Update 19
Sanjay: Toh batao tum subah kya baat karne wale thee. Aur aaj yeh college mein kya kiya tumne.
Aryan: Pahle kaunsa batau.
Sanjay: Pahle college wala hi bata do.
Aryan: Agar main bhi unko baakiyon ki tarah normal maut de du. Toh baakiyon mein aur unme antar kaha. Isiliye pahle unka sab kuch barbaad hogaa. Phir ek ek karke unki maut.
Aur uski suruaat aaj se hogyi hai.
Sanjay: Achha hai. Aur woh baat jo jaruri hai.
Aryan: Haa. Woh main janna chahta thaa. Mujhe koi insaan toh maar nhi sakta. Sirf thode chott de sakta hai. But jaise kal hua mujhpe gun se fire kiya gaya. Kal toh woh akela thaa aur dara hua bhi isiliye main usse duck kar paya. Par agar kabhi jyaada log aajaye. Toh main unn guns se yaa phir kisi aur jaan leva hatiyar se kaise bachungaa. Kya aap ke paas aisa kuch hai jo mujhe protect karsakee.
Sanjay: Baat toh tumhari sahi hai. But abhi tak mere paas aisa kuch nhi hai.
Aryan: Ooo thik hai. Phir mujhe hadd se jyaada savdhan rehna hogaa.
Sanjana: Sanjay mere paas ek idea hai. Jaise bullet proof jacket hota hai. Waise hi agar hum pura dress hi bullet proof banaye.
Aryan: Achha agar kisi insaan ko aapka banaya hua formula ka double dose diya jaaye toh uspe kaisa asar hogaa.
Sanjay: Maine kabhi bhi yeh try nhi kiya hai. But tum dono ka idea hi achha hai. Main aaj se hi ispe experiment karta hu. Dekhte hai kya result aata hai.
Phir woh log dinner karne ke baad sone chale jaate hai.
Aryan jab apne room mein aata hai tab uske mobile mein ek unknown number se call aata hai. Woh call receive karta hai
Saamne se: Tumhare paas ek company ke 90% shares hai main usse khareedna chahta hu.
Aryan: Aap kaun.
Saamne se: Mere naam Ranjit hai. Main tumse woh shares khareedna chahta hu.
Aryan: But mujhe nhi bechnaa.
Ranjit: Main tumhe 100 crore dunga.
Aryan: Nhi bechna.
Ranjit: Tu mujhe jaanta nhi hai. Main agar chahu toh woh company pe jabardasti apna kabza karsakta hu.
Aryan: Abeee jaa. Bahot dekhe hai tere jaise.
Yeh bol Aryan phone call cut kar deta hai.
Aryan sochne lagta hai 3 crore ke shares ke 100 crore pure 97 crore jyaada. Kuch toh garbar hai. Kal hi jaakar investor se milta hu.
Aakhir pata toh chale mazra kya hai.
Phir Aryan Meera ko call karke thodi der baat karta hai. Woh so jaata hai.
Subah uthke apne regular work karke woh college chala jaata hai. Jaha aaj sab Aryan ko ghurr rahe thee chahe woh ladke ho, ladki ho, teachers ho, cleaning staff ho sab koi.
Kyoki kal ke kaand ke baad Aryan pure college mein famous hogya thaa. Par kuch usse gusse se ghurr rahe thee. Yeh the Rahul aur Neha ke dost. Yeh log bhi unke jaise hi thee apne dosto ka badla lene ke liye tadap rahe thee.
Aryan canteen mein jaata hai toh waha Yash aur Meera pahle se hi baithe thee.
Aryan ke aate hi woh usse gale milke welcome karti hai. Aur uska haath pakad ke uske bagal mein hi baith jaati hai.
Yash: Bhai mein ek din kya nhi aaya tune toh akele hi pure college ka naksha badal diyaa. Aise hi har ladki tujhe ghurti rehti thi. Ek yeh( Meera) thi. Yeh toh pahle se hi tere liye pagal thi. Aur kal ke kaand ke baad toh koi hum jaiso se puchegaa bhi nhi.
Aryan yeh sunke hasne lagta hai. Saath mein Meera bhi.
Meera: Ab mera jaan hai aisa.
Yash: Haa bhai aapke jaan toh pahle se hi hero the aur kalke kaand ke baad toh superhero bangaye hai. Ab humara kya hogaa.
Aryan: Chinta naa kar tere liye bhi koi na koi toh jarur hogi. Wait karta rahe. 60 65 saal mein jarur mil jayegi.
Yash: Aree bhai tu chup kar.
Meera jor jor se hasne lagti hai.
Yash: Sajna ko chup karao toh sajni chalu hojaati hai. Mere naseeb mein hi saare pagal likhe hue hai.
Thodi der baad peon aake inform karta hai Aaj first class nhi hoga. Uske jagah sabko Assembly Hall mein jaana hogaa.
Toh sab log Assembly Hall mein jaane lagte hai. Waha sab log kisi na kisi topic mein baate kar rahe thee.
Thodi der baad Trustee mike pe aake bolne lagte hai.
