Update 181
Swayam-Avlokan
Market gaye sabhi log ghar wapis aa chuke the aur Arjun ko sath me liye Vinni didi apni maa ko dhoondti hui Kaushalya ji ki taraf aayi toh waha pehle he joshila mahol tha. Sabhi bujurg mahilao ke beech Rajeshwari ji, Ruchita-Shalini-Renuka-Madhu bua aadi mehfil lagaye baithi thi. Umed ji ke sath Narinder ji bhi vivaah sthal par ja chuke the jaha dhero tayaari dekhni thi.
"Ye aa gayi teri laado, bhabhi. Ho gaya tera lehnga tight Vinni?", Ruchita ne masti se ye dwiarthi baat kahi aur uske sath baaki sabi bua bhi hansne lagi. Kaushalya ji ne hansi me sath diya par Yashoda Sangwan ji ne hansne ke sath he Ruchita ko najro se ghudki de daali.
"Arre chachi, Ruchi ko kyun aankh dikha rahi ho? Madhuri ke baad ab iska he number lagne wala hai toh lehnga tight rakhna padega na?", Madhu ne ek kadam aur aage badhate hue kaha jis par Kaushalya ji ne uske sar par chapat laga di.
"Thoda dekh bhi liya kar Guddu.. Bhatija bhi khada hai tera. Haan Vinita beti, jaruri kaam tha kya kuch?", Purnima ji ne Arjun ka sar puchkaarte hue bola jo hairaan bhi tha aur samajhne me bhi laga tha ke ye sab aise majaak bhi karti hai.
"Wo daadi main toh poochne aayi thi maa se ki ye kaunse room me ruki hai. Inke pas he mera samaan rakh deti ya fir jaha kaho.", Vinni ke gaal halke gulabi toh ho gaye the lekin wo in sabke beech khud ko aise masoom banaye hue thi jaise usko kuch pata he na ho.
"Tera samaan teri maa ke pas na rakhiyo Vinni. Jamana kharaab hai.", Ruchi ne fer dwiarthi baat kahi jis par Madhu uske sath taali maarti hanste hue dohri ho gayi. Rajeshwari ji ko ab itni sharam aa rahi thi ki pallu mooh par he rakh liya.
"Arre bas bhi karo chhoriyon. Haan beta, wo teri maa Rekha ke he kamre me ruki hai. Aur agar tu chahe toh samaan Rekha ko pakda de nahi toh wo saamne almari me rakh de jab lena ho nikal lena.", Kaushalya ji ne godrej ki chabi Vinni ki taraf badhate hue kaha. Muskurahat unke bhi chehre par thi is hansi majaak ke mahol me. Vinni chaabi leti store ki taraf badhi thi aur Shalini bua uth khadi hui.
"Ae Madhu, tu upar wale kamre me he ruki hai?"
"Na, Manju ke ghar. Tere jija sath hai na toh aise mahol me log awaaj sunn lete hai. Tu chalegi kya?", Madhu ne yaha Shalini ko bhi lapet liya tha jis par wo ab apni chachi Kaushalya ji ki taraf masoomiyat se dekh rahi thi.
"Hahaha.. waise bhi ye saali wala farz hai Shalini.", Ruchi ne bhi kasar na chhodi thi.
"Toh saali toh tu bhi hai Ruchi aur ye Renuka bhi. Tum dono dekh aao aaj aur agar result sahi laga toh kal main dekh lungi. Chal Arjun, tere kamre me mera samaan rakhwa. Aur Renuka, tu chahe toh mere pas sone aa jana. Anamika toh Aanchal-Damini ke sath hai fer akele mujhe bhi neend na aati.", Shalini ne un dono ko chup karwate hue kamre se jaane ka rukh kiya toh Madhu bhi uth khadi hui.
