- 17,679
- 61,528
- 244
Thank youCongratulations for 200 pages
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Thank youCongratulations for 200 pages
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Thank youNICE update
Thank youNice update bhai waiting for next update
Update 40Aryan dheere se bolta hai. Kya baat hai Mrs. Malhotra. Aaj bahot hi jyaada khubsoorat lag rahi ho dono. Lagta hai kisi ka qatal hone waala hai aaj.
Meera: Sambhal ke rahiyega Mr. Malhotra. Aaj se aapki nayi life start horahi hai. Humare saare nakhre nahi uthaaye toh aisa naa ho sach mein hi qatal hojaaye.
Aryan: Aree aapke haath se agar qatal bhi hojaaye toh sukoon hai.
Ritika: Bas bas time aane do tab dekhenge kitna sukoon milta hai.
Tabhi waha Sameera apni maa ke saath aati hai.
Sameera: Congratulations Aryan Meera and Ritika.
Aryan ne pahle hi bol diya thaa sabke saamne as a friend behave kare. Kisi ko company ke baare mein pata nhi chalna chahiye.
Teeno: Thank you. Aap kaisi hai.
Sameera: Ekdum first class.
Yash: Yeh kaun hai Aryan. Pahle kabhi nhi dekha.
Aryan: Yeh humari common friend hai. Ms. Sameera.
Preeti: Maine aapko kahi dekha hai. Kaha dekha hai yaad nhi aaraha hai.
Sameera: Aapne mujhe apne papa ke saath meeting mein dekha hoga Ms. Preeti.
Preeti: Haa yaad aaya. Aap toh India ke top company AMR GROUP OF COMPANY se hai. Jiske saare shares unke hi paas hai 1% share bhi kisi aur paas nhi hai.
Mere papa jab aapke paas meeting ke liye gaye thee tab mein bhi unke saath hi thi. Tab dekha thaa.
Sab log Sameera ka intro sunn shock hogye thee. Sivaay Sanjay Sanjana Sangeeta Raghav aur Harish ke kyo ki unko sab pata thaa.
Nandini Aunty: Itni badi company mein tum kya kaam karti ho.
Sameera: Main company ke owner ki personal secretary hu. Saara kaam main hi dekhti hu. Woh toh bahot hi kam office aate hai.
Nandini: Oo. Aryan tum itni badi hasti ko kaise jaante ho.
Aryan: Yeh hum teeno ki comman friend hai. Ek baar humlogo ne inko kuch gundo se bachaya thaa tab se humlog friends hai.
Meera, Ritika, Sanjay, Sanjana, Sangeeta Raghav aur Harish man hi man haste hai.
Ritika Aryan ke kaan mein
Ritika: Kya baat hai Mr. Malhotra shaadi ke pahle hi baat ghumana sikh gaye.
Aryan: Mrs. Malhotra abhi se practice kar raha hu future kaam aayega.
Meera: Humse jhooth bolke toh dekhna. Tum bhul rahe ho hum bhi supergirl hai. Taange todne mein time nhi lagega.
Aryan: Aree yeh kaise bhul sakta hu. Aap taange kya jo marzi ho woh todd dena.
Phir pandit unko shaadi ke liye bulata hai. Dono jan shaadi ke liye baith jaate hai.
Yash: Bhai bahot jaldi tu gulaam ban raha hai. Tujhe dekh kar humko experience milega. Kyo Karan.
Karan: Bilkul bhai.
Preeti: Kuch kaha tumne.
Yash: Hadbada kar. Nhi maine kaha kuch kaha. Yeh toh Karan kuch bol raha tha. Bol Karan kya bol raha thaa.
Sonal: Haa Karan bolo kya bol rahe thee. Maine thik se suna nhi.
Karan: Main kaha kuch bola hai. Main toh Aryan ko bol raha thaa thik se baithne ko.
Sonal: Shaadi hojaane do phir tumko theek se baithati hu.
Preeti: Tum kuch gulaam bol rahe thee. Jara phir se bologe.
Yash: Aree woh toh main bol raha thaa kal maine ek movie dekhi thi jiska naam Gulaam thaa wahi bol raha thaa kyaa movie thi.
Preeti: Shaadi ke baad main tumko movie dikhaungi.
Yash: Kaunsi.
Preeti: Langda Lulaa Boyfriend.
Inlogon ki nok jhok sunn sab hasne lagte hai.
Aryan: Experience toh mujhe tumlogo se mil raha hai.
Meera aur Ritika: Kuch kaha.
Aryan: Pandit ji aap kya baate sunn rahe hai jaldi se Shaadi karwaiye naa.
Sab log phir se hasne lagte hai.
Phir thodi der mein shaadi hojaati hai. Aryan Meera aur Ritika sabhi bado ke aashirwaad lekar ghar ki taraf nikal padhte hai. Meera aur Ritika apni maa ke gale lag kar rone lagti hai.
Warden: Jaa beti ab tu apne ghar jaa. Bahot rehliya tune aashram mein.
