Bade lambe antraal ke baad ek behtreen update dost
Update 97
Manu ka hansna or rakesh ka hairan hona apne aap me wahan dekhne layak tha.jahan bacha apne maa baap ka naam batakar rakesh ko hairat me dooba chukka tha wahin …..hairat ka haal rakesh ki side se kuch aisa tha ki …rakesh kabhi apne hath me police ki unofficial send ki hui (unofficial isliye kyuki jab case me inflluanail people involve hote hain tab bahut se pre-caution liye jate hain )pick ko dekhta toh kabhi us bache ko ….
Bacha apne me magan tha ..per manu ne pass khade us bache ko pic se match kiya or rakesh ke kandhe per hath rakh kar kaha “” toh superhero saab kam se kam is bache ke maa-baap ko bata toh do ki unka bacha safe hai “””
Rakesh apne hairani ke bhawar se bahar aakar bache ko dekhta hai tab uska dhayan us autowale ke taraf jata hai jo side me soch me gum tha …rakesh ki vardi us autowale ko anjaane me dara rahi thi …
Badi azab hai yeh vardi bhi jab insaan dara hua hota hai tab uski dhaal hoti hai yeh vardi or jab galat hota hai tab usi insaan ke samne kisi or masoom ke liye phir dhaal hoti hai yeh vardi …
Khair idhar manu ka dhayaan is samay bache se zada us autowale ke chahre per laga hua tha …jo jane anjaane me uske or rakesh ke hero wale plan ka sabse bada chamdid- gawah tha …
Rakesh ne jab manu ki baat suni toh who apne bhanwar se bahar aaya or usne us bache se thodi baat ki bacha (aap soch rahe honge ki bacha kitna bada hoga toh yahan itna samjh lo ki doremon cartoon samjhne layak hoga …us bache ki age yahan mation nahi kar raha hun uski sirf ek wajah hai ki agar us bache ki age mention ki toh story me phir se age ki strike aa jayegi so aap andaza laga sakte hai ki bacha kitna bada hoga … )
Khair rakesh ne udhar pick se related number per call karke inform kar diya ki bacha uske pass safe hai …or uske call cut karte hi judge saab ki dear wife urf bache ki maa ka call rakesh ke pass aya jiske baad rakesh se bache ki maa ne usse baat karwane ki kaha …
Bache ne apni maa se baat ki or uske baad rakesh ko phone (mobile) de diya ..rakesh ne bache ko safely unke pass lane ko kaha or call cut kar diya …or manu ke pass aakar usne dheere se kaha “ bache ko uske ghar choadna hai uski maa se baat ho chuki hai ab ???”
Rakesh ne adhuri baat kahi thi us autowale ko dekhkar manu uske adhuri baat ka matlab samjh gaya tha …so usne us autowale ko dekha or rakesh se dheere se kaha “ superhero toh aap bane hain inspector saab ab apne fan ko bich me kyun laa rahe ho ?? waise bhi yahan kaam jo aapke tever se ho sakta hai uske liye mera mehnat karna sahi nahi hoga “ manu ka ishara rakesh samjh chukka tha …
Rakesh ne autowale ko ek kadak tarike se dekha jisse autowala andar tak kaamp gaya ..or uske baad rakesh ne usko bulakar pucha “ haan toh tumne yahaan kya dekha ???”
Autowala beshak bakchoad kisam ka insaan tha per jab samne vardi me ek inspector kadak aawaz me kuch puchta hai tab ache se ache kanoon mannewala insaan bhi darr jata hai so uska bhi thik waisa hi haal tha …
Autowala dono hath joad kar “ saab .. main bahut garib aadmi hun mujhe insab se kuch lena dena nahi hai …aap dono bade loog ho jo kahoge main wahi maan lunga bas mujhe yahan se jaane do ..”
