dadi jee bhi anokhee hain wo ghar kee dhuri jinke ird gird saare pahiye chal rahe hain, agar wo na ho toh shabkuchh bikhar jayega, log arjun kee barayee karte hain kee wo kitna mehnati hain wo hai bhi, apne pariwar ke baare mein bahot sochta hai lekin dadi jee bhi usko aisa banane mein aham yogdan rakhti hain, matlab saare ghar kee jimmedari unhone le rakhhee hain kisko kya karna hain, kisse kya jaroori hain.
unke bahuon ne toh ghar ke andar sara sambhal rakhha hain lekin kehte hain na head office wahee hain bhale hi wo shabko aadesh deti hain kyunki wo saksham hain aur ritu di bhi kuchh unke jaisi hee hain kaise wo arjun ko kya karn hain kya nahin yeh batati rahti hai, sach hi kaha tha ritu ne unke baare mein wo ek sarkar sambhal shakti hain.
aaj kuchh anokhe vartalap hue dadi-poti ke beech, anjane hi sahi dadi jee ne ritu kee mansha bhavishya mein kya hogi wo jaan lee, aur ritu bhi pariwar ko pehle rakhne walli hain, bhale hi khud pe kitne bhi kast kyun na ho jaye, aur wo kaheen na kaheen janti hain kee unki rah kaisi hone walli hain, mujhe unke liye bahut dukh bhi hota hain kee unka pyar pana aasan nahin hain,
sach mein agnipariksha toh unhe bhi deni hogi lekin arjun unhe aisa akela toh karne nahin dega wo bhi kadam se kadam mila ke saath chalega unke, aage bahut kast hone walle hain mujhe lagta hain jitne bhi sukhad pal the wo college tak hi simit rahne walle hain kyunki uske baad jeevan apni pariksha lena shuru kar dega.
kaisa ajeeb baat hain na kaheen na kaheen shankar jee, pandit je , dadi jee, aur bhi anya sadashya yahee chahte hain kee arjun aur ritu saath rahe hamesha ke liye, lekin phir bhi wo unhe alag karenge bhale hi mjboor ho ke, ajeeb hain samaj kee yeh reet, waise bhi hamara kanoon ek se adhik vivah hindu dharm mein anumati bhi nahin deta.
unka pyar shabse vihangam paristithi se gujrega, lekin preeti bhi isme pura saath degi, kyunki yeh teeno ek hain.
matlab koi kaise ek doosro ko itna adhik samajh shakta hain, matlab jalan, dwesh ladkio mein doosro ke liye bhara hota hain jo bhi unke partner pe najar rakhta hain, lekin yeh dono ulat kitna pyar karti hain ek dooje se.
waise aur bhi aayengi arjun ke life mein aapne panch tatva kee tarah toh unhe baant diya hee hain, lekin kya hoga jab yeh pariwar mein yeh baat jayegi.
dadije toh abhi ritu ke baare mein hi soch ke pareshan thhee, aur unhone iss rishte ko apne man mein maan de diya hain lekin jab baat auro kee aayegi tab kya hoga.
pata nahin bhai.......
chalo jo abhi bahut door hain uske baare main soch ke abhi se khud ko dukh kyun de.
aaj chhote bhai shabe pandit jee toh aa hi gaye hain, aate hi devki ne apni aadatan bartab shuru kar hi diya hain, lekin unhe pata nahin kee samne kaun hain.
dekhte hain unhe jab preeti ke baare mein maloom chalega toh kya hoga aur jab kaheen ritu dee apni mastmaula andaj mein agar unke samne aaye toh unki juban toh band na rahegi, kuchh nok jhonk toh jaroor hoga, yahee toh asli maza hain aap in nok-jhonk bhi jitne sanjeeda tarike se dikhate hain wo bilkul vastaveek zindagi jaisa lagta hain, jaise hamare agal-bagal mein aise kayee auntiya hoti hain jinhe doosri kee betio ya sidhe kahe doosre pe bina comment kiye man nahin bharta hain.
sach mein aap ladkio ko bhi achhe se samajhte ho, jitne sanjeedagi se unka baare mein dikhate ho, aisi ladkio kee kalpana matra sehi unse pyar ho jata hain.
kinke naam le, aisa kaun sa character nahin hain jo pyar ke kaabil na ho, ab baat bholi begum kee hi le lo. kamal hain apni baato se kaisi bhi mahaul ko khusnuma bana de , lekin bhai shabse majedar baat hain kee ladkio kee itne andar kee baate kee wo kaise ek doosre se baate karti hongi yeh aap kaise likh lete ho, bhai kya secret hain thora hame bhi sanjha kare.
kya pata hame bhi kuchh thora knowledge badh ladkio ke baare mein.
ab mardo ke beech kee baate ka toh hame pata hee hain, ab dekh lo arjun bhi kaise apne bare bhai ko chher raha hain, waise manna parega sanjeev bhaiya jaisa bhai hona hi ek vardan hain jinhone ne usse ek bahut hi eham yogdan diya hain arjun kee life ko ek disha dene mein, ab bhai sex education yeh insan kee life mine kitna eham hota hain, yeh aap sabhi jante hain.
sahi gyan na mile toh admi bhatak jata hain, aur khud ko hi nuksan pahuncha leta hai, unhone ne uski umar kee najakat ko samjha kee abhi agar sahi gyan na diya gaya toh , wo bhatak shakta hain , unhone ne khud hi apne saath le gay, bhala aisa kaun sa bhai karta hain.
jitna aasani se wo uske baare mein kitni baat jaan ke bhi usse hi sahi thehra dete hain ab renuka bua wala kissa hi le lo, koi aur hota toh arjun ka kya hashra hota yeh soch bhi nahin shakte hain, lekin unhone bas itna hi kaha kee tu galat nahin ho shakta hain bhia.
Itna biswas kee yeh kehna kee apne pyar se jyada biswas apne bhai pe hain, yaar koi dost yeh baat na keh shakta hain lekin ek bhai ke dwara yeh baat kehna apne aap mein hi unke beech ka gehra pyar ko darshata hain.
waise radhika jee aur arjun ke pehli mulakat kya hogi , jab wo pehli baar dekhengi toh unhe ek jhatka toh jaroor lagega, aur unki first conversation intejar rahega, sahi ek bhabhi hona bhi jaroori hain kyunki wo ek dost , ek raazdar hoti hain jo aapko kabhi-kabhi sahi faisle lene mein madad karti hain aur kabhi toh maa kee tarah pyar bhi deti hain.
ab waise bhi arjun ek lauta devar hain.
chaliye kuchh jyada bara ho gaya , ab keerti aur deepi ka khichhdi kaise pakti hain, itne bheer mein........