Meera: Mere liye toh wohi humesha mera ghar rahegaa.
Warden: Tera jab bhi man ho waha aajana. Ab main chalti hu. Kal se aashram se bahar hu.
Meera: Aap apna dhyaan rakhiyega.
Warden: Bilkul. Tu bhi apna dhyaan rakhna aur bilkul bhi dukhi mat hona.
Aryan: Kabhi bhi koi bhi problem ho toh aadhi raat ko bhi call kardijiyegaa hum aajayenge.
Warden: Bilkul.
Phir Warden waha se aashram chali gayi. Sangeeta aur Raghav bhi ghar chale gaye kyoki woh beti ke sasuraal abhi nhi jaa sakte the. Aur baakilog Aryan aur Meera ke saath ghar ki taraf aagaye. Sameera aur uski maa bhi aayi thi.
Sanjana aur Nandini jaldi se aarti ki thali leke aate hai aur unka grah pravesh karate hai.
Meera aur Ritika ka toh iss ghar mein aana jaana laga rehta hai. But aaj woh officially iss ghar ki permanent member ban gayi thi. Phir sab log hall mein baith jaate hai. Waha aise hi baat chal rahi thi. Phir thodi der baad Lunch taiyaar hochuka thaa. Phir sablog lunch karte hai. Meera aur Ritika ko upar Aryan ka kamre mein jo ki ab unka thaa usme bhej dete hai aaram karne ke liye. Thodi der baad Sameera uss kamre mein aati hai.
Meera: Aayiye Sameera ji baithiye.
Sameera: Once again congratulations Meera Ma'am Ritika Ma'am. Ab aapdono officially itne bade business empire ki owner hogyi warna aap humesha bolti thi owner sirf Aryan Sir hai.
Meera: Thank You Sameera ji. But owner toh Aryan hi rahega. Aur bataiye Company mein koi problem toh nhi hai naa. Sab kaisa chal raha hai.
Sameera: Nhi ma'am koi problem nhi hai. Kuch din pahle hi humne Delhi mein ek branch ka inaugration kiya hai aur usme employee ka selection bhi start hochuka hai.
London ke branch jo kuch mahine pahle hi start hua thaa woh bhi bahot achha chal raha hai.
Australia wale branch mein ek choti si problem hui thi woh bhi solve hochuki hai.
Ritika: Achha ek kaam kariye har branch ke employees ki salary badha dijiye aur iss baar ka Diwali bonus bhi double kardijiyega. Saare employees ko humari shaadi hone ki taraf se ek chota sa gift.
Sameera: Waah ma'am saare employees isse bahot khush hongee.
Meera: Achha woh Hyderbad wale contract ka kya hua. Uska kaam kaha tak pahoncha
Sameera: Ma'am lagbhag kaam complete hochuka hai. Aur shayad 10 din mein pura complete hojayegaa.
Meera: Okk. Ab bataiye humare liye koi jijaji khoja ya nhi.
Sameera yeh sunke sharma jaati hai.
Meera: Aree sharma kyo rahi hai aap. Aap humlogo se age mein bhi badi hai. Ab toh humlogo ki shaadi bhi hogyi. Aap kab karengi.
Sameera: Ma'am kabhi koi aisa mila hi nhi. Jisse main shaadi kar saku.
Meera: Aree toh jaldi khojiye.
Tabhi door pe knock hota hai.
Sameera jaake door kholti hai toh saamne Aryan thaa.
Sameera: Aaiye aaiye sir. Kya kuch der biwiyon ke bina raha nhi jaata.
Aryan: Ab kya kare Sameera ji. Jiske itni sundar biwiyan ho. Koi bewakoof hi hogaa jo durr rahe. Waise hogyi aaplogo ki business talk.
Ritika: Tumhe kaise pata humlog business talk kar rahe the.
Aryan: Madam shayad aap bhul rahi hai hum aap dono ko achhe se jaante hai. Aaplog itni der se upar hai. Aur aaplogo ne business talk naa ki ho aisa ho hi nhi sakta.
Sameera: Humlog chahe jitna bhi chippa le. Yeh thik jaan lete hai.
Meera: Sahi kaha. Waise tum yaha kis liye aaye ho.
Aryan: Shayad aap bhul rahi hai yeh mera kamra hai.
Meera: Hai nhi thaa. Abse yeh humara hai aur yaha pe aane ke liye humari permission leni hogi.
Aryan: Dekha Sameera ji shaadi hue 2 ghante nhi hue boss ne kamre mein hi kabza karliya. Aage pata nhi kya hoga. Waise main yaha change karne aaya thaa. Agar aapki permission ho toh karlu.
Ritika: Haa haa karlo. Washroom uss taraf hai.
Aryan: Oo thank you mujhe toh pata hi nhi thaa.
Ritika: Your Welcome.
Phir Meera Ritika aur Sameera jor jor se hasne lagte hai.
Kuch der baad Aryan change karke bahar aata hai aur Sameera se bolta hai
Aryan: Sameera ji aap humare sabhi branches ki employees ke salary increase kardijiye humhari shaadi hone ki taraf se unke liye ek gift.
