yeh aashima ne jo kaha tha wo arjun se college mein hi milegi abhi tak lagta hain uss baat pe kayam hain... akhir yeh luka chhipi kyun bhala...
arjun waaris pariwar ke paiso ka nahin balki unke ussulo aur mulyo ka jispe yeh tika hain... ummed jee kee soch ka waaris hain unki samaaj kee prati jo bhawna hain uska waaris hain... aur rahi baat paiso kee toh uska bas yeh dekhrekh hi karega jaisa panditjee aajtak rajpariwar ke liye karte aaye the...
oooh ab yeh maa beti toh humumra kee tarah ek doosre ke saath tanj kar rahi hain... rekha jee ka tumhe bata dega waali baat aur baad mein ritu ka sharmana... ab toh jaise wo haq khud rekha jee ne de diya hain ... ek man se beti ko bahu bhi bana liya... jaise inka ek apna alag raaz hain... aur beshak yeh tabhi hua jab ritu ne dhake chhupe alfazo mein yeh keh diya kee usse pata hain kee aap bhi usse ek premika kee tarah pyar karti ho... kehte hian kee ek umar ke baad beta/pita aur maa/beti ek doosre ke saath dost kee tarah vyavhar karte hain... rekha jee ne wo haq de diya hain lekin shankar jee aaj bhi shayad ek baap aur dost kee jagaha ek pratidwandi hi rah gaye...
khair rekha aur ritu ke iss naye rishte ne unhe aur kareeb kar diya hain wajah chache jo bhi ho.... ritu ke bahar jaane waali baat bhi rekha jee ne pakar lee wo ghar se door aur preeti ghar mein.. jaise tay kar liya hain unhone... ab wo kahawat hain na hamri billaiya aur hamre se meawon... ab maa se bachhe bhale hi samajh le kee unse chhupa liya lekin kuchh chhupta nahin hain... unke sochne ka tarika viksit hote dekhti aa rahi hain unka balya kaal se...
ritu ne baat ko kitna bhi ghumaya lekin aashay samne aa hi gaya akhir papa aur unki shaadi kaise ho gayee... dono ke vichar bhinn aur jo doori sabhi mehsoos karte hain lekin kehte nahin aaj uska jikar kar diya usne... kehne ke liye naari shashaktikaran falana dhimkana aur jab baat shaadi kee aayee toh larka kaisa hain yeh tak nahin dekha bas kar lee shaadi... jab shaadi hi kaushalya devi jee ke saath kari thee toh pati se kahe kee aapeksha rakhti hain... waise pyar mangna galat na hain... lekin jab aankh band kar ke jeevan pe daon khela tha toh sona milega kee peetal yeh na socha tha... khair beeti baate aur purane ghao kuredne se bas zakhm hi milte hain... unpe bas malham lagaya jata hain kureda nahin...
khair baato baato mein pata chala kee rekha jee pandit jee ko bhi nishane mein hara deti thee... rahi uss tashveer ke rahasya waali baat toh raghuveer jee mehel ke uss taraf kaise gaye jabki purush prawesh varjeet tha shayad chhupte chhupate apni preyashi se milte wakt dekha ho... lekin ritu ko kaise pata kee rekha jee se antim wakt mein raghuveer jee ne kya kaha.....
aur teen peedhi ka jikra hua hain... 1... motilal sharma..
2... balwinder jeee
3... yeh teesri peedhi kaun tha... kya anajhita jee ne jisse videsh mein jaa ke basaya kaheen unka santan toh nahin... kya unhone shaadi kari thee... toh ek tarah se rekha jee bhi ussi bloodline kee hui...
rekha jee kee maa ka pariwar toh unka mayka hua...
toh unka vivah akhir kiske saath hua tha... duniya ke samne juglal jee unke pati the.. lekin ritu ne kaha kee rajmahal kee asli maalik wo thee ... akhir kis haq se udhar kee maalkin wo ban gayee idhar se shaadi kar ke gayee thee toh pati ka haq hi unhe milta.... aur jisne shaadi se pehle ek baar garbhwati kar diya tha toh doosri baar bhi ussi ke saath kaise sambandh bana shakti hain jab usne shaadi hi na kari... akhir itni bari bewakoofi bhala.... aur bin byahta maa bani ek baar nahin do baar koi itna mandboodhi kaise ho shakta hain... aur oopar se juglal je yeh maan kaise gaye kisi aur ke bachhe ko apna naam dene ko.. jaydad ka lalach... aur kya unki khud kee koi santan na hui... akhir shaadi ke baad un jaisa hawsi insan patni ke najdeek ek baar bhi na gaya.. aur balwinder jee unse door kaise hue... yeh aadhe jawab aur jyada bechain kar dete hain...
