Update 202 (1)
Pariksha Purv
"Aapne itni jaldi aane ke liye kyu kaha tha? Waise toh ghar pe kisi ne kuch poocha nahi lekin pehli baar mujhe jhoot bolna pada.", Abhi samay hua he kitna tha jaha shehar me market bajaar thik se khule he nahi the. Minakshi gol chowk se pehle he tempu se utar kar Arjun ki pratiksha kar rahi thi jisne jyada intjaar na karwaya. Ghadi me sava 8 he baje the aur ye jagah surakshit nahi thi jaha unki taraf se shehar aane wale log dekh bhi sakte the.
"Aisa karwane ke liye maafi chahta hu Minakshi ji lekin main kisi aur se madad nahi le sakta tha. Aap chehre par dupatta kar lijiye, filhaal yaha se nikalna jaruri hai.", Minakshi jhijhakte hue dono paanv ek taraf footrest par rakhte hue Arjun ke peeche baith gayi. Jaisa usne kaha tha thik waise he chehra dupatte se dhankti hui aur bag apni goad me liye. Arjun ko bas saamne nahi jana tha aur is jagah se parichit na hone ki wajah se behtar laga Minakshi se chalte hue he jaankari li jaaye.
"Dekhiye aap bilkul bhi matt dariye aur main class ke samay se pehle he aapko center chhod dunga. Waise ye XXXX aashram kaha hai kuch pata hai aapko?", Arjun ki baat sunn kar Minakshi bhi bechani ke bawjood dhime se muskurayi aur jo pata wo pooch raha tha uske baare me log baat karne se bachte he the.
"XXXX gaanv ki taraf jo sadak jaati hai bas uske aage he ye aashram hai Arjun ji. Lekin ye pata toh aap kisi se bhi pooch sakte the. Kya aap mujhe bhi udhar leke jaane wale hai?", Halki pareshani jarur ho rahi thi is ladki ko lekin Arjun ke sath jaise wo waha bhi jaane ko tayaar thi.
"Main itni badi bewkoofi kaise kar sakta hu Minakshi ji? Aur yahi wajah bhi hai ki maine iska jikar kisi se nahi kiya. Mujhe aapse kuch aur bhi jaankari leni thi. Kya hum aaspas kisi aisi jagah par baith sakte hai jaha disturb karne wala koyi na ho? Mera matlab hai ki baat thodi khaas hai aur ye bhi agar main kisi aur se pata karunga toh shayad jawab ki jagah kuch aur ho jaaye.", Pehle toh Minakshi ki dhadkan he band hone lagi thi akele me samay bitane ki baat sunn kar lekin fir Arjun ke gambhir chehre ko aaine me dekh wo kuch sehaj ho gayi.
"Main shehar ke baare me toh jaanti hu lekin aise kabhi nahi aayi pehle. Maa papa ke sath he aana hota hai nahi toh college aur center ke baad sidha ghar. Ye yaha ek park hai udhar aage lekin idhar jana thik hoga ya nahi?", Is dauraan Minakshi ka jism pehli baar halka sa Arjun ki peeth se chhua tha. Arjun ko toh iski bhanak tak na thi lekin ye yuvti jaise is par he sharma gayi. Arjun ne dekha ki ye park waisa nahi tha jaha wo apne shehar me ghoomne jata tha. Idhar toh jagah jagah jhaad aur ghane vriksh se the lekin akaar kahi jyada he bada aur dur tak faila hua. Motorcycle lagate samay usne ye bhi dekha ki idhar toh dur dur tak andar koyi nahi hai. Shuruaat me he 3-4 hare rang ke lohe ke bench the laal phulo wale wo ghane gulmohar ke vriksh har taraf. Arjun kuch shankit sa hua itne bade shehar me aisa park viraan dekh lekin us lohe ke ghoomne wale dwar se wo andar dakhil hua toh bag kandhe par taange Minakshi dhime kadmo se uske peeche.
"Badi ajeeb baat hai, idhar itni atchi jagah par log nahi hai. Waise atcha he hai jab baat bhi jaruri karni ho toh is se atcha mahol kya milega? Aao hum ye chhaya wale bench par baithte hai.", Arjun toh us aur chal diya lekin Minakshi ke kadam toh aise uth rahe the jaise un par 20-20 kilo ka wajan bandh diya ho. Wo jaise taise bench tak pahuchi toh Arjun ko apna ek hath peeth wali taraf bench par failaye dekh wo bas khadi rahi.
"Oh sorry. Hath thoda seedha kar raha tha. Aap baithiye aur chahe toh distance par baith sakti hai.", Minakshi ko atcha laga tha ke Arjun uske prati sajag tha. Ye choti choti baatein he ek purush me aisi ladkiyan dekhti hai. Wo abhi bhi goad me bag liye the aur Arjun ne baat shuru ki.
"Wo nichli taraf majduro ki basti jaisa gaanv hai Minakshi ji, mujhe pata laga ki udhar ke khet aapke hai.", Arjun ne ummeed se bilkul he alag baat shuru ki thi par Minakshi ko ye bhi manjoor tha. Dupatte se sirf uski wo gehri chamakdar aankhe he dikh rahi thi aur Arjun ko jawaab dene ke liye ab ye dupatta hatana jaruri ho gaya tha. Itne kareeb se aur wo bhi aisi ladki ko jo kabhi akeli kisi ladke ke sath college me bhi nahi mili thi, aaj sunsaan jagah thi. Jhijhak, satarkta aur mansik dwand abhi tak dikh raha tha Minakshi ke bhole se chehre par. Kal shaam toh waha chanchalta thi.
"Ji wo jameen hamari hai lekin usko sambhalte aur kheti Mukundi kaka karte hai. Saal me 2 baar wo dada ji ko 2 hisse dete hai aur baaki ek wo khud rakhte hai. Basti ke pramukh bhi hai wo ek tarah se, aapke idhar toh unka aana jana kahi jyada hai toh ye baat aap unse he pooch sakte the.", Arjun dekh aur samajh raha tha is yuvti ki haalat aur usko thoda maja bhi aa raha tha is pal me.
"Kaha na ke main kisi aur se pooch nahi sakta tha isliye toh aapko anjaan insaan se bhi dur leke yaha baitha hu. Toh kaisa vyakti hai ye Mukund kaka aur maine toh abhi tak dekha nahi isko haweli par."
"Parso toh jab main khel-ghar ja rahi thi tab wo haweli ki taraf se aa rahe the shayad aur daadi (Devaki) ji bhi unke sath kuch baat karti hui ja rahi thi lekin wo sabse baat kar leti hai. Uske baad wo Seerat didi ke ghar chali gayi thi aur Mukandi kaka ko ram ram keh kar main apni practice ke liye. Aap bhi toh wahi aaye the thodi der baad. Kuch thik nahi hai kya Arjun ji?", Ab Arjun samjha tha ke kyon Devaki uske hath me doodh dekhte he nikalti thi aur us se pehle sewak nikal jata tha. Lekin ab Minakshi ke sawaal par usko bhi jawaab toh dena he tha.
"Haan basti me kuch toh thik nahi hai jaisa mujhe pata laga hai Minakshi ji lekin aap galti se bhi basti ya hamari baat ka jikar kisi se matt kijiyega. Aapki jameen hai isliye maine ye baat aapse jaan ni chahi aur agar main ye aapke dada ya kisi aur se poochta toh Mukandi tak baat jarur jaati. Maamla bigad sakta tha isliye aapko chuna. Maaf kijiyega mere is swarth par."
"Aap keh kar toh dekhiye ek baar Arjun ji, aapko bhi basti par najar nahi rakhni padegi aur jo jaan na chahte hai wo main pata karke de sakti hu. Baaki agar mujhe us aashram bhi chalne ke liye kahenge toh main tayaar hu.", Minakshi ka is tarah sehyog bhaavna darshana phir se Arjun ko thoda pareshan kar raha tha. Ye masoom thi aur jiwan me jyada anubhav usko nahi tha. Lekin iska samarthan usne hanste hue naa me kiya.
