Dr. Zeus don't bother with those who do not know how to write a story, leave an excellent story they even can't write a simple story. You are excellent and one of our favorite writers. Excellent story writing is your domain, just keep us overwhelmed and excited every day.
Dr. Zeus भाई update लाजवाब है पर आपने हमे आज फिर बेचैन छोड दिया भाई मन्नु की दिल्ली visit का बेसब्री से इंतजार रहेगा ।
bahut he bahetreen update Dr.Zeus....
superb update
ye jo admi sofia ko kidnap kr ka keh raha tha ye kahi us larke ka baap to nhi jise sofia ne mara tha naam kya tha us larke ka bhool gaya,or jai chand ki sali sach m mar gai h yaa phr ye un logo ka koi drama h,
Awesome updates
Bade bhai bahut bada dhamal hone wala hai delhi me maza ayega aaj update de dena bhai plzzz may be Kanu ki enrty hogi
Wow! Lajawab. Waiting for next update
Superb bro
Toh ab lagta hai jaldi hi Maanu and team ki mulaaqaat Sofia aur uski secretary se hogi par kaise aur kab yeh dekhna rochak hoga.....
Neeta ma'am ke bhai ka achanak unko yaad karna lagta hai daal puri kaali hai
Wese is tarah ke mauq'e ko Jaichand bhunaanaa zaroor pasand karega khair dekhte hain ab aage kya kya hona hai......
Kuch haal Pushpi aur Chintu ke bhi bataiye bro aur Jaichand and family ke bhi.......
Kuch khabar Kanika and family ki bhi dijiye ki itne waqt mein woh log kahan rahe kya kiye etc.....
Aap thik to ho sir?????
Welcome back bhai
Sath main awesome update
Keep posting
Dr. Zeus , we are waiting for today's update
Really me brother story bahut mast hoti jaa rhi hai....manu ki life me to har din nayi musibat or naye challenges aate rehte hai...nita ke bhai ko jarror kuch kaam hoga ya fhir koi jamin ka chakkar hoga khair dekhte hai kya hota hai...or udhar koi aadmi Sofia ko hi kidnap karne me chakkar me hai....ab dekhna hoga kya wo wakayi me Sofia kidnap ho pati hai ya nhi ..or ya fhir hamara hero Sofia ko bacha lega...
Bdiya update

Nice Update
Awesome update bro
Waiting for next update
Nice update bhai
Update 81
Recap........
udhar shaam hui toh ghar per sabhi aa chuke the …ghar ki rounak aaj alag thi …na rajinder pehle jaise awkward tha ..na koi or tension thi ..per achanak se manu ki family ko do alag alag khabar mili ..jise sunkar manu khush ho ya pareshan yeh uski samjh se bahar tha …..
Ab Aage........
Manu khana khakar utha hi tha ki achanak ghar ka old ringwala phone bajaa …
jisko Rajinder ne pick kiya ..kyuki Rajinder hath dhokar wapas aa raha tha …call per kuch der baat ki or wapas aa gaya …
Rajinder ko soch me dekhkar Sumitra ne pucha “ kya baat hai kiska call tha “
Rajinder “ who jai-chand ki saali jo humare ghar me rehti thi who ab is dunia me nahi rahi …”
Sumitra “ ohhh! Yeh toh bura hua ..chaliyeh use dekh aate hain bechari abhi kuch hi din pehle toh ek beti ki maa bani thi ..”
Ajay “ kya mummy who saali chacha ki hai usse humara kya Rishta ulta tala toadkar makan me gusi thi mar gayi toh mar gayi ab hum kya kar sakte hain “
Sumitra “ ajay aise nahi bolte beta bhale hi who jinda rehte galat thi ..per ab baat alag hai aise me jana jaroori hota hai ..”
Ajay “ bhul gayi mummy aapka dil kitna kamzoor hai …aap kisi ki lash tak nahi dekh paati …bhul gayi kya jab pados ke umadaraz uncle jab guzre the tab unki lash dekh kar aap behosh ho gayi thi …???”
Sumitra “ per beta jana bhi jarori hai …agar nahi gaye toh unko bura lagega …”
Rajinder “ ajay sahi keh raha hai …per Sumitra tum rehne do main or manu chale jayenge wahan kyun manu kya kehte ho ??”
Manu kuch bolta usse pehle uska mobile baja ..usne call per baat ki or jab baat hui toh who bola ..
Manu “ sorry papa lagta hai aapko akele hi jana padega ..kyuki Bhatnagar sir ka call tha keh rahe the koi meeting hai jo bahut urgent hai jiske liye mujhe unke sath delhi jana hoga …maine unko bataya toh unhone kaha kyuki main business ka kaam mere or Bhatnagar sir ke hath me hai so mera jana jaroori hai ..verna company me bahut complication ho sakti hai …jaana toh nahi chahta per baat sirf akele meri nahi hai …uska effect company ke hazaron worker per padega so jana mazbori hai …”
Rajinder “ koi baat nahi beta tum tyaari karo jaane ki main akele chala jaunga ..kyuki ajay abhi chota hai ..or tumhari maa ko wahan baar baar behosh hote dekhna mere boot eke bahar hai …toh akele jaana hi padega …”
Toh filhal final hua ki Rajinder akela wahan cremation(anitim sankar ) ke liye jayega or manu delhi ke liye nikalega …
Manu raat ko apni tayari me lag gaya …ki use delhi me apne sath kya saman lena uski packing me lag gaya …
Delhi me 1 week ke liye jaana tha agle din shaam ko nikalna tha ..so manu raat ko packing karke so gaya …
Agle din jaisa tay hua tha Rajinder office me chutti ke liye call karke nikal gaya ..jai-chand ke yahan ..or Sumitra bhi aaj ghar per hi thi ..uska mann nahi tha jane ka ..per manu ko restaurant se call aaya toh who wahan nikal gaya …
Restaurant me aaj sab kuch normal hi tha ..per kuch account ke kaam ke chalte jass ne manu ko wahan bulaya tha ..
Jass “ toh aapne naye restaurant ke liye kya socha ???”
Manu “ sochna kya hai jass …jo tum final karogi wahi hoga …tum batao karna kya hai ..??”
Jass “ main or guru bhai ne kuch jagah final ki hai per head office ke liye delhi ki jagah final ki hai …kyuki delhi desh ki capital hai ..or wahan business reform ka acha scope hai so wahan office ki jagah ..hona apne aap me sahi rahega ..bas aap ek baar site visit kar lo ..kuch dealer hain jo sahi kimat me ..jagah bechne ko tyaar hain …call per baat kar li hai per bina site dekhe wahan kuch kehna sahi nahi hai …”
Manu “ toh problem kya hai guru bhai or tum jakar jagah dekh aao ??”
Jass ” ohhhooo! Aap samjhte kyun nahi yahan ka kaam bhi bad raha hai or account ke liye mujhe yahan rukna padta hai phir daily inventory use bhi dekhna padta hai ..aapko pata bhi hai ek nanhi si jaan per kitna bojh hai aapne toh keh diya delhi chali jao per …itna asaan nahi hai ..dilli jana ..” jass ne kaha
Uski baat per manu hans pada ..
Manu “ ohhh! Sorry mujhe maaf karna main dhayan hi nahi diya ki is nanhi jaan per kitna bojh hai ..chalo koi baat nahi ..per ek din ke liye toh jaa hi sakti ho na ..??”
Jass “ aap na too much ho ..agar jaa sakti toh abhi tak chali gayi hoti ..per lagta hai dilli abhi door hai ..”
Manu “ bas bas jass acha samjh gaya ..agar guru bhai or tum ek sath nahi ja sakte toh tum ..akele toh ja sakti ho site visit ke liye ???”
Jass “ haan ja sakti hun per delhi me akeli ladki kaise manage karegi ..aap khud sochna …main toh aaj tak is city se bhi bahar nahi gayi ..toh akele delhi jana ..naa baba mere akele ka bas nahi hai yahan ..”
Manu “ ohhh! Toh yeh baat hai ..meri sherni dost akele jaane se darr rahi hai ..??”
Jass ne wahan idhar udhar dekha ..office me sirf manu or jass hi the baaki loog bahar kaam me lage hue the …
Jass “ manu tumne mujhe self-dependent banaya ..main manti hun ki main bina wajah dari nahi hun ..per ek ladki ki tarah sochkar dekhna ..yahan toh tum or baaki sab hain dekhne ke liye per wahan delhi me mujhe koi jarorat padi toh koun hoga ??? sher bhi akela ho toh kutte use gher lete hain toh ..main toh ladki hun akeli kya -kya kar lungi ..??”
Manu “ or agar main kahun ki tum akeli nahi ho…na aaj na kal na hi puri zindagi …maine kaha tha na ki main har kadam tumhare sath hunt oh tumne yeh kaise soch liya ki wahan tumko akela jaane dunga ??”
Jass “ per aapne hi toh kaha na akele jakar dekh lo ?”
Manu “ are ab dost se mazak nahi karunga toh kiske sath mazak karunga …”
Jass “ mazak toh thik hai ..but I m daamm serious about this ..main akele nahi jane wali delhi me ..”
Manu “ agar main kahun ki mere sath chalo toh kya tum tyaar ho ??”
Jass mann me “ agar tum chaho toh dunia ke akhiri choor tak tumhare sath chali jaun delhi kya hai ..mera toh bas nahi chalta verna ..jeena toh jeena marne ke baad bhi tumhara sath na chodun main mere pyaare manu …”
Manu “ kahan kho gayi lagta hai …mere sath jana acha nahi laga ..koi baat nahi guru bhai or tum jab chaho chale jaao ..agar kaam se time na mile toh ek ya do din ke liye office me chutti kar dena ..ab toh thik hai na ..”
Jass “ main na toh nahi kaha na ..”
Manu “ per jass dear aapne haan bhi nahi kaha ..lagta hai hai aapko guru bhai ke sath hi jana hai toh waise sahi ..”
Jass “ nahi ab main aapke sath hi jaungi ..per achanak se delhi jaane ka kaise plan bana liya ??? “
Manu “ ab agar tumhari jagah koi or puchta toh keh deta ki tumahre wajah se jaa raha hun ..per such kehna dosti ka rule hai ..so ek urgent meeting hai delhi me jiske wajah se jaana hoga ..so agar jaa raha hun toh tum bhi chalo .. meeting ki meeting ho jayegi or site visit bhi ho jayega ..or tumhara sath bhi mil jayega kya kehti ho ??”
Manu ne jass ke samne hath rakh diya uska hath mangne jaise ..jass ne ek second bhi nahi lagaya uska hath thamne me ..
Jass “ kya baat hai janaab ..aap toh such me businessmen hain …ek taraf meeting or sath me site visit or uske sath hum dono lagta hai delhi me kuch alag hi maza aanewala hai ..shezadi sahiba ko Manzoor hai ..yeh shezadi aapke sath jana kubool karti hai …hihihiihi”
Manu “ toh shezadi shahiba ..delhi main sirf site visit karni hai ya kuch or bhi program hain ..shezadi sahiba ke ??”
