aalu
Well-Known Member
- 3,073
- 13,050
- 158
aaj rekha jee apne swaroop se pare hi dikhi jo kisi ne mehsoos na kiya tha aaj se pehle.. shayad vivah se pehle wo aisi hee thee.. jo ghar pariwar kee jimmewar aur ekaki jeevan bhare pure pariwar mein hote hue bhi jeene ke karan hua tha... aaj shayad na uss pariwar ka bandish tha uss kshan mein na kisi kee vivahita... bas thee toh wo ek premika apne premi ke samaksh....
jis tarah kee khushi rekha jee ko uss kamre kee ek ek cheej dikhane aur batane mein ho rahi thee jaise koi bachha apni pasandida cheej kisi ko dikhata ho.... yeh uphaar hi rekha jee ne arjun ke liye tayaar kar ke rakhha tha... lekin wakt kab mila... iss jagah aane aur usse dhoondhne mein...
tillotama urf devi anuradha ek rahashya jaisi chhavi ban chuki hain inki.... akhir thee kya wo... aur kaise ek aisi veerangana ke baare mein lagbhag bhula diya gaya... akhir aise log ke kaarname toh log sunate aate hain ... unki pehchan tak na pata hain unki aane waali peedhio ko... jab devi kee tarah pooja jata hain unhe toh phir unke karm ko andhkar mein kyun rakhha gaya bhala... aur khud unki hi maa kee tashveer dekhne kee anumati kaise na thee motilal jee ko.. padha tha shayad kee unhe uss taraf jaane ke anumati na thee.... logo kee maane toh 16 varsh kee aayu mein unki mrityu ho gayee... unhone hi uss anaitik haiwaniyat pe viram lagaya tha un shaitano ka naash kar ke... toh phir juglal jee ko saja kyun na dee unhone... akhir ek patni apne pati ka vadh na kar shakti theee,,, lekin ek samaj ke doshi ko toh samaj se saja jaroor dilwa shakti thee... unki vivashta ne aage jaa ke unki hi pauti kee baali de dee...
aur unki mrityu kab hui yeh jhooth kaha gaya tha akhir 16 varsh mein mrityu ka matlab hain motilal jee ke aayu 4 varsh tha jab unki maa unhe chhor ke chali gayee.. uss hissab se toh 12 kee aayu mein hi wo maa ban chuki hogi... jo ki kadapi sambhaw na hain... aur motilal jee ke anusar unki maa kee mrityu beemari se hui thee kya yeh beemari bhi unki pati kee den thee ya phir asli wajah uss abodh balak se bhi chhupayee uske pita ne.. akhir uss umra kee yaadast bhi kitni rahti hain.. ek dhundhli chhavi hi toh rah jaati hai bas... shayad apni hi maa ka sach jaan ke unke karname sun ke motilala jee aage chhanbeen karna na shuru kar de isiliye aage aane waali peedhio ko unke karname sunne se vanchhit kar diya gaya... kadachit aisa hi prateet hota hain...
toh kya unke pariwar waalo tak unki mrityu kee jhoothi khabar pahunchayee gayee ya phir agli peedhio ko.. akhir pariwar se toh koi jaroor gaya hoga jab maut kee khabar ayee hogi... aur videsh mein anahita kee shaadi hui toh koi raajpariwar videsh mein bhala kya kar rahi thee.. akhir raja toh iss desh ke the ya phir unhe britishers ne tadipar kar diya tha... lekin wahan pe kisi bhartiye raja ko raja jaisa samman bhala kyun milne laga... jahir hain uss jamane mein adikansh bhartiye log videsh ke roop mein britain ko hi chunte the... toh kya doosri raani jyotsana ka sambandh uss rajpariwar se tha kuchh...
teen pidhi baad mili tillotama se arjun... toh kya anuradha jee ka vivah unki marjee se pare hua tha koi aur unse prem karta tha aur wo khud bhi .... lekin utni sashakt mahila ka vivah unki marzee ke virudh kaise ho gaya... kyunki jahan tak juglala jee ka vyaktitva samne aaya hain wo un jaisi mahila ko apne prem bandhan mein bandhne ke saksham toh katai na the... wo devi aur yeh kapti insan... jaroor chhal hua hoga... kya wakai mein motilal jee ke pita jee juglal jee hi thee ya phir koi aur tha... anuradha jee ka premi...
teen peedhi baad aaj rekha jee ke roop mein tillotama ne arjun ko paa liya hain ya kahe dono ne ek doosre ko prem bandhan mein baandh liya hain... jis tarah se arjun ne hamari tillotama kaha koi toh tha unka arjun uss wakt mein bhi...
tabhi toh juglal jee ne apni hi bewi ko bali chadha dee ya phir anuradha jee kee kabhi shaadi hi na hui thee juglal jee se jaisa kee itihas mita diya gya hain logo ke jehan se.. unka naam tak mita diya gaya hain... bas patro ke madhyam se kisi ne pehli baar un tak pahuncha hain...
premi ko alag kar ke maarne kee kosis kee gayee hain... rekha jee ne kaha iss baar aisa na hoga... iss baar tillotama saath hogi arjun ke... yaani khel dohraya jayega punah wahee kaptio dwara... lekin baato mein rekha jee ne yeh bhi kaha kee koi bali na chadhega samaaj ke haatho toh kya tillotama ka wo prem bhi pariwarik rishte mein the...
uhh ulajh gaya main toh yehan pe...