Vinod chacha se aapki shaadi karwa kar unhone sachmuch bahot badi galti kar di chachi. Main jaanta hu ke aap khush nahi hai udhar aur mujhe jyada jaanti nahi isliye batayengi bhi nahi. Waise mujhe bhi shayad isliye gaanv nahi bhejte dada ji kyonki waha ka mahol thik nahi hoga.", Arjun ne chand shabdo me he Anamika se sabkuch keh diya tha jo wo khud na keh saki. Kuch pal shaant rehne ke baad wo himmat karke bolne lagi.

"Aisa hai Arjun, kehne ko toh tum mere bhatije ho lekin main tumhe devar he samajhti hu. Kuch rishto ko umarbhar nahi samajh sakte chahe wo pati patni ka kyu na ho aur kuch ki pehchan ke liye ek mulakaat he bahut. Tumhare chhote dada ne mujhe ek baar dekha bhar tha aur mere pita ji ne sirf itna kaha tha ke ye meri beti Anamika hai. Agle he din rishta pakka. Tum kehte ho ki tumhare chhote dada ji sanskaari vyakti honge kyonki wo bade papa ke bhai jo hai lekin tumhari dusri baat me he iska jawaab hai. Parwarish me dono taraf din raat ka antar hai Arjun.", Anamika itna kehne ke sath he chai ka cup rakhti hui kuch pal chup hui phir aage kehne lagi.

"Vinod ji, shaadi ki pehli he raat nashe me dhutt aaye the aur unse kisi ne sawaal tak nahi kiya. Maine iska jikar jab apni saas se kiya toh unka kehna tha ke wo mard hai aur shaadi me aisa sabhi karte hai, pehle he din se main shikayat na karna shuru karu. Tumhare chhote dada ji toh ghar pe sirf sone aate hai subah nashte ke baad nikal kar. Unke sanskaar ke kisse sabko nahi pata kyonki ek toh pariwar ka dabdaba, upar se chehre par sabki bhalaai ka naqaab aur jiske sath bhi wo sankaari kaam karte hai wo lachaar he hota hai. Maine 4 saal me unhe kabhi kuch galat karte nahi dekha isliye ghar me mujhe wo sabse bhale lagte the aur sach kahu toh hafte 10 din me mere liye dhang ke kapde, jewar aadi banwate rehte the. Rasoi ke siwa mujhse kabhi aur kaam nahi karwaya unhone lekin insaan jitna bhi dayaalu hone ka dikhawa karte rahe, kabhi na kabhi galti ho he jaati hai.", Arjun ke chehre par aaye apratyakshit bhaav dekh kar Anamike ke saral se bhole chehre par ek feeki muskaan aa gayi.

"Hairaan ho rahe ho na?"

"Haa.. Haan chachi lekin aapki baat par mujhe poora vishwas hai. Aisa kya dekha aapne jis se aapka najariya badal gaya?", Arjun ne sakuchate hue poocha.

"Saal bhar pehle inhone kuch gareeb ladkiyon ki shaadi karwai thi Arjun aur wo aisa karte rehte hai isliye samaaj me atchi ijjat hai unki. Hum sabhi waha gaye the aur mandir me shaadi karwane ke baad dharamshala me un ladkiyon ko khush-haal bhavishya ke liye daan-dahej bhi diya gaya tha. Tumhare chhote dada ji ne atcha intjaam kiya tha sabhi ke khaane peene ka aur sabhi unki prashansha kar rahe the. Phir dopehar ko hum sabhi log ghar ke liye nikal gaye lekin papa (krishneshwar) ne kaha ki unhe yaha dharamshala ki bhi marammatt ke liye thekedar se baat karni hai jiske baad wo seedha khet chale jaayenge.", Arjun poori dilchaspi se ye nayi kahani sunn raha tha jiske baare me shayad chachi ke siwa koyi jaanta he na ho.

"Phir chachi?", Arjun ab bister par chaukdi laga kar baith chuka tha aur uski adhirta dekh Anamika bhi bholepan se mukurai.