Rakesh “ toh thik hai yahan tum the hi nahi or na tumne kuch dekha or na kuch suna ..or agar bhule se bhi kisi se kuch kaha ya kuch kehne ki kosish ki toh …” rakesh ne baat adhuri choad di per uski adhuri baat ka matlab who ache se samjh chukka tha …
Per rahi sahi kasar manu ne uske kandhe per hath rakhkar puri kar di manu ne autowale se bade hi muskurahat bhare tarike se kaha “ baat yahan garib yaa ameer insaan ki nahi hai tumne har baar garib ka raataa laga kar rakha main sunta raha ..jab is masoom bache ko bachane me or tumko hero banker aage aane ko kaha tumne usmne bhi apna picha chudaya tab bhi maine kuch nahi kaha ..per iske baad jo kuch bhi tumne inspector saab ne kaha hai usme bhi garibi ka ratta laga liya ..toh ek baat ache se samjh lo ki aajke baad na tum humdono ko jaante nahi ho or na hi is shehar me nazar aaoge or agar is shehar me nazar aaye or tumne muh khola toh itna ache se samjhlo ki pehle inspector saab se mulakat hogi tumhari jo shayaad tumko achi na lage …or uske baad shayad mujhse milna pade who bhi aakhiri baar ..aage tum samjhdaar ho …” manu ne bhi halke or bhari dono tarike se usko samjha diya tha ..ki rakesh se who kanooni tarike se bach nahi payega or agar bacha toh phir manu ka who itne hathiyar band kidnaper’s ka dunia choad jana uske aankhon ke samne tha ..jiske baad shayad hi autowala manu ko dubara apne samne dekhna chahega …
Manu ke or rakesh ke kadak tarike ka andaaz dekhkar autowala samjh chukka tha ki uski chupi hi uski umar ki line chalne ki guaranty thi …so usne hath joad kar “ saab aapne jo kaha hai wahi hoga main aap dono ko nahi jaanta hun or na aap dono se kabhi mila hun ..or aaj hi shehar choad dunga “
Uske baad who autowala wahaan se nikal gaya… rakesh manu or us bache ke sath apni gadi ki taraf chalne laga ..
Rakesh “ manu per tumko nahi lagta usko shehar choadne ke liye kehna jada nahi ho gaya ..”
Manu “ superhero saab yeh aapke or humari safety ke sath us autowale ki apni safety ke liye jada jaroori hai …or itni kimat us lihaz se jada nahi hai ..”
Rakesh “ per “
Manu “ per war kuch nahi who badbola insaan hai ..or badbola insaan jitna aapke baare me kam jane utna aapke liye sahi hai …or kyuki aaj nahi toh kal ko badbola insaan khud ki zabaan ki gulami ke chalte kisi ko kuch bhi bak dega tab uski sirf zabaan hilegi per dikaat hum dono ko hogi …so jobhi maine kiya soch samjh kar kiya ..or waise bhi faisle ko lene or faisle ko apply humesha sakhti se hi kiya jata hai verna faisla ki kimat sahi nahi hua karti or kabhi kabhi sakti karni padti hai waise bhi usko pure raste maine ache se notice kiya tha ..woh apni zabaan ka gulaam hai or jo insaan zabaan ka gulaam hota hai who jitna kam aapke samne aaye utna acha …tum zada mat socho …”
Rakesh samjh gaya manu ke sakht rukh ke piche ka matlab samjh gaya tha..ab dono rakesh ke gaadi me bethe or chal diye us bache ke ghar ki taraf ..
Per raste me manu ne rakesh se kaha “ hero saab isko (bache ko) toh aap akele bhi choad sakte hain per please pehle mujhe court me choad do wahan abhi mujhe hona chahiye …kyuki undono (jass or nita) ko thodi der jane ka bolkar nikala tha ..per raste me yeh sab ho gaya ..so please mujhe pehle drop kar do ..”
Rakesh waise toh bolne ko tha par jada kuch nahi bola or usne gaadi court ki taraf mod di ..
Udhar judge saab (bache ke pita ) apne chamber me bethe hue soch me gum the ki unke bete ka kya hua hoga ??
Kyuki bache ki maa ko toh rakesh ne bata diya tha ..per uski maa judge saab ko batana chahti thi per kyuki unko time mila nahi (isme unki intention thi ki jaise hi time milega who sabse pehle apne husband ko inform kardengi ki unka beta safe hai ..per job is job or chahte hue bhi who call nahi kar payi) so judge saab soch me gum the ..ki unka beta jo age me chota hai kahan or kis haal me hoga ??
Per kaam se na koi bach paya hai na hi is bhaagm-bhaag bhari dunia me possible hai so jaise hi unke case ka time hua who na chahte hue bhi anmane mann se bahar chalne lage ..
Judge saab ka dil is samay aisa kar raha tha ki sab kuch choadkar who kaise bhi apne bete or beti ko dekh pate ..per yeh possible nahi tha ..so bade hi bemann se who uthe ..or apne chamber se bahar nikale ..
Or mann me sochte hue chalne lage ki unka beta is bheed bhaad bhare shehar me din dhaade kaise gayab ho gaya ??