"Nahi us jagah toh bas mujhe he jana hoga jiska naam tak batane me logo ke chehre badal jaate hai. Ye basti ke baare me kaise pata kar ke de sakti hai aap?"
"Laali 10 se 6 baje tak hamare he ghar kaam karti hai aur pichle 5 saal se. Mujhse 2 saal choti hai lekin samajhdar aur pyari ladki hai Laali. Basti me Mukandi kaka ke baad uske he pita thoda naam hai. Pehle wahi pramukh the lekin ab bas wo aapke he kheto me chowkidari karte hai, Sheebu kaka kehte hai unhe. Aur ye Laali meri sabse jyada vishwaspatra hai bas thodi jyada hansmukh hai kyonki usko basti se jyada toh hamara ghar apna lagta hai. Bataye kya poochna hai, main baat kar lungi uske sath aur wo nahi bhi pata hoga toh pata kar degi.", Arjun vichaar kar raha tha Minakshi ki baaton par aur kahi dusri taraf se ye school aur college jaane ki umar wale 6-7 ladke unse kuch he duri par wicket gaadne lage. Chhuttiyan chal rahi thi aur aisi chhayadar jagah se behtar cricket kaha khel sakte the. Unhe najarandaaj karte hue Arjun ne Minakshi ki taraf dekha toh ab wo thoda chintit dikh rahi thi. Arjun ne bas hath ke ishare se he nishchint rehne ka kaha aur khud thoda peeche ho gaya, pehle he dono ke beech ek aadmi se jyada jagah thi
"Aap aisi galti matt karna bhoole se bhi. Agar mumkin ho sakta hai toh kya Laali ko uske ghar lautne ke samay se thoda pehle aap waha talaab ki taraf leke aa sakti hai? Baat aisi hai Minakshi ji ki yaha kuch logo ki zindagi ka sawaal hai lekin main unhe bhi nahi jaanta par wo yakinan basti aur sath lagte banjaro/lohar wali basti se bhi ho sakte hai. Aur unka bura karene me kaun shamil hai ye bhi sahi se kehna mushkil hai. Ek chook aur aap ya main bahot badi mushkil me fans sakte hai. Aur sorry maine wo ladki kal aapke ghar dekhi thi jo daadi se baat karne ke baad chali gayi thi. Laali, yahi naam bataya na aapne? Wo maine udhar bhi dekhi thi jidhar hamare khet hai lekin thoda samay se pehle."
"Haan kyonki waha uske pita chowkidari karte hai aur Laali hamari taraf aane se pehle unhe khana dene jaati hai. Kya sachmuch isme itna bada jokhim hai Arjun ji? Phir toh aapko bhi dur rehna chahiye is sabse. Pehle he parle pind wale kuch ladke dusre raste se basti me galat kaam ki wajah se ghoomte rehte hai aur banjaro wali basti se aage toh thoda bura maine bhi suna hai. Lekin itna nahi ki police ya panchayat tak baat aaye. Ya aati nahi hogi paise aur taqat ki wajah se. Aapka ye basti wala matter aur ye aashram kahi link toh nahi aapas me?", Minakshi apni baat poori he kar rahi thi ki Arjun teji se uske chehre ke saamne aa gaya lekin najre baayi taraf. Wo laal rang ki gend Arjun ne ek hath doori par he pakad li thi jo seedha Minakshi ke chehre par lagti.
'Sorry paah ji. Munde ne bahro sutti c. Bhabhi ji sorry.", 17-18 saal ka ye yuvak kuch seham sa gaya tha aur uske pryaas ko Arjun ne bhi dekha tha gend lapakne ke liye. Par Minakshi toh ghabra he gayi thi aur uske baad us ladke dwara bhabhi kehna.
"Koyi baat nahi bhai, hum he thoda galat jagah baithe hai. Stumps ki nishaan he bata rahe ke ye aap logo ke khelne ki jagah hai. It's alright.", Arjun ne khade hote hue is wale ki jagah ball ko udhar fenka jaha se dusra ladka bowling kar raha tha. Hath ke isharo se he ek dusre ka abhivadan hua halki muskaan ke sath.
"Haan toh hum kaha the Minakshi ji?"
"Bhabhi par.", Uske is masoom se jawaab par Arjun ki saari gambhirta gayab ho gayi. Aur Minakshi ko jab samajh aaya ki wo kya bol gayi hai, bechari najre tak na mila saki.
"It's alright. Darr kisi bhi wajah se lag sakta hai jaise ekdum se mera aapke saamne aana aur wo ball. Waise main keh raha tha ke aap bas shaam ko 5:30 baje ke baad aur 6 se pehle Laali ko talaab ke pas leke aane ki koshish kar dijiye. Wo ladki he mujhe jaankari de sakti hai aur us jagah sab surakshit rahenge. Ab shayad is gabrahat ko aap apni saheliyon ke beech dur karna chahengi? Laali aati hai ya nahi, wo sab baad ki baat hai. Aapko kuch nahi hone dunga aur aap is sabse dur bhi rahengi. Rahengi na Minakshi ji?", Wo toh bas sar 2-3 baar hilane ke baad chalne ke liye khadi he ho gayi.
'Janaab ek panchiyaan da joda ithe bhi hai. Chalo tussi laila-majnu, hun janaab karaande tuhanu aashqui.', Ye ab naya bawaal utha khada hua tha jaha park ki bhitar wali patri pe 2 hawaldar ladka ladki ki jodi ko dur se lete hue aaye the aur ab unme se ek yaha Arjun aur Minakshi ke paas chala aaya tha. Minakshi toh jaise yahi soch rahi hogi ki din shuru hua nahi aur pareshaniyan aaj he honi thi. Wo ghabrahat me Arjun ke peeche he ja khadi hui, chehra dupatte se dhankte hue.
"Bula he lo fir apne janaab ji ko yaha bhai. Aashqui ke sath thoda kanoon ki charcha bhi kar lete hai. Araam se baitho Minakshi, main hu."
"Tu kithe da SHO lageya? Fuddi-deya chup-chaptie oh gypsy vich ja ke beh ja, chhad dena tenu aur teri mashook nu ghar deya nu bulaan de baad.", Ye sipahi ya hawladar jo bhi tha, tha thoda kadiyal.
"Vardi na hoti tumhare jism par toh paka wahi daal deta jaha se nikle ho. Ladki ke saamne baat karne ki tameej hai ya randwe ho? Ek aur baar mooh se apshabd kaho, jism se vardi utarwane ke baad wo haal karunga ki dubara mooh kholne se pehle mera chehra yaad rahega.", Ab sachmuch he mahol garam ho chuka tha aur Arjun jis tarah se is vyakti ke saamne khada tha, kabhi bhi uska dharya jawaab de sakta tha. Cricket khel rahe un ladko me se bhi 2-3 Arjun ki umar ya kuch bade yaha chale aaye the. Padhe likhe aur samajhdar the.
"Ruk tu kaka, tere toh patte vi main he laau. Bas ek baar janaab ji nu tu tera kanoon samjha de. Saale dhande waaliyan..", Bas yahi keh kar is vyakti ne apni shaamt bula li thi aur aaj Arjun ne vardi par dusri baar hath dala tha lekin ye wala jordar. Thappad ke sath he ye lamba mulajim gaal par dono hath rakhta usi bench par ja pasra jaha thodi der pehle ye dono baithe the. Uska sathi bhi harkat me aata idhar dauda aur bahar se driver ke sath inke janaab bhi, bahar nikli tond ke sath hanfte hue.
"Jinder, fadd saale nu. Kanoon teh hath chukkeya tu kaka? Tu nahi bachda.", Wo ladke Arjun ke kuch kehne se pehle he saamne add gaye.