"Hum dharamshala se kuch aage he aaye the ki maa ji apna bag dharamshala ke kamre me bhool gayi thi aur ye dhyaan aate he unhone driver ko gaadi wapis ghumane ko kaha. 5-6 kilometer jaane ke baad wapis aaye toh unhone mujhe wo bag laane ko kaha kyonki us kamre me he main bhi tayaar hui thi unke sath. Jab dharamshala ke andar aayi toh hall me safaai ho rahi thi aur main seedhiyo se seedha upar us kamre ki taraf chal di. Darwaja kholti us se pehle he kamre ke andar se papa ki awaaj sunaai di aur wo kisi ko shaant rehne ka keh rahe the. Uske baad waha jo ho raha tha wo har vivahit vyakti asaani se samajh sakta hai. Koyi 5 minute baad kamre se ek ladki bahar nikli jiski halat thik nahi thi aur wo unme se he thi jinki thodi der pehle shaadi karwayi gayi thi.", Arjun jaha apni chachi ke andaaj-e-baya se prabhavit hua wahi ye sunn kar kaan garam ho gaye the ki ek boodha vyakti jiski samaaj me atchi pratishtha hai wo aise ghinone kaam bhi karta hoga.

"Wo itne boodhe aur sammananiya hone ke bawjood aisa kuch karte hai?", Arjun aur kya keh sakta tha iske siwa.? Beshak Anamika chachi usko devar ki tarah he samajhti thi lekin shabdo ka chunaav dono he soch vichar kar kar rahe the.

"Boodhe hone se kya vaasna shaant ho jaati hai? Band kamro me kaisa sammaan dikhta hai? Dhithaai toh maine apni aankho se dekhi thi jab main seedha kamre me daakhil hui aur mujhe saamne dekh wo ek pal ke liye hadbadaye par meri najro ka gussa dekh mujh par hansne lage. Wo jaan gaye the ki mujhe pata chal chuka hai aur main bag utha kar jaane lagi toh unhone bas itna kaha ke 'is ladki ka naam bhi Anamika tha bahu'. Main us din samajh gayi thi ki insaan ka sahi swaroop waisa nahi hota jaise harek insaan bahar se dekhta hai. Band kamro me he asliyat dikhti hai beshak wo kamre hamari pahuch se dur hote hai.", Anamika ki baaton me jo gehraai thi wo sachmuch kisi bujurg gyaani vyakti si thi. Arjun bhi toh logo ke kayi sach aise he jaan paya tha.

"Phir aapne ye baat kis se kahi?"

"Main kis se kehti ye sab? Niche wahi ladki khadi thi jisko meri saas kuch samjha rahi thi jiska saaf matlab tha ke wo bhi jaan gayi hongi. Tumhare chacha toh ye sab danke ki chott par karte hai apni maa aur jija ki sheh me.", Arjun samajh gaya tha ke Anamika chachi kaise mooh nahi khol sakti aur agar wo bahar kisi ko ye sab bataye toh log ulta uske he charitra par sawaal utha denge kyonki saboot toh kahi hai he nahi.

"Abse aisa nahi hoga chachi, main vaada karta hu aapse. Aapke gharwale ne laakh galtiyan ki ho pehle lekin aaj jo unhone kiya hai na uski saja unke sath sath wo sabhi bhugtenge jinhone unka saath diya hai. Aapko meri baat sunn kar bura lag raha hoga ya gussa bhi aa raha hoga par main aapka poora sammaan karta hu. Vinod chacha ne aaj Manju ko agwaah karne ki saajish ki thi aur wo kaamyaab bhi ho he jaate jo kismat mera sath na deti.", Arjun ne poori baat kehte hue ek baar bhi shabd unche nahi kiye the lekin Anamika ke bhole chehre par ab ghera darr aa chuka tha.

"Wo kaise hain tum abhi jaante nahi ho Arjun. Aur main tumhari baat se bilkul gussa nahi hu kyunki main apne pati ki kaali kartoote tumse behtar jaanti hu. Tum samajhdar jarur ho lekin saafdil ho. Tumhare chacha tumhe bhi nuksaan pahucha sakte hai bina pata lage. Ho sake toh ye baat tumhe apne pita ya dada ji se karni chahiye. Main toh yaha kuch din ki mehmaan hu isliye shayad hamara rishta utna majboot nahi lekin mujhe tumhri fikar hai.", Anamika ki baat sunn kar Arjun ne shararat se unka gaal choom liya aur bister se uth khada hua.

"Chachi toh sabke samne ho na aap. Akele me toh aapne devar banaya hai mujhe. Befikar rahiye bas aur dekhiye kaise main lanka me aag lagata hu wo bhi kisi ko kaano kaan khabar hue bina. Kuch rishtey barso sath rehne par nahi bann paate lekin kuch ek mulakaat me judd jaate hai.", Arjun ne Anamika ka dialogue us par he chipka diya jo apna gaal choome jaane par jaha kuch der hairaan thi ab wahi sharmati hui Arjun ki kamar par thappad maarne ka naatak karne lagi.

