Update 39
Idher 2 din ke torcher ke baad bhi jab Mike ne kuch bhi nhi bola.
Aryan ne Sanjay se ek truth serum banwaya thaa. Usse pata tha yeh kabhi na kabhi toh kaam aayega.
Aryan ne woh truth serum Mike ko lagwa diya kuch der baad uska action hona start hogyaa.
Aryan: Ab tujhse jo jo puchenge tu woh sach sach batayegaa. Tu chah kar bhi jhooth nhi bol payegaa.
Phir Aryan uss group ki saari details le li. Unke saare members naam. Unki puri details. But usse boss ke baare mein kuch pata nhi chala. Woh humesha phone se hi contact karta thaa aur naahi usse kabhi kisi ne dekha thaa.
Ab Mike unke kisi kaam ka nhi thaa. But usse mara nhi. Agar usse maar dete toh woh group active hojaata aur puri India tabah hojaati. Isiliye usse zinda rakha tha. Unhone socha pahle inke saare members ko uthayenge phir sabko ek saath maar ke uss boss ko akela kar denge. Jisse woh kuch bhi naa karpaaye.
Phir usse wahi pe kaid karke rakha jaata hai.
Phir sab log waha se nikal jaate hai. Aur Aryan chala jaata hai Raw Headquater.
Harish Uncle: Well done Aryan. Bahot achha kiya tumne. Aaj tumlogo ki wajah se Mumbai aur shayad India par se ek khatra chala gaya.
PM bahot khush hai tumse aur woh tumse aur tumhari team se milna chahte hai. Maine unhe boldiya hai kuch time baad tumhara transfer Delhi kardiya jaayegaa. Jisse tum unse bhi mil paogee aur uss group ko bhi khatam kar paoge. Uss group ke khatam hone ke baad agar tum chaho toh tumhe yaha wapas bula liya jayegaa.
Aryan: Okk sir.
Harish Uncle: Ab jao aur Enjoy karo. Ab kuch din tak toh woh kuch nhi karengee.
Phir Aryan waha se ghar chala jaata hai. Jaha Meera aur Ritika besabri se intezaar kar rahi thi.
Uske aate hi dono uske gale lag jaati hai aur uske gaalon ko kiss kar ke usse aaj ki jeet ke liye congratulate karti hai.
Sanjay aur Sanjana bhi usse congratulate karte hai.
Aryan unhe apne Delhi transfer ke baare mein batata hai.
Sanjana: Kya tum waha jana chahoge.
Aryan: Jab farz bulaye toh paatal mein bhi jaaungaa. Yeh toh phir bhi Delhi hai.
Sanjana: Kya tum waha reh paoge. Hosakta hai woh log baar baar tumhare saamne aaye. Woh tumhe nhi pehchan paayenge. Par tum toh unhe pehchan hi loge. Aur hosakta hai tumhe business mein bhi unhe dekhna ho.
Aryan: Ab jo hoga dekha jayegaa. Jaana toh mujhe padegaa. Aur aaplog bhi saath chalenge.
Sanjay: Nhi hum waha nhi jaa sakte. Hum boss ko nhi jaante par boss toh humhe jaanta hi hai. Isiliye hum yehi par rahenge.
Aryan: Par yaha par bhi toh khatra hai.
Sanjay: Par waha se kam hai. Aur yaha par tumhare agents hai Harish ji hai humhe kuch nhi hogaa aur waise bhi ab unhe naahi formula milega aur naahi koi data. Ab humlog bilkul normal scientists hai.
Aryan: Thik hai. Par agar koi bhi problem hoti hai toh aaplog mujhe jarur batayenge.
Sanjay: Jarur.
Ritika: Kitne dino ke liye jaana hai.
Aryan: Kuch keh nhi sakta.
Ritika: Toh humara kya hoga. Hum yaha akele kaise rahenge tumhare bina.
Meera: Haa Aryan hum kaise rahenge tumhare bina.
Aryan: Yahi toh main soch raha hu. Dekhte hai kuch karenge. Chalo pahle dinner karte hai.
Phir sab dinner karte hai. Ritika Meera ko leke chali jaati hai aur uske ghar chorr deti hai. Aryan bhi so jaata hai.
Aise hi din nikalne lage. Aryan Ritika aur Meera ka pyaar bhi badhte hi jaa raha tha. Aryan ko Raw se kuch waqt ki chutti bhi mili thi.
Aur Aryan ki company bhi bahot famous hogyi thi. Usne apne bahot saare branches khole thee. Videsh mein bhi iske bahot branches thee. Aur ab AMR company AMR GROUP OF COMPANY ban gayi thi. Jo India ke top mein thi aur world ke top 5 mein.
