Ungli nahi Kar raha hu dosto lekin aaj Jo saar Bhai Jalti lomdi ne pesh Kiya hai main us se poori tarah sehmat hu.
Kahani ke anjaam se bhi aur aane waale Kal se bhi.
Kuch charitra jaan boojh Kar abhi nahi khol Raha aur kuch ke liye jagah nahi bachti
Dwand ek taraf pratishtha aur sammaan ka hai, ek taraf sirf khud ko tayaar rakh Kar vinaash se bachne ki jirah hai lekin teesra paksh Jo abhi sabse gumnaam hai wo in dono pariwaro ko nasht karke kuch bada haansil Karne ki Chahat.
Parinaam ghaatak toh honge he jab khul Kar takraav hoga lekin dono taraf kuch samajhdar log aise bhi hai Jo niyati ko badalne ki koshish jarur karenge.
Tab shayad wahi log apno se haar jaaye.
Afsana ke liye Maine pehle bhi kaha hai ki wo ek nirnayak bhoomika adaa karegi ek samay par lekin uski tulna Preeti se karna Preeti se nyaye nahi hoga. Afsana bhi dekhegi Preeti ki najro se dharti se bada mahasagar.
Panchtatvo ka ullekh karna ab jaruri hai shayad
Fire- sunehari
Water- neela-hara
Earth-bhoora
Sky- neela
Air- adrishya/sarvatra jivandayini
Ye panchtatva ek tarah se ishara hai Arjun ke jiwan ki sanginiyon ka. Sabse bhaari kaun hai wo samajh sakte hai. Aankhon ke rang unhi ke soochak hai.
Baaki Anaconda Bhai ke liye itna he kahunga ki feet Arjit jaisa nahi kaha tha. Sanvaad Jo Afsana aur Preeti ke beech hoga, Jo emotions Arjun ke is update me milenge wo bhavnatamak Roop se utne he maarmik honge jitna Arjit ka swar.
Kal dete hai agla update