"Sahi kehti hai badi maa, tum fandebaaj ho Arjun. Chachi ko choom liya?"

"Aapko bura laga kya?", Arjun ne ekdum se chehre ko gambhir karte hue maafi maangne ke andaaj se kaha toh Anamika bhi chintit hoti khadi ho gayi.

"Nahi nahi.. Hamara ye matlab nahi tha Arjun. Ek tumhi toh ho jiske sath hum hans bol lete hai. Tumhari kisi harkat se humko bura nahi laga aur tum galat bhavna bhi toh nahi ...", Anamika aage kuch bolti us se pehle Arjun ne dusri taraf ka gaal bhi choom liya. Baat kehte kehte wo fir se hairaan hui toh hansta hua Arjun darwaje se bahar bhaag chala.

"Meri bholi chaachi. Aadat daal lo in shararto ki, karta rahunga ab toh.", Jaane se pehle Arjun ne aisa kaha toh Anamika sab bhool kar waise he muskurane lagi jaise koyi bhabhi apne laadle devar ke natkhatpan par karti hai. Umar ka jyada farak na hona bhi in dono me chachi bhatije ki jagah devar bhabhi jaisa sambandh bana raha tha. Arjun he toh wo pehla vyakti tha jisne Anamika ki suvidha ke liye wo sab kapde dilwaye the jo har pati ko apni biwi ke liye lene chahiye. Devar bhi aisa kar he sakta hai aur jitna khayaal wo sabka rakhta tha utna he samay Arjun ne Anamika aur uske bete ko bhi diya tha.
.
.
Yaha market me aaj Pandit ji ke pariwar ki alag he chehal pehal dikh rahi thi. Sabhi bacho ko unki pasand ke kuch kapde, saaj-sajja ka samaan dilane ke sath Kaushalya ji ne kuch saree bhi uphaar swaroop dene ke liye pack karwa li thi. Apni bahuon ko liye wo kapdo ke us bade showroom par gayi toh galle par baithe Lala ji apni kursi se khade ho kar hath jodne lage.

"Aaiyen aaiyen chachi ji. Hamara saubhagya ke aapne aaj gareeb ki dukaan par kadam rakhe.", Lala ji ko aise hath joddte dekh unke kuch karamchari turant he harkat me aa gaye. Wo samajh chuke the ke ye bahot he khaas grahak hai aur inhe poori suvidha milni chahiye.

"Arre baitho Bablu beta, wo toh aaj bacho ke sath market aayi toh socha tumse bhi mil lu aur bahuon ko shaadi ke liye kapde bhi dilwa du. Bachhiyan toh ab khaane peene me magan hai bahar toh itne samay ye kaam bhi kar lete hai. Waise tumhare chacha toh milte rehte hai tumse aur shaadi me samay se pahuch jana.", Ab jis tarah in Lala ji ko unke bachpan ke naam se bula rahi thi ye toh bahut khush hue lekin baaki sabhi samajh gaye ki thaanedarni ji kya maayne rakhti hai. 2-3 ladkiyan unke kareeb aa khadi hui.

"Bas chachi ji, aapne darshan de diye bahot hai. Shaadi ka nimantran toh Raju bhai pehle he de gaye the ghar pe. Bitiya, madam ko sath le jao aur sabse behtareen saree dikhana. Chhotu 5 gilaas juice mangwa, bina meetha dalwaye aur jaldi.", Lala ne turant Rekha ji, Krishna, Romela ko 3 ladkiyon ke sath bhej diya aur khud kaushalya ji ke saamne sofe par baith gaye. Narinder ji toh apni he dhun me har taraf ghoom fir kar sabhi tarah ke kapde nihaar rahe the. Kahi Sherwani, kahi resham ke kurte pajame toh kahi ek se badh kar ek coat-pant. Ek tarah se ye 2 manjila showroom harek khaas paridhan se saja tha jiski chahat pratyek purush-mahila rakhte hai. Unhone turant he wo maheen kapde ka safed coat-pant bahar nikalwaya jis par kaali dhaariyan thi.

"Ye kuch alag kapda hai dost?", Narinder ji hamesha he aise pesh aate the sabhya jagah par aur unke dwara dost kehne par wo counter ke peeche wala ladka bhi muskura diya.

"ji Sir, ye summer suit hai jo aap garmi me araam se pehan sakte hai. Iske sath he ye ice-blue (neeli) shirt hai sir. Aur ye joote hum bechte nahi lekin aap idea le sakte hai iske sath joote, belt aur ghadi ka.", Hath laga kar dekhte hue Narinder ji ko ye paridhan ek baar me he janch chuka tha. Aur apni peeth par hath ka sparsh milte he unhone bina dekhe kaha.

