to aakhir rajkumari Lakshita ki maut ke peeche to bas .. Raaj-paat aur virasat he haasil karna ek kaaran raha .. Rameshwar ji ki agar shaadi hoti Lakshita ji se to wo bante kaabil raja .. Saarang se pehle preetam khud utradhikaari preetam hai .. bade bhai aur dusri raani ki santaan hone ke naate .. magar
Enigma bhai abhi tak ye baat clear nahi kari ki kya Shantanu aur lakshita sage bhai behen the .. ya fir main galat samjha .. aur kya devaki he wo ladki hai jisko Motilal ji ne wo bacchi apne kandho par ghat ki taraf le jaate hue us aghori ko dekha tha .. asli kamaan kiske haath mein hai .. iska sahi andaaza to abhi bhi nahi ho pa raha .. kyonki maniram aur lajjo to sirf kathputli rahe hai .. aur khud ko surakshit rakhne ke liye unhone rajkumari Anamika ka prayog kiya .. ya shayad aise disha-nirdesh mile ho .. magar motilal ji ne jin paapiyo ka narsanhaar kiya aur jo bach gaye .. wo bhi is sab jaalsaaji ke peeche asli khiladi to nazar nahi aa rahe .. jitna abhi tak main samjh paaya hu ...
waise aaj iss bakri ka itni jaldi mimyana muzhe kucch hazam nahi hua .. itne saalo tak ye ab tak kaise bachi rahi .. jabki kitni he baar to shankar ji ne haath saaf kiya hoga .. aur bhi pata nahi kitno ne inki sewa ka luft uthaya hoga .. to peeche se kori hone waali baat kucch hazam nahi hui .. par ek baat yaha ye clear hai ki devaki aur Daamini ka us rajasthan wale paakhandi aghori se koi naata nahi hai .. shayad aur 5-6 update lage kucch aur raaz jaahir hone mein .. ya shayad ye pura Pyaar - 100 baar ka part - 3 .. khair jo bhi ho .. ab ek to meri sooi Rekha ji ki maa par atki hui hai .. ki wo kaise ya fir unka peehar inse juda hua hoga .. kucch to hai jispe abhi 'hum' sorry 'main'
pahuch nahi paa raha hu ...
waise pehle sawaalo ka jawaab nahi diya .. iska matlab un sawaalo mein bhi shayad maine aapki koisi nabaz tatol di hai .. isi liye chupp ho Lekhak ji ...