Update - 174
Aur main waha se seedha us room me nikal gaya jaha bahadur tha....S bhi mere piche-2 chala aaya....
Main- mujhe ....mujhe jaroori baat karni hai...bahadur...mujhe aapse baat karni hai...
Bahadur- ji chote malik...boliye...kya baat karni hai...
Main- mujhe sab kuch janna hai...mere dadaji aur pure pariwar ke baare me...wo kaha rahte hai...??
Bahdur ne ek najar apne saamne baithe saksh par daali aur fir ek najar mere aadmi par daali...
Main- aap inke saamne khul kar baat kar sakte ho...ab batao...jo bhi aap jante ho..
Bahadur- ji...batata hu.....
Fir main us room me baithe logo ke sath kareeb 1hr baat karta raha aur fir apne aadmi ke sath bahar nikal aaya...
Jab hum car ke paas pahuche to S ne mere kandhe par hath rakh kar bola...
S- tention mat lo beta...jo humne socha hai wahi hoga...
Main- hmm...par ab aur der nhi karna chahta...mujhe jald se jald ye sab niptana hai ...nhi to kuch bura na...
S(beech me)- nhi...bura to unke sath hoga jinhone teri jindgi kharab karne ki sochi hai. .tu tention mat le...
Main- hmm...waise dad 2 din me aa hi jayge...to unse kamini ke baare me baat kar hi luga...wo file ghar me hi hai jisme kamini ke naam ke share hai...puchna to padega hi...
S- ye to pahle bhi pooch sakte the na..
Main- haa..par socha ki aamne -saamne baat karu. .kya pata ki sach kya hai aur kitna bada hai...
S- hmm...to 2 din aur ruk jao...
Main- haa...aur aap kisi ko bahadur ke ghar pahucha do....mujhe pata karna hai ki kya koi bahadur ke piche bhi hai ki nhi. .
S- bilkul...waise abhi kya karna hai...
Main- abhi...apni maa ke diye huye saamaan ko dekhna hai..jo rajni aunty ne diye....
S- hmm..rajni ne jo bataya us par bharosha hai...??
Main- ha..pura ..
S- to renu se baat karoge...??
Main- abhi nhi...par karuga jaroor...abhi to apni maa ki nishani dekhni hai bas...aaj mujhe kuch to pata chal hi jayga apni maa ke baare me...
S- hmm...tumhari maa bahut acchi thi...i mean bahut acchi rahi hogi...
Main- aap ne kaise kah diya...??
S(mere sir par hath fer kar)- kyoki maa to acchi hi hoti hai...aur fir jiska beta itna pyara ho...uski maa to...pucho hi mat..
Maine S ki aankho ko nam hote dekha..aaj pahli baar mujhe wo banda imotional hote huye dikha...
Par maine usse wajah puchna sahi nhi samjha aur waha se ghar nikal aaya.....
Ghar aate hi maine dekha ki rajni aunty hall me baithi savita se baate kar rahi thi...
Main- aunty ....aap yaha...
Rajni- are....tum aa gaye...
Main- ha...par aap kaise...koi kaam tha to call kar deti...
Rajni- ha..thoda kaam to hai...par phon se hone wala kaam nhi hai...
Main- ohk...to kahiye...
Aur main aunty ke baju me ja kar baith gaya...
Rajni- pahle thoda rest to kar le ...batati hu...are savita...ek coffy to le aa iske liye...
Aunty ne coffy ke bahane savita ki waha se bhaga diya aur dheere se boli...
Rajni- tujhe teri maa se milane aai hu...
Main- kya matlab...??
Rajni- tune abhi wo saamaan dekha...??
Main- nhi to...
Rajni- hmm..chal tujhe dikhti hu ki teri maa ne kya diya tha tujhe...tujhe bahut kuch batana bhi to hai na...
Main- ohh...theek hai...chalye fir...
Rajni- coffy to pi le...
Main- ok...
Fir maine coffy khatm ki aur aunty ko le kar room me aa gaya....
Room me aate hi maine saamaan dekhna suru kiya....
