• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

Bhupinder Singh

Active Member
1,994
4,966
158
Update 218
Waaris (1)


"Hum na keh rahe the biwi ji ki aapko ek khaas insaan se milwana hai? Ye hai Arjun Sharma, jisne aapke-hamare pyaar ko na sirf bachaya balki Gajendra Bhalla ko ek uchit paath bhi padha diya. Arjun beta ye tumhare is uncle ki jaan-e-bahaar tumhari aunty Aasha hai aur Sahil se toh tum wakif he ho.. Ye... Ye hamari pari kaha gayab ho gayi bhai?", Arjun se Gajendra Bhalla gale lag kar mile the aur unki biwi ke Arjun ne charan sparsh karne chahe toh unhone hath thaam kar bas sneh se dekhte hue naa kaha. Bhalla ji ka gol matol beta toh Arjun ke sath sath Jannat ko dekh raha tha. Dono ne hath milaye aur Jannat ne bhi unse mulakaat karne ke baad Arjun se kuch samay manga. Aakhir uski behan ka rokka tha aur rishteydaro se milna bhi jaruri. Bhanu ji ki drishti reh reh kar Arjun par aa rukti beshak wo yaha bhi kuch karobariyon se ghire apni pahuch ka gun-gaan karte nahi thak rahe the.

"Main abhi itna bada nahi hua uncle ki kuch sikha saku aur Sahil hai he itna pyara ki isko bhala musibat me koyi kaise dekh sakta hai. Kyon Sahil, aise khali khade ho na hath me cold-drink aur na snacks.", Arjun ne Sahil se hath milate hue uske kandhe aur gaal sehlate hue poocha toh pehle toh wo muskuraya aur fir apne maa baap ki taraf narajgi se dekhne laga jo khud muskura rahe the.

"Mumma dieting karwa rahi hai bhaiya mujhse. Aap batao kya main motta hu? Aur yaha agar kisi ne kidnap kar liya mujhe toh aapko phir se pareshani hogi.", Arjun ne utne he pyaar se hanste hue jawaab diya.

"Yaha tum apne bhaiya ke ghar ho Sahil aur aaj function me toh uncle aunty tumhe mana nahi karenge. Par ye sab sirf tabhi jab ghar se bahar aana ho. Motte nahi ho, healthy ho lekin ho bhi sakte ho isliye dieting ke liye kaha hoga uncle aunty ne. Waise aaj tumhe allowed hoga, thoda bahot aur yaha tum safe bhi ho. Kyun uncle?", Arjun ki baat poori hone par Sahil sanshaya se apne pita ki taraf dekh raha tha aur Bhalla ji ne bhi muskurate hue apne bete ke peeth par thapki jadd kar ijajat de he di. Arjun ko shukriya kehta wo gol matol bacha khaane aur Cola ke counter ki taraf ja bhaga.

"Tum insaan atche hone ke sath sath sthiti anukool rehne wale vyakti ho Arjun. Meri baat tumhare uncle ko khatak sakti hai lekin aam samaaj me isko vidrohi swabhaav bhi kaha jata hai. Chalo koyi toh dikha jo chaah kar bhi apne rasookh par ghamand nahi karta.", Aasha ji ki baat sunn kar ek kshann ke liye toh Bhalla ji kuch sochte he reh gaye aur Arjun ek mahila dwara apna uchit charitra sunn kar hairaani se us muskurati hui Punjabi khushmijaaj mahila ko dekhne laga jisko apni samiksha ka jawaab sahi mil chuka tha.

"Ye baat ek baar uthi thi.. Nahi kayi baar hui hai lekin jawaab har baar ek he mila tha ki Arjun par na koyi dabaav diya ja sakta hai aur na wo sirf ek jimmedari nibha sakta hai. Jaante ho beta tum mujhe apne bhaavi damaad ke roop me pasand the aur main Umed bhai ka dhanyawaad he karta hu jinhone vastavikta mujhe pehle he bata di ki tumhe bandha nahi ja sakta. Shankar bhai ke anusaar toh tumhe pariwar ke kisi bhi dhande ya jaayedad me ruchi nahi lekin sab taraf waaris tum he. Yaha bhi asankhya nigaahe tumhe he dekh rahi hai aur jiske sath tum idhar aaye the wo ladki tumhari dost hai, par atkale fir bhi lagengi. Waise bata sakte ho ki waaris tumhe kyun banaya gaya?", Ye log baat kar rahe the aur paas ruke waiter se 2 juice ke gilaas utha kar Arjun ne miya biwi ki aur badha diye. Ek kataar peeche he Abhishek ji bhi kursi par baithe ye sab dekh sunn rahe the jinke kareeb kuch ghanisht log viraajmaan the.

"Aapne sahi kaha uncle ki har-taraf waaris mujhe he banaya gaya hai aur ye Raajhans bhi aisi he ek sampatti hai. Waaris ka matlab ye toh nahi ki main uska maalik ho gaya. Haan dekhbhal karna aur us sampatti ki kamaai ko sahi se us par nibhar pariwar ke sadasyo tak pahuchana mera kartavya hai. Umed chacha ji ne mujhe apna waaris chuna kyonki unke anginat trusts hai, sewa-aashram hai aur kanyaon ki dekhbhal aur shiksha ke hostels hai. Aane wale samay me mujhe unka karobar nahi sambhalna, bas wo sab chalta rahe jo unhone samaaj ki sewa aur un par aashrit logo ke liye shuru kiya. Virasat me mujhe bahot kuch mila hai lekin zindagi me mujhe apne liye kya karna hai wo sirf meri mehnat se saabit hoga. Waha na main RR enterprise ka ek rupaya le sakta hu aur na pariwar ke kisi aur business se. Waaris toh pariwar ko aage le kar chalta hai, business aur daulat hissedar bana deti hai jo na mere papa chahenge aur na dada ji. Waise aunty ji aap shaadi me bhi aaye toh jyada baat nahi ho saki aur yaha aaye hai tab bhi hamari baatchit jyada nahi hone wali. Aapko ghar aana chahiye uncle aur Sahil ke sath. Maa, chachi aur daadi ko khushi hogi aapse mil kar.", Aasha ji apne pati ko dekhne lagi jo Arjun ki soch aur 'virasat' par uske drishtikon se pashopesh me he padd chuke the.

"Pehle tumhe hamare ghar aana hoga kyonki 2 baar toh hum tumhari taraf he aaye hai. Jis din tumne hamare ghar nashta liya, tumhe ghar tak chhodne hum khud aayenge. Batao phir Delhi kab aa rahe ho?", Sachmuch kuch log Bhalla ji ki pratiksha kar rahe the aur Aasha Bhalla ji ko unki mahila mitro ki toli alag pukaar rahi thi jinme Gautami, Ravina ke sath kuch aur bhi khoobsurat balaayen thi. Is beech Bhalla ji ki badi santaan, Aashima kahi najar na aayi.

"Phir toh ek do din me he tayaari kar lijiye mujhe ghar wapis chhodne ki. Kal he Delhi jana hai, jitna abhi tak lag raha hai. Uncle aapki wait ho rahi hai aur aapko mil lena lena chahiye sabse. Khana main aap logo ke he sath karunga.", Bhalla ji ne kandhe ko thapkate hue haami bhari aur unke jaate he Ravina ji Mrs Bhalla ka hath thaam kar le jaate waqt Arjun ko aankh maar gayi jaise wo Jannat aur Arjun ke beech koyi khichdi samajh chuki ho. Arjun saade paani ka gilaas utha kar is bheed se ek taraf chal diya. Dheema sangeet, logo ka pariwar-dosto ke sath gol badi mej ke gird jamghat lagaye baith kar pakwaan aur sura ka maja lena, kahi kahi raajneeti ki charcha toh kahi vyapaar ko badhane par baatchit. Jawaan ladko ka khoobsurat ladkiyon ko nihaarna aur sabse jyada jamghat udhar jaha Hemant sang Jeenat viraajmaan thi. Jannat ko bhi apne pita aur maa ke sath wahi par logo se mil kar unke uphaar sametne padd rahe the. Par apni choti behan ke rishtey wale karyakram me adhikaansh najre us par he tiki thi, Bhanu ji ke suputra Shubham ke sath sath.

"Sir, aapko intjaam thik toh laga na? Waise Kumar sir bhi aapse milne aana chahte the lekin kuch jaruri kaam ki wajah se unhe bahar jana pada.", Ye Raajhans ka pramukh manager he tha jo Arjun ke hall se bahar aate he hath milate hue mila. Bahar bhi khule me kuch log thodi thodi duri par apne apne jhund me khade sharaab aur beer ki chuskiya lete dikhe. Is karyakram ke siwa yaha aaj koyi aur aayojan nahi tha. Jaise sirf Kapoor pariwar ko uchit neejta di gayi ho.

"Behtareen intjaam kiye hai aapne bhaiya aur logo ke chehre se ye saaf pata chalta hai jo aisi ummeed kam he laaye the apne sath. Bas thoda savdhani rakhna kyonki log beshak 150 hai par jyadatar rasookh dikhaane wale hai aur raees jawaan bhi. Baaki Kumar sahab se sunday ko milna he hai. Baaki yaha koyi mujhe pooche toh bula lena. Main peeche fountain ke paas he baitha hu. Aur khaane peene ka samaan matt bhijwana, please. Waise kursi lagi hai na udhar?", Manager sab sunn kar apni prashansha par muskuraya aur uske kareeb aayi wo khoobsurat parichayika bhi jo bhitar pramukh mehmaano ka dhyaan rakhne ek sath he Raajhans ki ek karmath seh-sanchalak thi.

"Wo ab wahi par fix hai sir, reserved ki plate ke sath. Sorry, aap logo ki baatchit me aane ke liye par manager sir se thodi baatchit karni thi sir. Stage par Kapoor ji ne bulwaya hai.", Arjun ne kaale coat par naam ki patti padh kar jana ki inka naam Sunayna Mathur tha. Tarike se kate peeth tak aate seedhe baal, safed kameej ke upar gehra coat-pant jiske neeche chamakdar kuch unchi aedi wale joote.

"Dhanyawaad Sunayna ji. Aap log party sambhaliye, main kuch waqt me aata hu.", Arjun apni baat keh kar tej kadmo se hall ke peeche ki taraf chal diya. Wo kuch pal ke liye khud par tiki har najar se bach kar thoda sukoon chahta tha jiske liye ek khaas jagah thi rangmehal ke peeche bani jheel. Waha bijli ki laalten se jagmag ek lakdi ki mej aur uske daaye baaye rakhi 2 kursiyan.

"Waise kismat ho toh aisi ho Mishra sir. Main yaha 4 saal se hu aur aap toh mujhse bhi 4 pehle se lekin Raajhans me niyam badalne waale ye naye maalik ek hafte pehle tak kabhi sunaai tak nahi pade the aur aaj Kumar sahab tak inki kahi baat par koyi sawaal nahi uthate. Aakhir ye Arjun ji hai kaun aur pehle kyun nahi dikhe kabhi agar ye property bhi inki he hai?", Sunayna bahot dhimi awaaj me bol rahi thi jis par manager sahab ne chehre se gambhirta utaarte hue jawaab diya.