"Yar Shankar, aise he 5 suit tayaar karwaye kya shaadi ke liye? Tera, Umed ka, Raju bhaiya aur Arjun ka bhi mere sath sath.", Sachmuch ye bada bhai he tha unka jo seedha hospital se faarig ho kar bataai gayi jagah aa pahucha tha. Ek he najar me wo coat-pant unhe bhi pasand aa gaya tha.

"Arjun apni marji se lega aur uska maap apne ko pata bhi nahi. Aur Umed Delhi se kaala pathaani suit le chuka hai isliye 3 banwa le. Chhote, coat-pant ke sath ye poora set chahiye siwaye is ghadi ke.", Shankar ji ki baat sunn kar wo ladka thoda asehaj ho gaya kyonki wo chamde ke khaas joote aur belt sirf darshane ke liye rakhe gaye the.

"Haan kyu nahi Shankar bhai, aap befikar rahiye aur ye coat pant pehle se he tayar hai bas aapka size dekh lete hai aur main parso ghar bhijwa dunga.", Lala khud chal kar aaye toh Shankar aur Narinder unse gale lag kar mile. Ladka inhe nahi jaanta tha aur wo khamoshi se ek taraf ho gay.

"Bablu bhaiya, showroom toh bahot he aalishan bana liya aapne. Waise joote ke liye pareshani ho toh hum dekh lenge.", Narinder ji ne jaise he kaha toh Lala ne hath jodd diye.

"Arre mere maalik aisi baat na kaho. Bada bhai bhi maante ho aur fir aisi baat? Apne Monu ka he joote ka showroom hai saamne wali taraf. Ye hath se bane khaas chamde ke joote sirf uske he pas hai. Bahu aur betiyon ke hisaab se bhi waha sabkuch hai. Din ke samay aaye toh itminaan se dhero option dekh sakte hai. Shaam ka vyast samay hai aur udhar bheed me apne bache tang ho ye mujhe bhi thik nahi lagta.", Lala ke is apnepan par Shankar ji bhi unka hath dabate hue khushi dikhane lage. Santre ka juice liye wo ladka bhi aa gaya tha aur teeno ne gilaas uthane ke baad idhar udhar ki baatein shuru kar di.

Rekha ji ne udhar apni jethani ke sath Shalini, Madhu, Rajeshwari, Renuka aadi ke liye bhi khaas saree pasand kar li thi aur ab wo apni saas ki bagal me baithi unhe sab bata rahi thi. Sath he Romela aur Krishna ji bhi thi. Inhe toh kuch bhi samay nahi laga tha. Kaushalya ji ko bhi khushi hui thi unki bahuon ne unke aur Purnima ji ke liye bhi badi he shaleen saree pasand ki thi.

"Bablu beta, bill banwa do sabka.", Kaushalya ji ki awaaj par ye teeno log udhar aaye toh ab Lala ji toh naa me gardan hilane lage lekin apni chachi ki aankhon me narajgi dekh bas itna he bole.

"Chachi 50 hajaar."

"Ye jhooth bol rahe hai mummy. Itne ke toh hum teeno ke suit he honge. 10 saree bhi toh li hongi na inhone?",Narinder ji ke aisa kehte he Kaushalya ji ne Lala ka kaan halke se pakad liya.

"Baniya dukaan par vyapaar na kare toh wo beimaani hui beta. Chal jo sahi discount lage wo de aur baaki bata kitna hua. Meri aulaad ke sath sath main bhi atcha khasa kamaati hu.", Kaushalya ji ke is kathan par lala ne anmane bhaav se aisa he jhoothmooth ka ganit karte hue ek lakh 40 hajaar ka bil bana diya jo shayad asal ka bhi aadha tha.

"Ye rakh dedh lakh aur aainda ye dusri kaksha ka ganit mere saamne matt karna.", Kaushalya ji ki jhidki par Lala khushi se wo paise lete hue apne ladko se sara samaan bahar gaadi me pahuchane ko bola.

"Chachi ji, kabhi aap bhi Somwar ko ghar darshan dijiye. Dukaan us din band rehti hai toh aapki bahu aur pauta pauti bhi mil lenge.", Lala sabhi ke sath bahar tak chala aaya tha aur park ke pas ghar ke bache baraf ke gole, rabri-faluda khaate dikhe toh Narinder ji yaha se palla jhaad kar udhar he ho liye.