Usme mujhe ek album, ek jwellery box , aur kuch khat(letter) mile....
Fir maine dusra bag, jo ki bada tha, wo khola to usme mujhe kapde rakhe huye mile...
Main kuch samjh pata usse pahle hi aunty boli...
Rajni- beta...dekh kar hairaan mat ho...ek-ek karke har saamaan ke baare me bataugi...dont worry...
Main- par aunty ...ye sab..kis liye...
Rajni- ye teri maa ka pyaar hai tere liye....
Fir aunty ne mujhe ek-ek saamaan ke baare me batana suru kiya ....
Jwellery box me wo jwellery thi jo baccho ke liye khareedi jati hai...
Jo kapde rakhe huye the...wo aunty ne hi meri maa ke kahne par khareed kar rakhe huye the ...
Aunty ne bataya ki tere 18 birth day ke liye ye kapde teri maa ne decide kiye the....
Main aunty ki kahi har ek baat se khush bhi ho raha tha aur rona bhi aa raha tha...
Main soch raha tha ki kya meri maa ko apni mout ka pahle se aabhash ho gaya tha jo unhone apna pyaar is tarah se rakhne ko kaha...
Par abhi ye sochne ka koi time nhi tha...abhi to main apni maa ke pyaar ko dekhte huye unki moujoodgi ka anubhav kar raha tha....
Fir baari aai letters ki...aunty ne kaha ki ye letters unhone likhe....par kewal likhabat unki hai...sabd tumhari maa ke dil se nikle huye hai...
Maine ek-ek karke saare letters padh daale...aur unhe padhte huye meri aankho se barabar aansu tapkte rahe...
Har ek letter me meri maa ne apna pyaar mujh par barsha diya tha....
Letters ko padh kar mujhe pahli baar ye laga ki maine kya khoya hai...aisa nhi tha ki mujhe maa ki kami mahsoos nhi hui....par ab lag raha tha ki maine jindgi ki sabse pyaari khushi kho di hai...ye khushi wohi samjh sakte hai jinki maa hoti hai...
Letters padhte huye maine 17 letters padh daale...ab sirf aakhiri letter baki tha...jis par likha tha ki ye bahut khaas hai...
Jab maine wo letter uthaya to aunty bol uthi...
Aunty - beta...ye khas letter hai...isme wo baate likhi hai jo tumhari maa tumhe bada hone par hi batane wali thi....
Main(rote huye)- aisa kya hai isme aunty...??
Aunty - ye tumhe hi padhna hai...fir sochna ki ye baate tumhare liye kitni khas hai....
Aunty mujhe samjha hi rahi thi ki unka call aa gaya....phon par baat karne ke baad aunty boli....
Rajni- ab mujhe jana hoga beta...tumhare uncle ko kuch kaam hai...
Main(aankhe saaf kar ke )- chaliye...main aapko drop kar deta hu...
Rajni- nhi beta...tum abhi rest karo...main chali jaugi...
Aur aunty mujhe rest karne ka bolkar ghar nikal gai....
Aunty ke jaane ke baad ..main apni maa ko yaad karte huye let gaya aur sapno ki duniya me nikal gaya.....
--------------------------------------------------------------
Secret house par......
Mera aadmi kisi saksh ke sath baitha hua tha....wo saksh gahri soch me lag raha tha....
S- kya hua....kya soch rahe ho...
Aadmi- kuch nhi...bas kuch yaad aa gaya....
S(peg banate huye)- accha....hard loge ya soft ...
Aadmi- nhi...maine kafi pahle chhod di...
S- kamaal hai...tumne drink karna chhod diya...kyo....??
Aadmi- tum jante ho kyo...yaad hai na...use ye pasand nhi tha....
S- hmm...par ab suru kar do...ye jaroori hai ab...aur iski wajah tum bhi jante ho...
Aadmi- hmm..to banao....
Fir S ne peg banaye aur dono ne jaam takra kar pina suru kar diya....
Aadmi(peg khatm kar ke)- aahh...bahut ajeeb hai...