"3 mahine pehle toh wo 18 ke hue hai, pehle kaha se dikhaai padte Su? Par maine inhe kabhi mehal ki taraf bhi nahi dekha jaise Arjun ji ko mehfooj rakha gaya ho baaki sabse. Aur tumhe toh khushi manani chahiye ki 4 saal me tum kabhi restra se bahar nahi nikli aur ab seedha co-manager rangmehal ki. Insaan me baat toh jarur hai jo andar party me function se jyada inki he baatein ho rahi hai. Chalo, milte hai Kapoor ji se. Wo mantri ji he na koyi shikayat kar rahe ho ab.", Idhar ye dono he hall me dakhil ho gaye lekin Sunayna ke chehre ke bhaav kuch alag the aur mann me dhero vichaar.
.
.
"Aaru kal Delhi ja raha hai maa? Daadi bol rahi thi ki wo kal apne ghar aa raha hai aur waha se fir bauji bhi uske sath Delhi jaane wale hai. Kahi admission ke liye toh nahi le ja rahe usko?", Ritu ne apne kamre ke bhitar sirf gulaabi baniyan si tshirt aur aasmani rang ki araamdayak nikkar he pehni hui thi. Bhojan bann ne abhi waqt tha aur waha Sunanda ji ke sath pehle Rekha ji thi aur ab Alka. Aarti kutto ko bhojan khilane gayi thi toh Rekha ji ne ye samay apni bitiya ka haalchal poochne ko diya. Yaha par unki veshbhosha bhi kuch hadd tak araamdayak thi lekin utni unmukt nahi. Paanv tak lambaai wala sooti gown jiske niche unke antahvastra bhi maujood the. Kamre me aate he pehle unhone Ritu ke jakham dekhe jaha chehre par bas mamuli neel tha par ek baah par patti karni he padi. Seena baniyan se dhaka tha jidhar najar karna unhe bhi anuchit laga.

"Tumhare dada ji kisi haal me usko Delhi nahi bhejnewale padhne ke liye. Jitni pareshan tum ho rahi ho us se jyada wo khud aur maa ji hongi agar Aaru Delhi gaya toh. Wo bas unke sath ja raha hai 2 din ke liye aur maine poocha nahi kyun. Baaki tumhe toh wo bata he dega chahe kisi ko bataye na bataye.", Teil ki shishi utha kar unhone farsh par ek galicha daalne ke baad Ritu ko bister se tek laga kar niche baithne ko kaha. Ritu bhi pehle sharam se muskuraai aur fir apni maa ka pyaar dekh. Rekha ji ne uske bhoore lambe baalo se rubber nikaal kar ek aur rakhne ke baad kapaal par teil ki dhaar udelni shuru kar di.

"Wo na bataaye toh main kya chhod dungi usko? Uski har baat pata honi chahiye kyonki wo mera haq hai. Haan par aaj us ullu ki atchi class lagaai hai Komal didi ne aur ye baat bhi aapko yakinan pata hogi.", Rekha ye sunn kar thoda sa niraash hui lekin jaahir nahi kiya. Niche latakte lambe baal sar ke upar gire teil par malte hue unhone 'huhhh' kaha jaise unhe pata ho.

"Komal ne jo kiya wo tum aur main nahi kar sakte. Aaru bhi usme kahi na kahi tumhe aur mujhe he dekhta hai jis wajah se wo Komal ki kahi baat ka taal nahi sakta aur na Komal uske liye galat chahti hai. Koshish karna ki England jaane tak tum Arjun ko thoda paripakva bana sako. Uske dost nahi hai, wo sabke sath samaan vyavahaar rakhta hai aur uski bahari duniya bas utni he hai jaha jimmewariyan mili ho. Main bhi koshish karungi par tum aur Komal ye behtar kar sakti ho. Tum Komal se jyada atche se kyonki lagbhag tum dono ek jaise ho aur ... tumhara haq bhi toh hai us par.", Rekha ne jis andaaj se haq kaha tha gardan jhukaye maalish ka aanand leti Ritu aise sharmaayi jaise uski saasu maa ne pehli milan ki baat chhed di ho. Stanno ki jodi ghutno me dabi kuch baniyaan se bahar jhankne lagi toh Ritu ne ek hath unke upar rakh liya.

"Thoda ye ghar ke bematlab kaam kam honge tabhi wo dost bana sakega maa. Baaki haq toh us par sabka he hai bas mera thoda sa jyada kyonki... wahi toh hai jisko goad me uthana mujhe pasand tha aur usko chammach se cerelac khilana bhi. Gol matol toh nahi tha lekin pyara bahot tha Aaru.", Ritu ne kanpati maa ki taraf karte hue udhar maalish karwani shuru ki toh Arjun ke bachpan ka chehra Rekha ke samaran me bhi ubhar aaya.

"Haan.. tum paune 4 kilo ki thi aur wo 2 kilo 800 gram ka. Ek toh wo upar ka khata he nahi tha aur har waqt bhookh lagti rehti thi usko toh mujhe kaam nahi karne deta tha. Sachmuch wo tumhi thi Ritu jisne Aaru me pehla badlaav laya aur uski dekhbhal ki. 2 saal ka hone par toh wo apna dabba he tumhare paas leke aa jata tha, cerelac banwane ke liye. Aur us samay tak wo bilkul tumhare jaisa dikhna shuru ho gaya tha. Ab tum dono sath khade hote ho toh..", Kuch soch kar Rekha ne aage baat ko adhura he chhod kar thoda teil kanpati par giraya aur kapde se Ritu ka gaal saaf karne lagi.

"Sath khade hote hai toh maa?"

"Atche lagte ho."

"Aap kehna chahti thi ki hum ek jaise lagte hai, khaas kar hamare chehre ka kataav aur honth aapke jaise aur aankhen papa ke jaisi. Komal didi ki eyes aapke aur papa ke colors ke beech ki hai aur didi aapke jaise jyada dikhti hai, khoobsurat bhi."

"Hahaha.. is baat se main aur Komal dono he inkaar karenge. Ab dekho jara khudko saamne.", Rekha ne swayam he apne hath se Ritu ki najar par chadha chasma utaar kar ek taraf rakha jo maalish karne par he pata chala tha dandi ki wajah se. Darpan me farsh pe baithi Ritu aur uski maalish karti Rekha ka spasht pratibimb tha. Ritu ek pal khudko dekhne ke baad thoda sharmaayi kyonki seene par hath rakhne ke bawjood uske ubharo ki golaai spasht thi lekin jaise he apni maa ka chehra dhyaan se dekha, ek thandi aah nikal gayi.

"Aapke he ansh hai teeno toh koyi comparison he nahi maa. Inkaar beshak karti raho kyonki maanogi toh kabhi nahi lekin sach yahi hai ki aapse khoobsurat aurat mumkin he nahi. Daadi akele aise he toh nahi jaane deti aapko kahi. Taai ji aur Krishna chachi tak aas-pados me ya sector wali market chale jaate hai. Bua bhi ghoom leti hai jab idhar hoti hai lekin jitni khoobsurat aap ho na, daadi khud fakar mehsoos karti hai is par. Aur unki najar na lag jaaye wali soch aapko kahi akele jaane nahi deti. Koyi keh sakta hai ki aap 44 ki ho gayi hai? Main aapki umar tak agar pahuchi bhi toh aaspas nahi dikhungi. Aapke hath he dekh lo maa, chehre par toh didi se jyada chamak hai. Baahen ekdum saaf aur inme loch ya latak he nahi jabki Madhu bua bhi thodi naram lagti hai aur wo aapse 5 saal chhoti hai. Hum teeno behan bhai utne khaas nahi hote agar.."

"Bas kar ab.. Waise kuch baat generations me hoti hai. Alka, Madhuri, Pinki, Tara aur Aarti.. sab khaas hai kyonki purani peedhiyan majboot aur atchi rahi hai. Tumhare nana naani bhi waise he hai toh unse aage main bani. Aur khoobsurti umar ke paimaane par nahi, dil se maapi jaati hai. Tumhara dil mujhse aur Komal se bhi behtar hai agar tumhe samajh aaye toh. Waise England me reh logi tum akeli aur atche bure log har taraf hote hai."

"Mujhe waha padhne jana hai maa aur na toh waha akeli houngi, na mujhe atche bure logo se koyi lena dena hai. Atche mile toh atchi baat hai aur bure jo honge unki buri kismat ki wo Ritu Sharma ke saamne kyun pade. Iraade toh Preeti ke bhi aise he the jaise mere aur Alka ke. Usko admission bhi mil jata Italy-France me lekin.. Usko aapke he paas rehna hai.", Ritu ne jaise he baat palti Rekha ne halke se uske gaal par thapki di.

"Jaanti hu chahe bolti nahi main. Wo kyun yaha rehne wali hai aur tum kyun ja rahi ho, mujhe sab pata hai. Waise Aaru ke boarding jaane par sabse jyada dukhi aur gussa tumhi hui thi. Ab tumhare jaane par agar wo aisa kuch kare toh?", Rekha ki baat mehaj majaak thi aur ungliyon ke poro se wo sahi se jado tak teil pahuchati hui Ritu ko araam he de rahi thi.

"Nahi jaungi.. Aaru keh de ki main na jau lekin waha jaane ke liye mera iraada usne he banaya hai. Wo chahta hai ki main sirf atchi doctor nahi balki sabse atchi banu. Daadi ne bhi kaha tha ki major cardiac me karu jo waha already MBBS me he hai. Aapko kya lagta hai main ghar se dur ja sakti hu? Aap keh rahi thi na ki sirf Komal didi he Aaru ko samjha ya daant sakti hai toh sahi kaha aapne. Main ulta uske jhaanse me aa jaati hu aur isliye wo mujhe England bhej raha hai.", Ritu isme khush thi ya vyathit, uske andaaj se bata pana mushkil tha. Rekha ji toh pashopesh me thi ki ab wo is par kya kahe lekin ek katu satya unke hisse bhi tha. The toh kayi saare kadwe sach lekin na wo keh sakti thi aur na Ritu us par kuch pratikriya dene ke laayak.

"Mujhe khushi hogi apni beti ko aise mukaam par dekh kar. Aaru hamesha tumhe he apna behtar roop maanta hai aur tum ho bhi. Kehne ko toh sabne usko he apna waaris banaya lekin main jaanti hu ki uski asli daulat wo sab nahi. Waise tumhare jaane ke baad ghar soona ho jaane wala hai jiski bharpayi tumhara chhota bhai bhi nahi kar sakega.", Ritu ke baal ab gehre aur chamakdar ho chale the itne waqt ki maalish se he. Rekha har ek latt ko hatho me leti aur dhyaan se suljha kar teil lagati hui vibhinn chintan me bhi lagi thi. Aane wala samay kaisa hoga aur kya ho sakta hai ye sab sirf uske he jehan me tha.