"Tuhadi maa behan ne je assi gala diye, tussi mana karo fer hor jyada diye.. Paani he hona uncle ji tuhade khoon vich je tussi taah bhi chup raho. Paah ji bharjaai de naal apni gallan kar rahe c teh ehna nu je tuhada banda paise de badle galat kamm wali keh ke bulave taah? Main taah gatta he la dena c je meri bhen ja maa baare koyi ehda bol dave, paah ve fer vadda commissioner he kyun na hove.", Khiladi tha aur baat ke sath jism me utni he akad.
"Ehna nu vi pao andar. Parcha banu saareya teh.", 4 policewale aur yaha 4 yuvak. Mamla garam toh ho he chuka tha lekin Arjun ne us yuvak ko ijjatt ke sath shaant rehne ka kehte hue ab in janaab ka rukh kiya.
"Duty ke waqt aap aur ye sath jo khada hai, dono he nashe me ho. Lady police honi chahiye agar kahi aisi jagah chhapa maar rahe ho jaha mahila hone ke chances hai, jo aap logo ke aaspas bhi nahi khadi reh sakti dekh kar he pata chalta hai. Circle inspector ne naake ki list me ye bhi bataya hoga ki asamajik tatvo ko agar pakadna hai toh unki nishandehi ya record jarur ho? Ye public place hai aur udhar bhi aapne jin dono logo ko pakda wo vyask aur shayad kanoon se darne wale log hai. Nashe me public place par ladki ki ijjat par hath daalna wo bhi apne adhikari ki maujdgi ke sath sath aadesh par, saja suspension se aage badh chuki hai Gurpal Ji, yahi naam hai na aapka jo likha hai? Ye bagal me jo sipahi khada hai driver hai aur iski jeb se bahar kuch note jhalak rahe hai matlab naake se bohni karke ab college aur padhne wale yuvako-ladkiyon ko dara dhamka ke kamaai badhani thi jisme vyavdhan aa gaya kyonki aaj bahot galat din tha iske liye. Disciplinary action toh liya he jaayega aapke khilaf Gurpal ji lekin tatkaal prabhaav se suspension aur aadha darjan charge alag lagne wale hai.", Arjun dwara aage badhte ek sipahi ko wahi rok kar in janaab ko unki vastvikta se parichit karwana he chaaro ke liye bhari padd gaya tha.
"Menu sab pata lekin tu hune jaanda ni ki SI Gurpal Singh, bande nu banda ni rehan denda."
"Civil lines thaane me he milna mujhe abse thik 20 minute baad. Fir dekhta hu kaun kisko banda banata hai. Minakshi inke naam aur belt number note karo. Batao Gurpal ji, oh ye toh saamne he hai.", Arjun ne ab asli policiya bhasah prayog ki thi jisko sunte he hawaldar aur sipahi apen janaab ko dekhne lage. Wo ladke wahi the aur unki pakad bat-stump par poori kasi hui. Jaise koyi bhi agar galat harkat karega toh jawaab jordaar dene wale ho.
"Chalo oye."
"Hilna bhi matt.. Pehle apne is chele se kaho ki maafi maange is masoom ladki se.", Ye aajkal kayi baar hone laga tha jab Arjun ke chehre ke bhaav badal jaate the aur uski majboot pakad apni baaju par dekh SI wahi jadd ho gaya. Aankhon me alag he khauf tha jab wo Arjun ke chehre ko dekh kar apne us abhadra sipahi ki taraf sar hilane laga.
"Bhen ji, keha sunyea maaf hove. Main tah galti mann layi lekin aapde laagdar ji de vichar nahi lagde. Hath uthaya na mere te.", Ye sachmuch he kadiyal insaan tha jiski maafi bhi waisi he thi.
"20 minute me thaane nahi mile toh wireless jarur utha lena. Nahi toh sabko sunaai dega ki fajihat kaise hoti hai. Ya toh yahi ghutne ke bal nahi toh jitna jor lagana hai apni vardi bachane ka utna laga lo. Koyi madad nahi karne wala jab pata chalega ki kaand kya kiya gaya aur witness ke sath victim apna bayaan Sandhu ji ko khud dega. Ab Gurpal ji, aap isko nashe ya apni dhons ki wajah se hajam nahi kar pa rahe lekin aisa hone wala hai. Thanks bhai, fir milta hu. Chalo Minakshi ji.", Arjun aage badhne laga toh is SI ne apni akdi hui jubaan kholi.
"Naa ki bataya tu apna kaka?"
"Wahi poochna chahiye tha sabse pehle lekin chalo bata deta hu, Kumar Arjun. Rani maa ka phone ab kiske paas jata hai, ye aap sochiye lekin vardi .. wo dekhte hai.", Arjun jis tarah se muskuraya tha wo hansi ek teekh prahaar thi. Jaise filhal uske saare kaam ek taraf aur ab in SI sahab ki sehat durust karwani sabse jaruri. Minakshi toh bahar nikalne tak he sadme se bahar aa chuki thi.
"Ae ki bol ke gaya mittheya?"
"Kumar Arjun matlab raaje da munda janaab. Oh tah vyahe nai jinna mai suneya. Teh Rani maa hoyi maharani ji, munda lagda vi tich c janaab. Vekhyo main driver banda ha maalko."
"Oh janaab ji, Parshad Abhishek Sharma ji de praah da sala hai munda teh saure paase apni rani ji da parwar teh otthe da mukhmantri vi aaye hoye c ehna de vyaah vich. Ehne bhare vyaah vich commando kutt tah c fer tussi tah shakal toh he amli ho. Haan SSP Pandit ji hai ehde dada ji. Sochya bata deva tuhanu, bhaave badne tussi saare maade he ho. Chalo baai, match shuru karo. Khedan aala khed gaya, hun bowling karega oh teh wicket ehna di khadku.", ye wahi tagda yuvak tha jo Arjun ke paksh me khada hua tha.
"Meetheya pehancho gaddi nikaal teh vekh kitthe gaye ho. Sachi naukri gayi ve lagda. Ae Satwant SI de pind da nava maalak c Arjan. Suneya c lekin khaati peeti vich yaad vi ni reha. Tussi dove ehdar he bund marwao.", Janaab toh gusse aur darr me fufkaarte hue baaki dono sipahiyon ko jhaad lagate driver se bhi tej apni gypsy ki taraf badhe aur peeche se ye dono bas yahi keh sake., 'Par janaab'
Arjun ab nikal chuka tha Minakshi ko center chhondne aur waha pahuchane se pehle uska mann halka karwana bhi jaruri tha. Aise haadse aksar masoom ladkiyon par gehra asar kar jaate hai. Abhi dono ke paas he kuch samaya tha aur Minakshi ki dasha dekh kar Arjun ne taja phalo ke juice counter ke saamne break laga diye.
"Yaha kyun?"
"Bas waise he. Socha itni mehnat ki aapne unhe waha dhamkane me toh gala sookh gaya hoga. Ab class bhi lagani hai toh thodi taqat toh rehni chahiye na? Bhaiya 2 mix laga do, meetha bilkul nahi.", Arjun us badi laal chhatri ke niche Minakshi ke sath khada tha aur phalo par motti dhoop lagate hue juice wale ne bhi muskura kar haan kaha. Hatho ko dhone ke baad wo badi he safaai se apne kaam me jutt chuka tha, ye pehle grahak the abhi uske. Aur Minakshi ab khud he waha jo hua usko yaad karke jhemp rahi thi, apne dabbu aur darpok vyavahaar ki wajah se.
"Wo.. aisa kabhi hua nahi aur wo policewale the. Thoda suna tha ki wo park badnaam hai lekin jisne bhi bataya tha wo dopehar aur shaam ka jikar kar rahi thi. Maa aur papa ko wo log inform karte toh.."