Jass “ shezadi apni marzi ki malik hain ..abhi kuch socha nahi aage delhi khud shezaadi ko batayegi ki karna kya hai ..aap bas time batao jana kab hai .???”
Manu “ shaam ko 8 baje nikal rahe hain baaki call kar dunga ..tum tyaar rahena ..per mere sath jaane me koi problem toh nahi ..”
Jass ne manu ke gale me ek bajoo dala or kaha “ lagta hai boss toh maan gaya per dost ko pakka kuch problem hai …verna shezadi ko aise hi koi mana nahi karta ..”
Manu “ nahi ji khadim toh aapka gulaam hai ..aap jaise kaho ..waise hum aapke istakbaal me tyaar hain ..”
Dono me aise hi kuch der meethi nik-jhokh hoti rahi ..ki achanak manu ka mobile baja ..
Manu ne call pick kiya or baat ki ..jass wahan apne kaam me lag gayi ..
Call cut hui toh manu soch me tha ..
Jass “ kya hua ?? sab thik toh hai na ..??”
Manu “ haan sab thik hai ..per nita maa ko kuch problem hai …unke bhai ka call tha who chahte hain ki ab nita mom unke sath rahe ..??”
Manu ne nita mam ke baare me jass ko bata rakha tha ki kaise nita mam uski maa saman or kaise uski life me aayi ..so nita mam ki call per jass ko hairani nahi hui ..
Jass” yeh toh achi baat hai ..kab tak akeli rahengi who ..bhale hi tum unke liye sab kar lo per akela pan phir bhi unke sath hai ..agar unka bhai unko sath rakhna chahta hai toh isse acha kuch nahi hai ..”
Manu “ jass baat who nahi hai ..main bhi khush hun unke liye ..ki finally unke apne bhai ko unki asali ehamiyat ka pata chala ..per problem kuch orr hai ..”
Jass “ matlab “
Manu “ problem nita maa ne khadi kar di hai ..woh keh rahi hain who hume choadkar jana nahi chahti ..”
Jass mann me “ unki kya galti ..jab kuch saal me main tumhare sath hun ..or ek pal ke liye tumhara sath chutne se darti hun. Toh who toh tumhain bete ki tarah chahti hain ..meri chahat or unki chahat me antar hai per chahat toh chahat hai ..isme kiska jor chalta hai ..”
Manu “ kahan kho gayi ??”
Jass “ kahin nahi bas soch rahi thi ..”
Manu “ thik hai tum tyaar rehna shaam ko milte hain main zara unse milkar unko samjhta hun..”
Jass “ dhayaan se kahin baat suljhne ke bajaye bigad na jaaye ..”
Manu “ haan dhayan toh rakhna hoga ..kyuki such kahun toh mera dil bhi unko bhejne ka nahi hai per apne lagav ke chalte unko humsha ke liye akela nahi choad sakta ..”
Jass “ per ek baat samjh nahi aayi ki unke bhai ko achanak se unper itna pyaar kaise aaya ..mujhe kuch gadbad lag rahi hai ..unko samjha lo per ek baar unke bhai per nazar bhi rakhna jarori hai ..ki use such me behan chahiye ya iske piche koi naya funda hai ..”
Manu “ ghar per ajay hi jasoosi ke liye bahut hai ..shezaadi sahiba ..tum yahan who sab mat karo ..per tumhari baat me point hai ..main bhi yahi soch raha hun ..ki achanak se alag rehne wale bhai ko itna pyaar kaise ummad aaya ..per koi baat nahi ek baar nita maa se baat kar lun or unke bhai ko uske baad dekhte hain ..agar zarori hua toh kuch is matter per bhi karenge ..ab nita maa ko aise hi kahin jaane ko nahi keh sakta hai na ..??”
Jass “ haan sahi kaha pehle unse baat karlo aage ka baad me dekhna ..or shaam ko time se call kar dena ..”
Uske baad manu wahan se nikala or siddha nita mam ke ghar aa chuka tha ..kyuki who abhi ghar per hi thi ..
Nita mam “ kya baat hai aaj manu yahan lagta hai yeh koi sapna hai ..”
Manu nita mam ke taane ko samjh gaya …
Manu “ sorry maa main toh apni pyari nita maa ke pass aaya tha ..per bhul gaya ..nita maa pehle nita mam bhi hain …”
Nita “ jada faltu baat karne ki zarorat nahi hai …ache se samjhti hun teri chalaki …yahan ki baat wahan ghumana koi tujhse sikhe ..” nita mam ne baat karte hue manu ka kaan pakad liya …
Manu “ aahhh! Sorryyyy sorry maa galti ho gayi mujhse ..ab kaan choad do dekho ab toh apni maa ke samne hun ..shikayat aram se kar lena …please meri pyaari maa …”
Nita mam ne bhi uska kaan choad diya …ab dono sath me bethe baat karne lage …
Nita mam ..” dekh beta jada ki khwahish nahi hai per kam se kam aa nahi pata toh call hi kar liya kar …”
Manu serious hote hue “ sorry maa aapko toh pata hai …life bahut bussy hai jhut main aapse bol nahi sakta per yeh bhi such hai …ki in dino bahut busy tha …jiske chalte aa nahi paya …per ajay toh din me ek chakar lagata hoga na …???...use bola hua hai .sath me aapke liye ek servant ka bhi intzaam kiya tha …who thik kaam kar rahi hai na ???”
Nita mam pyaar se dekhte hue ..”haan mere bache sab thik hai ..ajay bhi har roj ek round aata hai ..or who naukarani bhi achi hai har tarah se seva karti hai ….per beta mujhe kabhi kabhi tujhe dekhne ka dil karta hai …uska kya …??”
Manu ..” are maa usi liye toh yahaan aaya hun ..chalo tyaari karo ..sath chalte hain ..yaad hai na mama ji ne bulaya hai aapko ..??”
Nita thoda normal hokar “ manu dekh maine tujhe pehle hi kaha tha ..mujhe nahi jana ..itne saal se aajtak unloogon ne aajtak apni behan ko na jeete dekha na marte hue ..per aaj achanak se unko behan ki yaad aa gayi ..mujhe yeh sab thik nahi lag raha hai ..mujhe unki zarorat nahi ..mere liye tum or ajay hi kaafi ho ..jahan itni zindagi kat gayi baaki bhi kat jayegi ..tum iske liye mujh per jor na dena kyuki agar tumne kaha toh main mana nahi kar paungi …please beta …”
Manu nita mam ke dono hath tham leta hai ..thoda dabata hai ..or uske baad nita mam ko apne seene se laga leta hai ..jahan nita mam sukun se simat jaati hai ..manu ke apnepan ke chalte ..
Manu “ maa “
Nita “ hmmm!”
Manu “ maa main aapse bahut pyaar karta hun …yeh nahi kahunga ki aapke jaane se mujhe koi fark nahi padega ..such kahun toh padega bahut padega ..per iska matlab yeh nahi ki aapko aapke bhai matlab mama ji se dur kar dun …aapki baat sahi hai agar aapko apni zindagi me har faisle ko lene ka pura haq hai ..chahe faisla jo bhi ho ..aapka beta aapke sath hai ..per kya aap meri ek baat manogi ..”
Nita manu ko or kaste hue “ beta yeh mujhe pata hai ..jahan dunia me mera sath koi de ya na de wahan tum or ajay mere sath parchai ki tarah hoge ..per achanak se mere bhai ka yun mujhe apne pass bulana ..mujhe kuch samjh nahi aa raha ..per tum jo kahoge main bina sawal ke maan lungi ..”
Manu “ maa main kuch socha hai ..agar aap bura na mano toh kuch kahun …”
Nita pyaar se uske gaal sehlate hue ..” pagal hai kya teri baat ka bura maan sakti hun kya ..bol bhi kya kehna hai ..”
Manu “ toh ek kaam karo saman pack karo jaane ki tyaari karo …delhi chalna hai ..”
Nita mam uske gale se achanak dur hui or hairat se manu ko dekhne lagi..
Manu “ kya hua maa ???”
Nita “ beta agar tumne kaha hai toh chali jaungi delhi per mere 1 % mann nahi hai wahan jaane ka ..main aaj bhi unke kadve bol nahi bhuli hun …per tumhari baat nahi taalungi ..acha tum betho main tyaari karti hun ..” nita mam wahan se mudne ko hui unki aankhon se ansoo behne hi wale the …
Nita mam undar jane ko mudi per manu ne achanak se unke hath ko pakad kar unko rok liya …
Nita mam“ chodo na beta jaa rahi hun na tyaari karne ke liye ..”
Manu ne nahi choda hath ulta khachkar nita mam ko apne pass apne seene se laga liya ..nita mam ke ansoo behne hi wale the .
Manu “ maa main delhi chalne ko kaha hai …aapko akele jaane ko nahi ..shayad aapne dhayan nahi diya ..”
Nita mam hairani se “ matlab ??”
Manu uske sar ko pyaar se apne seene me laga leta hai ..
Manu “ maa main aapko aise hi akela behj dunga yeh aapne soch bhi kaise liya …main khud chal raha hun aapke sath …are mazak thodi hai ..aap maa ho meri aise kaise aapko akela delhi bhej dun …kyun sahi hai na ..??”
Nita mam jahan ab tak delhi jane ke naam se dunia bhar ka gam unke chehre per aa chuka tha ..achanak se unka mukhda Khushi se khil utha ..nita mam ne haan me sar hila diya ..
Manu “ aapne soch bhi kaise liya ki …achanak se koi call aayega or main aapko aise hi bhej dunga …aap maa ho meri ..koi gair nahi aaj toh soch liya aage se aisa sochna bhi nahi verna main aapse kabhi baat nahi karunga ..samjh gayi na ..??” manu ne jhuntha gussa dikhate hue kaha ..
Nita mam ne apne kaan pakad liye ..” sorry beta mujhe laga ki tum bhi mujhse ab picha chudana chate ho ??”
Manu ne unke hathon ko unke kaano se hath diya ..or bola “ maa aisa sochna bhi nahi main bahut kam logon ko apne karib aane deta hun ..or aapko toh maa mana hai ..jab maa ko hi jaane dunga toh maa maanne ka matlab hi kya hai ..main janta hun aapko aisa laga hoga ki main aapko delhi bhejna chahta hun ..toh yeh sahi bhi hai …kyuki main nahi chahta ki mere chalte aap aapne bhai se duri bana len ..per iska matlab yeh nahi hai ki main aapko humsha ke liye wahan unke pass bhej raha hun …jab mama ji ki sagi behan yaani aapko unper doubt hai toh ..main achanak se unper kaise yakin kar lun …samjh rahi ho na ???”
Nita mam “ jab tum ko bhi yakin nahi hai toh wahan lekar hi jana kyun chahte ho mujhe …jabki main toh unko dekhna bhi nahi chahti ..”