"Ye sab chhodo maa, ghar pe akeli taai ji he bahot hai dil lagane ke liye aur main chahe exam abhi clear karu ya december, jana toh second year complete karne ke baad he hai. Aapki papa se shaadi kaise ho gayi? Matlab main aisa nahi keh rahi ki aap dono he alag alag hai dusre se par dada ji ne aapko dhunda kaise aur nana ji ki aap eklauti santaan hai toh kya unhone jaanch padtaal nahi kari hogi?", Jaise ye sawaal apratyakshit tha jisko sunn kar ab aaine me Rekha ka khoya sa pratibimb najar aaya. Chehre par dhero bhaav bane aur phir wo achanak muskura uthi.

"Maa ji ko toh main tabse he jaanti hu jab main 8 baras ki thi. Haan us se pehle ki yaadein mujhe nahi maloom lekin tumhare dada daadi ji aksar aate rehte the udhar. Suna toh ye bhi hai ki mere papa ki shaadi par bhi tumhare dada ji maujdood the. School se aane ke baad main bade papa ki jagah dukaan dekhti thi papa ke sath kyonki bade papa (Sohanlal) sarkari karamchari the aur chote papa khet khalihaan tak he simit. Ghar se scooter chala kar main khud he mandi jaati thi aur aise he 2-3 baar tumhare dada ji ne mujhe waha hisaab kitaab karte dekha. Bittu bhaiya aur Rajesh ke sath main bhi abhyaas karti thi talwaar, bandook aur pistol ka jo papa sikhate the hume. Jaanti ho sabse pehle mere hath me pistol kisne di thi?", Apni maa ki saari baat sunn kar Ritu ke ye toh samajh me aa gaya tha ki kyun uski daadi uski maa se itni prabhavit rehti hai par us samay ke hisaab se ye bahot vishisht baat bhi thi. Swayam Kaushalya ji ko naari-shakti khaasi prabhavit karti thi aur wo iska jiwant udaharan khud bhi thi.

"Dada ji ne he di hogi kyonki wo toh police me the aur aapne he bataya tha ki wo aate rehte the udhar.", Ritu ki baat par uski maa ne naa me sar hilate hue jawaab diya.

"Dada ji toh wo bhi lagte the lekin wo the swargiya Raghuvir Singh ji, tumhare Umed chacha ke pita. Us waqt ghar me sirf do-naali hua karti thi aur meri umar rahi hogi koyi 14-15 baras. Matlab 30 saal pehle ki baat hai aur Bittu bhaiya ghar ke pichle hisse me pehle jaha khet the waha papa aur Raguvir ji ki nigrani me us badi bandook se nishana seekh rahe the. Main thodi ziddi thi aur ye dekh kar maine zidd kari ki mujhe bhi nishana lagana hai. Papa ne pehli baar danta tha mujhe par Raghuvir ji ne apni jeb se ek bahot chamakdar rivolver meri hatheli par rakhte hue kaha ki Bittu se jyada mujhe seekhne ki jyada jarurat hai. Aur papa ke sawaal uthane par unhone yahi kaha ki purush toh phir bhi jhund jama kar lete hai musibat padne par lekin bitiya aksar ghar pariwar basne par peeche akeli reh jaati hai. Samaaj ke janwaro se ladkiyon, mahilaon ko jyada khatra hai. Phir ek taraf Bittu bhaiya kandhe par bandook uthaye the aur unki bagal me mujhe khada karke tumhare dusre dada ji ne mujhe goli chalane se pehle sahi mudra, nishane ki gati aur hathiyaar se dosti karna sikhaya. Aur pehli bar me he maine 30 gaj dur latakta ghada phod diya tha. Haan thoda darr bhi gayi thi us awaaj aur rivolver ki taqat se lekin uske baad college me dakhila lene tak mere paas 3 rivolver aur pistol aa chuki thi. Bhaiya aur Rajesh toh practice nirantar nahi rakhte the lekin maine 3 saal tak shayad he koyi din chhoda hoga.", Rekha shaadi ke bajaaye is charcha par kisi yuvti si khush hoti apne raaj apni beti ko suna rahi thi aur Ritu hairaan ek sath apni maa par garvit thi.

"Aapne kabhi bau ji ke sath mukabla kiya tha kya maa? Hahaha.. possible nahi lekin suna hai wo atche nishaane lagate hai aur aaj bhi jab wo DIG uncle ke sath jaate hai toh Col dada ji bhi unke sath shooting practice karte hai."

"4 baar aur ek baar toh khud Raghuvir ji bhi shaamil hue the. Unhe main Chaudhary uncle bulati thi aur tumhare dada ji ko Pandit tau ji. Dono he papa se bade the aur dosti gehri, wo bhi bade papa tak ke sath. Pehli baar toh tumhare dada ji ne mana kiya ki bacho ke sath ye sab sahi nahi hai lekin Raghuvir ji ne kaha ke bachi ka dil rakhne ke liye he kar lo abhyaas. Phir unke chehre par jo hairaani thi wo mujhe aaj bhi yaad hai. Baad me 3 baar wo khaas aaye sirf mere sath nishane ki haud lagaane. Satish uncle bhi the 2 baar us waqt aur phir mera college ka aakhiri saal khatam hone wala tha ki tabhi tumhari daadi ji ek din waha aayi aur mujhse he kaha ki aaj wo mere hath ka khana khaane he aayi hai. Mujhe toh jyada is baare me kuch pata nahi tha aur aksar tumhare dada ji ke liye bhi main he chai banati thi par us din maa ne bhi rasoi me kadam nahi rakha aur maine 10 logo ka khana akela pakaya. Ghar se vida lene se pehle maa ji ne meri kalaai me sone ke kade pehna diye aur jholi me kapde neg rakhte hue kaha ki 'Rekha, ab tum hamare ghar ki waaris ho jaise ab tak yaha ki rahi. Mujhe is se bhi aitraaj nahi ki aane wale samay me bhi tum idhar ki waaris raho lekin apni is taai ke ghar ko sanwarna tumhare hath hai.', Mujhe kuch samajh nahi aaya tha ek pal ke liye par jab tumhare dada ji ko chehra saaf karte dekha toh unki peeda mujhse sehan nahi hui. Wo jaise kahi na kahi mere liye chintit the par mere papa ko toh tumhare pita ke roop me wo mila jiski khwahish unhe hamesha se rahi. Us waqt jaane kaise maine ye majaak me he bol diya ki 'Pandit tau ji, aap 4 baar haare hai mujhse isliye phir kabhi hum mukabla nahi karege'. Meri sehmati mil gayi thi unhe mere is jawaab se. Phir tumhare papa ne hospital join kar liya aur Krishna didi ke sath mere bhi phere ek he mandap me ho gaye. Masters poori karne ke samay Komal ek baras ki ho chuki thi.", Ritu ko aaj jitna bura apni maa ke liye lag raha tha utna kabhi usko Arjun ke dur jaane par na laga tha. Aankhon se motiyon se aansu ludhakne lage toh Rekha ne he apni beti ka chehra saaf karte hue inkaar me sar hilaya.

"Tum dukhi ho kyonki tumhe lagta hai mera rishta sahi nahi hua aur tum thoda apne papa ke baare me jaanti ho isliye mere liye chintit ho. Meri chahat hamesha he hamara pariwar hai Ritu aur mere ye itne samajhdar bache jinhone abhi se khudko saabit kar dikhaya hai. Waise bhi meri barabari ka var toh dhoondne se nahi milne wala tha aur tumhare papa mujhse kahi jyada daksh aur pariwar ke liye samarpit vyakti hai. Haan thoda bahot khinch-taanch toh pati patni me chalti he rehti hai aur 24 baras bhi ho chuke hai shaadi ko. Kal ko tumhari shaadi hogi toh mujhe tumhare pati ka paksh lena padega. Sherni ke saamne toh wo bakra he lagega. Hahaha..", Rekha ne apni beti ko khush karne ki koshish ki toh Ritu unki bagal me aa baithi, gale me hath daal kar.

"Aapko kabhi pyaar nahi hua? Main jaanti hu ki aapko bhi Richa didi wala sach pata hai aur papa ke pyaar ke baare me bhi. Maine aapko jabse dekhna shuru kiya hai aap subah 5 baje he tayaar ho jaati hai aur sabse pehle chulha aap he jalaati hai, raat ko rasoighar band bhi aapke hath hota. Aapki zindagi aapke ghar par jaisi thi toh yakinan kahi na kahi toh aapko bhi koyi atcha laga hoga na maa. College-school ya shehar me?"

"Nahi.. Sirf sapno tak he sab simit tha lekin pyaar ka ehsaas hua jab Komal ko janam diya, jab tum mujhse dur dur rehti thi aur fir Aaru ke jyada he dur jaane par. Par waaris ko thoda bahot toh sehna he padta hai lekin bhagwaan uska phal jarur dete hai. Aaj tumhare saamne he hai ki tum mujhe kuch hone nahi de sakti aur tumhara bhai bas bataane bhar se mujhse milne aa jata hai. Madhulata.. usko tumhare pita se kabhi pyaar nahi tha lekin main ijatt karti hu tumhare papa ki kyonki unhone sacha pyaar kiya aur unhone mujhe bhi dhokhe me nahi rakha. Dukh jarur hua tha lekin jaisa kaha ki mujhe pyaar ka ehsaas he nahi tha aur itna atcha pariwar mila toh zindagi toh jaisi apne ghar thi waisi yaha mili. Tum waise jyada khushkismat ho is maamle me.", Rekha ke tanz par Ritu ne bas apni maa ka gaal choom liya. Kuch pal khamosh rehne ke baad usne ek badhiya dhamaka kiya jo Rekha ko dur dur tak apekshit na tha.

"Raghuvir dada ji ne aapko sabse pehle pehchaan liya tha par unhone iska jawaab aapko tab diya jab aap unse aakhiri samay se pehle mili thi. Aap kaun ho iska jawaab toh aapke aur unke bhi paas nahi tha lekin Aaru sabhi kadiyaan jodd chuka hai maa aur maine he usko wo bataya jo aapse padha nahi gaya tha tehkhaane me mile kaagajo se. Waha wo painting bilkul aapke jaisi hai aur waisi he thik ek Aaru ke sath sath Raghuvir dada ji ne dekhi thi mehal ke bhitar. Mehal me dada ji toh kabhi us taraf nahi gaye the lekin Raghuvir dada ji jarur gaye the jiski jaankari Aaru ko abhi kuch samay pehle mili thi. Raghuvir dada ji ne he meri daadi ko sujhaya tha ki sirf aap he kaabil hai bikhre hue sansaar ko phir se sametne me. Maa Anuradha aur aapke beech 3 peedhiyan aur rahi lekin wo aajtak bas ek paheli he thi jinke astitva ke baare me unke apne bhi nahi jaan sake. Rajmehal ki asli maalik aur Pandit Motilal Sharma ji ko janam dene wali maa Anuradha he Raja Balwinder ki bhi maa thi. Unhone sab chhod kar sirf Motilal ji ko chuna aur unki hatya bhi unhone he ki jo unki sampatti par kundli maar kar raja se maharja bann baithe. Bhupendra aur Juglal... Anuradha ji ne pyaar kiya tha jiski saja unki gumnaami, kamjor raja ko unke hisse ki sampatti aur jaayedad apne rajwaade me mila kar usko majboot karne ki laalsa. Par unki behan jaanti thi sach aur antim patra Anuradha ji ne isi pate par bhijwaya tha jiske baad unki behan videsh ja basi, Anahita naam tha unka. Aaru toh aur bhi bahot kuch jaanta hai jo wo mujhe bhi nahi batane wala lekin thoda thoda karke usne sabko kabja liya hai chahe wo dada ji ho ya Rani Saundarya. Ek tarah se toh wo uchit waaris hua raj-mehal ka kyonki usme dono khoon shamil hai aur aapka utaradhikari bhi toh wahi hai. Kismat sachmuch kabhi kabhi wahi le aati hai jaha se shuruaat hui ho, phir chahe ghatna 100 saal purani he kyun na ho.", Ritu saaf dekh rahi thi apni maa ko hairaan aur chintit hota hua. Rekha ko toh ye sab koyi kaalpanik kahaani si jaan padti thi kyonki agar ye asliyat hai toh bahot se rishto ke samikaran badalne wale the.