"Jarur aaungi beta bas shaadi tak thoda vyast hai phir pakka aaungi. Sabhi ko leke aana hai shaadi me. Shankar, bacho ko masti karne de. Wo Inder aur Sanjiv ke sath aa jayenge. Tu humko teri gaadi me le chal ghar.", Kaushalya ji ne saamne sabhi ko hanste khelte dekha toh chehre par prasannta aa gayi. Shankar ji bhi dekh rahe the ki unki betiyan, bhatija aur bhai kaise 3 rehdiyo ko ghere khade hai.

"Haan maa, hum chalte hai aur inhe lage rehne do. Waise bhi khana toh ye log khaane nahi wale kyonki 8 baj chuke hai. Papa aur baaki gharwalo ka late ho raha hai. Fir khaane ke baad mujhe araam bhi karna hai.", Unki esteem ki dikki me sara samaan rakhwaya ja chuka tha aur Lala ji se vida lete hue ye 5 log sabko bata kar ghar ki taraf nikal chale. Baaki logo ki ab poori mauj thi aur agar kisi ki yaha kami thi toh wo Arjun tha.
.
.
Idhar Dharampal ji ke ghar me Sandeep aur Arjun video game khelne me is kadar doobe the ki unhe ghar me kisi ke hone na hone ki parwah tak na rahi thi. Jor shor se wo dhadadhad button dabate hue rangeen television par chalti is video game me dushmano ka safaya karne me jute rahe. Dharampal ji aur unki dharampatni ne ek baar is kamre me jhanka aur phir muskurate hue sector ki market ki taraf nikal chale Jyoti ko bata kar.

"Pause kar bhai, ek ghante se roke baitha hu. Abhi bathroom jana he padega.", Sandeep ne apna remote ka wo khaas button daba kar game roki aur pichle kamre ke bathroom ki taraf daud gaya. Arjun uski halat par hans raha tha lekin turant khamosh ho gaya jab Jyoti salwar kameej pehne sehmi hui si uske kareeb aa khadi hui. Arjun jaha sehaj rehne ki poori koshish kar raha tha wahi Jyoti ke honth kuch bolte bolte ruk rahe the.

"Wo.. mujhe tumhari help chahiye Arjun. Jaanti hu main bahot galat ladki hu aur tumne pyaar karne ke sath sath hamesha badi behan ki tarah mana mujhe.", Baat kehte kehte Jyoti ki hirni si aankhen dabdaba gayi toh Arjun ne turant khade ho kar usko apni baahone me bhar liya.

"Didi, aapse naraaj hu toh iska ye matlab nahi ki main pareshani me aapke sath nahi. Aap bas ek baar apne is bhai ko bata kar dekho, kabhi pareshan nahi hone dunga.", Arjun ke seene se mahino baad lagne par Jyoti ko mehsoos hua tha ke baaki sabse Arjun kyu alag aur khaas tha. Wo dil se Jyoti se pyaar karta tha aur Jyoti ne uske he sath vishwasghat kiya.

"Bhai.. jabse tu gaya tha main kabhi kisi se nahi mili. Lekin abhi kuch din se Varinder bhaiya (padosi) mujhe dhamki de rahe hai ki maine unke sath wo sab nahi kiya toh wo mujhe badnaam kar denge mere hone wale saas-sasur ko mere aur unke baare me bata kar.", Arjun ka dimaag jo aksar shaant rehta tha wo ubalne laga tha us vyakti ki aisi dhamki sunn kar.

"Is Varinder saale ki toh main.. Uske ghar kaun kaun hai?", Arjun ne sirf itna he sawaal kiya tha.

"Unki biwi 5 din pehle he maayke gayi hai aur wo tabhi se mere piche lage hai. Jab bhi kahi akele dikhti hu yahi baat aur aaj toh market se ghar aate hue agli gali me mera hath bhi pakad liya.", Arjun ko jab pata laga ki Varinder bhaiya ghar me akele he hain toh wo Sandeep ke aane ka intjaar karne laga. Ek minute baad he Sandeep chehra dho kar kamre me aaya toh Arjun ne usko bas itna he kaha.

"Main didi ke sath jara pados wali dukaan tak ja raha hu. Tum ghar par he rehna kyonki uncle aunty bhi nahi hai. Jaldi aa jayenge.", Arjun ke aisa kehte he Sandeep dono ko dekh kar kandhe uchkaate hue bola.