Manu “ maa dunia badi azeeb hai …yahan loog bhi alag hain …bina wajah yahan kuch nahi hota …maine kaha na main aapke sath chal raha hun …wahan jara bhi gadbad lagi toh aapko wapas le aaunga …waise bhi aapko lekar bahar kahin jaane ko milta nahi ..or jab mouka mila hai chutti enjoy karne ka toh aapko jana nahi hai ..pata bhi hai ..kitne armaan the mere delhi me aapke sath kitna maza karunga ..per aapne ek baar me mere saare armano per paani baha diya …” manu ne kaha
Jiska matlab nita mam ache se samjh gayi..
Nita mam ne ek baar phir uske gaal ko sehlaya .” beta ache se samjhti hun teri chalaki ki tum kahan kya bolta hai ..or tere armaan bhi ache se pata hain …ek kaam ke liye tu delhi jaanewala nahi pakka pura workload sath le jaanewala hai …or mera naam badnaam kar raha hai …per koi baat nahi agar tu sath hai toh delhi kya ..America bhi jaane me mujhe koi pareshani nahi hai …”
Manu “ yeh sahi kaha maa agli baar america hi challenge ..aakhir unko bhi pata chale ki humari maa ka rob kya hai ???hahahha!”
Nita mam bhi uske sath hansne lagi ..nita mam ne normal hokar kaha ..” beta per jana jarori hai kya …???”
Manu “ haan maa jarori hai ..main bhi mama ji me aaye achanak badalav per yakin nahi kar pa raha hun ..zara delhi me thoda dekhna zarori hai …suna hai delhi me yahan ke mall se bade mall hain wahan aap ghum lena “
Nita mam “ mujhe pata hi tha ..”
Manu “ kya pata tha maa ???”
Nita mam “ ghum lena matlab tu pakka wahan busy rehne wala hai …yeh toh confirm ho chuka hai ..verna tu mujhe yun akele ghumne ko nahi kehta mujhe nahi jana delhi …sun le ..”
Manu dono hath joadkar “ sorry maa aap se chipana nahi chata tha ..per meri meeting bhi hai delhi me per meeting sirf ek din ki hai baaki toh main free hi hun …”
Nita mam “ dekha maine kaha tha na tu single kaam ke liye delhi jaane walon me se nahi hai …meri baat such hai na …or mujhe aise dikha raha tha ki jaise sirf mere liye jaa raha hai …hppphh!”
Manu ne nita mam ke muh per hath rakh diya “ maa aisa sochna bhi nahi meeting toh kal raat hi decide hui thi …subah office me jass bhi piche pad gayi delhi me site visit ke liye ..or wahan se sab sattle karke hata hi tha ki aapka call aa gaya …jisme maine socha ki jab kaam saare delhi ke hi hain toh ek baar me hi dekh leta hun …per agar aapko lagta hai ki main sirf aapko meeting ke chalte sath le jaaraha hun toh …aap mere sath meeting ke baad specially chalna taaki aapko pata chale ki kaam apni jagah hai ..per maa har cheez se uppar hai mere liye …tab toh thik hoga na …??”
Nita mam ko tab realise hua ki manu vastav me ek sath kitne kaamo me fansa rehta hai ..per itne ke baad bhi akela unki parvaah karta hai …special unke sath jaane ko lekar kahi who baat nita mam ko chu gayi ..
Nita mam “ beta “
Manu “ hmm! “
Nita mam pyaar se uske sar par hath firate hue …”beta I m sorry mujhe lagta hai main jada bol gayi mujhe …hmmm!” manu ne ek baar phir unke muh per hath rakh diya …
Manu “ maa is dunia me aisa koi din na aaye ki aapko mujse aisa kuch kehna pade jo main bardast nahi kar sakta …mazak me bhi nahi aapko nicha dekhne de sakta hun ..or aap sorry keh rahi hain mujhe ..isse acha maar leti who acha lagta ..per aapka maafi mangna mujhe bardast nahi hai …..i love my maa …yeh baat ache se samjh lo ..dunia me koi aapko mujhse door nahi kar sakta …”
Nita mam ke ansoo nikalne lage yeh sunkar …unhone manu ko phir se seene se laga liya ..manu ne unke ansoo puche ..
Manu “ ab bas bhi karo pehle khud hi shaq karti ho or khud hi rone lagti ho …ab toh khud ko dekhlo ek baar zara …kahan pehle zero size (manu ka matlab pehle unke motape se tha ) or ab kahan yeh meri patli dubli si nayi kakdi jaisi maa ..jab dekho rone ke naye bahane dundhti rehti hain ..i hate tears ..dear I haate tears ( rajesh khana style me kaha manu ne ) puch daalo in ansson ko …I just hate tear …muhhhaaaa! “ manu ne ansoo puchte hue nita mam ke gaal ki paapi le li …taaki nita mam ka rona band ho sake …
Or aisa hua bhi kahan dono abhi tak senti hue pade the ..papi lene ke baad nita mam ne bhi revert me manu ke piche bhagna shuru kar diya …
Nita mam “ badmash maa ki paapi leta hai …abhi batata hun tujhe …”
Manu aage bhagte hue …” maine pehle hi kaha tha …I hate tears dear …I hate tears ..per aapko bahane the so socha papi le lun kamse se kam Rajesh Khanna ji jo kitne romantic the unko yaad kar sakun …per such me gile gaalo ko chumkar maza nahi aaya …kahan pehle who gol matol gaal or kahan yeh boring dimple wale normal se gaal ..”
Nita mam “ ruk ja ek toh papi le li upper se Rajesh Khanna bana hai tujhe ..ruk tu ek baar hath toh aa …batata hun tujhe …usper meri itni mehnat se patla hona uska mazak bana raha hai ..bhul gaya khud hi piche lag kar patla kiya tha ..mera kya hai ..phir se moti ho jaungi ..”
Manu achanak se ruk gaya ..nita mam uske rukne se chonk gayi …manu rukkar ghuma or usne nita mam ke hathon ko pakda or
Kaha “ maa mazak apni jagah hai ..main aapko khush dekhna chahta hun ..mujhe aapke pehle wale roop se koi dikkat nahi thi ..bas dikkat yeh thi ki aapne jeena hi choad diya tha ..aapko busy rakhne or healthy rehne ke liye main aapko itna fit karne per jor diya …aaj ek baar khud ko aaine me dekho kya mera faisla galat tha maa???”
Nita mam ne khud ko wahan pass me lage almari ke aaiene me dekha toh paya ..kahan pehle who double dekkar bus jaise hua karti thi …per aaj unke figure ko dekhkar koi jawan actress bhi sharma jaye …matlab jahan unki age ki auratain motape or akadan ki shikar hua karti thi ..woh wahan loach or lachak se bhari hui furtili thi …iske sabot unka manu ke piche bhaagna tha …unhoone khud ko aaeine me dekha or yaad kiya apna old roop tab unko samjh aaya ..ki manu ne unper kitna dimaag khapaya tha ..kaise manu or ajay dono hi unke khane ko lekar unse ladte the ..kaise unka junk food band karwaya tha …jahan pehli baar unka wajan thoda kam hua toh khud unko bhi yakin nahi hua tha …per thoda thoda karke aaj woh fat 2 fit
Thi …or Yeh sab unki aankhon ke samne achanak se chalne laga tha ..unko kai baar khud yakin nahi hota tha ki unhoone khud ko fit kar liya hai …
Manu “ kyun abhi main galat hun kyun hai na ??”
Nita mam ne bade pyaar se uske sar per aashirwad jaise hath rakha ..”beta tujhe galat kehna ek maa ke liye gali hai ..jo kam se kam mere hote possible nahi hai …kyuki main khud teri maa hun ..so ab senti hona choad ..chal aaj tere liye khana banati hun …”
Manu “ lagta hai kaamwali aaj nahi aayi hai jo aap khud khana bana rahi ho ..”
Nita mam “ ab kya karun beta yeh sab tumhara or ajay ka hi kiya dhara hai ..kahan pehle araam se bahar ka khaliya karti thi ..per tum dono shaitano ne milkar mujhe khud ke bane khane ki aadat daal di ..per tere or ajay ke liye toh mujhe khud hi banana pasand hai ..tu beth main abhi aayi ..”
Manu uske baad beth gaya ..kyuki ajay ka aane toh possible nahi tha kyuki ghar per Sumitra ke sath tha …so manu yahan tha ..nita mam ne acha khana banaya tha ..manu Khushi se khane laga …or sath me nita mam ko bhi usne zid karke khud apne hathon se khilaya ..dono maze se khana khate hue time bitane lage …
Udhar kisi jagah kuch do lambe tagde suit boot me bethe hue 3 aadmi ek sath bethe the ..
Admi 1 “ toh us sofia ka kya karna hai samjh aa gaya na ??”
Aadmi 2 nd 3 “ yes sir uske delhi ke point se uthana hai ..or uski secretary ko bhi nahi chodna hai sab yaad hai ..per sir aapko nahi lagta Mr Boss ko pata chala toh yeh baat aapke or humare liye thik nahi hai ???“
Aadmi 1 “ hahahahah! Kutte ka naam uske kaam se hai ..or mard ka naam uske kaam khouf se hai …jitna jiska khouf hota hai ..utna hi who darpok hota hai ..tum befikar raho ..bas kaam puri mustaidi ke sath karna kyuki Mr boss ka pata nahi per ..agar tum loog chuke toh main chukne wala nahi hun ..tumhare family ko jinda nahi choadunga ..yaad hai na who rand sofia or uski who haramjaadi mardarchod secretary mujhe jinda chahiye ..yahan is jagah nahi jagah tum logon ko bata di jayegi ..ab tum log ja sakte ho ..”
Aadmi 2 nd 3 “ ok sir “
Who dono chale gaye ..admi akela betha tha wahan se nikal gaya …
Aadmi 2 “ yaar agar us sofia ko nahi pakda toh yeh humare ghar waloon ko jaan se maar dega ..or pakad liya toh who harami mardarchod boss humko maar dega bina saans liye ..kya karain ??”
Aadmi 3 “ karna kya hai abhi yeh sher hai iski sun ..boss ki baad me dekh lenge ..use kya dunia me sapna aane wala hai ki hum dono sofia ko kidnap karna chahte hain …tu chal kaam jarori hai ..verna gharwale marnge humare ..bhul gaya saale ne unka kidnap kar liya hai ???”
Aadmi 2 “ bhai tu sahi keh raha hai …pehle apne gharwaloon ke liye us boss ki chamchi ka kidnap karte hain uske baad sochnge ki karna kya hai ???chal tyaari karte hain ..”