Ki judge saab aage chalne lage per piche se unko ek awaz aayi “ papa …papa “
Judge saab ko laga unke kaan baj rahe hain unko laga ki unka baap ka mann unko unke bete ki awaz suna raha hai ..so bechare us awaz ko unsuna karke aage chalne lage ..
Per awaz phir aayi “ papa …..papa “ judge saab ka ek baap ka mann ab bhaari ho chala tha ..ek sakht insaan ek sakht judge saab jinke ek faisle se logon ke Jeevan ki disha badal jaya karti thi ..unka aaj bura haal tha …unka dil-o-dimaag aaj har us maa-baap ka dard samjh sakta tha jinke bache kidnap ho jaya karte the ..or paise or jameen jaidaad dene ke bawzood bhi jinda nahi mila karte the ..kyuki judge saab ek criminal minded person ko ache se samjha karte the ..or who yeh bhi samjha karte the ki aksar kidnaping ke case me kidnapers jisko kidnap kiya jata hai usko zinda muskil se hi choada karte the iski kai wajah hai jinme se ek wajah kidnapers ki apni pehchaan jiska kidnap hua hai who na bata de is wajah se usko zinda choadna possible nahi hua karta hai ..or aksar jinko kuch sabak sikhane ke liye kidnap kiya jata hai ustarah ki kidnaping me bhi …apna sabkuch dene ke baad bhi accused (kidnaped person) ko zinda nahi choada ja sakta hai ..so ek criminal psychology ko samjhne wala insaan bakhoobi samjh sakta hai …so judge saab undar se bahut saari udheedbun me the ..jinka dil or dimaag abhi apne aap me uljha hua tha …jinki aatma bas andar se apne bache ki dua maang rahi thi ki kaise bhi unka bacha sahi salamat unko mil jaye …
Or aise halat me insaan aksar illusion ka shikar ho jata hai so unke kaano or dilo dimaag pe apne bete ka khayaal haavi tha ..
Per yeh awaz or tezi se sunai dene lagi thi…judge saab ne khud per badi muskil se kaabo kiya hua tha ..aaj unka mann har kidnaper ko or har criminal ko dunia se mita dene ka kar raha tha ..per na toh sab criminal unke court me unke samne pesh the or nahi sab criminal ko saza dena unke abhi bas me tha ..so unke dil ki chatpatahat ek baap hi samjh sakta hai jisne yeh sab face kiya hoga ..
Per “” papa ….Papaaa “” ki awaz judge saab ko is time kitna dard de rahi hogi isko toh judge saab ka dil hi bata sakta hai …
So judge saab apne khayaalon me khoye hue chalte ja rahe the ki achanak se unke piche kisine aakar unko piche se pakda jisko judge saab ke sathi ardali (jo judge saab ke sathi hote hain unko aapne dekha hoga movies me darbaan ki tarah dikhate hain jabki asal zindagi me security ke loog judge saab ke sath hote hain jinko security na kehkar kabhi kabhi ardali bhi kaha jata hai .. )kyuki yahan judge saab chouke toh security wale ne bhi piche palat kar dekha toh school dress me ek bacha judge saab ko rok raha tha …
Bache ke piche piche rakesh or manu aa rahe the kyuki rakesh ka dhayan halka sa chukka toh bacha bhaagne laga tha or anjaane me hi who apne baap tak aa chukka tha toh manu or rakesh uske piche bhaagte hue aaye ..
Judge saab ko pehle toh yakin hi nahi hua ki unka beta unke samne kisi chamatkar ki tarah unke samne aa chuka tha …
Rakesh ne judge saab ko soch me gum dekha toh judge saab se kaha “ sorry sir mera dhyaan kahin or tha so yeh bacha galti se aapko tang kar raha hai im so sorry sir …chalo beta aapko ghar bhi choadna hai aapki mummy ne kya kaha tha yaad hai na aapko ghar per chalna hai aapki mummy or papa ghar per aapka wait kar rahe honge …”
Rakesh ne bache ko judge saab se alag karna chaha ..toh bacha bola “ uncle mujhe papa ke sath hi ghar jana hai ..mummy se baad me mil lunga …”
Judge saab jo abhi tak thage se khade the unhone ab apne bache ko god me utha liya or usko apne seene se laga liya or bache se bole “ haan beta mummy se yahan se free hokar dono baap bete sath me milegain ok naa …”
Rakesh or manu ke sath baaki sab hairat me judge saab ko dekh rahe the …judge saab ne ji bharkar apne bache ko seene se lagakar apna pyaar dikaya ..