"Ye nahi ho sakta.. Ye agar thoda bahot bhi sach hua na Ritu, sab bhikhar jaayega is raaj ke baahar aate he. Matlab.. "

"Shhhhh.. itni bewkoofi Aaru kar sakta hai par main uske sath hu na maa.. Maine is baat ko hathiyaar nahi banane diya. Aap urdu nahi padh sakti isliye aapne un kaagajo ko ek taraf rakh chhoda. Waha aakhiri patra me saaf likha tha ke Anuradha ji ne yahi par Motilal ji ko janam diya tha aur fir vivaah ke waqt bhi wo dobara garbh se thi. Matlab na toh Juglal ji Pandit Motilal ji ke pita the aur na Bhuepndra ji Balwinder ke. Tehkhana bhi 2 manzila hai jaha aapse chook ho gayi kyonki aapne mukhya tehkhana toh khoj he liya tha. Par ab Aaru aur ateet me nahi jaane wala us shaksh ko dhoondne jo Tilottama ko tab chhod gaya jab usko sabse jyada jarurat thi. Tilottama ke pariwar ne he samaaj me usko mrit ghoshit kar diya aur unka dusra gumnaam jiwan tha Anuradha ke roop me ya mehal ki devi jo ek waaris de kar kahi kho gayi. Aakhir patra me ye bhi likha tha ki unhe dhima zehar diya ja raha tha aur ab wo naummeed ho kar duniya se vida le rahi hai. Unki chahat toh thi ki wo apne dono beto ke sath jiwan bita sake lekin aisa mumkin na ho saka. Khair, dukh toh mujhe bhi bahot hua ye sab jaan kar lekin ab mujhe chinta Aaru ki hai kyonki aapko aur mujhe jitna pata hai wo toh kuch bhi nahi uske saamne jisme raaj-pariwar ke har vyakti ki kundali ke sath sath pariwar ke har bade ka raaj likha hai. Aaru ne har kabar khod li hai maa aur uttejjana me maine bhi usko wo sab bata diya jo tehkhaane me dafan tha. Maine sabkuch dusre tehkhaane me band kar diya hai aur ab aap bhi galti se uska raasta mat khojna.", Rekha ab kar he kya sakti thi jab khud wo sach jaan ne ko aatur ho Arjun ka sath dene lagi thi aur yaha uska beta toh aise aise raaj khojne ke baad kisi juaari sa shaant tha jaise waqt aane par wo har insaan ko ghutno par jhuka sake apne ek he daanv se.

"Usko bhi kaha is sab ki ummeed hogi. Par wo apne aap me eklauta he hai jo kaise bhi karke har us jadd ko khod nikalta hai jo jameen ke upar dikhaai tak nahi deti kisi paudhe ya peid ke roop me. Aur usne tehkhaane me painting ki jagah mujhe Tilottama kaha tha jaise wo naam mera he ho. Kya Aaru sachmuch apne padd-dada ji jaisa dikhta hai?", Rekha ne turant baat sambhalte hue kehna chaha lekin swayam ke liye Tilottama keh kar wo Ritu ko mauka de he gayi jo kuch is tarah muskurayi jis se Rekha khud he najre churane lagi.

"Waise ye naam maine sabse pehle Aaru ki notebook ke peeche likha dekha tha. Bas dekh rahi thi ki wo padhta likhta hai ya aise he. Last page par waise he pencil se ek khoobsurat aankh bani hui thi jiske niche likha tha Tilottama. Matlab wo is naam ko jaane kabse dohrata raha hai aur dekho ye mila bhi toh kis roop me. Waise maa farz karo.. matlab isko na aise samjho ki hum dono humumar hai aur aap abhi 20 ki he hai jaisi apni shaadi ke time rahi hongi.", Ritu ab kya kehne ja rahi thi wo khud thoda jhijhakte hue boli par Rekha us dhamaake se ubarti hui ye sab sunn ne lagi jo uski beti kehna chahti thi. Haan dhero sawaal jarur the lekin uske jawaab sirf Arjun ke paas the aur chand roj baad waise bhi Arjun aur Rekha ko bharpoor ekaant milne he wala tha. Rekha me sabar he toh koot koot ke bhara tha lekin ab usko bhi jaise maja aa raha tha Ritu ki adhuri baat sunn kar.

"Thik hai maan liya ki main 20 ki hu aur tum meri sabse khaas dost. Aage?", Khaas dost kehne ka lehja bhi thik waisa jaise Alka he bol rahi ho. Ritu ne isko swikaar karte hue baat jaari ki.

"Ab aap ho nana naani ji ke ghar aur rishta le kar waha dada daadi ji aaye hai."

"Isme maan na kya hai? Yahi toh hua tha fir repeat karne se kya faayeda?"

"Arre maa.. suno toh sahi pehle. Yahi toh majedar baat hai. Haan toh yaha daadi ji ke do bete hai aur dono kunware lagbhag ek he umar ke.", Ritu ke bolne se Rekha mooh banane lagi jaise aisa toh tab bhi tha.

"Narinder chacha nahi maa.. Dekho yaha aapki marji he chalegi ki aapko un dono me se kaun chunn na hai. Aapne us samay wale Shankar ji bhi dekhe hai aaj ke time wala Arjun bhi. Yahi dono vikalp hai aur aap dono ko he jaanti hai atche se, ye sahuliyat ke hisaab se hua. Aap batao kisko chunn ti.?", Rekha vismaya se apni beti ko dekhne lagi jo ab baniyan ke upar aadhi baah ki safed kameej pehanti hui mand mand muskuraye ja rahi thi.

"Ye kaisa betuka sa sawaal hai?"

"Poora scene toh samjho maa. Bas jawaab he dena hai aur kaun sa is se kuch farak padne laga hai jo aap nervous ho rahi ho. Matlab aap itne samay se papa ko jaan rahi hai aur Aaru ko bhi. Ab role thoda change hai ki wo dono he shaadi laayak hai aur aap wahi 20 ki Rekha Sharma. Daadi bina jor diye bas aapko bahu banana chahti hai aur marzi aapki hai apna var nirdharit karne ki. Kisko chunogi?", Ritu yaha phir se khel gayi thi kyonki usne chunogi kaha, chunti nahi. Par Rekha toh is se pehle he soch me padd gayi jaise ateet aur vartmaan me tulna karni padd rahi ho.

"Arjun.. tumne kaha ki main dono ko jaanti hu uske baad chunaav karna hai toh yakinan sirf Arjun. Tum mere samaan ho na toh agar yahi situation tumhe mile tab tum kya jawaab deti?", Ritu bister se khadi ho kar muskura rahi thi aur maa ka sawaal sunte hue usne darwaja kholne se pehle hontho ko gol karke niche hatheli lagate hue unhe hawaai chumban bheja aur apni baat se phir unhe niruttar kar gayi.

"Main is maamle me thodi si alag hu maa aur chunaav ka haq bhi mujhe hamesha mila hai aur options toh na maine career me rakhi aur na future life ke liye. Haan jawaab hum dono ka he same hai waise. Dinner pe aane se pehle jara chehre ki chamak kam kar lena aap. Pata lage naani aapko damakta dekh kahi light he na band kar de.", Ritu itna sab bol kar jaise he bahar bhaagi Rekha usko daantne ke liye uthti hui wapis dhamm se bister par he baith gayi. Darwaja bhi band ho chuka tha lekin darpan me Rekha khud apne surkh hote gore chehre ko dekh chakit thi aur kaano me Arjun dwara pukara jata uska naam.. 'Tilottama'.. Baaton baaton me uski beti ne ateet se vartmaan me uljha kar uske mooh se wo naam ugalwa he liya tha par atcha khel tha.

'Ab itihaas toh dohraya nahi jaanewala aur jab meri beti vikalp he nahi rakhti jiwan me toh ye meri he jimmewari hai ki rishto ko aur gehraai se samajhna hoga. Tilottama akeli thi aur saamne 2-2 pariwaro ke sath samaaj. Mamla yaha bhi kuch aisa he hai lekin shayad pariwar kahi jyada. Waaris ek lekin kaabil. Sab uska he hai toh samay ke sath dhalna he sahi.'
.
.
"Itni der se kya dekh rahi ho andhere me udhar? Akeli aayi ho kya yaha function me? Kuch bhi kaho, party me toh sabkuch feeka he dikha lekin asli khoobsurti yaha mere saamne khadi hai.", Kaali kameej aur neeli jeans pehne ye 6 feet lamba yuvak aakarshak bhi tha aur raees bhi jo umar me 22-23 ka raha hoga lekin aadhunik aur dilfenk. Hath me beer bhara patli dandi wala gilaas aur aankhon me khaas chamak. Wo laal-neele aadhunik paridhan me qaid khoobsurat ladki toh is awaaj aur aise vyavahaar se hadbadati hui 4 kadam peeche he hatt gayi. Gori baahen vastra na hone se beparda thi aur chehre ki masoomiyat kuch darr se bhari jaise kisi ne usko range hatho pakad liya ho.

"It's none of your business so just leave.", Ladki ne kuch himmat dikhate hue yuvak ko jawaab diya toh tedhi muskaan dete hue us sajile yuvak ne ek hath se apne baalo ko durust kiya aur fir ek ghoont beer peene ke baad ek kadam aage badhane ke sath apne sidha hath bhi aage kiya.

"Bold ho beautiful hone ke sath. Atchi baat hai aur main toh khud andar bore ho raha tha isliye bahar tehalne laga. Myself Sushant Agnihotri, Agnihotri handlooms, Agni steels ka waaris aur tumhari tarah Delhi se he hu. Tumhe ek baar pehle bhi dekha tha par humari mulakaat nahi ho saki thi kyonki tab tum apni mom ke sath thi I guess.. XXXX farm par wo party mere uncle ki he thi.", Sushant Agnihotri ko apne rasookh aur vyaktitva par bharpoor naaj tha lekin ladki ne peeth dikha kar mudne ki koshish ki toh jaise ye us vyakti se sehan nahi hua. Unmaad me usne wo naajuk kalaai thaam li jaise usko yaha ekaant me kisi ka darr he na ho.