Dono chal diye wahan se …sofia or neha ke kidnap ki tyaari ke liye …
Udhar manu or nita mam ne khana finish kiya or man uke kehne per dono wahan se man uke ghar nikal gaye jahan Sumitra or ajay dono the ..wahan charo ne jam kar masti ki ab shaam dhalne wali thi …so nita mam ne ghar jaane ka jikra kiya kyuki unki packing baaki thi ..so ajay unke sath chala gaya …manu ki packing ho chuki thi …so who toh apne me mast tha ..shaam hone ko aayi toh usne jass ko call kiya or ready rehne ko kaha …
Or chal diya apne saman ke sath jass ke yahan taxi me jahan se usne jass ko pick kiya ..jass aaj pehli baar Indian outfit me thi ..gazab lag rahi thi ..per manu ne as usual uski tarif ki or jass ne bhi sharma kar uska jawab diya …hanste khelte nita mam ke ghar ke bahar taxi lag chuki thi …manu ne taxi se uttar kar nita mam ke pair chue ..or unka saman bhi taxi me load kiya ..or unko jass se introduce kiya ..
Jass ko dekhkar nita mam ne jass ko gale se laga liya ..
Manu ko khoni maari or uske kaan ke pass jakar “ tune mujhe bataya nahi jass kitni sundar hai …lagta hai jaise chand khud tere sath me chal raha ho …”
Jass ne dheere se kahi baat bhi sun li thi sharam ke maare uske gaal laal ho chuke the …
Manu nita mam ke kaan me “ chand toh hai per ek nahi aaj mere sath ek sath do do chand hai …meri maa bhi kisi chand se kam hain kya..???”
Nita mam “ haan mujhe buddhi ko chand bata raha hai lagta hai …mazak karne ko koi or nahi mila …??”
Manu ne jass ki taraf dekha “ kyun chand number 1 kya kehti ho chand number 2 ke liye …kya yeh such me chand se kam hain kya ???”
Jass “ haan tum sahi keh rahe ho yeh toh such me chand hi hain …”
Manu “ dekha ab toh koi shaq nahi hai chand number 1 ne bhi maan liya …ki tum chand se kam nahi ho ..”
Nita mam keg aal bhi sharam se laal ho chuke the …unhone aise ummid nahi ki thi ..ki jass bhi manu ka sath degi …so shant beth gayi who bhi ..
Is bich unka airport aa chuka tha jahan Bhatnagar sir khade the …kyuki manu ne pehle hi jass or nita mam ka ticket karwa diya tha ..so bas jarorat thi sirf boarding ki …so sabhi ne boarding clear kiya or flight me beth gaye …jahan delhi unka last point tha ..jahan delhi me bahut kuch un-accepted hona tha …..
Nice update bhai and I have a small request for you, please speed up the details, so that sooner we can see the lady love of mannu. Please बंधु मेरे प्रिय writer ये छोटा सा निवेदन है ।
Update 82
Recap........
Is bich unka airport aa chuka tha jahan Bhatnagar sir khade the …kyuki manu ne pehle hi jass or nita mam ka ticket karwa diya tha ..so bas jarorat thi sirf boarding ki …so sabhi ne boarding clear kiya or flight me beth gaye …jahan delhi unka last point tha ..jahan delhi me bahut kuch un-accepted hona tha …..
Ab Aage........
Manu or baaki sab apne time se delhi aa chuke the ..kyuki raat kaafi bit gayi the so saaare sirf apne apne hotel room me check-in karke sone chale gaye …yeh aapko clear kar dun ki yeh visit official thi …so ashok sharma ji ki company ne sirf hotel me room allot karwaye the manu or Bhatnagar sir ke liye ..per kyuki ab jass or nita mam sath me thi so manu ne unke liye bhi same hotel me pre-booking karwa di thi ..so sab ko apne apne alag alag room mile hue the ..per manu or Bhatnagar sir ka room ek floor per tha per uske niche wale floor per jass or nita mam ka room tha ..so sabhi apne apne room me chale gaye or hotel me room service ne unko time per diner serve kar diya jise lekar woh sabhi apne apne room me so gaye kyuki thakan thi ..haan safar utna lamba nahi tha ..per safar ki thakan thi …or agle din meeting thi so sabne sone ka faisla kiya or time se apne apne room me so gaye …
Udhar jai-chand ke ghar chalte hain jahan subha Rajinder wahan pahucha tha ..jahan usne dekha jai-chand ki saali ke atim-sanakar ke liye loog jama the ..uske atim-sanskar ke liye bahut loog aaye the jinme jai-chand ne kuch logon ko gaav se bulaya bhi tha …jinme gaav se Rajinder or jai-chand ka bhai matlab unka chachra bhai …Babanath bhi aaya hua tha …babanath ki umar jai-chand jitni hi thi ..uske bade bhai Rajinder ki umar Rajinder jitni hi thi …jo ab is dunia me nahi tha …aap soch rahe honge ki Rajinder ke chahre bhai ka naam Rajinder kaise pada ..toh uske piche reason itna tha ..ki Rajinder or Rajinder ke paida hone me ek ya do din ka antar tha ..or kyuki dono ke pita bhai the so dono me pyaar or prem bhi acha tha ..jab Rajinder pehle hua tab uska naam Rajinder ke pita ne Rajinder naam rakha ..per jab chacha ke ghar unka beta rajinder ke baad paida hua toh chacha ne uska naam bhi Rajinder hi rakha apne bhai ke bade bete ke naam per taaki dono parivaaron me bhai-chara bana rahe ..per kuch time baad hi rajinder ke ghar jaichand paida hua or uske chacha ke ghar babanath paida hua …toh dono ke paida hone me jada blood loose se jahan jai-chand ki maa dunia choad chuki thi ..wahin babanath ki maa uske 5 saal baad bimari se chal basi thi …usi bich me Rajinder ke pita apne dono bacho ko lekar gaav se shaher aa chuke the jahan kuch time baad unka bhi dehaant ho gaya …yahi wajah thi Rajinder ne khud ko kamai ki bhaatti me jonkh diya taaki khud ko or jai-chand ko sahi parvarish de sake ..chacha bhi kuch saal baad apne bhai ke pass chale gaye per piche unke unke bade bete ne jahan jurm or gunaah ka rasta chuna or ban gaya …apne aas paas ke ilaake ka bada gunda …jiske kasame wade door door tak khaye jaate the …rajinder (chacha ka ladka ) apne aap me top class ka muzrim type ka insaan tha ..jiski mout usi ke gaav me ajeeb or garib tarah se hui thi ..jiske baad uske kaamo ke chalte babanath ne uski jagah li thi ..per babanath apne bade bhai jitna tough toh nahi tha per …tha who bhi tadi line ka banda …jiski jai-chand se achi pata karti thi ..kyuki tau ka beta or ham umar hona …jahan Rajinder se dono hi chote the ..so Rajinder ki izzat babanath bhi karta tha …
Jahan Rajinder bhi use jai-chand jaise hi pyaar se pesh ata tha ..per jai-chand or babanath ki chemistry alag thi …wahan Rajinder dono se ek duri bana kar rakhta tha ..per babanath ke dil or dimaag me Rajinder ke liye koi mail nahi tha ..per ab mail aane laga tha ..wajah tha jai-chand jo aksar babanath ko Rajinder ke khilaaf bhadkaya karta tha ..per babanath uski baat per jada react nahi karta tha ..per aaj kuch alag hona baaki tha …
Toh hua yun jab Rajinder wahan akela aaya toh jai-chand ne use Rajinder or uski family ke khilaaf badkana shuru kiya ..” dekho baba aaj aise time per jahan meri jawan saali mari padi hai aise me bhi Rajinder akele aaya hai ..kya meri saali uski family ka hissa nahi hai ??? dekh rahe ho na tum ki kaise Rajinder ne humloogon ko apni family se alag kar diya hai …or toh or Bhabhi (waise toh who Bhabhi kehta nahi tha Sumitra ko uske naam se bulata tha per baba ke samne who aise dikha raha tha jaise har baar who Sumitra ki izzat karta hai ) or bache bhi nahi aaye …kya tumko nahi lagta ki Rajinder ko aise me apne bacho ko lana nahi chahiye tha ???”
Aise uski baatain sunkar baba bhi sochne ko mazboor ho chuka tha …ab kyuki who aksar jai-chand keg har jaya karta tha …so us per jai-chand ki baton ka asar bhi hua …rajinder ke ghar aajtak who gaya nahi tha ..kyuki Rajinder ka ghar door tha ..us per Rajinder ka aksar uske bade bhai or usse duri bana kar rakha wajah thi jo Rajinder uske jurm ke chalte bana kar rakhta tha …jaise normally insaan karte hain apni family ko aksar loog apne badnaam family members se door rakh kar waisa hi Rajinder ne kiya hua tha ..
Rajinder aaya toh baba ne apne bade tau ke ladke ke pair chue …
Rajinder “ baba or kaise ho bache thik hai na ???”
Baba “ haan bhaiya sab thik hai or ghar per sab kaise hain ?? who loog nahi aaye ..”
Rajinder “ baba tumko shayad pata nahi per tumhari Bhabhi (Sumitra )ka dil bada kacha hai who aksar death ko asani se bardast nahi kar paati ..woh aksar behosh ho jaati hai ..humare pados me ek buddha khatam ho gaya tha ..wahan bhi who behosh ho gayi thi …use admit tak karne jaise halat ban chuke the ..yahi wajah hai use sath nahi laya …warna yahan use behosh hote dekhkar kya hota tum samjh sakte ho ??”
Baba “ haan bhaiya per bache toh aa sakte the ??”
Rajinder “ baba shayad tumko pata nahi jai-chand ke karam jada ache nahi hai ..uss per uski biwi or sasur who alag khopdi ke insaan hai ..bachon ke liye yahi acha hai ki who in-sab se door rahain kyuki tumne jai-chand ke bacho ko dekha hi hoga kaise chote hote hue bhi gaali-galoch karte hain ..manta hun aise me bache aate jaroor per tumko toh pata hai …unke chote bhai-behan(jai-chand ke bache) unki jada der bardast nahi kar paate so kaise le aata unko yahan …”
Baba “ haan baat toh sahi hai aapki jai-chand ke bache hain toh shaitaan or gaali bhi dete hain ..per aajkal toh gaali aam baat hai …bache aajkal paida bhi nahi hote per maa-behan ki gaali sikh jaate hain …per agara aate toh main bhi unse mil leta ab toh bach bade ho gaye honge …??”
Rajinder garv se “ haan kaafi bade ho gaye hain tumko pata hai ya nahi per maanav ab 12th main hai ..dasvi (10th) usne first class se pass ki thi..or kuch saalo me ajay bhi uske jaise hi 10th me hoga ..”