Yeh sunte hi teeno ladkiyan hasne lagti hai.
Aryan: Maine koi joke maara kya.
Sameera: Sir Ritika Ma'am ne pahle hi bol diya hai karne ko.
Aryan Ritika ki taraf dekhta hai toh Ritika ek smile de deti hai.
Aryan: Nice job Mrs. Ritika Malhotra.
Ritika: Ab main sabki tarah late lateef toh nhi hu naa Mr. Aryan Malhotra.
Aryan: Mujhe aisa kyo laga yaha pe abhi mujhe kuch bola gaya.
Meera: Yeh tumhari sahifehmi hai. Yeh bol woh hasne lagi.
Sameera: Achha sir ma'am ab main chalti hu. Once again Happy Married Life.
Teeno: Thank you Sameera ji.
Phir Sameera aur uski maa chale jaate hai. Aryan ke dost toh pahle hi chale gaye thee.
Thank youShaandaar update bhai
Bahot khoob lajawab
Update 41Aryan bed mein let jaata hai aur Meera Ritika usse satt ke uske seene mein sir lagake let jaati hai.
Meera: Toh ab hum humesha ke liye ek hogye.
Aryan dono ke baalon ko sehlaate hue
Aryan: Mujhe toh ab bhi yakeen nhi horaha hai. Yeh sab kitni jaldi hogyaa.
Ritika: Aaj main bahot khush hu mera sapna pura hogyaa.
Aryan: Aree main bhul gaya tumdono liye ek gift hai. Aankhe band karo main abhi laata hu.
Meera: Kya gift hai.
Aryan: Main laata hu tumdono aankhe band karo.
Meera aur Ritika aankhe band karti hai aur Aryan unke liye liya hua gift laake unke haath mein rakh deta hai.
Meera aur Ritika apni aankhe kholti hai toh unke haatho mein ek bahot hi sundar golden pendent tha jisme bahot hi sundar design ka heart shape mein diamond ka locket thaa. Jisme ek ke upar A aur nichhe M likha hua thaa. Aur dusre mein upar A aur nichhe R likha hua thaa
Aryan: Pasand aaya.
Dono: Bahot khubsoorat hai.
Aryan: Toh pehen ke dikhao.
Dono: Tum apne haatho se pehnao.
Phir Aryan unke gale mein woh pendent pehna deta hai.
Dono: Abse yeh humesha humare gale mein rahegaa.
Chalo ab tum aankhe band karo. Ab humari baari hai tumhe gift dene ki.
Phir Aryan aankhe band karta hai. Meera aur Ritika uske haatho mein ek ek box rakh deti hai.
Aryan unn box ko kholta hai toh usme se ek bahot hi sundar golden braceslet nikalta hai jisme chotte chotte diamond lage hue the aur ek watch nikla jisme bhi diamond lage hue thee.
Aryan unhe sang sang pehen leta hai. Abse yeh harwaqat meri kalhai mein rahenge.
Meera: Tumhe pasand aaya.
Aryan: Meri jaan mujhe koi gift de aur mujhe pasand naa aaye aisa hosakta hai. Mujhe bahot pasand aaya.
Meera aur Ritika uske gale lag jaati hai. Aryan bhi unko gale laga leta hai. Phir woh log thoda so jaate hai. Sham ko jab woh log uthte hai toh ekdum fresh thee. Pure din ki thakan utar gayi thi.
Meera aur Ritika waha se sidha kitchen mein jaati hai jaha Sanjana pahle se hi kitchen mein thi.
Sanjana: Aree tumdono yaha kya kar rahi ho. Jao jaake bahar baitho.
Meera: Yaad hai aapne mujhse ek baar kaha thaa ke mera abhi kitchen mein jaane ka time nhi aaya hai.
Sanjana: Haa kaha tha toh.
Meera: Toh ab humara iss kitchen mein aane ka time aagya hai aur aap humhe nhi rokh sakti.
Sanjana: Aree main rokh nhi rahi hu. Aaj tumdono thoda aaram karlo. Kal se karlena.
Ritika: Hum abhi aaram karke hi aarahe hai. Hum se aur aaram nhi hoga. Isiliye ab humhe karne dijiye.
Sanjana: Abhi toh koi kaam nhi hai thodi der baad aake dinner ki taiyaari karenge thik hai. Chalo chalte hai.
Phir Meera Ritika aur Sanjana hall mein aajate hai. Thodi der baad Aryan ke dost bhi aajte hai unse milne. Phir woh log baith ke baate karne lagte hai.
Thodi der baad jab woh log jaane lagte hai toh Meera unhe dinner ke liye rokh lete hai.
Yash: Haa thik hai dinner karke hi jayenge.
Preeti: Pata nhi kaha se mere naseeb mein yeh bhukhar aagaya. Jaha khana mila nhi suru hojaata hai.