"Baat he kar raha hu aur tum aise bhaav dikha rahi ho jaise kahi ki maharani ho. Arre yar bore ho raha hu, company he de do.", Ladki abhi kuch kehti us se pehle he apne se 3 inche lambe aur kahi jyada tagde yuvak dwara wo hath aise pakad kar kholna jaise kaagaj ki parat ho, dekh kar Sushant ke chehre par gusse ke bhaav ubhar aaye.

"Main bhi yaha akela bore he ho raha tha dost. Mujhse he baat kar lo, ladki ko akelapan pasand hai toh jaane dena chahiye. Aap enjoy kijiye Miss aur chaahe toh waha jo kursi lagi hai udhar baith kar jheel ka najara le sakti hai. Main service bhijwa deta hu aapke liye.", Ye Arjun he tha jisne abhi tak Sushant ka hath thaam rakha tha aur wo ladki badi masoom si muskurahat ke sath najro me he dhanyawaad karti hui kuch ithlaati si us aur chal di jaha peeli laalten mej par padi thi.

"Tum jo koyi bhi ho, beech me na he pado toh behtar hoga. Wo meri pehchaan wali hai aur tum bewajah hero bane ja rahe ho. Jaante nahi mujhe aur agar jaante toh Sushant Agnihotri ka hath rokne se pehle he maafi maang lete."

"Kismat tumhari aaj atchi hai dost ki tum ek khaas function me aaye hue ho aur main chahta hu ye atche se nibat jaaye. Varna main jaan-pehchaan badhane me jara bhi yakeen nahi rakhta agar saamne wale ke aise nek iraade dikhe. Dobara galti dohraai toh tum jis kisi ke bhi bete ho, wo bhi tumhe he paanv pakadne ki guhaar karega. Ye jagah mehmaano ke liye nahi hai agar ye board padh liya hota toh jaan jaate. Maine reserve karwaayi hai toh idhar kadam nahi padna chahiye.", Arjun ne jis tarah se usko hadkaya tha Sushant jabde bhinchta hua pehle us board ko dekhne laga jaha "Reserved" likha tha aur phir apna aadha bhara gilaas ek taraf fenk kar tej kadmo se bhitar jaane ke liye badh gaya. Arjun ne bhi peeche mudd kar us ladki ko dekhne ki jagah bhitar ka he rukh kiya.

"Kaha reh gaye the tum yar? Chalo ab family se milwati hu tumhe. Sab toh khaane peene me lage hai aur jawaan log dance floor par.", Arjun ko dhoondti hui Jannat raste me he takra gayi jisne bade adhikar se uska hath pakda aur sath le jaane lagi.

"Aapke sath chalne se log jaane kya soch rahe honge. Waise he aaj kuch jyada he jalwa ho gaya hai aapki gaadi par laal-batti rakhne se."

"Mujhe inse koyi lena dena nahi aur family me pata hai ki tum mere dost ho. Waise batti atchi toh bahot lag rahi hai white merce par. Ek sapna toh poora ho gaya mera. Hahaha..", Jannat ke tarashe hue se eksaar safed daant aur surkhi lage honth se banti muskaan dekh Arjun bhi khud par garv mehsoos karne laga. Bhitar toh najara pehle se kahi jyada he rangeen dikh raha tha. Manch ke kareeb he madhyam awaaj me chalte gaano ki dunn par jagmag farsh par yuvak yutiyan aur kuch jode bade he rumaani andaaj me naach rahe the. Golakar 3 darjan se adhik mej par kahi purusho ki mehfil jami thi toh kahi mahilaon ke kahkahe sunaai padte. Khaas baat thi ki yaha purusho ke sath he kuch mahilayen aur yuvtiyan bhi beer, juice mili vodka ka swaad chakhti dikhi. 20 se adhik waiter toh inki sewa me he lage the aur kayi rasookhdar mej ki jagah khade ho kar naachte thumakte jawaan logo ko dekhte hue sharaab ki chuskiyon sang baatchit karte dikhe. Arjun ne dekha ki aisa he ek jhund uski taraf he najre kiye tha.

"Hello Minakshi ji. Aap kab aayi? Jannat ji, ye Minakshi ji hai. Oh aap toh jaanti he hongi kyonki Jeenat inki khaas dost hai.", Arjun ne yaha Minakshi se hath milaya tha aur uske sath Gagan se bhi. Baat aage hoti us se pehle he Sakshi in dono ko he khinch kar naachne wali jagah le gayi jidhar Hemant ke sath Jeenat sehajta se naach rahi thi.

"Meenu bulati hai Jini isko. Atchi ladki hai aur aaj he mili hu main is se. Ye hai mere chacha ji Mr Umesh Kapoor aur ye meri chachi Gautami ji. Arjun se milna tha na aapne toh mil lijiye. Aur ye meri pyaari bua aur unki laadli beti, meri cousin Aashi.", Arjun ne chacha chachi ko hath jode toh Gautmi ne toh aage badh kar garamjoshi se hath milaya jiske baad Ravina bua toh seedha gale lag kar mili. Arjun ke maathe par halka paseena ubharta dekh Umesh ji hans diye uski haalat par.

"Beta, tum pehli baar mil rahe ho lekin pariwar ke liye parichaya ki jarurat nahi hai. Waise Jaanu ki chachi aur bua me aksar aisa he chalta hai. Party me tum aa kar bhi party se gayab kaise ho yar?", Aashi toh kabhi apni maa aur Jannat ko dekhti toh kabhi Arjun ko. Fir Jannat ne he aankho se ishara kiya toh usne bade saleeke se hath milaya.

"Uncle jab function Jeenat aur Hemant ka hai toh bewajah main center of attraction kyun banu. Suna nahi tha un mantri ji ko ye atcha nahi laga tha. Aap logo se toh main ab ghar pe bhi mil sakta hu lekin yaha aaye mehmaan aur rishteydar jyada jaruri hai. Dekhiye ab phir se koyi mehmaan aapse milne aa raha hai.", Arjun ki baat sunn kar Umesh ji ne ek taraf dekha toh unke chehre par mejbaan wale bhaav ubar aaye in mahashaya ko dekhte hue.

"Hello Agnihotri ji. Sorry, wo jara bacho me aa gaya tha. Chaliye wahi chal kar gupshap karte hai.", Umesh ji ki baat par is 50 varshiye sabhrant dikhte mahanubhav ne jhoothi muskaan dikhate hue jawaab diya.

"Arre nahi bhai aisa atcha nahi lagta beech me dakhal dena. Wo toh mujhe jara aapke in khaas mehmaan ke chand minute chahiye the agar ijajat ho toh. Wo kya hai na ki Sushant ne abhi bataya ke ye hamare jaankar hai. Bas 5 minute.", Ye 5 minute unhone Jannat ki taraf dekh kar kaha tha aur Arjun aankhon se he usko aashwast karne ke baad Agnihotri ji ke sath yaha se 20 kadam dur chal diya jaha unche counter ke kareeb in logo ki mehfil khadi thi.

"Ye Agnihotri uncle ko Arjun se kya kaam padd gaya chachu? Inki aadat nahi badalti kya beech me dhamakne ki?"

"Jaanu beta, mehmaan hai aur kya pata jaante ho Arjun aur uske pariwar ko. Jaante he honge nahi toh wo bhi aise muskurate hue nahi jata.", Jannat ko jawaab dene ke baad unhe koyi aur le gaya lekin yaha uski chachi aur bua ab Jannat ko he gher rahi thi masti majaak karti hui. Wahi Arjun waha pahucha toh adhiktar chehre anjaan he mile siwaye Sushant ke jo ab counter par peeth tikaye apne pita ki bagal me aa khada hua tha.

"Bache, kisi aur ki mehfil me kyun sarwale bann rahe ho? Jab kisi ko dhang se jaante na ho toh pehle jaankari leni chahiye aur fir aisi himakat karne ke bare me sirf sochna chahiye. Karne ki koshish toh hogi bhi nahi kuch jab jaan jaoge ki hum kaun hai. Hamare bete ke hath par halki si soojan ke badle main tumhe bahot kasht pahucha sakta hu, maafi maang lo toh behtar rahega.", Dabi awaaj itni bhi dhimi nahi thi ki wo kareeb khade 6-7 log hanse bina reh jaate. Jannat dur khadi ye dekh khush ho rahi thi ki jaise Arjun un sabhi ko jaanta hai.

"Maaf kar dijiye uncle ji. Mujhe hath dabana nahi chahiye tha. Andhera tha isliye dekh nahi paya. Baraf laga dijiye iske hath par, thodi der me he thik ho jaayega.", Arjun itna bol kar jaane laga toh Agnihotri sahab ne uske unche kandhe par hath rakhte hue naa me sar hilaya.

"Maafi ke liye ya toh kaan pakde jaate hai ya ghutne tika kar naak ragdi jaati hai. Choti galti ke liye kaan aur jo tumne ki hai uske liye bas ghutno par baith jao pehalwan."

"Aap mere pita ki umar ke nahi hote aur hum kahi aur mile hote na uncle ji toh jitne ye khi-khi kar rahe hai unke jabde aur aapke ghutne jameen par laa deta. Apne kapoot ko kaayede me rakhne ke sath khud ki akad par bhi lagaam lagaaye. Ehankaar toh bado bado ka he nahi raha aur maine toh aaj tak ye Agnihotri naam siwaye ek heroine ke kisi ka suna nahi. Party ka maja lo aur ab main bhi aapki he baat kahunga. Jiske baare me jaankari na ho, uski jaankari lijiye aur fir sochne tak ki koshish nahi karenge, sapne me bhi. Karna toh bahot dur ki baat hai.", Arjun ki baat par ek 40-45 baras ka aadmi gilaas rakh kar uski taraf badha he tha ki kisi ne peeche se uska kandha aisa dabaya ki poora jhund he Arjun ko bhool gaya.

"Umed ji.. aap..", Agnihotri ke sath baaki sabka yahi sawaal tha aur Arjun ke kareeb Bhalla, Raunaklal ji aa khade hue.

"Aisi baat hai baaman lala ke ye jis sher ko tum yaha ghere khade ho na, iski dahaad Umed par bhi bhaari hai. Agar mere saamne najre milaane ki taqat nahi rakhte toh mere bete ki parchaai se toh dur he rehna. Bahot der se dekh raha hu ki ye khudko kaabu kiye hue hai Kapoor aur Kansal pariwar ke is shubh karyakram ko madde najar rakh kar. Nahi toh ab tak Umed Singh bas laashe uthwa raha hota yaha se. Duniya ke liye ye Arjun Sharma hai, Shankar Sharma ki aulaad lekin usi duniya me ye Arjun Singh bhi hai.. Mera Singh aur mera waaris. Is baar vyapaar wali baat na hai jo Gajju sirf dandit karke baksh de. Idhar he gaad dunga ek ek ko aur prashashan khud madad karega.", Umed Singh sabko chhod kar Arjun ko apni bagal me lagate hue khada hua toh dono ko eksath dekh kar Agnihotri ka toh gala he sookh gaya. Wahi unko Bhalla aur Raunaklal bhi khade dikhe toh rahi sahi kasar bhi poori ho gayi.