Baba bahut kush hua kyuki chalo koi toh tha unki family me jisne 10th se upper padai ki thi..bhale hi usne aajtak manu or ajay ko nahi dekha tha per …uske liye Rajinder ke liye izzat aaj or badh chuki thi ..woh jaanta tha kaise Rajinder ne bachpan se khudko or jai-chand ko padaya or likhya tha ..bhale hi jai-chand apni aadaton ke chalte padha nahi ..per uske piche Rajinder ne koi kami nahi kit hi yeh use ache se pata tha …shayad yahi wajah thi ki who Rajinder ki izzat bhi karta tha …
Baba “ bhaiya yeh toh Khushi ki baat hai ki apne parivaar me koi toh hai jo pad raha hai dasvi ko jisne padkar paar kiya warna hum toh ungutha tek hi reh gaye …or jab maine apne bachon ko padhna chaha toh saale wooh bhi gaav ki masti me padai choadkar beth gaye …per koi baat nahi …yeh bhi kaafi hai ki apne parivaar me koi toh ache se pad raha hai …”
Rajinder “ baba tumko pata hai maanav ne khud ke piche kitni mehnat ki hai ..or shayad apne bhai ko dekhkar hi ajay bhi aaj uske raste mehnat kar raha hai …such me kabhi kabhi yakin nahi hota ki bache kab bade ho gaye ..??”
Baba ne Rajinder ki aankhon ki chamak dekhi toh kaha “ bhaiya lagata hai aapko apne bade bete per kaafi garv hai ??”
Rajinder “ baba har maa-baap ko bacho per garv hi hota hai agar bache kaabil hon toh…maanav ke piche maine utna dhyaan nahi diya jitna maine jai-chand per diya tha ..kai baar uske padai ko lekar musibatain bhi aayi …yahan tak ki main akela uski or ajay ki padai ko chalane me na-kaafi hua per us time tumhari Bhabhi ne mera sath diya …apne bachoon ke liye Sumitra ne pehli baar ghar se kadam bahar nikala …yeh manta hun jitna maine jai-chand ke liye kiya utna apne bachon ke liye nahi kiya ..per kabhi mere dono beteon ne mujhe is baat per kuch nahi kaha ..har haal me khud ko na sirf aage kiya balki first taka aye bina tuition ke …or itne ke baad bhi aaj sab tumhare samne hai …”
Baba Rajinder ki baton se soch me pad gaya …kahan use jai-chand ulta siddha batata tha or kahan Rajinder ne use sachai batai thi..
Rajinder “ are baba waise tum sirf jai-chand ke hi ghar aate ho kya hum tumhare kuch nahi lagte ..are ek baar toh humare yahan aao taaki tum apne bhatijon se mil sako ..main kuch nahi sunuga ..ab jab bhi time mile aana jaroor ..ok “
Baba” thik hai bhaiya …pehle aaj ka kaam khatam ho jab bhi uske baad time milega main ghar jaroor aaunga ..”
Uske baad Rajinder ne wahan maujood sabhi ko ek nazar dekha …jisme jai-chand uska sasur or uski biwi or uske bache the …sath me jai-chand ki biwi ki choti behan jiski shaadi abhi nahi hui thi …jisne apne badi behan ki dhoodh muhi bachi ko sambhala hua tha sabhi ko dekha …
Jisme Rajinder ne dekha kisi ke chehre per koi khaas gum nahi tha ..is baat se use hairani hui toh usne babanath se pucha …
Rajinder “ baba yeh sab kya hai inke ghar me jawan beti khatam hui hai or yeh loog aise normal tum samjh rahe ho na ???”
Babanath “ haan bhaiya aapka matlab samjh raha hun …per lagta hai aapko kisi ne bataya nahi ki who ladki jo mari hai who pehle se T.B ki mariz thi …uska marna tay tha …so jada taam jhaam nahi hai yahan ..”
Rajinder “ are baba T.B (tuberculosis ) itni badi bimari toh nahi hai jiska ilaaz nahi ho sakta toh phir yeh sab ??”
Baba “ bhaiya ab jai-chand jaane ya uska sasur mujhe isse jaada nahi pata ..jo mujhe bataya thaw ahi bata diiya aapko …”
Rajinder is baat per soch me tha …ki T.B ka ilaaz toh asaani se ho sakta hai per na jaane inhoone kyun nahi karwaya ..
Per Rajinder ne ek baat notice ki …yahi ki jai-chand ka sasur ko bethne me problem ho rahi thi (ab use kya pata manu ne uski gand ka dhakkan khulwa diya tha ..rajini ke chakkar me na sirf anil ka dhakkan khula tha balki jai-chand ke sasur ka dhakkan bhi khul chuka tha …)
Khair jai-chand ki saali ka atim sanskar hua apne time se …or Rajinder wahan se sab kaam hone ke baad apne ghar aaya …jahan ghar ke bahar hi who naha liya (hindu tradition me loog jab cremation se aate hain toh ghar me aane se pehle nahana padta hai ..taaki unke sath mare hue insaan ke bacteria sath me na aa sake jiska science bhi kai jagah proof deta hai … )
Khair Rajinder ghar aa chuka tha …per sab kaam hone ke baad jai-chand or uske sasur ne babanath ko gher liya tha …taaki Rajinder ke khilaaf bhadka saken use ..
Jai-chand “ dekha baba kaise Rajinder aaya akela hi or uske sath ghar se koi nahi aaya …aisa lagata hai Rajinder humse katna chahta hai ..”
Ab use kya pata Rajinder or baba ki baat ho chuki thi ..jahan Rajinder ne use sab bata diya tha …per jai-chand laga hua tha use bhadkane main …
Jai-chand ka sasur bidi pite hue “ dekho baba tumne khud mehsoos kiya na use koi gum nahi tha …humari jawan beti ke marne ka …dekha uske aansoo tak nahi nikale ??”
Baba “ ansoo toh khud tumne bhi nahi bahaye toh bhaiya se ummid kyun bhai ..??”
Baba ki baat sunkar jai-chand ka kapti sasur chunk gaya …unse jo socha tha uske ult jawab baba ne use diya tha …ab kyuki babanath apne ilaake ka mana hua banda tha ..uske baare me mashoor tha ki uske paas har samay hathiyaar rehta hai …chahe time kaisa bhi ho babanath apne sath hathiyaar rakhta tha …or hathiyaar se matlab yahan chaaku ya kisi chote mote hathiyaar se nahi …ek German pistol humesha uske pass rehti thi jise who har waqt apne sath rakhta tha …na jaane use kab iski jarorat pad jaaye …
Baba ke jawab se jai-chand or uska sasur dono tilmila chuke the …per kuch karna matlab apne bachoon ke liye dusra baap dundhna …so mann marker chup reh gaye …
Jahan aaj Rajinder se baat karke babanath ko pata chal chuka tha ki jaisa jai-chand or uske sasur ne kaha tha uske khilaaf Rajinder or uska parivaar waisa nahi tha …balki use khud Rajinder se baat karne ke baad yakin hua ki TB jaisi bimari jisse us ladki ko asani se bachya ja sakta tha …uske baad bhi in logon ne us ladki ko asani se marne diya …yeh baat babanath ke dimaag me bhi beth chuki thi …so usne raat ko jada baat nahi ki …antim sanskar ke baad 4 din tak who wahan ruka …uske baad siddha ghar nikalne ka plan bana chuka tha ..
Or pehli baar jai-chand or uske sasur ko unki chaal ulti padti nazar aa rahi thi …per aage sab unke hath se jada babanath ki marzi per dependent tha ..so mann or jhakh dono sath me maar kar dono so gaye ….
Udhar agle din manu or baaki sab uthe or apne din ke daily rouitine me lag chuke the …kyuki aaj meeting thi so Bhatnagar sir or manu subah apne breakfast ko lekar wahan se nita mam or jass se baat karke nikal chuke the …ab hotel room me apne apne room me jass or nita mam bachi thi …kyuki aaj unka koi plan nahi tha …so dono ne apne room me hi rehkar rukne ka faisla kiya tha …waise bhi hotel acha khasa tha …matlab hotel room me har cheez maujood thi chahe tv ho ya chota sa fridge or bas ek call per khane ke liye room-service so hotel me ruka jada boring nahi tha un dono ke liye …jahan nita mam apne ko tv ke sath busy kar chuki thi wahin …jass ne call karke guru bhai se restaurant ka kaam ka hisab liya (account ka ) or apni dairy me sab note kiya …or uske baad jo dealer delhi me uske plot ke liye contact me the unke sath back-up bhi telly kiya …matlab unke sath site visit ke liye jarori baat ki ..taaki agle din meeting ke baad manu or woh sahi jagah ka chonaav kar sake …matlab jass apni taraf se perfection me kaam kar rahi thi …
Manu or Bhatnagar sir meeting ke liye dusre jagah per gaye kyuki client meeting thi so ….client ne jor diya tha ki quotation ko unhi ke office me clear kiya jaye ..waise toh bahut se distributer’s the wahan per manufacture ke sath ache distribution ke liye ashok sharma ki company ko tender mila tha …per final quotation ke baad hona tha …kyuki mail ke through bahut si cheezain jo clear nahi hoti who face to face clear kiya ja sakta tha ..so meeting ka purpose aap samjh chuke honge …client office ke bahar achi khasi bheed thi …jise dekhkar Bhatnagar sir bhi thode soch me the ..kyuki aksar unka kaam mail se hi ho jaya karta tha ..per kyuki client kaafi bada tha …or uske sath judna matlab long term business profit jiske chalte aaj bahut dino baad unko kisi office me face 2 face aana pada tha …aisa nahi tha ki meeting se unko koi problem thi ..per kuch hesitation tha kaafi din baad meeting se ..per apne Bhatnagar sir the bade cool person oxford university se pass-out Bhatnagar sir andar se jitney bhi tension me hon per samne se cool hi the …
Manu or Bhatnagar sir dono official meeting me aaye the so jaisa co-operate office ka unkaha rule hai …dress conduct matlab dono fully official outfit me the or yahan official meeting me mostly loog …suited the ..jaisa ki mostly hota hai …bhatnagar sir apne grey suit me jahan fit and charming lag rahe the wahin aaj manu ne pehli baar koi suit pehna hua tha …or isme uski help kit hi khud Bhatnagar sir ne …unhone manu ko aaj ke liye specially light sky-blue color ke suit me with matching tie (yahan sab hi suit me with tie the so special kehna zarori nahi hai ..aap samjh sakte hain ..) me tha …bhatnagar sir ka moto tha ki manu center of attraction rahe ..or waise hua bhi …apna manu kisi celebrity jaise chamak raha tha …ab charming personality toh usi pehle hi thi ..per light sky-blue suit me who dhamaal lag raha tha…aisa nahi hai wahan handsome ladke nahi the ..per apna manu wahan apne aap me perfect tha …massom sa chehra perfect athletic tone body choda seena chode baazu …jasper uska suit or aapko toh pata hi hoga suit me extra layer hoti hai padding ki jiske chalte patla insaan bhi tagda lagta hai ..per tagda agar pehne toh ??? aage aap smart hain …
Khair jaisa Bhatnagar sir ka plan tha manu ko center of attraction banana ka waisa hua bhi …manu jaise hi undar aaya reception per jaisa hota hai ki mostly company’s charming ladkiyoon ko reception ka kaam deti hain ..taaki company ka relation or impression acha pad sake jo bhi company me aaye ya company se jude us per ..