"Tum sath ja rahe ho toh mujhe kya fikar. Waise bhi mujhe kuch kaam karna hai toh ghar pe he rahunga.", Arjun ko pata tha ke ye tharki akele me mutth he maarege. Mann me Sandeep ko kosta hua wo Jyoti ko liye inke sath wali gali me agle ghar ke gate tak aa pahucha. Jyoti abhi bhi hairaan thi aur usko samajh nahi aa raha tha ke Arjun kya karne wala hai.

"Aap tension matt lo aur mere par bharosa rakho bas.", Arjun ne lohe ke gate ke upar laga handle ghumate hue darwaja khola aur is ghar ke andar chala aaya. Aangan me ek motorcycle khadi thi aur is ek kanaal ke ghar ka jyadatar hissa khaali he tha jaha sirf 3 kamre bane the. Pehle he kamre me television ki awaaj bata rahi thi ki Varinder idhar he baitha hai. Jaali wala darwaja behichak khol Arjun andar daakhil hua toh bister par baitha 25-26 saal ka wo vyakti jhatke se uth khada hua. Akele me wo Royal Stag sharaab ke peg laga kar jaise apni vaasna ko hawa de raha tha aur Jyoti ko is ladke ke sath apne kamre me dekh jaha wo hairaan hua tha wahi ab uske chehre par kameeni hansi aa gayi.

"Waah, meri chammakchallo toh tera ye irada tha. Pehle he bata deti ki tujhe ek ke sath maja nahi aata. Main gaanv se 3-4 yaar bulwa leta teri tagdi... aaahhhh.. behanchh...aahhhhh re..bachao...", Varinder aur bhi abhadrata karta us se pehle he Arjun ne uski gardan dabochte hue farsh par patak diya.

"Didi, darwaja band karo jara aap. Iski hawas main atche se shaant karta hu.", Arjun ki taqat ka halka sa namuna dekh kar Varinder farsh par gira apne sar ko dabate hue dusre hath se usko dur rehne ko ishara karne laga. Jyoti ne dono darwaje band karne ke baad avishwaas se Arjun aur jameen par gire Varinder ko dekha. Arjun uski chhaati par paanv rakhte hue Varinder ki nikkar kachhe samet utaar kar dur fenk chuka tha.

"Apne baalo se rubber dena didi.", Arjun ka irada samajhte he jaha Varinder kasmasane laga wahi Jyoti ne bina der kiye niche dekhe bina Arjun ko apne baalo se rubber nikaal kar thama diya. Jyoti peeth ghuma kar khadi thi aur television par chalti neeli film ki taraf kisi ka dhyaan na tha.

"Dekho Arjun, tum galat kar rahe ho. Main tumhare bhai aur baap....aahhhh..", Uski sikudi hui nunni par Arjun ne 3-4 baar ghuma kar rubber lapeta toh dard se Varinder dohra ho gaya. Gaal par chataak se 4 jhaapad padte he honth tak lahuluhaan the.

"Mere bhai ko pata laga na toh wo goli maar dega tujhe haramjaade. Teri biwi peit se hai na aur tu aise dusro ki beti ko majboor karta fir raha hai apne niche litane ke liye? Rahi baat ki tu kaun hai ya main kaun hu toh bas itna jaan le ki kal agar tu is ghar me dikha toh na mera baap tujhe bachane aayega aur na tera.", Arjun ne apni baat kehne ke sath sath Varinder ke us ausat se ling ko phoolte dekh bister par rakhe sharaab ke adhiye se bachi hui daaru uske upar udel di. Rubber ke kasaav se jaha wo buri tarah phool kar dukh raha tha, wahi spirit se usme asehniya jalan uthne lagi.

"Aaahhhhh.. Main sab maanunga.. aahhhh.. bas mujhe chhod do..", Varinder par taras khaa kar Arjun ne uske seene se paanv hata liya. Turant us rubber ko jaise taise khol kar Varinder apne ling par thanda paani udelne laga. Uska sharir safed padd gaya tha itne he julm se. Jyoti ki upasthithi se usne wo ghutne tak ki nikkar pehante he apne dono hath Jyoti ki taraf jodd diye.

"Mujhe maaf kar de Jyoti.", Lekin yaha maafi ki jagah Jyoti ne apni sharir ki saari jaan ekatrit karte hue uske soojhe hue jabde par karara tamacha jadd diya. Arjun ne television band kiya aur ghutno ke bal baithe Varinder ke baal majbooti se pakadte hue sard lehje me kaha.

