• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

Naik

Well-Known Member
21,212
76,927
258
Update 205
Antim Itcha (1)

Bhavnaaye aakhir kya hai aur kyun inka samavesh har insaan me rehta hai? Kahi jyada kahi thoda bahot lekin ekakipan se bhara insaan bhi khayaalon-chetna aur vicharo se khud ko prithak nahi kar sakta. Aur jo raha he sabke beech ho, usme bhavnaye duniya ke rango se bhi kahi jyada gehri ya vistrit bhari hoti hai. "Feelings"

"Wo mera beta tha? Ye nahi ho sakta Satish bhai sahab. Dekho Kaushalya ye kya keh rahe hai ki wo saadhu mera beta hai?", Bahot samay laga tha Kumar Mahendra ke sath sabhi panch sarpancho ko mahol shaant karwane me. Pyaarelal ji ko he manch sambhalna pada ye batate hue ki Arjun ne jo kiya hai waisa uske padd dada bhi karte rahe hai (Thoda tarkik tha) aur wo insaan jiske saamne log jhuke the wahi aakhiri mujrim tha Raj-darbar ka jiski talaash se pehle Motilal ji duniya se rukhsat ho gaye. Baatein aur charcha toh jan-maanas me abhi dhero honi thi parantu Komal dwara Motilal ji ke sapne ka jikar ab dangal se aage wali janta ko bhi khamosh karwa gaya. Kanya mahavidyalaya wo bhi in 2 bade gaanvo ke beech us adde par jaha ye dono he prithak rahe 28 baras. Aisa mahavidyalaya jisme in gaanvo ke sath dur daraaj se ladkiyan har vishaya me snaatak aur us se bhi upar shiksha prapt kar sakengi. Is baat ki pushti swayam Kaushalya ji ne ki aur bataya ki shilanyaas stadium se bhi ek din pehle eitwaar ko hoga. Log chahe us manjar ko na bhool sakte the parantu aisi ghoshna ne bahuto ki aankhon me nami aur khushi la di thi. Abhi wo graam kalyaan ki baaton ko jaise taise nibta kar mike Vinod ko supurd karti Komal ke sath peeche hui toh Purnima ji ki ashrudhara dekh khud bhi kaanp gayi.

"Satish ye kaisa majaak he? Aaj pehle he main jaise taise apne paanv par khadi hu aur tum Purnima ko ye bematlab ki kahani bata rahe ho?"

"Bhabhi main majaak sirf bhai sahab ya bacho ke sath kar sakta hu lekin ek maa ke sath nahi. Wo daityakaar saadhu sa vyakti jab ghera cheer kar aage badhne laga tha toh usne mere kandhe par hath rakhte hue itna kaha ke Fauji chacha, maa se kehna ki hum aaj pita ji ki asthiyaan pravahit karne ke baad sidha Haridwaar niklenge. Gajendra sath chalega hamare.' Ab asthiyan yaha aayi hai aur Gajendra Umed hai jabki hum fauj me rahe hai, ye sab usko pata tha aur mujhe toh uska chehra tak sahi se yaad nahi. Lekin wo sabko jaanta tha aur Arjun ka guru hai jiske baare me hum me se koyi nahi jaanta.", Col sahab ki baat sunn kar Purnima ji se pehle toh Kaushalya ji he thandi padd gayi thi. Unhe girne se bachaya Komal ne aur swayam Rani maa ne dusri taraf se unhe sahara diya. Kursi par baithte he wo fafak uthi thi jinke aansu swayam Purnima paunchti hui unhe shaant karwane lagi. Komal ne paani aage kiya jisko peene se saaf inkaar kar diya tha uski daadi ne.

"Inhe bulwa Satish aur us Arjun ko bhi.. Ye khel nahi hai.. Ab un dono ko.."

"Bhabhi shaanti se suniye.. Wo dono bhi nahi jaante is sach ko aur wo bhi unhe nahi batane wala kyonki pehle wo apni maa se milne ka itchuk hai. Aap dono pehle khud ko sambhaliye, jawaab wo he dega. Komal bitiya tum inke paas he raho, main pata karta hu ke wo log kaha hai.", Col sahab wapis jaane lage the lekin Komal ki baat ne unhe waho rok diya.

"Aap bhi yahi rahiye dada ji, Krishneshwar dada ji kisi Jagtar ke sath unhe dekhne he gaye hai. Wo bata rahe the ki us taraf nadi hai aur jungle wala rasta. Ab mujrimo ko bhi sath leke gaye hai toh aapko jyada pata hoga ki udhar kya hone wala hai.", Saundarya ji toh khamoshi se bas sunn he rahi thi ye sab aur dil me unke bhi alag dwand jaari tha jaise wo bhi Sambhav ko jaan na chahti ho.

"Didi, mujhe aisa kehna toh nahi chahiye lekin Arjun ne aaj Pandit ji aur hume jis musibat se bachaya hai uske badle me hum sabkuch de kar bhi ye ehsaan nahi utaar sakte. Maa hum bhi hai aur samajhte hai ki aap dono ki dasha us waqt bhi sahi nahi thi aur ab bhi khaas nahi hai. Arjun jaanta bahot kuch hai lekin wo thik baapu ji jaise sabkuch apne tak he simit rakhta hai. Usko koyi saja matt dijiyega, meri binti hai aapse.", Yahi ek naam toh tha jo Kaushalya ji ke dard ko turant samapt kar deta tha. Unhe sab yaad aa gaya ki kaise aaj unhone apne us bache ko maut ka saamna karte dekhe jaha unki sabhi aulaad aur unke pati tak ghere se bahar bandhe the.

"Uske sath reh kar main he usko nahi jaan paayi Saundarya ji lekin lagta hai ki wo apne dada ke jakhmo ko bharne he idhar aaya hai. Wo chandaal mere bache ko upari taaqat bata raha tha aur baaki sab uske saamne bebas kyun the? Kaise niyam hai jisme ek baap apne bete ko bachane nahi jaa sakta? Aur kya hota agar yaha aaj Ritu nahi hoti? Main nahi jaanti is sabke baare me lekin inke pita ji ke aise kaunse adhure kaam the jo 2 peedhi na kar saki lekin ye ladka unse juda hai.?"

"Hamare paas toh sirf itni jaankari hai ki wo tantrik hamare dada ji se aagya praapt Raj-purohit tha jiske saamne hum sirf jhuk sakte the aur Pandit ji bhi. Arjun usko jaanta hai jo humne bhi balyavastha ke baad sirf aaj dekha? Namumkin he hoga na kyonki aap bhi toh nahi jaanti aur ek aghori ke saamne ye janta toh humse bhi kamjor hai. Col ji ne toh dekha tha na ki Arjun ne usko kisi aashram ke naam se chunoti di thi? Aur jo yuvak ghutno par baitha ro raha tha sirf apni behan ke aansuo se itna uttejit ho kar ki aaj wo har niyam kuchalne wala tha. Ab hum jitna soch rahe hai, utna jyada uljhan aur dukh me ja rahe hai. Ek masoom yuvak kaise is sabka hissa ban gaya?"

"Wo aisa he hai rani ji, jo dukh ko he khojta rehta hai. Maine bhi bhabhi ji se thode samay pehle yahi kaha tha ke uska wajood Ritu bitiya ke bina adhura hai aur uske sath toh pata nahi jyada behtar ya khatarnaak. Bas aapne jo dekha hai wo jarur yaad rakhiyega. Us ladki ki aankhon me aansu Shankar ko bhi pighla dete hai lekin Arjun fir meri aapki ijjatt nahi karega agar uske jimmewar hum hai. Maine kayi bar pathar khaaye hai Arjun se, uske bachpan me. Aaj wo us tantrik ko chunoti de raha tha tab usne kaha the ke wo dono us aashram ke shishya hai jiske saboot uske hath me the. Ye ladka bhai sahab ke network se bhi bahar kaam karta hai. Kaunsa aashram, kaisa shishya aur wo raj-purohit un sikko ko dekh kar mana nahi kar saka. Arjun tayaari ke sath aaya tha jo 5 din me he kar li ya wo bahot pehle se is sabka gyaan rakhta tha? Wo uska guru hai jo swayam ko bhabhi ka bada beta bata raha tha jabki aisa koyi avsar nahi jab wo vyakti dikhaai diya ho aaj se pehle. Aap bhi dukhi hai jaise meri dono bhabhi aur bahot se log lekin kya hum me se koyi bhi us shaitaan ko rok sakta tha jaise aapne apni aur bhai sahab ki lachari bataai? Arjun ne kiya aur wo jab yaha se gaya toh wo buri tarah jakhmi tha lekin uske paas jarur kuch aisa hai jo wo apne dada ko dene wala hai. Bhai sahab ne aaj apne pita ki pagdi pehni thi jiski chahat wo bachpan se rakhte the. Arjun unke pita ke sath pita ki mata ko bhi jaanta hai. Uske paas likhit me pramaan hai swayam Motilal ji ke aur bhai sahab ne usko apne pita ka dost kaha tha. Ab agar sabkuch samajhna aur jaan na hai toh hume shaant rehna hoga kuch waqt ye dukh dard bhool kar. Ram nikal liye Lakshman ko dharam sankat me chhod kar.", Col sahab ke tark aur sawaalo ne kaafi hadd tak inke aansu band karwa diye the aur unki majburi waali baat sunn kar Kaushalya ji ne halke se kaan khinchne ka abhinaya kiya.

"Usko aaj kuch ho jata na toh maine in sabki khaat khadi kar deni thi aur sath me tumhari bhi. Gaanv ek karte karte apna pariwar nahi bikhra sakti chahe mujhe swarthi he samjho lekin pehle he mere aanchal pe kayi peband lage hai. Pata karo in sabka jo tamasha karke nikal liye aur wo bhi inke sath bhaag gaya. Chot dikhai di toh ab gaanv se sidha ghar jaane wala hai. Komal dhoond jara is Ritu ko.", Kaushalya ji ki baat ab Vinod bhi sunn raha tha jo aashvasan deta hua niche utar chala aur Komal bhi. Logo ki taaliyan khatam ho kar ab kabaddi wali taraf rukh kar chuki thi jabki Pyaarlal ji apne mitra ke baare me thodi jaankari dene lage the apni in bahuon ko.
.
.
"Kya in teeno me se koyi Kalpatru tha baba? Waise bauji aap teeno ko he bula rahe hai papa.", Arjun ne bulane wali baat apni taraf se kahi thi aur uske aane tak 4 laasho ke upar parde jaise vastra lipte the, jiska matlab tha ke aise drishya Arjun se dur rakhe gaye.

"Tum bhi chalo yogi ji. Ya aghori bann ne ka soch liya hai ab?", Narinder ji nadi se hath mooh dho kar aaye the aur aate he unhone Arjun ki khinchai shuru kar di.

"Bas yahi ek upaye tha chacha ji aur mujhe ye shishya ki padvi wapis lautani hogi aashram ko. Baaki main aap sabhi se maafi chahta hu us sabke liye lekin iske siwa rasta nahi tha. Dada ji bata denge aapko is sabki wajah. Umed chacha, kuch khaas kaam bhi tha na jiske liye aap aaye the?",Ab Umed ko bhi samajh aaya tha ke wo toh shaitaan ki jubaan khulwana seekhne ke chakkar me asthiyan toh bhool he gaya.

"Sahi yaad dilaya bhatije, maa aur chachi ke paas toh hum me se koyi nahi hai. Waise isne kaha tha ke Kalpatru ki yojna alag hai aur wo hath nahi lagne wala. Nuksaan ke badle bada nuksaan.", Arjun apne chacha aur pita ki taraf dekhte hue wahi niche baith gaya.

"Kitni jaldi haweli pahucha ja sakta hai idhar se? Ye dargah wala gaanv he 4-5 kilometer hoga aur utna he aage hamari haweli. Devaki daadi khatre me hai papa. Main bhag nahi sakta.", Arjun ko hataash dekhte he Shankar ke kaan khade ho gaye. Poore gaanv ke mard toh mele me the aur haweli par sirf Devaki aur Meena.

"Ye Kalpatru kaun hai aur wo jaanta hai hamara ghar? Tumne pehle kyun nahi bataya aur ye sab bawaal hai kya? Mere paas toh sikka bhi nahi hai aur idhar se jaane ka raasta.", Shankar ko bhadakte dekh apni laathi sehlate hue Sambhav baba ne sateek jawaab diya.

"Udhar koyi vaahan pahucha hai chikitsak. Daud kar jao toh adhiktam 3-4 minute lagenge baaki chalane me tumsa daksh toh yaha koyi hai bhi nahi. Arjun ki yaha jarurat hai filhal aur Pandit ji se kehna ki wo fauji sahab ko bata de hum unki pratiksha Raghuvir ji ke aashiyane par kar rahe hai. Tumhe turant nikalna chaiye nahi toh Kalpature ke nishaan bhi hath nahi lagne wale.", Itna sunn kar jab tak Umed aur Shankar samajhte Narinder to daud he laga chuka tha. Arjun dwara Devaki ka spasht naam sunn kar wo samajh chuka tha ke baat kahi jyada gambhir hai jisme Arjun shamil nahi ho sakta.

"Lapak be Inder ko. Ye Kalpatru mera shikaar Gajju aur papa ko bhanak nahi lagni chahiye. Jaldi milta hu tumse bade bhai aur jara dhyaan rakhna mere bete ka, ek he hai hum teeno ka.", Shankar aasteen modd chuka tha bhagte hue aur Sambhav ne dhimi awaaj me itna he kaha, 'Chaaro ka anuj, chaaro ka.'

"Pasli tootne se bach gayi tumhari anyatha mamla gambhir ho sakta tha. Yudh me jab pratidwandi behtar ho toh jaruri nahi ki sirf vaar he karte raho. Prahaar se naajuk hisse bachana jyada aavashyak hai. Ye vastra utaar kar ek taraf rakho.", Smabhav baba apni us 4 foot ki lathi par khali hath he nahi ghiss rahe the, unki hatheli me kuch naram lep sa tayaar tha. Arjun ki pasliyon par 3 neeli lakire aur uske gird laal soojan bata rahi thi Sreedhar ke aise 2-3 vaar agar aur lagte toh Arjun uthne ke kaabil na rehta. Us thande lep ka sparsh apni pasliyon par hote he Arjun ki cheekh nikal gayi

"Ohhhh baba.. ye toh jaise aapne hajaro sooi.... chubha di garam garam.. aahhh maaaaa..", Wo hath bhi itna bada tha jisne lep ke sath pasliyon ko dabaye rakha. Lekin har gujarte kshann ke sath jaise Arjun ke chehre par dard nadarad hota gaya. Baba ka hath pasliyon par se alag hua toh waha bas lep he najar aa raha tha.

"Main tehkhaane se wo sab samaan leke aata hu beta. Tum is dusht ke jism par wo sookhi lakdiya saja do. Unki mukti is pishaach ke seene par he hogi jisko anjaam tumhe swayam apne hatho se dena hai. Wapis wahi se laut jana jaha se aaye the.", Arjun ko uski haalat par chhodne se pehle baba ne toh malham wala thoda se lep uske hontho ke kinare aur bohon (eyebrow) ke niche bhi lagaya. Arjun us jalan ko bardasht karta waise he dhad se nirvastra is umas lekin thandak bhare khamosh jungle me baitha raha. Sab samaan leke aane me kuch samay toh lagna he tha.
.
.
"Gajju, tu aur papa yahi utro bhai aur hum jara chote chacha ke sath ja kar aate hai. Jagtaar beta, tum sath chaloge?", Narinder jeep ki agli seat par baitha tha apne bhai ki bagal me aur Shankar ne jaise unko koyi baat ya charcha karne se pehle he dargaah ke pichli taraf utaar diya tha. Wo sachmuch he ek jiwat chaalak tha jiske hath har gaadi ko uski kshamta se adhik le jaane me daksh the.

"Tumhari maa aur baaki sab?"

"Aate hai papa. Aap jara logo ke beech rahe jis se unhe lage ki aap har haal me unke sath hai. Gajju, tujhe un bade bhai sahab ne kuch kaha tha. Fauji matlab Satish chacha. Chal bhai, daba de panja.", Jagtaar toh waise he jeep ke pichle hisse me baitha raha jisko thoda bahot toh Arjun ke sath he pata chal chuka tha ki maamla gambhir hai. Krishneshwar ji ko kuch samajh nahi thi aur unhe kuch bataye bina he Shankar ne Jagtaar ki jeep ek pal ko toh sadak par ragad he di thi. Jis andaaz me wo yaha se nikla tha dono gaanv ke beech padne wale highway par bhi usne koyi parwaah nahi ki kisi vaahan ya durghatna ki. Krishneshwar ji ke toh halak me saansein he rukne lagi thi is raftaar aur us chaalak se. Narinder toh beasar tha jaise usko iski aadat ho aur apni pistol ko load karne ke baad usne Shankar ke liye bhi wo swachalit 10 goliyon wali pistol tayaar kar di. Chaupal se aage nikalte he jaise ye jagah kisi marghat samaan dikhne lagi. Gaadi ke pahiye cheenkhte hue ruke the jabki unse pehle Inder kood kar haweli me ja ghusa jiske dono kapaat khule the.

"Yaha kaand hua hai bhai lekin idhar chhan-bin karne ka koyi faayeda nahi. Basti wali taraf bhaga is jeep ko. Ye khoon ki boonde bilkul garam hai jaise abhi kuch waqt pehle he gira ho.", Shankar darwaje se bhitar he aa raha tha ki Narinder usko liye wapis gaadi me aa baitha. Aangan se kisi ko ghasite jaane ke nishaan aur fir dehleej par us khoon ka muayana Narinder chand second me he kar chuka tha. Jo bhi koyi tha wo is gaanv ki taraf toh jaane nahi wala tha aur haweli sabse aakhir me thi. Shankar fir se adrishya apradhi ke peeche badh chala. Ab jeep dhool udati hui sarpat us kheto wali sadak par daud rahi thi jiske break ek baar fir tyre ko chinkhne par majboor karte hue lage. Saamne sadak ke beech me he Dilbaag aur 5-6 majdoor jakhmi the lekin Dilbaag Devaki ke sar par dhoti ka kapda bandhta hua uska khoon rokne me juta tha. Wo behosh thi.

"Ae Dilbaag yaha hua kya bhai? Shankar dekh jara chachi ko aur Jaggi beta tu aur chacha dekho kisi ke gehri chot toh nahi aayi.", Narinder toh utar gaya tha baaki dono ke sath lekin Shankar ke iraade jaise kuch aur the jo fir se jeep ko sadak se thoda utaar kar aage nikal chala. Bagal wali seat par pistol maujood thi. Narinder usko rokta lekin yaha uski chachi behosh aur log jakhmi the.

"Aaahh.. Inder bhaiya.. Badi maa ko kuch log aguaa karke le ja rahe the aur inke mooh par kapda bandha tha. Wo Meena bhi unke sath thi jo haweli par kaam karti hai. Maine koshish ki thi beech me rehda laga kar unhe rokne ki. Aahhh.. saalo ke paas dande talwaar ke sath rivolver bhi nikli. Wo udhar wale dono aadmi unke he hai lekin lagta nahi zinda bache honge. Mere paali ke bhi goli lagi hai par zinda hai wo.. Jaggi kisi ko bula la re."

"Shhh.. Shaant reh Dilbaag aur kisi ko nahi bulana. Koyi is baat ka jikar kisi se nahi karega. Chachi ke sar par ghaav gehra hai chacha. Jaggi ke sath haweli se car leke aao aap. Inhe hospital le jana jyada jaruri hai. Unhe Shankar dekh lega.", Abhi Narinder ki baat poori hui aur wo log jaane bhi lage the lekin dur kahi tej patakhe chalne ki awaaj aayi jo takriban 5-6 baar goonji.

"Aap log car leke aao, main dekhta hu udhar kya hua hai.", Narinder pistol muthi me dabaye is ghani dhoop me he us viraane ki taraf daud gaya. Jaggi akele car lene bhaga tha kyonki Dilbaag ki khudki haalat buri thi. Jyada khoon behne se Devaki bhi murchit thi.

"Abe tujhe kya hua aur ye jeep? Satyanash ho..", Narinder jabtak us sookhe pokhar kinare wali kachi sadak par pahucha Shankar usko apni he taraf aata dikha. Uski jeep pokhor me gir chuki thi, Jaggi ki jeep. Shankar ke bhi kandhe se rakt beh rah tha.

"Behanchod saale wo toh ghaat lagaye baithe the be. Matlab hum nahi aate toh Dilbaag aur baaki sab maare jaate. Maine usko dekha bhai jisne mujhe jehrila laddu diya tha bachpan me. Idhar koyi kapda bandh. Waise 2 toh dher kar diye maine lekin ye saali goli chho kar nikli aur jeep niche. Chachi ko jald leke jana hoga, wahi hosh me aane pe kuch bata sakti hai.", Narinder uski baat sunte hue bhi pokhar ki taraf chalta raha. Jeep jaha se niche giri thi uske 20 kadam aage he wo dhaatu ka safed patra uske hath laga. Kaale patre par safed rang se RJT ankit tha.