"Shhh.. Aap sahi keh rahi ho aur har insaan is vardi se darta hai, aakhir raub he aisa ban chuka hai na mann me. Lekin adult logo ko kahi baithne se toh kanoon bhi nahi rok sakta aur jis wajah se wo park badnaam hua hoga usme couples ki galti nahi hai lekin 2-3 galat log mahol kharab kar dete hai toh shikayat hone par police apna kaam toh karegi par sirf pooch-tach tak. Waise jab pata tha toh bata dena chahiye tha na."
"Bolne se pehle he toh aapne uljha diya tha aur upar se pehli baar main kisi ke peeche baithi thi, darr toh lagega he na? Aur suna sirf dopehar aur shaam ke bare me tha. Itni subah thodi na.. Waise aap sachmuch unki report karne wale hai? Aise toh unki family par bhi asar hoga na Arjun ji. Aur wo rani maa wala kya jabardast fenka na aapne. Hahaha.", Arjun jaise is hansi ke he intjaar me tha aur Minakshi ko ab khush dekh kar jaise wo bhi apni galti samajh raha tha.
"Nahi waisa kuch nahi karne wala main. Jaisa aapne kaha kya sahi fenka toh maine bas thoda josh me aise he bol diya. Mere ghar ke log toh fir bhi jyada kuch nahi kehte lekin aapke pariwar wale bade he saral log hai aur baat gaanv ki. Toh bas yahi sab dhyaan rakh kar waisa karna pada. Ab khud he socho Punjab me koyi na koyi toh Sandhu hoga he police me, isliye maine wo bhi jodd diya. Hahaha..", Juice se bhare wo 2 laal gilaas tray me yuwak ne aage badhaye toh pehle Arjun ne gilass Minakshi ko thamaya. Wo hairat se usko dekh kar fir se hansne lagi.
"Aap toh sachmuch bahot pahuche hue ho aur atchi baat hai ki confidence bahot hai. Waise D.S. Sandhu ji DIG hai yaha ke. Ab co-incidence dekh lo ya fir aap pakka unhe jaante honge. Lekin us sipahi par jab aapne hath uthaya toh mujhe laga ki ab sab khatam. Waisa nahi karna chahiye tha aapko. Ye policewale kisi ke nahi hote aur inse dushmani matlab poore department se. Ab wo badla jarur lenge."
"Baat jab sammaan aur kisi bhi aurat ki ijjatt ki ho na Minakshi ji, phir wo sirf baat nahi rehti. Aur ye jyada badh jaati hai jab aap swayam surakshakarmi ho. Rahi baat unke badle ya department wali toh wo ab tak jaan chuke honge ki main kaun hu aur yakeenan wo station ke bahar he khade intjaar kar rahe honge ki mujhe andar jaane se pehle rok kar baat khatam kar le. Dalbir Singh Sandhu ji dada ji ke atche dost hai aur shaadi me main mila bhi tha unse. Ab aap nischint ho kar bas juice peeye aur class ke baad ghar ja kar araam se Laali se baat kijiyega.", Minakshi ne gilas abhi aadha he khali kiya tha aur Arjun toh mooh paunch kar paise bhi de kar faarig tha.
"Main le aaungi Laali ko aur wo waisa he karegi jaisa aap kahenge. Aur jab Sandhu ji wali baat sach hai toh matlab rani maa wali bhi jhooth nahi hogi."
"Ab jaanti hai toh bas bol diya unke saamne. Kumar lagane se Arjun Shankar Sharma wahi rahega jo hain. Arjun Shankar Sharma. Aur ab ye 'aap' aur 'ji' se mukti dijiye na."
"Wo nahi mil sakti ji. Waise yaha se aage main chali jaungi. Aur jaha aap jaane ka vichar bana rahe hai, wo jagah public park se kahi jyada khatarnaak hai. Log isliye uske baare me baat tak nahi karte."
"Isliye toh maine logo se baat nahi ki Minakshi ji. Aur itni dur sath aa gaye hai toh aapko manzil tak bhi chhod deta hu. Wahi se toh aage jana hai, XXXX wale raste par.", Arjun ka pratikaar toh jaise ye ladki kar he nahi sakti thi. Wo pehle jhijhak rahi thi kisi wajah se par motorcycle chalu hote he wo goad me bag rakh kar jab is baar peeche baithi toh ek hath Arjun ke kandhe par tika tha. Aaine me uska wo sharmila chehra dekh kar Arjun sar halke se jhatakta hua udhar chal diya jaha kal wo Aanchal ke sath aaya tha. Aaj bhi kuch aur ladkiyon ke sath sath kal wali teeno wahi khadi thi aur Arjun ki motorcycle se Minakshi ko utarte dekh kar Jeenat-Sakshi toh bas ek dusre ko he dekhti reh gayi aur Arjun bina samay lagaye Minakshi ko hath hilata hua seedha apni is anjaan si manzil ki taraf nikal chala.
"Waah.. Ye toh 24 ghante me he tasvir badal gayi Sakshi. Mini madam toh kal tak dost bhi nahi thi aur aaj pehli bar kisi ladke ke peeche baith kar aayi hai, wo bhi jiske sath kuch bhi aisa waisa nahi tha.", Jeenat ungli me apni car ki chabi ghumati hui Minakshi ke saamne he aa khadi hui jo naa me gardan hilati hui teeno se hath milati hui safaai dene me jutt gayi.
"Arjun ne shehar he aana tha jaruri kaam se aur pichle chowk par he wo mil gaye aur idhar drop kar diya. Aisa kuch bhi nahi, jaisa tum soch rahi ho Jeenu. Waise aaj toh tum log casual me ho?", Jeenat toh Sakshi ko aankh maar rahi thi lekin Minakshi ne baat badal di aur thik unke peeche he wo police gypsy aa ruki jisme se SI Gurpal bina mahol dekhe Minakshi ke he paas aa khada hua, dono hath jodte hue.
"Biba ji, park vich jo vi hoya os teh mitti pao ji. Kumar sahab kithe ne? Ohna nu sado (bulao), Gurpal aap toh vi maafi maang reha hai teh ohna de saamne vi dhon (Gardan) nivi he rahegi. Naka tah chhado ji asi laila-majnu park val vekhna vi nai. Sandhu sahab ne tah suspend he karna biba ji, mehal aale tah pata vi ni karan ge. Bula di biba ji aap de sartaaj nu.", Ab toh khasa majma he lag gaya tha is hairat-angez drishya ko dekhte hue. Vardi me ek SI is ladki se guhaar laga raha tha lekin Minakshi sehmi hone ke bawjood samajhdar ladki thi. Gurpal Singh ke jude hue hath dekh usne khud he hath jodd diye.
"Uncle ji, maine pehle he unhe bol diya tha ki wo aisa kuch nahi kare. Aap logo ki bhi families hai aur jo ho gaya wo hoga na uncle ji? Wo bhi apne kaam se chale gaye hai, complaint nahi karenge wo. Ye mera center hai uncle ji aur log dekh rahe hai.", Ab Gurpal ne pehle ladki ko dekha aur fir halaat ko. Kuch sambhalta hua sehaj hone ka dikhawa karta hua wo jhoothi muskaan dete hue bole.
"Maaf karna biba ji, oh baste de upar naa si es jagah da lekin main bhull gaya c ke hor vi bache padhan aunde hune tuhade naal. Eh gall pakki hai na ji ke oh report nahi karan wale? Pariwar aali he gal hai biba ji. Bhul-chook hoyi ohde liye.. Baaki tussi jawaan log change ghar toh ho, hun pareshani nahi honi.", Minakshi ne bhi hath jodd kar ye mulakaat khatam karni chahi aur jaate jaate Gurpal ek baar aur bhi wahi baat dohra gaya. Uske jaate he ab Minakshi ek baar fir se ghir chuki thi lekin ab jawaab dene ki himmat toh usme jara bhi nahi thi.
"Ye log park bhi chale gaye aur satraaj? Balle oh tere Mini billo. Gagan dekh le teri gwandi nu, shehar di kudiyan tah ankhaan bichaai reh gayi ae park vi ghoom aayi."