"Jawaan ladke hai Umed ji...", Agnihotri ki jagah ye baat us vyakti ne kahi thi jo is saare ghatnakram ka gawaah tha aur in sabhi ka he vypari bandhu. Shakal se thoda bhara hua aur halki taund liye peit ka swami.

"Prakash tu toh samajhdar aadmi hai aur Kapoor ka khaas dost bhi. Ladke jawaan hai toh josh unhe aapas me nikaal lena chahiye aur jab gooda na ho toh baap ke pichwade par laat khilwane se badhiya ki maafi maang le. Kaan aur ghutne tekne ki jarurat bhi nahi, sirf bol bhar de ki galti ho gayi. Chal mere chaand, jara mejbano se mil le. Waise Bhalla ji yaha toh ye Bhanumati ka ladla (Bhanu) bhi aankhen sek raha. Ungli kiye bina kaise reh gaya ye aapke sath.?", Arjun ne ek baar Jannat ki taraf dekha aur ek baar apne hanste muskurate daityakaar chacha ki aur jo neeli kameej aur tambai rang ki patloon ke sath ghani daadhi me chahu aur najar aa rahe the. Kamar par holster me band rivolver sanket tha ki yaha ab unki bhi dakhal hai apni Saundarya mausi ki wajah se.

"Arjun ko ghoomne dete Umed. Yaha Kapoor bhai ke bache bhi iske dost hai aur iski aunty bhi unke he beech baithi hai. Bhanu pehle he khaar khaaye hue hai Arjun se.", Umed ye sunn kar hansta hua thik Bhanu ke paas he aa ruka aur saamne se hath milate hue jis tarah se usne Bhanu ko dekha Bhanu samajh gaya tha ke ab palda barabar ho chuka hai.

"Bacha abhi se sab dekh-samajh le toh badhiya hai na Gajendra bhai sahab. Waise apne Bhanu ji is baar hamara margdarshan karne wale hai Delhi me. Matlab aapko jitwane ke liye ye poori mehnat karenge. Lijiye Bhanu ji, party ki taraf se aapki padonnati ka patra hum swayam he liye aa pahuche. Aap hamare bade hai aur hamare pradesh se Delhi me sab aapke he kandho par toh hai. Party ne Delhi ka prabhari bana diya hai aapko, khabar kal dainik akhbaar aur party mukhyalaya se jaari ho jaayegi. Umed Singh kabhi apno ka bura nahi karta.", Bhanu toh wo lifafa khol kar bhitar rakha patra khade khade he padhne laga. Party me aantarik kalah ki wajah wo khud tha jo akela Delhi jeetna chahta tha bas Bhalla ke shetra me uski dakhal nahi thi. Yaha toh usko jameeni raajniti se he hatwa kar daftar me bhithwa diya gaya tha.

"Dhanyawaad Umed Singh. Aur mujhe bhi khushi hogi agar Bhalla karyapranali ko suchari chalate hue sansad ka sadasya bane. Raunaklal ji jaise mahanubhav sath hai toh sandeh karna uchit nahi. Waise tumhara suputra tumhare he jaise tevar rakhta hai. Ye Delhi Haryana nahi hai, mitravat keh raha hu. Bacha ab ghar ka he hai."

"Delhi aaya toh aapke sath fir hum bhi berojgar na ho jaaye Bhanu ji. Waise is prant me sarkaar, prashashan aur taaqat sirf iske he paas hai jisko aapne dekh kar andekha kiya hoga. Ja beta tu ab apne dosto me khel-kood kar, main jara mehfil ka aanand utha lu thoda. 2 ghante baad nikalna hai.", Arjun ka matha choom kar Umed ne sabke saamne usko apne seene se laga kar phir ajaad kar diya. Arjun jaanta tha ki aisa sirf wo uske he sath karte hai, chahe aaspas koyi bhi ho.

"Waise aapse baat karni hai maine aur us hisaab se ek ghanta free rakhiyega."

"Wo main pehle se jaanta hu isliye aaj driver laya hu.", Umed ne Arjun ko jawab dene ke baad Kapoor ji ki taraf rukh kiya jaha wo Bhanu, Bhalla aur Raunaklal ji ko bhi sath leke gaye. Arjun mud mud kar unhe dekhta hua wapis Jannat ki taraf laut raha tha lekin us par najar Agnihotri ji bhi barkarar thi. Chehre par dard aur apmaan ka asar toh tha he lekin us se jyada vyathit the wo apne bete ki murkhta par. Kahi na kahi chot toh lagi thi antarmann pe lekin wo kya asar dikhane wali thi ye na unhe khabar thi aur na Arjun ko.

"Aap unse kuch kam toh nahi dad fir bhi aapke sath sath na uncle kuch keh sake aur na aapke sab partners. Hain kaun ye ladka?", Aavesh me Sushant itna kuch bol gaya tha jiskwa jawaab inme se toh kisi ke paas nahi tha lekin jaam parosne wale ke sath idhar aayi Sunayna ne jaise inki charcha ka vishaya samajh liya tha.

"Aap jinke baare me ladka ya kuch bhi anaap shanaap bol rahe hai wo Raajhans ke owner hai sir. He is one among tha Royals. Sab virasat unki he hai aur aaj is rangmehal ke niyam se aage badh kar itni badi party rakhwana bhi unke orders se hua hai. Aap agar iraade galat rakhte hai toh main batana chahungi ki yaha jo bhi security hai wo sirf unki he hai. Aur kisi ki toh gaadi tak parking area se aage nahi aa sakti. Have a pleasent evening sir.", Honth bichkaati hui Sunayana ne alag he jakhmo par namak laga diya tha in sabhi ke, Arjun ka bacha hua parichaya dete hue.

"Ye raaj-pariwar ka waaris hai? Umed ka bhi aur..."

"Aur pramukhta se Arjun hai Dr Shankar Sharma ka suputra aur Pandit Rameshwar ji ka pauta. Savdhani rakhiyega Agnihotri sahab, suna hai unki aankh me jo ek bar khatak gaya wo sada ke liye latak gaya. Kanoon aur raajniti bhi fir koyi madad nahi dene wale. Aap sajjan vyakti hai isliye socha samjha de. Chalte hai.", Inke kareeb wali golakaar mej par baithe ye mahanubhav jaane kaun the aur inhone sara ghatnakram khamoshi se yahi baithe hue dekha suna tha. Hath me 555 cigratte ka packet thaame wo jaise bina dastak diye aaye the waise he nikal liye.

"Arre beta.. thoda toh akal se kaam leta. Ek baar ko ye Umed Singh fir bhi samajh sakta hai lekin wo toh aadmi he nahi jiska ye beta hai. Maafi tak na bolne di aur aise chale gaye jaise mauka diya ho. Chal ab yaha se nikalna he behtar hai aur jitne poori jaankari hath nahi aati, itne khamoshi he bhali.", Apne bete ka hath pakad kar Agnihotri ji toh bina he bhojan kiye nikal liye is jawaan hoti raat me. Pehle unhe Arjun ne sharmsaar kiya tha aur phir Umed ka ekaek waha prakat hona. Ab jaankari bhi mili toh boote se bahar lekin vyapari aadmi tha isliye kadam peeche le kar jiwit rehna he behtar samjha.
.
.
"Delhi kab aa rahe ho phir humse milne?", Yaha gol mej par eklauta purush bas Arjun he tha aur ghere me baaki 7 mahilayen ya ladkiyan. Bagal me Jannat ka hona toh lajmi he tha par ab dusri taraf uski choti behan Jeenat thi, Hemant apne hone wale sasur ji aur baaki ganmaanya vyaktiyon me jo shamil tha. Minakshi ko is party me Gagan ke sath sath kuch aur sangi saheliyon ka sath mil chuka tha jinme Sakshi bhi shamil thi. Yaha mej par sawaal Ravina ji ne kiya tha aur unke sameep baithi Aasha ji ne he Arjun se pehle jawaab diya, jaise wo yaha uski sanrakshak ho.

"Delhi toh ye ek ya 2 din me aane he wala hai par lagta nahi tumse mil paayega. Pehla promise hum le chuke hai Ravina aur uske baad Arjun ko ghar chhodne ki riwayat bhi poori karenge.", Ab Jannat ne kankhiyon se Arjun ko dekha jaise iske baare me usne Jannat ko kyun nahi bataya. Wo toh yaha bhi uski khoobsurti ki he tareef kar raha tha aankhon he aankhon me. Lekin Jeenat bhi jaise alag he duniya me thi jisne Arjun ka hath thaam kar apni goad me la rakha.

"Delhi kahi dur toh nahi hai Aunty ji aur waise bhi mujhe waha ghar ke jaruri kaam se jana hai. Ab gharwalo ko toh Aasha aunty ji ka he pata hai aur inhone he mere sath ghar aana hai. Haan agli baar main Jannat ji ka shoot dekhne aaunga na Delhi toh aapse bhi mulakaat rahegi. Aajtak asliyat me photoshoot nahi dekha isliye Jannat ji se request ki thi. Waise main aage ki padhaai Delhi se he karne ki itcha rakhta hu, 2 saal baad. Yahi chhuttiyan thi mere paas aur inke poora hote he March 2000 tak bas diwali-holi ya naye saal par he ghar se nikalna hoga.", Arjun ki baatein spasht aur sadharan thi jo Gautami ko ajeeb lagi toh wahi Ravina aur Aasha ji khaasi prabhavit dikhi. Jannat ne bhi ek hath mej par kohni tikate rakha aur dusra hath Arjun ke goad me rakh liya uske dusre hath ki ungliyon me ungliyan fansate hue. Najre upar he thi sabke beech.

"Parties ka shauk nahi rakhte tum? Tumhari age ke youngsters toh rajdhani me sirf night-clubs aur 5 star hotels ke bar me jana pasand karte hai. Thode modern hai aur life speed se jeene me yakeen rakhne wale. Haan har koyi utna raees nahi ho sakta par tumhe thoda bahot toh.. I mean atcha lagega tumhe.", Gautami ne baat toh kehne ko keh di par Jannat ke bolne se pehle Arjun ne hath daba kar usko rok liya tha.