"Rajasthan se toh chachi ka peehar bhi hai na re Shankar.? Aur ye Meena haweli pe Chacha ne rakhi tha ya chachi ne? Hath utha thoda.. Bach gaya sirf chhoo kar nikli hai. Teri jarurat padd sakti hai chachi ke paas, majboot jaan nikli wo. Aur ab wo saadhu baba jis se tu bachpan me mila tha wahi Kalpatru nikla jiska jikar apne dada tak tha. Matlab chachi ke peehar aur is tantrik ka aapas me tagda mel hai. Hosh me raha kar bhai, hum unhe pakad sakte the lekin ab unhe pakde ya ye sab sambhale? Gaanv me baat faili toh bahot panga ho sakta hai.", Dono wapis ghatnasthal par pahuche toh Shankar ko Narinder ne chacha ke sath car me bhej diya. Pichli seat par Dilbaag aur Devaki ke sath Krishneshwar ji aur agli par wo Paali jiske jaangh par goli lagi thi.

"Yaar Jaggi teri jeep ka thoda nuksaan ho gaya. Jyada nahi bas wo pokhar me gir gayi.", Narinder ji ab un ghayalo ko Jaggi ke sath mil kar Dilbaag ke khet me le ja rahe the. Jism par dando ki maar bhi thi aur kuch teekhe cut bhi lage the lekin jyada gehre nahi.

"Wo toh cheej hai chacha, thik ho jaani lekin daadi ki jaan bachna jaruri hai. Arjun ne kaha bhi tha ke main kisi ko le kar idhar chala aau par wo chote pradhaan ji mujhe aap logo ko dhoondne le gaye. Dilbaag baai dileri na dikhata toh badi durghatna ho jaani thi. Waise bahar jo 2 mare pade hai unka kya karna hai?", Jaggi ke paseene aa chuke the kapde bhi kahi jagah se khoon ke dhabbo se bhare.

"Unhe toh fenk denge nadi me lekin is baat ka jikar filhaal kisi se nahi karna. Aur tum log bhi bhai. Tumhara ilaaj aur himmat dikhane ka shukriya main kar dunga. Waise koyi batayega ki hua kya tha?", Ek majdoor jo apni kamar par gamcha baandhne ke baad mooh dhone laga tha usne batana shuru kiya.

"Pradhaan ji, maine he sabse pehle dekha tha jab main Mukandi ko bulane haweli ja raha tha. Wo log badi maalkin ka mooh baandh kar sawari jeep me daal ke bhaag rahe the toh maine Dilbaag bhai ji ko us chowk se he awaaj lagaai jinhone jeep ke saamne chaare wala rehda adaa diya. 2 log beech ke hisse se bahar gire jinhe ek boodhe ne goli maar di. Unke baad 2 log no dande aur talwar se humla kiya lekin Dilbaag bhai ji ke sath hamare ye 4 bhai unse bhid gaye. Main malkin ko bachane pahucha toh us aurat ne pehle unka gala reitne ki koshish ki aur fir mere peit par wo khanjar chala diya jo jyada gehra na laga. Haan us beech ek bada sa tantrik tha jisne Dilbag bhai ji ke laat maari aur fir rehde ko ek taraf fenk diya. Jaane se pehle 2 goli us budhe ne aur chala di jo Bishma ki jaangh me aur bhai ji ke chho kar nikli. Aaj se pehle wo log idhar kabhi na dikhe the aur haweli wali naukrani bhi. Mukandi unke sath he faraar ho gaya. Hum toh police ke lafde me nahi padenge na maalik? Humari 2 bitiya byahne laayak hai."

"Na bhai tumne toh hamari he madad ki hai aur tum sabki jitni bhi betiyan hai sabka vivaah ab hamari jimmewari hai. Waise agal bagal me aur majdoor kyon nahi hai?", Narinder saaf kapde ko patti ki tarah faad kar unhe jakhmi logo ke hath, paanv par bandh raha tha jisme Jaggi unka sath dete hue sab dhyaan se sunta raha.

"Mukandi ke paas he wo log kaam karte hai na maalik. Thekedar wahi toh tha sabka jo aapke kheto se alag kaam karte hai. Aaj savere he usne sabki chutti karke daru kharcha de diya tha. Hum toh Dilbag bhai ji ke sath shuru se bandhe hai, 12 mahine. Nahi toh hum bhi nahi hote idhar. Waise aapki jagah he rehte hai aur khana pina badhiya milta hai maalik toh byaah wala mamla hum mehnat se kar lenge. Maaf karna maalik chota mooh aur badi baat lekin ye Mukandi sasura badi maalkin ji ka mooh laga tha. Wo uske jimme bahot se kaam lagati rehti thi aur pradhaan ji se alag bhi paise deti rehti thi. 2 din pehle bhi wo haweli se unke sath he chaurahe tak aaya tha aur aashirwad lene ke baad noto ki gaddi gamche me bandh ke jata dekha. Fir wo sapola unhe he dans liya. Uh laash hum thikane laga denge maalik jaisa aap kahe waisa he nadi me." Narinder ne bhi muskura kar is vyakti ki peeth par thapki de di. Insaan bahadur tha aur namak ka maan rakhne wala bhi.

"Bola na bhai ke ab betiyan hamari jimmewari hai. Is Mukandi ki chhanbin karwao Jaggi beta apne SI sahab se bol kar. Vyaktigat mamla rahe ye unhe bata dena. Waise Arjun iske baare me kuch jaanta tha ya usko iski bhanak thi pehle se lekin wo log din dahade aisa kaam kar denge ye nahi pata hoga. Khair jab thekedar he haweli ki khabar rakhne ke sath itne logo par hukumat chalata ho toh kuch bhi ho sakta hai. Jaggi, Arjun se milwa dena in sabko aur bata dena ki humne kuch kaha hai. Ab hume chalna chahiye. Haan, bhai tum logo ke yaar-bhai jo bhi ho unke sath mil kar agle talaab se wo jeep nikalwa dena. Hamari he hai, ye paise rakh lo.", Narinder ne 100-100 ke kayi note isi aadmi ko thama diye the jeep wale kaam ke liye. Ab wo Jaggi ko sath liye paidal he haweli ki taraf badh chala. Waha ab gaadi toh koyi nahi thi bas Arjun ki rani khadi thi jo in 2 logo ke liye bahot thi. Is saare maamle ko thik aise na sahi lekin apne pita ko toh batana he tha inhe. Devaki he kuch bata sakti thi lekin filhaal uski behoshi ne kaam mushkil kar diya tha.
.
.
"Lo sab vastra aur ye samaan ab tumhare paas hai. Lakdiyan badhiyan lagaai hai tumne aur ye ghee in vastro par aahuti ki tarah dene ke baad shanti paath kar dena beta. Ab mujhe bhi nikalna hoga, koyi barso se pratiksha kar raha hai hamari. Baad me tehkhaane me hum swayam shuddhi kar denge. Baaki kaam tumhe jab samay lage kar dena, bas aaj nahi. Chalte hai.", Sambhav baba ke jism par ab dhoti ke sath ujla kurta tha aur chehra dhula hua. Arjun unhe prashansha ki drishti se dekhta hua hath jodd kar uth khada hua.

"Toh ab fir kab milenge baba?"

"Ghar toh hamara yahi hai beta lekin koshish karna ki jab atyadhik jaruri ho tabhi milne aana. Humne kaha tha na jab tum vipda me hoge hum swayam pahuch jayenge, jaise aaj. Hamare ekmatra shishya hone ke sath tum bete bhi ho. Bete ke liye pita ke dwar pooch kar nahi khulte parantu isko itna matt badhne dena ki hum aaj wali galti fir kar baithe. Kuch jimmewariyan hai, unhe poora karne ke baad hum jarur milenge. Chalte hai abhi.", Sambhav baba ke shikari jaise fir se gayab ho gaye the apni suraksha nibhane me aur Arjun unhe jaate dekh kar Sreedhar ki shayaa par wo ek ek vastra saleeke se bichane laga. Uske hontho se shanti path aur aankhon me halke aansu the jo dukh ke nahi the. Har vastra ko usne rakhne se pehle mastak se lagaya tha jaise wo unse pehli aur aakhiri baar mil raha ho. Aaj usne Motilal ji ke dil ka sabse bada bojh kam kar diya tha. Kitni he der tak wo isme tallinta se juta raha aur jab har vastra supurd kar diya toh us peetal ki matki me maujood samoocha ghee vastro aur lakdiyon pe udel kar wo agni bhent karke nadi kinare ja baitha. Sreedhar urf Sidheshwar unhi masoom bachiyan ke niche tadap raha hoga jo uska kaal 50 baras baad bani thi. Niyati yahi toh hai aur swarg-narak bhi.

"Tumne hume apna vastavik parichaya nahi diya tha bete? Kya hum sirf sanrakshak he hai?", Ye Rameshwar ji the jo Col sahab ki jagah khud wo car chala kar aaye the jisme usnke sath Umed, Kaushalya ji aur Purnima ji maujood the. Abhi tak unhe haweli ki ghatna ke baare me koyi soochna nahi mili thi. Apni car se swayam Rani Saundarya aur Amrita bhi inke sath pahuchi thi jiske chaalak Kumar Mahendra the. Mehal ki bagal se jaane wale raste par he in sabki bhent Sambhav se hui aur Umed toh alag he bebasi se bas us pahaad se vyakti ko dekhta raha jo uska bada bhai tha.

"Ye mera bhai kaise ho sakta hai chacha ji? Hoga bhi toh ab aise saamne aayega aur isko swikaar kar liya jaayega?", Kaushalya ji ne Umed ka hath thaam kar usko shaant rehne ka ishara kiya kyonki Purnima ji ke aansu fir se shuru ho chuke the.

"Hamara vastavik parichaya is se jyada kiya hoga Pandit ji ki aapke pita ji hamara sabkuch the aur unke jaane ke baad hum wahi kar rahe hai jo jimmewari hume di. Vachan se kya sirf aap he bandhe hai? Wo bhi bandhe the aur hum bhi lekin aapke bhai sahab ne he toh hume unke supurd kiya tha. Humne na kabhi unse sawaal kiye na aapse karenge. Humne ek maa ko yaha vann se nihara aur dusri ki sirf tasvir dekh kar khush hote rahe. Wo (Raghuvir) tamaam umar humse ek shabd sunn ne ko taraste rahe jo humne siwaye baapu ke kisi ko nahi kaha lekin atche shikari the jinhone antim itcha me hume beta bata kar rishta pukhta karke shikaar kar he diya. Haan aaj humne baapu ji (Motilal) ki ekmatra itcha purn kar di toh aapke bhai sahab ki bhi karenge. Hamare pita Raghuvir ji ki antim itcha. Gajendra jiwanbhar 2-2 maaon ki chhaya me raha jo hamara anuj hai lekin hum.. Hum 16 baras baapu ji ki aagaya anusaar shiksha dikhsa me lage rahe ho kabhi sukoon se soye toh wo bhi unke seene lag kar. Saundarya maa, aapne toh hamara bachpan dekha hai na 2 baras tak, hum wahi shishu hai jinhe baapu ji ne aapko saunpa tha daai maa ke sath. Jo sawaalo ke jawaab de sakte the unhe kabhi aaplog he jawaab nahi de paaye toh hum kya kehte ya poochte.", Sambhav ke aise khulase se swayam Rameshwar ji aur Umed ki bhi najre jhuk gayi thi lekin Rani maa ke chehre par aaye khushi ke aansu bahot the Sambhav ko gale lagane ke liye. Haan wo pahaad jaisa tha lekin mamta ne jhuka diya.

"Hume gale lagna nahi aata maa aur jitna anubhav hai wo sirf Arjun ke sath hai. Chaliye aap toh apne bete ko pehchaan gayi.", Ab Purnima ji ka dharya aur dil jawaab de gaya jo uske saamne ghutno ke bal he gir gayi. Unke rudan aur swayam ko aahat karne ka bhaav dekh Umed se pehle Sambhav he unke kandhe thaam kar khada karke ashru saaf karne laga. Sadhe 5 feet ki kamjor si Purnima ji aur wo daityakar unka beta jiske hath chehre se dedh guna bade the.

"Sahi suna tha humne maa ki hamari teesri maa ka hridya kathor aur dusri ka jarurat se jyada naajuk hai. Hum Gajendra se jyada saubhagyashali hai ki hamare paas 3 maa hai agar aapki behan ki shanka dur hoti hai toh.", Ye pehla awsar tha jab Umed muskurata hua aansu baha raha tha. Kaushalya ji pehle he aavesh me thi aur ye sach jaan kar unka para sab kshamta paar kar gaya jinhone seedha us jhuke hue pahaad ka kaan khinch liya.

"Fir tu na utra us dangal me jab tera bhatija maa kha raha tha? Aur ye saare hooni ki jadd hai jinse tu sawaal nahi kar raha. Main inke baap se bhi nahi darti thi aur ab wo nahi hai toh tu rattu tote ki tarah bolega. 3 maa 3 maa wala tera gana baad me pehle chal ke tere baap ki aatma ko shaanti de agar ho gayi ho antim itchaye poori.? Aur tu Umed, is se sawaal kar raha jiske jaisa tu khud dikhta hai? In vachno ne aadha pariwar maar rakha hai. Log chale gaye lekin chhod gaye peeche vachan. Deke dekhe ab koyi ye vachan aur kasam, main karti hu uska hisaab. Tumhara rona band ho gaya ho rani ji toh jao inke sath. Aap yahi rukoge ji is Umed ke sath."

"Sach kehte the baapu ji ki badi bahu asli mukhiya hai, unke saamne toh wo swayam bach ke nikalte the ya deri se ghar jaate the. Aap yaha nahi rukenge, Pandit ji aur Gajendra ko sath chalna hoga hamare. Hum samajik insaan nahi hai toh aap he samjhayenge ki kaise sab karna hai."

"Waise mera naam Umed hai aur main pehle he tumhe bada bhai keh ke bula chuka hu. Wo alag baat hai ki tab umar aur taqat ki wajah se bola tha. Toh tumhe rani maa ne pala isliye papa ne aisi antim itcha rakhi thi. Mujhe toh itne saal yahi sochne me lag gaye ki kahi Rani maa unki jawani ka pyaar toh nahi thi. Sorry Kumar sahab aur rani maa, lekin humne toh wo bhi swikaar kar liya tha isliye aapse baat karne ke baad aa gaye idhar.", Ab Umed ko kya pata ki wo sab sach he bol raha tha aur is baar toh Rameshwar ji ko bhi uski baat par hansi aa gayi thi jinhone thoda sa tej thappad uske kandhe par jadd diya tha.

"Tum toh samajhdar insaan ho fir bhi aisa bol rahe ho? Rani ji ke baare me aise khayaal nahi rakhne chahiye the tumhe. Atchi baat hai ke tum maafi maang lete ho. Sambhav, beta kya hum tumhare sath thoda samay bita sakte hai?"

"Filhal hume khed hai Pandit ji parantu jald he mulakaat hogi. Asthiyan jarur yaha visarjit ho rahi hai lekin iske baad hume sidha ganga ghaat jana hoga, maa ke sath. Hum chahte hai ki waha sirf 3 maa aur Gajender, kshama kijiye anuj Umed. Umed sath chalenge. Hume vaahan chalana bhi nahi aata.", Sambhav 3 striyon ke sath chalta hua he durlabh jeev dikh raha tha aur uske peeche aate Rameshwar ji ke sath Umed, Kumar aur Amrita bas kabhi usko toh kabhi in 3 mahilaon ko dekhte. Hath abhi tak Kaushalya ji ne thama hua tha uska.

"Wo toh chalega he lekin meri baat ka jawaab na diya tune. Jab itna pahaad sa hai aur khudko Arjun ka guru bataya fir usko ladne kyun bheja?"

"Wo shishya ke sath he baapu ji ka waaris hai maate. Hamari seema bas wo vann aur nadi wala kshetra hai jiski raksha hume saunpi gayi hai. Us se bahar Arjun adhikari aur rakshak. Waise bhi hum bhi chunoti nahi de sakte the aur aapne dhyaan nahi diya ki Arjun beshak humse kamjor jaan padta hai lekin uske prahaar ko hum bhi jhel nahi paaye. Hum aapse jarur kuch sanjha karna chahte hai parantu sirf aapse. Uske liye hume samay milega.", Sambhav ko aise sochte hue bolta dekh Kaushalya ji ne he uske ankahe sawaal ka jawaab de diya.

"Wo jitna samarth hai ye tum behtar jaante hoge lekin tumhe bhi Ritu ke baare me nahi pata. Wahi sawaal tha na beta tumhara?"

"Ji maate. Jab Arjun 9 baras ka tha tabhi hume Shri Raghuvir ji ne uski avastha se parichit karwaya tha jaisa unhe aadarniya Pandit ji ne bataya hoga. Wo hamara khulasa apne bhai se bhi nahi kar sakte the jaisa vachan tha unka baapu ji ke sath. Tabhi hum mile the Arjun se. Hume varsh me bas ek mahine he avkash milta hai aur us samay humne bas Arjun ko samajhne me he vyatit kiya. Agle baras hume uski haalat chintajanak lagi aur jab kisi badi kaksha ke chhatra ne behan ke baare me usko apshabd kahe toh wo 10 baras ka yuvak vidhyutt parivartit ho gaya. Us ghatna ko shri Raghuvir ji ne wahi band karwa diya tha aur uski punravriti na hone paaye isliye hume niyukt kiya gaya Arjun ke sath har varsh 30 din vyatit karne ke liye. Hum nahi jaante the ki yahi wo behan hai jo us asimit urja ka strot hai. Ab wo khudko bahot behtar sambhaal sakta hai parantu us khaas pal me jab wo baalika aahat hogi toh.. Prabhu aisa samay kisi ko na dikhaye. Iska hal hamare paas bhi nahi hai maate."

"Judd gaye na tumhare bhi hath? Isliye usko ghar rakhte hai hum aur uski behan ko bhi. Dono sath hai toh fir bahar bhi chinta nahi lekin jaisa tum nahi hone ka keh rahe ho waisa darr hume bhi rehta hai. Waise Raghuvir bhai sahab ne ye bahot galat kiya aur agar wo aaj saamne hote.."

"Tab bhi tum kuch nahi kar sakti thi Kaushalya. Humne bataya tha na ke wo pita ji ke kahi jyada kareeb tha humse kyonki wo unke jaisa tha. Hume samajh nahi aa raha ki hum khush aur dukhi, eksath kaise ho sakte hai. Wo bhi aaj is khaas din par. Yahi hai Raghuvir ka thikana jaha kuch bhi nahi siwaye yaadon ke aur main unse dur he bhala. Ye samaan le jao Umed, main bahar he hu.", Rameshwar ji wahi ruk gaye the us viraan se ghar ke bahar jo band hone ke bawjood saaf suthra tha. Iski dekhbhal ka jimma swayam raj-mehal ke paas tha. Unke sath he Rani maa aur unke bache ruke toh is baar Purnima ji ne Saundarya ka hath pakda.

"Hum ab samaan rishtey se bandhe hai Saundarya, kadam peeche lene se wo badalne wala nahi. Bacho se anumati lena chahti ho?", Ab Kumar ne hath khade kar diye the aur apni maa ke jhuke sar ko dekh swayam Amrita unke sath chal padi.

"Anumati nahi le rahe aur is ye jagah hamare liye mandir si pavitra hai kyonki inki wajah se humne matratva samjha tha jab hum har rishtey se prithak ho gaye the. Na didi jiwit thi, na aapki badi nanad aur hamari bhabhi. Unke sath humne maa ko bhi kho diya tha lekin fir hume Sambhav mila, inka ansh. Umed ko nahi pata ki hum uski purani rishteydar hai mehal ki rani hone se?", Ye baat ghar ke bhitar jaate hue sunn kar baaki sabke he kadam ruk gaye the siwaye Kaushalya ji, jinhone wo darwaja khola tha bagicha paar karke.

"Badtamiji ke liye dil se kshama chahte hai hum aapse rani maa. Ye toh khud kabhi pita ji ne bhi nahi bataya tha aur na chacha ji ne. Itna dukh aapne jhela wo bhi akele. Haan wo kabhi mehal ki taraf aane nahi dete aur gaanv bhi aate the toh hum logo ke sath nahi. Kehte the ki waha koyi vaasta nahi unka. Aur isliye he chacha ji ne hume nahi bataya hoga. Dukh aksar bacho se dur he rakhe jaate hai. Waise is tarah toh hum bhi daavedar hue mehal ke?", Gambhirta ko khatam karne se kiya gaya ye uphaas sunn kar Sambhav khamoshi se Purnima ji ke sath bhitar chala gaya lekin rani maa ne jarur Umed ke sar pe hath firaya.

"Maaf karna bete lekin uska ek alag sach hai. Waaris Arjun he hai hamare jaane ke baad ya fir wo jiska chunaav kare, sabhi sharto par khara utarne wala uske samkaksh. Haan tumhe Kumar ke samaan poora haq hai jo aajkal khud Arjun ke prem me dooba hai. Dekh lijiye apne pita ka ghar, kuch yaha bhi khaas mil sakta hai.", Bhitar saaf kapda bichaye Sambhav dhyaan mudra me baithe the diya jala kar aur uske kareeb he asthi kalash tha. Kaushalya ji aur Purnima ji har jagah gangajal ke chhinte de rahi thi, sab khidki darwaje khol kar. Aaj aakhirkar is ghar se he Raghuvir ji ki antim itcha purn ho rahi thi. Kayi rishtey dikhe the aur kayi dikhne ke bawjood najro me na aa sake. Yaha se aage ab Rameshwar ji ko waha jana tha jaha filhaal Arjun nadi me dubki lagata hua khudki haalat behtar kar raha tha. Wo lep asadharan tha jisne uske dard ke sath nishaan tak har liye the.
.
.
"Papa abhi tak nahi laute ye Binod. Bata ke gaye hai ki wo log kidhar nikle hai?", Mele me logo ka hujoom kahi bhari ho chala tha aur gram-prabandhan yaha vijayi team ke sath baaki sabhi ko sammanit karte rahe. Vinod idhar bhi apne pita aur tauji ki gairmaujdgi ki bharpaayi me laga tha. Is baar unke he gaanv ki team jeeti thi 3 baras ke antraal baad. Manji wale daar ji ne toh apne bete ko he kandhe par utha rakha tha aur aisa he haal baaki khiladiyon ka tha jo dangal bhool kar sabse ghulte milte khushi jahir kar rahe the. Shahid yaha apne dono beto ke sath aaya tha aur Jugraaj ji bhi har team ko badhaai dene ke baad dhol ke thaap par apne ladko ke sath bhangra karne me masroof. Bas ek Narinder aur dusre col sahab he the jinke chehre par kuch pareshani thi. Ghar ki ladkiyan bhi Anamika chachi, Dipa bhabhi aur Roshni ke sath he sahi suraksha me mele me masroof thi, chahe wo mann se idhar nahi thi lekin sabhi ke vyast ya nadarad hone par yahi unki majboori thi. Ab Narinder ji ke dikhaai dene par wo bhi manch ki taraf he laut aayi.