"Main bhi chalti hu tere sath aur waise main yahi rukungi aaj mehandi lagwane ke liye. Unka (Ashok) toh kuch ata-pata nahi aur Himanshu ya toh apne nana ke sath hota hai ya idhar udhar. Renuka bhi rahegi apne sath me.", Madhu bua Shalini ke sath he kamre se nikli aur Arjun bhi. Aangan se dono bag utha kar wo apni dono bua ke peeche chal diya. Har kamre me mehmano ki awaaje aa rahi thi aur ghar ke sadasya unke he sath vyast the. Shalini sabse aage thi aur uske baad Madhu. Seedhiyan chadte waqt anyaas he Arjun ki najar salwar me kase Madhu bua ke bade bade kulho par chali gayi. Unki lachak aur thirkan ke sath kaamuk golaai ne pal me he Arjun ko sammohit sa kar diya tha jo Madhu bua se chhipa na reh saka. Shalini jaha darwaja khol kar andar ghusi, Madhu bua ekdum se apni jagah ruk gayi chalte chalte. Arjun kulho ki lachak me khoya sidha he bua ke naram pichwade se takraya aur itne he samay me Madhu bua ne uske ubhar ko atche se sehla kar aankh maari aur turant andar chali gayi.
'Bach gaya. Ye pata nahi ekdum kya ho gaya tha.', Arjun ne hosh me aate he idhar udhar dekha toh pichle hisse wale kamro ke darwaje band tha aur aangan lage shamiyane ki wajah se niche se toh kisi ki najar padne ka sawaal he na tha. Gehri saans bharta hua wo haal-kamre ko laangh kar apne kamre me aaya toh Shalini bua saree ke pallu se he chehra saaf karti hui khudko aaine me nihaar rahi thi. Is baar Arjun ki najar aaine me he unke thos ubharo par padi jinhe us blouse ne majbooti se kasa hua tha. Dekh kar he lagta tha ki Shalini bua ne jaise apne sharir ko samjha he na tha aur unke patidev ne jaise wo mehnat he nahi ki thi jiske hone par sharir ki maansalta badhti hai aur khaas jagah par bharpoor bharaav aata hai.
"Haan.. ab rakh de iska samaan yaha.", Madhu bua ne kutilta se Arjun ko dekha tha aur uski chori pakad li thi jis par sharminda hota Arjun najre jhukaye wo dono bag bister ke ek taraf rakhne aage badha aur wapis aane laga toh bedhyaani me uska wo sakht ubhra hua hissa Shalini bua ki nirvastra peeth se ek sidhaai me lagta hua nikla. Arjun toh iske baad ek pal bhi na ruka apne kamre me aur Madhu bua ne hairaan si Shalini ko dekha toh hansi chhoot gayi.
"Hahaha.. Munna ab bada ho gaya hai Shalini aur dekh tere sirf pallu hatne se he uska chehra laal ho gaya tha. hahaha.. Chehra dekhne wala tha Arjun ka jaise koyi panchi fadfada raha ho qaid me aur fir jagah milte he udd jaaye.", Shalini toh Arjun ko pehle bhi atche se mehsoos kar chuki thi lekin aaj ye ehsaas kisi ki upasthithi me hua tha isliye samay laga sehaj hone me. Lekin uske bhi chehre par hansi aa gayi.
"Gabru ho chuka hai wo Madhu aur mujhe lagta hai isme bhi teri he shararat hogi. Dupatta toh tune bhi nahi liya aur jhuk kar usko ye pahaad dikhayegi toh bechara mere kareeb se bhaagega he. Tu aaj tak waisi he shararti hai jo ladki kya ladko ko bhi nahi bakshti thi. Waise mujhe nahi lagta ki Arjun ko mere pallu hatne se farak bhi pada hoga.", Darwaja lagati hui Shalini ne apne bag se salwaar kameej nikaalne ke baad saree ko jism se alag karna shuru kiya toh Madhu uske chharhare jism ko lagatar dhyaan se dekh rahi thi.