Yash: Aree khane ko naa nhi kehna chahiye. Aur upar se aaj Meera aur Ritika apne ghar mein pahli baar khana banayegi. Woh toh khana hi padegaa.
Preeti: Haa toh khao. Ji bhar ke khao bhukhar kahi kaa. Mujhe toh lagta hai future mein main iske liye saari zindagi khaana hi banati rahungi.
Phir sab hasne lagte hai. Meera aur Ritika khana banane chali jaati hai. Preeti aur Sonal bhi unki madad karne chale jaate hai.
Thodi der baad dinner ready hota hai toh sab khana khaane lagte hai. Sab khaane ki bahot tareef karte hai. Yash toh khaane mein kuch jyaada kho gaya thaa.
Phir sab apne apne ghar ki liye nikal jaate hai.
Raat ko Aryan Meera aur Ritika sone ki taiyaari kar rahe the.
Aryan: Toh batao kaise sona hai.
Ritika: Jaise sote hai waise hi soyenge.
Aryan: Aree mera matlab kaun kaha soyega.
Meera: Isme sochna kya hai tum beech mein aur hum dono do side mein.
Aryan: Comfortable rahega koi problem toh nhi hogi.
Dono: Woh hum dekh lenge. Tum bas aao aur beech mein so jao.
Phir Aryan beech mein sojaata hai. Meera aur Ritika Aryan ko dono side se daboch ke so jaati hai.
Aryan: Kya kismat hai meri. Pahle kaha ek bhi nhi thi aur ab do do hai.
Dono do side se uske gaal ko kiss karte hue. Toh enjoy karo iss life ko aur humhe karne do.
Aryan: Tum dono ke iraade sahi nhi lag rahe hai.
Ritika: Abhi toh raat baaki hai meri jaan aage aage dekho hota hai kya.
Aryan: Tumlogo ne kya plan banaya hai.
Meera: Pata chal jayega my dear husband itni jaldi kya hai.
Phir lights off kardete hai. Raat ko bed mein dono ne Aryan ka chirharan hi kardiya. Aryan bas unki haath ki kathputli bana raha woh naa kuch bolsaka naa hil saka.
Subah Aryan jab uthata hai toh kamre mein Ritika dressing table ke saamne apne baal bana rahi thi.
Aryan dheere se jaake usko pichhe se pakad leta hai.
Ritika achanak hue iss humle se darr jaati hai par jab pichhe Aryan ko dekhti hai toh shant hoti hai.
Ritika: Kya kar rahe ho dara diya mujhe.
Aryan: Aree meri chotti sherni bhi darti hai.
Ritika: Haa jab sher aisa ho toh darna padhta hai aur tum yeh subah subah kya kar rahe ho.
Aryan: Apni choti biwi ko pyaar.
Ritika: Raat bhar karke shanti nhi hui.
Aryan: Raat mein jo kiya woh kiss tarah ka pyaar tha. Mujhe ek kathputli bana diya tha.
Ritika: Has ke yeh humara style tha pyaar karne ka.
Aryan: Bahot hi atrangi style tha. Yeh bol usko gaalon ko kiss kardeta hai.
Ritika: Ab choro late horaha hai didi kabki neeche chali gayi hai. Mujhe bhi jaana hai.
Aryan: Haa toh thik hai naa tum yahi raho abhi mere paas.
Ritika: Jii nhi. Mujhe pata hai tum badmaashi karoge.
Aryan: Woh toh baad ki baat hai.
Tabhi Meera coffee leke andar aati hai.
Meera: Kya baat hai chotti subah subah hi suru hogyi.
Ritika: Main kaha didi isne hi pakad liya hai. Maine bola mujhe nichhe jana but inko toh badmaashi sujh rahi hai.
Aryan haath bada ke Meera ko bhi apni baahon mein le leta hai aur bed mein girr jaata hai.
Dono uske upar let jaati hai.
Meera: Kyaa baat hai subah subah biwiyon pe bada pyaar aaraha hai.
Aryan: Aree tumdono pe toh humesha pyaar aata hai. Yeh bol unke gaalon ko kiss kardeta hai.
Ritika: Achhaa.
Aryan: Jiii.
Meera: Achha thik hai ab jaldi se yeh coffee pilo tabtak hum neeche jaake nashta banate hai phir mujhe maa ke paas bhi jaana hai.
Aryan: Thik hai par yaha se uthne ki ek keemat hai. Mujhe woh keemat de do main uth jaungaa.
Dono: Achhhaa. Ab humse keemat wasool karoge. Lagta ha raat ki baat bhul gaye ho.
Aryan: Chahe jo bhi ho keemat toh deni padegi aur sirf aaj nhi roj subah deni hogi agar nahi mili toh aise hi rehna phir.
Ritika: Didi yeh din pe din badmaash horahe hai.
Meera: Sahi kaha chotti. Par yeh badmaashiya bahot pyaari hai. Yeh bol dono hasne lagti hai phir Aryan ke dono gaalon pe kiss karti hai.
Dono: Ab khush.