"Inder bhai, main toh aapke saamne he fansa hua hu aur tau ji se poochna matlab sabke saamne jhaad khana. Gaye hue bhi 2 ghante hone ko aaye unhe aur yaha sabhi pooch rahe the unke baare me. Udhar dargaah par bhi Arjun ne jana tha lekin Komal bitiya bata rahi thi ki wo udhar jaane se bhi bach raha hai. Waise Shankar bhaiya aur papa nahi dikh rahe.", Ab Vinod ke sawaal ne Narinder ko raha saha pareshaan kar diya tha lekin jaise bhagwaan ne uski pukaar sunn li thi jo mehal wali car se uske pita utarte dikhe aur Krishneshwar ji ki neeli esteem se Shankar. Lekin unse pehle he Ritu apne pita ki taraf daud gayi.

"Vinod, XX hospital me chachi admit hai bhai aur wo khatre se bahar hai. Meena ne un par humla kiya tha aur shayad wo ghar se kuch chori karke bhaagi hai. Ghabrane wali baat nahi hai kyonki sahi samay par main aur chacha pahoch gaye the unke paas. Shaam tak chutti mil jaayegi toh tu Inder ke sath lene chale jana.", Shankar ne ye baat jaanboojh kar apne pita ke saamne kahi thi aur car se bahar nikla Arjun bhi sab sunn kar sakte me aa gaya.

"Shankar bhaiya, matlab maa ke bahot jyada chot lagi hai.? Wo thik toh hai na? Main abhi jata hu unke paas."

"Binod, 2-3 ghante me chhuti mil jaayegi bhai aur thoda khud ko sambhaal. Wo thik hai bas Meena ne unke sar pe kuch mara tha jis wajah se behosh ho gayi thi aur samay rehte hum unhe hospital le gaye the. Badi baat hoti toh main tujhse pehle papa se kehta yar ya fir Inder ko batata.", Shankar ne toh yaha apne bhai ko bhi bacha liya tha is kaand se.

"Dargaah ke baad main khud jata hu Vinod ke sath. Aur tum dono bhi nikal jana wapis Satish aur Ritu ko lete hue. Tumhari maa aur chachi raat tak he lautne wali hai, Sambhav apne pita ki shanti ke liye Umed aur unhe le kar Ganga ghaat gaya hai.", Yaha abhi ye log pehle sadme se bahar na nikle the ki ye naya bomb fodd diya tha inke pita ne.

"Kaun Sambhav aur wo kaunse pita ki shanti ke liye gaya hai jaha hamari maa aur chachi bhi chali gayi?", Narinder he sateek sawaal karta tha.

"Wahi iska guru aur tumhara sabse bada bhai. Wahi toh tha jiske hatho asthiyan visarjit karwane ke liye Raghuvir ne kaha tha. Mil lena us se lekin sirf saawan me he haweli aayega baaki 11 mahine nahi mil sakte us se. Oh bail, chal ab jo kaam tu karne aaya hai wo kar le. Baad me chala jaaiyo teri mandali ke paas.", Shankar aur Inder ek dusre ko he hairat se dekh rahe the aur Arjun sar khuja raha tha. Vinod ke kandhe par hath rakh kar uska manobal badhate hue Rameshwar ji apne dusre hath se wo safed rumaal nikaal chuke the

"Mera jana jaruri hai kya bau ji? Aapke papa ka naam aap he laga do na.", Arjun ko peeche hat-te dekh Rameshwar ji thithak gaye aur uska hath pakad kar chalne ke liye kehti Komal didi se bhi Arjun ne hath chhudwa liya.

"Chala ja ab jo kaam tere jimme hai wo tu he karega. Maine chunoti di hoti toh ek minute nahi lagata waha maatha tekne me. Aur naam bhi tu he lagayega is jagah par.", Shankar ji ke kathor rukh se bhi Arjun ne bas sar jhuka liya lekin wo aage nahi badha. Narinder ji apne bhai ko shaant kar rahe the peeth sehla kar.

"Yaar chala ja jab itna sab kar diya toh. Soch liyo teri maa bhi udhar he baithi hai. Kyun sabke saamne thaanedar ji se marammat karwane par tula hai?", Ab bhi wo apne paanv jameen par he ghisad raha tha lekin jaise he uske sar par Ritu ne saaf vastra bandha aur apne sar pe bhi dupatta liya wo ektak uske saral se chehre ko dekhta raha jaha nirmal si aabha thi aur mook aamantran. Uske baad na kisi ki awaaj sunaai di aur na waha ka shor he uske kaano tak pahucha. Aage chalti Ritu aur uska hath pakde peeche Arjun. 25 kadmo baad wo us dehleej par tha jaha bhitar jaane se pehle usko apne dada ki tarah hath dhone ke baad shish jhukana tha. Wo bas khada raha aur uske dono hath swayam Ritu ne he dhulwaye jaise wo bachpan me karti thi uske kapde kharaab hone se bachane ke liye.

"Beta idhar sar jhukana hai, udhar nahi.", Arjun ko thoda tircha jhukte dekh Rameshwar ji ne he usko disha dikhaai. Bhitar wo ruhaani mehak aur dargaah ke gird jalti anginat agarbattiyan ka par-sakoon dhumra. Mann swayam he jaise uske adheen ho chala tha kyonki is pal me bhi usne apni behan ka baya hath thaam kar kuch majbooti se pakde rakha.

"Wo bade pandit ji aaye the idhar kabhi?", Arjun ne idhar bhi ye sawaal pooch he liya jis par Rameshwar ji chaadar kholte hue Vinod ke sath usko ek sire se pakde the. Dusri taraf Ritu ne Arjun ko bhi pakadne ka mook ishara diya toh bina hath alag kiye usne ek sira thama aur dusra Ritu ne. Thik aise he mauke par sawaal kiya tha.

"Pita ji aakhiri akhada jeetne ke baad he aaye the idhar. Mujhe khushi hai ki tum kam se kam unke liye he sahi par aaye toh. Jaisa tum maante ho beta, ye sthaan bhi pavitra hai jo kisi dharam ka paryaaye nahi, sewa aur aapsi sauhard ka paryaye hai. XXXXX ji ek fakeer kehlaye par duniya ko gyaan aur insaniyat sikhaai. Jaise mela sabke liye hai waise he ye sthaan bhi. Jo sahi prerna de wo sthaan sabse pavitra. Waise tum iske sath he raha karo beti, nakel humse toh nahi khinchti is adiyal tattu ki.", Iske halke fulke gyaan ke baad Rameshwar ji ne aur kuch na kehte hue paridhi par chakkar lagane ke pashchaat fir se shish navaya aur pavire lou le kar bahar chal diye. Arjun toh jis pal Ritu se alag hua wo toh bas uske he sajda karta niharta raha. Anjaane he sahi lekin wo he uske sath kadam rakhti is jagah aayi thi jaisa Arjun ka vaada tha. Dupatte se dhaka wo sar aur hath jode ghutno par baithi hui Ritu ke siwa bas ek khaas ehsaas tha us pal me.

"Sar teko ab.", Ritu ne dhime se aadesh diya toh waisa karte hue bhi Arjun najre ghumaye usko he dekh raha tha jis par wo gussa hoti bahar he chali gayi.

"Oh baba ji ab bulwa liya aapne bhi lekin wo naraaj ho gayi mujhse. Waise jagah sachmuch atchi hai aur agar meri maa mujhe yaha leke aayi na toh pakka thoda waqt rahunga aapke paas. Chalta hu abhi lekin aa gaya hu toh aage bhi aaunga. Hamare poojniya Motilal ji ki taraf se aapko shat shat naman.", Arjun waise he sar ko dhake ulte paanv he bahar laut aaya jaha Ritu nahi dikhi par Dargaah ke bahar wale us khali ghere ke kareeb naam patrika aur sandesh liye uske dada jarur mil gaye. Ab toh udhar panch-sarpanch ke sath Graam-samiti ke 6 bujurg bhi the.

"Chalo beta ab isko bhi apne hath se waha laga do. Is par likha hai ki manushya ashaant ho toh kisi nek ki sharan me aaye kathor galti karne se pehle. Ye sthaan sabke liye hai aur iska koyi maalik nahi. Abhaari aapka sewak.", us par toh naam he nahi tha.

"Ye kaisi naam-patrika hai bau ji? Aur bade pandit ji ka naam kaha hai?"

"Ye unhone he lagaya tha toh unka he naam hua. Ab idhar bhi likh de kya Pandit Motilal ? Kamakal ho tum thode. Log padhte hai aur jaante hai ki ye kisne lagaya aur humne hataya tha bas. Ab lagao apne hatho se aur maafi maang lo hamari taraf se.", Arjun ne bhi kahe anusaar waisa he kiya aur hath jodd kar peeche hatt gaya.

"Maafi aap he maang lo bau ji. Mujhse toh direct baatchit hai unki.", Arjun ko aise hanste hue jaate dekh swayam Pyaarelal ji aur baaki logo ke chehre par bhi hansi aa gayi.

"Vekh lo chacha ji, kidda keh ke gaya apne padd-daade vaste. Maaf karna pita ji, jajbaat aksar galti karwa jaate hai.", Rameshwar ji ne bhi hansne ke baad sar jhuka kar maafi maangne me waqt na lagaya. Dono bade gaanv ki team pehle dusre sthaan par aayi thi aur hath mooh dhone ke baad wo sabhi dargaah ke bahar he khade the. Apne bujurgo se aashirwad lene ke baad bhitar shish jhukana bhi ankahi pratha bann chuki thi is khel mele ki. Arjun sabhi se hath aur gale lagne ke baad us aur chal diya jaha usne Ritu ko jaate dekha tha. Wo mele se bahar he ja rahi thi lekin sadak ke dusri taraf jaha wo peele phulo ka amaltaas ka vriksh laga tha.

"Aao tumhe kuch dikhana hai.", Arjun us neeli khuli jeep me sawaar hota Ritu ke kareeb aa ruka tha. Wo kuch pal bas usko ghoorti rahi wo peel phool ki tehni pakde. Narajgi saaf jahir thi uske chehre se lekin khamoshi se wo bagal wali seat par baith he gayi. Jeep gaanv se bahar ki taraf kuch waqt chalne ke baad ek taraf mudi jaha purani diware he khadi thi aur wo lohe ka darwaja. Us char-diwari se ghire bade se maidaan ke beecho beech ek safed moorat bani thi jo aaj aisi saaf thi jaise usko waha aaj he lagaya gaya gaya ho. Uske niche he sangmarmar ka 3 feet ka chokor burj jis par likha tha Maa Anuradha. Ritu us moorat ki taraf swatah he khinchi chali gayi jiske chehre ko koyi rang diye bina bas bariki se tarasha gaya tha. Chaya ke liye uske upar bana kaanse ka chokor chhatra. Kitni he der wo usko niharti rahi aur khule darwaje ke beech khadi jeep me baitha Arjun usko.

"Ye bahot khoobsurat hai Arjun aur jaise maine aisa kuch kahi dekha hai. Tumhe pata hai ye kiski hai?", Arjun jeep andar leke aata hua thik uske saamne ruka aur chasma seat par rakhte hue Ritu ki taraf ek aasha se dekhne laga. Jis andaaj se Ritu ne usko baahon me bhara tha wo yakinan ek jiwant pal tha sirf aur sirf alokik prem se bhara. Arjun uske adheen ho chuka tha poori tarah.

"Ye hamari hai aur barso se idhar he thi. Inke saamne main tumhe aise he milna chahta tha Ritu kyonki Arjun se prithak ye Rudra sirf tumhara hai.. sirf tumhara. Aaj ek vada aur poora hua, tumhe apno ke saamne he khud ko tumhare supurd karne ka. Bas aise he tum mujhe jiwanbhar thaam kar rakhna, main utna samajhdar nahi hu. Tumhara Rudra aaj bhi waisa he hai jaisa pehle tha.",

'Humne khud ko he dekha apne khawab me, thoda sa vilayati swaroop tha lekin jeep yahi thi jo abhi hamare paas hai. Wo bahot khaas pal tha kyonki jab hum us se utre toh ek bilkul hamare he nayan liye sundari ne humko aalingan me bhar liya. Humko ummeed nahi thi jaise unki aur sach me abhi tak hum mehsoos kar pa rahe hai us hridyagati ko. Avismarniya aur dono itne samaan jodidaar kaise ho sakte hai? Wo sundari hum par haavi thi aur pehli baar jiwan me humne khud ko kisi mahila ke adheen surakshit paya.' Motilal ji ke wo shabd sarthak ho chuke the kyonki yahi toh wo yuvti thi jiske adheen unka wo swaroop tha jiska naam Arjun tha.

"Mera Rudra.. Mujhe wo Arjun ke samaan he pyara hai lekin uske sath rehne ke liye mujhe Arjun ki bhi jarurat rahegi. Shayad wo us tantrik se bhi jyada jokhim bhari raah ho. Meri chahat toh hamesha se wahi hai lekin apne pyaar ke liye apno se he jhoojhna anaikti hoga Aaru."

"Meri antim itcha unhe bhi maan ni hogi bas us samay tak mujhe thaam kar rakhna jaise aaj tak kiya hai. Wo sab jaante hai ki Arjun par kayi adhikar ho sakte hai lekin is par.. ye sirf tumhe mehsoos karta hai.", Arjun ke seene par rakhe apne hath par uski dhadkan mehsoos karti Ritu ki aankhon me bhi khushi ki halke se aansu aa chuke the.

"Buddhu ram, maar bhi jaungi na toh bhi tumse alag nahi hone wali main. Bas dekh rahi thi ki tum sachmuch is hadd tak sochte ho. Mujhe Arjun naam he pasand nahi tha lekin wo tumhara hai isliye atcha hai. Mere liye Aaru he thik baaki jo sabko nahi dikhta wo toh mera he hai. Aaj toh tumne sabke saamne manwa diya ki hum dono alag nahi hai. Baaki daadi ki itcha bhi thodi gair-samajik he hai. Filhaal tum mujhe thodi is maa ke baare me bataoge.", Ritu uske kandhe pakad kar jeep ke bonut par he aa baithi thi jo garm nahi tha. Uski bagal me sath baitha Arjun usko ye pyaari kahani sunane laga jo usne padhi thi.
Bahot bahot shaandaar mazedaar lajawab update bhai
Bahot khoob superb lajawab
 
Raj

Well-Known Member
4,444
15,227
158
Update 203
Raat Ka Humsafar

"Amrita, kab tak apne kaksh me rehne wali ho beti? Khana yahi bhijwa du?", Saundarya ji apni vyast dincharya aur karyo se faarig ho kar 7 baje lauti thi aur apne bete se baat karne ke baad thoda vishram aur vastra badal kar unhone samay dekha toh saadhe 8 baj rahe the. Aksar 8 baje unka aur dono bacho ka khaane ka samay nirdharit rehta tha lekin Mahendra apne samay se bhojan karke udhyaan me tehalne gaya tha aur Amrita ki sewika ne rani maa ko bataya ki choti rani toh dopehar se he apne kamre se bahar nahi nikli. Maa ko chinta hona laajmi he tha jis wajah se unhone Amrita ke kamre ke darwaje par dastak di, jo bhitar se band tha.

"Oh maa, mujhe bhookh nahi hai. Aap dinner kar lijiye, hum thoda sona chahte hai.", Amrita bhitar kamre me aundhi karwat liye thithil aankhon ke sath muskura rahi thi us tasvir ko apne chehre ke pas dekh kar. Aaj wo vastra badle he bister par thi jo thoda ast-vyast bhi tha jaise wo anginat karwat leti rahi ho bister pe. Saamne mej par rakha aadha khali juice ka gilaas jiske kinare par swayam Amrita ke hontho se utri coffee ke rang c laali lagi thi. Muskura kar apne chehre ke aage he baah karke wo jaise fir wahi sapne dekhne jaane wali thi jin par uski maa ki awaaj ne viraam laga diya tha lekin ye itna asaan bhi nahi tha.

"Darwaja toh kholo jara Amrita. Nahi hai khaane ka dil toh koyi baat nahi par baat sunogi hamari? Tumse salaah karna jaruri hai ek maamle me.", Ab Amrita bina he apni dasha dekhe khijti hui us disha me chal di darwaja kholne. Aur apni beti ko aise alsaya sa ast vyast dekhne ke baad rani maa ne wo alag sa noor bhi dekha jo is awastha me bhi Amrita ka abtak ka sabse khoobsurat chitran kar raha tha. Aisa unhone swayam kabhi nahi dekha tha lekin ye jo saamne thi aaj bilkul bhi anushasit-shaleen aur saleeke se nahi thi. Kurti kahi se upar niche, jagah jagah chunnat padi hui aur wo ghungrale kesh jinhe aksar Amrita bandhe rakhti thi ya dupatte-saree ke pallu se wo chhipe rehte the, aaj kahi chehre ke saamne se seene tak toh kahi dusre gaal par kandhe se aage. Chehre par aalas sirf najro me tha jabki chamak aur alag si surkhi.

"Dekhti rahogi maa? Aa jao andar ya rehne do aapke kamre me he chalte hai aaj toh?"

"Shhh. Hume bhitar aane do aur hamare kaksh me humne bulaya nahi aur na tumne waha dastak di thi. Hey ram.. ye rajkumari ka kamra he hai na ya hum kisi schooli bache ke kamre me pahuch gaye hai? Sirhane farsh par, chaadar dekho aur ye tumhara dupatta waha kursi par.. kitaabe mej se niche giri hui.. Amrita kahi tumne sharaab toh nahi pee?", Rani maa ke toh mooh par he hath chala aaya tha aur Amrita ab kahi ye sab dekh rahi thi jo uski maa ne bataya. Chehre par sharam aur pakde jaane ka darr lekin wo apni maa ke saamne bhi aajkal chanchalpan dikhane se baaj nahi aati thi.

"Hum soye the aur wo badi khidki khuli thi maa. Koyi bandar aaya hoga jisne ye sab kiya aur chala gaya. Dekho waha par fruits bhi rakhe hue the dher saare lekin ab thode he bache hai.", Rani maa takiye bister par rakhne ke sath khud he us ujli hui safed chaadar aur ek feet unche naram gaddo ko vyavasthit karne lagi. Amrita mooh chupati hui kitabe wapis table par tikati hui turant bister ki taraf lapki jaha uski maa pahuchne he wali thi. Ekmatra pehle se pade takiye ke niche se wo 3x5 ki photo nikaal kar wo palti toh ab maa bister ki taraf aage na badhti uske saamne khadi thi.

"Ye kaunsa bandar tha bitiya jo tray kele aur papaya chhod gaya? Aur hamari aalsi rajkumari ne aisi furti jis kaagaj ke liye dikhai hai, koyi shadyantra toh nahi wo jisme tum aur tumhara bandar shamil ho?", Ab wo maa he thi jo bache ko hansi majaak me he range hath pakad leti thi chahe bache kitne bhi bade kyun na ho jaaye.

"Aisa kuch bhi nahi hai maa. Wo toh bas ye jaruri kaagaj hai aur aap bed thik kar rahi thi jis se kahi ye diwar wali taraf na sarak jata. Haan aur hum bandar se dosti karne wale lagte hai kya aapko? Ab usko kya pasand hai kya nahi, ye uski marji. Aap aajkal bematlab bahot se anumaan lagane lagi hai.", Amrita asaani se haar swikaar karne walo me se nahi thi aur apni galti par toh bilkul bhi nahi jo rani maa atche se jaanti thi. Juice ka gilaas utha kar unhone bas ek baar sahi se dekha aur usko choti mej par rakhi tray me rakh diya. Tray me pehle se he coffee ka cup pada tha jisko hath tak nahi lagaya gaya tha aur sandwich jiska ek hissa he khaya gaya tha lekin waha bhi thodi si gehre bhoore rang ki parat thi, mamuli si. Apni maa ko aise wo sab gor se nirikshan karte dekh Amrita ne apne baal sahi karne ke sath thoda jism ko bhi vyavasthit kiya. Pata nahi ab wo kya pooch le aur Arjun ka batana bhi padega aur khud ko bachana bhi.

"Kamre me aur kaun aaya tha...

"Arjun nahi aaya tha maa. Matlab aaya tha par chala gaya tha.", Jaldbaaji me Amrita ne sawaal sunn ne se pehle he jawaab de diya tha. Usko yahi lag raha tha ke maa poochne wali hai 'Kamre me Arjun aaya tha'

"Haan chala toh gaya hai kyonki hume bhi thoda bahot dikhaai deta hai lekin ye bandar mehal ke niyam kanoon todne ke sath ab bhitar bhi utpaat machane laga hai. Kadi saja milegi is bandar ko hath lagne par."