"Tumne jo apraadh kiya hai uski saja 7-8 saal bhi ho sakti hai ya phir main abhi tumhara wo aujaar kaat sakta hu jis par tumhe ghamand hai. Maine jo bhi kaha usko samajhne ke baad aasha karta hu tum savere is ghar me nahi dikhoge. Aisa kar isliye nahi raha kyonki nadaani Jyoti didi se bhi hui thi lekin jab insaan sudharna chaahe toh uski madad karni chahiye, shoshan nahi. Iski shaadi tudwana toh dur, aainda khayaal bhi tumhare mann me aaya toh XXXX gaanv pahuchne me mujhe aadhe ghante se jyada nahi lagega.", Varinder ki aankhon se dard aur ghutan ki wajah se aansu behne lage the. Arjun ne usko aaina dikha kar bata diya tha ke wo balatkaari he hain jiski saja filhal usko nahi mil rahi.

"Kisi se iska jikar matt karna Arjun. Meri biwi aur maa ke jeene ka sahara main he hu. Aainda main idhar kabhi najar nahi aaunga.", Varinder ke dono hath jude the aur itni he der me chehre ki soojan badhne lagi thi. Hontho se nikalta khoon thuddi tak aa chala tha.

"Yahi behtar hoga tumhare liye. Mujhe tum jaise vyakti se koyi humdardi nahi hai. Chalo didi.", Arjun ne Varinder ko farsh par uske haal par chhodte hue darwaja khola aur Jyoti ka hath thaame bahar nikal aaya.

"Tum itni parwah karte ho meri?", Jyoti ne bahar andhere me rundhe gale se aisa kaha toh Arjun ne bade pyaar se uska sar sehla diya.

"Pyaar badal toh nahi sakta na Jyoti? Tumne jo galtiyan ki shayad unhe sudharne me tumhe ye pareshaniyan uthani padi lekin mere liye tum wahi ho jo pehle thi. Bas ab jo jiwan ki sahi raah chuni hai us par atal rehna. Tumhe ab wo khushi toh nahi de sakta lekin ek bhai ka farz jiwanbhar nibhata rahunga. Chalo ab tum nishchint ho kar ghar jao, main bhi nikalta hu.", Arjun ki baat sunn kar Jyoti ke baar kaske uske gale lagi aur jald he alag hoti hui apne ghar tak chali aayi.

"Thank you bhai."

"Goodnight. Jald he milta hu.", Arjun ne hath hila kar apne ghar ka rukh kiya toh Jyoti usko tab tak dekhti rahi jabtak wo aankhon se aujhal na ho gaya. Arjun uske jiwan ka taaranhaar bann kar aaya tha Jyoti dwara ateet me chhale jaane ke bawjood.
.
.
Jabtak sabhi log market se khaa-pee kar wapis aaye yaha ghar ke baaki sadasya ratri-bhoj se faarig ho kar apne apne kaksh me jaa chuke the. Agle aadhe ghante me ye log bhi apne bister par aa chuke the. Ladkiyan upar wali manjil ke pane pichle hisse me kapde badal kar gappe haank rahi thi aur bahar baithak wale kaksh me Shankar apne bhai ki bagal me leta kuch duvidha me tha.

"So ja bhai, waise bhi kal tumhara bada kaam intjaar kar raha hai.", Narinder ne jaise he Shankar ko vicharo me khoya dekha toh hilate hue kaha.

"Yaar, soch raha tha ke aaj Lata ke pas chala jau. Phir ye khayaal aa raha hai ki Rekha.."

"Oh bhai mere, waha gaya toh baapu teri lanka laga dega aur Chandro Taai ke ghar is waqt jana thik bhi nahi. Bijender bhi rehta hai yar ab waha. Aur Rekha bhabhi ke paas aadhe dil se jaa kar kyu unhe dukhi karna chahta hai? Tere ghante me ye aag kaabu karna seekh thoda. Waise bhi unhe araam karne de, savere 4 baje se kaam par lag jaati hai. Chal so ja nahi toh thaanedar ne fir punjabi me hamari maar leni hai.", Narinder ki baat poori tarah wajib thi aur Shankar mann masos kar leit gaya. Sanjiv aaj akela mehmaan kamre me soya tha kaam ki wajah se aur pichli taraf Rekha naha kar apne kamre me aayi toh na waha Rupali thi aur na Ritu. Fir Arjun ka dhyaan aaya toh zero ka bulb jalane ke baad ek laal rang ki khaas nighty pehan kar wo darwaja dhaalne ke baad bister par leit gayi.