Aryan: Bahot khush. Mujhe yeh roj chahiye aur woh bhi eksaath.
Dono: Sochenge. Filhal toh choro aur dekho coffee bhi thandi horahi hai.
Phir Aryan dono ko chorta hai. Dono uth ke apne aap ko thik karti hai aur neeche jaake nashta banane lagti hai. Aryan bhi apni coffee peeke fresh hone chala jaata hai phir ready hoke neeche aata hai toh nashta ready tha.
Phir yeh log nashta karke nikal padhte hai college ki taraf.
Aryan Meera aur Ritika pahle pahle Warden se milne aaye.
Warden Meera ko ek suhagan ke roop mein dekh kar bahot khush hoti hai.
Meera aake sidha Warden ke gale lag jaati hai.
Meera: Maa kaisi hai aap. Raat ko koi problem toh nhi hui naa.
Warden: Main ekdum thik hu. Tu bata kaisi hai kaisi ho tum Ritika.
Meera: Main bhi ekdum thik hu.
Ritika: Main bhi ekdum mast hu.
Warden: Aur Aryan kaise ho.
Aryan: Bas jee raha hu.
Warden: Matlab.
Aryan: Aapki betiyon ne chain se sone hi nhi diya. Maine kitna bola aaj college nhi jaate hai. Thoda aaram karte hai. Par nhi meri koi baat nhi sunni.
Yeh sunte hi dono ke gaal sharm se laal hojaate hai.
Meera: Nhii maa yeh jhooth bol raha hai. Aisa kuch nhi huaa thaa aur tum yaha aate hi meri maa se meri complaint karni start kardi. Tum ghar chalo.
Aryan: Dekha aapke saamne hi dhamka rahi hai. Akele toh pata nhi kya karegi.
Meera: Achha main itni buri hu. Toh theek hai tum jao main aajse yehi rahungi.
Aryan: Aree aree main toh mazaak kar raha thaa. Tum toh naraz hogyi.
Meera: Nhi main toh tumko pareshan karti hu naa. Toh jao aur raho akele.
Aryan: Nhi Meera. Tum kaha mujhe pareshan karti ho. Tum toh bahot achhi ho. Please aap hi isse samjhaye. Ritika tum toh kuch kaho.
Ritika: Didi sahi bol rahi hai hum toh aapko sone nhi dete naa toh aap jaaiye akele main aur didi yahi rehenge.
Yeh sunte hi Aryan ke hosh udd gaye.
Aryan: Tum bhi iske saath milgayi.
Warden: Aryan yehdono mazaak kar rahi hai. Yehlog kaunsa tumhare bina reh payegi. Jab yeh yaha pe thi tab bhi tumhare paas jaane ke liye tadapti rehti thi. Aur ab toh iske paas license hai. Ab yeh yaha ek pal bhi tumhare bina nhi reh payegi.
Meera: Yeh sab choriye aapne nashta kiya.
Warden: Haa maine karliya hai. Chalo ab tumlogo ko college ke liye late horaha hogaa naa.
Meera: Thik hai hum chalte hai. Koi bhi problem ho hum teeno mein se kisi ko bhi call kardijiyegaa.
Phir teeno college ke liye nikal jaate hai.
Aryan: Meera main kya soch raha thaa. Kyo naa hum tumhari maa ke liye ek all time maid ka intezaam karde. Jisse woh unhe sambhal bhi legi aur koi problem hui toh humhe bhi khabar kardegi.
Meera: Waah Aryan. Mast idea hai. Thik hai phir main maa se baat karlungi.
Aryan: Thik hai main kisi maid ko dekhta hu.
Ritika: Iski jarurat nhi hai meri nazar mein hai ek maid.
Aryan: Aree waah yeh toh achha hai toh tum usse baat karlo.
Ritika: Thik hai main dekh lungi.
Phir yeh log college aajate hai. Waha pe bhi sab inhe congratulate karte hai. Phir classes hoti hai. Phir yeh log ghar aajate hai.
Phir Aryan waha se Raw ke headquaters jaata hai thodi der waha pe rehke woh ghar aata hai.
Update 42Phir Aryan waha se nikal kar apne ghar ki taraf chala jaata hai. Usse khayal aata hai kyo naa aaj Meera aur Ritika ko shopping karayi jaaye. Toh usne Meera ko call karke dono ko ready hone ko bolaa.
Phir ghar pahonch ke ready hoke Meera aur Ritika ko leke nikal padhta hai.
Meera: Hum kaha jaa rahe hai.
Aryan: Bas tumhare kiye surprise hai.
Ritika: Kya baat aaj achanak surprise.
Aryan: Ab maine socha jab itni achhi biwiyan mili hai toh unko khush rakhu. Kahi naraaz hoke mujhe chorr apne ghar chali gayi toh kaise rahunga.
Meera: Bahot smart hogye ho.
Phir yeh log ek mall mein jaate hai jo inha ka thaa. Matlab AMR Mall.
Waha jaake Aryan bolta hai.
Aryan: Humlog yaha pe shopping karne aaye hai. Toh chalo start hojaao.