(bahut se loog soch rahe honge ki jab judge saab ki security wale unke sath rahete hain toh unko kaise nahi pata ki unka beta dikhta kaisa hai ..toh clear kar dun security office ki alag or ghar ki alag hoti hai mean official nd personal security both are different for security purpose ..so don’t get to confused it..)
Judge saab rakesh se “ thank you maine toh bahut kuch socha tha ..ki pata nahi kaise or kahan or pata nahi kis haalat me apne bache ko dekhunga per thank you ki aapne mujhe mere bache se milwa dia ..”
Rakesh “ sir with due respect this is our duty to serve people like u ..aapko thanks kehne ki zarorat nahi hai sir yeh toh humara kaam hai ..”
Judge saab “ nahi yeh aap bhi jaante hain or hum bhi ki aksar kidnaping me kya hota hai ..per aapka yeh mujhper ehsaan hai ki mera bacha sahi salamat hai …so let me properly thank you ..”
Rakesh “ sir kaisi baat kar rahe hain aap or hum alag nahi hain dono hi kanoon ke mulazim hain toh thanks ka takaluf kaisa .please sir let me clear my side this is our duty …so don’t worry about it..”
Judge saab kuch sunne ko tayaar nahi the ..or rakesh mana karne me laga hua tha ..to aise me manu ne dheere se rakesh ko uske kandhe per hath rakhkar roka ..jise judge saab ne ache se note kiya manu ke ishaare per rakesh bhi judge saab ki baat maan gaya … or baton me tay hua ki yahaan case nibata kar rakesh unke ghar jayega jahan usko judge saab ek treat (family treat ) dekar proper way me thanks kahenge ..
Rakesh kyuki akela rehta tha toh uske liye yeh family treat ab thoda sa uncomfortable sa tha ..aise me usne judge saab ko apne sath manu ko lane ke liye raazi kar liya ..
Idhar yeh sab batain chal rahi thi ki judge saab ko case ke liye jane ka bulawa aaya … bache ko unhone security or rakesh ke sath bhej diya …ab kyuki manu wahan aaya tha nita mam ke case ke liye so who unke pass jane ke liye call karke unse puchne laga ki court number (court room number ) kounsa hai ..or manu ko unhone number bataya toh manu us room ki taraf chal diya ..
Manu jab us room me gaya toh who thoda hairan bhi hua kyuki judge saab usi room me the jis room ka number usko mila tha ..judge saab ka bhi same reaction tha ..
Khair case shuru hua toh kyuki judge saab ke samne sab kuch mouzood tha means case ki details toh unke samjh me sab kuch aa gaya ki kaise nita mam ke sath waisyat ko lekar case tha means judge saab experience se samjh gaye ki property dispute me kahan or kya locha hai ..per kyuki unko wahan manu ka connection samjh nahi aaya toh unhone is per jyaada dhyaan bhi nahin diya ..or kyuki yahan ek side se hi argument thi means nita mam ke bhai ka side rakhne ke liye wahan koi nahi tha …so judge saab ko jaggu uncle ka beta convince karne me laga hua tha ki dispute ko aquire karne ka statement court handover karde ..
Simple bhasha me main matter yeh tha ki case jab court me chalta hai toh ek tarafa sunwai nahi hua karti dusra side bhi court sunta hai ..or agar dusra side wahan mouzood na ho toh aise me wahan sunwai ko agli date de di jati hai taaki dusra side bhi clear kar sake …or yahan kyuki judge saab ache se samjh rahe the case ki file dekhkar ki wasiyat ke hisaab se nita hissa clearly tha per kyuki court ka process hota hai so judge saab ne lunch ke baad sunwai karne ko kaha or apne chamber me chale gaye ..
Idhar manu or riya or raj ke nikalte hi suman ko uske mayeke yani uske baap ke ghar se call aaya ki uske baap or bhai is dunia me nahi rahe …or jaisa ki suman ko pehle hi yeh sab pata tha so usne phone per hi rona dhona shuru kar diya jiske baad jagan bhi utha or suman ka rona dhona sunkar phone le leta hai ..jahaan usko pata chalta hai ki uska sasur or uska sala ab is dunia me nahi rahe ..
Or kyuki ristedaar door se aane baaki the so antim sanskaar agle din ka tay hua tha …suman ko undar se beshakaq itna dukh nahi tha per kyuki jagan samne tha so uska rona dhona zor shor se ba-dastoor zaari tha ..
