Baat aisi he dosto ki ye dono he kahaniyan aaj ke samay mere liye bahot jaruri hai. Aapko Chauraha agar pasand nahi hai toh beshak usko matt padhiye lekin us kahaani ki wajah se he main pyaar
bar ko aage likh pa raha hu. Wo baat toh suni he hogi ki eksaar jiwan jyada samay tak laabhdayak nahi rehta. Badlaav jaruri hai aur mishran bhi.
Iska ye matlab nahi hai ki mai koyi bhedbhaav kar raha hu dono kahaniyon me. Mera samjhaane ka matalab ye hai ki mujhe lekhan se ek vishraam lena tha mahine 2 mahine ke liye kyonki dimaag aur soch ko bhi thoda araam jaruri hai. Chauraha toh mere dimaag me pichle saal se he daud rahi thi jisne mujhe avkaash lene ki jagah badlaav ko prerit kiya. 2 alag kahaniyan likhte hue main utni thakaan mehsoos nahi karta. Mann jab halka hota hai toh pyaar
bar likhta hu aur agar raat me neend nahi aati toh Chauraha ki kuch panktiyan type kar deta hu. Main apne dimaag ka vistaar karna chahta hu bhai na ki isko ek he disha me qaid karna. 2-2 kahani likha yakinan chunoti hai parantu ye sahi bhi hai apne aap ko behtar karne ke liye.
Baaki agar aapko lagta hai ki Chauraha likhna mera galat fainsla hai toh bhai aap yahi maan lijiye ki wo kahani kahi hai he nahi aur pyaar
bar ko main apne vyast jiwan ke bawjood likh raha hu.
Dhanyavaad.
Aaj ka update raat 11 baje haajir rahega. Kuch pal deri ho jaaye toh kripya shaant rahiyega. Update jarur dunga.