"Tu na Shaalu, byaah ke 20 saal me bhi jaise adhkhili si hai. Sundar toh utni he hai jitni college me thi lekin lagta hai jija ne khaat-kabaddi jam kar nahi kheli tere sath.", Madhu aaine me dekh kar muskurati hui apni unnatt chhaati se kameej thik karke wahi bister par he baith gayi. Shalini bhi kuch unmukt muskurati hui darwaje ke palle laga kar wahi bagal me he pasar gayi.
"Madhu, jiwan me thehraav roopi samay jo grahan laga deta hai na us se ubar pana harek ke vash ka nahi. Jin halaat me bhaiya ka vivaah hua aur fir jaise mujhe jiwan ka naya daur shuru karna pada wo sab tu sabse behtar samajhti hai. Bhaiya (Umed) toh fir bhi samanjasya baitha gaye Rajeshwari bhabhi ke sath kyonki unke dukh-dard me wo sehbhagi bani. Rajeshwari bhabhi ne ghar sambhala aur Umed bhaiya ko Shankar-Inder bhaiya ke roop me barabar sehyog mila. Lekin mera kya Madhu?", Shalini ke damakte chehre ke peeche ek adrishya dard saaf mehsoos kiya tha Madhu ne. Ye gehan peeda itni safaai se sanjoye rakhna harek ke vash ki baat na thi.
"Sorry yar Shalu. Apni row me behkar main bhool he gayi thi ki tere dil ke ghaav nasoor hai. Wo sab hone ke baad kitni jaldi tera byaah ho gaya tha aur uske baad Aaisha ko janam dete samay kitni pareshaniyan sahi thi tune. Ek tarah se toh tujhme aur Renuka me kuch khaas farak he nahi hai siwaye is baat ke ki tujhe sammaan toh milta hai sasural me.", Hansod aur manchali si Madhu ke chehre par aayi shikan dekh Shalini ne mahol sambhalte hue apne gulabi labon ko failate hue prem jaahir kiya.
"Rehne de is sabko ab aur meri life utni bhi buri nahi hai. Bas ye gharane-varane me shishtachar ka dikhava jyada he hota hai. Lekin tujhe dekh ke toh saaf lagta hai ke teri gaadi ki service tabiyat se hoti hai. Mechanic ek he hai ya fir..."
"Dhatt.. kamini kahi ki.. Service wahi karta hai jiska haq hai. Waise tere liye agar atcha mechanic chahiye toh main madad kar sakti hu.", Ab Madhu bhi purane avtaar me laut chuki thi aur dono behne-sakhi jiwan ke wo pal ekant me batiya rahi thi jaha ka varnan aksar simit he rehta hai.
.
.
"Chhatt par gadde lagwa diye nawaab sahab?", Abhi Arjun galiyare se bahar wale aangan me pahucha he tha ki hukke ke tambakhu ki mehak ke baad apne dada ji ki tanjia awaaj sunaai padi. Yaha Dharampal Sangwan ji bhi maujood the 5-6 vyaktiyon ke sath. Shishtachar se sabhi ko pranaam karta Arjun apne dada ji ke he kareeb aa khada hua.
"10 logo ke bister toh laga diye hai dada ji aur cooler ka connection bhi kar diya. Waise itne log najar toh nahi aa rahe jo upar sone wale hai.", Arjun baat toh Pandit ji se kar raha tha lekin uska dhyaan farsh par ukdu baithe Vinod par he tha. Kisi atche bache ki tarah uska Vinod chacha apne pita aur tauji ke sameep he tha.
"Tere tau-chacha sabhi upar he sone wale hai beta aur atcha kiya cooler bhi laga diya. Kuch waqt idhar hamare sath bhi baith aur inse mil.", Apne dada ji ki baat sunte he Arjun ghutno ke bhar unke kareeb he baith gaya. Dehati veshbhoosha me 2 vyakti bade he gor se Arjun ko nihaar rahe the. Unki umar bhi lagbhag uske dada ji ke samaan he thi. Unki bagal me Hansmukh, Krishneshwar ji the.