"Aisa hai aunty ji meri bhi raftaar thodi jyada he tej ho chali thi jis wajah se aaj he is par break lage hai. Haan main dhuen bhare band club aur hotels ki jagah khaali sunsaan sadak, nadi, pahaado aur bheed se dur jeena jyada pasand karta hu. Baaki abhi toh kya keh sakta hu aane wale samay ke baare me. Kya pata jaisa aapne kaha waisa bhi karu. Insaan ko agar club me khushi milti hai toh waha jana thik aur agar khamoshi me sukoon milta hai toh wo bhi itna bura nahi. Waise aapka kabhi dil kare toh bataiyega mujhe. Jannat ji aur inke bua ji se toh mera ek trip final ho chuka hai Basant baag ka. Ek mahine baad meri padhaai shuru hone wali hai toh us se pehle inka program hai waha ghoomne ka. Jo bhi chalna chaahe sath chal sakta hai.", Yaha waiter ne 2 aur kursiyan laga di aur dusre waiter ne table saaf karne ke baad sabki pasnad ke thande, beer aur khaane ka samaan saja diya. Naye shamil chehre me Meghna ji aur Shrimati Kansal thi jinke bagal me baithne se pehle he Jeenat ne Arjun k hath chhod diya. Par ye Meghna ji ki najro se na bacha tha jis par unhone apni chhoti beti ko ghoora toh usne najre jhuka li. Arjun toh aur kahi dekh he nahi raha tha Gautmi ji ko jawaab dete hue.

"Ye kaunse Basant baag ki charcha chal rahi hai yaha jawaan logo ke beech? Waise Aasha kahi tum toh nahi ja rahi Gajendra bhai sahab ke sath?", Shrimati Kansal ji ke kathan par sabki hansi nikal gayi thi aur is se saaf tha ke wo mahila hasmukh hone ke sath mel-jol rakhne wali insaan thi.

"Kuch nahi didi main toh bas sunn kar he khush ho rahi thi ki meri bhatiji ghoomne ja rahi hai. Ab ye Basant baag naam se koyi dusra hotel khula hoga shayad jo mehal wale ki copy hoga. Udhar jaane ki koyi baat karta toh maine abhi sign karwa lene the kore kaagaz par.", Gautmi ki baat par Meghna ji apni badi beti ko table se he jhuk kar dekhne lagi, hanste hue jis par Jannat bhi hans rahi thi aur Ravina ji bhi.

"Koyi khaas jagah hai kya ye Basant baag Gautmi?"

"Aasha didi, wo private property hai kisi raajgharane ki aur unki he wajah se himachal me us taraf koyi project nahi lagaya ja sakta kyonki saari jameen he unki hai. Highway ke liye jagah di hai bas unhone par tasviro me dekha tha ki asli mehal aur baag-bagiche kaise dikhte honge. Pata nahi kiska hai aur ye log kaha jaane ka plan kar rahe hai.",Gautmi ke itna kehte he Jannat hans hans kar dohri ho gayi jisko Arjun ne he gilaas badha kar paani pilaya toh kayi najro ne inhe dekha.

"Ab aapne baat he aisi kar di chachi ki kya he kahe? Basant baag ki maalkin Arjun ki mom hai aur ye he waha ka waaris hai. Haan usi ka jidhar papa ko bhi project ke liye jagah nahi mili thi. Atchi baat hai na ki nahi mili aur wo aaj bhi utna he hara-bhara aur khoobsurat hai. Hairaan hone ki jarurat nahi hai chachi kyonki abhi bhi iske mom aur sisters wahi holidays spend kar rahe hai. Bua ne kaha ki inhe wo andar se dekhna hai aur mera dil tha ki us jagah ek shoot sirf apne liye kiya jaaye. Aur Arjun ne permission le li apni mom se.", Ab yaha Shrimati Kansal ji ne bhi bade gor se Arjun ko dekha aur phir Meghna ko.

"Ab hai toh wo ghar he na aunty. Kya farak padta hai ki uska naam kya hai aur agar aapki itcha hai usko dekhne ki toh uski koyi ticket toh hai nahi. Bas mummy se poocha tha dopehar me aur unhone keh diya ki wo arrange karwa dengi rehne aur khaane ke hisaab se.", Arjun ne itni der baad kahi juice ka gilaas uthaya tha us paani ke ek gilaas ke baad jo dedh ghante pehle piya tha.

"Ab toh humne bhi dekhna hai lekin sardiyon ki chuttiyon me. Gudiya ki tution chal rahi hai aur golu bhi ghar aaya hua hai toh jana mumkin nahi. Rekha didi ke sath he jaungi waha par.", Aasha Bhalla ji ne yaha Arjun ki maa ka naam liya aur unke apnepan par Arjun bhi khush tha jaise in sabke beech uska ek alag sa rishta ban chuka ho Aasha ji se. Arjun ne sehmati me muskurate hue haami bhar ke iski pushti kari thi.

"Mujhe pata nahi tha aur wo hotel wale majaak ke liye maaf karna mujhe.", Gautami ne jaise sabke saamne maaf karna kaha toh Arjun ne thodi hairaani se unhe dekha.

"Yaha toh aap sab bhi pariwar jaise he aunty aur mere kaunsa chehre par likha hai ki us jagah se mera koyi lena dena hoga. Maafi ke badle ab aapko bhi sath he chalna chahiye.", Arjun ne ye kaha toh aise he tha lekin Ravina ne yaha usko he lapet liya.

"Haan Gautmi bhabhi, tum bhi sath he chalna kam se kam mere he liye. Waha ja kar Jaanu ko main dikhne wali nahi aur ye janaab toh tum khud he dekh lo kaise gopiyon se ghire baithe hai. Inke jaadu bhi aise hai jo ek ek karke saamne aate hai par uske liye inka bhi hona jaruri hai. Party bhi toh inki he jagah chal rahi hai. Yakeen na ho toh badi bhabhi se he pooch lo.", Ab Arjun thoda sa jhempne laga tha aur uski haalat dekh kar Jannat ne he uthte hue kaha.

"Mom, Arjun ne thodi he der me nikalna hai Umed uncle ke sath. Main jara isko dinner karwa du toh thik rahega."

"Haan waise bhi kaha humne tumhe baat karne di hai tumhare... Arjun.. I mean dost se.", Ravina ne jaise he agli firki li Jannat ke jaane se pehle he manager ne Arjun ke kareeb aa kar kaan me kuch kaha.

"10 minute me aata hu chacha ji se mil kar. Fir dinner karte hai.", Arjun ne bhi bade he pyaar se Jannat se kaha tha jo kisi aur ne toh nahi suna par dekha ki kaise wo Jannat ke kareeb khada tha. Jaanat ne bhi chamakti aankhon se haami bhari aur wapis apni jagah aa baithi.

"Meghna, ladka bhi kahi se kam nahi hai. Main toh pehli bar Jaanu bitiya ko kisi ke sath aise unmukt dekh rahi hu. Baat kar le agar mumkin ho toh. Iski aur Hemant ki jaha karni hai waise he in dono ki ho jaayegi. Kad-kaathi, bolne ka sabhya andaaj aur apnapan hai bache me aur aisa ladka naseeb se he milta hai.", Ab kaun jawaab deta Kansal madam ko is maamle me lekin kisi ko toh kuch kehna tha aur ye baat Aasha ji ne he rakhi. Jannat ne toh abhi bhavishya ke khwaab dekhe he kaha the.

"Didi, ladka toh jaise aapko pasand aaya waise he mujhe bhi apni Aashima ke liye bha gaya tha. Aur meri bitiya se jyada Jaanu bitiya ki jodi iske sath atchi dikhti hai lekin mere, aapke ya Meghna ji ke chahne se rishta hota toh humse pehle he wo kisi aur ke ghar ka damaad ban chuka hota. Jaante hai ye jo dikh raha hai wo bahot kam hai iske vyaktitva ke hisaab se. Mujhse pucho kaise isne mera sansaar bikharne se bacha liya chahe mere pati ka naam kitna he majboot ho.", Iske baad 5 minute me Aasha ji ne Arjun ke kirdaar ka jo vivran prastut kiya usko sunn kar waha baithi har mahila ke sath Jeenat aur Jannat bhi bhochakki reh gayi. Arjun toh unhe bas ek bhala aur pariwarik jindadil insaan he dikha tha jisme ghamand naam-matra nahi tha par wo kya kuch karne ka dum rakhta hai wo bhi ek bahubali ki biwi khud bata rahi thi, jaan kar kaiyon ke paseene nikal gaye.

"Aunty, isne akele he Sahil ki jaan bachaai wo bhi usko anjaan jagah se dhoond kar aur baad me kidnappers maare bhi gaye.? Sab akele ne he kiya?"

"Nahi didi Arjun bhaiya na kisi ki jaan nahi lete par hain wo hero. Bahot pitaai ki thi unhone sabki aur jab mujhe hosh aaya tha tab toh wo sabhi bad monsters behosh ho chuke the. Aapne unke muscles nahi dekhe na kabhi, isliye unki power nahi jaanti. Doctor chachu ne dad ko bataya tha ki ek bahot bada monster (tantrik) tha kahi jisko Arjun bhaiya ne akele he finish kar diya. He is really strong and bad hero. Nahi bad nahi good hero he hai aur mere hero bhi.", Sahil hath me cola liye apni maa ki goad me he aa baitha tha aur wahi khoobsurat si ladki laal-neele paridhan wali Aashima thi jo najre jhukaye sab sunti hui bas muskura rahi thi.

"Hmmm. Fir toh wo bad hero sachmuch nahi hai. Lekin fight karna atchi baat toh nahi hai na Sahil?", Jannat ne mahol ko samajhte hue ye charcha baad me he karni behtar samjhi thi.

"But for a good purpose it is acceptable didi. Daddy bolte hai main dieting karunga toh bhaiya jaisa ban sakta hu par bhaiya bolte hai ki abhi main chota hu aur pizza burger mere liye abhi thik hai."

"Jhoothe.", Itni der me Aashima ne pehla shabd kaha tha aur sabhi khilkhila uthe in bhai behano ko dekh jaha Sahil ka masoom chehra aur Aashima ki surkh rangat he bhai behan ka prem tha.

"Aaj ke liye didi, bas aaj ke liye. Wo mumma hum toh bhool he gaye batana ki papa dinner ke liye bula rahe hai aapko. Phir chalna bhi hai aur Arjun bhaiya papa ke sath he hai.", Sahil ki baat sunn kar Aasha ji ne ek baar fir se Meghna ji ke samast pariwar ko mubarakbaad di aur apne dono bacho ko liye wo bhi is hari bhari table se vida leti hui uth gayi.

"Maine toh pehle he kaha tha ki Arjun kuch aur bhi hai. Aapke sath wo alag hai, hamare sath bhi par uski apni life hai didi. Aap toh aise tension le rahi ho jaise usne koyi kasam todd di ho.", Kansal ji apni biwi ko bulane aaye the aur unke jaate he Jeenat ne ye raag chhed diya. Ab inke beech Sakshi aur Minakshi bhi aa baithi thi.

"Nahi mera us se koyi concern nahi hai Jini. Lekin aise jaan khatre me daalna toh thik nahi wo bhi professional kidnappers ke saamne akele he."