"Jeenu, oh osdi life hai yar. Jarur koyi hor gal honi, vekhya na oh disturb si aur polcia aap he tah hath jodd reha c. Matlab ohna ne kuch galat kitta hona. Appa nu tah yaar apni friend da khayaal rakhna chahida."
"Sahi baat hai Gagan, chal dekhte hai aur lagta hai baat badi he hogi kuch. Nahi toh Mini kabi kisi ladke ke peeche nahi baithti aur aise policewala maafi maang raha tha matlab usne kuch galat kiya aur Arjun ne policewale ke khilaf koyi action lene ki baat ki hogi. Jaan gaye hongi ki ladke ki atchi pahuch hai. Gaanv ka maamla hai aur Arjun mukhiya bhi toh bana hai jaisa Mini ne bataya. Jeenu, situation samjha kar tu bhi.", Sakshi jaane ab isme kya faayeda dekh rahi thi lekin Minakshi ke liye uske dil me kuch galat nahi tha aur na Jeenat ke.
.
.
Ye jagah toh sachmuch aisi thi ki jaise koyi aur he duniya ho. Arjun ko yaha tak pahuchne me he ek ghante se upar lag gaya tha aur jab wo is nirjan jagah pahucha toh thik wahi nadi idhar se bhi gujarti thi jo kaali haweli ke peeche thi. Bahar ki laal eent se bani diwar toh jyada purani nahi thi lekin jaise he usne bhitar kadam rakha 2 purane khandhar si imaarat jinka bahar wala hissa bas aangan jaisa tha aur jagah jagah peepal aur neem aadi ke virksh. Kahi kahi kache kund se uthta dhooni ka dhuan aur vriksho par bandhi gol matkiyan. Yaha nadi wali taraf toh diwar he nahi thi. Abhi wo ye sab dekh he raha tha ki 2 desi shwaan buri tarah se bhonkte uski taraf lapke aur unki ugrata dekh Arjun ke kadam swayam he pravesh karne wale khule dwar se peeche ho gaye. Kaale rang ke wo don he kutte jaise junglee he the lekin gale me unke jo dhaga bandha tha matlab unka bhi koyi maalik jarur tha.
"Tum kahi ke bhi maalik ho sakte ho par is sthaan par pravesh karne se pehle parichaya dena anivarya hai. Shaant.", Hath me saaf paani se bhara kamandal liye ye majboot jism aur ghani daadhi-jataaon wale sadhu ke prakat hote he dono shwaan ek taraf hatt gaye aur Arjun ne bhi sar jhuka kar hath jodd diye.
"Main koyi jagirdar ya rajwade ka maalik nahi baba. Bhatka hua musafir ho jiski adrishya manzil in sadharan najro se wo dekh nahi pa rahi.", Arjun ke samkaksh he kadd tha unka lekin jism kuch jyada chauda aur eksar bhara hua. Aise insaan ki umar ka he kya andaja lagana jo khud iska chaahvan na ho. Arjun ke chehre ko dekhne ke baad inhone bhitar aane ka rasta de diya.
"Jab koyi chahat ya maksad ho, toh har ohda tyaagna he padta hai. Bhatke hue toh nahi ho musafir. Is manzil par aksar hawa ke siwa koyi nahi aata. Bagal waale ghaat par jarur logo jiwan poora karke nayi manzil ki aas me jism swaha karwate hai, apno se ya anjaan se. Lo jal grehan karo aur apne joote yahi utaar do.", Arjun ne waisa he kiya aur bina suraksha wali jagah aise he un mehnge joote ki jodi utarne ke baad hath dhote hue chulu se wo nirmal jal grehan kiya. Dono kutte ab jaise Arjun se koyi vasta nahi rakhte the jo daud lagate hue aage ghane jungle ki taraf khelte hue vileen ho gaye. Ye saadhu baba Arjun ke sath he us taraf badh rahe the jaha wo bada sa khandahar jaisa khula hall tha. Idhar bhi gili mitti aur vriksh ke niche kuch kutte araam se so rahe the jinhe kisi ki parwaah nahi thi.
"Prayojan nahi bataya tumne musafir?", Aangan me bina he darwaje ka bas ek he bada kamra tha jidhar padmasan ki mudra me jo insaan baitha tha uski daadhi tak me jataon jaisi gaanthe thi aur lambai farsh tak. Kesh itne lambe ki jameen par faile hue bhi utne he lambe jitne sar se jameen tak. Jism par vastra ke naam par bhabhuti he lipti thi aur jannanang ke upar safed kopin.
"Tantrik Vajranand ji se milna tha baba."
"Hahaha... Sachmuch tum galat sthaan par aaye ho baalak. Yaha tantra nahi hote, prabhu bhootnaath ki sadhna hoti hai. Yaha manushya jiwan ke kaale karam apna ratti bhar astitva nahi rakhte aur tum yaha tantrik ki khoj me aaye ho? Ya toh tum nadaan ho baalak ya bewkoof. Dwar udhar hai.", Hath ka ishara udhar he tha jidhar se Arjun yaha tak aaya tha.
"Maaf karna sambodhan galat ho gaya baba. Jis parchhaayi ke peeche bhag raha hu wo dikhta aghori hai lekin bataya tantrik jata hai. Bahot pareshani me hu baba, aap mujhe baba Varjranand ji se milwa dijiye. Agar aap he hain toh ek baar fir kshama chahta hu, mera irada aapke swabhimaan ko thes pahuchane ka nahi tha.", Arjun abhi hath jodd kar ghutne modta jhukne he laga tha ki baba ne usko waisa karne se rok liya. Khandhar ke pichli taraf se 2 aur saadhu sirf kamar par bhagwa lapete hue geele badan idhar chale aaye. Itne he vishaal aur gehre rang ke. Aankhen nahane ki wajah se laal thi ya kaise pata nahi, aur aangan me us garam dhooni ko pranaam karte hue unhone apni jataaon me wo malne ke baad mastak aur baahon par bhi lagaai.
"Ye baalak kaun hai Jiva? Guru ji abhi saadhna me hai aur tum isko unki dehleej par le aaye?", Ye saadhu jaise pehle wale se anubhav aur shiksha me upar tha, aise he toh sthaan badhta hai inke jiwan-sangat me.
"Guru ji ne he kaha tha ke mehamaan aaya hai usko aangan me le aaya jaaye. Prashn ka jawaab mile aur kohil-mohil se ye na dare toh wo milna chahenge is se.", Ab Arjun hairaan tha ke ye vyakti jo bhitar baitha tha saadhna me usne Arjun ko darwaje par aane se he pehle bhaanp liya tha. Aur aankhen abhi bhi band thi, dono hath ghutno par dhyaan mudra me failaye.
"Hmmm.. Vishesh ho tum bacha. Kapileshwar aagantuko ka abhyast nahi hai aur hain toh sabhi iske jaise lekin isko panchiyon ki awaaje aur jungle ka sangit sunn na pasand hai. Tumhari wajah se ye nadi se shighra bahar aa gaya. Aao bhitar, prabhu charno me baith kar charcha karte hai.", Teesre saadhu maharaaj, dhooni ke bhitar se wo jalta bada angara chimte se khoj kar uthate hue ek chote chokor patthar par rakhne ke baad us par kuch sookhe lakdi ke burade ko daalne ke sath Arjun se bhi baat kar rahe the. Palbhar me he ek alag si mehak bhar uthi thi is mahol me. Dimag aur dil ko sukoon dene wali alag si meethi mehak.
"Maaf karna baba aapko mere aane se vyavdhan hua. Aur aapne prabhu charno me nimantrit kiya uske liye dhanyavaad lekin main waha jaane me asamarth hu.", Arjun dwara mana kiye jaane se ab ye teesre wale ki bhi bhrukuti khinch gayi thi. Ek Aghori ko jaise ye sabse nagawaar lagta tha jab unki he jagah koyi aane ke baad unka aamantran aswikaar kar de. Arjun ke liye he toh unhone waha ki dhooni ke mehak ko khatam karke ye sugandh bhari thi.