Yahan manu ko Bhatnagar sir ne pehle hi warn kiya tha ki who aane se pehle mild deo ka use kare …waisa manu ne kiya bhi …manu or Bhatnagar sir jaise hi reception me aaye unhone greet kiya or apne aane ka purpose bataya toh use lady ne dono ko jab pehli baar dekha toh uski nazarain manu per aisi tiki ki uske baad se hati hi nahi …behchari ne pehle bahut se ladke dekhe honge per manu toh apna manu hi tha ..massom sa dikhne wala manu uska lamba kad ..or perfect body us per uska perfection ke sath gesture jise dekhkar reception wali bhi baar -baar manu ko dekhe bagair reh nahi paa rahi thi …uske baad jaise time aaya saare conference hall me meeting ke liye aa chuke the ..
company badi jaani maani thi ..uske founder company ke chairman ke pad-dada the ..jo ab dunia me nahi the per dada se hote hue pita uske baad company ab pote ke hath me aa chuki thi ..pota matlab Suryakant Aggarwal ji jo age me manu ke baba se bhi bade the …or age jada hone ke karan chalne firne me aajkal unko dikkat hua karti thi..so wheelchair per the ..unki poti jo company ki CEO thi Virnda Aggarwal jo age me manu se thodi badi thi ..abhi tak single thi ..iski wajah aapko aage time aane per pata chal jayegi ..uske pita Suraj Aggarwal ji jo is company ke MD the ..jinhone is meeting event ko organise kiya tha wahan unki tino pidhi maujood thi …matlab dada ..beta oor poti ..suryakant ji beshak chal firne me thode taklif me the ..per unka business mind hi tha jiske butte company aaj kai hazaar crore ka profit banaya karti thi ..unki aaj zid thi ki unko meeting me aana hai …so bete ne bhi jada zor nahi diya ..aisa nahi tha ki suraj ko business sense nahi thi ..per use apne baap se pyaar tha so usne bhi jada jor nahi diya ..
meeting shuru hone me time tha ..
sab meeting room me aa chuke the …suraj or Virnda ke sath wheelchair per Suryakant ji bhi wahan aa chuke the …suraj ne sabko bethne ko kaha …sab apni jagah per beth gaye ..per achanak manu apni jagah se utha …or Suryakant ji ki oor badhne laga …sab chounk gaye ki achanak se manu ko kya hua ..sabse jada tension me toh apne Bhatnagar sir the ..kyuki client ek toh naami tha ..usper influential bhi kaafi tha ..raeesi Aggarwal ji ke khoon me basti thi ..ek galti toh tender toh hath se gaya hi balki ilaaka bhi unhi ka hai ..so galti karke yahan se jana asaan nahi hoga …yeh sab sochkar Bhatnagar sir soch me aa chuke the ..
per manu behichak Suryakant ji ke pass gaya ..or unke wheelchair ke pass akar usne unke pair chue jaise ki uske sanskar the ..
Suryakant ji ne bhi uske sar per hath rakh diya ..bina emotion ke ..per suraj or Virnda hairan the …
Tabhi piche se koi bola ..” yeh lo tender toh hero ne pehle hi apne naam kar liya pair chukar ..lagta hai yeh koi filmi insaan hai ..jo aate hi maska-polish me lag gaya hai ..”
Manu ne piche palat kar dekha “ aapko lagta hai yeh maska-polish hai toh yahi sahi …maine toh ek bujurg insaan ko jo kahin na kahin mere dadu ki age ke hain umka samman kiya hai ..or agar aapko itna hi insecure feel ho raha hai toh aapko yahan aana hi sochkar chahiye tha …”
Manu uske baad apni seat per beth gaya ..woh aadmi jo manu se jawab ki toh ummid nahi kar raha tha ..per manu ne insecurity per kehkar usko tilmilane per mazboor kar diya tha …
Who bola “ aaj ke time me tum pair chune jaise faaltu baation ko yahan meeting tak le aaye ise maska-polish nahi kahun toh kya kahun …or ulta mujhe insecure keh rahe ho ??u villager ”
Manu ne normal lehze me kaha “ thanks aapne atleast mana toh sahi isse pehle shayad kisi ne humare bujurgon ko aise pair chukar samman dena band kar diya …chaliye aaj acha kiya maine ki yeh sanskar jo humare Indian tradition ki shaan hai inko maine aapke aage rakh diya …or agar aapko yeh maska-polish lagta hai toh wahi sahi …per kya aapse ek sawal puch sakta hun …just one question please ??”
Who aadmi gusse me “ hmm ! bolo …”
Manu “ aapke ghar me radio hai na ??”
Who aadmi “ r u some kind of stupid ???? how dare u ??? tumko main itna garib lagta hun ki radio jaisa faltu cheez ko apne ghar per rakhunga ..mere ghar me 75inch ka branded tv hai …”
Manu “ toh aap pakka ghar se yahan tak bail gaadi me aaye honge hai na ???”
Manu ki baat per wahan sabhi muh dabakar hasne lage the…per us aadmi ka gussa bahut bad chuka tha ..
Who aadmi “ how dare u ???? u jerk ….r u some kind of freak or moron ???? main bhala bailgadi me kyun aane laga ??? mere pass roles-royal hai …???”
Manu “ that is my whole point ….ki jab aap modern honge toh aapko har baat old lagegi ..jab aap time ke sath badal gaye ..usi tarah yahan bhi logon ne aapki tarah tradition ko choadna shuru kar diya ..or aaj sabko western culture ki padi hai ..jabki humara culture world me scientific way me proven hai ki hum logon ka tradition one of the best tradition hai …so if I follow my best tradition …what is the big deal …??”
Manu ki baat per us aadmi ko lajawab kar diya per who haar mane ko tyaar nahi tha ..so jab kuch nahi sujha toh usne manu ko kaha “ bloody villager “
Manu ne use kaha “ sorry sir may be I m not modern as like u ?? but atleast I know very well that world’s 85% of population belongs to villages ..not only in india its about whole world ratio …may be as modern people like u …think about that villager’s belong only beneath ur kind of people but think once who supply ur daily grocery and daily product its being made by some villagers think once if villager’s stop making these products would u survive single day ??? may be not u also depend villager’s so don’t think about villagers beneath u …think once ..or think once ur ancestors also belong some kind of village at-lest think about them ..they might be shaming on u about these kind of activities … “
Uska muh utar chuka tha is baat per uska jawab nahi nikal paya …such hi kaha tha manu ne ki agar gaav ek din ke liye supply rok de toh jis coffee se us jaise kai logon ka din shuru hua karta tha or sath me daily saman ke bina unka koi astitav hi nahi tha ..
Is baat per sab hi ek rai se manu se sehmat the suraj ji or Suryakant ji ki aankhon ki chamak bata rahi thi ..ki who bhi is baat se agree hain …per manu wahan ruka nahi who apni jagah se utha or us aadmi kea age jakar uske samne khada ho gaya …
Sabhi hairat me the jaise ki manu use kahin kuch kar hi na daale per manu ne use maarne ke bajay uske pair chue kyuki who bhi umardaraz tha …or kuch azeeb hua manu ke pair chute hi uske hath apne aap manu ke sar per the ..
Manu utha or kaha “ sir aapne dekha tradition humre khoon me hai …aapne itna hone ke baad bhi mere sar per hath rakhkar aashirwaad diya yeh batata hai ki humsabhi bhale hi kitne modern ho jayen apni tradition or roots se jude hue hain …apne ek baar bhi mujhe hath rakhne se pehle nahi hataya ..isse sabit hota hai kia ap bhale hi roles-royal me chalte hain per aapke sanskar aapke sath hain ..mujhe ab aapse koi shikayat nahi hai ..aap age me mujhse bade hain samman yogaya hain ..aapke samman me jhukne me mujhe khushi hui ..wahi khushi mujhe wahan wheelchair per bethe dadu ke pair chune me hui thi …isme maska-polish kaisa ???”
Who admi “ sorry beta mujhe laga tha ki tum shayad yahan kuch tradition ke naam per hasil karne aaye ho ??”
Manu “ aapse kisne kaha main yahan hasil karne nahi aya ??”
Manu ki is baat per who hairan tha ..
Manu “ main hasil karne aaya hun per apne dum per hasil karunga bhi agar meri kismat me hua toh mujhe milega bhi ..per iske chalte main apneaap ko bhulna nahi chahta main kya hun is baat se jada jarori hai …ki main kaise hasil karta hun …apne se badon ke samman me agar jhukna agar dikhawa hai toh yahi sahi mujhe kisiko kuch sabit nahi karna hai ..main jo hun usi me khush hun …agar tender mujhe na milkar aapko mila tab bhi such kehta hun mujhe utni hi Khushi hogi jitni mujhe khud tender milne per hoti ..”
Who admi is baat per khud ko rok nahi saka aag badhkar usne manu ko apne gale se laga liya ..is baat per meeting room me har koi apne ko rok nahi paya taali bajane se …
Per suraj ji ne aage kaha “ bhai agar aap sabki izazat ho toh meeting shuru ki jaaye ??”
Is per manu us aadmi ke gale se nikal kar apni seat per chala gaya ..
Manu ke bagal me bethte hi bhatnagar sir ne manu ki pith thap thapate hue kaha ..
Bhatnagar sir “ bahut ache tumne toh pehli ball per six hi jadd diya ..i m so proud of u beta ..tum such me bade ho gaye ho …”
Manu ne is per sirf smile karke unko dekha ..or meeting shuru hui ..sabhi ne apni-apni quotation di ..per sabse last me Bhatnagar sir ne quotation di jisme unka oxford university se graduate hona yahan kaam kar gaya …bhatnagar sir ne pehle ke 10 saal ke time period me jo us client ka loss or profit tha uske besis per chart tha use sabke samne rakha or sath me distribution ke liye bhi acha rate diya jiske baad client matlab Aggarwal family me kuch der baat hui or finally tender mila sharma & company ko matlab manu or Bhatnagar sir ko …
Sabhi is baat se or unki tyaari se bahut impress the …kyuki jaise unhoone wahan presentation diya tha uske baad saaf pata chal raha tha ki …galti ki gunjaiyish hi nahi hai …khair meeting kuch ghanton me over ho chuki thi …or azeeb baat yeh ki who aadmi tender milne ke baad khud aage badkar wahan sharma & company ke liye Khushi se congrats kar raha tha …usne Bhatnagar or manu ko congrats kiya or wahan thodi der baat karne ke baad nikal gaya ..aise hi wahan baaki loog bhi apne-apne staff ke sath wapas nikal gaye ..or jab manu or Bhatnagar sir jaane lage toh reception per unko rok liya gaya ..
Reception wali ladki “ sir aapko chairman sir ne office me bulaya hai ..”