S- hmm...kafi time baad li na...isliye...
Aadmi- waise ek baat puchu....tumne mujhse ye sab kyo chipaya...mujhe bata dete to ab tak....
S(beech me)- ab tak kya....tumhara gussa sab gadbad kar deta....
Aadmi- accha....par ankit to safe rahta....
S- wo ab bhi safe hai...aur ha...wo thande dimaag se kaam leta hai...sab aaram se kar dega...
Aur isi beech fir se peg ban gaya aur dono ne peg khatm bhi kar diya....
Aadmi- to...tumne ankit ko bataya ki tum ho koun aur uske sath kyo ho...hmm..
S- nhi...abhi nhi....
Aadmi- hmm..use pata chal gaya to wo nafrat karega tumse...pata hai na...
S- nhi...wo nhi karega....wo meri baat sunega...sab teri tarah ghamandi nhi hote jo sirf apni baat ko sach samjhte hai...
Aadmi- accha...main ghamandi...
S- ha..tu ghamandi ...paiso ka rubaab dikhane wala...yaad hai na...khair..chhodo...
Is baat-cheet ke douraan mahol thoda garam sa ho gaya tha...dono hi ek-dusre ko gusse se dekhne lage...par bola koi bhi kuch nhi....
Fir dono apne -apne mind me aaye gusse ko shant karte huye peg lagane lage...aur mahol me shanti chha gai...
==================================
Kamini ke ghar me.......
Ek room me damini aur kamal baithe huye baate kar tahe the...
Damini ne kamal ko sab bata diya ki , kamini ne deepa ka bhoot samjh kar kisi ko sab kuch bata diya hai...aur ab kajal bhi apna mind use kar rahi jai ankit ko fasane ke liye....
Kamal- kya...kajal...wo kya kar legi...pagal hai kya...
Damini- waise kajal apna jaadu jaroor chala degi...main janti hu...
Kamal- par agar ankit ko ya fir aakash ko jara si bhi bhanak lag gai..to pata hai na kya hoga...badla to chhodo...hum raste par aa jayge...
Damini- aisa kuch nhi hoga....
Kamal- accha..chalo maan liya...par agar akash ko kuch pata chala aur usne kajal ko puri kahani suna di to...kahi kajal palat gai to...
Damini- hmm..tab to kamini ke maze hai..par apna kya...aur mera badla...
Kamal- hmm..waise ek idea hai...agar sab theek raha to ankit seedha jail jayga...
Damini- agar aisa hua tab to apna kaam bada easy ho jayga...akash toot jayga...par aisa hoga kaise...
Kamal- idea to hai...par sawaal ye hai ki tum apne maqsad ke liye kis had tak ja sakti ho...
Damini ne kamal ki aankho me dekha aur bade confident se boli...
Damini- tum plan batao...main koi bhi had paar kar jaugi...
Fir kamal ne damini ko plan bataya aur damini ke hontho par katil miskaan fail gai...
Damini(rota hua muh bana kar )- sorry kamini.......aur koi rasta nhi...
Aur fir damini aur kamal ne ek -dusre ko dekha aur thahaka maar kar hasne lage.....
===============================
Ankit ke ghar par.....
Apni maa ke letters padh kar main unke khyaalo me khoya hua kab so gaya ..ye pata hi nhi chala....
Meri maa ne har ek letters me apna pyaar udhel kar rakh diya tha...sath hi sath mujhe jindgi ke sahi raaste bhi dhikhaye the....
Unke har ek letter me jeeven me kaam aane wali imp baate likhi hui thi...jise padh kar mujhe dukh ho raha tha ki agar meri maa hoti to main aisa kabhi na hota....
Main sapno me apni maa ko hi yaad kar raha tha...tabhi mere room ke gate par aahat hui...
Ye parul thi...jo mujhe jagane ke liye aawaz diye ja rahi thi...
Thodi hi der me meri need toot gai aur jab mujhe samjh aaya ki ye parul hai...