"Ye aisa he hai Taaraknath, humko he bahar bula liya isne aur mehmaan ki baat kabhi kabhi maan leni chahiye. Toh kahiye jajmaan, ye boodha tantrik Vajranand aapke liye kya kar sakta hai?", Arjun toh in guru ji ko dekh kar hairat se aankhen upar uthaye kuch pal jadd he ho gaya. Ye toh itne lambe the ki Arjun ko najre utha kar dekhna padd raha tha. Sharir utna bhaari nahi tha lekin majboot aur wo jatayen 7 feet unchaai se bhi kache fars par aadha feet bichi hui thi. Aur unki sunn ne ki kshamta itni adhik hogi wo bhi itni jyada umar me, ye toh Arjun ki soch se bhi pare tha.
"Aasan lagaaye guru ji?", Jiva ne hath jodd kar inse jaan na chaha toh baba ne hath utha kar muskurate hue mana kar diya.
"Aap yaha baith kar bhi utni dur ki awaaj sunn pa rahe the baba? Aur aapko kaise pata ki main aapki dehleej par aaya hu aur iski koyi thos wajah hogi? Jaise mere andar kamre me aane se mana karne ka bhi aapko pata chal gaya?", Arjun ki baat sunte hue wo 2 kadam duri par he us peepal ke vriksh ki chhaya me bane chabutare par he baith gaye. Baaki teeno toh ye dekh kar wahi kache par he aasan laga baithe. Arjun ko ishare se apni bagal me bula kar baithate hue unhone jo jawaab diya tha wo uske sabhi sawalon se alag tha.
"Barso pehle tum jaisa he koyi musafir aaya tha, jo khud ko wajir bata raha tha. Ek hath se jyada lambi talwar liye parantu sawaal chehre par wahi the jinke samadhan ki talaash me tum yaha aa pahuche. Sanyog toh nahi ho sakta isliye vidhata ki marji maan lete hai. Tum naram ho, isliye sammaan ke haqdar bhi. Wo hatthi tha aur sakht bhi, jaise durghatna se charitra he badal gaya ho. Isliye toh tumhe aana pada beta, sakht aksar asafal rehte hai. Wo adrishya vaayu, akaarheen jal, sajeev agni aur bhoomi ki vivdhta ka gyaan kho chuka tha aur ek-matra tatva ke sath paryaye hal nahi hote bas samay nikal sakta hai. Behtar insaan halaat se ghirne ke baad simit ho jata hai lekin tum kiske shishya ho jo sanyamti bhi ho aur haavi bhi? Hume kisi ne aise bahar aane par vivash nahi kiya.", Aise insaan ko insaan toh kaha bhi nahi ja sakta tha jisko dekhne maatra se sadharan insaan kaanp uthe lekin muskurahat itni vinamra jaise tesu ka phool khili roshni me.
"Maa.. wo nirakaar hai, uchit shiksha aur thehrav liya antarman vaayu se kahi adhik adrishya jiska ehsaas vaayu ki tarah turant nahi ho jata, agni se adhik sajeev hai vachan jo bahri prakrti par nirbhar nahi rehte aur unme bandha vyakti isko vansh dar vansh jiwat rakh sakta hai. Bhoomi se vividh hai charitra, jo har paridrishya se bhinn dikhta hai parantu hota bhoomi ki tarah sthir he hai. Jo aapke sammukh aaye the wo vyathit the aur maansik dwand majboot insaan ko bhi samajhdari se prithak kar sakta hai.", Arjun ne guru ka bhi varnan waise he diya jaise in baba ke sawaal the. Paas he tangi matki ko utha kar unhone usme bhara jal tabtak peeya jabtak wo samapt na ho gaya.
"Uttam.. Toh Bhootnath ki bhoomi par aa sakte ho lekin unke sammukh nahi? Kaho kis tantrik se vyathit ho kar yaha pachuche ho?", Ye saaf spasht sawaal tha aur yahi bahot tha inki dur-drishti samjhane ke liye.
"Sidheshwar aur Kalpatru. Kaun the ye log? Aghori- taantrik ya shaitaan?", In 2 naamo ko sunn kar toh saamne baithe teen saadhuon me se 2 ek dusre ko hairat se dekhne lage. Arjun ke mukh se in naamo ki unhe koyi aasha na thi.
"The? Wo aaj bhi hai lekin aghori keh kar ye ghor dard hume matt do beta. Tapovan me hritu, prakriti, paristhiti se pare aur insaan ki laalsao ko tyaag kar us Bhole Bhootnath ki sharan me rehne wale aghor dusht nahi hote. Krodhit aur ugra ho sakte hai, yadakada astra uthane ki bhi chook bhi ho jaati lekin amavasya ki ratri me bhi japp bholenath ke siwa kisi ka nahi karte. Sidheshwar na insaan hai na aghor, ek andh saadhak aur upasak hai us kaali shakti ka jiska astitva hamare jehan me toh nahi hai. Kahi ye ishara toh nahi kisi takraav ka?"
"Thik kehte hai aap baba, wo log pishaach aur haivaan tak ko sharminda kar chuke hai aur karte bhi honge. 1947 ke aaspas 57 akshat baalikaon ki asmat lene ke baad sabko maar diya usne aur uske 4 shishyo ne jisme se ek Kalpatru bhi tha. 55 ke toh shav dur, jism ka hissa tak nahi mila. Isme kuch bade log bhi shamil the aur mujhe yakeen hai ki aisa kuch abhi bhi chal raha hai lekin pata nahi jyada is baare me. Haan us haweli me haadse ki jagah dekhne ke baad main un awaajon ko aise sunn sakta hai jaise main bas wahi baitha hu. Sidheshwar ko uchit dand dene ke sath sath main un sabhi ko mukt karna chahta hu lekin koyi sambhavna he nahi dikh rahi. Ye kaisa anushthaan raha hoga baba jisme masoom bachiyon ki .. ", Arjun aage bol tak na saka aur uski haalat dekhte hue in baba ne uske sar par hath rakhte hue apne shishya se sawaal kiya.
"Taaraknath, kaisa anushthaan hai ye jisme itna vibhats kritya anjaam diya jata hai?"
"Sehasra-Vipaash garbh anushthaan gurudev. 99 akshat komarya jo taruni se adhik na ho, unhe anushthaan sthal ke garbh grah me dushit karne ke pashchaat bhoomi aur jal ki sandhi me vileen kar diya jata hai, jaise paani me namak. Is aayojak swayam tantrik nahi ho sakta gurudev parantu baalak ne sankhya uchit bataai hai. Ek pramukh aur kaaljayi tantra vidhya ka gyata he isko anjaam de sakta hai jisme 4 anya tantrik kriya karte hai, arthart dushkarm. Baalak ne sankhya galat bataai hai, 57 sahi yog nahi hai. 49 aur 50 par aayojak ko apne rakt se utpann taruni arthaart apni beti ya pautiyon ko akshat komarya aur bali me bhent karna padta hai. 99 se pehle ye kram jode me rehta hai aur 99 ke sath is se bhi vishipt aahuti di jaati hai, garbhvati stree ki. Is tarah se ganana 101 ho jaati hai. Aisa dusht kritya hamare sangyaan me toh koyi bhi vyakti karne me samarth nahi ho sakta parantu Sidheshwar is anushthaan ki purti ke liye 60 se jyada baras se bhatak raha hai jitni charcha humne suni hai. Kaha jata hai ki ek samay wo isko purn karne ke kareeb he tha parantu vighna padne ke sath uske 3 sahayak bhi naraklok padhaar gaye. Itni sankhya me 10-15 baras ki kanyaye toh sirf koyi raaj-pariwar he juta sakta hai parantu aisa kukarm toh wo bhi karne se pehle hajaar baar vichar karenge aur fir bhi swikar nahi karenge. Hume is baalak ki baat par yakeen hai ki aisa hua hoga aur ye wahi ghatna bhi hai jiski charcha kumbh me Naga Gunn-naath ne ki thi. Wo bhi Sidheshwar se bhidd chuke hai purv me aur uska ghaav aaj tak unke jism par ek hath ki gair-maujdgi ke roop me hai. Wo shaitan, pischaach ya tantrki ke paribhasha se bhi badh kar hai. Ye baalak saamna nahi kar sakta us haivaan ka gurudev.", Arjun ke sath Jiwanath aur Kapileshwar tak hairaan the. Arjun toh apni he 2 bachhiyon ko sammilit karne wali baat sunn kar sadme jaisi sthiti me pahuch chuka tha.