"Chachi, aap bhi aaj niche he so jaaye Madhuri didi wale kamre me. Waha sirf didi he hain aur aapko akele sone ki pareshani bhi nahi hogi.", Arjun Anamika chachi ke liye doodh ka gilaas laya tha aur ab unke kareeb baitha chhote bache ko seene se lagaye thapki de raha tha. Niketan apni maa ka doodh peene ke baad bas sone he laga tha aur Arjun ke seene se lag kar wo bhi sukoon me rehta tha.

"Ab akele me tum bhabhi he kaha karo. Hamara koyi devar nahi hai Arjun aur Niketan bhi tumhe pasand karta hai. Waise mera wajan badh gaya toh bahot pareshani hogi.", Anamika ki baatein aur bholepan par Arjun bhi sochne lagta tha ki bhagwan bhi kayi baar galat fainsle karwata hai logo se. Itni pyaari mahila ko saunpa bhi toh aise insaan ko jo aurat ko paanv ki jooti se adhik kuch samajhta he nahi.

"Chalo fir pyaari bhabhi ji, aap Niketan ke sath niche Madhuri didi ke kamre me sone chaliye. Rahi baat wajan badhne ki toh wo jaruri hai aur itna mujhe bhi pata hai ke chulha- rasoi karne wali aap jaisi yuvti hamesha fit rahegi. Jitne yaha ho, itne toh khud par dhyaan do. Ab jaldi doodh khatam karo aap kyonki 11 baj chuke hai aur iske sath aapki neend poori nahi hoti.", Arjun ne khade hote hue bister ke ek taraf rakha Anamika ka gown utha liya.

"Ab ye kya karne lage tum?"

"Oh bhabhi, raat ko saree me soyengi kya? Didi ke kamre me badal lena ye.", Arjun ke aisa kehne par Anamika thoda khul kar muskuraai. Hontho par aaye doodh ke 2 katre is bholi surat ko bhi uttejjak dikha rahe the.

"Yaha badal kar chalne me koyi parhej hai tumhe?", Ab Arjun kya jawaab deta.

"Haan. Aap badal lo, main bahar chalta hu.", Arjun ke aisa kehte he wo kisi bachi ki tarah khilkhila kar hansne lagi.

"Bade ajeeb devar ho aur bilkul bailbuddhi, jaisa badi maa kehti hai. Hum bathroom se badal kar aate hai. Tum yahi ruko.", Anamika ke aisa kehte he Arjun ne sharam se sar jhuka liya apni soch par. Anamika jaise he bister se uthi, wo hare rang ka blouse saree ke sarakne se Arjun ki najro ke saamne aa gaya. Hukk khule hone par wo gol-matol doodh se bhara gora stann geele nipple ke sath beparda tha. Ab jaha Arjun ka gala sookh gaya is najare se wahi Anamika ne uski najro ko jadd dekhte hue unka peecha kiya toh ek tej sihran poore sharir me ho gayi. Wo furti se saree ko seene par failati hui Arjun ke hath se apne vastra leti bathroom me daud gayi.

"Sorry. Mujhe aise nahi dekhna chahiye tha.", Kapde badal kar Anamika sakuchati hui bahar aayi toh Arjun ne najre jhukaye bas itna he kaha.

"Sorry. Mujhe dhyaan rakhna chahiye tha, galti tumhari nahi hai.", Anamaika ne bache ko lene ke liye hath aage badhaye toh ek baar fir dono ke sharir kaamp uthe. Is baar toh dono ubharo par Arjun ke hath kinaro par ragade gaye.

"Sorry.", Dono ne jaise he ye lafz ek sath kaha toh sharam ke sath sath chehre par muskaan aa gai thi.

"Devar ji, itna chalta hai aur baaki pehle wali toh meri galti thi. Ab chalo yaha se kahi teesri baar shayad sorry ki jagah kuch aur he na bolna pada.", Anamika chachi ki is baat par Arjun sar khujata hua unke peeche peeche chalne laga tha. Itni kaamuk ghatnaye hone par aaj wo jaan chuka tha ki maa ke sath ye raat shaant nahi jaane wali. Anamika chachi ke baare me beshak wo kuch aur khayaal nahi rakhta tha lekin us najare ne anjaane he usko uttejitt kar he diya tha jiska khamiyaja ab uski maa ko bhugatna padega.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Anamika ke sath baten or jo bhi scene create hue lajawab the.
Arjun ke chhote dada bhi bhare pade h vasna me.
Kharidaari wala scene kamal ka ban pada tha.
Total update bahut hi khoobsurat.
 
Status
Not open for further replies.
Top