Sonia jiji
...
meri lata sharma se koi bhi sahanubhuti nahi hai, even kahani mein baaki sabki tarah muzhe iska charitrr accha nahi laga.. aur naa he main Shankar ji ke peeche jyaada paagal hu...
muzhe dikkat is baat se hai ki.. baaki sab ko Shankar aur Madhulata singh se dikkat hai.. aur muzhe wo log bilkul pasand nahi jo bina clarity ke kisi bhi baat ka nishkarsh nikaal lete hai...
sab ki tarah main bhi ek insaan hu.. meri bhi samvedbaaye hai.. muzhe bhi accha aur bura lagta hai.. parantu kahani mein aaj tak aur abhi tak kisi ka bhi kirdaar poori tarah se khul kar saamne nahi aaya hai...
yaha har reader.. naye ya puraane.. sabhi apna opinion kisi bhi kirdaar ke liye bahut jaldi badal lete hai.. jaise ki ghar mein Kisi bacche ko koi ghar ka bada daat deta hai to wo usko bura lagne lag jaata hai.. magar thodi der baad wohi shaksh us bacche ko kucch uske pasand ki cheez usko dede to wohi shaksh us bacche ke liye sabse accha aur priye bann jaata hai...
magar main yaha apna stance neutral rakhta hu.. aur har kirdaar ko usi nazar se dekhta hu...
isi liye main kabhi kisi bhi kirdaar ki samaanta dusre ke saath Nahi karna chahta.. magar har koi Shankar sharma se Arjun ko behtar dekhna chahta hai aur ek ki khoobiya aur dusre ki khaamiya dekhne lag jaate hai...
kaayde mein dono baap bete hai.. aur Shankar ji 48 saal ke Arjun 18 ka.. yaani ki unki umar se aadhi se bhi kam umr hai Arjun ki.. to isko abhi bahut kuch seekhna hai aur bahut kuch dekhna hai.. dono ke liye alag tarah ki paristithiya aur halaat aur samay raha hai.. inka comparison jab accha lagega jab Arjun 48 ka hoga aur uske biwi-bacche honge.. tab pata lagega ki wo apne haalaato mein aur paariwaarik jimmewaariyo mein kaisa santulan bana paata hai...
aaj jitni umar mein Arjun yaha sabko is kahani ka nayak nazar aa raha hai.. wahi agar 18 saal ke Shankar ko dekhoge to wo bhi apne aap mein ek misaal raha hoga...
abhi saara focus arjun par he hai.. isi liye ye sabko accha lag raha hai.. na he isne kisi apne ko khoya hai aur na he kisi apne priye ko kisi aur ki hote dekha hai...
aur Arjun wo baccha tha jisne gusse mein Col. puri ko patthar maar diya tha.. kya pata bhavishye mein kisi apne ka phir nuksaan kar de...
abhi asal mein arjun auro ko nahi balki har koi Arjun ko sambhaalne mei laga hua hai...
apne baap ke kehne par Shankar ji ne lata se shaadi nahi kari.. kya kal ko Arjun aisa kar paayega.. Arjun ke to abhi se he bagawati sur sunne ko milne lage hai.. Ritu ko lekar.. Kaushalya ji aur Rameshwar ji ko to abhi se chinta satane lagi hai Arjun-Ritu ka soch kar...
Kaushalya ji sabki bolti band kar deti hai.. kya apne paute ki galtiyo aur jidd ko badal sakengi...
********
is kahani ka asli hero mere hisaab se agar koi hai to wo.. Sanjeev Sharma hai.. ...aisa bhai, aisa beta, aisa dost, aisa role model, aisa boyfriend, aisa pauta, aur aisa police officer...
********
Enigma bhai aapne black cielo aur rajesh ji ki aur ishara kiya.. uski aashanka maine pehle he batayi thi ki ye kaam inki taraf se bhi ho sakta hai...
aur aapke kangan wali mystery ke liye maine pehle bhi kuch waise aasankaye jaahir ki thi jinko ki aap sauchne ke liye leh rahe hai...
aur sab kuch ham he sochenge to aap kya baith kar makkhi maaroge.. oh sorry sorry bhool gaya aap to kucch maar bhi nahi sakte sirf hila....
...aapke to lag-gaye...