"Aur iska prayojan Taaraknath? Vishwa me is se ghinona kritya asambhav hai parantu aisa hai toh karne ke peeche mansha kya rehti hai is anushthaan ki? Ye prashn hamare musafir ka hai, hamara nahi.", Ab Arjun jaise hosh me lauta jab peeth par thapki padi.
"Ji. Aisa karne ki kya wajah ho sakti hai baba?"
"Ye pramanit nahi hai prantu jo wajah bataai jaati hai us hisaab se aayojak apne vansh aur us se bahar sehsra garbh-daan karne me samarth ho jata hai, sabhi maujood purush evam unki nar santano ko kaal-garbh bhej kar. Chahe wo putra ho ya pautra. Spasht shabdo me kahu toh kaamdev ka ek gehra swaroop jiski chhaya me aani wali har taruni, tanuja, praagadh mahila aur yaha tak ki banjh bhi is vyakti ke samipya me swayam ko aamantrit kar leti hai. Insaaniyat toh anushthaan me he bhoo-tal se niche reh jaati hai parantu anushthaan purn hone ke baad vikrit maansikta ka aisa aayojak har naari ko chahe wo swayam ke rakt se utpann santaan ho ya anya, sabhi me apne ansh ko ropit kar deta hai. Is se kahi badhkar prayojan rehta hai is ghrinit anushthan ki siddhi karne wale tantrik ka, 99 akshat bhog aur antim sansarg ek garbhvati ke sath karne ke baad uski bali de kar wo kaaljayi hone ki prapti ka maarg maanta hai. Aparajaye aur amaratva ke samaan. Humne pehle he bataya hai ki iska pramaan nahi hai aur aise amaratva se toh mrityu behtar. Siddheshwar 80 varsh ka ek maansik roop se vishipt haivaan he hai jiska kukarmiyon ke beech prabhu-tulya sammaan hai. Kshama bholenath. Ek prachalit vritaant hai is tantrik ke baare me. Paanv ki thokar martra se is baalak se adhik samarth yogi ka meru jism se bahar nikaal diya tha. Anushthaan satya se pare hai parantu uski maansik aur jismani taaqat ki koyi ikaai nahi hai. Apni kaali duniya se wo jab jab samaaj me lauta hai, suraksha ghere aur pehle se adhik vehshi bann kar aaya hai. 4 baras pehle hum aashram se bahar nikle the us samay gyaat hua tha ki wo Sujaangarh me ekaant akhada lagaaye hai pichle 6-7 baras se. Kalpatru uska varnak hai jo duniya ki har khabar apne is haivaan-guru tak pahuchata hai. Filhaal wo bhi marusthal me kahi daba hoga, ratrichar din me nahi nikalte aur jab nikalte hai toh niyamo se khel kar bhumi par lahu bikher kar he wapis laut-te hai. Agar aisa anushthaan hone bhi ja raha hai toh filhaal 48 kishoriya ekatrit karni hongi unhe, vartmaan me ye naumkin he hai.", Taaraknath ko jiwandarshan ka khasa anubhav tha aur ye baat unke sath pehli bhent me he Arjun samajh chuka tha jab unhone krodhit hone ki jagah uska swagat he kiya tha. Aur Arjun is khulase se ab Bhupendra Singh aur Juglal ji ko Siddheshwar se bhi bade pishach ke roop me dekh raha tha. Matlab jo shadyantra me ladd-bhidd kar apni jaan ganwa gaye the ya dur hue, wo khud mohre the in 2 kukarmiyon ke.
"Prabhu bholenath in durachariyon ko apne samipya me bulaye aur behtar saja de. Taaraknath-Kapileshwar, jism se dhooni tyaag kar aao. Shastrarth gyaan bahut hua, ab sharirik bal ka gyaan darshane ka samay hai. Prajwalit surya evam mamtamayi bhoomi ke sehan me hamare is naram musafir ko bhi gyaan ke baad is abhyaas ki atyadhik aavashyakta hai. Jiwa, angvastra do hamare mehmaan ko. Sharir nirmal karne ke paschat ye isko dhaaran karke apne samarthya ko saabit kare ki hum iska margdarshan karke bhool toh nahi kar rahe.", Taaraknath ke chehre par asmanjas ke bhaav the wahi Kapileshwar jaise ugra swabhav ki wajah se isme dilchaspi le rahe the. Arjun gyaan ki khoj me aa toh gaya tha par itne vishaal aur anubhavi 2-2 aghoriyon ke sath mukable se sandeh me tha. Jiwa baba swayam he Arjun ko sath liye nadi ki aur chal diye. Gurudev apne sthaan par he baithe hue ab dusri haandi se bhojan nikaal kar in aadha darjan shwano ki bhukh shant karte hue prabhu naam kaa jaap karne me vyast.
.
.
"Dopehar ke 2 bajne wale hai bahu aur ye Arjun abhi tak nahi lauta. Kuch bata kar gaya tha kya kaha ja raha hai? Damini ke bukhar aaya hua hai, ab ulte seedhe samay nahati rahegi toh ye toh hona he tha.", Devaki ji abhi Meena se rasoi ka kaam karwane ke baad Anamika ke kamre me dakhil hui thi. Anamika khana banane ke baad snaanghar se naha kar vastra pehan kar apne bete ko dudh he pilane lagi thi aur saas ki sawaal jawaab par thoda soch me padd gayi.
"Shehar me college ka kuch kaam bataya tha Arjun ne aur ye baat toh pitaji ko bataai thi maa ji isliye mujhe itna he pata hai. Badi didi ki main maalish kar deti hu, baabu ko doodh pilane ke baad. Araam milega bukhar dard me.", Anamika ne ye baat apne se he kahi thi jabki Arjun ne toh bas yahi kaha tha ki wo jaldi laut aayega shehar se. Aur college ka jikar usne kal shaam ko kiya tha jab dono ne ratri-bhojan sath kiya tha. Damini jaise taise savere Arjun dwara di dawa khaane ke baad apne kamre me aayi thi lekin uske baad usne apni maa se bhi baat nahi ki thi. Aanchal ko bhi Arjun samjha kar gaya tha ke wo apni maa ke sameep he rahe jitna ho sake. Devaki ko sahi lachaar kiya tha aisa karke.
"Maalish toh main he kar deti hu, tum jara Aanchal bitiya ke sath Arjun ka kamra vyavasthit kar do. Badi jiji ne kaha bhi tha ke ye ladka bada bedhyana hai kamre me har cheej vyavasthit rakhne ke maamle me. Meena se maine isliye nahi kaha ke waha uska koyi mulyavaan samaan bhi ho sakta hai aur wo doordarshan wali machine bhi lagi hai jiski taar hilne se inten (internet) nahi aata.", Devaki ki is chaal ke aage Anamika ab bebas ho gayi thi aur jubaan se toh usne aajtak kabhi kisi kaam ko naa nahi kaha tha.
"Main he kar deti hu maa ji, Aanchal ko didi ke paas he rehne dijiye. Garmi me wo bewajah pareshan hogi."