"Ji."
"Ye bhi tumhare dada ji he lagte hai beta. Apne punjab wale gaanv ke sarpanch hai Dhaniram ji aur aap hai Mohan Sharma, hamare sehpathi evam bachpan ke mitra. Kapil ke ghar pe pariwar ruka hai toh kal tumhe unka bhi dhyaan rakhna hai. Market aur baaki sabhi kaam ke sath.", Gaanv ka jikar hote he Arjun ne gehan muskurahat ke sath dono ke he charan sparsh kiye. Jaise in 2 vyaktiyon ke roop me usko bahot kuch mil gaya tha.
"Jug jug jiyo munna. Suna tha ke Shankar-Inder jaise dikhte ho lekin galat suna tha. Bade Pandit ji ka aks ho hu-ba-hu kad-kaathi se bas chehra apne dada se virasat me pehle tumhare pita ko mila aur ab tumhe. Karyakram ke baad apni mitti dekhne aa rahe ho toh wahi tumse itminaan se baat chit karenge.", Ye Dhaniram ji the jinhone Mohan ji ke sath he Arjun ke sar pe hath firane ke baad chehra gor se dekhte hue aashirwad bhi diya.
"Ji jarur dada ji. Mahina bhar wahi rahunga chote dada ji ke pas toh aap sabhi ke sath waqt atcha gujrega.", Arjun ne gate ke sameep khadi Zubeidaa aur Vinni ko dekha toh turant uth khada hua. Rameshwar ji bhi samajh gaye ke wo unhe le kar dusre ghar jaane wala hai. Mann toh unka bhi uthal puthal se bhar chuka tha Arjun ke mulakaat karne ke tarike se lekin jaahir na karte hue unhone bhi jaane ki aagya di. Iske sath he Vinod bhi achanak he uth khada hua.
"Arjun beta, main bhi chalta hu tumhare sath. 10-15 minute tehal ke laut aaunga aur jabtak Shankar bhaiya bhi aa jayenge.", Arjun ne sar hila kar is ghaagh ka bhi swagat kiya. Ye 4 log yaha se rukhsat hue toh Hansmukh aur Krishneshwar ji bhi chhat pe tehalne ka bol kar patli gali se nikal liye. Ab yaha Sangwan ji ke sath sath ye 2 log aur Col sahab he baaki the Pandit ji ke sammukh.
"Ram bhai, ye bacha gaanv aa raha hai?", Dhaniram ke aisa kehne me jaise kuch gehra raaj chhipa tha jiska bhaan sirf Pandit ji ko he tha.
"Ek na ek din toh usne waha jana he tha Dhani beshak main ya tumhari bhabhi kitna bhi taal-matol karte rahe. Waise toh Arjun kaafi samajhdar aur suljha hua ladka hai lekin ..", 4 jodi aankhen badi utsukta se Pandit ji par lagi thi jo apni baat kehte kehte ruk gaye.
"Arjun aajtak pushtaini ghar nahi gaya hai bhai sahab? Aur lekin se aapka kya abhipraye hai?", Sangwan ji ka sawaal jayaj tha kyonki Rameshwar ji aksar apni baat poori he kehte the. Aaj unke itna dhime bolne aur beech me he rukne par sanshaya toh Col Puri ko bhi hua par wo kabhi sawaal nahi karte the.