Manu or Bhatnagar sir dono kuch der baad chairman ke office me khade the ..jahan Aggarwal family ke loog maujood the ..jahan suraj or Virnda Bhatnagar sir ko apne sath le gaye contract per sign ke liye ab room me manu or Suryakant bache the ..
Suryakant “ beta tumhara naam kya hai ??”
Manu “ ji mera naam hai Maanav Singh ..”
Suryakant “ beta sharma ji ki company me kabse ho ??”
Manu “ ji unke sath kuch saal hi hue hain..”
Suryakant “ beta tumhare ghar me kon kon hain or tumhare pita kya karte hain ??”
Manu “ ji mere ghar me mummy papa or ek chota bhai hai ..or mere papa ek chote se majdoor hain ..”
Suryakant “ wahi main soch raha tha ki ek aisa sankari ladka yahan meeting me kaise aa gaya ..per mujhe such me Khushi hai ki tum aaj mujse mile …jaise tumne us aadmi ko jawab diya or use bina nicha dikhaye apna murid ban aliya ..or tender milne ke baad bhi maine dekha use khud tumko badhai di mujhe tumko dekhkar such me bahut Khushi hui ..tumhare maa-baap ne such me bahut ache sanskar diye hai tumhe ..”
Manu “ ji sukriya sir..”
Suryakant “ beta sir nahi tum chaho toh mujhe uncle keh sakte ho ..”
Manu “ agar bura na mane toh main aapko uncle nahi kehna chahta ..”
Suryakant “ uncle kyun nahi beta …uncle me kya burai hai ..”
Manu “ uncle me burai toh kuch jada nahi ..per uncle sunne me kuch samjh nahi aata ..”
Suryakant “ matlab ..”
Manu “ matlab uncle toh aajkal kisi ko bhi kahin bhi keh dete hain ..uncle me utna apna-pan nahi hai jitna humare yahan ..chacha ji ya tau ji kehne me ata hai ..”
Suryakant hanste hue “ thik hai jo tumhe thik lage ..”
Manu “ toh main aapko dadu kahunga ..agar aapko dadu se dikkat na ho toh ..kyuki aap ko dekhkar dadu wali feeing aati hai …”
Suryakant “ toh tumko mujhe dadu kehna hai ..toh yeh tay raha ..abse tum mujhe dadu hi kahoge ..”
Is baat per dono hansne lage ..per achanak se manu thoda serious ho gaya ..
Suryakant “ kya hua Maanab beta koi baat hai ..dadu se kuch kehna chahte ho ??”
Manu “ haan dadu aapko kuch batana chahta hun ..”
Suryakant “ kya beta ,,jo kehna hai saaf saaf kaho ..”
Manu “dadu jaisa ki maine aapko bataya mere papa ek majdoor hain matlab unko kaam ke chalte chote kaam tak karne padte hain ..matlab saf-safai tak jiske liye kai baar mujhe logon ne nicha dikhane ke liye “ jamadar ka beta “ tak kaha hai ..toh soch raha hun kia ap jaise bade insaan ko kahin mere jaise chote insaan ki badnaami na lag jaaye ..”
Uski is baat per Suryakant bahut jor se hansa ..manu hairat me tha ..baat yahan serious thi per Suryakant aise hans raha tha jaise manu ne koi joke mara ho ??
Suryakant “ sorry beta main apne ko rok nahi paya ..tum yahi kehna chahte ho na ki main agar tumhara dadu ban gaya toh tumhare pita ka chota kaam isse humari badnaami toh nahi hogi ..??? yahi matlab hai na tumhara ??”
Manu haan me sar hila deta hai ..
Suryakant “ beta ek kaam karoge ..??”
Manu “ jo boliye ..”
Suryakant “ ab beta main toh chal fir sakta nahi per tum meri chair ko mere bataye jagah le chaloge ..??”
Manu ne uske baad chair ko pakad liya or dhakelne laga jahan suryakant ne use bataya wahan le gaya dono ek hall me pahunch chuke the ..jahan bahut si tasveerain lagi hui thi ..jinko dekhkar lag raha tha ki who bade pahuch wale insaan honge ..
Suryakant “ beta yeh sab tasveerain humare baap dadaon ki hai dekh rahe ho na ??”
Manu “ ji haan ..”
Suryakant “ beta yeh sab humare dada or pad dada hain jo shuru me ameer nahi the bahut maamuli se insaan the ..jinka kaam dhoodh bechna tha ..yeh time milne per har tarah ka kaam kar liya karte the …so abhi bhi tumko lagta hai hum jada bade insaan hai ..??”
Manu “ per ..”
Suryakant “ dekho beta kaam jeene ke liye jarori hai ..per kaam sirf jeene ka zariya hai ..use lekar nicha sochne ya nicha dekhne ki zarorat nahi hai ..kaam sirf kaam hota hai ..insaan ki asal pehchan uske karmo se hoti hai …naki uske kaam se kaam toh bas kamai ka zariaya hai…jahan kaam badala zariya apne aap badal jata hai ..use lekar khud ko chota samjh ne ki zarorat nahi hai ..agar tumko mujhe dadu kehna hai toh dadu kaho ..usme sochna kaisa ??”
Manu “ toh main aapko dadu hi kahunga …ab thik hai na ???”
Suryakant “ beta such me tumse milkar muje tumare roop me pota hi mil gaya ..meri badi chah thi pote ki ..per kismat ne pote ki jagah poti de di ..mujhe pote or poti me antar karna acha nahi lagta ..meri poti bahut achi hai …such kahun toh pote ki jarorat hi mehsoos nahi hui aajtak ..per uski maa use janam dete hue hi chal basi ..aajtak maine or uske pita ne bade naaz se use paala hai ..per jo ichaa barson pehle uske janam se dab gayi thi ..aaj tumhain dekhkar wapas laut aayi …tumko dekha toh dil kiya ki tumse baat karun tumko jaanu or tumhare vichaar sunu ..or such kahun toh jaise tumhare vichar jaane bahut acha laga mujhe ki tum kitne ache soch ke sath aage bad rahe ho ….mujhe Khushi hai ki maine tumse aaj baat ki ..verna main toh samjh tha ki aajkal ke bache bas chakachondh ke piche bhaagne me hi lage hue hain …”
Manu “ thanks dadu ki aapne mujhe itna samman diya ..per aapse milkar bhi maine jana ki insaan apne kaamo se bada banta hai naam or kamai ke jariye se nahi ..yeh toh aap jaise kisi achi soch ke bujurag se milne per hi possible tha ..mujhe Khushi hai ki ..main aaj aapse mila ..”
Dono baatain karne lage kuch hi der me dono kaafu ghul mil chuke the ..manu ne achanak se pucha ..
Manu “ waise dadu aapko hua kya hai jiske chalte aap chalne firne se mera matlab samjh rahe hain na aap ..”
Suryakant “ maanav beta ..”
Manu “ ohhh! Sorry dadu batana bhul gaya …family me sabhi mujhe manu kehte hain ..aap bhi manu hi kahiye ..”
Suryakant “ manu acha naam hai ..per Maanav usse acha hai ….toh sono beta manu kuch dino se kamar me achanak se dard hua uske baad pair rakhna hi zameen per possible nahi hua ..or aage sab tumhare samne hai ..”
Manu ne dhyaan se Suryakant ko dekha kuch der hath pakad kar kisi doctor jaise unki nabz check ki ..or thodi der me kaha ..” are dadu aap toh perfect hain ek baar khade hoyiye na please ek baar …aapko ek jaado dikhata hun ..”
Suryakant ne jaise taise koshish ki or chair se khade ho gaye ..unse siddha khada nahi hua jaa raha tha …unke pair kaamp rahe the ..manu ne unko sahara diya hua tha ..per achanak se manu unke samne se piche ki taraf gaya or usne Suryakant ko kisi bache jaise kaskar hawa me kamar se dono hathon ko lapetkar utha liya ..or hawa me ek baar idhar ek baar udhar lehra diya ..jisse Suryakant ek baar toh darr sa gaya ..per uske hawa me hilne se uski ridh ki haddi me kadakkkk! Ki do baar awaz aayi or ..manu ne use zameen per choad kar door hat gaya …
Or badi azeeb baat hui ki siddha khada hone or pair kaampne per mazboor Suryakant apne pairon per siddha khada tha …uske pairo me ab khoon bahut tezi se beh raha tha …uske sath hi manu ne suryakant ke gardan ko ek baar pakad kar left or right me chatka diya …ab toh Suryakant khud ko bilkul fresh mehsoos kar raha tha …
Suryakant “ manu beta yeh kya kiya tume or achanak se tumne mujhe jaise dara hi diya ..mujhe toh laga jaise mere akhiri time aa chuka hai ..per tumne toh is buddhe ko wheelchair ka mohtaaj hi na choda …per yeh sab kaise mujhe samjh nahi aata ki main tumhe kaise thanks kahun …???”Suryakant ko shabd nahi mil rahe the ..
Manu “ who kya hai na dadu aapki wheelchair ne mujhse kaha ki apne dadu ko mujse utha do main bore ho gayi hun ..so maine uski baat sun li …or waise bhi mere dadu hai ..mujhe acha nahi lagta ki ashirwaad ke liye aapki wheelchair se pehle permission leni pade ..so kar diya jadoo “
Suryakant ne aage badkar manu ko apne seene se laga liya …uske gale lagane se pata chal raha tha ki use manu me kitna apna-pan lag raha tha .. Suryakant jo bahut kathor kisam ka insaan tha ..per uske aankhon me manu ke liye apnapan dekhkar or uski aankhon me halki si nami dekhkar koi bhi bata sakta tha ki Suryakant kaise manu ko apna maan chuka tha ..
Suryakant manu ke gale laga hua tha ki wahan Virnda or suraj aagye Bhatnagar sir ke sath ..teeno hairan the ki wheelchair per bethne wala Suryakant achanak se khada kaise ho gaya …
Suryakant “ suraj or vrindu beta aise mat dekho ..yeh sab ek jaado ka kamaal hai …hahahahahah!”
Suraj “ per papa kaise ..mera matlab hai doctor toh aapse haar maan chuke the ..toh achanak se yeh chamatkar kaise hua ..??”
Virnda “ daadu aapko bata nahi sakti main kitni khush hun ..aapko is wheelchair per dekhkar main kaise ji rahi thi yeh mujhe pata hai …per dadu yeh hua kaise ??”
Suryakant ne manu ki taraf dekha manu ne na me sar hila diya ..ki mere baare me mat kehna …
Suryakant “ beta pata nahi apne aap hi mann kiya ki chair se uthkar chalne ki koshish karun or pata nahi kis jaado ne mujhe thik kar diya ..per jo bhi ho …is budhhe ki umar thodi jaroor bad gayi ..kam se kam ab chalkar tumhare khushiyoon ko enjoy toh kar sakunga ..”