"Ghar ke kaam sasural me bhi karne padenge usko, chahe garmi ho ya megh barse. Dekh rahi hu tu is ladke ke aane ke baad kuch jyada he jawaab dene lagi hai. Jaisa kaha jaaye waisa hona chahiye. Gaanv ka mukhiya banaya hoga in budho ne usko, yaha ki mukhiya main hu. Savere jata hua bol gaya ki tujhe sone du, pareshan na karu. Kal ka paida hua ladka hukum chalane laga hai wo bhi tere liye aur mere khasam ke saamne. Aayi baat samajh me?", Anamika ka toh chehra he utar gaya tha ye sunn kar lekin ab ek aur awaaj sunaai di jiski wajah se Devaki ko jaise saanp he sungh gaya.
"Meri biwi se jubaan sambhal ke baat kiya karo maa. Aurat hai wo koyi bhed-bakri nahi ki bajaar se kharid ke le aaye aur ab jabtak dudharu hai khoon chooste raho aur nakara ho gayi toh katwa di kasaai se. Baabu raatbhar sone nahi dega toh 2 ghadi araam bhi nahi kar sakti ye? Anamika, mere kapde nikaal do jara wo meeting wale. Maa, ab is bache ko toh sambhal sakti ho thodi der ya ye doodh pilati hui mere kaam kare?", Vinod ke tewar dekh kar toh Devaki dang he reh gayi. Wo jis tarah aangan se kamre tak khari khoti sunata kamre me dakhil hua tha Devaki se toh jawaab dete na bana lekin laadla tha wo aur aisa akele me bol leta tha apni maa se par aaj wo biwi ke saamne suna raha tha usko.
"La de isko mujhe aur kar de is raja ko tayaar. Thoda araam se bol liya kar mujhse, maa hu main teri.", Bacha lene wo aage badhi toh ye bhi Devaki se Aanchal ne he le liya.
"Rehne do naani, isko pyaare baby ko main khila leti hu. Abhi sone wala nahi ye.. Chalo Arjun bhaiya ke kamre me gaane sunte hue khelte hai Nikku baabu.", Devaki aur Vinod ko ye atcha laga jis tarah se Aanchal ne Niketan ko itne prem se goad me lete hue uske gaal ungli se sehlaye aur wo mama ko namastey karti hui chali gayi. Anamika toh waise bhi parda karke he stannpaan karwa rahi thi. Vastra thik karke wo Vinod ko uske bataye kapde nikaal kar dene lagi thi.
"Thik hai tum karo apna kaam, main Damini ke paas baithi hu. Kahi jaruri jana ho toh bahu aur bete ko bhi sath le jana."
"Damini ke paas jija hai, bukhar ka bataya tha maine isliye chale aaye mere sath. Udhar ghar pe pakki kaamwali lagwa di hai Damini ke liye aur wo leke he ja rahe hai usko, mere sath.", Ye toh Vinod ne aakhiri keel thok di thi Devaki ki ummeed ke taboot par aur uske Damini sang samay bitane ki aas pe.
"Yahi toh zindagi hai meri, sabko bas apne apne sukh ki chinta hai. Kaha se banau fir jiji ke waha jaisa sansar? Kareeb raho kabhi aur sukh-dukh pcho toh ye budhiya kuch chain me rahe."
"Oh maa, taai ki barabri karne ki jagah bas 2 bol pyaar ke sabse bol lo toh ek ki jagah 10 hath na khade rahe tumhare paas? Tumhare sath toh hamesha se papa rahe lekin jab unko he nahi samjha tumne toh humse kya shikayat? Taai ke sath toh tauji bhi na the jabki idhar toh mere hone tak dada-daadi tak sath the lekin itne log bhi haweli me 2 sukoon se bhare pyaare kamre na bana sake. Aur ek kamre se safar shuru karne wali akeli taai ne aaj bhara-poora pariwar aur is gaanv se 50 guna bada shehar apne sukh-dukh ka sathi bana liya. Unko sirf dena aata hai chahe pyaar ho ya shiksha, liya hai toh sabka dukh aur Roshni saboot hai iska. Ab kaha gaya aapka Netram bhai aur wo jo mara gaya uski toh aapne is ghar me khabar tak na di. Bhai ne toh behan ko bataya hoga na ke Pooran nahi raha? Wo insaan jo apne kamre me abhi abhi aaya hai usko paani na pooch lena aap. Papa kuch nahi kehte iska matlab aap unka haalchal bhi nahi logi?", Vinod ke khamosh hote he Devaki paanv patakti hui kamre se nikal kar udhar he chali gayi jaha Krishneshwar ji aane ke baad ab saans le rahe the. Aaj Devaki ki aankhon me aansu the jinme gussa aur naummedi badi wajah thi. Swayam Krishneshwar ji ne he matke se thanda paani apni biwi ki taraf badhaya jisko ek saans me peene ke baad wo mooh dhak kar wahi kursi par palthi maar baith gayi.
"Jubaan ladana sarasar galat hai aur Vinod hamesha se aisa he toh hai Devaki. Phir aaj tumhe itni peeda kyun ho rahi?"
"Arre peeda na hogi toh fir kya hoga? Aap toh umarbhar nandlal bane rahe aur inke khoon me maine he garmi bhari thi lekin aaj ye mujhpe nikaal raha hai. Isliye isko maine duniya ka saamna karna sikhaya tha?", Devaki aansu saaf karti hui buri tarah aahat swar me bol rahi thi lekin Krishneshwar ke chehre par wahi saralta.
"Duniya ka saamna tej awaaj bolne se nahi hota jitna humne dekha baaki tumne 2 logo se jiwan ke udaharan liye aur unhi dono ke nakratmak pehluo ko mishran grehan kar liya. Haan Chandro devi ji aur badi bhabhi ke maamle me ghamand swabhimaan me badal jata hai. Aur unhe saahsi kaha jata hai dussahasi nahi. Tumne toh kuch nahi khoya Devaki lekin unhone bahot kuch khone ke bawjood apne pariwar ko har paristhti se nikal kar majboot kiya. Wo tej nahi bolti hain kabhi, unke gunn bolte hai. Vinod ne kya galat kaha? Ek thooth se kamre unhone apna grehasth jiwan shuru kiya tha aur rani tak unke naam ke sath ji laga ka sambodhit karti hai. Tumhe toh pita ji ye haweli aur poora gaanv de kar gaye the, isko bhi bade bhaiya sambhalte rahe aur aaj umar hone par unhone us ghar ka sabse mulyavaan sadasya yaha bhej diya. Tum shikayat tab kar sakti thi jab Vinod laayak hota aur bhaiya uski andekhi karte hai. Aaj pehli baar laga hai ki Vinod koshish kar raha hai aur sahi sangat me raha toh ek din wo jarur tumhara hamara naam samaaj me lene laayak banayega. Beti ja rahi hai aur damaad ke sath uska shagun karna jaruri hai.", Uthte hue unhone apne kurte ki jeb se 500-500 ke 2 note nikalne ke sath ek ek ke sikke bhi Devaki ki taraf badha diye. Devaki majboot aurat thi jo baat ko yahi khatam karti uth khadi hui.
"Aanchal na ja rahi wapis?"
"Naati hai hamari aur uske avkaash hai abhi. Tabhi toh kitabe kapde laayi thi yaha aur Arjun padha raha hai jo wo center par padhti thi. Bachi pehli baar toh sahi se nana naani ke ghar rehne ke liye aayi. Chalo, thaali tayaar karo itne main damaad ji se mil leta hu.", Devaki ko toh dur dur tak ye aashanka nahi thi ki is haweli ko swayam Arjun ne sudharne ka theka utha liya. Aaj jo bhi Devaki ke sath hua tha aur hone wala tha sabki wajah Arjun he tha. Wo Devaki ko uske he mohro se gher raha tha aur Roshni ke ghar bhejne ke peeche bhi sunishchit roop se uska he hath tha. Mukhya pariksha se purv wo apni kaksha se 2 kaksha aage ki tayaari karke rehne wala yuwak inke samajh nahi aane wala tha.