Kingsingh
Enigma's fan
- 895
- 3,730
- 138
Kya baat hai BHAI Baal ki khal nikalna koi apse sikhe har ghatna par paini nigah hoti hai apki .ab aapne keh diya .. to ab thode he karenge .. waise inke puri talsu-balsu ho rahi hogi ki koi kucch jyaada sawaal-jawaab nahi kar raha .. aur itne story ko lekar log miss-fire na maarne shuru kare to itne apne Enigma bhai ke roti gale se neeche na utarti .. khair jab hum hai to kya gum hai .. main karwata hu lekhak ji ki roti hazam .. waise kucch jyada faayda to milna nahi .. kyonki inke nuskha to Doctorni sahiba ka he sahi kaam karta hai .. kyonki hamari baato ko to ye darkinaar kar dete hai ya aadhi aan unpar chuppi saadh lete hai .. ye baat aka3829 bhiya bakhoobi jaante hai ../..
magar bechare ko kahi to aajaadi to .. office mein to clients aur saathi .. aur ghar par phone par inki ardhaangni ji inke upar sawaar rehti hai .. ab bechare yaha aate hai apne dimaag ko relax karne .. magar yaha bhi koi na koi inke gale pada he rehta hai .. (abe kya bakchodi kaat raha hai .. seedhi tarah review likhle .. itna faaltu ka time na teri ramkahani sun-ne ka) ../..
********
ha to ye bataayega koi ki .. Umed / shankar ke dimaag mein kya alag he kicchdi pakti rehti hai har time .. waha Afsana aur Ritu / Arjun ke shashtraarth ke dauraan bhi ye dono khusar-fusar mein lage the .. aur yaha thaane mein bhi Sr. Baagdi aur uske 18 sarpancho ko lekar kya bhasad failayi hui thi .. yaha Sanjeev / Arjun to sirf mohra he the .. asal mein to ye apna ullu seedha karne mein lage hai .. Umed ko majboot karne mein aur Saarang ki jad kaatne mein ../..
waise aaj kal in ladkiyo ke samuh mein Maadhuri kum he dikhayi deti hai .. shayad nimaarmundi chooriyo ne Maadhuri didi se kinaara kar liya hai .. kyonki badi behenji ab in ladki se mahila ban-ne wali hai .. badlaav .. aa raha hai ../..
haan ek baat aur yaad aayi ye Arjun aur uski Madhu bua ke beech ye nain-matol kya chal raha hai .. kucch to indono bua-bhateje ke beech alag he kicchdi pakk rahi hai .. kucch na kucch to ye log karne ka soch rahe hai .. shayad koi surprise pariwaar ke liye .. ya fir bistar todne ki taiyaari ho .. magar iske chance kam he lag rahe hai .. bistar todne ke maamle mein to abhi Maadhuri didi ne Arjun ko kabza rakha hai .. chalo itna to chalta hai .. waise bhi bechari jald he paraye ghar chali jaayegi aur kisi aur ki amaanat ho jaayegi .. tab tak Arjun soot-samet poora byaaz sootne par laga hua hai .. shayad isi liye Ritu/Alka shaant hai .. magar yaha bechari Afsana inke beech shikaar ho jaayegi ...
Afsana se yaad aaya .. aaye haaye .. kya likha hai Enigma bhai aapne .. Afsana ke alfaaz aur uski gooft-e-go aur shayrana lehje ne to dil ke taar he hila diye hai .. matlab aap Afsana ke kirdaar ko Preeti ke smaksh laane mein ya shayad us-se bhi aage le jaane mein koi kami nahi chhod rahe hai .. har ek baat ko itne itminaan se aur itni tafseel se socch-vicchaar kar poora samay dekar rach rahe hai .. kucch to khaas karne wale ho .. shayad shaadi ke darmiyaan he ya fir Preeti ke College mein jaate he .. naya badlaav aane wala hai .. jo shayad Kahani ko nayi roop-rekha dega ../..