"Ye sab Arjun ne nahi kiya maa.", Amrita ke chehre par pareshani dekh kar rani maa bas halke se muskuraayi fir wapis gambhir.

"Humne kab kaha ki Arjun ko saja denge? Hum toh us bandar ke liye keh rahe hai jo aajkal mehal me utpaat machane ke baad hamare shayan-kaksh tak aa pahcha. Bol dete hai prehriyo ko goli maar de ya jaal me pakad kar fir jungle me he chhod aaye. Hamari beti ka jhootha sandwich tak nahi chhoda us bandar ne.", Ab Amrita apne dono hath mooh par rakhti dhamm se bister par baith gayi aur uski haalat dekh kar Saundarya ji bhi sneh se uske sar pe hath ferte hue bagal me.

"Humne toh pehle he kaha tha beti ki wo manmohna tume jeena sikha dega. Wo in samajik ya shahi niyamo se kahi pare hai aur sabhi se prem karta hai chahe badle me saamne wala uska ahit he kyun na chahe. Tum chaand dekhte dekhte uske kareeb he pahuch gayi. Kahi paa toh nahi liya na us chaand ko?", Mamta ke sparsh se toh pathhar bhi bol uthte hai aur yaha toh ye chanchala thi jo apni maa aur bhai ki aankh ka sabse bahumulya noor. Amrita apni maa ki bagal se lagti hue apna chehra unke kandhe par rakhti hui shunya me jaise jawaab dhoondne lagi. Asaan nahi tha sab samjhana chahe maa khud samajhti thi aise haal ko.

"Chand kisi ek ka nahi hota maa lekin ye chaand bhi nahi hai. Haan aap thik kehti hai ki uska aakarshan kisi adrishya dor sa hai jisme mujh jaisi 37 baras ki aadhi adhuri duniya ki samajh rakhne wali aur hamesha niyam-daayro me rehni wali aisi aurat jo kayi sar jhuka sakti hai wo khud uske kadmo me girne lagi. Wo alag baat hai ki usne girne se pehle hume surakshit sambhaal liya. Mujhe aise maamlo ki samajh nahi hai maa lekin main ye naya badlaav pasand karti hu. Uske sath bachpan laut raha hai aur wo samay jis se anjaan bas main college aur uttradhikao me he reh gayi thi. Manmohna toh lafz he sahi nahi us farebi ke liye. Haan wo aapko aisi aisi duniya me le jata hai jo vastavikta se pare lagti hai, ek meetha fareb. Hum galat kar rahe hai rani maa lekin hume pachtava kyun nahi ho raha? Kyun aisa lagta hai ki humne pehli baar indradhanush ka saprsh kar liya hai. Uske wo rang har andhkar ko khud me sokh kar hume raat me bhi niharika (nebula) sa dikhate hai. Kitna khoobsurat lagta hai jab uske jaane ke baad bhi hum uski parchaayi ko apne aaspas he mehsoos karte hai. Jaante hai ye kahi se bhi samajik nahi hai lekin agar ghutan dur ho rahi hai toh fir hume iske badle har saja manjoor hai. Usko paane ki gustakhi nahi kar sakte, kabhi kabhi bas 2 ghadi milna bahot hoga.", Us shunya me khoyi Amrita ke chehre par itne bhaav aa rahe the ki koyi chitrakar unko chitrapatt par utaarne ke kabil na tha. Muskurate hue apni beti ke varnan ko sunti hui rani maa ke netra bhi sajal ho uthe the har lafz ko sunn aur mehsoos karke.

"Divya-pram kisi rishtey ka mohtaaj nahi hota beti aur jab ye itna gehra ho toh fir kya niyam aur kya unhe banane wale hum or ye samaaj. Aisa toh humne mehsoos karna toh dur vishwa ki kisi pustak ya granth me nahi padha. Wo tumne kaha na Niharika... England me humne kuch chitra dekhe the ajyaabghar me, wo kisi niharika ke he the aur hum vismrit the ki kya kudrat aise rang bhi dikha sakti hai. Waha us ghane andhkaar me toh toote taare samahit ho jaate hai fir ye indradhanushi rang jo atthahas karte us andhkar ko bhi apna gulaam banaye the. Arjun hamesha se he khaas hai thik waise he durlabh. Hum boodhe ho chale hai Amrita, tumhari behan hote na toh pratispardhi hote is maamle me. Hahaha..", Chehra saaf karti hui wo jis tarah muskuraai thi Amrita bhi utni aakarshak na lagti. Umar ke is padaav pe jaha baal chandi se ujle ho chale the, chehre par jhurriyan tak na thi aur har daant heere sa tarasha ek saar. Apne naam par Saundarya aaj tak barkaraar thi chahe unki beti hajaro dilo ki swapnil chaahat ho par Saundarya, unhe toh ateet me kabhi janta ke saamne na laya jata tha.

"Fir toh wo aapka ho ke he reh jata maa, aaj kam se kam wo ajaad parinda toh hai. Waise ek baat puche? Arjun se he judi hui hai aur agar aap jawaab dena chahe toh hume atcha lagega.", Amrita ne uth kar bister par dono ke takiye lagaye aur maa ko apne kareeb he letne ki pyaari arzi lagaai. Saundarya ji jaane kin vicharo me khoyi khush thi ki haan kar baithi apni beti ke bagal me sahi karwat se leti.

"Arjun aur baapu ji ko toh humne compare karke dekha aur thoda samjha. Wo samajh aa sake the lekin ye mastmaula sa hai aur bahot alag bhi unse bilkul ulat. Baapu ji gambhir insaan the jitna hume pata aur suna, wo hanste bolte honge par niyam aur vachan unke liye sarvopari the. Apne naam ke sath maa ka naam likhte the aur is wajah se he unhone kabhi charitra par aanch na aane di. Arjun aapko unke jaisa kaha se laga? Wo toh chhalliya hai na? Aur Pandit ji jaise na toh sanrakshak aur na kisi vachan me bandha. Fir wo baapu ji ka waaris bana kaise jabki Inder bhaiya toh kahi jyada is maamle me baapu ji jaise hai."

"Kisne kaha ke Arjun vachan me nahi bandha hua? Wo ajaad dikhta hai lekin hum aur tum uske sirf ansh maatra se parichit hai. Swayam pandit ji Arjun ka maan karte hai chahe wo kehte ya dikhate nahi. Baapu ji swayam waaris nahi the beti bas unhone virasat supurd kar di thi aur waaris bann ne ke niyamo par koyi khara nahi utra chahe wo Umed ho, Shankar, Inder, Vinod ya Kumar he kyun nahi. Haan Kumar bhi ban sakta tha unki virasat ka maalik par wo un sharto pe khara nahi utra jo baapu ji ne apne dil se likhi thi. Arjun ne school ke sath sath anadhikrit shahi shiksha bhi grehan ki jaisa hamare samay ke baad nahi hua. Wo aatmik, baudhik aur sharirik bal ki pariksha school khatam karne se pehle uttrin kar chuka hai. Usko sikhana nahi sirf batana padta hai aur wo waisa kar deta. Sabse khaas hai uske rakt me daya ka bhaav jo swayam Pandit ji me bhi kabhi kabhi nahi hota. Baaki sabke toh hath bhi khoon se range hai.", Sochte hue rani maa kuch bechain se hone lagi thi aur Amrita ne ye bhi bhaanp liya.

"Aap uske baare me ye sab jaanti hai lekin kuch aisa hai jo aap chaah kar bhi bol nahi paa rahi maa. Wo khoon toh Shankar bhaiya ka he hai aur aage Pandit ji aur fir baapu ji. Toh wo durlabh kaise hai maa? Aur ab hamara ek aur sawaal hai jiska jawaab hum chahte hai aapki beti hone ke taur par. Aaj Arjun purane raanighar me aaya tha hume khojne aur waha uski maa ki tasvir thi. Ye ittefaaq nahi ho sakta maa kyonki 100 baras purani painting ka chehra aaj ki Rekha ji jaisi kaise ho sakti hai? Aur ye Arjun baapu ji jaisa dikhta hai matlab wo aurat.. wo unki maa thi jinki painting waha dhool me band thi?", Ab Amrita pareshan thi aur rani maa khamosh.

"Arjun ne kaise dekha us tasvir ko Amrita? Aur uski kya pratikriya thi?"

"Wo bas hum... Uske sath shararat karte hue bhaag rahe the.. aur hamare peeche bhagte Arjun ka galiyare me paanv fisal gaya, girne se bachne ke liye usne wo parda thaam liya jis se painting dhanki hui thi. Lekin wo gir gaya tha aur painting uski aankhon ke saamne aa gayi. Par usne jyada utsaah nahi dikhaya shuru me hairaan hone ke baad. Wo keh raha tha ki thodi bahot uski maa us painting wali aurat jaisi hai. Aur wo usko utaar kar dekhne laga lekin koyi naam nahi mila. Na painting banane wale ka na us aurat ka. Keh raha tha ke wo aapse baat karega uske baare me. Lekin Arjun taal gaya par aap toh jaanti hongi na uske baare me kyonki najar toh aap bhi Arjun ki maa se chura rahi thi. Wo bahot khoobsurat hai, aapse bhi lekin wo bas bahu hai Pandit ji ke pariwar ki, hai na maa? Koyi aur wajah toh nahi hai na iske peeche?"

"Koyi wajah nahi hai beti, tumhari kasam ye sab sanyog he hai aur hume nahi pata ki ye ab kyun dohraya ja raha hai. Wo tasvir hamare janam ke pehle se he udhar rahi hai aur unke barabar kisi ki bhi nahi lagaai gayi. Maa se poochte the toh wo yahi kehti thi ki wo devi hai aur pita ji toh hamesha darbaar me jaane se pehle unke saamne hath jodd kar jaate the lekin unhone bhi yaha bataya ki ye unke janam se he udhar hai kisi khaas ki. Tab bhi us tasvir par saanjh dhalte parda ho jata tha aur subah hataya jata tha. Humne wo chehra bachpan se dekha tha aur har roj dekha. Jab hum Pandit ji ke pariwar se mile the toh pehli baar Rekha ko dekhte he hum seham gaye jaane kis wajah se. Wo Shankar ki biwi hai, yahi parichaya mila tha. Arjun ko toh humne swaya tumhare sath he waha vivaah avsar par dekha jo us waqt abhaas dilata tha baapu ji ke vyaktitva ka. Jis din waha se wapis laute humne bharsak koshish ki is kadi ko samajhne aur suljhane ki lekin Rekha udhar he agle shehar se, sampann pariwar jo Pandit ji ka purana sathi raha hai inke vivaah se bhi pehle se. Hume pata hai ki humne galat tarah se chhanbin karwaayi par hamari pareshani bhi nirarthak nahi hai Amrita."

"Haan ho bhi kaise sakti hai maa jab aapne itne baras wo chehra dekha jikse baare me koyi jaankari he nahi aur is umar me wo sakshaat saamne aa khada ho toh darr bhi lagega. Arjun bhaiya aur Pandit ji ki jagah baapu ji jaisa dikhta hai aur Rekha ji us barso purani painting jaisi. Aapas me Arjun aur Rekha ji ka rishta maa bete ka hai. Baapu ji ki maa toh nahi hai wo painting wali?"

"Mumkin nahi hai aisa hona beti. Unki tasvir yaha kaise ho sakti hai jaha swayam baapu ji ka pravesh varjit tha.? Par unhe devi kaha jata tha aur Rekha ke liye aise vichaar swayam Kaushalya ji ke hai. Dekha nahi waaris me swayam Rekha sanrakshak hai aur ek maa ne swayam bete ko vachan ke supurd kar diya. Itna bada dil har maa ka nahi hota aur wo bhi jab pehle se he ek navjaat kho chuke ho pariwar me. Khair aaye toh the tumse alag baat par charcha karne lekin pehle tumhare bandar ne hume hairaan kar diya aur ab ateet ne jiske jawaab toh dene wala he koyi zinda nahi bacha."

"Kar lijiye jo baat karni hai maa. Waise bhi 3 ghante soye hai hum abhi."

"Usko sona nahi sochna kehte hai, khayalo me sochna. Arjun hamare kaksk me sandesh chhod kar gaya tha jaane se pehle ki kal main aur tum Mahendra ke sath waha dargaah par aaye. Uski gujaarish hai mujhse lekin tum dono nahi gaye toh wo idhar nahi aane wala fir. Dekh lo kaise fareb karta hai ye tumhara farebi. Saaf nahi kaha ke mujhse bhi nahi milega, kyonki uske liye bhi idhar he aana padega aur hum apni beti ko akele bhejne nahi waale. Pehle hum kabhi aise manch par nahi gaye Amrita aur jab Arjun me apne bete ko dekhte hai toh mamta par darr haavi hone lagta hai."

"Aap apni mamta se bandhi rahiye lekin mujhe wo pehle he mana chuka hai aane ke liye aur Pandit ji se bhi kehalwa diya hai jab usne ghar phone kiya tha yaha aane ke baad.", Amrita ko wapis chehakte dekh rani maa muskurati hui naa me sar hilati hui khush ho rahi thi.

"Tumhe wo kaise manayega jab tum pehle he maani-manaai ho. Mujhe bhi jana padega beti, wo toh mehal aane nahi wale lekin milna jaruri hai. Bas yahi poochne aayi thi ki tum chalogi? Mujhe atcha lagta tumhari haan se par tum pehle he usko haan kar baithi jo fir bhi humse ijajat le raha tha. Chalo, tum araam karo ya fir wo kagaj nikal kar chehra niharo. Main apne kamre me ja rahi hu aur tumhara bhojan sewika yahi pahucha degi jab itcha ho. Waise bhookh-pyaas wali baatein suni thi lekin aaj yakeen ho gaya. Shubratri.", Ab Amrita kaise kehti ki aaj toh Arjun ne bas thode he prem-rang barsaye the lekin wo utne ko bhi tayaar na thi par fir bhi uske sath beh gayi. Aaj uske hontho ki surkhi isi bister par wo farebi atche se saaf karke gaya tha jiske bas kache khwaab he dekhe the Amrita ne aur wo kehne ki koshish karti us se pehle he wo mann padh chuka tha. Kisi phool ki tarah apne pehlu me uthaye aaj Arjun ne bister, mej aur yaha tak ki diwar se laga kar Amrita ke achhote badan par har taraf sparsh kiya tha sirf 2 khaas ango ko mehfooj rakhte hue, jinhe wo jald he tasalli se dekhne aur pyaar karne wala tha.
.
.
"Khaane ke waqt toh aaj sabke sath bade chehak rahe the lekin yaha halaat bilkul alag hai. Aur kamra band kyun kiya tha?", Raat gehrane ke sath he Arjun bhojan ke baad sabse thodi bahot baatein karke Vinod chacha ke sath tehalne chala gaya tha. Ye log kareeb ek ghante baad laute the aur chacha kapde badal kar apne kamre me sone chale gaye aur Arjun apna pitara liye is kamre me band ho gaya. Aanchal ke aane par usne wapis baksa band karte hue usko almari me rakh kar darwaja khola. Ek baar toh wo bhi thoda seham gaya tha kyonki Aanchal ka uske kamre me aise raat me aana kisi ko bhi khatak sakta tha lekin ab aa gayi thi aur wo khush dikh rahi thi.

"Koyi halaat nahi badle hai bas thodi der padhne ke baad sone he wala tha. Subah jaldi tayaar hona hai aur fir waha dekho ye log mere sath kya karte hai. Waise aap khush lag rahi ho, aao thodi der baithte hai fir padhaai kar lunga.", Arjun ne rasta diya toh Aanchal ne bhitar daakhil hote he halke se uska gaal choom liya. Wo bharpoor chanchalta se dhamm se bister par ja pasri jaise ye kamra in nav-dampatti ka ho. Arjun ke sath bahot hadd tak fursat paa chuki thi Aanchal chahe uski sharam kuch haavi hoti lekin dil me Arjun kahi jyada gehra baith chuka tha.

"Aapki naani aur nana me se koyi dekh leta toh pata hai kya hota?", Arjun chalta hua bister ke dusri taraf tek lagate hue pasar gaya. Darwaja chitakni lagaye bina band kiya tha filhaal jo Aanchal dekhte hue mooh bana chuki thi.

"Naani toh na uthne wali subah 5 baje se pehle aur late bhi ho sakta hai. Aur nana koyi soye bhi ek ghanta ho chuka toh fikar kis baat ki? Aur gaal pe he toh kiss kiya hai, bade aaye pareshan hone wale.", Arjun atche se Aanchal ke chehre aur fir uske kase hue bina baah ke top aur chust pajame ko dekhta hua muskura bhar diya. Aanchal bharpoor jawaan aur aakarshak yuvti thi chahe bahri duniya me kam dilchaspi rakhti rahi lekin dekhne wala toh bas aisi he sangini aur premika ki kaamna karta tha. Youvan ke bharpoor uthaan aur patli kamar ke sath uske chehre ki alag si saadgi aur tarashe hue bhare bhare honth. Arjun paas khisak kar uske samtal peit par hath rakhte hue haule se sehlane laga toh Aanchal ki saanein aniyantrit ho chali aur hath wahi daba liya.

"Ab pata laga jab khud par aayi? Daadi soyi hai lekin unki neend kachi bahot hai. Aur 2 kamro ke baad chacha ka kamra hai jo abhi jaage bhi ho sakte hai. Waise dekh raha hu ki tum abhi abhi naha kar aayi ho aur ye kapde kahi se tumhari naani ke maapdand par khare nahi utarte.",Ab Aanchal halke se hanste hue uske kandhe par maarne lagi thi.

"Unhe neend ki goli khilaai hai nana ji ne. Keh rahi thi ki thakaan mehsoos kar rahi hai par neend bhi nahi aa rahi. Fir maine wahi goli unke doodh me bhi mila di. Goli chaba ke khaati hai na toh kya he doodh ka swaad pata chalta. Aur mama apne kaam me lage honge agar nahi soye toh. Waise pehle wo bol rahe the ke tum AC me so jao unke kamre me lekin maami ne kaha ke Arjun apne kamre me soyega. Usko padhna hota hai. Bada dhyaan rehta hai maami ko tumhara. Nahi?", Arjun samajh raha tha ke Aanchal kaha ishara kar rahi hai chahe majaak me sahi lekin usne bhi baat ka rukh badal kar us kasi hui tshirt ke peit wali taraf se andar ungliyan pahucha di. Makhmal sa naram wo naabhi wala hissa abhi nahane ki wajah se alag si thandak bhara tha lekin Arjun ke is sparsh se Aanchal ne apni taange kass li. Wo wahi haule haule us chikni twacha ko sehlate hue thoda aage badh raha tha aur Aanchal khud he apna chehra Arjun ke gale par rakhti usko choomne lagi. Jyada samay nahi gujra jab wo khud uske peit par baithi bade pyaar se ye dhimre chumban kar rahi thi. Kabhi Arjun uske ek honth ko mooh me bharte hue choosta toh kabhi Aanchal ye dohrati. Badan par chipi tshirt ke bhitar Arjun ke hatho ka saprsh jaise he un bhare hue chucho ki jadd me mehsoos hua, Aanchal kaanpti hui Arjun se kas ke lipat gayi. Wo uttejjana ke charam par thi aur ye bhi parwah nahi ki koyi unhe dekh bhi sakta hai chahe khidki darwaje band he sahi, chitakni nahi lagi thi.

"Ohhh.. Tum jaanboojh ke aisa karte ho na? Shaam ko jab aayi thi tab bhi aise he tadpa ke chhod diya aur ab bhi..", Arjun ke hath apni peeth ko sehlate dekh Aanchal ki chetna lauti. Arjun ne vaksho ko pakde bina he hath khinch liye the lekin Aanchal ki garmi 10 minute ke is halke sparsh aur gehre chumbano se he apni charam par ja pahuchi thi jisko Arjun ne ekdum he thanda kar diya, harkate band karke. Aanchal ke chehre ko apne saamne dekh Arjun ne chehre par aaya paseena apne hath se sehla kar hatate hue jawaab diya.

"Kaha tha na ki sab araam araam se aur pyaar se. Jaanta hu aapko kuch jyada he jaldi hai lekin aapki wo badi wajah toh maine dur kar he di na? Na ya aapki maa hai aur na ab Vinod chacha aapko us drishti se dekhte hai. Jab dil bhi mera aur aap bhi, toh itna besabar nahi hona. Haan thoda jaanboojh ke kiya lekin kya ye sab atcha nahi laga?", Aanchal ab sharam se najre churati hui uske seene ko kured rahi thi.

"Atcha bhi laga aur bura bhi. Us din ke baad mujhe sabkuch ajeeb sa lagta hai Arjun. Akele sone par wahi dikhta hai aur fir tumhara chehra. Uske baad bas yahi lagta hai ki tum waise he mujhe thaame raho aur koyi hadd na ho. Neend khulti hai toh khud ki soch par he jhunjla jaati ho lekin fir wahi haalat jab tum saamne aate ho aur dil wahi chahat jaahir kar deta hai. Apna lo na mujhe, wo chahat bahot mushkil hai har raat sambhalni.", Arjun ka hath khud he Aanchal ne apne ubhre hue seene par tika diya tha. Unka wo ehsaas aur akaar shabdo me bayaan karne laayak na tha. Kapde ke bhitar ye gol ubhar bina kisi pinjre ke khule the lekin unki sakhti aur golaai adhbhutt. Arjun unhe agar abhi masalta toh yakinan wo khud samay se pehle is raat he Aanchal ko ladki se aurat bana deta. Waise bhi wo Madhuri didi ki humumar thi lekin kaam-gyaan lagbhag shunya. Jo bhi dekha tha wo bas ghinona vaasna ka khel jo uski maa ka he rehta tha vibinn sathiyon sang. Wo uttjit jarur thi lekin vaasna me andhi nahi.

"Kal ka din do mujhe Aanchal, uske baad pehal main he karunga. Mujhe bhi pal bhulaye nahi bhoolta jab tumhe bathroom me dekha tha. Aane wali dusri raat bas hum dono honge Aanchal aur subah hone tak main tumhe sone nahi dene wala. Khawahish hai ek, fir se tumhe waise he dekhne ki lekin us raat.", Aanchal toh sharam se dohri ho chali thi wo drishya yaad karte hue jaha Arjun ne uska ek taraf se aadha vaksh aur pichla samoocha hissa dekha tha, paani se bhiga aur jisma par ekmatra vastra bas panty thi, bhigi hui.

"Aisa bolo na ki aaj ki raat bhi sone nahi doge mujhe. Chalti hu, tum padh lo. Jyada besir-pair ki khwahishe matt bataya karo.", Is baar uske uthne se pehle Arjun ne majbooti se dono sughad lachile nitambh pakad kar dabate hue apne honth fir se Aanchal se chipka diye the. Is baar Aanchal ne wo ang apni achhooti jugni ke niche mehsoos kiya tha jo uksi kalpana aur Damini ke sansargiyon walo ke aujaar se kahi jyada he bhishan tha. Halka abhaas toh usko Arjun ne uske ghar he karwa diya tha par abhi wo uske upar baithi thi jo kapde ke upar se he apni sakhti aur garmi se uski yonki ko chetawani de raha tha lekin uski yoni ke iraade toh viprit he the jo milne ke liye abhi se aansu tapkane lagi thi. Aanchal chumban samapt hote he bister se uchalti hui bina Arjun ko dekhe darwaja khol kar apne kamre me band ho gayi. Arjun khamoshi se hans raha tha apni baniyaan par Aanchal dwara chhodi us geeli chaap ko dekhte hue. Ling naabhi ki taraf akdaa hua us se bhi aage the.

'Shaant raha kar thoda. Yaha pehle aur bhi jaruri kaam hai lekin tu sar utha le pehle. Aaj Jass darling milne wali hai tujhse, fir 2 din pareshan matt kariyo yar.', Arjun apne ling ko sahi karta hua jaise usko mana raha tha khush karne ke sath. Lekin apne kamre ke bhitar qaid hui Aanchal toh pajama utaar kar bathroom me he ghuss chuki thi. Aaj uska itne se he sakhallan ho gaya tha jo panty na hone ki wajah se patle kapde se bahar tak mehsoos hua.

'Bade Pandit ji, ab jara aapki bhi sunn le thodi, fir humko bhi sukoon lene jana hai kyonki chain toh aap lene nahi dete.', Darwaja is baar atche se band kar diya tha Arjun ne kyonki ab wo kisi aahat se bhi hilne nahi wala tha.
.
.
"Likhna bhi ek kathin karya hai aur ab hum samajhte hai kyun Krishan vidyalya jaane se katrata tha. Aaj hume ghar gaye hue 5 din ho chuke hai parantu grehsthi se kuch badhkar samajik dayitva aur prant ki sukh shanti hai. Isko bhang karne wale bhi apne he ho toh mushkile aur jyada. Pehle he in apno ne peeth dhakne laayak nahi chhodi aur us se ubar sakte lekin prabhu Narayan jaise iski ijajat nahi dete. Balwinder ke saale sahab wo Jyotsana ke bhai Sumedh ne gehri saajish rachi thi jisme sarkari hastshep judwa kar wo alag mansube paale baitha tha. Balwinder par he humla karwa diya jab wo suraksha bina janta ke beech tha. Kshetra kuch sarhad se bahar tha aur waha ke prashashan ne toh likha padhi tak se inkaar kar diya. Main toh pehle se he Rana ke khilaaf tha usko suraksha adhikari banane ke lekin Balwinder kabhi kabhi dil-dimaag se nahi chalta. Ghayal hua par bach gaya ganimat hai. Darbar, janta aur yaha ki jimmewariyon ke sath Balwinder ki bhi dekhbhal bhi jaruri hai. Haan 4 log dhoond kar kaat diye humne aur ek ko waha jiwit chhod diya aur ek ko sath le aaye. Jiwit isliye ki Sumedh ko maloom rahe ki hamari talwar kisi sarhad aur prashashan anusaar nahi chalti. Isko hamare hath chalate hai jab jab koyi hamare apne ko thes pahuchane ki himakat karta hai. Rana sabse pehle adrishya ho gaya khabar milte he. Jaane dete hai usko abhi nahi toh videsh baithi Jyotsana pehli baar hume apshabd kahegi. Parso Krishan aaya tha bhojan le kar cycle se, pagal hai thoda jo garmi bhi nahi dekhta. Bata raha tha ke ghar pe badi bahu aur bache aaye hai. Devaki bahu ki tabiyat thik nahi hai, garbhvati hone ki wajah se.

Ab kya kahe is hamare saral-buddhi ko? Inki maa ne kehlawa bhi bheja ki agar mehal ka khana itna he pasand hai toh unki haweli 10 kos dur kyu banwa di humne. Khair wo toh aise he kabhi kabhi shikayat karti hai jis se hume dhyaan rahe ki unke hatho ka bhojan hamari har pareshani, thakaan aur bhookh shaant kar deta hai. Devaki ki bhai aaye the usko livane ke liye peehar aur jab hume iski jaankari mili toh spasht na kar di humne. Chalbaajo ko toh neend me bhi pakad lete hai fir ye toh ab rishteydar ho chuke hai. Kaise hamare ghar ki santaan us narak me paida hone de? Bhunbhunati hai toh hoti rahe lekin wapis peehar toh jaane nahi denge. Hamare nalayak bete ko Devaki ne he fansa tha apne is Netram ke kehne par aur ye kaisa bhai hua jo behan ko he gair-mard ke niche nirvxxx karwa de? Aajtak Krishan ne hume ye nahi bataya ki wo aakhir kis se milne gaya tha aur uski preyasi ki jagah ye kalawati kaise uske pehlu me aa baithi. Ab ye aadikaal toh nahi jaha ladka ladki bina vastro ke dekhe jaaye toh samanya lagega. Upar se janta me wo munshi ke suputra hai aur beesiyon log drishya ke gawaah bann gaye. Us din atcha rehta ki Sangi he uske sath hota ya wo koyi katal kar deta. Katal toh dur ki baat hai is piddi se kidi ka dard nahi dekha jata. Ab wo prashikshit abhinetri ro kar shor machayegi toh bechara ghabrayega he. Dusre praant ki panchayat se fainsla aaya ki Munshi Motilal ji ke suputra agar aisa udaharan pesh karenge toh kaise bahu betiyon ka kalyaan hoga? Inki mata ji toh maa mahima hai jinhone bol diya ke mere bete ne usko hath lagaya hai toh ab wo unki bahu hui. Is hisaab se hamari toh 15 aur banti hai lekin kya wo hume aisa karne dengi? Bhool kar bhi iska sangyaan hua toh na munshi rahenge na vajeer, fakeer bann na padega. Aksar hum saral insaan dil se fainsle le lete hai un logo ko sammaan dene ke liye jinke mann me viprit vichaar aur uddeshya rehte hai. Bade bete ki bhi shaadi karwani padi aur unke is piddi ki bhi sath he, umar se pehle ye bhi kar liya hamare chote suputra ne lekin 5 baras kata kata raha apni is anchahi biwi se. Ab paanv bhari kar diye toh sabse bachta firta hai jaise koyi sawaal na pooch le is jaadu ka jo usne kar dikhaya. Hahaha.. bahot he bhola hai mera ye bacha aur hamari chinta bhi yahi hai ki hamare jaane ke baad agar Raame iska dhyaan na rakh saka toh sab barbaad bhi ho sakta hai.

Beete saawan me Raame ne bada ajeeb kaam karwaya jab 8-10 logo ko liye wo purane ghar ke malbe ko saaf karwane laga. Pichla hissa girwa diya tha humne aur baad me banwaya hua hai usme mehal ke pramukh sewako ke 5 pariwar rehte hai ab. Raame se wajah poochi toh pehle toh kehta raha ke wo bas saaf safaai karwa raha hai lekin fir raat me jab lauta toh ye gaanv wali haweli me isne jhoola dala tha sabse pehle, haweli toh baad me bani. Us jhoole ko kabhi hilata toh kabhi rok leta. Hum galiyare me baithe in janaab ki ye paagal harkat dekhte rahe jabtak sehan hua. Jab uth kar kareeb gaye toh wo hadbada gaya, aankhen bhigi hui aur Guddi 5 baras wale kapdo me rooyi bhar ke ye usko jhoola jhula raha tha. Ek wahi toh thi jisko kamar pe taang ke ye kahaniya sunata hua mohalle me ghoomta rehta tha. Guddi ne kaha ke idhal ghola bano toh raste me bhi jhuk jata tha apni behan ke liye. Vidyalaya se aane ke baad sabse jaruri karya toh yahi hota tha na ki Guddi ko goad me uthana hai chahe fir wo 3 saal he chhoti thi lekin Raame ka sarvasva he thi uski behan aur hamari Guddi. Raghu bhi utna he karta tha lekin wo ijhaar kam kyonki majboot vyakti hai. Raame naukri par ya jiwan me sakht insaan hai lekin wo sanvdanshil hai thik apni maa ki tarah. Pakde jaane par raat ko he nikal gaya apne biwi bacho ke paas. 5 ghante baad bhi jana tha lekin chalo ab kya keh sakte hai jab hum khud he uske mitra na bann sake. Yaha aate hai toh dard ke sath ye anubhooti bhi rehti hai ki hum apni beti se uski saaligirah par milne aa rahe hai. Waise wo akshya-tritya ko janmi thi par chhata saal hai na usko gaye hue aaj he ke din toh yahi soch lete hai ki Guddi ke bahane apni anjaan ummeed se bhi dil ka haal bayaan kar denge. Hum tehkhane me utarne ki himmat ek baar juta sakte hai lekin us kaksh ki taraf laalten bhi nahi dikha sakte.

Us raat ke baare me Balwinder ne humse pehli baar sawaal kiye the jaise usko sandeh hua ho ki hum kuch jaante hai. Pita ji aur Bhupendra ji ka shav utarte hue kuch tukde toh preahriyon ke hatho me he aa gire the aur 4 log behosh hue so hue. Is haweli ke bhitar aniginat kate fate shav dekh kar us waqt ke suraksha-pramukh ne ulti he kar di thi, kitna diler hai na Rana? Tabhi toh bhaag khada hua saamna karne ki jagah. Ab kaise kehte Balwinder se ki hamari jagah wo hota toh uski rooh bhi kaanp uthti. Lekin mara jata wo agar hamari jagah hota. Aaj bhi hum khudse sawaal karte hai ki kyun hum dhairyavaan na bane aur dimaag se kaam lete toh Sreedhar ko pichle dwaar se bhaagne na dete. Ghir gaye the hum aur tehkhaane se aati cheenkhon ne Sreedhar ko humse bacha liya. Suna tha ke usme aseem bal hai aur us se nidar koyi nahi. Saamna karta toh hum us dusht ko sacche sewak ki taqat se parichit karwate, beshak jiwait na rehte par ye bojh bhi dil par nahi rehta ki wo jiwit hai. Haan wo kahi se bhi insaan nahi hai, na sharir se aur na soch se. Jab usko darbaar se mukti de di gayi thi toh hamare he pita ne usko maha-gyata aur saadhak bata kar raaj-kosh sahayta sucharu rakhwai. Aise toh prabhu bholenath ke upasak nahi hote. Jo hote hai unhe humne he ruswa kar diya. Aajtak hamare seene ke upari hisse me kabhi kabhi dard hota hai 6 saal hone ko aaye lekin hum us pavitra aatama ke maatra halke he dhakke se door ja gire the. Wo hota prakram aur kshamta saadhna ki jisme sirf aur sirf parmeshwar aur jankalyaan ki bhala karne ki taqat hoti hai. Gaye the shaitaan ka pata poochne aur unko gussa dila baithe jo madad kar sakte the. Roothe hue saadhak ke paas lautne ki galti nahi karenge, intjaar kar lenge hum us din ka jab Sreedhar apne dum-kham sahit lautega, wo sahi waqt par jarur aayega agar usko apni taaqat par itna he ghamand hai. Par hai pakka shadyantrakari aur ghaagh jisko kisi ki parwaah nahi siwaye apne naam aur aseem taqat ki.

Tum bas itna kar dena mitra agar sakushal tehkhane tak pahuch sako, in bachhiyon ko mukti dilwa dena. Hum aisa nahi kar sakte kyonki hamare khudke hath khoon se range hai aur idhar wahi aa paayega jiske dil me dusre ke dard ko apna dard banane ka sahas ho. Tum yaha aaoge toh khud he jaan jaoge ki tum kyun humse behtar ho. Main aanewali peedhi me koyi vajeer nahi dekhna chahta aur na he koyi vyapari-santri-mantri.. Main insaan dekhna chahta hu, ek aisa insaan jo raksha karne par aaye toh 10 Sreedhar bhi jhuka de aur 20 Motilal bhi. Dil me prem, kshamadaan, dusre ke dard me dard aur dusro ki khushi me bhale he shamil na ho sako lekin khush raho. Sampatti toh Vidwaan Raavan ki bhi nahi rahi lekin unke gyaan ko devta bhi maante the. Main waisi he bhavishya ki peedhi chahta hu jo samaaj ke bematlab niyam bhale na maane par samaaj me udaharan bane, pariwar ko samay de aur usko jodd kar rakhe. Humne suna hai hamari maa aisi he thi, thoda he suna hai aur baaki kuch dhundli yaadein hai. Unhone insaan ko insaan samjha, har jeev ko punya aatma aur har jaruratmand par apne auchitya anusaar madad. Haan kuch maamlo me unhone jyada madad bhi ki hogi aur wo samarth thi. Humse bahot pyaar karti thi aur beta tum, tum jitna ho sake apni maa ko waqt dena jab bhi samay ho itne vyast jiwan me. Wo kabhi gujarish nahi karegi aur na kahegi ki usko tumhare samay ki jarurat hai. Vyast hone ka dikhawa karegi jis se tum apna samay apni marji anusaar jee sako. Par yakeen karo, akelepan aur dard me sabse pehle smaran bhi he aati hai.. aahh maa.. Ye lafz he nahi poori duniya hai jis se tum duniya me aaye ho. Fir chahe poori duniya haansil kar lo lekin agar maa ka saya nahi hai na toh wo bematlab hai. Tumhe tumhari bharya (biwi) samajh sakti hai, behan sneh de sakti hai khayaal rakhne ke sath ya wo log jo tumse pyaar karte hai wo sukh-dukh me khade ho sakte hai sath. Lekin 'main yahi hu beta' lafz keh kar tumhe apne seene se kisi bhi umar me laga lene wali maa har dukh aur dard ka raambaan hai. Duniya me sabse bada sukh aur dard maatrtva hai aur wo mahila ko he mila kyonki purush taqatwar ho sakta hai, sharir se majboot bhi lekin sehanshakti ki parkashtha agar koyi hai toh wo bas maa. Hume he dekh lo, ghar pe maa intjaar nahi kar rahi hai isliye toh awara hai 50 ke hone par bhi. Wo pyaar se kaan pakad kar jab narajgi dikhati hai na beta toh bas chehre ko yaad karte he hum is duniya se kat jaate hai. Baba kehte hai ki hamari maa ka naam Anuradha isliye rakha gaya tha kyonki wo us nakshatra me he paida hui thi aur unki aabha kise chamakte sitare si thi, jaise surya bhi ek sitara hai. Hamari samajh me toh ye ek devi ka naam tha jitna pustak-purano me padh kar naam ke Pandit bane, kaam toh kasaai se bhi bura hai.

Is haweli ko girana matt beta, samaaj me aise kala dhabba bhi maujood rehna chahiye. Waise toh humne iski saaf safaai karwa di thi jitni munasib thi lekin hum chahte hai ki tum apna kaam karne ke baad isko aise he chhod dena. Prakriti swayam iski kismat likhegi. Nadi kinare itne khoobsurat jagah jaha se hum bachpan me chhat par khade reh kar heeran, khargosh, hariyaali aur is khoobsurat nadi ka avlokan karte the. Ye khoobsurati kukarmo ne he bhang ki hai iska saboot rehna chahiye. Kabhi bhitar naa aa sako toh un bachiyon ke hisaab se bahar vriksh ropit kar dena, wo swayam bade aur chhayadar hone ke sath is haweli ko prakriti me mila lenge. Baarish tufaan me junglee janwar sharan lene lage hai idhar jo atchi baat hai. Keemti yaha kuch nahi hai ab siwaye tehkhaane ke dard aur rudan ke. Chalte hai beta, aaj ghar he nikalte hai. Seene me halka sa dard hai aur mehal ke kamre shayan-kaksh sirf naam se hai. Unke sukoon nahi aur aaj hum sona chahte hai. Laddu matlab Shankar aaya hua hai aur wo apni maa ko bahot pareshan karta hai jabki badi bahu ki goad me Inder hai lekin ye sahab usko hata dete hai jaisa saptaah pehle humne dekha. 6 din ho gaye bacho ko dekhe toh subah unke sath rahunga. Raju galat dada ki sangat me reh raha hai lekin kya kahe ab. Krishan ko bhi wo bahot pasand hai aur dono goonge aapas me baat karte hai. Chalte hai beta, prabhu Narayan tumhari rakhsa kare aur Devi Lakshmi apna aashirad banaye rakhe.

Naam likh dena kisi vriksh par ki hum kaun hain ya the. Niche apna rishta aur naam. Is tarah hum ek ho jaayenge aur mil bhi lenge. Wo bhi toh jiwan he hai.

Pratiksha me,
Pandit Motilal Anuradha Sharma
25/05/1953"
.
.
"Kya bade pandit ji, aaj toh aapne sachmuch maa ki kami mehsoos karwa di. Main bhi hamesha unke saaye me he rehna chahta hu lekin aap jaise mahnubhav hai jinke sath ek atoot rishta aur virasat mili hai toh dur hona padta hai. Waha unke kareeb hota hu toh pehle se daavedar bahot hai, sabse badi toh wahi jiske liye samaaj pehle he daav par laga baitha hu. Aaj jitni kismat meharbaan hai na meri, utni he buri hone wali hai bhavishya me aur fir dekhunga aapke Raame mera sath dete hai ya nahi. Us se pehle kahi maa he na bedapaar kar de, waise bhi khamosh insaan se khatarnaak koyi nahi hota. Aap jo bhi the insaan bahot sache the bade Pandit ji lekin wo 15 wali baat par main kuch bata deta hu aapko, ye aankda abhi se dugna hone wala hai mera. Aur iska pata kisi ko chala toh main toh fakeer bhi nahi rahunga.", Arjun padhne ke bawjood us patra me jaise koyi chehra dekhta hua baat kar raha tha. Wo itna leen tha usme ki uske haav-bhaav aise badal rahe the jaise saamne sachmuch koyi gehra mitra baitha ho, raajdar.

"Ye Devaki na aapse sambhli aur na ab mere bas ki hai. Aapki badi bahu ko he jimme lagana padega inhe sudharne ke aur saja bhi wahi dengi, main jara kamjor hu in maamlo me. Waise main bhi shahi-khaandan me fasal badhane ki soch raha hu, bura lage toh koyi baat nahi. Aapki bhi bahot si baatein buri lagi lekin main shikayat nahi kar raha. Aap bhi matt karna aur isme prem shaamil hai bol deta hu ki ektarfa nahi hai. Kal dekho aapke laayak suputra ji ko kaise akhaade ke baad meethi patakhni deta hu main. Unhe bhi toh thodi khushi milni chahiye na bade bau ji? Ek behan jo duniya ho usko khone ka dard toh aise sanvedna bhare bhai ke dil me jiwan-paryant rehta hai. Aur wo mere bhi sabkuch hai jinki awaaj mooh se chahe na nikalti ho par dil se main sunn leta hu ki wo kya chahte hai. Unhone he tapasya ki hai jo main is laayak bann raha hu ki us haweli me paudhe laga saku, maali banane wali tapasya nahi balki jiwan ko itna pragaadh banane ki. Unke 3 bete hai par mehnat sabse jyada mujhpar ki aur main unhe asafal hone nahi de sakta. Lekin ek vaada karta hu aapse, maa ke saaye me rahunga antim samay tak. Thoda chintan kar lete hai, aaj garbh-gyaan ke waqt toh jaise marene he wala tha.", Arjun ab wo pal yaad karte he jaise usme he kho gaya.