To maine saara saamaan ikaththa kar ke coverd me rakha aur apne aap ko theek kar ke gate khol diya...
Gate khulte hi parul mere chehre ko badi gour se dekhne lagi...
Main- are...gudiya...aao-aao..
Parul- bhaiya...aap...
Main- aap kya...are wo main so raha tha...
Parul- so rahe the ya ro rahe the...
Parul ki baat sun kar main chounk gaya...maine to apne aap ko theek kar liya tha ..par ise kaise pata chala...
Main- nn..nhi to..main kyo rone laga...
Parul- bhaiya...main aapki aankhe padh sakti hu...pata nhi kaise...par mujhe saaf najar aa raha hai ki aap ro rahe the...
Main(najre churate huye)- ye tera waham hai...aisa...aisa kuch nhi...
Parul- hmm..to khaiye meri kasam...
Main- kasam...kyo...tu bol na kyo aai thi...
Parul- mujhe jawaab mil gaya...
Main- kya...
Parul- kuch nhi...main aapke liye khana lati hu...aap fresh ho jaiye...
Aur parul bina kuch sune neeche nikal gai...aur main sochne laga ki ise aakhir pata kaise chala...
Fir maine sochna band kiya aur fresh ho kar parul ke sath khana khaya...
Khana khane ke baad maine phon check kiya to usme sonam ke kai misscall aur msg the...
Mujhe yaad aaya ki aaj to mujhe sonam se milna tha ..par ab kya...time to gaya...
Fir maine sonam ko jhootha msg kar diya ki mujhe fever tha to so gaya tha...kal milege..
Sonam ka 10 min baad hi reply aa gaya aur usne kaha ki theek hote hi milna......
Fir maine parul ko sone ka bahana kar ke bhej diya aur maa ka aakhiri letter padhne laga....
Letter :-
Mere pyaare bete....janmdin ki bahut-bahut subhkamnaye....
Mera pyaara baccha...bhagwan tujhe har khushi de...uuuuummmmmhhhh
Beta, aaj tumhari jindagi ka bahut bada din hai...aaj tum bade ho gaye ho...
Mere liye to tum aaj bhi meri god me rahne wale chote se bachhe ho...par duniya ke liye aaj tum sahi maayne me bade ho gaye ho...
Beta..ye samay jindgi ka sabse badlab bhara samay hota hai...aur bada hi naajuk bhi...
Ek taraf bacche ye soch kar khush hote hai ki ab wo bade ho gaye...college me padhege...masti karege...
Aur iski wajah ye hai ki school ki tarah college me pabandhi nhi hoti...waha thodi aazadi hoti hai...
Par beta..ye aazadi sirf dekhne me acchi lagti hai...asal me hum jindgi ka sabse anmol hissa kho chuke hote hai...wo hai humara bachpan...
Khair...ab tum bade ho gaye...pariwar se lekar samaaj ki najron me bhi...
Par bade hone se tumhe aazaadi ke sath-sath jimmedariyan bhi mili hai...
Ab pariwar me tumhari harqaton ko bacche ka bachpana nhi samjha jayga...balki har ek harqat par tumhe koi na koi pratikriya milegi...acchi harqat par acchi aur buri par buri....
Sirf pariwar me hi nhi...ab samaaj me bhi tumhare dwara kiya gaya har kaam ya to tareef karwayga ya buraai...
Ab tum pariwar se le kar samaaj ki baaton me hissedaar ho beta...
Ab tum pariwarik baaton me apni baat rakh sakte ho aur samaaj ko sambhalne wali sarkaar ko bhi chun sakte ho....
Waise to tum mere liye hamesha bacche hi rahoge...par yahi waqt hota hai jab maa-baap baccho ko ek dost ki tarah treat karte hai...
Aaj main bhi tumhe apna dost samjh kar kuch baate batane ja rahi hu...kuch aisi baaten jo tumhe jaanna jaroori hai...
Ye baate meri, tumhare dad ki, humare pariwar ki aur khas kar tumhari jindgi se judi hui khas baate hai...
