Wah, speechless kavita kahi he bhai. Waise ye kavita arjun ko koi suna raha lagta he. Isme Preeti, Ritu, Rekha ji, Komal, Alka, Aarti ka jikal hua he. ye kavita Ritu ne kahi hogi arjun ko jab wo vanvaas ke liye ja raha hoga ya fir wo vanvaas me khud ko akela mehsus kar raha hoga aur usane Ritu se baat karke kaha hoga ki KAASH ME ATIT(KAL) ME AISA NA KARTA TO HUM AAJ SATH HOTE. FIR WO KEHTA KI ME BHAVISHYA(KAL) ME AISA KARUNGA WAISA KARUNGA.
Tab ritu ne ye kavita kahi hogi. Atit ke liye ki jo ho gya use bhul jao, aur ye kaash sabd ka priyog mat kar. Tutate taro wali baat ritu ne arjun ko mehnat karne ke liye kahi hogi ki wo itane kamjor nahi he ki tutate taro se apne milne ki dua maange.
Tum aaoge fir wahi jahan ye jahaan kaash aur kal se alag hoga..
Tum reh Lo kuch dur aaj par kal hamara sath hoga..
Main koyi mausam nahi na pyaar Mera..
Bas ajaad ho kar aana sartaaj..
Waha tera koyi aur na hoga..
Bikhre pyaar ko sametna main jaanti hu..
Ye line ritu ne arjun ko ye batane ke liye kahi he ki use wapas usake pass hi ana he. Wo arjun ka intejar karegi. chahe wo kitna lamba intezar ho wo mausam ki rtarah nahi badalegi. Lekin sath hi ritu ne ye bhi saaf kar diya jab arjun vanvaas se vapas ayega tab use apni sari premikao ko chhod kar aana hoga. aur usake bhikhre pyaar ko Ritu samet legi.
Tumhare pehlu me jab kudrat ki preet se ye Hritu hogi..
Kuber ki jaagir khud aarti tumhari utaarti milegi..
Wahaan bas kash na hoga parth, tumhari Subhadra hogi..
Chakravyuh Abhi se pehle khud Tehas nehas karti..
Tum kuch masoom ho aur lampat bhi..
Yaha Ritu batati he ki Arjun ke vanvaas se wapas aane par usake saath Ritu, Preeti, Alka aur Aarti hongi. Aur ritu ne pyaar ae arjun ko usake viyog me rone ke liye fie se jhidak diya.
Chalta hai jab Rekha se ghire komal Madhu ho..
Purnakaar to hum pehle he ho chuke..
Ab ekakaar hona hai ...
Haan ab samaaj se bhidant hai.
Tumhe sakaar hona hai .
Yaha pehli pankti me ritu arjun ko Rekha ji, Komal aur Madhu ko apne sath hone ka ishara de rahi he. purnakar matlab un dono ke beech jismani sambandh to pehle hi ban chuke he aur ab Saadi karke Ekakaar hone ko bol rahi he jiame Arjun ko Samaj se ladna hoga aur usame safal bhi hona hoga.
Ye meri taraf se is kavita ka saar tha. Mujhe itna gyaan to nahi he par jitani meri kshamta thi usake hisab se mene apne dil ki baat keh di. Agar kuch galat likh diya ho to use thik kar dena BHAI.