"Bahot bhale insaan hai Vajranand ji aur aaj unhone jo jiwan gyaan dilwaya na mujhe baba Taaraknath ji se, aswimarniya anubhav raha. Aaj pata laga ki tatva me tatva prakriti kaise mila deti hai aur andhkaar me bhi bahari bhaari aavraan me dooba jeev kaise sab mehsoos ya dekh sakta hai chahe aankhen band ho. Wo bachhiyan isliye nahi mili bade bauji kyonki unhe hath paanv baandh kar zinda he agni ke supurd kar diya gaya. Wo mooh par baandhne wale fande kukarm ke sath sath is karya ke liye bhi the. Aur garbh me matlab nadi ki talhatti me 2-2 ke jod me unhe hawa-paani aur bhoomi me vileen karwa diya gaya. Pata hai ye karne wale kaun the? Aayojak. Aapke pita aur Bhupendra ji, maharaj. Aise andhvishwas se unhe wo sab prapt bhi ho jata toh uddeshya kya rehta? Aapko bhi raste se hata kar wo dono pishaach mehal ki har mahila aur bachi me apna ansh dete. 60-65 ke toh rahe honge na wo .. ? Neev ye thi hamari?", Arjun ne dhikkaar se kaha toh saamne naam dikha Pandit Motilal Anuradha Sharma.

"Maaf kijiyega, wo napunsak he honge jitna prateet hota hai. Koyi jadibooti di hogi Sreedhar ne jis se kshamta mili toh josh gareeb sewaikao par dikha diya. Vansh unka nahi ho sakta kyonki ab hume Saarang bhi galat nahi lagta aur Preetam bhi. Aur na aapke saralbudhi galat hai. Bhatkaya gaya unhe aur aksar jawaan hote yuvak naye anubhavo ke prati aakarshit ho jaate hai. Anamika daadi pyaar thi unka aur dono he saral. Kaise galat ho sakte hai aise insaan jo kisi ko dukhi nahi dekh sakte.? Haan Saarang maafi ke laayak nahi hai par galti kiski thi? Ye boodhe lakkadbaghe haweli me band ho kar tantra mantra ke sath jawan saral buddhiyon ki buddhi bhrasht karte rahe aur unhe kaise kaise sapne dikha diye honge jo wo hatayre, badhle ki bhawna wale aur pratidwandi bann gaye. Mansha toh yahi thi na ke sabhi purush aur ladke saaf ho jaaye aur phir ye shashan ke sath dushashan bhi bann jaaye. Aap safal rahe Bade Pandit ji aap safal rahe aur ab main inki akal thikane lagaunga ateet me aapse bhi peeche jaa kar. Waqt chahe jitna marji lage saal ya 10 saal. Inki maand me ghuss kar wo bhi badal dunga jo bas dhundla naam reh gaya. Sahi kiya aise insaan ka naam tak aapne mitwa diya. Chalte hai thoda vishraam karne. Fir milne jana hai. Shubhratri. Arjun Rekha Sharma. Naam wajandar hai isliye prayog nahi karte.", Arjun ne us khat ke niche waise he apna naam aur taarikh likh di thi. Wo dekh kar sab vichaar bhool baitha jab maa ka naam apne naam ke sath dekha. Wo kabhi dur hota he kaha tha apni maa se, dil aapas me itne jude the ki Rekha Ritu ki bagal me baithi bhi uska naam he samaran kar rahi thi. Kal uske bete ki pariksha thi jis par anginat log pehle sawaal utha chuke the.
.
.
Thik 12 bajne me 10 minute pehle Arjun apne kamre se dabe paanv nikla hath me kuch liye. Wo pichle aangan me kinare se hota hua badi satarkta se pahucha tha aur jaha Meena ka kamra tha thik uske darwaje ke saamne us packet se ye rang jaisa powder sahi se failane ke baad wo utni he saavdhani se bahar nikalne wale darwaje ko khol kar haweli ke peeche ja pahucha. Darwaja yaha se lagane ke sath he wo pehle he bhitar aane ka dusra prabandh bhi kar chuka tha. Sunsaan aur ekaant gali me aage badhta wo chand kadmo baad he Dilbaag bhai ke ghar ke pichle hisse aa pahucha tha. Lohe ke darwaje ke jodd kinare khadi Jasmeen ne chutki ki halki awaaj se usko apne wahi hone ka ehsaas karwaya toh paanv ki awaaj diye bina he wo agle he pal dusri taraf tha. Yaha aate he usne Jasleen ko goad me uthate hue seedha idhar wali seedhiya ka rukha kiya. Mahol itna shaant tha ki Arjun Jasleen ki hridyagati bhi sunn paa raha tha. Raatri ke antim pehar ab wo apni is sangini sang rehne wala tha us badi pariksha wale din ke shuru hone tak.

SHAANDAAR EXCELLENT MARVELLOUS MIND BLOWING AMAZING AND INTERESTING UPDATE BHAI
 
  • Like
Reactions: aman rathore

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,854
20,201
158
Update 205
Antim Itcha (1)

Bhavnaaye aakhir kya hai aur kyun inka samavesh har insaan me rehta hai? Kahi jyada kahi thoda bahot lekin ekakipan se bhara insaan bhi khayaalon-chetna aur vicharo se khud ko prithak nahi kar sakta. Aur jo raha he sabke beech ho, usme bhavnaye duniya ke rango se bhi kahi jyada gehri ya vistrit bhari hoti hai. "Feelings"

"Wo mera beta tha? Ye nahi ho sakta Satish bhai sahab. Dekho Kaushalya ye kya keh rahe hai ki wo saadhu mera beta hai?", Bahot samay laga tha Kumar Mahendra ke sath sabhi panch sarpancho ko mahol shaant karwane me. Pyaarelal ji ko he manch sambhalna pada ye batate hue ki Arjun ne jo kiya hai waisa uske padd dada bhi karte rahe hai (Thoda tarkik tha) aur wo insaan jiske saamne log jhuke the wahi aakhiri mujrim tha Raj-darbar ka jiski talaash se pehle Motilal ji duniya se rukhsat ho gaye. Baatein aur charcha toh jan-maanas me abhi dhero honi thi parantu Komal dwara Motilal ji ke sapne ka jikar ab dangal se aage wali janta ko bhi khamosh karwa gaya. Kanya mahavidyalaya wo bhi in 2 bade gaanvo ke beech us adde par jaha ye dono he prithak rahe 28 baras. Aisa mahavidyalaya jisme in gaanvo ke sath dur daraaj se ladkiyan har vishaya me snaatak aur us se bhi upar shiksha prapt kar sakengi. Is baat ki pushti swayam Kaushalya ji ne ki aur bataya ki shilanyaas stadium se bhi ek din pehle eitwaar ko hoga. Log chahe us manjar ko na bhool sakte the parantu aisi ghoshna ne bahuto ki aankhon me nami aur khushi la di thi. Abhi wo graam kalyaan ki baaton ko jaise taise nibta kar mike Vinod ko supurd karti Komal ke sath peeche hui toh Purnima ji ki ashrudhara dekh khud bhi kaanp gayi.

"Satish ye kaisa majaak he? Aaj pehle he main jaise taise apne paanv par khadi hu aur tum Purnima ko ye bematlab ki kahani bata rahe ho?"

"Bhabhi main majaak sirf bhai sahab ya bacho ke sath kar sakta hu lekin ek maa ke sath nahi. Wo daityakaar saadhu sa vyakti jab ghera cheer kar aage badhne laga tha toh usne mere kandhe par hath rakhte hue itna kaha ke Fauji chacha, maa se kehna ki hum aaj pita ji ki asthiyaan pravahit karne ke baad sidha Haridwaar niklenge. Gajendra sath chalega hamare.' Ab asthiyan yaha aayi hai aur Gajendra Umed hai jabki hum fauj me rahe hai, ye sab usko pata tha aur mujhe toh uska chehra tak sahi se yaad nahi. Lekin wo sabko jaanta tha aur Arjun ka guru hai jiske baare me hum me se koyi nahi jaanta.", Col sahab ki baat sunn kar Purnima ji se pehle toh Kaushalya ji he thandi padd gayi thi. Unhe girne se bachaya Komal ne aur swayam Rani maa ne dusri taraf se unhe sahara diya. Kursi par baithte he wo fafak uthi thi jinke aansu swayam Purnima paunchti hui unhe shaant karwane lagi. Komal ne paani aage kiya jisko peene se saaf inkaar kar diya tha uski daadi ne.

"Inhe bulwa Satish aur us Arjun ko bhi.. Ye khel nahi hai.. Ab un dono ko.."

"Bhabhi shaanti se suniye.. Wo dono bhi nahi jaante is sach ko aur wo bhi unhe nahi batane wala kyonki pehle wo apni maa se milne ka itchuk hai. Aap dono pehle khud ko sambhaliye, jawaab wo he dega. Komal bitiya tum inke paas he raho, main pata karta hu ke wo log kaha hai.", Col sahab wapis jaane lage the lekin Komal ki baat ne unhe waho rok diya.

"Aap bhi yahi rahiye dada ji, Krishneshwar dada ji kisi Jagtar ke sath unhe dekhne he gaye hai. Wo bata rahe the ki us taraf nadi hai aur jungle wala rasta. Ab mujrimo ko bhi sath leke gaye hai toh aapko jyada pata hoga ki udhar kya hone wala hai.", Saundarya ji toh khamoshi se bas sunn he rahi thi ye sab aur dil me unke bhi alag dwand jaari tha jaise wo bhi Sambhav ko jaan na chahti ho.

"Didi, mujhe aisa kehna toh nahi chahiye lekin Arjun ne aaj Pandit ji aur hume jis musibat se bachaya hai uske badle me hum sabkuch de kar bhi ye ehsaan nahi utaar sakte. Maa hum bhi hai aur samajhte hai ki aap dono ki dasha us waqt bhi sahi nahi thi aur ab bhi khaas nahi hai. Arjun jaanta bahot kuch hai lekin wo thik baapu ji jaise sabkuch apne tak he simit rakhta hai. Usko koyi saja matt dijiyega, meri binti hai aapse.", Yahi ek naam toh tha jo Kaushalya ji ke dard ko turant samapt kar deta tha. Unhe sab yaad aa gaya ki kaise aaj unhone apne us bache ko maut ka saamna karte dekhe jaha unki sabhi aulaad aur unke pati tak ghere se bahar bandhe the.

"Uske sath reh kar main he usko nahi jaan paayi Saundarya ji lekin lagta hai ki wo apne dada ke jakhmo ko bharne he idhar aaya hai. Wo chandaal mere bache ko upari taaqat bata raha tha aur baaki sab uske saamne bebas kyun the? Kaise niyam hai jisme ek baap apne bete ko bachane nahi jaa sakta? Aur kya hota agar yaha aaj Ritu nahi hoti? Main nahi jaanti is sabke baare me lekin inke pita ji ke aise kaunse adhure kaam the jo 2 peedhi na kar saki lekin ye ladka unse juda hai.?"

"Hamare paas toh sirf itni jaankari hai ki wo tantrik hamare dada ji se aagya praapt Raj-purohit tha jiske saamne hum sirf jhuk sakte the aur Pandit ji bhi. Arjun usko jaanta hai jo humne bhi balyavastha ke baad sirf aaj dekha? Namumkin he hoga na kyonki aap bhi toh nahi jaanti aur ek aghori ke saamne ye janta toh humse bhi kamjor hai. Col ji ne toh dekha tha na ki Arjun ne usko kisi aashram ke naam se chunoti di thi? Aur jo yuvak ghutno par baitha ro raha tha sirf apni behan ke aansuo se itna uttejit ho kar ki aaj wo har niyam kuchalne wala tha. Ab hum jitna soch rahe hai, utna jyada uljhan aur dukh me ja rahe hai. Ek masoom yuvak kaise is sabka hissa ban gaya?"

"Wo aisa he hai rani ji, jo dukh ko he khojta rehta hai. Maine bhi bhabhi ji se thode samay pehle yahi kaha tha ke uska wajood Ritu bitiya ke bina adhura hai aur uske sath toh pata nahi jyada behtar ya khatarnaak. Bas aapne jo dekha hai wo jarur yaad rakhiyega. Us ladki ki aankhon me aansu Shankar ko bhi pighla dete hai lekin Arjun fir meri aapki ijjatt nahi karega agar uske jimmewar hum hai. Maine kayi bar pathar khaaye hai Arjun se, uske bachpan me. Aaj wo us tantrik ko chunoti de raha tha tab usne kaha the ke wo dono us aashram ke shishya hai jiske saboot uske hath me the. Ye ladka bhai sahab ke network se bhi bahar kaam karta hai. Kaunsa aashram, kaisa shishya aur wo raj-purohit un sikko ko dekh kar mana nahi kar saka. Arjun tayaari ke sath aaya tha jo 5 din me he kar li ya wo bahot pehle se is sabka gyaan rakhta tha? Wo uska guru hai jo swayam ko bhabhi ka bada beta bata raha tha jabki aisa koyi avsar nahi jab wo vyakti dikhaai diya ho aaj se pehle. Aap bhi dukhi hai jaise meri dono bhabhi aur bahot se log lekin kya hum me se koyi bhi us shaitaan ko rok sakta tha jaise aapne apni aur bhai sahab ki lachari bataai? Arjun ne kiya aur wo jab yaha se gaya toh wo buri tarah jakhmi tha lekin uske paas jarur kuch aisa hai jo wo apne dada ko dene wala hai. Bhai sahab ne aaj apne pita ki pagdi pehni thi jiski chahat wo bachpan se rakhte the. Arjun unke pita ke sath pita ki mata ko bhi jaanta hai. Uske paas likhit me pramaan hai swayam Motilal ji ke aur bhai sahab ne usko apne pita ka dost kaha tha. Ab agar sabkuch samajhna aur jaan na hai toh hume shaant rehna hoga kuch waqt ye dukh dard bhool kar. Ram nikal liye Lakshman ko dharam sankat me chhod kar.", Col sahab ke tark aur sawaalo ne kaafi hadd tak inke aansu band karwa diye the aur unki majburi waali baat sunn kar Kaushalya ji ne halke se kaan khinchne ka abhinaya kiya.

"Usko aaj kuch ho jata na toh maine in sabki khaat khadi kar deni thi aur sath me tumhari bhi. Gaanv ek karte karte apna pariwar nahi bikhra sakti chahe mujhe swarthi he samjho lekin pehle he mere aanchal pe kayi peband lage hai. Pata karo in sabka jo tamasha karke nikal liye aur wo bhi inke sath bhaag gaya. Chot dikhai di toh ab gaanv se sidha ghar jaane wala hai. Komal dhoond jara is Ritu ko.", Kaushalya ji ki baat ab Vinod bhi sunn raha tha jo aashvasan deta hua niche utar chala aur Komal bhi. Logo ki taaliyan khatam ho kar ab kabaddi wali taraf rukh kar chuki thi jabki Pyaarlal ji apne mitra ke baare me thodi jaankari dene lage the apni in bahuon ko.
.
.
"Kya in teeno me se koyi Kalpatru tha baba? Waise bauji aap teeno ko he bula rahe hai papa.", Arjun ne bulane wali baat apni taraf se kahi thi aur uske aane tak 4 laasho ke upar parde jaise vastra lipte the, jiska matlab tha ke aise drishya Arjun se dur rakhe gaye.

"Tum bhi chalo yogi ji. Ya aghori bann ne ka soch liya hai ab?", Narinder ji nadi se hath mooh dho kar aaye the aur aate he unhone Arjun ki khinchai shuru kar di.

"Bas yahi ek upaye tha chacha ji aur mujhe ye shishya ki padvi wapis lautani hogi aashram ko. Baaki main aap sabhi se maafi chahta hu us sabke liye lekin iske siwa rasta nahi tha. Dada ji bata denge aapko is sabki wajah. Umed chacha, kuch khaas kaam bhi tha na jiske liye aap aaye the?",Ab Umed ko bhi samajh aaya tha ke wo toh shaitaan ki jubaan khulwana seekhne ke chakkar me asthiyan toh bhool he gaya.

"Sahi yaad dilaya bhatije, maa aur chachi ke paas toh hum me se koyi nahi hai. Waise isne kaha tha ke Kalpatru ki yojna alag hai aur wo hath nahi lagne wala. Nuksaan ke badle bada nuksaan.", Arjun apne chacha aur pita ki taraf dekhte hue wahi niche baith gaya.

"Kitni jaldi haweli pahucha ja sakta hai idhar se? Ye dargah wala gaanv he 4-5 kilometer hoga aur utna he aage hamari haweli. Devaki daadi khatre me hai papa. Main bhag nahi sakta.", Arjun ko hataash dekhte he Shankar ke kaan khade ho gaye. Poore gaanv ke mard toh mele me the aur haweli par sirf Devaki aur Meena.

"Ye Kalpatru kaun hai aur wo jaanta hai hamara ghar? Tumne pehle kyun nahi bataya aur ye sab bawaal hai kya? Mere paas toh sikka bhi nahi hai aur idhar se jaane ka raasta.", Shankar ko bhadakte dekh apni laathi sehlate hue Sambhav baba ne sateek jawaab diya.

"Udhar koyi vaahan pahucha hai chikitsak. Daud kar jao toh adhiktam 3-4 minute lagenge baaki chalane me tumsa daksh toh yaha koyi hai bhi nahi. Arjun ki yaha jarurat hai filhal aur Pandit ji se kehna ki wo fauji sahab ko bata de hum unki pratiksha Raghuvir ji ke aashiyane par kar rahe hai. Tumhe turant nikalna chaiye nahi toh Kalpature ke nishaan bhi hath nahi lagne wale.", Itna sunn kar jab tak Umed aur Shankar samajhte Narinder to daud he laga chuka tha. Arjun dwara Devaki ka spasht naam sunn kar wo samajh chuka tha ke baat kahi jyada gambhir hai jisme Arjun shamil nahi ho sakta.

"Lapak be Inder ko. Ye Kalpatru mera shikaar Gajju aur papa ko bhanak nahi lagni chahiye. Jaldi milta hu tumse bade bhai aur jara dhyaan rakhna mere bete ka, ek he hai hum teeno ka.", Shankar aasteen modd chuka tha bhagte hue aur Sambhav ne dhimi awaaj me itna he kaha, 'Chaaro ka anuj, chaaro ka.'

"Pasli tootne se bach gayi tumhari anyatha mamla gambhir ho sakta tha. Yudh me jab pratidwandi behtar ho toh jaruri nahi ki sirf vaar he karte raho. Prahaar se naajuk hisse bachana jyada aavashyak hai. Ye vastra utaar kar ek taraf rakho.", Smabhav baba apni us 4 foot ki lathi par khali hath he nahi ghiss rahe the, unki hatheli me kuch naram lep sa tayaar tha. Arjun ki pasliyon par 3 neeli lakire aur uske gird laal soojan bata rahi thi Sreedhar ke aise 2-3 vaar agar aur lagte toh Arjun uthne ke kaabil na rehta. Us thande lep ka sparsh apni pasliyon par hote he Arjun ki cheekh nikal gayi

"Ohhhh baba.. ye toh jaise aapne hajaro sooi.... chubha di garam garam.. aahhh maaaaa..", Wo hath bhi itna bada tha jisne lep ke sath pasliyon ko dabaye rakha. Lekin har gujarte kshann ke sath jaise Arjun ke chehre par dard nadarad hota gaya. Baba ka hath pasliyon par se alag hua toh waha bas lep he najar aa raha tha.

"Main tehkhaane se wo sab samaan leke aata hu beta. Tum is dusht ke jism par wo sookhi lakdiya saja do. Unki mukti is pishaach ke seene par he hogi jisko anjaam tumhe swayam apne hatho se dena hai. Wapis wahi se laut jana jaha se aaye the.", Arjun ko uski haalat par chhodne se pehle baba ne toh malham wala thoda se lep uske hontho ke kinare aur bohon (eyebrow) ke niche bhi lagaya. Arjun us jalan ko bardasht karta waise he dhad se nirvastra is umas lekin thandak bhare khamosh jungle me baitha raha. Sab samaan leke aane me kuch samay toh lagna he tha.
.
.
"Gajju, tu aur papa yahi utro bhai aur hum jara chote chacha ke sath ja kar aate hai. Jagtaar beta, tum sath chaloge?", Narinder jeep ki agli seat par baitha tha apne bhai ki bagal me aur Shankar ne jaise unko koyi baat ya charcha karne se pehle he dargaah ke pichli taraf utaar diya tha. Wo sachmuch he ek jiwat chaalak tha jiske hath har gaadi ko uski kshamta se adhik le jaane me daksh the.

"Tumhari maa aur baaki sab?"

"Aate hai papa. Aap jara logo ke beech rahe jis se unhe lage ki aap har haal me unke sath hai. Gajju, tujhe un bade bhai sahab ne kuch kaha tha. Fauji matlab Satish chacha. Chal bhai, daba de panja.", Jagtaar toh waise he jeep ke pichle hisse me baitha raha jisko thoda bahot toh Arjun ke sath he pata chal chuka tha ki maamla gambhir hai. Krishneshwar ji ko kuch samajh nahi thi aur unhe kuch bataye bina he Shankar ne Jagtaar ki jeep ek pal ko toh sadak par ragad he di thi. Jis andaaz me wo yaha se nikla tha dono gaanv ke beech padne wale highway par bhi usne koyi parwaah nahi ki kisi vaahan ya durghatna ki. Krishneshwar ji ke toh halak me saansein he rukne lagi thi is raftaar aur us chaalak se. Narinder toh beasar tha jaise usko iski aadat ho aur apni pistol ko load karne ke baad usne Shankar ke liye bhi wo swachalit 10 goliyon wali pistol tayaar kar di. Chaupal se aage nikalte he jaise ye jagah kisi marghat samaan dikhne lagi. Gaadi ke pahiye cheenkhte hue ruke the jabki unse pehle Inder kood kar haweli me ja ghusa jiske dono kapaat khule the.