"Agar aap yaha Arjun ji ki baat kar rahi hai toh fir main bhi kuch batana chahti hu Jannat didi. Unke liye pariwar, apne logo aur anjaan bhale insaan ki keemat bhi sabse upar hai. Jaha raaj-pariwar aur khud uske pariwar ke bado ke sar jhukne lage the wahi Arjun ne akele he us kaale rakshas se tantrik ko todd kar rakh diya jiske saamne 16 gaanv me koyi bolne ka saahas na kar saka. Gaav me aaye hafta bhar hua toh usne un logo ki haddiyan todd di jo aane wali peedhi ki naso me jehar bharte the, ladkiyon aurato ke sath jabardasti karne ke sath hatya tak ke jurm unke sar the. Bhale he Arjun ji chehre se masoom hai aur dil ke bhole bhi lekin mere dada ji, Lala ji kehte hai unhe sab. Unka kehna hai ki Arjun ji ka jiwan uddeshya he yahi hai aur unki virasat me unhe jo mila hai usme daulat se jyada toh jimmewariyon ka wo bojh hai jisko aur koyi nahi dekh sakta. Jo aisi chahat rakhte the wo Pandit Motilal ji the, mehal ke munshi lekin aacharan se yaha ke raja. Agar kabhi aap par musibat aayi toh duniya bhale he kuch na kar sake lekin Arjun ji jarur usme shamil ho jaayenge. Kehte hai na virasat me daulat se anmol log milte hai aur wo aise waaris hai jo har kareebi ko apni daulat maante hai. Aapne kal milne ka samay diya, uske liye thank you kehna tha didi. Main chalti hu bas Jini ko wish karne ruki thi. Sorry agar kuch galat kaha ho toh.", Hath mila kar Minakshi ne baaki sabka abhivadan kiya aur intjaar karti Gagandeep ke sath is party se nikal chali.

"Hmmmm.. Bada multicoloroud insaan nikla ye tumhara dost Jini.", Sakshi ne Arjun ko uska dost kaha toh Jeenat turant naa karti hui boli.

"mera dost nahi hai wo aur hai bhi toh bas naam ka he. Dost toh wo didi ka hai aur ab pakka Arjun ki class lagne wali hai.", Jannat toh Arjun ko kareeb aata dekh tej kadmo se uski he taraf badh gayi thi. Shayad uska maansik dabaav badh chuka tha sabkuch jaan kar lekin thi toh asliyat. Aakhir waaris bhi aise toh nahi bana jata.
Fantastic update
 
  • Like
Reactions: Enigma

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,871
173
Dear enigma sir ji
Anamika ko me ne bhateji kyo likha to samne se bo bhatiji hi he
Baki sarang aur jo bhi unke samkakch he bo bhatije bhatiji hi he
Sabal dai maa anuradha ji ki sachhai janti ho sakti he aur kuch tantrik bhi janta hoga is liye dhima jahar diya gaya
Lekin juglal aur raja ko anuradha ne mara ye thoda samajh se baher he kyo ki unko to motilal ji ne mara
Arihant ka inglend jana kahi mirja paribar unka to nahi
Dusra rajhans aur jo jaydad he bo kiski thi arihant ne jo raja ko diya bo anuradha ji ke kahane par diya kyo ki bo janti he raja bahan ka putra he
Lekin dusra hisssa moti lal ji ko na dekar sunnda ji ki nani yani ki apni beti ko diya bada ghol mal he
Sabse bada sabal ye sab anuradha ji ko mila kis se
Mirja paribar to jarur arihanta se juda he
Lekin sabal ye he ki anuradha ya tilottma ji ke pita ko bhi itna sanpann nahi dikhaya he
Sir ji ye sab mere dimag ki upaj he kahani se iska sambandh ho bhi sakta he nahi bhi jo kabhi bhabisya me hi milenge
Thanks sir aur galati ke liye sorry bhi
Mahesh bhai jaisa maine parichaya me bataya tha ki Anahita aur Tilottama sagi behne thi jinme Tilottama kuch varsh badi thi Anahita se. Unka pariwar kitna sampann tha iska andaja toh aap sirf is baat se he laga sakte hai ki Basant Baag aur Sunanda ji ki athaah sampatti jo pehle Anahita ki thi, baad me Mahima ji ko mili aur aage Sunanda ji ko. Wo sampatti sirf thoda he bhaag hai jabki us se jyada ko Anahita desh chhodne se pehle he bech chuki thi. Ye sab unhone sirf apni behan ki nishaani ke swaroop pariwar me rakha tha. Aur jitni sampatti akele Anahita ki thi, utni he Tilottama ke hisse rahi hogi jisko paane ke liye Juglal/Bhupendra ne Tilottama ko apni sharan me liya hoga uske mata pita ke anurodh par. Santaan ko duniya ke liye toh maar diya par sachmuch maarna unke liye bhi mumkin nahi raha hoga. Daulat aur sampatti saunpne se agar unki beti jiwit rehti toh unhe yahi uchit laga beshak samaaj me Tilottama marr kar Anuradha ne janam liya ho. Wo dono bhai bhi kamjor shasak the doobte raajpaat ke aur shayad mard bhi nahi honge jinhone ek mahila ko sanrakshan ke badle bas apna he ullu sadha. Mard hote toh Bhupendra ki biwi ka jikar rehta kahi na kahi. Aur aage bhi santaan hoti us mahol ko dekhte hue jabki yaha toh Motilal aur Balwinder tak unka rakt nahi the. Wo anushthan ek udaharan hai iska agar aapne gor kiya ho toh.
Baaki itna aashvast karta hu aapko ki aane wale samay me Anahita ke pariwar aur maujooda peedhi ka bhi khulasa hoga.
Yaha main aka3829 bhai ki bhi dono sawaalon ke Jawaab deta chalu.
Ritu ka kehne ka matalab tha ki Basant Baag me jo tehkhana tha uske neeche bhi ek aur tehkhana hai.
Aur Juglal/Bhupendra Singh ki mrityu ke waqt toh Motilal ji khud bache byaahne wale the aur unki mata ji toh unhe bachpan me he chhod chal basi thi. Matlab Anuradha ji aisa kar he nahi sakti thi jab unhe gujre 39-40 baras ho chuke the
 

Mahesh007

Well-Known Member
4,018
6,555
158
Dear enigma sir ji
Sabse bade khalnayek juglal aur bhupendra hi the aur unko anuradha ji ke bare me pura malum tha ye bhi ki motilal ji aur bhupedra ka baris anuradha ke putra he aur anuradha garbh bati bhi he
Sabal ye he ki gudiya to is nate unka khun nahi thi fir bali ka kya matlab
Anuradha ji ko jahardiya to kisne kyo ki maniram aur uski bahan lajo to anuradha ke samay nahi thi to kon he
Kya juglal aur bhupendra ne khud ye karya kiya
Moti lal ke pita koi is prakar ka saks he ki uska in sab paribaro se sedha sambandh he aur us ke samne ane par incest ki paribhasa adhik majbut ho sakti he
Sir ji prasn to bahut he lekin sabd aur samay nahi kyo ki nid bhi arahi he aur subah bhi hone bali he
 

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,653
25,297
204
Waiting
 
  • Wow
Reactions: Enigma

Mahesh007

Well-Known Member
4,018
6,555
158
Dear enigma sir ji
Aap ki bat ka samman karte huye bus ek sabal gudiya jo pandit ji ki beti thi uski bali khun ka rista nahi thi to kya thi ek byabhichar mayra
Aur arihanta ji mahima ko alni beti banaya samaj me is liye bsant bag usko diya aur bhi jo samptti thi bo mahima ko diya
Motilal ji mahima ke sage bhai the
Tilottma ki samptti ka ans bhag hi raja ko diya gaya baki samptti me ye basant bag aur jo bhi tha bo mahima ko mila aur arihanta ne apni samptti raja ko bechi to bo raja bhupendra hi tha ya aur koi
Arihanta ke paribar ka andaj ho sakta galat ho lekin anuman filhal mirja he he
Sir ji koi to is kadi me esa he jo juglal aur bhupendra ke alaba bhi is rahasya se parichit he
Sabal ke jabab kahani me hi milege
Sir ji samay milte hi purane update par bhi najar dalunga aur dimag ko bhi is par lagauga
Kul milakar kahani bahut hi gambhir mod par he aur ise samajh ne ke liye samay ki darkar he
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,871
173
Motilal ji mahima ke sage bhai the
Mausi ke bete hue na Mahesh bhai. Anahita se Mahima aur Tilottama/Anuradha se Motilal ji paida hue. Samaaj me toh tilottama bahot pehle he mrit thi aur Mahima swayam jab janmi toh unke paas bhi siwaye apni mausi ki kishorawastha ke chitro ke koyi jaankari nahi thi.
Aise me agli peedhiyon ke beech toh incest wala konn dabb he gaya. Uske baad bhi agar dekha jaaye toh Motilal aur Balwinder tak samaajik ya apni jaankari me ghanisth dost se badhkar ek dusre ke purak he the. Asal rishta unhe bhi nahi pata tha.
Unse agli peedhi me dono bhaiyon ke bachon ke beech vivaah sunishchit ho kar bhi nahi ho paya toh incest seere se he nakaar dete hai. Aage agar Shankar aur Rekha ko jodd kar dekha jaaye toh wo chauthi peedhi thi Anuradha ji aur Anahita ji ki. Unme rakt sambandh ho kar bhi maayne nahi rakhta chaahe anjaan raho ya jaankar. Mausiyon ki chauthi peedhi me vivaah varjit toh nahi hai? Pariwar shrinkhla ko dekha jaaye toh aap khud kahenge ki aisa rishta galat nahi. Par abhi tak ye sab baat sirf 3 he logo ke beech hai jisme se poori jaankari sirf Arjun tak.
 

Mahesh007

Well-Known Member
4,018
6,555
158
Dear enigma sir
Aap ki har bat ka samman karte huye
Rajkumari anamika aur kirasan
Narendra ji aur anamika ki beti
Riste sarbjanik nahi lekin incest he
Dusre mahima ji agar arihant ki beti he to anuradha ke gharbh ka kya hua
Jisko mene arihnta ki nahi anuradha ki beti likha he
Juglal aur bhupendra ne bhi tantriko ke marne aur us sthan ko aag lagne ke bad us garbh ki hi talas ki hogi lekin anuradha ne use arihant ko sopa hoga
Agar ye sach nahi to us garbh ka kya hua
Juglal aur bhupendra dono ko hi malum tha ki gudiya unka khun nahi to khun ke rista bana kar kese uskr sath anachar kar baya
Sir ji jitne andar jhakege utna ulajh jaye ge
Is liyr samay ka intjar hi karna sahi hoga samay hi tilism torega
 

Mahesh007

Well-Known Member
4,018
6,555
158
Sir ji ek last jabab is kahani ka antim sira arjun incest he lekin jis tarah aap ne isko incest teg diya he to iska pahela sira bhi incest hi niklega ye mera biswas he
Ange kahani hi bataye gi sirf intjar karna he aur agar utabla pan ya dherya khoya to puri kahani ka maja kharab ho jaye ga
Jis me 2025 ya 2026 tak intjar karne ka dherya nahi uske liye ye kahani bakbas he
Novel nahi he ki jhat se antim panna pad liya jaye
 
Status
Not open for further replies.
Top