firefox420 Bhai, sarvpratham Dil se Naman aapko aur baaki sabhi mitro ko. Jo aapne likha usko Maine 2 baar padha kyonki pratham bhaag waisa he hai jaisa main mehsoos karta hu aur shabdo ke sath nyaaye na Kar paane ki wajah se bayaan nahi Kar paata. Haan, Pyaar
bar ko saral rupantaran sirf aur sirf aise he ehsaas, andekhi ki peeda, gyaan ka mantavya aur ekakipan me jiwan ka varnan hai.
Jab main unmukt ho Kar sirf khud ke liye likhta hu toh waha kirdaar ya koyi daayra nahi hota. Lamas Dil ki aur bayaan us sondhi si mitti ki mehak ka Jo pehli baarish me aap tabhi mehsoos Kar sakte hai jab aap andar se usme judaa hua paaye. Kabhi kabhi toh barso Ghar dur bhaag daud karke, mehnge se mehnga bhojan karke bhi sharir sukh nahi maanta. Aise he be-samay wo pal yaad aa jaye jab hath me malaai cheeni-roti gol karke Ghar se school nikle ho toh us se bahumulya Kya hoga?
"Ujle savere ki bhi Kya bisaat, sanam bheege chehre jab hamari aankhon se ru-ba-ru ho."
Kisse kahaniyon me ishq ke, aakarshan ke hajaro varnan honge. Kahi julfo tak ka udna jaanleva toh kahi chehre pe aayi lato se qayamat. Neend se aankh khulne par pehli baar apne chehre par jab uski geeli julfo ka sparsh hua tha, toh laga ki sala ye atchi baat nahi. Neend kharaab Hui..
Jaagte samay aisa hua toh uska varnan he mumkin nahi. Chote chote se lamhe jinme kabhi bas ungliyon ka wo iradatan ulajhna. Kuch kadam duri se chalte hue bas uske ek baar palat ke dekhne ki Chahat aur poora bhi hona, wo julfon ko bedhyaani se dono hath utha Kar ek rubber me bandhna lekin najre 4 ho jaaye toh khudse kuch kehte nahi banta lekin saamne Wala sab jaante hue bhi sapaat chehra ya halki muskaan jiska matlab samajh se pare.
Ye sab har rishtey ya jiwan ke bahot se mauko par hota hai. Mere pita ne rubber wali tie ki jagah jab wo gaanth lagane wali pehli baar khudse mujhe pehnate hue sikhaai thi wo lamha aaj khaas lagta hai. Salary se unke liye pehla uphaar ek tie he tha kyonki usme wahi feeling thi.
Hamare gujarte jiwan ke sath shikshak bhi badalte hai. School aur college iska ek jivant udaharan hai. Apne
eternity Bhai ne bade pate ki baat kahi aur uska jawaab shayad yahi mumkin hai. Ek rishta judne ke baad seekhne se jyada nibhane par dhyaan rehta hai. Lekin seekhna toh jiwanbhar hai isliye shikshak bhi samay anusaar badlenge.
Maine is kahani ko sirf ek he tarah socha tha lekin Dil me ek aur varnan tha jis par main ab kaam Kar Raha hu. Yaha likha bhi Dil se hai kyonki dusra pehlu najarandaaj nahi Kar sakte, lekhan anubhav lene ka. Har peedhi, unka samay aur anubhav alag hote hai parantu insaan ke jiwan me Jo nahi badalta wo hai vyaktitva, ehsaas aur prem. Kehne aur prakat karne ka tarika badal sakta hai jaise paristhitya.
Jaisa main hamesha he kehta hu ki Arjun kahi na kahi kendra hai parantu har charitra vishesh hai. Shankar ke Dil ka varnan he nahi hua aur Narinder ke bhi kuch pehlu honge. Pyaar toh Rameshwar ji ko bhi hua tha aur kahani Sanjiv ki bhi hai. Saral jiwan me Umed Rajeshwari ka bhi prasang hai toh Chahat apne Shastri ji ki bhi thi jiske sath unki Rani ki yaadein Judi hai.
Hum insaan hai aur jab apne adhure ya toote ehsaas, pyaar se baahar nikalna chahte hai toh raaste khojte hai. Kabhi sahi toh kabhi galat. Wahi toh har kahani ka saar hai. Ek Ram aur Ek Raavan. Lekin galat ko galat kehna bhi sahi nahi. Wo vyakti jiska sapna apni mohabbatt ko har sukh dene ka ho, jiske Bina wo khudko adhura paaye. Gar wahi na rahe toh pratishodh Kya galat hoga?
Jiwan ke rang anek aur waisa he har vyakti, uska charitra aur guru. Samaaj bhi humara, niyam banane wale bhi hum. Niyam toote toh bhi dukh ya gussa aur khud tode toh hum alag ya shresth.
Mera maksad hai bas is canvas par wo har rang bharna jisme sahi galat se jyada humare he vyaktigat pehlu ke drishya ho. Kahe, ankahe, chaahe ya andhero me chhipe.
Likhta hu, mitata hu aur fir kuch samay le Kar fir likhta hu. Bas rukna nahi chahe kuch deri ho jaaye. Kabhi kabhi vyathit ho jata hu ya vyast bhi, jimmewari bhi hai aur jarurat bhi.
Office shift Kiya hai, kuch contracts chal rahe hai, Art exhibition ke liye 2 mahine alag deadlines aur sath he is kahani par 2 tarfa kaam. Sochta hu ki agle din kuch samay bachega par kabhi kabhi mahol anukool nahi milta. Haan iska asar sabhi par na ho itni koshish rehti hai.
Sabhi ke liye aane wala varsh mangalmaye rahe, swasth jiwan ke sath unnatti ki prarthna.
Aapka
Enigma