arjun ne churan de diya hain pandit jee ko... bechare abhi wahee udbeg mehsoos kar rahe honge ,,,,, jo humlogo ko hota hai jab update ke din goli de ke nikal lete hain Enigma bhaiya.... karne do thora intejar tabhi toh maza aayega padhne mein.... Toh wo bus adde waali jameen vivadit kshetra mein hain... ussi gaon mein jisse akhare mein chunauti ka jawab diya tha... enaam mein issi jamen kee maang karne wala hain jis pe kanya vishvidhyalay bana ne ke sochi hain usne ... akhir kisi ko kya aapati honi chahiye iss nek khayal se... lekin gaon kee politics hamesha vikas ke aade aati hain... khair rishta bhejne se pehleh hi byah kee sherwaani tayaar kar lee hain arjun ne....
sala yeh dil hee toh hai jo achhe achho ko peeth laga deta hain.... aksar yahee majboor bhi kar deti hain... pehle bhi hua tha,,, iss baar ke kahani kya alag hogi... khair abhi toh arjun miya dillagi kar rahe hain... ab dippa bhabhi ke chhat pe raat mein kayee kanyao ka kaam gyan badhne wala hain aur saath mein bharakne wala bhi hain....
vinod wakai sudhar chuka hain kya... ya phir wo ab bebas hain jo jaan chuka hain apni aukat aur jaroorat se jyada milne pe khus hain.... yeh raman wala kand ne bhi gehra prabhaw dala tha,,, jab apne kehne waale ne hi gardan pe haath daal diya tha,,,, tab jaa ke akal aaye vinod ko... lekin pp sharma jee ko abhi tak sachhai ka gyan na tha... sach jaane ke baad unke bhi tewar badal gaye hain... chalo achha hain glani mehsoos ho rahi hain apni kiye gaye galtio kee,, toh behtar hain....
Didi ko le jao hafte bhar Mauritious, taqat ki goli aur teil lete jana..... ek nalle ko doosri kee pehchan hain...
Zindagi badal ke rakh dee inki.... jo chaha wo bin mange mil gayee.... ab jaa ke usko maa aur behen galat lag rahi hain.... akhir patti hi toh pari thee iske aankho pe... jo khol dee hain arjun ne... lekin sala iss tarah ek jhatke mein sudhar gaya yeh launda... lekin jab dil mein badlav tha toh phir aanchal ke pichhe kyun para tha... sala harami itna sudharne ke baad bhi bhanji pe najar garaye hue hee hain...
Kuch din pehle toh usne pehli bar mujhse kuch kaha jabki maine toh 6 baras usko bas paltu pashu se jyada kuch samjha nahi tha. Kam se kam 6 baras toh pashchataap karna chahiye ya nahi?...... 6 baras beta tu dur rah tab tak idhar arjun anamika ka khayal rakh lega... lekin uske baad tujhe tairne layak tarantaal hi milega... arjun khudai achhi karta hain...
launde ko toh pre-booking karwani parti hain.... sala shab taraf date fix kar ke rakhha hain.... ab kuchh aur bhi hain jin tak abhi jana na hua hain... kya abhi sankhaya aur badhegi iss gaon mein..... sala kitne dil torega kyun mini ke najdeek jaa raha hain... gaon kee ladkiya bholi hoti hain sidhe shaadi ke sapne dekhne lagti hain... us ankur ko footne hi na do... baad mein uske saath kante bhi chubhne lagte hain.... kachot-ta hain....
.
.
In haramio kee hawas ne pariwar ujar diya.... Cheeh kaise insan hain jinhone apne hi khoon ko ganda kar diya.... umar ke iss paraw pe jaa ke bhi itni kaam-pipasha.... wo bhi bachhoo..... akhir koi baap kaise bardast karta kee kisi ne uski beti ko ganda kar diya.... aur wo koi aur na uska khud ka dada... aur maa kee aprakritk mrityu se kya aashay hain... kya unki bhi jaan lee gayee thee..... akhir juglal jee kee karni kee saza aaj pandit pariwar bhog raha hain.... inhi haramio ne kisi ke saath anyaya kiya jisne badle mein pura pariwar ka hi vinash kee thaan lee....