Trustee: Sabse pahle mein aaplogo se maafi maangta hu. Iss college ka Trustee hone ke baad bhi main yaha pe koi dhyaan nhi de paaya. Isiliye hai Ashok Kapoor jaise logo ne iska pura faiyda uthaya. Par ab main aap sab se wada karta hu. Aajke baad aisa bilkul nhi hogaa.
Aur ab main aaplogo ko Aapke naye Principal se introduce karwata hu.
So please Welcome Mrs. Meghna Singhaniya. Yeh Delhi ke college mein pahle as a professor thi. Aur ab yeh aapki nayi Principal hai.
Mrs. Meghna: Mujhe pata chala ke aapke pahle principal ne kya kiya thaa. But aap meri taraf se nischint rahe. Aapko meri taraf se full support milegaa. Ab main uss student ko yaha bulana chahungi jiskd wajah se hum aaj yaha hai. So Mr. Aryan Malhotra can you please come here.
Phir Aryan unke paas jaata hai.
Mrs. Meghna: Main pure college ki taraf se tumhe phir ek thank you kehti hu.
Aryan: Ma'am please baar baar aise Thank You naa kahiye. Maine aisa kuch nhi kiyaa. Unko apne power aur position mein bahot ghamand hogya thaa. Aur usi ghamand mein unhone galtiyan ki aur aaj result humare saamne ne. Main toh bas ek medium bana.
Mrs. Meghna: Nice to meet you Aryan.
Aryan: Nice to meet you too Ma'am and Welcome to our College. Uske baad woh wapas apni jagah pe aajata hai.
Meera: Kya baat hai jaan tum lecture toh bahot achha dete ho. Politics mein jaane ki ichha hai kyaa.
Aryan bas has deta hai.
Mrs. Meghna: Ab aaplog aapke classes mein jaake sakte hai. Thank You.
Phir sab log classes mein jaane lagte hai. Phir aise hi recess tak classes hone lagti hai.
Recess mein yeh log canteen jaate hai aur waha jaake ek table pe baith jaate hai. Thodi der baad unke table pe 1 ladka aur 2 ladkiyan aati hai.
1st Ladka: Hii. Mera naam Karan hai. Kya hum bhi aaplogo ke saath baith sakte hai.
Aryan: Yeah sure why not.
Phir woh log dusre table se chair leke baith jaate hai.
Aryan: Aaplogo ko pahle toh kabhi college mein nhi dekhaa.
Karan: Haa kal humlogo ka first day tha. Isiliye shayad dekha nhi hoga. Humlog sab ek hi school se hai.
Phir Karan sabka intro deta hai. Yeh hai Sonal, Aur yeh hai Preeti.
Aryan: Hii everyone. Mera naam Aryan hai. Yeh Meera,aur yeh hai Yash.
Sonal: Hum jaante hai aapko. Kal se pure college mein aapke ki charche hai.
Aryan kuch bolta nhi bas muskura deta hai.
Meera Sonal ko dekh rahi thi ke kaise woh Aryan ko ghurr ghurr kar dekh rahi thii
Aur yaha Yash toh ghayal hua padha thaa.
Woh toh Preeti ko ghure jaa raha thaa.
Aryan yeh dekh kar usko hosh mein laata hai. Yash Aryan ko dekhta hai toh Aryan bas muskura raha thaa. Yeh dekh Yash jhep jaata hai.
Meera: Tumlog kaunse branch se ho. Hum sab yaha business se hai.
Yash: O great. Humlog bhi business se hai. Achha hai. Friends. Yeh bol woh haath aage badha deta hai. Sab log ek ek karke haath milate hai.
Sonal abhi bhi Aryan ko ghuree jaa rahi thi. Aryan bhi yeh notice kar leta hai. But woh kuch nhi bolta bas ignore kar deta hai. Aise hi recess khatam hojaata hai. Jab sab log class mein jaarahe thee toh Meera ne jaanmuzz ke Aryan ko uske baazu se pakad ke chalne lagi. Matlab uspe apna pura haq jata rahi thi. Aur bol rahi thi yeh sirf uska hai.
Meera ki yeh harqat dekh woh has deta hai. Jisse Meera usse ghurr ke dekhti hai toh woh chupp karjata hai but man hi man has raha thaa.
Class mein bhi Meera uska Haath nhi chorti usko pakad ke hi baithti hai.
Aryan: Meera,jaan yeh kya karrahi ho. Sab dekh rahe hai.
Meera: Dekhne do mujhe kya. Maine apne boyfriend ka haath pakada hai. Yeh usne jara zorr se hi bola thaa jisse sonal sunn paaye jo unke saamne hi baithi thii.
Aryan: Woh thik hai. But thoda thik se baitho. Mujhe likhne mein problem hogaa.
Meera baat ko samaj uska haath chorr deti hai.
Sonal jab yeh sunti hai ke Aryan pahle se hi committed hai toh usko thoda bura lagta hai. But woh kuch react nhi karti. Kyoki usse pata thaa itna smart,handsome, aur dashing ladke ki girlfriend toh hogi hi. Aur Meera bhi dikhne mein kuch kam nhi thi.