Ab chahe koi bhi ladki ho shopping ka naam sunke woh khush toh hogi hi.
Meera aur Ritika Aryan ke gaalo mein kiss karke chal padhti hai shopping karne.
Aryan: Agar tumdono ko shopping pe laane ka itna achha inaam milta hai toh hum hardin shopping par aayenge. Isi bahane yeh inaam bhi milta rahegaa.
Meera: Jyaada naa uchlo mat. Yeh inaam limited period tak hi available thaa. Jo khatam hochuka hai. So bad luck next time.
Aryan: Yeh galat hai.
Meera: Ab jo hai yehi hai.
Phir woh log shopping karne lagte hai. Aryan ne apna sirr pitt liya kyo woh shopping pe aaya.
Dono ne pure 2 ghante lagake apne liye kuch suits liye aur Aryan ke liye kuch dress.
Aryan: Hogyaa. Yaa aur kuch baaki hai.
Ritika: Abhi kaha kuch hua hai. Next time phir se aana hogaa.
Aryan: Kyaaaa. Nexttt timeee phirrr see. Maaf karo madam. Main Sameera ji ko bol dunga tumdono unke saath chali aana yaa phir Preeti aur Sonal ke saath.
Meera: Kyo thodi der pahle tum hi bol rahe thee naa roj shopping par aaunga.
Aryan: Haa lekin woh offer limited period tak hi available thaa jo khatam hochuka hai.
Meera: Achha ji meri baat mujhpe hi.
Aryan: Ab chalo kahi dinner karte hai aur bhukk lagi hai.
Dono: Chalo.
Phir yeh log ek achhe se Restuarant mein jaake dinner karte hai. Phir ghar aake so jaate hai.
Agle din Aryan apni team ko call karta hai.
Aryan: Guys ab humhe kaam pe wapas aana hai toh Mike se jitni bhi information mili thi usme se yaha mumbai mein ab sirf unka 1 hi member bacha hai toh usko uthana hoga phir humhe Delhi ke liye nikalna hoga.
Team: Yes sir hum ready hai.
Aryan: Toh phir nikalo iss member ki kundli. Kaha rehta hai kab nikalta hai kaha jaata hai sabkuch.
Phir team apne kaam mein lag jaati hai.
Aryan phir Harish ko call karta hai.
Aryan: Sir ab mujhe Delhi ke liye nikalna chahiye mera 2nd year yaha pe khatam hone wala hai par mera 3rd year ka problem hojayega.
Harish Uncle: Tum tension mat lo waise bhi tumhara mental power bahot stong hai main tumhara ek graduation certificate hi banwa deta hu jisse tum Delhi mein jaake direct higher studies hi karna aur apna kaam bhi aur waise bhi Delhi mein kuch din baad higher studies ke addmission start honge.
Aryan: Yeh toh achha hua toh aap Meera aur Ritika ka bhi karwa dijiye kyoki woh dono mere saath hi jayegi.
Harish Uncle: Hojayegaaa.
Aryan: Thank You sir.
Phir Aryan call cut karta hai.
2 din baad Krish ka call aata hai Aryan ko.
Krish: Humara yaha ka last target ki puri kundli nikaal li hai.
Aryan: Haa toh batao uske baare mein.
Krish: Sir yeh yaha ka bahot bada businessman hai. Iske paas political support bhi hai aur yeh uss group ko financial support bhi karta hai. Iski family mein koi iske saath nhi rehta iske bure behaviour ki wajah se biwi ne divorce de diya ek beta hai aur undono ko isse koi matlab nhi hai. Isne aaj tak 10 murder, jisme iske sasur aur saale ka murder shamil hai aur 15 rape kiye hai jisme iski saali aur saale ki biwi ka rape or murder shamil hai. Yeh baat iske biwi ko pata chal gayi isiliye woh isse chorke chali gayi aur chahti hai isko iske gunaho ki saza mile.
Yeh har raat ko ek redlight area mein jaata hai sabse chupke bilkul akele. Humare paas wohi ek time rahega isko uthane ka.
Aryan: Agar isko uthate hai toh isko business empire ka kya hogaa.
Krish: Sir yeh jaisa bhi hai par isko apne bete se pyaar hai isiliye iske will mein likha hai agar isko kuch hota hai toh pura business iske bete ko mil jayega aur yeh baat iske biwi aur bete ko bhi pata hai.
Aryan: Par agar isko aise hi gayab kardiya toh kuch problem hojayegaaa. Isko aise hi gayab nhi kar sakte.
Krish: Tab kya kare sir.
Aryan: Wahi soch raha hu. Kiran ko conference mein lo.
Phir Krish Kiran ko conference mein leta hai.
Kiran: Bolo meri jaan aaj mujhe kaise yaad karliya. Jabse case mein aaye hai tum toh bhul hi gaye ho tumhari koi girlfriend hai.
Aryan: Kiran.
Kiran: Baby yeh tumhari awaaz Aryan sir ke jaisi kyo hogyi hai.