"Yaha kaand hua hai bhai lekin idhar chhan-bin karne ka koyi faayeda nahi. Basti wali taraf bhaga is jeep ko. Ye khoon ki boonde bilkul garam hai jaise abhi kuch waqt pehle he gira ho.", Shankar darwaje se bhitar he aa raha tha ki Narinder usko liye wapis gaadi me aa baitha. Aangan se kisi ko ghasite jaane ke nishaan aur fir dehleej par us khoon ka muayana Narinder chand second me he kar chuka tha. Jo bhi koyi tha wo is gaanv ki taraf toh jaane nahi wala tha aur haweli sabse aakhir me thi. Shankar fir se adrishya apradhi ke peeche badh chala. Ab jeep dhool udati hui sarpat us kheto wali sadak par daud rahi thi jiske break ek baar fir tyre ko chinkhne par majboor karte hue lage. Saamne sadak ke beech me he Dilbaag aur 5-6 majdoor jakhmi the lekin Dilbaag Devaki ke sar par dhoti ka kapda bandhta hua uska khoon rokne me juta tha. Wo behosh thi.

"Ae Dilbaag yaha hua kya bhai? Shankar dekh jara chachi ko aur Jaggi beta tu aur chacha dekho kisi ke gehri chot toh nahi aayi.", Narinder toh utar gaya tha baaki dono ke sath lekin Shankar ke iraade jaise kuch aur the jo fir se jeep ko sadak se thoda utaar kar aage nikal chala. Bagal wali seat par pistol maujood thi. Narinder usko rokta lekin yaha uski chachi behosh aur log jakhmi the.

"Aaahh.. Inder bhaiya.. Badi maa ko kuch log aguaa karke le ja rahe the aur inke mooh par kapda bandha tha. Wo Meena bhi unke sath thi jo haweli par kaam karti hai. Maine koshish ki thi beech me rehda laga kar unhe rokne ki. Aahhh.. saalo ke paas dande talwaar ke sath rivolver bhi nikli. Wo udhar wale dono aadmi unke he hai lekin lagta nahi zinda bache honge. Mere paali ke bhi goli lagi hai par zinda hai wo.. Jaggi kisi ko bula la re."

"Shhh.. Shaant reh Dilbaag aur kisi ko nahi bulana. Koyi is baat ka jikar kisi se nahi karega. Chachi ke sar par ghaav gehra hai chacha. Jaggi ke sath haweli se car leke aao aap. Inhe hospital le jana jyada jaruri hai. Unhe Shankar dekh lega.", Abhi Narinder ki baat poori hui aur wo log jaane bhi lage the lekin dur kahi tej patakhe chalne ki awaaj aayi jo takriban 5-6 baar goonji.

"Aap log car leke aao, main dekhta hu udhar kya hua hai.", Narinder pistol muthi me dabaye is ghani dhoop me he us viraane ki taraf daud gaya. Jaggi akele car lene bhaga tha kyonki Dilbaag ki khudki haalat buri thi. Jyada khoon behne se Devaki bhi murchit thi.

"Abe tujhe kya hua aur ye jeep? Satyanash ho..", Narinder jabtak us sookhe pokhar kinare wali kachi sadak par pahucha Shankar usko apni he taraf aata dikha. Uski jeep pokhor me gir chuki thi, Jaggi ki jeep. Shankar ke bhi kandhe se rakt beh rah tha.

"Behanchod saale wo toh ghaat lagaye baithe the be. Matlab hum nahi aate toh Dilbaag aur baaki sab maare jaate. Maine usko dekha bhai jisne mujhe jehrila laddu diya tha bachpan me. Idhar koyi kapda bandh. Waise 2 toh dher kar diye maine lekin ye saali goli chho kar nikli aur jeep niche. Chachi ko jald leke jana hoga, wahi hosh me aane pe kuch bata sakti hai.", Narinder uski baat sunte hue bhi pokhar ki taraf chalta raha. Jeep jaha se niche giri thi uske 20 kadam aage he wo dhaatu ka safed patra uske hath laga. Kaale patre par safed rang se RJT ankit tha.

"Rajasthan se toh chachi ka peehar bhi hai na re Shankar.? Aur ye Meena haweli pe Chacha ne rakhi tha ya chachi ne? Hath utha thoda.. Bach gaya sirf chhoo kar nikli hai. Teri jarurat padd sakti hai chachi ke paas, majboot jaan nikli wo. Aur ab wo saadhu baba jis se tu bachpan me mila tha wahi Kalpatru nikla jiska jikar apne dada tak tha. Matlab chachi ke peehar aur is tantrik ka aapas me tagda mel hai. Hosh me raha kar bhai, hum unhe pakad sakte the lekin ab unhe pakde ya ye sab sambhale? Gaanv me baat faili toh bahot panga ho sakta hai.", Dono wapis ghatnasthal par pahuche toh Shankar ko Narinder ne chacha ke sath car me bhej diya. Pichli seat par Dilbaag aur Devaki ke sath Krishneshwar ji aur agli par wo Paali jiske jaangh par goli lagi thi.

"Yaar Jaggi teri jeep ka thoda nuksaan ho gaya. Jyada nahi bas wo pokhar me gir gayi.", Narinder ji ab un ghayalo ko Jaggi ke sath mil kar Dilbaag ke khet me le ja rahe the. Jism par dando ki maar bhi thi aur kuch teekhe cut bhi lage the lekin jyada gehre nahi.

"Wo toh cheej hai chacha, thik ho jaani lekin daadi ki jaan bachna jaruri hai. Arjun ne kaha bhi tha ke main kisi ko le kar idhar chala aau par wo chote pradhaan ji mujhe aap logo ko dhoondne le gaye. Dilbaag baai dileri na dikhata toh badi durghatna ho jaani thi. Waise bahar jo 2 mare pade hai unka kya karna hai?", Jaggi ke paseene aa chuke the kapde bhi kahi jagah se khoon ke dhabbo se bhare.

"Unhe toh fenk denge nadi me lekin is baat ka jikar filhaal kisi se nahi karna. Aur tum log bhi bhai. Tumhara ilaaj aur himmat dikhane ka shukriya main kar dunga. Waise koyi batayega ki hua kya tha?", Ek majdoor jo apni kamar par gamcha baandhne ke baad mooh dhone laga tha usne batana shuru kiya.

"Pradhaan ji, maine he sabse pehle dekha tha jab main Mukandi ko bulane haweli ja raha tha. Wo log badi maalkin ka mooh baandh kar sawari jeep me daal ke bhaag rahe the toh maine Dilbaag bhai ji ko us chowk se he awaaj lagaai jinhone jeep ke saamne chaare wala rehda adaa diya. 2 log beech ke hisse se bahar gire jinhe ek boodhe ne goli maar di. Unke baad 2 log no dande aur talwar se humla kiya lekin Dilbaag bhai ji ke sath hamare ye 4 bhai unse bhid gaye. Main malkin ko bachane pahucha toh us aurat ne pehle unka gala reitne ki koshish ki aur fir mere peit par wo khanjar chala diya jo jyada gehra na laga. Haan us beech ek bada sa tantrik tha jisne Dilbag bhai ji ke laat maari aur fir rehde ko ek taraf fenk diya. Jaane se pehle 2 goli us budhe ne aur chala di jo Bishma ki jaangh me aur bhai ji ke chho kar nikli. Aaj se pehle wo log idhar kabhi na dikhe the aur haweli wali naukrani bhi. Mukandi unke sath he faraar ho gaya. Hum toh police ke lafde me nahi padenge na maalik? Humari 2 bitiya byahne laayak hai."

"Na bhai tumne toh hamari he madad ki hai aur tum sabki jitni bhi betiyan hai sabka vivaah ab hamari jimmewari hai. Waise agal bagal me aur majdoor kyon nahi hai?", Narinder saaf kapde ko patti ki tarah faad kar unhe jakhmi logo ke hath, paanv par bandh raha tha jisme Jaggi unka sath dete hue sab dhyaan se sunta raha.

"Mukandi ke paas he wo log kaam karte hai na maalik. Thekedar wahi toh tha sabka jo aapke kheto se alag kaam karte hai. Aaj savere he usne sabki chutti karke daru kharcha de diya tha. Hum toh Dilbag bhai ji ke sath shuru se bandhe hai, 12 mahine. Nahi toh hum bhi nahi hote idhar. Waise aapki jagah he rehte hai aur khana pina badhiya milta hai maalik toh byaah wala mamla hum mehnat se kar lenge. Maaf karna maalik chota mooh aur badi baat lekin ye Mukandi sasura badi maalkin ji ka mooh laga tha. Wo uske jimme bahot se kaam lagati rehti thi aur pradhaan ji se alag bhi paise deti rehti thi. 2 din pehle bhi wo haweli se unke sath he chaurahe tak aaya tha aur aashirwad lene ke baad noto ki gaddi gamche me bandh ke jata dekha. Fir wo sapola unhe he dans liya. Uh laash hum thikane laga denge maalik jaisa aap kahe waisa he nadi me." Narinder ne bhi muskura kar is vyakti ki peeth par thapki de di. Insaan bahadur tha aur namak ka maan rakhne wala bhi.

"Bola na bhai ke ab betiyan hamari jimmewari hai. Is Mukandi ki chhanbin karwao Jaggi beta apne SI sahab se bol kar. Vyaktigat mamla rahe ye unhe bata dena. Waise Arjun iske baare me kuch jaanta tha ya usko iski bhanak thi pehle se lekin wo log din dahade aisa kaam kar denge ye nahi pata hoga. Khair jab thekedar he haweli ki khabar rakhne ke sath itne logo par hukumat chalata ho toh kuch bhi ho sakta hai. Jaggi, Arjun se milwa dena in sabko aur bata dena ki humne kuch kaha hai. Ab hume chalna chahiye. Haan, bhai tum logo ke yaar-bhai jo bhi ho unke sath mil kar agle talaab se wo jeep nikalwa dena. Hamari he hai, ye paise rakh lo.", Narinder ne 100-100 ke kayi note isi aadmi ko thama diye the jeep wale kaam ke liye. Ab wo Jaggi ko sath liye paidal he haweli ki taraf badh chala. Waha ab gaadi toh koyi nahi thi bas Arjun ki rani khadi thi jo in 2 logo ke liye bahot thi. Is saare maamle ko thik aise na sahi lekin apne pita ko toh batana he tha inhe. Devaki he kuch bata sakti thi lekin filhaal uski behoshi ne kaam mushkil kar diya tha.
.
.
"Lo sab vastra aur ye samaan ab tumhare paas hai. Lakdiyan badhiyan lagaai hai tumne aur ye ghee in vastro par aahuti ki tarah dene ke baad shanti paath kar dena beta. Ab mujhe bhi nikalna hoga, koyi barso se pratiksha kar raha hai hamari. Baad me tehkhaane me hum swayam shuddhi kar denge. Baaki kaam tumhe jab samay lage kar dena, bas aaj nahi. Chalte hai.", Sambhav baba ke jism par ab dhoti ke sath ujla kurta tha aur chehra dhula hua. Arjun unhe prashansha ki drishti se dekhta hua hath jodd kar uth khada hua.

"Toh ab fir kab milenge baba?"

"Ghar toh hamara yahi hai beta lekin koshish karna ki jab atyadhik jaruri ho tabhi milne aana. Humne kaha tha na jab tum vipda me hoge hum swayam pahuch jayenge, jaise aaj. Hamare ekmatra shishya hone ke sath tum bete bhi ho. Bete ke liye pita ke dwar pooch kar nahi khulte parantu isko itna matt badhne dena ki hum aaj wali galti fir kar baithe. Kuch jimmewariyan hai, unhe poora karne ke baad hum jarur milenge. Chalte hai abhi.", Sambhav baba ke shikari jaise fir se gayab ho gaye the apni suraksha nibhane me aur Arjun unhe jaate dekh kar Sreedhar ki shayaa par wo ek ek vastra saleeke se bichane laga. Uske hontho se shanti path aur aankhon me halke aansu the jo dukh ke nahi the. Har vastra ko usne rakhne se pehle mastak se lagaya tha jaise wo unse pehli aur aakhiri baar mil raha ho. Aaj usne Motilal ji ke dil ka sabse bada bojh kam kar diya tha. Kitni he der tak wo isme tallinta se juta raha aur jab har vastra supurd kar diya toh us peetal ki matki me maujood samoocha ghee vastro aur lakdiyon pe udel kar wo agni bhent karke nadi kinare ja baitha. Sreedhar urf Sidheshwar unhi masoom bachiyan ke niche tadap raha hoga jo uska kaal 50 baras baad bani thi. Niyati yahi toh hai aur swarg-narak bhi.

"Tumne hume apna vastavik parichaya nahi diya tha bete? Kya hum sirf sanrakshak he hai?", Ye Rameshwar ji the jo Col sahab ki jagah khud wo car chala kar aaye the jisme usnke sath Umed, Kaushalya ji aur Purnima ji maujood the. Abhi tak unhe haweli ki ghatna ke baare me koyi soochna nahi mili thi. Apni car se swayam Rani Saundarya aur Amrita bhi inke sath pahuchi thi jiske chaalak Kumar Mahendra the. Mehal ki bagal se jaane wale raste par he in sabki bhent Sambhav se hui aur Umed toh alag he bebasi se bas us pahaad se vyakti ko dekhta raha jo uska bada bhai tha.

"Ye mera bhai kaise ho sakta hai chacha ji? Hoga bhi toh ab aise saamne aayega aur isko swikaar kar liya jaayega?", Kaushalya ji ne Umed ka hath thaam kar usko shaant rehne ka ishara kiya kyonki Purnima ji ke aansu fir se shuru ho chuke the.

"Hamara vastavik parichaya is se jyada kiya hoga Pandit ji ki aapke pita ji hamara sabkuch the aur unke jaane ke baad hum wahi kar rahe hai jo jimmewari hume di. Vachan se kya sirf aap he bandhe hai? Wo bhi bandhe the aur hum bhi lekin aapke bhai sahab ne he toh hume unke supurd kiya tha. Humne na kabhi unse sawaal kiye na aapse karenge. Humne ek maa ko yaha vann se nihara aur dusri ki sirf tasvir dekh kar khush hote rahe. Wo (Raghuvir) tamaam umar humse ek shabd sunn ne ko taraste rahe jo humne siwaye baapu ke kisi ko nahi kaha lekin atche shikari the jinhone antim itcha me hume beta bata kar rishta pukhta karke shikaar kar he diya. Haan aaj humne baapu ji (Motilal) ki ekmatra itcha purn kar di toh aapke bhai sahab ki bhi karenge. Hamare pita Raghuvir ji ki antim itcha. Gajendra jiwanbhar 2-2 maaon ki chhaya me raha jo hamara anuj hai lekin hum.. Hum 16 baras baapu ji ki aagaya anusaar shiksha dikhsa me lage rahe ho kabhi sukoon se soye toh wo bhi unke seene lag kar. Saundarya maa, aapne toh hamara bachpan dekha hai na 2 baras tak, hum wahi shishu hai jinhe baapu ji ne aapko saunpa tha daai maa ke sath. Jo sawaalo ke jawaab de sakte the unhe kabhi aaplog he jawaab nahi de paaye toh hum kya kehte ya poochte.", Sambhav ke aise khulase se swayam Rameshwar ji aur Umed ki bhi najre jhuk gayi thi lekin Rani maa ke chehre par aaye khushi ke aansu bahot the Sambhav ko gale lagane ke liye. Haan wo pahaad jaisa tha lekin mamta ne jhuka diya.

"Hume gale lagna nahi aata maa aur jitna anubhav hai wo sirf Arjun ke sath hai. Chaliye aap toh apne bete ko pehchaan gayi.", Ab Purnima ji ka dharya aur dil jawaab de gaya jo uske saamne ghutno ke bal he gir gayi. Unke rudan aur swayam ko aahat karne ka bhaav dekh Umed se pehle Sambhav he unke kandhe thaam kar khada karke ashru saaf karne laga. Sadhe 5 feet ki kamjor si Purnima ji aur wo daityakar unka beta jiske hath chehre se dedh guna bade the.

"Sahi suna tha humne maa ki hamari teesri maa ka hridya kathor aur dusri ka jarurat se jyada naajuk hai. Hum Gajendra se jyada saubhagyashali hai ki hamare paas 3 maa hai agar aapki behan ki shanka dur hoti hai toh.", Ye pehla awsar tha jab Umed muskurata hua aansu baha raha tha. Kaushalya ji pehle he aavesh me thi aur ye sach jaan kar unka para sab kshamta paar kar gaya jinhone seedha us jhuke hue pahaad ka kaan khinch liya.

"Fir tu na utra us dangal me jab tera bhatija maa kha raha tha? Aur ye saare hooni ki jadd hai jinse tu sawaal nahi kar raha. Main inke baap se bhi nahi darti thi aur ab wo nahi hai toh tu rattu tote ki tarah bolega. 3 maa 3 maa wala tera gana baad me pehle chal ke tere baap ki aatma ko shaanti de agar ho gayi ho antim itchaye poori.? Aur tu Umed, is se sawaal kar raha jiske jaisa tu khud dikhta hai? In vachno ne aadha pariwar maar rakha hai. Log chale gaye lekin chhod gaye peeche vachan. Deke dekhe ab koyi ye vachan aur kasam, main karti hu uska hisaab. Tumhara rona band ho gaya ho rani ji toh jao inke sath. Aap yahi rukoge ji is Umed ke sath."

"Sach kehte the baapu ji ki badi bahu asli mukhiya hai, unke saamne toh wo swayam bach ke nikalte the ya deri se ghar jaate the. Aap yaha nahi rukenge, Pandit ji aur Gajendra ko sath chalna hoga hamare. Hum samajik insaan nahi hai toh aap he samjhayenge ki kaise sab karna hai."

"Waise mera naam Umed hai aur main pehle he tumhe bada bhai keh ke bula chuka hu. Wo alag baat hai ki tab umar aur taqat ki wajah se bola tha. Toh tumhe rani maa ne pala isliye papa ne aisi antim itcha rakhi thi. Mujhe toh itne saal yahi sochne me lag gaye ki kahi Rani maa unki jawani ka pyaar toh nahi thi. Sorry Kumar sahab aur rani maa, lekin humne toh wo bhi swikaar kar liya tha isliye aapse baat karne ke baad aa gaye idhar.", Ab Umed ko kya pata ki wo sab sach he bol raha tha aur is baar toh Rameshwar ji ko bhi uski baat par hansi aa gayi thi jinhone thoda sa tej thappad uske kandhe par jadd diya tha.

"Tum toh samajhdar insaan ho fir bhi aisa bol rahe ho? Rani ji ke baare me aise khayaal nahi rakhne chahiye the tumhe. Atchi baat hai ke tum maafi maang lete ho. Sambhav, beta kya hum tumhare sath thoda samay bita sakte hai?"

"Filhal hume khed hai Pandit ji parantu jald he mulakaat hogi. Asthiyan jarur yaha visarjit ho rahi hai lekin iske baad hume sidha ganga ghaat jana hoga, maa ke sath. Hum chahte hai ki waha sirf 3 maa aur Gajender, kshama kijiye anuj Umed. Umed sath chalenge. Hume vaahan chalana bhi nahi aata.", Sambhav 3 striyon ke sath chalta hua he durlabh jeev dikh raha tha aur uske peeche aate Rameshwar ji ke sath Umed, Kumar aur Amrita bas kabhi usko toh kabhi in 3 mahilaon ko dekhte. Hath abhi tak Kaushalya ji ne thama hua tha uska.

"Wo toh chalega he lekin meri baat ka jawaab na diya tune. Jab itna pahaad sa hai aur khudko Arjun ka guru bataya fir usko ladne kyun bheja?"

"Wo shishya ke sath he baapu ji ka waaris hai maate. Hamari seema bas wo vann aur nadi wala kshetra hai jiski raksha hume saunpi gayi hai. Us se bahar Arjun adhikari aur rakshak. Waise bhi hum bhi chunoti nahi de sakte the aur aapne dhyaan nahi diya ki Arjun beshak humse kamjor jaan padta hai lekin uske prahaar ko hum bhi jhel nahi paaye. Hum aapse jarur kuch sanjha karna chahte hai parantu sirf aapse. Uske liye hume samay milega.", Sambhav ko aise sochte hue bolta dekh Kaushalya ji ne he uske ankahe sawaal ka jawaab de diya.

"Wo jitna samarth hai ye tum behtar jaante hoge lekin tumhe bhi Ritu ke baare me nahi pata. Wahi sawaal tha na beta tumhara?"

"Ji maate. Jab Arjun 9 baras ka tha tabhi hume Shri Raghuvir ji ne uski avastha se parichit karwaya tha jaisa unhe aadarniya Pandit ji ne bataya hoga. Wo hamara khulasa apne bhai se bhi nahi kar sakte the jaisa vachan tha unka baapu ji ke sath. Tabhi hum mile the Arjun se. Hume varsh me bas ek mahine he avkash milta hai aur us samay humne bas Arjun ko samajhne me he vyatit kiya. Agle baras hume uski haalat chintajanak lagi aur jab kisi badi kaksha ke chhatra ne behan ke baare me usko apshabd kahe toh wo 10 baras ka yuvak vidhyutt parivartit ho gaya. Us ghatna ko shri Raghuvir ji ne wahi band karwa diya tha aur uski punravriti na hone paaye isliye hume niyukt kiya gaya Arjun ke sath har varsh 30 din vyatit karne ke liye. Hum nahi jaante the ki yahi wo behan hai jo us asimit urja ka strot hai. Ab wo khudko bahot behtar sambhaal sakta hai parantu us khaas pal me jab wo baalika aahat hogi toh.. Prabhu aisa samay kisi ko na dikhaye. Iska hal hamare paas bhi nahi hai maate."