Virnda ki Aankhen bhar aayi thi suraj bhi khush tha …apne baap ko chalte dekhkar …kyuki besahq raees the Aggarwal family per paise ke sath family me sirf yeh tin jane hi the ..jinme Suryakant or suraj dono ki biwi dunia me nahi thi ..or vinrda abhi tak shaadi ke liye soch hi nahi rahi thi …per aaj anjaane me hi sahi manu ne unko khushiyoon se bhar diya tha ..kyuki Suryakant jo ko lekar dono baap beti pareshaan the ..per uska marz samjh me hi nahi aa raha tha kisi ke …or dard ki dawai lene ke alawa or koi jariya nahi tha ..so Bechara bas wheelchair ka mouhtaaz banchuka tha …per ab sab thik tha ..
Manu “ acha sir ab hume jaane ki izzazat dijiye ..”suraj se manu ne kaha ..
Suryakant use rokna chahta tha per manu ne use aankh maar di ..suryakant uski baat per hansne laga ..
Suraj “ ok aapka contract ka kaam final ho chuka hai ..per aaj kyuki bahut dono baad humare ghar khushiyaan aayi hain …so aaj shaam ko ghar per ek party hai ..or main aapko abhi invite kar raha hun..aap loog humare ghar jaroor aaye ..”
Manu “ thank u sir per hotel me kuch or family member bhi hain sath me ..”
Suryakant “ are toh beta kehne ki baat hai kya …unko bhi sath le aana ..toh tay raha shaam ko mulakaat hogi party me or tumko ana hi hoga ..main nan ahi sunuga …ok “
Manu “ ji thik hai shaam ko milte hain ..”
Suryakant “ virndu beta inko bahar tak choad aao ..please ..”
Virnda “ dadu yeh baa tachi nahi hai ..aap please kehte ache nahi lagte order dete hue ache lagte hain …so wahi kijiye jisme aap ache hain …ok main jaati hun inko see-off karne aayie mere sath ..” vrinda manu or Bhatnagar sir ko bade adab se bahar le gayi or see off kar diya …
Suryakant jaate hue manu ko piche se bade dhayaan se dekh raha tha ..jaane kis soch me tha …suraj ne uski nazaron ka picha kiya toh paya uska baap manu ko jaate hue dekh raha tha ..uske baap ke chehre per eka lag si smile thi ..
Suraj “ papa aap thik hain na ..??”
Suryakant “ beta thik kya hota hai ..main toh behtar hun ..chahe toh race laga kar dekh le mujhse ..hahahha”
Suraj “ sorry papa aapse bina puche achanak party ka soch liya …”
Suryakant “ beta tune bilkul sahi socha ..mere dimaag me pehli baar yeh baat late aayi ki party toh banti hai …such me tune bahut acha kiya indono ko invite karke ..”
Suraj “ papa aaj aap bahut khush lag rahe hain sab thik hai na ??”
Suryakant “ beta pehle shayad sahi na ho per ab sab sahi hai …yeh jo ladka yahan se gaya hai na ???”
Suraj “ haan kya galat hai …per papa mujhe toh such me bahut acha or sanskari laga ..”
Suryakant “ beta kab bada hoga aadhe me hi bol pada ..pehle puri baat toh sun leta ..”
Suraj “ sorry papa …per ladka such me bahut bhala or masoom hai ..”
Suryakant “ bhala or masoom toh hai hi ..per jaadogar bhi hai ..hahaha”
Suraj hairani se “ jaadogar matlab “
Suryakant “ haan jaadogar hi hai dekha nahi kaise bhari meeting me apne khilaaf bolnewale ka bhi dil jeet liya yeh kisi jaado se kam hai kya ???”
Suraj “ haan aapki baat me dum hai ..verna mujhe toh aisa laga tha ..ki meeting ke baad yahan se do group personal dushmani lekar nikalenge ..per hua ulta hi ..tender bhi yeh ladka le gaya or us aadmi ko bhi isne apna bana liya …kuch baat toh hai is ladke me jo apne-aap uski taraf khinchti hai …or baat yahan khubsorati ki nahi hai…khubsurat toh bahut honge per is ladke ka daring or clam nature or positive attitude use baaki bheed se alag karta hai ..yeh pakka life me kuch na kuch karega jaroor ..yeh mere six sense keh raha hai..”
Suryakant “ beta lagta hai aaj kasam kha rakhi hai apne baap se har baat cheen lene ki ..per tumne sahi kaha ..or acha laga jaankar ki tumne use notice kiya ..wastav me yeh bahut lambi race me jeetne wala hai ..abhi thoda kam may be apne resource se ho per jahan sahi chance mila wahan ise ignore karna matlab future ko ignore karna hai ..or uska sathi bhi kam nahi tha …na jaane kaise per dono apne me bemisaal the ..yeh tumne acha kiya ki shaam ko dobaara unse mil payenge kyuki jaldbaazi me undono ka number lena yaad hi nahi raha mujhe toh ..”
Dono baap bete jahan manu or Bhatnagar sir ke baare me baat kar rahe the ..manu or bhatnagar sir apne hotel ke liye taxi pakad chuke the ..virnda bhi unko see-off kar ke wapas papa or dada ke pass aa chuki thi ..
Manu or bhatnagar sir dono hi khush the ..ek toh contract milna us per last day per ek grand party jisme delhi ke or logon se milkar business expander ke liye scope dekhna hoga …or naye logon se milna or nayi jagah per jaan pehchaan badane se profit hi tha ..
Bhatnagar sir ne taxi me bethte hi manu ko gale laga liya ..”dekha tumhari wajah se tender mil gaya ??”
Manu “ sir aap galat keh rahe hain tender aapki mehnat se mila hai …naa ki meri wajah se ..”
Bhatnagar sir “ dekho jaisa plan tha tumo centre of attraction rakhne ka waisa hua bhi tumne sabhi ko pehle hi negative se positive me badal diya ..uske baad toh sab malai tha ..malai ..ab chahe tum yeh mano ya na mano per tender milne ki asal wajah tum ho ..”
Manu “ sir aap mere guru hain aapse behas toh kar nahi sakta per yeh bhi such hai pichle 10 saal ka record ..or usper aapki pakad is tender ki asal wajah hai …baaki aap kuch bhi kaho ..”
Bhatnagar sir “ or party ke baare me kya kahoge ??”
Manu “ party uska kya ??”
Bhatnagar sir “ beta aaj se tumko nahi jaanta hun ..mera us room se jana or achanak se ek aadmi ka wheelchair se uth jana ..aise chamatkar filmo me hua karte hain …asal zindagi me nahi ..or mujhe is me tumhara hath nahi ..pura ka pura manu dikh raha hai …so mujhse jhunth bolna bhi mat ..”
Manu samjh chuka tha kia age kuch bhi kehna matlab baat khinchna ..so usne baat badal di ..
Manu “ acha sir aapne sharma sir ko bataya ya nahi ???”
Bhatnagar sir ne apne sar per hath mara “ are yaar kahan abhi toh free hue hain acha yaad dilaya ..unko call hi kar leta hun …”bhatnagar sir apni call per busy ho gaye ..or manu taxi se bahar dekhne laga ..sheher ki chamak dhamak ko …
Udhar who dono aadmi jo sofia or neha ko kidnap karne ke chakkar me the aaj pehle din fail ho chuke the ..kyuki sofia aaj apne room se hi bahar nahi nikali thi ..or neha theri uski sathi ..dono sath me hi the …or rahi baat daily saman ki toh uske liye unke bodyguard or baaki lamba sa staff Mr Boss ne diya hua tha ..so dono maharani bas aapna muh hilati or saman unke samane hazir ho jaya karta tha ..
Aadmi 2 “ yaar ab kya kare saali haaraman kutiya bahar hi nahi nikali aaj toh ..udhar us harmi ne humara family ko kidnap kar liya hai …sala taraf kuan ek taraf khai ??”
Aadmi 3” baat toh teri sahi hai …per kar kya sakte hain jab saali bahar hi nahi aayi toh ghar me use kidnap karna matlab uske body-guard se free me ek goli lekar so jaana ..”
Admi 2 “ abe saale goli lekar so jaana matlab “
Aadmi 3 “ lagta hai tere bheje me problem hai ..verna goli lekar so jana matlab samjh nahi ..aaya ..abe dhakkan goli matlab uski bandook ki goli or sona matlab permanent sona ..samjha …”
Aadmi 2 “ bhai kamse kam tut oh mat faad pehle hi kaam lode lage hue hain jo tu …aand bhi bator ne ke liye laga hua hai …kuch soch ..verna family wale mar jaynge ??”
Aadmi 3 “ tu lagta hai chutiya hai ..abe us aadmi ko sirf us sofia or uski chamchi se matlab hai ..usko khud unse badla lena hai ..jab tak who dono uske hath nahi lagti humare gharwale safe hain ..tu haal filhaal kaam per dhyaan de ..”
Aadmi 2 “ bhai per phir bhi “
Aadmi 3 “ tu aaj nahi kal per dhyaan de…kyuki chuk ke baad koi na koi toh pakka kam hoga …ya toh who ya..hum ya humari family ..so abhi sirf kaam per dhayan de..”
Aadmi 2 “ sahi hai bhai … aaj nahi toh kal paka is madarchod sofia ko le udenge hum ..tu bhi tension mat le “
Aadmi 3 ne uske kaan ko sek diya ..” saale ek toh teri khud ki fati hui hai ..us per bhi mujhe samjha raha hai …tu muh kam dimaag chala ..wahi aise me sahi hoga …or kal sofia or uski chamchi paka humare hath me hogi ..”
Dono sath me apne dimaag me kal ke liye plan sochne me lag chuke the ..ki kaise sofia ko kidnap karna hai …
Udhar manu or bhatanagar sir apne hotel me aa chuke the ..jass or nita mam ke pass manu chala gaya ..kuch der dono se baat ki ..or shaam ko party ke baare me bataya ki shaam ko who dono ready ho saken …nita mam or jass bahut khush thi ki sheher me aate hi ek badi jagah ki party me jaane ko milne wala hai …manu unko bolkar apne room me nahakar or room service se khana mangwakar use khakar alarm laga kar so gaya …taaki shaam ko fresh mood se party enjoy kar sake …..
Manu jahan party ke liye khush tha wahin jai-chand or uska sasur babanath ko abhi bhi bhadkane me lage hue the ..per kya baba unki baton me aane wala tha ..or kya who dono aadmi kya sofia or neha ko kidnap karne me kaamyaab honge …or achanak se is party me jaana or sofia or neha ka kidap or iske sath nita mam ka bhai jisko abhi tak pata bhi nahi tha ki uski sagi behan delhi me moojod hai …kya such me nita mam ki jarorat thi unke bhai ko ya koi gadbad hai yahan ..yeh toh sirf waqt or kismat ko hi pata hai ..ki aage kya hoga ..

Jaichand ke bare mein jaisa socha tha vesa hi usne kiya but yeh kya naya siyapa pe gya bro uski saali khudki maut mari hai ya......