Idhar judge saab jaise hi apne chamber me aaye toh unhone rakesh se pucha ki uska dost manu wahan case me kya kar raha hai???
Toh rakesh ne bataya ki yeh case uski muhboli maa ka hai ..rakesh jada kuch batane me hichak raha tha ..per uski yeh hichak ne judge saab ka shaq thoda or pakka kar diya ki gadbad kuch toh hai …
Per jab judge saab sochne lage toh rakesh ne judge saab ko kaha ki khud manu hi unko clear kar dega or usne manu ko massage karke wahan bula liya ..
Judge saab ne case ko lekar manu se pucha ki uska kya role hai is bare me toh manu ne unko clear kar diya ki who sirf nita mam ko unka haq dilwana chahta hai ..or kyuki isi jaidad ke chalte nita or khud rakesh kidnap ho chuke the toh aise me manu ne sirf nita ka kidnap bataya ..kyuki yahan agar who rakesh ka kidnap bata deta toh judge saab or unki wife ke samne rakesh ka hero banane ka plan manu ka khul jana tha …
So manu ne sirf jitna zarori tha utna bataya taki baaki cheez agar khule toh usko control kar sake ..judge saab rakesh or manu ki understanding dekhkar hairan the ..per unhone dosti samjh kar ignore kar diya ..per jab nita ke kidnaping ka mamla unke samne aaya toh who samjh gaye ki jaagu ka beta or yahan yeh sab ek tarfa case kyun chal raha hai …
So lunch ke baad unhone ek notice jaari karwa diya nita ke naam per agar kisi ko objection ho toh case ko continue kiya ja sakta hai or agar nahi toh waise bhi waisyat ke hisaab se nita ek louti malik toh hai hi …
so jaisa hona tha hua or uske baad court me nita ke baad case aaya Anthony or farhaan ke bandon ka ab kyuki judge saab pehle se bhare bethe the ..unka sakat rawaiya pehle se badnaam tha or kyuki unki imaandari bhi kuch aisi thi ki unke faisle per higher court bhi hamesha agree raha karte the …so judge saab ne jaise pehle se hi tay kiya hua tha …case kyuki atrocity se bhara hua tha so aise me unhone unsab ko police remand ke baad (police remand me pehle se hi the who sab )cid ke liye refer kar diya ..jiske baad Anthony ne toh sar pakad liya ki uske bande hath me aate aate or door ho gaye …per usse bura haal toh farhaan ka tha ..jiske samjh me abhi tak yeh nahi aa raha tha ki …itna sab planning ke baad bhi fail hua kaise or uske kidnaper aakhir gaye toh gaye kahaan …
ab farhaan ko kya pata uske kidnaper chele ab usko toh kya kisi ko kabhi nahi milne wale kyuki manu unko wahan behj chukka tha jahaan se koi wapas nahi aata …
jahan farhaan or Anthony apna sir pit rahe the gusse or tension me wahan judge saab ke ghar ka chiraag aaj zinda bach gaya tha manu ke wajah se …usne khud kahan socha hoga ki kismat ne khud usko judge saab ke bete ko bachane ke liye wahan bheja hoga ..per manu ne wahan bhi apne kaam ka saara success hero banakar rakesh ko de diya tha ..
jaise hi idhar nita ka notice aaya udhar se manu ne jaisa subah plan kiya hua tha ..nita or jass ko court se siddha wapas jagan ke ghar bhej diya …or khud rakesh ke sath ruk gaya kyuki judge saab ke sath jana tha …waise manu judge saab ke ghar jane me zara bhi interested nahi tha ..per jab rakesh ne kaha toh uske sath jaane ko raazi hua uski do wajah thi ..ek rakesh apne se bade or experience logon ke bich me uncomfortable na ho jisse main focus me rakesh hi hero rahe or dusra rakesh wahan gadbad na kar de …
so jaisa tay hua tha ..yeh dono sham hote hi judge saab ke ghar chal diye ..raste me hi manu ko virnda ka massage aaya ki raj or riya uske farm house per hi hain return me manu ne bhi usko massage me kuch likh diya …judge saab ki car apne raftaar se ghar ki taraf ja rahi thi ..
ab judge saab ke ghar per police wali biwi or uske baad farm house per raj or riya virnda or udhar jagan or suman ke liye agle din hiren or dhiren ka antim sanskaar …yahaan yeh sab ek cheezain manu ko leja kahan rahi hain yeh toh sirf waqt or kismat ko hi pata hai …….