Phir aise hi class khatam hota hai. Toh Aryan parking mein jaake Meera ko bolta hai
Aryan: Meera tum aaj Yash ke saath chali jao. Mujhe thoda kaam hai.
Meera: Kya kaam hai.
Aryan: Aree maine tumhe bola tha naa maine kuch shares liye thee toh usi silsile mein investor se milne jaaraha hu.
Meera: Thik hai.
Phir woh Yash ke saath chali jaati hai aur Aryan bhi investor ke paas chala jaata hai.
Investor: Aree aao aao Aryan. Main aaj tumhe phone karne hi wala thaa. Tumhara six sense toh kamaal ka hai.
Aryan: Kyo kya huaa.
Investor: Aree tumne jo shares khareede thee unke rates ab wapas upar uth chuke hai. Subah se mujhe kitne calls aachuke hai iss shares ko leke. But tumse puche bina toh main sell kar nhi saktaa.
Aryan: Achha waise kitne hai abhi isska price.
Investor: Pure 150 crore.
Aryan: Kyaaa. Itne kyaada kaise hogyee.
Investor: Actually yeh company jis material ka saaman banati thi woh chala nhi. Aur ab woh material trend mein aagaya hai woh woh material abhi sirf iss company ke paas hi hai. Isiliye ab iske rates itne high hai.
Aryan: Oooo. Toh ab tum hi batao main isska ab kya karu.
Investor: Dekho. Main toh kahungaa ke tum inn shares ko bech do. Kyoki abhi yeh material trend mein hai aur kya pata kal wapas iska trend khatam hojaaye. Jaha abhi iska price 150 crore hai kal 15 crore bhi na ho.
Aryan: Hmm baat toh sahi hai. Thik hai tum bulao jo mujhe achhe price de sake.
Phir Investor kisi ko call karke bulata hai. Woh 30 mins mein waha aajata hai.
Investor: Inse milo yeh hai Mr. Ranjit.
Aryan: Achha toh aap hi hai woh jisne kal kiya thaa aur dhamkaya thaa.
Ranjit: Haa mein hi hu kya kar lega. Tere ko mere ko Thank You bolna chahiye jo maine tere ko samne se call karke baat ki. Warna main chahta toh woh company apne kabze mein kar sakta thaa.
Aryan: Maine tere ko kal hi kaha thaa. Bahot dekhe hai tere jaise.
Ranjit: Tu abhi bachha hai. Tere ko kaha gayab kardunga kisi ko pata bhi nhi lagegaa.
Investor: Aree aaplog jhagda naa kare. Jo kaam karne aaye hai woh kare.
Ranjit: Chal bol kitna lega tere shares ka.
Aryan: 200 crore.
Ranjit: Ayee pagal samjha hai kyaa market price toh 150 hai.
Aryan: Khareedna hai toh 200 mein khareedo. Warna mujhe nhi bechnaa.
Ranjit: Bachhe bahot jyaada uchhal raha hai. Meri majburi hai isiliye tere saath baitha hu. Warna tu mujhe jaanta nhi hai.
Aryan: Mujhe janna bhi nhi hai. Khareedna hai toh bol. Warna maim chala.
Investor: Sir abhi aapki majburi hai. Aapko iski baat maan leni chahiye.
Ranjit: Meri majburi hai isiliye teri baat maan raha hu. Chal diye 200 crore.
Aryan: Papers banao.
Investor thodi der mein papers taiyaar kardeta hai. Ranjit 200 crore Aryan ke account mein de deta hai. Uske baad woh waha se chala jaata hai.
Investor: Waah bhai maan gaye tere ko. 150 crore ke shares ko 200 crore mein bechaa. Ab kya karega itne paiso kaa.
Aryan: Abhi kuch socha nhi hai.
Investor: Thik hai agar kabhi meri jarurat padhe toh be jhijhak call karlenaa.
Aryan: Jarur.
Phir Aryan bhi waha se chala jaata. Ghar aakar fresh hoke lunch karta hai. Phir thodi der so jaata hai.
Phir uth ke thodi der apni fighting practice karta hai. Phir waha se lab mein chala jaata hai. Jaha Sanjay kuch kaam kar raha thaa.
Aryan: Kya kar rahe hai.
Sanjay: Woh formula bana raha hu wapas. Par issbaar thoda alag.
Aryan: Wapas kyo bana rahe hai. Pahle wala kya hua.
Sanjay: Woh toh pura tumhare andar hai.
Aur yeh bana raha hu jisse mujhe pata chalegaa ke double formula se kya hogaa.
Aryan: Agar yeh formula kisi ke haatho lag gaya toh.
Sanjay: Pahli baat main sirf trail kar raha hu. Agar trail success raha tab jyaada amount banake woh tumhari body mein dungaa. Aur utna amount hi banaegaa jitna jarurat ho.
Aryan: Jaisa aap thik samjhe.
Phir Aryan ko Harish Uncle ka call aata hai. Woh usse abhi milne ke liye bolte hai.
Aryan unse milne jaata hai. Woh koi dusra ghar thaa jaha sirf woh dono hi thee.