"Judd gaye na tumhare bhi hath? Isliye usko ghar rakhte hai hum aur uski behan ko bhi. Dono sath hai toh fir bahar bhi chinta nahi lekin jaisa tum nahi hone ka keh rahe ho waisa darr hume bhi rehta hai. Waise Raghuvir bhai sahab ne ye bahot galat kiya aur agar wo aaj saamne hote.."

"Tab bhi tum kuch nahi kar sakti thi Kaushalya. Humne bataya tha na ke wo pita ji ke kahi jyada kareeb tha humse kyonki wo unke jaisa tha. Hume samajh nahi aa raha ki hum khush aur dukhi, eksath kaise ho sakte hai. Wo bhi aaj is khaas din par. Yahi hai Raghuvir ka thikana jaha kuch bhi nahi siwaye yaadon ke aur main unse dur he bhala. Ye samaan le jao Umed, main bahar he hu.", Rameshwar ji wahi ruk gaye the us viraan se ghar ke bahar jo band hone ke bawjood saaf suthra tha. Iski dekhbhal ka jimma swayam raj-mehal ke paas tha. Unke sath he Rani maa aur unke bache ruke toh is baar Purnima ji ne Saundarya ka hath pakda.

"Hum ab samaan rishtey se bandhe hai Saundarya, kadam peeche lene se wo badalne wala nahi. Bacho se anumati lena chahti ho?", Ab Kumar ne hath khade kar diye the aur apni maa ke jhuke sar ko dekh swayam Amrita unke sath chal padi.

"Anumati nahi le rahe aur is ye jagah hamare liye mandir si pavitra hai kyonki inki wajah se humne matratva samjha tha jab hum har rishtey se prithak ho gaye the. Na didi jiwit thi, na aapki badi nanad aur hamari bhabhi. Unke sath humne maa ko bhi kho diya tha lekin fir hume Sambhav mila, inka ansh. Umed ko nahi pata ki hum uski purani rishteydar hai mehal ki rani hone se?", Ye baat ghar ke bhitar jaate hue sunn kar baaki sabke he kadam ruk gaye the siwaye Kaushalya ji, jinhone wo darwaja khola tha bagicha paar karke.

"Badtamiji ke liye dil se kshama chahte hai hum aapse rani maa. Ye toh khud kabhi pita ji ne bhi nahi bataya tha aur na chacha ji ne. Itna dukh aapne jhela wo bhi akele. Haan wo kabhi mehal ki taraf aane nahi dete aur gaanv bhi aate the toh hum logo ke sath nahi. Kehte the ki waha koyi vaasta nahi unka. Aur isliye he chacha ji ne hume nahi bataya hoga. Dukh aksar bacho se dur he rakhe jaate hai. Waise is tarah toh hum bhi daavedar hue mehal ke?", Gambhirta ko khatam karne se kiya gaya ye uphaas sunn kar Sambhav khamoshi se Purnima ji ke sath bhitar chala gaya lekin rani maa ne jarur Umed ke sar pe hath firaya.

"Maaf karna bete lekin uska ek alag sach hai. Waaris Arjun he hai hamare jaane ke baad ya fir wo jiska chunaav kare, sabhi sharto par khara utarne wala uske samkaksh. Haan tumhe Kumar ke samaan poora haq hai jo aajkal khud Arjun ke prem me dooba hai. Dekh lijiye apne pita ka ghar, kuch yaha bhi khaas mil sakta hai.", Bhitar saaf kapda bichaye Sambhav dhyaan mudra me baithe the diya jala kar aur uske kareeb he asthi kalash tha. Kaushalya ji aur Purnima ji har jagah gangajal ke chhinte de rahi thi, sab khidki darwaje khol kar. Aaj aakhirkar is ghar se he Raghuvir ji ki antim itcha purn ho rahi thi. Kayi rishtey dikhe the aur kayi dikhne ke bawjood najro me na aa sake. Yaha se aage ab Rameshwar ji ko waha jana tha jaha filhaal Arjun nadi me dubki lagata hua khudki haalat behtar kar raha tha. Wo lep asadharan tha jisne uske dard ke sath nishaan tak har liye the.
.
.
"Papa abhi tak nahi laute ye Binod. Bata ke gaye hai ki wo log kidhar nikle hai?", Mele me logo ka hujoom kahi bhari ho chala tha aur gram-prabandhan yaha vijayi team ke sath baaki sabhi ko sammanit karte rahe. Vinod idhar bhi apne pita aur tauji ki gairmaujdgi ki bharpaayi me laga tha. Is baar unke he gaanv ki team jeeti thi 3 baras ke antraal baad. Manji wale daar ji ne toh apne bete ko he kandhe par utha rakha tha aur aisa he haal baaki khiladiyon ka tha jo dangal bhool kar sabse ghulte milte khushi jahir kar rahe the. Shahid yaha apne dono beto ke sath aaya tha aur Jugraaj ji bhi har team ko badhaai dene ke baad dhol ke thaap par apne ladko ke sath bhangra karne me masroof. Bas ek Narinder aur dusre col sahab he the jinke chehre par kuch pareshani thi. Ghar ki ladkiyan bhi Anamika chachi, Dipa bhabhi aur Roshni ke sath he sahi suraksha me mele me masroof thi, chahe wo mann se idhar nahi thi lekin sabhi ke vyast ya nadarad hone par yahi unki majboori thi. Ab Narinder ji ke dikhaai dene par wo bhi manch ki taraf he laut aayi.

"Inder bhai, main toh aapke saamne he fansa hua hu aur tau ji se poochna matlab sabke saamne jhaad khana. Gaye hue bhi 2 ghante hone ko aaye unhe aur yaha sabhi pooch rahe the unke baare me. Udhar dargaah par bhi Arjun ne jana tha lekin Komal bitiya bata rahi thi ki wo udhar jaane se bhi bach raha hai. Waise Shankar bhaiya aur papa nahi dikh rahe.", Ab Vinod ke sawaal ne Narinder ko raha saha pareshaan kar diya tha lekin jaise bhagwaan ne uski pukaar sunn li thi jo mehal wali car se uske pita utarte dikhe aur Krishneshwar ji ki neeli esteem se Shankar. Lekin unse pehle he Ritu apne pita ki taraf daud gayi.

"Vinod, XX hospital me chachi admit hai bhai aur wo khatre se bahar hai. Meena ne un par humla kiya tha aur shayad wo ghar se kuch chori karke bhaagi hai. Ghabrane wali baat nahi hai kyonki sahi samay par main aur chacha pahoch gaye the unke paas. Shaam tak chutti mil jaayegi toh tu Inder ke sath lene chale jana.", Shankar ne ye baat jaanboojh kar apne pita ke saamne kahi thi aur car se bahar nikla Arjun bhi sab sunn kar sakte me aa gaya.

"Shankar bhaiya, matlab maa ke bahot jyada chot lagi hai.? Wo thik toh hai na? Main abhi jata hu unke paas."

"Binod, 2-3 ghante me chhuti mil jaayegi bhai aur thoda khud ko sambhaal. Wo thik hai bas Meena ne unke sar pe kuch mara tha jis wajah se behosh ho gayi thi aur samay rehte hum unhe hospital le gaye the. Badi baat hoti toh main tujhse pehle papa se kehta yar ya fir Inder ko batata.", Shankar ne toh yaha apne bhai ko bhi bacha liya tha is kaand se.

"Dargaah ke baad main khud jata hu Vinod ke sath. Aur tum dono bhi nikal jana wapis Satish aur Ritu ko lete hue. Tumhari maa aur chachi raat tak he lautne wali hai, Sambhav apne pita ki shanti ke liye Umed aur unhe le kar Ganga ghaat gaya hai.", Yaha abhi ye log pehle sadme se bahar na nikle the ki ye naya bomb fodd diya tha inke pita ne.

"Kaun Sambhav aur wo kaunse pita ki shanti ke liye gaya hai jaha hamari maa aur chachi bhi chali gayi?", Narinder he sateek sawaal karta tha.

"Wahi iska guru aur tumhara sabse bada bhai. Wahi toh tha jiske hatho asthiyan visarjit karwane ke liye Raghuvir ne kaha tha. Mil lena us se lekin sirf saawan me he haweli aayega baaki 11 mahine nahi mil sakte us se. Oh bail, chal ab jo kaam tu karne aaya hai wo kar le. Baad me chala jaaiyo teri mandali ke paas.", Shankar aur Inder ek dusre ko he hairat se dekh rahe the aur Arjun sar khuja raha tha. Vinod ke kandhe par hath rakh kar uska manobal badhate hue Rameshwar ji apne dusre hath se wo safed rumaal nikaal chuke the

"Mera jana jaruri hai kya bau ji? Aapke papa ka naam aap he laga do na.", Arjun ko peeche hat-te dekh Rameshwar ji thithak gaye aur uska hath pakad kar chalne ke liye kehti Komal didi se bhi Arjun ne hath chhudwa liya.

"Chala ja ab jo kaam tere jimme hai wo tu he karega. Maine chunoti di hoti toh ek minute nahi lagata waha maatha tekne me. Aur naam bhi tu he lagayega is jagah par.", Shankar ji ke kathor rukh se bhi Arjun ne bas sar jhuka liya lekin wo aage nahi badha. Narinder ji apne bhai ko shaant kar rahe the peeth sehla kar.

"Yaar chala ja jab itna sab kar diya toh. Soch liyo teri maa bhi udhar he baithi hai. Kyun sabke saamne thaanedar ji se marammat karwane par tula hai?", Ab bhi wo apne paanv jameen par he ghisad raha tha lekin jaise he uske sar par Ritu ne saaf vastra bandha aur apne sar pe bhi dupatta liya wo ektak uske saral se chehre ko dekhta raha jaha nirmal si aabha thi aur mook aamantran. Uske baad na kisi ki awaaj sunaai di aur na waha ka shor he uske kaano tak pahucha. Aage chalti Ritu aur uska hath pakde peeche Arjun. 25 kadmo baad wo us dehleej par tha jaha bhitar jaane se pehle usko apne dada ki tarah hath dhone ke baad shish jhukana tha. Wo bas khada raha aur uske dono hath swayam Ritu ne he dhulwaye jaise wo bachpan me karti thi uske kapde kharaab hone se bachane ke liye.

"Beta idhar sar jhukana hai, udhar nahi.", Arjun ko thoda tircha jhukte dekh Rameshwar ji ne he usko disha dikhaai. Bhitar wo ruhaani mehak aur dargaah ke gird jalti anginat agarbattiyan ka par-sakoon dhumra. Mann swayam he jaise uske adheen ho chala tha kyonki is pal me bhi usne apni behan ka baya hath thaam kar kuch majbooti se pakde rakha.

"Wo bade pandit ji aaye the idhar kabhi?", Arjun ne idhar bhi ye sawaal pooch he liya jis par Rameshwar ji chaadar kholte hue Vinod ke sath usko ek sire se pakde the. Dusri taraf Ritu ne Arjun ko bhi pakadne ka mook ishara diya toh bina hath alag kiye usne ek sira thama aur dusra Ritu ne. Thik aise he mauke par sawaal kiya tha.

"Pita ji aakhiri akhada jeetne ke baad he aaye the idhar. Mujhe khushi hai ki tum kam se kam unke liye he sahi par aaye toh. Jaisa tum maante ho beta, ye sthaan bhi pavitra hai jo kisi dharam ka paryaaye nahi, sewa aur aapsi sauhard ka paryaye hai. XXXXX ji ek fakeer kehlaye par duniya ko gyaan aur insaniyat sikhaai. Jaise mela sabke liye hai waise he ye sthaan bhi. Jo sahi prerna de wo sthaan sabse pavitra. Waise tum iske sath he raha karo beti, nakel humse toh nahi khinchti is adiyal tattu ki.", Iske halke fulke gyaan ke baad Rameshwar ji ne aur kuch na kehte hue paridhi par chakkar lagane ke pashchaat fir se shish navaya aur pavire lou le kar bahar chal diye. Arjun toh jis pal Ritu se alag hua wo toh bas uske he sajda karta niharta raha. Anjaane he sahi lekin wo he uske sath kadam rakhti is jagah aayi thi jaisa Arjun ka vaada tha. Dupatte se dhaka wo sar aur hath jode ghutno par baithi hui Ritu ke siwa bas ek khaas ehsaas tha us pal me.

"Sar teko ab.", Ritu ne dhime se aadesh diya toh waisa karte hue bhi Arjun najre ghumaye usko he dekh raha tha jis par wo gussa hoti bahar he chali gayi.

"Oh baba ji ab bulwa liya aapne bhi lekin wo naraaj ho gayi mujhse. Waise jagah sachmuch atchi hai aur agar meri maa mujhe yaha leke aayi na toh pakka thoda waqt rahunga aapke paas. Chalta hu abhi lekin aa gaya hu toh aage bhi aaunga. Hamare poojniya Motilal ji ki taraf se aapko shat shat naman.", Arjun waise he sar ko dhake ulte paanv he bahar laut aaya jaha Ritu nahi dikhi par Dargaah ke bahar wale us khali ghere ke kareeb naam patrika aur sandesh liye uske dada jarur mil gaye. Ab toh udhar panch-sarpanch ke sath Graam-samiti ke 6 bujurg bhi the.

"Chalo beta ab isko bhi apne hath se waha laga do. Is par likha hai ki manushya ashaant ho toh kisi nek ki sharan me aaye kathor galti karne se pehle. Ye sthaan sabke liye hai aur iska koyi maalik nahi. Abhaari aapka sewak.", us par toh naam he nahi tha.

"Ye kaisi naam-patrika hai bau ji? Aur bade pandit ji ka naam kaha hai?"

"Ye unhone he lagaya tha toh unka he naam hua. Ab idhar bhi likh de kya Pandit Motilal ? Kamakal ho tum thode. Log padhte hai aur jaante hai ki ye kisne lagaya aur humne hataya tha bas. Ab lagao apne hatho se aur maafi maang lo hamari taraf se.", Arjun ne bhi kahe anusaar waisa he kiya aur hath jodd kar peeche hatt gaya.

"Maafi aap he maang lo bau ji. Mujhse toh direct baatchit hai unki.", Arjun ko aise hanste hue jaate dekh swayam Pyaarelal ji aur baaki logo ke chehre par bhi hansi aa gayi.

"Vekh lo chacha ji, kidda keh ke gaya apne padd-daade vaste. Maaf karna pita ji, jajbaat aksar galti karwa jaate hai.", Rameshwar ji ne bhi hansne ke baad sar jhuka kar maafi maangne me waqt na lagaya. Dono bade gaanv ki team pehle dusre sthaan par aayi thi aur hath mooh dhone ke baad wo sabhi dargaah ke bahar he khade the. Apne bujurgo se aashirwad lene ke baad bhitar shish jhukana bhi ankahi pratha bann chuki thi is khel mele ki. Arjun sabhi se hath aur gale lagne ke baad us aur chal diya jaha usne Ritu ko jaate dekha tha. Wo mele se bahar he ja rahi thi lekin sadak ke dusri taraf jaha wo peele phulo ka amaltaas ka vriksh laga tha.

"Aao tumhe kuch dikhana hai.", Arjun us neeli khuli jeep me sawaar hota Ritu ke kareeb aa ruka tha. Wo kuch pal bas usko ghoorti rahi wo peel phool ki tehni pakde. Narajgi saaf jahir thi uske chehre se lekin khamoshi se wo bagal wali seat par baith he gayi. Jeep gaanv se bahar ki taraf kuch waqt chalne ke baad ek taraf mudi jaha purani diware he khadi thi aur wo lohe ka darwaja. Us char-diwari se ghire bade se maidaan ke beecho beech ek safed moorat bani thi jo aaj aisi saaf thi jaise usko waha aaj he lagaya gaya gaya ho. Uske niche he sangmarmar ka 3 feet ka chokor burj jis par likha tha Maa Anuradha. Ritu us moorat ki taraf swatah he khinchi chali gayi jiske chehre ko koyi rang diye bina bas bariki se tarasha gaya tha. Chaya ke liye uske upar bana kaanse ka chokor chhatra. Kitni he der wo usko niharti rahi aur khule darwaje ke beech khadi jeep me baitha Arjun usko.

"Ye bahot khoobsurat hai Arjun aur jaise maine aisa kuch kahi dekha hai. Tumhe pata hai ye kiski hai?", Arjun jeep andar leke aata hua thik uske saamne ruka aur chasma seat par rakhte hue Ritu ki taraf ek aasha se dekhne laga. Jis andaaj se Ritu ne usko baahon me bhara tha wo yakinan ek jiwant pal tha sirf aur sirf alokik prem se bhara. Arjun uske adheen ho chuka tha poori tarah.

"Ye hamari hai aur barso se idhar he thi. Inke saamne main tumhe aise he milna chahta tha Ritu kyonki Arjun se prithak ye Rudra sirf tumhara hai.. sirf tumhara. Aaj ek vada aur poora hua, tumhe apno ke saamne he khud ko tumhare supurd karne ka. Bas aise he tum mujhe jiwanbhar thaam kar rakhna, main utna samajhdar nahi hu. Tumhara Rudra aaj bhi waisa he hai jaisa pehle tha.",

'Humne khud ko he dekha apne khawab me, thoda sa vilayati swaroop tha lekin jeep yahi thi jo abhi hamare paas hai. Wo bahot khaas pal tha kyonki jab hum us se utre toh ek bilkul hamare he nayan liye sundari ne humko aalingan me bhar liya. Humko ummeed nahi thi jaise unki aur sach me abhi tak hum mehsoos kar pa rahe hai us hridyagati ko. Avismarniya aur dono itne samaan jodidaar kaise ho sakte hai? Wo sundari hum par haavi thi aur pehli baar jiwan me humne khud ko kisi mahila ke adheen surakshit paya.' Motilal ji ke wo shabd sarthak ho chuke the kyonki yahi toh wo yuvti thi jiske adheen unka wo swaroop tha jiska naam Arjun tha.

"Mera Rudra.. Mujhe wo Arjun ke samaan he pyara hai lekin uske sath rehne ke liye mujhe Arjun ki bhi jarurat rahegi. Shayad wo us tantrik se bhi jyada jokhim bhari raah ho. Meri chahat toh hamesha se wahi hai lekin apne pyaar ke liye apno se he jhoojhna anaikti hoga Aaru."

"Meri antim itcha unhe bhi maan ni hogi bas us samay tak mujhe thaam kar rakhna jaise aaj tak kiya hai. Wo sab jaante hai ki Arjun par kayi adhikar ho sakte hai lekin is par.. ye sirf tumhe mehsoos karta hai.", Arjun ke seene par rakhe apne hath par uski dhadkan mehsoos karti Ritu ki aankhon me bhi khushi ki halke se aansu aa chuke the.

"Buddhu ram, maar bhi jaungi na toh bhi tumse alag nahi hone wali main. Bas dekh rahi thi ki tum sachmuch is hadd tak sochte ho. Mujhe Arjun naam he pasand nahi tha lekin wo tumhara hai isliye atcha hai. Mere liye Aaru he thik baaki jo sabko nahi dikhta wo toh mera he hai. Aaj toh tumne sabke saamne manwa diya ki hum dono alag nahi hai. Baaki daadi ki itcha bhi thodi gair-samajik he hai. Filhaal tum mujhe thodi is maa ke baare me bataoge.", Ritu uske kandhe pakad kar jeep ke bonut par he aa baithi thi jo garm nahi tha. Uski bagal me sath baitha Arjun usko ye pyaari kahani sunane laga jo usne padhi thi.
:reading1:
 
  • Like
Reactions: Naik and Raj
139
654
94
ENGIMA bhai kya ek itefaaq hai ki Anuradha jee ka face aur rekha jee ka same hai. Ya iske piche bhi koi raaj dafan hai. Waise bhailog abhi tak bas ek hi raaj khula hai. Aur dusra wo kalpataru ka jisne shankar ko zahar diya tha.
Lagta hai ab story me maza aane wala hai. Aur mere khayaal se jald hai inder aur Shankar registan me honge kalpataru ke saame. Bahut hi unda pradarshan.
ENGIMA bhaiya.
Ye ek aise story hai jiske update kam aur maza lene ke liye comments ki bharmaar hui padi hai. Waise ek baat aur engima bhaiya aapki hi ye ek story hai jisme sabhi khul ka comments karte hai. Bas aise hi banaye rakhe.
 
Last edited:

King Lucifer

👑 Rσყαʅ Kιɳɠ 👑
Banned
185
651
94
hello Dosto

Barhya update tha
Damaaky par damaaky ho rahy hyn Story mai filhaal to

Boht he Zbrdst Update tha

Ab Agly Update ka intzar hai 😈
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Enigma

:superb: :good: :perfect: :10: awesome update hai Enigma bhai,
Behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
kalpatru ne to devaki ko aaj maar hi diya tha, lekin arjun ne pahle hi apni taiyari kar rakhi thi, dilbaag bhaiya aur unke saathiyon ne apni bahaduri ka parichay dete hue devaki ko bacha liya hai,
kalpatru aaj haath aate aate rah gaya,
vahin sambhav ka apni teeno maa se milne ka drishya adbhut hai,
ritu aur arjun ke beach to aaj prem ka ek alag hi parishuddha bandhan dekhne ko mila hai,
dargah mein uske saath jaane se lekar devi anuradha ji ki pratima tak pahunchane ka har ek drishya apratim tha 💘❤️,
motilal ji ka sapna bhi aaj sach ho gaya :love3: ,
vahin udhar Raghuvir Singh ji ki bhi antim iksha poori ho gayi hai,
Ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Waiting for next update
 
Status
Not open for further replies.
Top