Jis vyakti ki kundali kisi dusre se nahi milti ho toh kripya uske sath haas-parihaas, majaak ya kataaksh na kijiye. Aap sabhi ko apni baat kehne, samiksha karne aur sawaal poochne ka purn adhikaar hai lekin agar koyi aapke sath shamil nahi hota ya wo swayam kendrit hai toh aap aise vyakti ka sammaan na kar sake toh kripya un par tanz bhi karne se bachiye.
ye to galat baat h panditji agar kisi ki kundali nahi mil rahi to aap ko milani chahiye.
Aap pure pandat wale kam nahi kar rahe. koi hawan pooja karwakar milaiye kundali.
Agar kisi ke 36 gun me koi kami h to aalu se udhar le lijiye uske 36 gun sab se milte h.
Is sutra par lagbhag sabhi sakriya pathak ek pariwar jaise hai aur yahi wajah hai ki main kahani itni likh paya.
fir to aapko ye bhi pata h ki kuch sadsaya Shankar ke jaise h . samjhane se nahi samajhate
aapko to pata h ki wo kaise samjhenge.
Aainda se kahi bhi vyaktigat chhintakashi ya mahol prabhivit karne ki koshish hone par main anishchit kaal ke liye is kahani se avkaash le lunga. 2 saal hone wale hai 2 hafte baad lekin maine aise kathor shabd kabhi nahi kahe. Yaha tak ki main aap logo ke he sath baatchit me shamil rehta hu aur comments delete par bhi aitraaz nahi. Parantu jo kal hua hai us ghatna ke dohraye jaane par apni yaha se hamesha ke liye ram ram hogi sabhi pariwar-jan ko.
Panditji or koi adda ho to bata dijiye fir se ram ram karne pahunch jayenge.