Krish: Kyoki woh conference mein hai.
Kiran: Whattttttt.
Aryan: Ji Ms. Kiran ya Mrs. Krish.
Kiran: Sorry Sir. Mujhe laga ki.... Sorry sir.
Aryan: Aree isme sorry kaisa yehi toh age hai yeh sab karne ki. Mujhe hi dekhlo. Padhai ki age mein Raw ki naukri aur shaadi karke baitha hu. So don't get panic. Be cool.
Kiran: Sharm se. Yes sir.
Aryan: Achha Krish isse sab batao kyo call kiya.
Phir Krish usse sab batata hai.
Aryan: Toh ab batao kya kiya jaaye.
Kiran: Sir hum direct toh haath nhi laga sakte. Sir plan toh hai but thoda criminal type hai. Shayad pasand nhi aaye.
Aryan: Kiran inn jaiso ke liye agar criminally kaam karna padhe toh koi buri baat nhi tum batao.
Kiran: Sir hum isko uthate hai isse agar koi information milti hai toh woh lete hai phir iska accident karwa dete hai aur yeh dikha denge alcohol ke nashe ke kaaran accident hogya isse shayad unlogo ko shak naa ho.
Aryan: Idea achha hai. Thik hai Krish uthao isko.
Krish: Thik hai Sir.
Aryan: Okk ab main rakhta hu tumlog chaho toh apni personal baat kar sakte ho. Jaanta hu Raw ki naukri aur iss mission mein bahot khatra hai. But apno ko bhi time dena chahiye. Carry on.
Yeh bol Aryan ne call cut kardiya. Udher call mein.
Krish: Kya yaar Kiran tum toh Aryan sir ke saamne hi start hogyi.
Kiran: Aree mujhe kya pata tha tum unko conference mein liye hue ho. Tum hi batao last kab tumne mere saath time spend kiya pyaar bhari baate ki.
Krish: Ab kya kare yeh naukri aur iss mission se time kaha milta hai.
Kiran: Sir ne bola naa apno ke saath bhi time spend karna chahiye. Sir bhi toh apni biwiyon se equal time spend karte hai. Kya tum nhi kar sakte.
Krish: Thik hai. Aaj se shikayat ka koi mauka nhi. Yeh batao kaisi ho kya kar rahi ho.
Kiran: Main bilkul thil hu. Filhal toh ghar mein hu. Mom dad se baat karne ka time hi nhi milta aur kuch din baad toh Delhi jaana hai pata nhi kab tak ke liye. Isiliye jitna hosakta hai unke saath hi rehti hu.
Krish: Haa yaar yeh achha hai. Main bhi jyaada se jyaada koshish karta hu unke saath rahu.
Kiran: Thik hai chalo main rakhti hu. Tum apne kaam mein lag jao.
Krish: Byee.
Kiran: Byee.
Aise hi 2 din baad Aryan ki team ne uss businessman ko plan ke hisaab se uthaya usse kuch khaas information toh nhi mili phir uska accident karwa ke maardiya.
Aise hi time guzarne laga. Isi beech Yash Preeti Karan aur Sonal ke parents ne inki engagement fix kardi. Dono ki engagement ek hi din rakha gaya.
Aryan: Haa toh Yash Karan ab tum dono bhi engaged horahe ho.
Yash: Haa yaar bas ek dukh rahega. Iske baad main humesha ke liye band jaunga.
Karan: Sahi kaha jaise yeh humesha ke liye band gaya hai.
Aryan: Preeti Sonal dekho yeh dono kya bol rahe hai.
Preeti: Haa Yash bolo kya baat hai.
Sonal: Haa Karan bolo.
Dono: Hadbada kee. Are kuch nhi yehi bol rahe hai ke we are so excited ke humari sagai horahi hai.
Dono ladkiyan sharma ke nikal jaati hai.
Yash: Kamine kyo shaadi ke pahle divorce karwane pe tula hai.
Karan: Haa bhai itni mushkil se toh ladkiyan mili hai. Inhe toh paas rehne de.
Aryan bas jor jor se hasne lagta hai. Yaar tum log kitna darte ho. Mujhe dekho aur kuch sikho.
Yash: Meera Ritika yeh bol raha hai tumdono isse darte ho kya yeh sach hai.
Dono: Achhaa aisa bola isne. Aryannnn.
Aryan: Nhiii. Inhone galat sunaa maine bola main tumdono se darta hu aur har husband ko apni wife se darna chahiye.
Dono: Hmmm thik hai. Tum log jaldi chalo sagai ka muhurat horaha hai. Yeh bol woh dono chale jaate hai.
Yash aur Karan jor jor hasne lagte hai.
Aryan: Kamino kyo basa basaya ghar tudwaa rahe ho.
Karan: Hum sabki halat ek jaisi hi hai. Yeh bhi darta hai. Aur hum bhi darte hai.
Yash: Sahi kaha.
Aryan: Darna padhta hai bhai agar ghar mein rehna ho aur khana chahiye toh darna padhta hai.
