Billi420
Well-Known Member
- 2,526
- 13,180
- 158
These words from FâķîřăKal.. aakhir ye kal kyun aaj nahi hota?
Kaash.. aur jiwan iske bina kitna behtar hota ...
Tum aaoge fir wahi jahan ye jahaan kaash aur kal se alag hoga..
Tum reh Lo kuch dur aaj par kal hamara sath hoga..
Main koyi mausam nahi na pyaar Mera..
Bas ajaad ho kar aana sartaaj..
Waha tera koyi aur na hoga..
Bikhre pyaar ko sametna main jaanti hu..
Toote taaron se duaayen kamjor chahte hai..
Tumhare pehlu me jab kudrat ki preet se ye Hritu hogi..
Kuber ki jaagir khud aarti tumhari utaarti milegi..
Wahaan bas kash na hoga parth, tumhari Subhadra hogi..
Chakravyuh Abhi se pehle khud Tehas nehas karti..
Tum kuch masoom ho aur lampat bhi..
Chalta hai jab Rekha se ghire komal Madhu ho..
Purnakaar to hum pehle he ho chuke..
Ab ekakaar hona hai ...
Haan ab samaaj se bhidant hai.
Tumhe sakaar hona hai .
Arjun ko vanvaas khud ko saabit krne ke liye milega kynki purnakaar toh ritu aur arjun ko milake bnta hai lekin ekakaar arjun ko apne aap ko ritu ke liye saabit krne kee baad milega, haan uske liye samaj se bhidna bhi pdega lekin jeet uski hogi aur ritu bhi ....
Mtlb yeh poem arjun ke vanvaas ke samay hai , aur jo jagah ka jikar hua ki wahan kash aur kal ka mehatav nhi hota wo jagah hai arjun ka ghar yaani rameshwar ji ka sansaar jahan ke saare log aaj me jeete hai ,
Vanvaas me ritu aur arjun alag alag honge lekin alag hoke bhi saath honge aur inka pyaar toh anmol hai jiska koi tod he nhi hai chahe yeh jahan bhi rahe
Yahan preeti ritu aarti lekin yahan kuber ki jaagir toh meenakshi the aur agr dusre angle se dekha jae toh kuber ki jaagir toh raj mehal ki raani ko bhi bol skte ho
Madhu komal aur rekha ka jikr hua mtlb rekha aur madhu bua ke samne kuch baat hoge jisme komal ka bhi jikr hoga kahen na kahen , shayad madhu bua ka jikr isliye hoga kynki behan bhai ka rishte ki baat samne ayi hogi aur komal ka isliye kynki use shaadi nhi krni the aur shyad wo gandharv biwi bne arjun ki aur raj path sambhale jiske liye rekha ji ka samne krna pde
Last edited: