Ye update Apurva ...
Enigma sir Aapke iss laghu update mein Kuch guru bardaat Ka jikar Kiya Aapne...
Ye writer Saab ko sayad time mc ke bohot soukh hai..hum e bhi bohot time travel Karwa rahe hai...
Pehele jab Dekha ki ab ghatna 1973 pe gye toh socha ki bohot Kuch aj sulajhne wale paar Kuch uljhan toh Jada hi ulajh Gaya...
"Itna asaan hai kya ye sab? Mere baapu biradari ko maante hai aur Panch bhi hai toh jyada pareshani hogi. Lekin ye sab tumhe he dekhna hoga aur mujhe apni biwi bana kar yaha se leke jaoge. Agar aisa nahi hua toh main tumhe barbaad kar dungi."
Ye aise rutba ke sath baat Karna Lata ke Kuch khatka toh jorror laate hai maan pe...
Paar ho na ho sayad aise rutba se hi lata ne sher (Shankar) ko kabbu kiye the..
Ishwar Singh ek samajhdar insaan tha aur poore gaanv ko he pariwar maan kar chalne wala nek vyakti. Beshak uski dharampatni kuch alag vicharo wali thi.
Toh taau ji aapne tikdam laga he dala na? Pata tha mujhe ke aapke londo ke bas ka nahi hai ye sab, 4-4 nikamme aaj tak apne baap par nirbhar. Meri hardik mubarakbaad Sundi bhai ko, khet se kati fasal uske pas chali aayi. Ram-Ram Laajo kaaki, waise laaj toh naa aayi hogi aapko bhi. Pata bhi hai ke ladki Shankar bhai se aathvi se prem karti aa rahi hai lekin Panch Ishwar Singh ji ko biradari ka bahana karke shikaar bana diya.
Ye panktio se toh lagte hai ki Lata ne Jo sharat ki baat ki hai Uske piche sayad uski ma ,Sheela and sombir Singh Ka dabaab jorror hai...
Aise raahi aksar safar me lawaaris bhi reh jaate hai jo pyaar ke sath sharte jodd dete hai.
Lekin ye line se Thora confuse Hona lajmi hai readers ke liye ki Kahi na Kahi ye sharat ke piche Lata ke bhi maan mei bhi Kuch galat bichar jorror the... Ab ek kahavat hai ki, nari charitra Deva na Jane hum toh manusso hai...toh Lata ke charitra Ka khulasa sayad samne aur bhi honge...
Aj Arjun ya ajju ke character aur bhi kholke samne Aaya hai...
lekin pichle update pe dono Arjun ke connection ke baat paar Lata ke choukne ke waja Kuch paale ni pare...kyu ki ghatna kram ke mutabik ajju ke maare Jane ke baad hi Shankar Ka sadhi hua Hoga Rekha se...Uske baad bhi sayad 5-7 Saal baad Arjun Ka janam hua Hoga...toh ye ho sakte hai ki ajju Ka character Ramesh war ji ke Dil paar Ghar Kar Gaya and pandit ji khud mehenat Karke ussi type character mei Arjun ko banaya ...issiliye sayad dono mei itne mil-milap hai....
Lekin ek baat samajh nahi aayi bhai chandro devi ka jesa roub aur vyaktitva bataya hai uss hisab se yaha dusri biwi sheela devi ko sath lana ajeeb laga.
Professsor bhai Mera jitna samjh hai wo ye hai ki , Chandrao Devi Ka roub aur vyaktitva asadharan toh hai paar wo galat kaam toh ni karte, lekin bijender ke kathan mutabik wo Kabhi sambir Singh ke paare baat nehi kiye the..and sambir singh bhi ksadayantra ke mamle mei usko wohi waja se samil bhi nehi karte the sayad Woh galat kaam mei sath na de...
Socha tha charul ko writer Saab pathak gono ke liye chod denge...lekin nehi usko bhi Arjun ke jhole mei daal hi Diya...????
"Kya hua un dono ko? Kaha hai woh Daleep? Kuch toh bol mere dost, dekh un par musibat aayi toh main bina-wajah mara jaunga."
Isse kehete hai MA ke daar....??????
Arjun ke is jawaab par Komal ki dhadkan tej ho gayi thi. Wo uski soch se aage ja chuka tha aur jaise kisi sachaai ke kareeb jo Komal ke sath sath kisi ko bhi na pata thi.
Ye kaisi sacchai ki baat ho rahe Jo sirf aur sirf Komal ko hi paata ho sakte ??????? Ye line dimaag Ka dahi Kar Diya yaar....
Ye Komal naam ke hi Komal hai.. tarachand-karamchand- james bond jasoos se bhi aage hai... Bimala ke khabar Jo kaamwali ne laaye the wo bhi pata laga liye..
Baki ye komal-arjun Ka baatchit Dil hi jit liye....
Ab aage Ka intejar....