waise Roop-rekha se yaad aaya .. apni Pyaar-100 baar ki pramukh naayika MRS. Rekha Sharma ka .. abhi pichle 1-2 update se inpar focus kam kiya jaa raha hai .. sirf halki-fulki jhalak ya koi aupcharikta ko poori karne ke liye he inka jikrr ho raha hai .. lagta hai Sanjeev/Maadhuri ki shaadi mein inka kucch hatke naya kirdaar dekhne ko mile .. abhi tak to bahut he nimn-prakash dala gaya hai inke kirdaar ki extra-co-curricular activities par .. saath he inki chaaya Komal aur inki pramarsh-data Krishna ji bhi purdeh ke peeche he hai ../..
aakhir mein aa kar Preeti-Afsana ka saamna ji tarah se hua .. us-se to muzhe ek baar ko aisa prateet hua ki jaise ye dono ek dusre ko pehle bhi kahi dekh chuki hai .. kyonki is-se pehle shayad ek baar inki phone par baat ho chuki hai .. khair jo bhi hoga ya hai wo next update mein saamne aa he jaayega .. magar tab tak mann ashant he rahega .. kahani ke iss mod par to in dono par alag se he paathako ka dhyaan badhaya hua hai .. dekhte hai lekhak ji ne kya socha hua hai .. kya pata yaha bhi shayad rachayita ne paathako ko jhatka dene ki socch rakhi ho ...
iss kahani mein abhi pata nahi kitni guth-thiya aur sulajhni hai .. magar yaha sulajhne ki to baat door hai .. yaha to kucch kirdaar pichle 50-60 saalo se khood mein aur dusro ke bichaaye jaal mein uljhe hue hai .. pata hote hue bhi .. aaj bhi usi maarg par agarsit hai jis par chalte hue unhe abhi tak nirasha ka he mooh dekhna pada .. Saarang ne jo galtiya jawani ke josh mein ya fir nasamjhi mein ya fir hadd se jyaada vishwaas ke chalte ya Vishwaasghaat ke maddenazar aaj jo paristithiya khadi hui hai .. ya jo galtiya pehle kabhi hui aaj bhi to wohi dauhrayi jaa rahi hai .. shayad jaane-anjaane mein kaho ya fir pratishodh mein .. magar umar ke iss padaav mein to iss pratishodh mein khud ko jalana to sirf moorkhta he hai .. jiske parinaam ko dekhkar aaj bhi jis rah par agarsar hai .. uspar to aage bhi kul ka sarvnaash he hona hai .. dono aur apne he hai .. aur kisi bhi aur jaan-maal ka nuksaan ho .. magar uski chot aur uska asar to dono he aur jaayega .. taali kabhi ek haath se nahi bajti .. beshak Saarang ki aur se majboori rahi ho ya pratishodh .. magar galtiya to Rameshwar ji ki aur se hoti aayi hai .. beshak unpar inka niyantarn na raha ho .. par aaj mein bhi to sab kucch jaante hue bhi usi daldal mein fasne ko dono Vajeer aur inki sena badh rahi hai .. beshak aaj bhi Saarang aur Pandit ji kitne he rasookh wale ho aur inki kitni he pahuch ho .. magar abhi bhi sirf ek dusre ko gherne mein he lage hai .. asal bimaari ka ilaaz karne mein kisi ka bhi koi khaas dhyaan hai hai .. aur ek taraf to iski jadd pandit ji ke sansar ki buniyaad ko kamzor karne mein lagi hai .. aadhikaarik taur par na sahi magar iss mahamaari ne jagah to bana he li hai .. Shankar ke mann-vichaar par Madhulata ne jiss tarah shikanja kasa hua hai .. wo Arjun / Rameshwar ji ki laakh koshisho ke baad bhi nahi theek hone wala .. Arjun isko kucch samay ke liye taal to sakta hai .. magar poorntya iske prabhaav ko nishkriya nahi kar sakta .. aaj nahi to kal bagawat to honi he hai .. fir chaahe mohra koi bhi ho .. dekhna ye hai ki kya ye sab log iss 'Sansar' ko bacha paayenge .. kya in sabka pyaar aur Vishwaas iss naiya ko lajwanti ke failaaye jaljale ke paar le jaa paayega .. ya beech raah mein he sab kucch bikhar jaayega ../..
Poorn-Viraam
Aur ab Enigma Bhai se request hai ki Meri taraf se b issi review ko swikar Kare