krishan aur sarang ko bigarne wala bhi inka dada.... bilkul apne jaisa bana dala... akhir galti un bachho ke bhi kaise keh shakte hain... jinhe unke hi baro ne uss aag mein jhonk dala,, toh phir wo khud kaise sahi fainsle le shakte hain.... agar margdarshak hi khud galat rah pe le jaaye... toh marg pe chalne wala kee kya bisat jo sahi galat ka bhed jaan le.... aaj jis halat mein krishan jee ko dekhte hain toh ghinn aati hain,,,, lekin kya yeh sahi hain.... unhe banane waale unke hi dada akhir saja de kar bhi toh unki wo kuritiya jo unke man mein daal dee gayee thee unhe toh nahin nikala jaa shakta hain... wo toh bas gayee ek yaad,, ek aadat,,, ek chaska ban ke unke jehan mein .....
aur akhir sridhar aur kalpatru se kiss jawab kee ummeed kar rahe hain.... wo kaamandh log,,, kya jawab denge... unhone jo bhi kiya wo dharm kee aar mein vasna ka khel racha aur saath dene waale inki hi pita.... Lekin Sabse jaroori sawal kee akhir ek tantrik ka ek rajmahal mein kya kaam... jab raaz inke haath mein aa bhi gaya tab bhi unhone kyun rakhha usse.... jab kee wo aise cheejo pe biswas na karte the aur shayad balwinder bhi nahin toh phir iski wajah kya thee? Lekin gayab hoti larkio pe inki najar na pari.. 50 se oopar laashe aur bhi ho kya pata... kaise prahari thee jo itni bari chuk kar baithe....
Yeh meenakshi raghuveer jee kee bari behen thee... aur shantanu raani prabhadevi ke bete... aur manjhli raani ne abhi tak kahani mein entry na maari hain,,, kya unka pariwar surakshit aur jeevit hain... aur unke bachho ne kabhi bhi davedari pesh karne kee kosis kyun na kari gaddi pe...
Bahaduri ka tamga mila hai kuch samay pehle usko. Bade bade afsar jaha apni jaan gawa baithe aur baaki koyi jana nahi chahta tha waha se wo daikati ki poori mandali pakad ke le aaya.... yeh wahee prakran tha na jisme raghuveer jee ne daakuo ko pakar ke thane la patka tha....
ya wo baagh jiske kadmo ki aahat aksar bakri baandhne wale ko bhi nahi hoti aur ye uska he kaal banta hai...... asli khel toh un bakri bandhne waalo tak hi pahunchne ka hain....
akhir kar damini ko chakit kar hi diya,,,, lekin badla bhi na le saka... akhir rishta hi aare aa jata hain... saali ne jo kaam kiya hain uske liye toh yeh kuchh bhi nahin tha.... lekin wo bas ek murkh aurat hain jo bas hawas kee aag mein istemal hi hui hain khud ke hi maa ke dwara.... akhir kaisi maa hain jo apne hi bachho ke saath aisa vyavhar karti hain... naagin hee hain,,, jo khud ke hi bachho ko bhukh lagne pe kha jaati hain...
kya devaki ke taar bhi tantrik se jure hain?? akhir kam umar bachhio se gayab karwane par shaq toh udhar hi jaa raha hain... puran aur netram yeh dono kaun hain... kya yeh tantrik ke sishya mein se hain.... akhir devaki ka sach kya hain??? Ek idhar anamika bhi hain.... bhnti bhanti ke log ek hi jagah pe kaise ek saath rah shakte hain.... akhir itne bhinn vichar hone pe ghutan na hoti hogi....
Toh pehli bhent in do lalchi bhai-behan se bhi ho gaya hain.... inhe bhi ussi gaddi kee chaha hain jispe na jaane kitno ne najre garaye rakhha hain... aur jinhe mil rahi hain unhe toh uski chaha hi na hain.... lalchi bhi patthar mathe pe lagata hain aur fakeer bhi,,, bas pathhar-pathhar ka fark hain....
yeh bhi shadyantrakari nikla,,,, sala kitne log mile hue the uss shadyantra mein .... toh phir saarang kaise aa pahuncha udhar ...... aur jab shab mile hue hee the,,, toh kisi ek ko kaise laga kee wo rajgaddi paa lega... jab davedar itne saare..... Juglal jee ko bade maharaj kyun kaha... jab raja bhupendar jee the...
idhar bhi pyar hi mila bhale hi paas na ho... panditjee ka sanrakshan inko bhi prapt hain lagta hain aise... aur yeh sala chutiya preetam,, yeh bhi khud ko raja kehta hain.... are kam se kam saarang ke paas toh ek riyashat toh hain... yeh kis riyasat pe raaz kar raha hain....