1 din Aryan ko Warden ka call aata hai. Woh Aryan ko Sanjay Sanjana Sangeeta aur Raghav ke saath bulati hai.
Aryan bhi Sanjay Sanjana Sangeeta aur Raghav ke saath waha chala jaata hai.
Warden Aryan, Sanjay Sanjana Sangeeta aur Raghav se akele mein baat karna chahti hai.
Warden: Dekho Aryan maine Meera ko humesha apni beti maana hai. Hosakta hai ab uska parivaar usse mik gaya hai. Meri bhi umar horahi hai naa jaane kab bulawa aajaye aur aaj kal meri tabiyat bhi thik nhi rehti. Isiliye main chahti hu mere rehte uske ghar baste hue dekh lu. Usse khushi khushi apni ghar sambhalte dekh lu.
Aryan: Main samajta hu. Aap boliye main kya kar sakta hu.
Warden: Dekho maine aaj tumhare parents aur unndono ke parents ko isiliye bulaya hai taaki inse tum teeno ki Shaadi ki baat kar saku.
Aryan shock se. Kyaaaa abhi itni jaldi. Abhi toh humari padhai bhi complete nhi hui hai. Aur aise mein shaadi.
Warden: Main maanti hu. But main yehi chahti hu ke mere rehte hi main uska ghar baste hue dekh lu. Dekho aaj nhi toh kal toh tumlog shaadi karoge hi. Hosakta hai tab tak mein naa rahu.
Aryan: Agar aap bura naa maane toh main aapse kuch puch sakta hu.
Warden: Main jaanti hu tum kya puchna chahte ho. Yehi naa main baar baar aisi baate kyo kar rahi hu.
Aryan: Haa.
Warden: Kyoki mujhe Blood Cancer ka last stage hai. Kisi bhi waqat mere bulawa aasakta hai. Aur yeh baat Meera ko nhi pata agar usse pata chalta hai toh woh yeh seh nhi paayegi.
Aryan: Kyaaaa. Yeh aap kya bol rahi hai. Aur aapne pahle kyo nhi bataya yehsab.
Warden: Main sahi keh rahi hu. Isiliye main chahti hu ke tumlog jaldi se shaadi karlo.
Tabhi pichhe se awaaz aati hai. Aur agar aapke baad mujhe yeh pata chalta. Toh kya main seh paati.
Sab log jab uss awaaz ki taraf dekhte hai toh shockk hojaate hai. Kyoki waha Meera aur Ritika khadi thi. Aur Meera roye jaa rahi thii aur Ritika usse sambhal rahi thi.
Meera: Aapne mujhe yeh pahle kyo nhi bataya.
Warden: Kyoki meri bimaari thik nhi hosakti thii. Jab mujhe pata chala tab tak bahot derr hochuki thi. Aur main jaanti hu agar tujhe maine yeh bata diya toh tu yeh sehan nhi kar paati.
Meera: Sehan toh main aapke baad bhi nahi kar paati. Jab mujhe pata chalta toh mera kya hotaa.
Warden: Isiliye toh main teri shaadi karwa rahi hu. Taaki tu harwaqat Aryan ke saath rahe. Woh tujhe sambhal sake. Aur meri ichha bhi puri hojaati tera ghar baste hue dekh kar.
Meera: Mujhe abhi shaadi nhi karni. Main aapko chorr kar kahi nhi jaungi.
Aryan: Main bhi Meera ke saath hu. Mujhe bhi abhi shaadi nhi karni. Meera abhi aapke saath yehi pe rahegi.
Ritika: Didi aur Aryan sahi keh rahe haj mujhe bhi nhi karni abhi shaadi.
Warden: Tumlogo ko meri kasam. Tum log mana nhi karoge.
Meera: Maaaaaa.
Warden: Maan jaa meri beti. Apni maa ki aakhri ichha puri karde. Waise bhi aaj nhi kal tumlog shaadi toh karoge hi. Toh abhi karlo. Problem kya hai.
Iske aage yeh log kuch nhi bol paate.
Warden: Aaplogo ko koi problem hai.
Sanjana: Mujhe koi problem nhi hai. Main bhi toh Meera aur Ritika ko jald jald se apne ghar laana chahti hu. Par aise.....
Sangeeta: Problem toh humhe bhi nhi hai. Par iss tarah se....
Warden: Ab halat aise hai ke kya karsakte hai.
Aryan: Thik hai main taiyaar hu. Par meri ek shart hai.
Warden: Bolo kya shart hai.
Aryan: Yeh shaadi mandir mein hogi bina koi dhoom dhaam ke bas jaan pehchan ke 2-3 jan hi rahenge.
Meera: Main bhi yehi chahti hu.
Ritika: Main bhi.