"Huhhhhhhh.. Dhaniram ne jo Arjun ka varnan kiya tha doctor sahab wo sateek hai. Pehle toh gaanv isliye nahi bhej paaye ki boarding, swabhaav aur uski shiksha aadi kaaran the. Wo ghulne milne wala bhi nahi tha us samay lekin jaise jaise sharir badhne laga waise waise isko apne he daayre me rakhna majboori bann gayi. Khair ab wo bhi jana chahta hai aur main mana bhi nahi kar sakta. Niyati ko jo manjoor hoga wo dekha jayega.", Rameshwar ji jaise maan he chuke the ki ab avrodh lagana galat he hoga aur ispe baaki sabhi ne sehmati bhi jata di.
"Thik kaha Ram bhai aapne aur jinse aapko parhej hai wo log vivaah me shamil hone he wale hai toh yakeenan yaha bhi wo aapke pautra ko dekhenge he.", Mohan Sharma ke aisa kehne bhar se he Rameshwar ji ke jism me ek jhurjhuri si daud gayi. Garmi ke mausam me ye sard ehsaas ke sath peshaani par paseene ki boonde chhalakti hui saaf bata gayi thi ki ye paksh toh wo bhool he gaye the.
"Rani Amrita aur Kumar aa rahe hai Mohan?", Bas wo itna he pooch sake the.
"Ram bhai, aapne beshak khud apne hath se nimantran na diya ho lekin bhijwaya toh tha he. Kumar Mahendra pichle hafte he panchayat aur halke ka jaayja lene aaye the. Unke sath ek sahukar bhi tha jisko kaarkhane ke liye aapki he jameen pasand aayi thi. Kumar ne spasht he mana kar diya tha usko ye keh kar ki Pandit ji gareeb ko ghar basane ke liye bina mulya ye jameen de sakte hai parantu kisi vyapari ko mitti par kadam bhi nahi rakhne denge. Baaki rani Amrita aapko pita-tulya he maanti hai toh desh me rahe chahe videsh me, vivaah me toh shamil hongi he.", Dr Dharamvir Sangwan ji toh is kathan ko sunn kar he achambhit the wahi Col sahab bhi apne bade dharam bhai ki tarah gehri kashmakash me khoye apna he ganit lagane me vyast dikhe.
"Bas wahi log aaye toh koyi baat nahi Mohan. Unhone na hamare pita ji ko dekha hai sahi se aur na he wo Arjun ko us nigaah se dekh sakenge.", Pandit ji ne ek nigaah bahar daali toh us taraf bas gujarti hui car he thi. Kuch aashvast ho kar chehra saaf karke 2 ghoont paani gale se utaar wo choti si muskaan se Col Puri ko dekhne lage.
"Pandit ji, sach kahu toh itne jatil toh maine operation nahi dekhe jitne jiwan ke rang aap dikha dete ho. Hahaha.. ab rajgharane se agar aapke shubchintak aayenge toh isme pareshani he kya hai.?", Sangwan ji ne baat ke dauran he thahaka lagate hue sabko kuch halka mahol dene ki koshish ki thi jiski aavashyakta bhi thi jaise.
"Hahaha.. doctor sahab, apne Ram bhai sahab ko unke aane se pareshani nahi hai. Ye mehal ki dehleej par nahi jaate fir bhi mehal wale inke gaanv chale aate hai inke aane par. Unka baaki kisi se ko raabta nahi hai siwaye tathakathit Pandit Rameshwar Motilal Sharma ji ke aur chinta ki baat hai Badi Rani Saundarya ji. Swargiya Kumari Lakshika ki choti behan aur apne bade Pandit ji ki sabse laadli. Unhone ye chehra dekha toh wo Arjun ki maang he na kar baithe Ram bhai se. Kumar Mahendra ne vivaah na karne ka pran liya hua hai aur Rani Amrita khud bhi apne bhai ke nakshe kadam par hai. Khair maang toh nahi karengi lekin agar bacha waha mel-jol bhi karne gaya toh samasya ho sakti hai.", Mohan Sharma ke bayaan par Rameshwar ji ne sehmati me gardan hila di.
"Matlab kuch aisa jo Arjun ko nahi jaan-na chahiye?"