Ritika: Aree chalo sagai ka muhurat hogya hai.
Phir sab stage pe aate hai. Aryan ke bagal mein Meera aur Ritika khadi hojaati hai. Phir Yash ne Preeti ko aur Karan ne Sonal ko engagement ring pehnai. Aise hi inki sagai hogyi. Dono jodi ne decide kiya shaadi settle hone ke baad karenge.
Phir sab enjoy karke apne apne ghar nikal jaate hai.
Aise hi 1 hafte baad subah subah Maid jo Warden ki dekhbhal ke liye rakhi gayi thi usne Aryan ko call karke bataya Warden ki tabyat bahot bigad gayi hai aaplog jaldi se hospital aaiye main inhe wahi leke jaa rahi hu.
Aryan: Thik hai aap unko hospital le jao hum aate hai.
Meera: Kya hua kaun tha.
Aryan: Woh tumhari maa ki tabiyat kharab hochuki hai. Unhe hospital le ke gaye hai. Humhe nikalna hogaa.
Meera jaise hi yeh sunti hai uski aankho mein aansu aajaate hai woh jaldi se ready hokar Aryan aur Ritika ke saath hospital jaati hai. Waha maid khadi thi. Doctor unka checkup karrahe the.
Meera: Ab kaisi hai maa. Achanak kya hua.
Maid: Pata nhi madam achanak se khoon ki ultiyan karne lagi aur behosh hogayi. Maine turant Aryan sir ko call karke unhe leke yaha aagyi.
Thodi der mein Sanjay,Sanjana,Harish,Nandini Yash Preeti, Karan Sonal, Sangeeta aur Raghav bhi aajate hai. Aryan ne unhe Raaste mein hi call kardiya tha.
Thodi der baad doctor aate hai aur bolte hai. Dekhiye ab unke paas jyaada time nhi hai jyaada se jyaada 30 mins hai. Aap unse mil lijiye. I am Sorry.
Meera toh rona start kardeti hai. Ritika, Preeti aur Sonal usse sambhalte hai. Woh bhag kar apni maa ke paas jaati hai.
Warden: Aree pagli ro kyo rahi hai. Tujhe toh pata thaa yeh din jaldi aayegaa. Toh aaj aagya.
Meera ka toh rona rukh hi nhi raha thaa. Woh wahi pe baith ke rone lagti hai. Bhale hi woh uski sagi maa nhi thi par bachpan se usse sagi maa se bhi badh kar pyaar kiya thaa.
Aryan usse sambhalta hai. Woh Aryan ke seene mein lag kar rone lagti hai.
Warden: Aryan meri beti ki aankho mein yeh aansu aaj aakhri baar aane chahiye. Aaj ke baad woh kabhi bhi roni nhi chahiye. Meri yeh aakhri ichha puri kardenaa.
Aryan ki aankho mein bhi aansu aajate hai.
Warden Sanjay aur Sanjana se bhale hi aaj uska parivaar hai but Aaplogo ne meri bachhi ko itna pyaar diya aur usse tab apnaya jab woh ek anath thi aur tab aaplogo ne usse apne bete ke liye chunke mera maan rakh liyaa. Aap logo ka bahot bahot shukriya.
Sanjay aur Sanjana ke aankho mein bhi aansu thee but woh uss taraf aur dekh nahi paaye.
Warden: Meera. Aur mat ro. Dekh agar tu aise royegi toh mujhe marne ke baad bhi shanti nhi milegi. Chup hojaa.
Tabhi unki saanse ukhadne lagi.
Warden: Ukhdi hui saanso ke saath. Aryan meri beti ko humesha khush rakhnaa. Usse kabhi akela mat chornaa.
Meera iss janam toh nahi hua par agle janam mein main teri sagi maa banna chahungi.
Yeh kehte hue woh chup hogyi.
Meera: Maa. Maa utho naa maa. Dekho main nhi roungi. Utho naa maa. Aryan dekho naa kya huaa. Tum uthao naa.
Aryan usse kaske seene se laga leta hai. Woh jor jor se rone lagti hai. Waha sabki aankhe hi nam thi.
Kuch der baad unka antim sanskaar kiya jaata hai jo Aryan hi karta hai. Phir sablog ghar aate hai. Yeh sab mein sham hogyi thi.
Meera toh jaise ekdum chup hi hogyi thi. Uski yeh halat Aryan aur Ritika se dekhi nhi jaa rahi thi. Woh jaise bhi karke usse kuch khilate hai kyoki usne subah se kuch nhi khaya thaa. Phir usse thodi der sone ke liye bolta hai. Meera toh sona nhi chahti thi par usse jabardasti Aryan sula deta hai. Thodi der soyegi toh mind ko relax milegaa.
Raat ko Meera kuch better thi. Par abhi bhi udaas thi.
Kuch din tak Aryan Meera ko leke roj ghumne jaata jisse uska mood thik ho. Kuch din baad Meera bilkul pahle jaisi hogyi thi.