Warden: Manzoor hai.
Sanjana: Thik hai phir main aur Sangeeta ji koi achha sa muhurat nikalwate hai.
Phir woh log waha ae chale jaate hai.
Warden: Kya baat hai Meera tu khush nhi hai iss rishte se.
Meera: Aisi baat nhi hai maaa. But main aapko aisi halat mein chorke kaise jaa sakti hu.
Warden: Areee tu kaha kahi durrr jaarahi hai. Yehi paas mein toh hai. Jab marzi ho aajana.
Meera: Phir bhi maaa. Agar raat ko aapki tabiyat jyaada bigad gayi toh mujhe kaise pata chelegaa.
Warden: Aree yaha aur bhi toh log hai yaha agar kuch hota hai tab woh log call karlenge tu aajana.
Meera: Mujhe yeh achha nhi lagraha hai maaa.
Warden: Ab jyaada mat soch beti. Shayad uparwaale ki yehi marzi hai.
Idhar Aryan ghar aake bahot pareshan hochuka thaa. Usse reh reh ke Warden ki baate yaad aarahi thi. Usne Yash ko call karke sab bata diya. Aur kal apne parents aur Preeti ke saath aane ko kaha. Aur Karan aur Sonal ko bhi bol dene ko kaha. Aur unko bhi aane ko kaha.
Sanjana apne jaan pehchan ke ek pandit se baat karti hai.
Woh 2 din baad ka din bolte hai. Phir woh aur Sangeeta unse saari baate karleti hai.
Sanjana ne Aryan ko bhi bata diya. Aryan ne bhi Meera aur Ritika ko call karke bata diyaa. Woh khush toh bahot the par dukhi bhi. Yehi haal Aryan ka bhi thaa.
Aryan ne Sameera ko bhi call karke sab bata deta aur usse bhi apni maa ke saath direct mandir mein aane ko bolta hai.
Agle din Yash ke saath sab log aajate hai aur shaadi ki taiyaariyan karne lagte hai. Bhale hi shaadi mandir mein normal tarike se honi thi. Par thi toh shaadi hi.
Sangeeta ne Warden aur Meera ko apne ghar mein hi bula liya tha. Sangeeta ne ek mehendi wali ko bula liya tha. Woh Meera aur Ritika ko mehendi lagwati hai.
Phir Sangeeta unndono ko kal Shaadi ki shopping pe chalne ke liye ready rehne ko bolti hai. Meera ka chehra abhi bhi murjhaya hua hi tha.
Warden: Dekh Meera agar tu aise dukhi rahegi. Toh mujhse bura koi nhi hogaa. Isiliye main tere ko nhi batana chahti thi. Jo hoga dekha jayegaa shaadi zindagi mein ek hi baar hoti hai isiliye khushi khushi isme reh.
Meera bhi bas halka muskura deti hai. Aryan ke ghar ko bhi halka sa sajaya jaa raha thaa.
Agle din yeh log shopping par jaate hai. Aryan ek sherwani leta hai. Meera aur Ritika shaadi ka joraa lete hai aur kuch jewellery bhi.
Phir woh ghar aajate hai agle din shaadi thi. Toh woh mandir mein jaake achhe se dekh lete hai aur saari taiyaari karte hai. Isme Yash aur Karan ne bahot madad ki thi.
Aiss hi raat hojaati hai. Raat ko Aryan ke ghar rukhte hai Yash and family aur Karan and family aur Meera ke paas jaate hai Preeti and family aur Sonal and family.
Sangeeta ne ek parlour se 2 ladki ko kal subah jaldi hi bula liya thaa taaki Meera aur Ritika ko ready karde.
Agle subah sab koi jaldi uth jaate hai aur apne apne kaam mein lag jaate hai.
Parlour se ladki bhi apne time pe aagyi thi.
Usne Meera aur Ritika ko ready karna start kardiya thaa. Kuch 2 ghante baad unhone Meera aur Ritika ko ready kardiya. Preeti ne Meera ke phone se dono ki pic click karke Aryan ko bhej diya tha.
Phir sablog mandir ki taraf chal dete hai. Idher Aryan ko bhi Yash aur Karan ne milke ready karwa diya tha aur mandir ki taraf nikal gaye the.
Mandir mein Aryan log pahle pahonch jaate hai. Waha pe saari taiyaariyan hogyi thi. Thodi der mein Meera aur Ritika aajate hai.
Aryan toh unko dekhte hi reh gaya dono itni khubsoorat lag rahi thi ke uski nazar hi nhi hatt rahi thi. Meera aur Ritika Aryan ko aise ghurte dekh sharma jaati hai. Phir dono ko Aryan ke dono side khade kar diya jaata hai.