"Bilkul sahi aur wo kuch bataye chahe na bataye lekin Sangwan ji aap toh bhali bhanti parichit ho hamare natwar-lal se. Dhaage ka ek sira bhi najar aa jata hai toh wo poore jaale ko khole bina toh hatega nahi. Har haveli-mehal me hajaro aise kisse dafan hote hai jinpe samanya najar nahi padti.", Abhi ye charcha aage bhi chalti lekin ghar ke bahar 2-3 car rukne par Col sahab ne ishare se he is mantrana ko bhang karne ka nirdesh diya.
"Ye charcha fir kabhi karenge bhai sahab aur aaj Dharamvir bhai sahab hamare gareebkhane me rukenge.", Col sahab ke kehne bhar se bade sangwan ji haami bharte hue unke sath he ho liye. Sabse vida lene ke baad unhone bahar gor kiya toh unke bete ke sath Shankar, Inder, Umed aur ghar ke damad log aa chuke the. Sanjiv bhi Lucky Arora ko gate tak chhodne aaya, jo uske sath ghar ki chatt par jaane kitni he der se guftgu me vyast tha.
.
.
"Imtihaan toh atche he gaye honge tumhare? Ab parikshafal bhi aanewala hai.", Apni aadat se viprit Vinod bajaye apne se aage chalti un 2 jawaan ladkiyon ko ghurne ke behad sanjeedgi ke sath Arjun se baat karta chal raha tha. Zubeidaa ko kuch nirasha jarur hui thi ki dinbhar se wo Arjun ke sath thoda bahot bhi samay vyatit na kar saki thi lekin abhi halaat se samjhota he sahi tha. Arjun bhi apne is chacha ke sath jaise neeji baatchit ka itchuk tha jo sabkuch bhula kar Vinod se kadam milata hua uski baat bade gor se sunn raha tha.
"Ji chacha ji. Imtihaan toh sabhi ke atche he jaate hai bas ye parikshafal he fainsla karta hai ki ummeed sahi thi ya mehnat. Agle mahine parinaam aa jayega ya fir is mahine ke aakhir me. Waise is baar main aapke he pas baaki ke avkaash-din bitaane wala hu agar aapko aitraaj na ho.", Arjun ne ek najar Taneja niwas par karne ke baad Vinod ke chehre ke bhaav padhne ki koshsih ki jahan dikhave ki khushi saaf jaahir thi. Akanksha ke ghar me andar ki battiyan jalne ka matlab tha ke waha wo log abhi jaag he rahe the.
"Haan bhai kyun nahi aur wo kya sirf mera ghar hai? Mujhe toh atcha he lagega agar mera bhatija hamare sath samay bitaye toh. Waise akele he aaoge ya?", Vinod jitna chahe dhoort tha lekin dimaag ki adhiktar nass band he thi uski. Arjun ko aankna shayad samajh se pare tha.
"Soch toh raha hu chacha ji ki Ritu didi ko bhi sath le chalu lekin unhe gaanv ka mahol janchega bhi ya nahi. Waise dada ji bata rahe the ki kehne bhar ko he wo gaanv ha lekin kisi bade kasbe se kam nahi. Aapka toh waha rutba bhi bahot hai.", Arjun ne jaanboojh kar Ritu ka jikar karne ke sath Vinod ki badaai ki. Aur tareef sunn kar laajmi Vinod ka seena 1 inch chauda ho gaya.
"Tum waha aaoge toh jaan jaoge bhatije ki hum bhi kuch rasookh rakhte hai. Haan tauji ya Shankar bhai ka jaisa is shehar me hai utna toh nahi lekin hamare naam ke sath 'ji' har vyakti lagata hai. Pariwar rajgharne ka samkaksh nahi hai lekin utna he sammaan hai kasbe aur 10 gaanv me. Purane vyavahar ke liye mujhe khed hai kyonki tumse pehchaan nahi thi us waqt.", Vinod aur Arjun ke kadam is ghar ke bahar he thithak gaye jaha Vinni didi ke sath Zubeidaa bheetar dakhil hui. Chhatt par khadi Ritu aur Jasleen bhi inhe dekh liya tha.