aur yeh insan jisne unhe dhokha diya kya wo bhi kahani mein aayega ya bas wo ek gumana kee tarah yahee pe khatm... unhe un dono ne mara mil ke aur jab itni saksham thee toh inse bhupendar jee ne kaise hathiya liya inka hissa...
isiliye kam umra mein hi tillotama ko mrit hone ka natak racha gaya taaki kalank na lage... akhir ek rajgharane kee larki wo bhi bin byahta maa isse bara tauhen us jamane mein bhala kya ho shakti hain... pareshan toh yeh baat karti hain kee motilal jee ko pita ka naam kaise mil gaya... shab lalach ne karwaya hain juglal se.... tabhi jahar de ke usse mara wo bhi dheema taki swabhawik maut lage... isiliye shab samajhte hain cancer se unki maut hui... khoon kee ulti kari hogi unhone marte wakt... aaah itna vilakshan insan aur aisi durgati...
.
.
.
wapas raajhans mein... first impression is the best impression and it wasn't best at all.. sushant ne aisi chhavi bana lee aur agar ussi larke ke saath khud kee behen ka vivah kee baat ho toh koi bhi larka kabhi raazi na hoga... lekin ariyal shankar ko samjhaye kaun...
laal baati ka raaz yeh tha.. kisi ki wish puri kee jaa rhi thee... aur idhar gajju haathi padhar hi liye... ab aaye bhi toh samay dekh ke... akhir dhaus toh honi chahiye bande kee... bhanu kee poooch bhi seedhi karte aaye... jis delhi ka dhaus jama raha tha wahee usse chhen liya.... lekin baato mein kaha tha shankar jee delhi mein kuchh jawab sawal karenge lekin kisse...
khair mahilao mein ek alag hi chhap chhor dee arjun ne chahe wo basant mahal ka kautuhal ho ya phir kidnapping wala mamla... jeenat arjun ke is roop se parichit na thee,, yeh shab uske liye ek jhatke jaisa hain... ek sweet somber person ek fighter nikle toh jahir hain jhatke toh lagenge heee.... waise uske jhatke aur bhi hain wo sakshi doobara lene ko bechain hain....
aati uttam update tha gurujee... rekha ritu samwaad ya phir sushant intro aur ummed jee ka jawab... love you... take care of yourself and your family... goodnight..
Aalu bhai aaj pehli baar apke rebu par kuch keh raha hu. Agar galti ho jaye to maaf kijiyega. Aapne apni samiksha me ma beti ke sambandh par ati sunder tippani ki aur e usase sehmat bhi hu lekin yaha ritu ne ek khel bhi khela he apni ma ke sath. Sabse pehle to unke hi muh se kehlwaya ki wo arjun ko chunegi saadi ke liye agar unhe option diya jaye to. Ab yahi baat ritu ne bhi saaf kar di ki usake paas to koi option hi nahi he arjun ke siwa.
Aur dusare ritu ne isharo 2 me apni ma ko ye bhi bata diya ki bhale hi aap aejun ki tilotima ho. Lekin wo bhi rekha aur shanker ki putri he. Aur usane un jagaho ko bhi khoj nikala he jinhe rekha ji dhundh bhi na payi thi aur jis urdu ko na padh pane ki wajah se rekha ji ne wo khat na padhe the unhe ritu ne aram se padh bhi liya he aur un khato ko thikane bhi laga diya he. Ab yaha sawal ye uthata he ki ritu ko urdu kaise aati thi.
Aalu bhai apne 3 pidhiyon ka jikar kiya. Lekin rekha ji to tilotima ki chauthi pidhi hui na agar dekha jaye to. Tilotima, mahima, sunanda aur rekha.
Aur bhai mere abhi kahani se 2 mahattvapoorn prani gayab he. Ahanrita jo ki videsh ja ke bas gayi. Unka pariwar bhi to hoga jo apni ma ya nani ya pad nani ki jaydad ke liye ladega. Dusra wo banda jo motilal ji ka biological pita tha. Akhir WO KAUN THA. Aur bhai usane kaha dhoka diya. Wo banda ek baar nahi balki 2 baar pita bana.