Beta...sayad tumhe pata chal hi gaya hoga ki meri aur tumhare dad ki love merrige thi...
Jab humari sadi hui to humaare pariwaar me se waha koi bhi nhi tha..sirf tumhare nana ko chhod kar...
Tumhare dadaji is saadi se khush nhi the...kyoki unhone kisi aur ko bachan diya tha ki uski ladki se tumhare dad ki sadi karwayge...
Dusri taraf mere bade bhai ne bhi apne dost ko mere liye pasand kiya hua tha...
Par humari kismat ko kuch aur hi manjoor tha..aur hum sabke khilaaf aa kar ek ho gaye....
Uske baad hum sabse door is sahar me aa gaye...yaha tumhare dad ne din-raat mehnat kar ke ye chota sa ghar aur karobaar khada kiya....
Ab tak tumhe lag raha hoga ki hum sab khusnaseeb hai jo hum khush hai...par ye aadhi sacchai hai...
Sadi ke baad kuch logo ne tumhare dad aur mujhe bahut paresaan karne ki kosis ki...
Par mere kahne par tumhare dad ne kabhi koi palatwaar nhi kiya....bas unhe samjha diya...aur isme humari madad ki tumhare dadaji ke dost ali khan ne....
Khair ..wo log abhi to shant ho gaye...par sayad aage chal kar koi kuch kar na de...isliye tujhe apna khyaal rakhna hoga...kyoki hume chot pahuchane ke liye wo log tumhe hi taarget banane ki sochege....
Aur haa...ab main tujhe ek khas baat batane wali hu...tumhare dad ke baare me ...aur main chahti hu ki ye baat sun kar na hi tum bura feel karna aur na hi apne dad ki tarah banna....
Ye tumhare dad ki aiyaashi wali life ke baare me hai beta....
Beta...ek samay tumhare dad bahut aiyaash the...aur aiyaashi ka ye gun unhe apne pita se mila hua tha...
Tumhare dadaji ki tarah hi tumhare dad ko bhi ladkiyon aur aourton me khas dilchaspi thi...unke kai ladkiyon aur aourton se sambandh the....
Tum soch rahe hoge ki main tumhe ye kyo bata rahi hu...wo isliye ki main chahti hu ki tum is raaste par kabhi mat chalna...
Mujhe hamesha se ye dar raha hai..kyoki tumhari rago me khoon to wahi hai na...
Beta...mujhse milne ke baad tumhare dad to badal gaye par unki aiyaashi ne unke kai dushman bana diye....
Isliye bach kar rahna...is raste kabhi mat chalna...aur duniyawalo ko pyaar se handle karna...
Dusri baat...jo main tumhe batane wali hu...use sunkar shocked mat hona aur puri baat jaane bina koi ray kayam mat karna...
Tumhare dad par apni hi ladli behan, bahnoiyo aur ek aunty ke murder ka daag laga hua hai...aur to aur unka chota bahnoi unka hi khas dost tha...
Main janti hu ki unhone wo sab nhi kiya...par fir bhi wo sabki najron me gunahgaar hai...
Beta...ye baat maine isliye batai ki kahi tumhe kisi se ye sunne ko mile to plz apne dad ko bura mat samjhna...
Tumhare dad haalaat ki wajah se badnaam huye...wo kabhi aisa soch bhi nhi sakte...sach beta...
Ek aur khas baat beta....kahi na kahi is dushmani ki wajah main bhi hu.....agar main tumhare dad ki jindgi me na aati to sayad sab theek hota...
Itna letter padhne ke baad hi meri aankho me aanshu aa gaye par sath hi sath mujhe apni maa par garv hua...
Unhone kitni aasaani se apni baat samjha di...aur apne dil me chipe raaz bhi bata diye...
Lekin main ye soch kar hairaan tha ki agar mom ko dushmano ke baare me pata tha to dad ko bhi hoga....fir dad chup kyo rahe...kya koi majboori thi...
Dusri baat ye ki mom ne apne aapko bhi kahi na kahi is sab ka jimmedaar mana...aakhir kyo...??