'Main kuch der tak aata hu didi, aap log darwaja laga lijiye.', Arjun ne Vinod ko jawaab dene se pehle Vinni ko nirdesh dene ke sath he kadam us taraf badha liye jaha agli gali me park tha. Vinni bhi chote darwaje ki saankal andar se lagati hui chali gayi.
"Jaane anjaane jo hota hai uska kya bura maan-na chacha ji? Aap bade hai aur aapne agar kuch kiya hoga toh uski wajah hogi. Mile toh hum waise bhi pehle he baar the aur aap pichli peedhi ke sabse chhote aur laadle sadasya hai toh itna chalta hai. Mere dil me us baat ke liye koyi dwesh nahi hai. Agar aapko deri na ho toh kuch waqt is park me baithe?", Solanki ke ghar ke saamne wale park me dakhil hote hue Arjun ne Vinod ko bhi andar aane ka rasta diya. Dono khamoshi se chalte hue lohe ke us bench par aa baithe jaha Arjun ne Solanki ko sahi rasta dikhaya tha.
"Main bhi shehar me rehta hu bhatije toh sone ka karyakram deri se he rehta hai. Baatein toh karne se he hongi aur yaha vyavdhan pahuchane wala bhi koyi nahi."
"Ji chacha ji. yaha vyavdhaan koyi nahi pahuchayega.", Arjun angdaai leta hua Vinod ki tarah he bench par fail ke baitha.
"Tumne kaha ki main ghar ka sabse laadla raha hu toh is baat par he main vichaar kar raha tha. Aadha sach hai ye aur aadha sach tumhe pata nahi.", Vinod kuch udaasi se aasmaan ko dekhta hua bol raha tha jis par Arjun bhi kuch pal khamosh raha.
"Ho sakta hai kyonki main utna ghar me raha bhi nahi aur aapki taraf toh rehne ka mauka bhi nahi mila. Waise baaki sach kya hai?"
"Tumhe bura lagega lekin main bataunga."
"Jarur. Main jaan na chahta hu chacha ji.", Arjun bhi nabj tatol raha tha apne is nistej chacha ki jiske mann-mastishk me jaane kaunse aghaat the.
"Agar laadla he hota toh tum mujhe yaha wale ghar me saal-6 mahine me dekhte he lekin aisa toh hua nahi. Siyasat ya raajneeti kahi baahar se shuru nahi hote bhatije. Iski janambhoomi hoti hai pariwar aur jaise tauji mukhiya hai gaanv se dur reh kar bhi or mere pita maatra sanrakshak us jameen pe rehte hue bhi toh is se behtar udaharan kya hoga? Muneem ji ka bada beta maalik aur chota muneem bhi na raha. Hahaha.. Mahabharat har ghar me vyapat hai bhatije aur meri baat tumhari samajh me aa bhi gayi hogi."
"Haan lekin mera najariya jara alag hai chacha ji is par. Raja hona bahar se jitna vaibhavshali hota hai us se jyada dukhdaai aur tyaag se bhara rehta hai bheetar se. Aapne he kaha tha na ke bade dada ji ne pariwar se jyada is samaaj ko apna pariwar mana? Unhone tyaag kiya jisme daadi ji ne maa ke sath sath pita ki bhumika bhi nibhaai. Sarkari naukri par rehte hue bhi unhone ek paisa galat nahi kamaya. Retirement ke 10 saal baad jo insaan samaaj me, kanoon me vyast ho uske upar aarop lagana sahi hoga? Kheti ki kamaai, jameen ya papa-tauji ki kamaai ka ek rupaya wo nahi lete, sab bacho me barabar baant dete hai. Niketan ke naam bhi toh 2 din pehle unhone gaanv ki ek chauthai kamaai ke kaagaj banwaye hai. Toh aise vyakti par sandeh karna bhar paap hoga. Baaki aap bade hai toh aapko behtar pata hoga Mahabharat hai ya Ramayan.", Vinod ko is baat ka jara bhi bhaan na tha ke uske tau Rameshwar Sharma ne sabhi bacho se jyada uske he bete ke naam kamaai ka itna bada hissa kar diya hai. Arjun ke sath is charcha me wo jo soch kar aaya tha uske ulat he natije nikal rahe the.
"Ye tum kya keh rahe ho? Mere bete ke naam ek chautaai?"
"Wo bhi toh unka he vansh hai na chacha ji? Main galtiyan karta hu, aap bhi karte honge aur mere papa bhi lekin dada ji nahi."
"Tumhare sath kiye gaye bartaav aur galti ke liye mujhe maaf karna.", Vinod bench se uthte hue halka ladkhada raha tha jaise aaj us se kamjor vyakti duniya me koyi aur ho he nahi. Arjun uska hath thaame dhime kadmo se bahar ki taraf chal diya.
"Aapne ek baat toh sahi kahi thi chacha ji. Raajneeti aur jung aksar pariwar se he shuru hoti hai. Aapne jo kiya wo shayad is uddeshya se kiya hoga ki kisi khaas ko nuksaan pahunche lekin jab samay aapko ishara kare ki abhi aapka waqt nahi hai toh aise kadam nahi uthane chahiye. Manju atchi ladki hai aur agar aapki ranjish uske pita se hai toh aapko unse baat karni chahiye thi. Agli peedhi tak hum he toh galtiyan leke jaate hai. Waise XXXX Hotel ke manager Anoop se aapko pata chal jayega ki maine he us hotel par tala lagne se roka hai. Aur ek salaah dunga ki jitna ho sake utna duri Rakhiyega Raman Sharma ji se. Aapke chote jija aur Country Inn ke sanchalak se. Baaki main toh aapka bhatija he hu toh aapke liye mere dil me koyi dwesh nahi hai.", Arjun ne jis tarah se dhimi awaaj me ye bade bade khulase kiye the Vinod ke dil-dimaag me gehra dard uthne laga tha. Kaha toh wo PP Sharma ke sath mil kar Arjun ko he thikane lagana chahta tha aur usi mansha se wo uske kareeb hone ka dikhawa kar raha tha kuch samay pehle. Lekin is ladke ne usko he aaina dikha diya tha jisme Vinod ki tasvir behad kharaab thi.
"Tum Raman jija ko jaante ho?"
"Main kisi ko nahi jaanta chacha ji lekin aap koshish kijiye. Thodi mehnat lagegi aur ho sakta hai mushkile bhi aaye lekin sahi rasta mil he jaayega. Atcha ab main wapis chalta hu pichle ghar. Meri duty udhar he hai sabhi behno aur aayi hui unki saheliyon ki wajah se. Aapse baat karke atcha laga aur jab bhi samay milega hum aise he samay bitayenge. Goodnight chacha ji.", Arjun ne jaane se pehle jhuk kar Vinod ke paanv chhuye toh Vinod ne sar pe hath rakhte hue apna chehra ghuma liya.
'Goodnight beta', Is se tej wo bol he na paya kyonki rundhe gale aur aankhon ke kinare aaya wo paani andhere me bhi Arjun ko dikh jata. Dushmani aur badle ki bhaavna me jalte hue Vinod par Arjun ne aaj jaise kshit chaadar udha kar shaant kar diya tha. Pariwar aur sadasyo ki behtar paribhasha ke sath sath Raja ka tyaag aur nyaye Vinod samajh toh chuka tha lekin abhi ye nishchit na tha ke wo kis raah par jaane wala hai.